- 38,787
- 55,166
- 304
Update 32
Sanjana komal aur aniket vrindavan ja rahe the itne me aniket ke phone par yash ka call aaya
Yash- anya kidhar hai tu
Aniket- on the way to vrindavan
Aniket ki baat sunkar yash chauka
Yash- kya ?? vrindavan ?
Aniket- sorry bhai wo gadbad me tere ko batane ka reh gaya
Uske baad gali gali sim sim, in search of love god aur vrindavan ka kya logic hai wo aniket ne yash ko samjhaya aur uski bata sunkar yash chidh gaya
Yash- arey neech halkat aadmi, mereko batata to mai bhi sath me aata na avi ko dhundhne ko
Yash ki baat sunkar aniket ne apne sar par hath maar liya aur bola
Aniket- chya may bhin avya ko dhundhna yani family tour ho gaya hai, ab kya tempo traveller nikalu kya

Yash- traveller kyu be, apan dono jate na
Aniket- ha aur ye jo do chudaile mere sath hai unka kya ?
Aniket ne jaise hi chudail bola idhar komal ne usko chimti katio aur piche se sanjana ne ek tapli maar di aur aniket bas oye oye karta raha aur udhar yash ko kuch samajh nahi aa raha tha ke ho kya raha hai
Yash- abe chilla kyu raha hai, aur ye do chudaile kon hai ?
Aniket- ek to meri kammo rani hai aur dusri avi ki heroine sanjana, ye log bhi hai sath me, ab tere ko batata to tu bhi aata aur tu hai railway ka dabba to tere sath tera engine priya bhi to aati isiliye tempo traveller bola, sala usko dhundhne ja rahe hai uski barat leke nahi ja rahe hai, us hamari ko milne de bas nai gadhe par bitha ke gaon me ghumaya to boliyo
Ab bato me aniket se koi nahi jeet sakta tha, usne mast baato baato me chudail shabd par de dhyan hata diya tha, kammo rani bolne se komal khush aur avi ki heroine bolne se sanjana aur call par yash udhar se bol raha tha
Yash- tu aur wo avi ek number ke haramkhor ho, aur ek dusre ko barabar pehchante ho, maine wahi batane ko call kiya tha, kal usne naya search kiya hai, usne mathura ka ‘bake bihari dharamshala’ ka address search kiya hai, number uska abhi bhi band hai shayad naya sim liya ho
Aur yash ki baat sunkar aniket khush
Aniket- shabash mere sher, gajab kaam kiya hai tune, abhi jata hu aur us bhadkhau ko gardan se pakad ke lata hu, ek kaam kar meko us dharamshala ka address msg kar
Aniket ne ye good news un dono ko bhi batayi, komal aur sanjana bhi khush ho gayi thi, sanjana ki heart beats badh gayi thi aur komal soch rahi thi ke aaila honeymoon shuru hone se pehle hi khall fir ekdum sanjana boli
Sanjana- matlab wo vrindavan me nahi mathura me hai
Aniket- correct !
Komal- maine to pehle hi kaha tha
Ye teeno subah 10 ke aaspaas mathura ke bake bihari dharamshala me pahuche, counter par ke aadmi ne hath jod kar namaste karte huye unka swagat kiya, aniket ne apne phone me avi ka photo dikhate huye us aadmi se puche
Aniket- aapne isko kahi dekha hai kya ?
Us aadmi ne chashma lagake photo ache se dekha aur na me jawab diya fir waha ek karib 20 saal ka ladka tha usko photo dikhate huye bola
“arey o babua tanik hiya aao aur dekho to sahi ye babu sahab ka puchat rahe “
Wo ladka jaldi se waha aaya aur aniket ke hath se mobile lekar usne photo ache se zoom karke dekha aur fir haste huye us aadmi se bola
“tum budhiya gaye ho kaka, ye wo 202 number kamre wale babu hai, u is photo me dadhi nahi rahi tabhi pehchane nahi “
Aniket ne jaldi se pucha
Aniket- ye 202 number kamra kidhar hai
“ par jake kariyega kya, wo sahab to kamre me hai hi nahi, wo subah hi keshavdev mandir gaye rahe, humko u pata puche the”
Us ladke ki baat sunkar wo teeno waha se jane lage tabhi us counter wale aadmi ne unko awaj di
“arey tanik suno babu, aap aniket ho ka ?”
Us aadmi ki baat sun wo teeno ruk gaye aur aniket bola
Aniket- aapko kaise pata ?
“o kisi yash babu ka phone aaya tha unhone bhi yahi pucha tha aur aapke liye do kamra bhi book kiye hai, avinash babu to iha hi wapis aavenge to tanik naha dho lo to jana, aise bagair nahaye mandir jaoge ka?”
Un aadmi hi baat un teeno ko jam gayi aur man hi man yash ko thank you bolke wo apne apne rooms me gaye aur bahdiya naha ke tayar hoke bahar aaye aur sidha pahuche keshavdev mandir
Mathura ka vatavaran hi aisa tha ke teeno ke man ko shanti ki anubhuti ho rahi thi…
Aap chronology samajhiye yaha, jis krishna ne duniya ko pyaar karna sikhaya usi janm stan par sanjana apne pyaar ki talash karte huye pahuchi thi.. aur komal ne bachpan se jiski puja ki thi wo bhi uske janm sthan par khadi thi… har kisi ka drishtikon yaha alag tha.. us jagah par sanjana ko uska pyaar milega aisi feeling sanjana ko mehsus ho rahi tih aur komal kobhagwan krishna ki murti me aniket ka swaroop dikh raha tha…
Teeno ne mandir me pravesh kiya, komal aur aniket is tripko pura enjoy kar rahe the, har chiz ko jagah ko apni najro me bhar rahe the par sanjana har taraf bas avi ko dhundh rahi thi.. avi ko dhundh te huye aaju baju ki jagah dekhte huye wo teeno krish janmbhumike paas pahuche waha darshan karke bahar nikle, aniket ne komal ka hath pakda hua tha, un dono ko dekh ke sanjana ko avi ki yaad aane lagi, kitna acha hota agar is waqt avi bhi unke sath hota to, pyaar ki ek alag hi anubhuti is waqt sanjana mehsus kar rahi thi, ek pal ko to sanjana ko aniket aur komal ko dekh ke aisa laga mano wo dono hi radha krishna ho, wo bas unki taraf dekh rahi thi aur avi ko yaad karke uski aankho se aansu behne lage.. tab komal ne uski taraf dekha aur bagair kuch bole sanjana ke man ke bhav komal ne padh liye aur dono hatho se sanjana ke galo ko thapthapaya to sanjana ekdum uske gale lag gayi….