- 79,765
- 117,167
- 354
Update:- 07 to 12..
Idhar ke saare update padh liye mahi madam. Bahut hi shandaar kahani lagi aur bahut hi khubsurti se likha hai aapne. Update - 07 dil ko chhu gaya. Hamare desh me abhi bhi gaav dehaat me dahej ke lobhi fal fool rahe hain. Sarita ki sagaayi ke din jo kuch ladke ke baap ne anand ji se kaha wo bahut hi zyada nindaneeya tha. Aise logo ko to sare aam goli maar dene ka kaanunan adhikaar milna chahiye. Ladke ka baap kahta hai ki usne apne bete bachpan se paal posh kar aur padha likha kar bada kiya hai to uska kharcha kaun dega?? Abe madarjaat saale apne ladke ki padhaai likhaai me jo paisa kharch kiya to kya use is tarah se wasoolega?? Kya yahi soch kar tune apne ladke ko padhaya tha ki ek din kisi gareeb baap se dahez ke roop me apna paisa wasoolega? Matlab tune apne bete ko padhaya to usme lage kharche ka tujhe dhyaan hai aur jis baap ne apni ladki ko itna padhaya likhaya uska kya? Kya uski ladki ki padhaai me paisa nahi laga hoga? Sahi kaha tha anand ji ke saale ne ki aise logo ke samne kuch bhi kahne ka matlab hai patthar par apna sir patakna. Dahej pratha aaj bhi hamare samaaj me deemak ki tarah kaayam hai jiska vajood shayad hi kabhi khatm hoga. Aisa nahi hai ki dahej ke lobhi sirf gareeb tabke ke log hote hain balki achhe khaase padhe likhe log bhi iske laalach ka shikaar hain. Mujhe samajh nahi aata ki aise log sab kuch samajhte huye bhi is tarah ka laalach aur aisi maansikta kyo paale rahte hain? Unhe ek ladki ke baap ki peeda aur byatha ka zara bhi ehsaas nahi hota. Ek majboor baap ki ijjat ko sare aam uchhaalne me bada maza aata hai. Aise logo ke liye bas yahi kahuga..aakthuuuuu,
Sarita ne khud rishta tod kar bahut achha kaam kiya tha. Main ye nahi kahta ki har ladki ko aisa hi karna chahiye kyoki har ladki ke maa baap sarita jaise nahi ho sakte. Mahi madam is update me jo halaat the unhe aapne behtareen dhang se chitrit kiya hai aur ye dekh kar mujhe behad khushi huyi hai. Sarita ka ye faisla bhi achha laga ki use kuch aisa karna chahiye jisse uske pita ka jhuka hua sir garv se uncha ho jaye. Aisa wahi ladki soch sakti hai jo ek pita ke hriday ki byatha ko behtar tareeke se samajhti ho,,,,
Inspector ki biwi aur uski beti ka bartaav bahut hi ghatiya tha. Halaaki dosh uska bhi nahi hai kyoki duniya me har koi achhe vicharo wala nahi hota, bahut se bure log bhi hote hain jinhe dusro me buraaiya hi nazar aati hain. Ek tarah se ye achha hi hua kyoki agar wo aisa na kahti to sarita ke man me uthe un vicharo ko aur bhi zyada bal na mil pata jo usne apne pita ke sir ko uncha karne ke liye banaye the. Khair, sarita ne jee tod mehnat kar ke aakhir wo mukaam haasil kar hi liya jiski vajah se aaj har taraf uski aur uske mata pita ki ijjat me chaar chaand lag gaye. Sarita ab police officer ban chuki hai. Manisha ke sath uski nok jhonk achhi lagi. Maa baap ka apne bachcho ke prati pyar dil ko chhu gaya. Ghar ki do betiya jeewan me pahli baar apne mata pita se door ja rahi thi, zaahir tha aise mahaul me mata pita aur khud wo dono behad bhaavuk hone hi the. Sarita ko har khushi ke mauke par apne bhai ki yaad aati hai lekin uska bhai pichhle aath saalo se lapata hai. Zaahir hai uske sath bhi bahut kuch ghat raha hoga,,,,
To dono bahne Kanpur pahuch gayi hain. Manisha ke sath market jane ke baad sarita ke sath jo kuch hua waisa anjaan shahar me swabhaavik to tha kintu thoda overreacting bhi laga. Mujhe lagta hai sarita ko is tarah se akramak nahi hona chahiye tha. Khair sabse zyada mazedaar baat ye huyi ki jis ladke ke usne dono gaal laal kiye wo uske hi police mahkame ka ek aala officer tha aur baat usne sarita ko bataya bhi lekin sarita to us waqt ek alag hi mood me thi. Khair sarita aur manisha ke jane ke baad pata chala ki jis ladke ke dono gaal sarita ke dwara laal huye the wo is kahani ka hero nishchal hai. Waise hero ka swagat bahut badhiya dhang se hua hai. Main to kahta hu ki dono gaal laal karne ke sath sath uska pichhwada bhi laal kar dena tha,,,

![Angry :angry: :angry:](/uploads/smilies/angry.gif)

![Claps :claps: :claps:](/uploads/smilies/claps.gif)
Inspector ki biwi aur uski beti ka bartaav bahut hi ghatiya tha. Halaaki dosh uska bhi nahi hai kyoki duniya me har koi achhe vicharo wala nahi hota, bahut se bure log bhi hote hain jinhe dusro me buraaiya hi nazar aati hain. Ek tarah se ye achha hi hua kyoki agar wo aisa na kahti to sarita ke man me uthe un vicharo ko aur bhi zyada bal na mil pata jo usne apne pita ke sir ko uncha karne ke liye banaye the. Khair, sarita ne jee tod mehnat kar ke aakhir wo mukaam haasil kar hi liya jiski vajah se aaj har taraf uski aur uske mata pita ki ijjat me chaar chaand lag gaye. Sarita ab police officer ban chuki hai. Manisha ke sath uski nok jhonk achhi lagi. Maa baap ka apne bachcho ke prati pyar dil ko chhu gaya. Ghar ki do betiya jeewan me pahli baar apne mata pita se door ja rahi thi, zaahir tha aise mahaul me mata pita aur khud wo dono behad bhaavuk hone hi the. Sarita ko har khushi ke mauke par apne bhai ki yaad aati hai lekin uska bhai pichhle aath saalo se lapata hai. Zaahir hai uske sath bhi bahut kuch ghat raha hoga,,,,
![Dazed :dazed: :dazed:](/uploads/smilies/dazed.gif)
To dono bahne Kanpur pahuch gayi hain. Manisha ke sath market jane ke baad sarita ke sath jo kuch hua waisa anjaan shahar me swabhaavik to tha kintu thoda overreacting bhi laga. Mujhe lagta hai sarita ko is tarah se akramak nahi hona chahiye tha. Khair sabse zyada mazedaar baat ye huyi ki jis ladke ke usne dono gaal laal kiye wo uske hi police mahkame ka ek aala officer tha aur baat usne sarita ko bataya bhi lekin sarita to us waqt ek alag hi mood me thi. Khair sarita aur manisha ke jane ke baad pata chala ki jis ladke ke dono gaal sarita ke dwara laal huye the wo is kahani ka hero nishchal hai. Waise hero ka swagat bahut badhiya dhang se hua hai. Main to kahta hu ki dono gaal laal karne ke sath sath uska pichhwada bhi laal kar dena tha,,,
![:lol1: :lol1: :lol1:](/uploads/smilies/xf/kinnu2.gif)