UPDATE-35
(bechari Priyal kya bataye ki ab usse dantne-dhamkane wala, usse roti hui ko chup karane wala, uske sath cheed-chaad karne wala, har musibat mein uska sath dene wala ab iss dunia ko chhod kar ja chuka hai.. Priyal se saha nahi ja raha tha.. usne apni beti ko pakad ke apne sine se laga liya aur apni aane wali jindgi ke bare mein soch kar rone lagi.. iss anjaan dunia mein uska aur koi hai bhi nahi.. vo kaha jayegi, uski beti ko kuch log pana chahte hai kaise vo apni beti ko unse bacha payegi, kya vo akeli unse ladh payegi ya yeh jindgi bas kuch hi din ki hone wali hai...)
|AB AGGE|
Siya- (apni Mumma ke chehra par hath pherti hui) kya hua Mumma.. roo kyu rahi ho.. aur Papa kaha hai..?
Priyal- kuch nahi beta.. aur ab apke Papa kabhi nahi ayenge…
Siya- kyu nahi ayenge.. vo mere bina nahi reh sakte, Aur main bhi unke bina nahi reh sakti.. vo jarur ayenge.. Lakin vo gaye kaha hai..?
Priyal- Siya beta Apko pata hai apke Papa ko kya hua tha...
Siya- Papa ko aur apko Goli lagi thi na.. lakin fhir Doctor Uncle ne apko aur Papa ko thik kar diya tha...
Priyal- apko kaise pata ki Doctor Uncle ne unhe bhi thik kar diya...
Siya- (aankho mein aansoo lati hui) toh unhone Papa ko thik nahi kiya..?
Priyal- beta apke Papa bole ki unhe iss duniya mein nahi rehna hai.. apko kuch log pana chahte the na...
Siya- haan apne kaha tha gande log mujhe pana chahte hai.. lakin Papa kyu nahi rehna chahte hai iss dunia mein.. (roti hui) Mumma Papa mujhe chhod kar chale gaye..?
Priyal- nahi beta vo kahi nahi gaye hai.. vo unn gande logo se ladhne ke liye bagwan ke pass gaye hai madad lene ke liye.. (Siya ke aansoo pochti hui) rote nahi mera bacha.. Papa apke hamesha pass hai.. (khud bhi roti hui) vo hume chhod kar kahi nahi ja sakte...
Siya- toh Papa kaha hai, kaha hai.. batao na mujhe...
Priyal- dekho beta.. (Siya ki begghi aankho mein dekhti hui) apke Papa ab iss dunia mein nahi rahe.. lakin.....
Siya- lakin kya Mumma..? lakin kya..? unhe pata nahi tha ki main unke bagair bas kuch din hi jee payungi...
Priyal- (usko gale lagati hui) nahi mera bacha.. assi baate nahi karte.. abhi toh apki chhoti si umer hai.. assi gandi baati nahi karte.. main hu na apke pass...
Siya- (apni Mumma ke gale lag beinteha roti hui) Mumma.. Mumma...
(Priyal ne apni aansoo ki ladi ko rok kar pyar se Siya ko uske Papa ki maut ki khabar suna di thi.. lakin bahut mushkil tha ek patni ke liye uske pati ki khabar apni beti ko sunna.. ek taraf toh uske pati gujar gaye aur dusri taraf usse apni beti ki chinta thi.. jo sapne dono Husband, Wife ne soche hote hai apne bache ke liye.. shayad ab unn sapno ko Priyal kabhi pura nahi kar payegi.. vo soch rahi thi ek asse samaj mein usse ab akele ladhna tha jaha ek aurat ki ijjat karne se walo jada aurat ki ijjat lutne wale ghumte hai.. ek baap aur pati ho toh kisi ki himmat nahi kisi ladki ko ghur kar bhi dekh le, koi ladki ja rahi ho toh kuch ladke dekh kar yahi bolte hai ki, are piche hato salo yeh uski beti hai, namaste bhabhi ji. Yeh kon thi be? Yeh unki wife hai.. kabhi ghumkar bhi mat dekhna vo sala aankhen phood dega.. yeh hota hai ek Papa ka ek Pati ka dar.. Priyal ko chinta toh thi, vo himmat jutta rahi thi khud ko aur apni beti ko sambhalne ki lakin nahi kar pa rahi thi..)
~ haan manna ki abhi zakham taja hai isse sukhne mein waqt toh lagega,
lakin himmat kyu haarti hai pagli, dhund ke toh dekh tujhe buro se jada achho ka sath hi milega... ~
(kheer ek maa ko dar toh hota hi hai.. jo jimedariyan dono Pati-Patni mein battee hui thi ab vo sab usse akeli ko hi nibhani thi.. Safal pehle hi bahar chala gaya tha.. aur usne bahar jakar sabse pehle Tushar ko sab saaf-saaf bata diya tha ki abhi Hospital mein kya hua tha...)
|Same City Natir, Location Police Station|
aaaaahhhhhahh
(yeh chhekh ki awaj thi Jaggu ki jo subhe se tel se lath-path latthi se apni nangi pitth par nishan banwa raha tha. pehle Daya ne apne ander jal rahi agg ko Jaggu ki kutai kar thora bahut shant kiya, aur uske baad yeh kaam uske Hawaldar badal-badal kar, kar rahe the.. Jaggu ki kutai pichle 2,3 ghanto se nonstop chal rahi thi.. usse jitna dard de sakta tha Daya usse de raha tha.. Daya ne Jaggu ke kapde nahi utare se balki kabhi latthi toh kabhi belt se uska main part ko chhod kar baki body ke har hisse par war kiye the jisse uske kapde ab phat chuke the.. Daya Locker ke bahar se Jaggu ki halat ko dekh apne dil ko sakoon de raha tha.. Daya ne Jaggu ki kutai rukwa di, Jaggu ki body ke kai hisso par sujan a chuki thi, pichle 2, 2:30 ghanto se usne cheekh-cheekh kar pura Police station hila rahkha tha.. Daya chahta toh uska muh band kar sakta tha par vo uski cheekhe sunna chahta tha.. Daya utha aur Locker ka door khol ander chala gaya.. Jaggu abhi jameen par pada usse mile hue zakhmo ke liye roo raha tha...)
Inspector Daya- (Jaggu ki phhati hui kameej se pakad usse uper uthata hua) khada ho harmjade khada ho.. (kas ke thapper uski gaal pe deta hua) khadaaa hooooo...
(Thapper aur Daya ki dahaar se Jaggu apni kampti hui tango par khada ho jata hai...)
Inspector Daya- toh bata kaisa maza a raha hai chekhne-chillane mein...
Jaggu- (reham bhari aankho se usse dekhta hua, kampte hotho se) mujhe chhod do...
Inspector Daya- (hasta hua) hahahaha.. chhod dunga lakin tere gale mein fansi ka fanda latkane ke baad.. aaj jaise tu chilla raha hai kya yeh cheekhne tujhe uss ladki ki nahi sunai di.. tere se baat karna main apni bejjti samajta hu...
(Daya ne Hawaldar se latthi li aur jitne jor se ho sake Jaggu ki ek tang par de mari.. latthi toot ke 2 hisso mein batt gayi aur Jaggu bin pani machli ki tarah tadapane laga...)
|Back To Tushar|
(Abhi sham hone ko ayi thi sabne khana-pina kaha liya tha.. Siya ke Papa ki death ho chuki hai yeh baat Tushar ko Safal ne kuch ghanto pehle bata di thi.. Tushar ko kaffi dukh hua, apne room mein betha aansoo baha chuka tha, lakin kehte hai na kisi ki kahi baato se jada khudki aankho dekhi maut jada dard deti hai.. Safal bhale hi ek Agent tha aur Agent itni jaldi bhaavuk nahi hote, lakin fhir bhi ek ladki ke uske pita ka uske samne dam todna usse saha nahi gaya aur vo bhi roo pada.. Dil rui ka ho ya pathar ka sahab, isse pighalne aur tutne mein jada waqt nahi lagta...)
(Tushar ne Siya kon hai aur uske Papa ki death wali baat kisi ko nahi bata thi.. aur Safal ko usne bol diya tha ki Siya aur uski Mummy ko lekar vo Haweli a jaye.. usne yeh jimedari khud ko saunp di thi ki ab vo Siya aur uski Mummy ka dhayan rakhega.. unka kharcha-pani aur jarurat ki har cheez vo usse dene wala tha.. yeh baat Shivan ko bhi bata di gayi thi.. abhi Siya ke Papa ki body ka antim-sanskaar bhi karna tha.. Siya ko Savana ke sath Haweli chhod kar baki sab yani Priyal, Tushar, Shivan, Safal charo jayenge...)
|Location America, City Denver|
(ek chhote se Garage mein ek admi kuch repair kar raha tha.. uske hath mein abhi welding machine thi.. kuch lohe ke tutte-putte tukde the jo vo jod raha tha.. uske gale mein ek sone ka talla latak raha tha jo ek chain se bandha hua tha, gande- maile kapde, bikhre dhul-mitti se sunehare baal .. Garage ki halat thi ki uper thori si chhat mein chhed tha.. niche 5, 7 Rockets aur Rocket Launcher ke sath-sath jagha-jagha Pistol aur Goliyan bikhri hui thi.. ek bich mein Computer tha uske Monitor par kisi Planet ko mark kiya gaya tha.. kisi diwar par koi Country ki koi Location thi, aur kisi diwar par kisi Building ya Admi-Aurat ki photo ke sath uspar Marker se Red Cross bana hua tha.. abhi Garage mein 2 Admi the.. dusra Admi samajne ki koshish kar raha tha ki akhir yeh karna kya chahta hai...)
Unknown.1- karna kya chahta hai tu..?
Unknown.2- (idher-udher ghum ke apne kaam mein laga hua, kuch nahi bola)
Unknown.1- (uske pass aata hua) aabe tere se baat kar raha hu.. bolta kyu nahi kuch.. tu bola tha mujhe yeh maal chori karke de toh tujhe main moti rakam dunga.. la abhi de...
Unknown.2- ruk mujhe mera kaam karne de...
Unknown.1- baad mein karte rehna yeh sab kaam.. mujhe aur bhi kahi jana hai...
Unknown.2- (apna kaam mein laga hua) aabe yaar.. kyu pareshan kar raha hai...
Unknown.1- dekh jada time nahi hai.. jaldi mujhe mera paisa de aur jo karna hai karte rehna baad mein...
Unknown.2- (bina uski aur dekhe) vo Freezer dikh raha hai...
Unknown.1- (idher-udher dekh dhundta hua) yeh.. haan.. iska kya karu...
Unknown.2- uper wale drawer mein rakhe hai paise nikal le jitne chahiye...
Unknown.1- (Frizzer ke pass jakar) abbe itna khoon kahe laga hai.. ander kya lashe-washe rakh rakhi hai kya.. aaahahhh...
(yeh ek cheekh uss admi ki tabh goonjee jab uss admi ne Freezer ka upper drawer khola toh ek lamba nokila tool akar uss admi ki gardan mein ghuss gaya.. admi ki saansee wahi jam gayi aur vo ek side ko gir gaya.. dusre admi ne apne pass rakha ek button press kiya toh vo tool wapis ander chala gaya aur drawer band ho gaya.. usne uss admi ki lash ko man marte hue ek kale bade se bag mein dala aur ek kone mein rakh diya...)
Unknown.2- (hasta hua) he he haha ha hahahaha.. (apne ek hath ko gol-gol ghumata hua) Dr. Locket Naam Hai Mera Iss Dunia Ko Apni Janjeer Mein Bandhna Sapna Hai Mera.. he he he ha ha ha ha...
《1722 -words》