UPDATE-34
Tushar- thik hai le lena meri khabar.. acha batao tum sab thik ho, ghar mein koi problem toh nahi, aur school mein koi tang toh kar raha...
Tania- (herani se) nahi assi toh koi baat nahi hai.. lakin asse kyu puch raha hai tu...
Tushar- kuch nahi bas asse hi.. acha thik hai apna dhayan rakho.. BYE...
Tania- BYE...
Annika- BYE bhaiya, hum apse milne ayenge...
Tushar- haan mera guddu mujhe bhi milna hai tumse, dil nahi lagta tere bina.. BYE...
|AB AGGE|
Harshika- (khushi se) apki sisters ka call tha..?
Tushar- (muskurata hua) haan meri pyari behano ka...
Harshika- mujhe bhi milwao na unse.. maine apse pehle bhi kaha tha, (sad face banake) lakin apne mujhe milwaya nahi...
Harleen- haan vo apki choti gudiya se toh main mil chuki hu ek baar, bahut sweet hai vo.. lakin apki judwa behan se nahi mili.. mujhe bhi ek baar milwana please...
Tushar- haan haan kyu nahi jarur milwaonga unse apko.. (Arushi ki aur dekh) kya hua didi aap itni udass kyu lag rahi ho...
Arushi- kuch nahi main bas soch rahi thi ki aaj jin ladko ko tumne mara hai kya unhe marna sahi tha.? i mean jaan se maar dena kuch jada nahi ho gaya Tushar..?
Harleen- (udaas hokar) mujhe bhi yahi lag raha hai ki.......
Tushar- (bich mein chilla ke khada hota hua) bassssss.. sunlo meri baat, maine jo kiya kuch galat nahi kiya, (Arushi ko gusse mein dekhta hua) didi aap keh rahi unhe jaan se maar dena jada ho gaya, agar main waha waqt par nahi hota toh kya jada nahi ho jata..? tab kya apke dil mein unke liye beinteha nafrat nahi hoti..? kya tabh bhi aap yeh nahi chaah rahi hoti ki mere sath itni badsaluki karne wale insan ki garden kat jaye.. maine wahi kiya hai didi maine anhoni hone se pehle hi garden kat di.. (gusse mein cheekhta hua) meri behan ko koi chuu tak nahi sakta.. agar aage se kisi ne assa karna ka socha bhi toh main usse vo ban ke dikhaunga jo usne kabhi na dekha na socha hoga...
(Tushar apni har line itne cheekh-cheekh kar bola tha ki teeno ladkiyan toh dar ke kamp gayi...)
Tushar- (Arushi ko gusse se dekhta hua) bolo didi bolti kyu nahi.. kya tabh bhi aap yahi kehti ki jo hua galat hua hai.. boloooo...
(Arushi Tushar ki assi baato se roo hi padi thi.. uske muh se kuch nikal hi nahi raha tha bechari kya bolti.. kuch der koi kuch nahi bola, achanak Tushar ko ehsaas hua ki aaj vo pehli baar apni behan par chilaya hai, usse koi haq nahi hai ki vo apni badi behan se asse gusse se baat kare, vo dhire-dhire uske pass gaya aur uske samne jakar khada ho gaya, Arushi abhi bhi bethi hui thi toh Tushar ne usko uski kamar se pakad utha ke khada kar diya, aur pehle uske behnte aansoo ko apne hatho se saaf kiya aur phir kass ke usse apne gale se laga liya...)
Tushar- Sorry.. Sorry didi.. main bahut jada bol gaya apko.. mujhe maaf kardo please...
Arushi- (muskurati hui) nahi tu Sorry nabol.. aur Tushar yeh aansoo issliye nahi aye ki tune mujhpe gussa kiya balki issliye aye kyuki tujhe meri kitni fikar hai.. jiss haq se tune aaj mujhe danta hai na mere toh aansoo niklenge hi.. Pagla kahi ka tune toh mujhe rula hi diya.. (kass ke gale lagati hui) aur Sorry, main galat thi Tushar tune sahi kiya unke sath...
Harleen- haan Tushar Sorry.. main bhi yahi soch rahi thi ki apne kuch jada hi badi saza dedi unhe, lakin agar dusri taraf se dekha jaye toh hamare yaha ka kanoon bigdhra hua hai, hum unse apni safety ki guarantee toh le hi nahi sakte...
Harshika- bilkul thik kaha apne.. main apki har baat se sehmat hu Tushar.. agar aap waha waqt par akar hume usne sahi bachate toh hamare sath kuch bhi galat ho sakta tha.. aaj hamare sath hota kal kisi aur ke sath hota.. unka hosla badhta jata.. aur issi paap ke kaam mein aur ladke bhi unke sath judte jate.. aur hum.. aur hum toh bas bethi abhi roo hi rahi hoti na.. agar ek ache insaan ko bachane ke liye 100 bure log bhi marne padh jaye toh vo galat nahi hai.. hamare sath bura hota isse acha toh unn bure ke sath hi bura hua...
|Back To Hospital|
(Siya abhi Savana ki gaud mein bethi, uski aur face kiya usse Chipak ke dhire-dhire subak rahi thi.. Savana aur Safal bhi bas issi ek umeed mein the ki shayad Doctor Siya ke Mummy-Papa ko bach le.. dono ka dhayan uss room ki taraf yaha Siya ke Mummy-Papa ka ilaaj chal raha tha...)
( aur 2 ghante bett jane ke baad Room ka Door khulta hai aur ek Doctor bahar aata hai.. Safal ne usse dekha toh uski himmat nahi ho rahi thi ki vo Doctor se jakar baat kare ki akhir kya hua.. Safal utha nahi toh akhir Doctor ne hi Safal ko ishare se apni aur bulaya toh Safal ghabhrata hua utth kar Doctor ke pass chala gaya...)
Safal- Ji Doctor kya hua..?
Doctor- apka naam..?
Safal- Safal...
Doctor- vo jo Ladka-Ladki ander hai vo apke kya lagte the..?
Safal- (ghabhrahat se) lagte the matab..? kya hua hai vo thik toh hai na....
Doctor- meri baat suno abhi karib 3 ghante pehle kuch 3,4 admi Hospital mein ghuss aye aur jabardasti unn Ladka-Ladki ka room number puchne lage.. hamare guards ne unhe rokne ki koshish ki toh unhone dono guards ko Goli maar di.. Goli lagte hi Hospital mein bagh-dhor macch gayi.. jo Rooms mein the unhone door band kar liye aur jo bahar the vo Hospital se chilate hue bahar ko bhagne lage.. kuch der baad ek room se 2 baar Goli chalne ki awaj ayi.. kuch der aur bett jane ke baad wapis 3 Goli chalne ki awaj ayi, aur thori hi der mein (Savana ki aur ishara kar) vo Ladki hamare pass ayi aur apna ID card dikha ke hume boli ke vo Agent hai aur usne tenno Admiyo ko maar diya hai.. Ladka-Ladki ko Goli lagi hai unhe kuch ho na jaye jaldi chalo...
Safal- toh kya vo dono ab thik hai..?
Doctor- (Safal ke kandhe par hath rakhta hua) dekho Mr. Safal, humne apni koshish puri ki bachne ki, hamare pass waqt bhi kaffi tha lakin...
Safal- (apne kandhe se Doctor ka hath jhatakta hua, ghabhrahat se) lakin kya Doctor.. aap mujhe saaf-saaf bataenge please..?
Doctor- baat darasal yeh hai ki Ladki ko ek mamuli Goli lagi thi, jisse aap keh sakte ho ki sirf behosh karne wali Goli.. lakin Ladke ko ek asse jehar ki Goli lagi hai jiska koi illaj nahi hai...
Safal- (aankho mein aansoo bharta hua) toh matlab...
Doctor- haan..! hamne Ladki ko bacha liya hai, lakin Ladke ko nahi bacha paye.. uska bach pana impossible tha.. Sorry...
(itna bol Doctor waha se chala gaya.. aur Safal ki himmat ne dam tood diya aur vo wahi ghutno par beth gaya.. dur bethi Savana ne jab Safal ko asse dekha toh kass ke Siya ko apne se laga liya.. vo dhire-dhire yeh soch kar rone lagi ki ab vo kya jawab degi Siya ko...)
Siya- (apne uper pad rahe Savana ke aansoo ko feel kar, sar utha kar) kya hua didi.. aap roo rahi ho...
Savana- nahi beta.. (Safal ki aur ishara kar) vo dekho chalo bhaiya ke pass chale...
(Savana Siya ko gaud mein utha ke Safal ke pass le jaa rahi hoti hai ki Samne Room se 2 nurses stretcher par kisi body ko lekar bahar chali gayi.. shayad yeh Siya ke Papa ki body thi.. unka face dhakha hua tha toh Siya dekh nahi payi ki kon hai vo.. ab masoom ladki toh samaj bhi nahi payi thi yeh body uske Mumma ya Papa ki ho sakti hai.. lakin Savana ne jab yeh dekha tho uska dil kampna shuru kar diya...)
Savana- (Safal ke pass pahunchti hui) Safal...
Safal- (sar uper utha, apni beghi aankho se Savana ko dekhta hua) haan...
Savana- (dard bhari awaj mein) kya kaha Doctor ne...
Safal- (Siya ko dekh) beta chalo apko apki Mumma se milata hu...
Siya- (bahut khush hokar) Mumma thik ho gaye...
Safal- (aansoo ko rok muskurata hua) haan bilkul thik ho gayi apki Mumma.. (uthta hua) chalo...
(Siya Safal ki ek ungli pakadti hai aur dono Room ke ander jane lagte hai.. abhi kuch der pehle hi uske Papa ki body ko uske samne se lejaya gaya tha.. Savana bhi samaj gayi thi ki Siya ki Mumma jinda hai lakin uske Papa nahi rahe.. vo wapis ek bench par beth kar rone lagi uska sar dard karne laga tha, ek phool si bachi yeh sadma kaise seh payegi yeh soch kar, jab vo sunegi ki uske Papa ab iss dunia mein nahi rahe...)
(Safal aur Siya room mein pahunche toh ek bed par pith tikaye ek ladki bethi thi jo bas roye ja rahi thi.. yeh thi Siya ki Mummy.. 27 saal ki umer, khubsurat chehra, kale baar jo abhi bikhre hue the, aankhon mein jhar-jhar behta pani, gulabi honth jo abhi sukh chuke the.. inka naam tha Priyal.. Priyal ne jaise hi Siya ko dekha vo aur rone lagi.. uske pass ek Nurse khadi thi ko usse shant karwa rahi thi. lakin yeh dukh toh usse sari umer jhelna tha...)
(Siya bhi bhagh kar gayi aur bed par chalang laga kar apni Mumma se lipat gayi...)
Siya- (khush hokar) Mumma aap thik ho gayi...
Priyal- (muskurane ki koshish kar, haan mein sar hilati hui)
Siya- (apni Mumma ke tapakte aansoo dekh) kya hua Mumma aap roo kyu rahi ho.. (durse khali bed ho dekh) Papa kaha hai.. (jhute gusse se) unhone danta apko.. batao kaha hai main abhi unki khabar leti hu...
(bechari Priyal kya bataye ki ab usse dante-dhamkane wala, usse roti hui ko chup karane wala, uske sath cheed-chaad karne wala, har musibat mein uska sath dene wala ab iss dunia ko chhod kar ja chuka hai.. Priyal se saha nahi ja raha tha.. usne apni beti ko pakad ke apne sine se laga liya aur apni aane wali jindgi ke bare mein soch kar rone lagi.. iss anjaan dunia mein uska aur koi hai bhi nahi.. vo kaha jayegi, uski beti ko kuch log pana chahte hai kaise vo apni beti ko unse bacha payegi, kya vo akeli unse ladh payegi ya yeh jindgi bas kuch bas ki hone wali hai...)
《1755 -words》