• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,610
59,078
304
Aur wo possible nahi :roflol:
Btw aanand ne bichare Abhishek ko bura insaan banake bali ka bakra bana diya... jisko in future sarita goli maarne wali hai :D
वो क्या है न कि बहुत कुछ होने के लिए किसी न किसी की कुर्बानी तो देनी ही होगी, इसलिए अभिषेक कुर्बान हो गया इस बहुत कुछ के लिए।🤣
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,610
59,078
304
:congrats: For completed 10k views on your story thread.....
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय।।
 
  • Like
Reactions: mashish

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,610
59,078
304
Mauka khud chalke aa raha hai har update mein.... :roflol:
बात तो सही है आपकी।
खुन्नस जो खाये बैठी हैं आप सरिता से।😁😃😂
तो किसी न किसी तरह से मौका निकाल ही लेंगी आप।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
33,610
59,078
304
adhyay 4...

abhishek toh full on rowdy banne wale raste pe chala jaa rha hain... badhiya hain baap tempo chalata hain behen police waali aur bhai gangster... aur maa wo dukhiyari bechari... waise kahani mein kabhi abhishek kaa view nahin dikhaya gaya hain... akhir" main aisa kyun hoon" gana dekh ke bhi usko NDA mein jaane ka khayal nahin aaya...
ये उम्र ही ऐसी है कि अच्छा बुरा सही गलत कुछ नजर ही नहीं आता। बस वो नजर आता है जो हम करते हैं और करना चाहते हैं। हम सही लगते हैं कर हमें समझाने वाले गलत लगने लगते हैं। यही अभिषेक के साथ भी हो रहा है।।

aise bachhe ko dekh ke aas pados waale kahenge chhor do.. jona rahe bahe,, bahne do... matlab jiss disha mein jaa raha hain jaane do na roko usse... lekin maa baap apni aankhon ke samne apni aulad ko bigarte kaise dekh shakte hain... unhe toh apni har santan pyari hoti hain... waise yeh shab iss sarita kee wajah se ho raha hain... agar wo bhi luchhhi lafangi,,, beedi,, khaini,, guthkha tambaako bechana shuru kar deti toh akela abhishek ko gaali nahi parti... dono mil baant ke kha lete...
हाहाहाहा।
मतलब सबको खराब करने पर तुले हैं आप।
इसके लिए आप बाप का माल पढ़िए। बहुत लुत्फ उठाएंगे आप उसने।
आपकी जब से वापसी हुई है तब से आप कुछ ज्यादा ही संजीदा हो गए है।🤣😁
अभिषेक बिगड़ा हुआ जरूर है लेकिन वो गलत नहीं है। जवानी के जिस दौर से वो गुजर रहा है वो दौर बहुत ही कठिन दौर है जिसमें उसका कोई बस नहीं है।

साथ बने रहिए।।
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,311
304
अभिषेक का ज्यादा रोल नहीं है इस कहानी में। ये एक बार कहानी से गायब हुआ तो सीधे गोली खाकर ही वापस आएगा।😂🤣😃
किसी के खिलाफ कोई साजिश नहीं कि जा रही है। 😂
Nischal kab entry lene wala hai :peep:
actually xp se xf tak wo kirdaar as a superhero role nibhaya hai...
ab yahan ek aam insaan ki tarah role aada karne wala hai....
( waise in 5 saal mein nischal naam ka kirdaar sirf aur sirf nainu unkil ki stories pe hi lead character bana raha ;))
isliye excited hun padhne ke liye....
uske dialogues delivery.... bhumika.. .. tevar..... etc etc.... :D
 

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,666
25,377
204
UPDATE- 01


Bachpan ke Lekar Jawani tak ke kuchh ansh.


Allahabad shahar ke ek chhote se kabse mein Aanand Joshi apni patni Raani Joshi ke sath rahte the. Jo Lower Middle Class se belong karte the. Unka khud ka auto riksha tha jise chalakar wo apna aur apne pariwar ka gujara karte the. Wo jis makan me rahte the wo 3 kamre ke makaan tha jise unke pitaji ne banwaya tha. Jinki kuchh samay pahle hi mrityu ho chuki hai. Maa to bachpan me hi chal basi thi.


Pita ki mrityu hone ke baad eklauti santan hone ke karan unki sari jyayjat Aanand ji ke naam ho gayi. Aanand ji ek beta aur do betiya thi. Badi beti ka naam Sarita, Chhoti beti ka naam Manisha aur unke pyare bete ka naam Abhishek tha. Aanand Joshi ke Betiyo ki umar me 2 se 2.5 sal ka anter tha. Lekin Abhishek Sarita se 4 varsh bada tha. wo thoda gusse wala aur chhoti si baat ko dil par lagaa lene wala ladka tha. uski padhai bhi der me shuru hui. Padhaai me abhishek kamjor hi sabit huwa.


Abhishek Dono bahano se bada tha Aur beta hone ke karan apni maa ka ladla tha. Aisa nahi tha ki Mr. aur Msr. Joshi ko apni betiyon se pyaar nahi tha. Wo apni betiyon se bhi bahut pyaar karte the, lekin akela beta hone ke karan wo unka ladla tha. Unke sath sath Abhishek dono bahnon ka bhi ladla bhai tha. Dono bahane Hamesha Abhishek ke age pichhe Ghumti rahti thi. Abhishek class 6 mein, Sarita claas 4 mein aur Manisha class 1 mein padhti thi. Abhishek maa baap ke jyada lad pyaar ki wajah se thoda bigad gaya tha aur ladai jhagda bhi karne laga tha.


Ek din english ki class chal rahi thi aur Abhishek baitha hua apni copy me kuchh bana raha tha . Abhishek padhai likhai mein bhale hi kamjor tha, lekin Abhishek ki drawing Apni umar ke Aur bachho ke mukable bahut Aachhi thi. Padhaai likhaa se jyada uski ruchi drawing mein thi. Tabhi teacher ki najar Abhishek par padi. Unhone Abhishek se kaha.


Teacher- Abhisehk. Ram ne Shyam ko khane ke liye 2 Aam diye. Iska Angrezi me anuwad karo.


Lekin Abhishek to apni hi dhun mein drawing kar raha tha. Usne jaise teacher ki baat suni hi nahi ho ya sunkar bhi ansuna kar diya ho. Teacher Abhishek ke paas aa gaye ye dekhne ke liye ki Abhishek kya kar raha hai. Abhishek teacher ko apne paas khada dekh kar apni drowing chhupane laga. Teacher ne uske hanth se paper cheen liya Aur bole.


Teacher- Abhishek. Kya kar rahe ho. Aur ye English ke subject me tum ye drawing kar rahe ho.

Abhishek- wo sir main to wo….

Teacher- Achha to tum mujhe bana rahe the. Waise drawing to tum bahut achhi karte ho, lekin ye drawing ki class nahi hai. Ek to tum padhai me itne kamjor ho aur upar se class me bhi padhai par dyaan dene ke bajay drawing bana rahe ho. Meine tumhe kitni baar manaa kiya hai lekin tum ho ki mante hi nahin ho. Isliye tum bench par khade ho jao. Aur meri class khatam hone tak bench par hi khade raho.


Teacher ne Drawing dekhte huwe muskurate huwe kaha, kyonki Abhishek ne sach me drawing Achhi banai thi. Bas thodi bahut kami thi. Abhishek ne unka kaan aur naak kuchh lamba aur bada kar diya tha, jise dekhkar teacher ke chehre par muskan fail gai thi.


ABhishek ko punishment dekar teacher fir se bachho ko padhane lage. English ki class khatam ho jane ke baad teacher bahar chale gaye to Abhishek ki punishment bhi khatam ho gayi. Wo apni jagah par wapas baith gaya. Teacher ke gaye hue kuchh hi der hui thi ki ek ladke ne uski drawing wala paper le liya aur front me jakar khada ho gaya aur bola.


Ladka- Ye dekho Abhishek ne padhai chhod kitni ghatiya drawing banai hai.

Abhishek- meri drawing de yash. De meri drawing.


Lekin us ladke ne Abhishek ki baat nahi mani aur puri class me ghoom ghoom kar Abhishek ki drawing dikhane laga. Uske baad wo apni pen nikalkar uski drawing par apni pen ghumane laga. Jisase Abhishek ki drawing kharab ho gayi.


Drawing kharab karne ke baad us ladke ne Abhishek ko wo paper wapas kar diya. Apni drawing kharab ho jane par Abhishek ko gussa aa gaya aur usne us ladke ka sir pakadkar 3-4 baar desk par patak diya. jisase uska sir fat gaya aur khoon nikalne laga. Wo ladka jor jor se rone laga.


Ek ladka bhaag kar bahar chala gaya aur principal se Abhishek ki shikayat kar di ki Abhishek ne Yash ka Sir phod diya. Principal Aur kuchh teacher daude daude class me pahuche. To dekha ki yash jameen par apna sir pakadkar bhaitha huwa hai.


Uske sir se khoon nikal raha hai. Wo jor jor se ro raha hai. Abhishek apni seat par baitha huwa chocolate kha raha tha. Principal Sir ko bahut gussa aaya. Wah Ahishek ke paas gaye aur ek jor ka jhapad Abhishek ko rasid kar diya aur bole.


Principal- Ye kya kiya tumne. Iska sir Phod diya aur aaram se baithkar chocolate kha rahe ho. Tumhare andar daya aur insaniyat naam ki koi cheej nahi hai kyaa. Kal tum apne parents ko bulakar lana. Tum jaise shararti bache ko main apne school me nahi rakh sakta.


Principal Sir ne Abhishek ko ghar jane ke liye bolkar Yash ko hospital bhijwaya. Abhishek Akele hi ghar pahucha to uski maa ne usase kaha


Raani ji- Are mera beta. Aaj to badi jaldi Ghar aa gaya. School ki chhutti ho gayi kya. Aur ye tere gaal kyon lal ho gaye hain. Kya tumne fir kisi se ladai Jhagda kiya hai.
Abhishek- Nahi mammy Wo Principal Sir ne mujhe mara. Principal Sir ne meri chhutti pahle hi kar di. Isliye main pahle ghar aa gaya.


Rani ji - Aise kaise maara unhone tujhe. Koi aise marta hai kya bachhe ko. Main baat karungi tere principal se. Chal hanth munh dho le. Main tere liye khana lagati hoon. Tu khaa le. Sarita aur Manisha ko aane ke baad khana khila dungi.


Abhishek ne apni maa ko maar khane ki poori wajah nahi batai. Isliye Rani Principal Sir ke uppar gussa ho rahi thi. Tabhi Abhishek ne kaha.


ABhishek- mummy. Kal principal Sir ne Aapko aur Papa ko school mein bulaya hai kuchh kam se. wo bol rahe the ki agar aap dono unse milne nahi gaye to wo mujhe school se nikal denge.

Rani ji- Tune kuchh ulta siddha to nahi kiya na school me. Jiski wajah se principal Sir aisa bol rahe the.

Abhishek- Nahi mummy. Maine kuchh nahi kiya. Wo yash hai na usne meri drawing kharab kar di thi. Isliye maine use mara. Isi baat ko lekar principal sir ne mujhe mara aur bole ki kal apni mummy papa ko lekar hi school aana.

Raani ji- Thik hai main chalungi tere sath. Dekhti hoon kaise nikalte hain tujhe school se principal Sir.


Thodi der baad school ki chhutti hone ke baad Sarita aur Manisha bhi Ghar aa gaye. Rani ne unhe bhi pyaar se khana khilaya. Khana khakar wo dono so gaye. Sham ko dono sokar uthi aur Apne Bhai Abhishek ke sath khelne lagi. Aanand ji ke Ghar aane ke baad Raat me khane ke samay Rani Ji ne Aanand ji se kaha.


Raani ji- Suniye ji. Kal Abhishek ke Principal Sir ne hame School me bulaya hai. Unhe kuchh jaruri baat karni hai hamse Abhishek ke bare me.

Aanand Ji- Baat kya karni hogi. Isne fir se kisi se jhagda kiya hoga. Isi silsile me unhone bulaya hoga. Ye jaise jaise bada hota ja raha hai waise waise iski shararat badhti ja rahi hai.

Raani ji- Aap to har samay mere bachhe ko hi koste rahte hain. Abhi iska bachpna hai. Abhi agar shararat nahi karega to kya buddha hone ke baad shararat karega kya. Aapko to hamesha mere bete ki hi galti najar aati hai.

Aanand Ji- Tumhare lad-pyaar ne hi ise bigad rakha hai. Aage chalkar kahi aisa na ho ki tumhe apne is lad-pyaar ki wajah se pachtana pad jaye. Abhi bhi samay hai. Use ache aur bure ke baare me samjhao. Meri to wo suntan nahi hai. Agar maar peet kar use kuchh samjhaunga to ho sakta hai wo aur bhi bigad jaye aur jiddi ho jaye. Tumhari sunta hai to kam se kam tumhi use sahi aur galat ke bare me batao.

Raani Ji- Aapko to hamesha mere bete ki hi galti dikhai deti hai. Fir bhi main use samjhaungi. Chalo ab jaldi se khana khatam karo aur so jao. Subah iske school bhi chalna hai.


Uske baad kisi ne koi baat nahi ki aur khana khakar Aanand Ji apne kamre me sone ke liye chale gaye.



Iske aage ki kahaani agle bhag mein..
NICE UPDATE
 
Top