UPDATE 1
"maine kabhi aapse ye to nhi chaha tha aapne aisa q kiya , maine jo bhi kiya sirf aap ki khusi ke liye kiya . mai janti hu mere ravaiye se aapko kafi taklif pahuchi h lekin mere pas aur koi rasta nhi tha
.plz mujhe koi bhi saja dijiye par is tarah muh na modiye .mujhe apni safai dene ka ek mauka to dijiye ya koi saja dena chahe to dijiye par itni badi saja mat dijiye ki m zinda hokr bhi jee na saku,, pleasssss"
Aarti Sahil ke sirhane baithi roye ja rhi thi jo zindagi aur maut ke bich lad rha tha .uske masoom se chehre pr aansuo ki ladi lag gayi thi. pichhle teen gante se roye ja rhi thi wo .aaj us Aarti ko duniya jahan , ghar-parivar kisi ka koi dar nhi tha , dar to bas is bat ka tha ki uski zindagi me khusiyo ke rang bharne wala ,mayusi me zindagi ka sath na chhod de.aarti ki mummy pushpa,bhai Rohan aur papa shankar dayal bhi is waqt usi hospital me the .sabke chehre pr udasi thi
"aapko yad hai aapne mujhse vada kiya tha ek bar ki m aapse zindagi me koi bhi ek cheej mang sakti hu,,aaj mujhe mera wo gift chahiye ,,aapko apna vada nibhana hoga, mujhe mere sabse achchhe dost ka sath chahiye , mujhe meri sabse badi khusi chahiye ,mujhe mere zindagi ko wo khubsurat sitara chahiye.plz come back, i can't live without you ..pleasssssseeee"
aur inhi sabdo ke sath dusri bar behosh hogyi thi Aarti.
,hospital me maujud uske mummy papa dukhi bhi the aur hairan bhi. dukhi isliye the ke Sahil ki halat bht najuk thi aur hairan isliye qki Aarti ki bato ne unhe bahut kuchh sochne par majbur kar diya tha . SAhil Aarti ka Mama tha aur umar me us se takriban 5 sal bada. mama ke liye dukhi hona jayaz tha lekin DOST aur wo bhi itna gahera rishta ye shayad kisi ko samjh me nhi aaya tha.
Lekin Aarti ko aaj in sab bato se koi fark nhi padne wala tha , aaj use apna astitwa hi bura lagne lga tha ,Sahil ki is halat ka zimmedar wo khud ko samajh rhi thi.pichhle 4 salo se Sahil se uski bat chit band thi aur isme jyada bada hath uske apni berukhi ka hi tha .lekin aarti ka dil hi janta tha us berukhi ki vajah .
Dr.Tapaswi ko lekar Rahul kamre me pahucha jaha Sahil maut se ladne ki jee tod kosis kar rha tha.
Sahil ek honhar IAS officer tha jiski training ke bad pahli posting LUCKNOW me as a S.D.M. hui thi aur Rahul uski sabse close friend tha lekin shayad BEST-FRIEND nahi.Rahul aur Sahil sath sath civil services ki preparation kar rahe the aur sath sath hi select bhi ho gaye the.Rahul as an IPS officer and SAHIL as an IAS.
Dr TApaswi Sahil ko check kar rhe the aur unhone sister ko bulakar use koi injection lagane ko kaha.
"mummy aap aa agyi"pushpa daudate huye apni maa SARITA DEVI ke gale lag gayi jo abhi bete ke bimar hone ka sunkar apne pati RAMNARAYAN ke sath gaon se aaye thi. " kya hua mere lal ko , kisi ne mujhe pahle q nhi bataya , kaisa h wo , mujhe abhi milna h."
"nani, mama bilkul thik ho jayenge ,aap chup ho jaye , Dr puri kosis kar rhe hai.aap abhi unse nahi mil sakti abhi wo behosh hai " Roahan bola.
sahil pichhle teen dino se behosh tha aur hospital me tha.
Rat ke1 bje RAhul ko phone aata hai ki SDM sahb ki car ka accident ho gya h aur wo road ke kinare pade huye h,Rahul jo ki Mirzapur me as ACP posted tha us din SAhil ke ghar hi aaya tha leki usne ye bat sahil ko nhi batayi thi qki wo use surprise dena chahta tha
.RAHUL sahil ke Bunglow par pahuch kar uska wait kar rha tha jab use phone aata hai.shayad caller ne Sahil ki call list me rahul ka number dekhar use call kiya tha . RAHUL jab tak spot par pahuchata h waha kafi bhid lag chuki thi aur log SDM sahb ko hospital le ja rhe the . RAHUL jaldi se ambulence me baithkar Sahil ka sar apni god me rakh kar use bulane lagta h.sahil ko sar par kafi chote aayi thi,,aur wo behosh ho gya tha. Sahil ka gala bahr aata hai uski halat dekhkar.
Sahil uska dost to tha hi lekin ek bahut achchha insan bhi tha jis ne zindagi me sirf dena sikha tha. ambulance apni speed se badhi jaa rhi thi aur Rahul roye ja rha tha aur Sahil ko uthane ki kosis bhi kar rha tha .
achanak Sahil ko hosh aata h. wo badi muskil se apni aankhe kholta h ,,Rahul ko dekhkar uske chehre par ek muskan aa jati h ..aah... kitna dard tha us muskurahat me..
Sahil ke hoth fad fadane lagte h,,,Rahul jhukar apna kan uske pas kar deta h."Rahul, mai jeena nahi chahta yar" bas itna hi bol pata h Sahil aur uski aankhe band hone lagti h.
"Sahil plz aankhe khol yar. aisa mat kar mere sath mere bhai . sale tune to kaha tha hm apni dosti ko ek misal banayenge ...achchhi dosti nibha raha h, pahle papa- mummy chhodkar chale gaye ab tu bhi sath chhod raha h ...plzz aisa nhi karna mere yar " fut futkar rone lagan tha wo sadhe 6 feet ka banka naujwan. aur tab se lekar abhi tak sahil behosh tha .teen din beet gaye the .Sahil ke didi jeeja to agle din hi aa gaye the lekin uski mummy aur papa ko bad me khabar di gayi thi.
Sahil ki sanse thamne lagi thi..aur uski ye halat dekhkar har koi sakte me aa gya tha.SAHIL ki didi aur mummy tej tej rone lagi.
"plz Dr sahb mere bete ko bacha lijiye" .
aarti rone ki aavaj se wapas hosh me aane lagi aur kuchh hi palo bad pure hosh me aa gyi ."nani, plz mama ko bacha lo "apni nani ke sine se lagkar tadap uthi thi wo.SAHIL ki halat dekhakr Aarti ka dil tadap utha. wo SAHIL se liptakar rone lagi ...
Dr ne nurse ko electric shock dene ko kaha .Aarti ko rohan ne sahil se jabadasti alag kiya...do tej jhatke diye gaye aur sahil ki sanse tej chalne lagi
.wo apne seene ko jor se dabaye tha.usne dhhere dhhere aankhe kholi-samne aarti khadi thi.wo Aarti jo jise wo apni sabse badi takat samjhta tha aur jiske aansu aaj bhi uski sabse badi kamjori thi. Aarti ka pura chechra aansuo se bhiga tha aur aankhe suj kar lal ho gyi thi...kitni tadap aur chahat thi un aankho me ..Sahil ki aankho se bhi aansu bahne lage aur wo sar hilakar aarti ko chup hone ko bolne laga .
Rahul daudkar sahil ke pas pahucha ...Sahil ki aankhe bhar aayi thi apne dost ko dekhakar."
Dr Tapaswi jante the ki abhi wo thik nhi h aur ye bas electric shock ke khatke ki vajah se kuchh chhado ke liye samanya lag rha h .SAHIL ki saanse fir tej chalne lagti h .
" Mujhe bacha le yar. .."itna hi kah pata h Rahul se aur uski sanse ukhadne lagti h."
ise fauran ICU me le chalo"rahul unke peeche bhagta h , aarti baukhlayi si uske picche jati h,kintu dono ko gate par hi rok dete h .
"Dr plz unhe bacha lijiye nhi to m jee nhi paungi" Aarti ICU ke seeshe ko pakadakr siskane lagti h ..us samay uske itne karib sirf rahul tha jo use sun paya tha.Sahil ki maa daudt hui waha aa jati h .pushpa "mummy chup ho jao, use kuchh nhi hoga upar wala hamse hmara heera nhi chhin sakta , use kuchh nhi hoga mummy "
" .dono maa- beti gale lagkar rone lagti h
Rahul ke dimag me abhut sare sawal uth rahe the . yu to wo sahil ke bahut karib tha pr fir sahil ki zindagi ka ek kona aisa tha jise usne kisi khas k liye bacha ke rakha tha .
"tumhe kabhi maf nhi karunga, bewafa " aksar Rahul ye sentence dekhta tha likha hua , kabhi sahil ki notebook ke kissi page par , kabhi kisi book ke cover par ya fir kisi news paper ke editorial par . aaj tak Sahil ne us se kabhi iske bare me bat nhi ki thi .EKBar usne puchha tha sahil se , bs itna kahta" kuchh nhi yar bas kisi ki bewafai yad aa gayi..ek bar us se jarur puchhunga ..usne q kiya mere sath aisa...AAKHIR KYU"
uske bad Sahil ne Rahul se promise liya ki ab wo kabhi iske bare me nhi puchhega . Rahul ko na chahte huye bhi uski bat man ni padi.
par in teen dino me bahut kuchh aisa hua tha jisne use bahut kuchh sochne par majbur kar diya tha . pahle Sahil ka wo kahna ki ma jeena nhi chahta fir , wo ki mujhe bacha le yar aur aarti ki tadap ...ab kuchh kuchh use samjh me aane lag tha lekin wo nhi janta tha ki zindagi ke khel kaise ajeebo garib hote h...abhi in sab sawalo se upar tha sahil ki zinadgi ka sawal.
aarti " agar tumhe kuchh hogya to m jee nhi paungi sahi,mujhe apne aap se nafart ho rhi h sahil ,,ek bar mujhe seene se lagakar bol do maine tumhe maf kiya..mai tumhari ganahgar hu, lekin mai majboor thi .ab m tumhara sath kabhi nhi chhodungi ..plz come back jan plz come back.."
Aarti ki aankho se har jhar aansu bah rahe the aur atit ke panne uski aankho ke samne khulte chale jate h..