Naina
Nain11ster creation... a monter in me
- 31,619
- 92,311
- 304
So pyar ko hi khel bana diya kambakht ne ..... ye pehli baar hua hai jab hero heroine ke sath pyar ka khel khele aur heroine ko bhi isme ab maza aayeUpdate 33
Sanjana aniket aur komal waha se bahar nikle to bahar nikalte hi sanjana ekdum se boli
Sanjana- aniket hum avi ko yaha dhundh rahe hai par itne samay me agar wo dharamshala me chala gaya hoga to ?
Tab aniket use samjhate huye bola
Aniket- arey maine wo receptionist ko bol rakha hai ke agar avi hamare piche se waha pahuche to wo hame call karke bata de..
Uske baad wo teeno dwarkadhish mandir aur ghat par bhi avi ko dhundh aaye par avi unko kahi nahi mila, par in sab ghatnakram me komal ekdum shant thi, aniket aur sanjana ko laga ke wo yaha ke vatavaran ko ache se mehsus kar rahi hai aur bas usi me khoyi huyi hai isiliye unhone bhi use nahi chheda
Sab taraf bhatak kar wo log sham ko dharamshala me pahuche aur aate hi unhone avi ke bare me pucha, par avi abhi tak lauta nahi tha, kal raat bhar ka safar aur din bhar ki bhagdaud me wo kafi thak gaye the, teeno ne socha ke ab avi ki raah yahi dekhenge
Unhone receptionist ko kaha ke jaise hi avi aaye unhe khabar kar de aur aniket aur komal apne room me aur sanjana apne room me chale gaye, komal ab bhi chup thi, aniket ne use apni bahe uske gale me dali aur pucha
Aniket- kya hua sweetheart itni chup chup kyu ho
Komal- ani ye sab jo bhi chal raha hai wo theek nahi hai
Aniket- kya theek nahi hai
Komal- mujhe lagta hai hame sanjana ko sab sach sach bata dena chahiye
Aniket- arey par avi ne kuch soch kar hi ye sab khel racha hai hai na
Ab komal chidh gayi
Komal- khadde me gaya tumhara khel, yaha us ladki ki jaan ja rahi hai aur tumko khel sujh raha hai.. tumhe nahi lagta ab ye sab kuch jyada ho raha hai
Aniket kuch soch raha tha, dono bed par aakar baith gaye aur komal ne aage kaha
Komal- tum logo ke khel me sanjana ki kya halat ho rahi hai tumhe najar nahi aa raha kya ?
Aniket- uske liye wo khud jimmedaar hai komal, bhul gayi kya usne avi ke sath kaisa suluk kiya tha
Komal- nahi ani mai kuch nahi bhuli hu par us baat ki itni bhi saja nahi deni hai use, aur galti kya uski akeli ki thi ? avi kahi galat nahi tha ?
Aniket kuch soch ke bola
Aniket- is sab ke piche avi ka koi na koi uddeshya hai ? uske bare me socha hai ?
Komal- ha, itni der sewahi soch rahi thi ke avi ka is sab ke piche kyahetu hai, yahi na ke sanjana ko apni galti ka ehsas ho, use pyaar ke sahi mayne samjhe
Aniket- barabar
Komal- tumhe aaj tak samajh aaya hai pyaar ka asal matlab ? ya avi ko samajha hai, agar samjha hota to wo jisse pyaar karta hai use itna nahi satata
Aniket- arey par komal ye sab bas ek game hai ye kyu bhul rahi ho tum
Komal- ha mai janti hu ke ye ek game hai par sanjana ko nahi pata na ke ye ek game hai, wo to use paglo ki tarah dhundh rahi hai, hum game khel rahe hai par isiliye hame jyada tension nahi hai, hum avi ko dhundhne ke sth sath is jagah ka maja bhi le rahe hai par sanjana ka kya ? is jagah aakar bhi uska kisi chiz me dhyan nahi hai, hum anay kar rahe hai uske sath aur jab galti dono ki hai to saja sirf sanjana ko kyu ? avi ko bhi saja milni chahiye
Aniket- ye bhi theekhai par waise dekha jaye to ye avi ke liye bhi ek tarah se saja hi hai
Komal- aur wo kaise ?
Aniket- mujhe ek baat batao, umko kab laga ke sanjana ko apni galti sanajh aa gayi hai aur pyaar ka ehsas bhi hua hai ?
Komal- wo jab hamare ghar aayi thi aur tumhare use itna kuch sunane ke baad bhi jab wo waha se nahi hili aur apne gharwalo kosab bata ke hamare sath avi kodhundhne aayi hai isse saf samajh aata hai ke usko apnigalti ka ehsas hai aur raha sawal pyaar ka to pyaar hai isiliye to use apni galti samajh aayi hai, aur aaj jis tarah se wo mere gale lagi thi na mai tab hi samajh gayi thi ke avi ke sath na hone se wo us pal ko ache se mehsus nahi kar payi hai, avi ki kami use har pal mehsus ho rahi thi
Aniket- barabar to mathura me avi ka uske sath na hona hi uski saja hai na ?
Komal- ha
Aniket- to mujhe batao ke avi ko bhi sanjana kikami khal hi rahi hogi, jaise avi ka sath na hoga sanjana ke liye saja saman hai waise hi sanjana ka avi ke sath na hona ye avi ke liye bhi to saja hi hai
Komal ko aniket ki baat sahi lag rahi thi par sanjana ke bate me bura feel ho raha tha aur fir wo kuch soch kar boli
Komal- ani, ye ek game hai aisa sanjana ko pata chala to isme bura kya hai ? waise bhiavi ka uddeshya to pura ho gaya hai
Aniket- agar uska hetu pura ho jata to wo ab tak samne aa jata kammo par wo nahi aaya matlab uske imag me aur bhi kuch hai par itna confirm hai ke sab uska hetu pura ho jayega wo khud samne aa jayega, par tumhari baat bhi sahi hai, hame sanjana ko sab bata dena chahiye
Komal- to fir chalo abhi use sab bata dete hai..
Fir dono apne room se nikle aur sanjana ke room me gaye, komal ne sanjana ko sari baat batayi, aur sab sanjana ko pata chala ke ye sab bas ek game hai uski khushi ka koi thikana nahi raha usne khushi se komal ko gale laga liya, komal bhi relax feel kar rahi thi kyuki use darr tha ke kahi sanjana in sab bato ka galat matlab na le le aur ho sakta tha ke wo gusse me waha se chali hi jaye aur sare khel ka satyanas ho jana ha par ab sanjana avi ke pyara me puri taraf dub chuki thi aur usne avi ko uske gun dosh sahit swikar kar liya tha, sara tension khatam ho gaya tha aur ab real game shuru hua tha, aniket ne sanjana ko bhi bata diya tha ke avi kahi nahi jane wala uska hetu pura hone par wo khud samne aa jayega
Aniket- ab tension mat lo sanjana aur ye sab jo ho raha hai uske bare me ek baar ache se socho, avi ne hame yaha aane par majbur kiya hai yaki iske piche koi na koi reason jarur hoga
Sanjana muskurayi aur boli
Sanjana- wo to mai safar ki shuruwat me hi samajh gayi thi
Aniket aur komal ko kuch samajh nahi aaya par sanjana ko avi ne aniket, komal aur mathura ke madhyam se bahut kuch samjha diya tha aur ab sanjana bhi tension bhul kar khel me shamil ho gayi thi
Sharir ki thakan insan sehan kar sakta hai par man hi thakan nahi, aur man par ka boj utarne ke baad insan pura relax ho jata hai aisa hi kuch in teeno ke sath hua, raat me teeno ne badhiya dinner kiya, avi bhi bhi aaya nahi tha, wo wapis apne apne rooms me gaye aur unhe kab neend aayi pata bhi nahi chala
Agli subah aniket neend se jata aur hadbada ke utha aur sidha room number 202 ki taraf bhaga, room ko lock tha, to wo sidha counter ke paas aaya par counter par koi dusra hi aadmi tha, usne avi ke bare me pucha to pata chala ke avi raat me deri se aaya aur subah jaldi hi kahi chala gaya
Aniket ne apne sar par hath maar liya aur pucha
Aniket- usne checkout kiya kya ?
Ispar us insan ne na me jawab diya,
Aniket ne wapis room me aakar komal ko jagaya, komal bhi hadbada kar uthi aur sabse pehla sawal kiya
Komal- avi mila ??
Aniket- kya ghanta mila wo, hum log yaha ghode bech ke so rahe the aur wo raat me aaya aur subah nikal bhi gaya
Komal- kya ? gaya ?? kaha gaya ???
Aniket- kya pata aaj kaha mara hai
Komal- to ab kya karna hai ?
Aniket- chinta ki baat nahi hai usne checkout nahi kiya hai, matlab aaspaas hi kahi gaya hai wo
Komal- thank god
Fir achanak komal khush hote huye boli
Komal- waise acha hua nahi to hamara honeymoon ek hi din me khatam ho jata
Aniket- acha ji to aapko bada honeymoon chahiye
Itna bol ke aniket apna chehra komal ke paas laya… aur……….
Kuch samay baad sanjana ne unka darwaja khatkhataya, aur aniket ne darwaja khola, sanjana jaldi jaldi bata rahi thi ki avi raat me aaya aur subah jaldi hi kahi nikal gaya aniket ne bhi aise jataya aise use kuch pata hi na ho
Aniket- acha….hmm…. arey baar re to ab kya kare sanjana
Sanjana- achi bata ye hai ke usne checkout nahi kiya hai abhi
Aniket- theek hai tum ready ho jao fir dekhte hai aage kya karna hai…

Pyar ko mazak banake ya mere revos ki bhasha mein aisi ki taisi karke rakh di hai dono ne hi.... aur isme saamil huye aniket aur komal bhi....
wah kya pyar ka game khela hai.... in logo ke is adbhut karname to taaliyaan bajti rehni chahiye ...

Khair...
Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills

