Waah Bhai kya romantic love story likhte ho fan ho Gaya apka.aap or nainu bhai dono Dil se likhte ho or comdey bi dalte ho bohot badiyaUpdate 26
Sab khatam ho gaya tha sanjana ka pyaar bhi aur dosti bhi. Aur yahi sab sochte sochte ab avnash ka dimag fata ja raha tha..
Uske dimag me khayal rukne ka naam hi nahi le rahe the, wo bas soche ja raha tha, kya sala naseeb hai, chhota tha tab pitaji chhod kar chale gaye.. aniket ka sath tha isiliye padhai puri ho pay, pyaar bhi aisi ladki se hua ke ant me dosti aur pyaar me kisi ek ko chunna pada aur ab jab dobara koi dil me basne laga tha to kismat se wo bhi bardasht nahi hua aur ab to mano sab khatam hi hai.. bhagwan ne bhi jindagi se sath ajeeb khel chalaya hua hai kyu mujhe sukh se jine nahi deta.. bas ab bahut ho gaya, pareshan ho gaya hu aisi jindagi se.. kya matlab hai aise jine me aur kya meko dharti par isiliye bheja hai kya aur agar aisa hai to bhagwan dhikkar karta hu mai tumhara aur is jindagi ka..
Din par din raat dar raat beet rahe the aur avi aisa hi ek jagah baitha hua tha.. shubham nebhi use bahut samjhane ki koshish ki ab avi ne muh se ek shabd bhi nahi nikalta tha wo baat karta tha to bas aniket se wo bhi phone par, ekdum normal hokar aur fir baad me wapis maun..
Dekhte dekhte ek hafta beet gaya, ab sanjana ko bhi ab avi ki gairmaujudgi ka ehsas ho raha tha par kya kise pata wo najane ye kaisi jidd pakad kar baithi thi aur fir ek din avi kuch soch kar utha aur sidha college me pahucha..
Wo sanjana ko dhundh raha tha har jagah dekh liya par wo use kahi nahi mili.. wo dhundhne ke sath sath use call bhi lagane ja raha tha par wo phone hi nahi utha rahi thi aur jab thak ke wo wapis hostel jane ke liye nikla to itne me parking me use sanjana dikhai di, avi daud kar sanjana ke paas pahucha, sanjana ka gussa ab bhi kam nahi hua tha..
Avi- sanjana ruko mujhe tumse kuch baat karni hai..
Par sanjana apni hi aka me thi
Sanjana- to ek hafta mujhse baat karne hi himmat juta rahe the kya ?
Avi- tu mere se aise baat kyu kar rahi hai ?
Sanjana- to tum ab kya chahte ho mai tumhare piche katora lekar ghumu, mujhe pyaar karo kehte huye
Avi- a-sa mat bolo sanjana mai bhi tumse pyaar karta hu, apna gussa chhod do mai mafi mangne aaya hu tumse, maine bahut sataya hai tumhe
Avi ko laga tha uske muh se pyaar ka ijhar sun ke sanjana ka gussa dur ho jayega par aisa nahi hua, is pichle ek hafte me sanjana ka gussa uske ego me badal gaya tha
Sanjana- tumhe kya lagta hai tum aise aakar ek baar bol doge ki tum mujhse pyaar karte ho to mai tumhari baho me aa jaungi, aisa sochte ho to pagal ho tum, mujhe jo chiz chahiye hoti hai mai use kisi bhi haal me hasl karti hu par agar wo chiz mujhe samay par na mile to dobara uski taraf dekhti bhi nahi, maine tumse ek baar nahi hajar baar kaha tab meri feelings nahi dikhi tumhe, tumne bahut tadpaya hai ab meri bari hai..
Avi- theek hai, mai maanta hu galti meri thi aur ek baar nahi dus baar sorry bolta hu aur hajar baar love you..
Sanjana- ab utar gayi saari masti par jaruri nahi ke isse mera vichar badle.. cholo theek hai tumhari mafi kabul hai par meri ek shart hai.. aainda jindagi me wo jo koi bhi tumhari heroine hogi uska jo bhi naam hoga uska jikra tum mere saamne kabhi nahi karoge..
Avi kuch bhi sun sakta tha par komal ke bare me aise shabdo ka upyog use sehan nahi hone wala tha ab tak apni premika ko manane wale premi avi ab wapis se wo purana aashiq ban gaya tha aur wo khawal gaya
Avi- bas ho gaya sanjana. Bahut bol liya, meri galti thi mai maanta hu aur mai uske liye mafi bhi mang raha hu, mai tumse pyaar karta hu ye bhi kabul hai pat khabardar ye aisi behudi bhasha mujhe bilkul bardasht nahi hai..
Sanjana bhi khawal gayi kyuki kahi na kahi uske man me avi ki pehli premika ko leke irshya ke bhav the..
Sanjana- suno hero, agar itna hi bura lag raha hai to jake uske pallu me chip mere samne hath jode kyu khada hai
Avi- tere jaisi badtamiz urmat ladki se jyada mai uske paas jana jyada pasand karunga tu uske nakhun ki bhi barabari nahi kar sakti samjhi na aur aaj to mai ja raha hu par ye mat samajhna ke sab khatam ho gaya hai, nai tujhe mere pyaar ka eksas dilaya to mera bhi naam Avinash nahi, bhale uske liye mujhe meri jaan kyu na deni pade…
Itna bool ke avi waha se jhatke se nikal gaya, sanjana bhi gusse se fanfana rahi thi, eklauti pyaar me pali badhi ladki usse aajtak kisine aise baat nahi ki thi..
Usdin ho Avi gaya to hamesha ke liye..
Usdin ke baad avi kisi ko nahi dikha.. shuruwat ne avi gaon ko gaya hoga aisa shubham ko laga, usne bhi ek hafte tak call nahi kiya par baad me jab call lagaya to uska phone band aa raha tha, ab shubham ko lagne laga tha ke kuch to gadbad hai, ek hafte tak avi room ke bahar nahi nikla aur fir achanak gayab.. use ab chinta hone lagi thi, usne kayi logo se avi ke bare me pucha par kisi ko avi ke bare me kuch nahi pata tha aur akhir me use yaad aaya ke police ke matter ke time avi ne use ek card diya tha, shubham se akkha room chan mara aur wo card milte hi usne us number par call lagaya
Wo number narayanrao rane ka tha, shubham ne call karke avi ke bare me pucha par narayanrao ko ne bataya ki wo gaon nahi aaya tha par unhe chinta na ho isiliye shubham ne koi or bahana bana ke call cut kiya.. uskko pehle ye confirm karna tha ke majra kya hai.. aur sanjana ka naam uske dimag me aaya swabhavik tha, shayad sanjana ko pata ho ke avi kaha gaya hai kyuki pichli baar bhiwo aniket ke sath do din ke liye gayab hua tha..
Shubham sanjana ke paas pahucha aur usne sidha pucha
Shubham- Avi kaha hai ?
Sanjana use taalte huye boli
Sanjana- tera roommate hai tujhe pata hoga mujhse kyu puch raha hai ?
Shubham- sanjana, wo pehle ek hafta room se nahi nikla aur ab wo gayab hai, uska phone nahi lag raha hai, college me koi nahi jaanta wo kaha gaya hai yaha tak ke wo apne gaon me bhi nahi hai, tum dono ke beech kuch hua hai kya ?
Sanjana baat chipate huye boli
Sanjana- nahi, kuch nahi hua hai
Shubham- to wo aise achanak gayab kaise hua, mujhe lagta hai ab uske ghar walo ko bata dena chahiye taki wo use dhundh sake aur police complaint kar sake
Itna bol ke shubham waha se nikal gaya
Aur ab sanjana ko tension aane laga tha, ek secon me sara ego gayab ho gaya tha aur ab gusse ki jaga darr ne le li thi, sanjana darr ke mare kamp rahi thi, ab jab use hi aake is bare me puchte to wo kya jawab degi,wo soch rahi thi, aniket ko phone kiya jaye aisa use laga par agar aniket ne usse hi sawal kar liye to wo kya jawab degi.. wo to aniket komal tak pahuch chuki thi aur un dono ko to sab pata tha ab kya kare ? kaha gaya hoga avi ?
Man me alag alag khayal aa rahe the aur achanak use avi ka bole akhri shabd yaad aa gaye
“nai tujhe mere pyaar ka eksas dilaya to mera bhi naam Avinash nahi, bhale uske liye mujhe meri jaan kyu na deni pade…”
Aur ye yaad aate hi mano uspar bijli giri ho aur apne aap uski aankho se aansu behne lage, ye kya ho gaya tha, ye maine kya kar diya, apne hu gusse ke chalte apne hi jivan me aag laga di.. wo to aaya tha.. maafi mang raha tha, apna pyaar bata raha tha par pata nahi mujhe kya ho gaya tha ? aisi kounti sanak mere dimag par chadi huyi thiwo mai use itna kuch suna gayi.. aisa kaunsa badla usse lena chahti thi wo maine use itna kuch bola
Sanjana ne dimag me ab bure bure khayal aa rahe the aur unhe rokna namumkin tha.. sanjana ke khayal uska darr aur badha rahe the, use avi ki chinta ho rahi thi par asal pariksha to tab hone wali thi jab aniket aayega aur aniket ke sawalo ka jawab dena uske liye mushkil hone wala tha
Sanjana abi bas avi ke sahi salamayt hone ki dua kar rahi thi…..
Shukriya bhaiWaah Bhai kya romantic love story likhte ho fan ho Gaya apka.aap or nainu bhai dono Dil se likhte ho or comdey bi dalte ho bohot badiya
Bhai itne likes ke liye complete mat kar dena.dar lagta hai jaggu bhai ne bohot gali nikali thi jab unki complete story phadne gaya thaShukriya bhai
Kaha se late ho vichar bohot alagh be itne badiya jo comedy bi dalte ho itni bhadiyaUpdate 27
Sanjana ko ab avi ki chinta hone lagi thi aur wo bhagwan se bas yahi dua kar rahi thi ke avi sahi salamat ho
Idhar dusri taraf Narayanrao ke paas jaise hi shubham ka phone gaya to unhone is bare me aniket se pucha. Generally avi hafte me ek hi baar call karta tha aur wo bhi aniket ke number par aur aniket avi ki uski maa se baat karwa deta tha par is sunday ko avi ka koi call nahi aaya tha aur kaam ki gadbad me aniket ne bhi is or dhyan nahi diya tha aur ab jab Narayanrao me is bare me aniket se pucha to usne avi ko call laga liya to iska number band bata raha tha, shayad class me hoga isiliye number band hoga soch me aniket ne usko message kiya aur dobara apne kaam me lag gaya aur for jab 1 ghante baad aniket ne use dobara call lagaya to number ab bhi band dikha raha tha aur ab aniket ko kuch gadbad lagne lagi.. wo ek baar avi ke ghar bhi ja aaya par waha bas avi ko maa thi aur koi nahi tha aur wo maa ko tension nahi dena chahta tha isiliye aniket ne is bare me waha kuch baat nahi ki aur chala aaya
Wapis aake aniket ne Narayanrao ke phone se shubham ka number liya aur use call kiya par shubham ne bhi phone nahi uthaya, ab aniket bechain hone laga tha usne avi ke janne walo ko bhi call karke dekha par Kisi ko uske bare kuch bhi pata nahi tha, aniket ne ghar aake sara mamla komal ko bataya to ab wo bhi chinta me thi
Itne me aniket ko shubham ka call aaya aur usne sari baat aniket ko batayi, shubham ne jo jo use pata tha sab bata diya tha aur aniket jaise jaise shubham ki baat sun raha tha uske chehre ke expressions badal rahe the uska chehra gusse se bhar raha tha, komal ne aniket ko itne gusse me nahi dekha tha aur wo ab aur bhi jyada tension me thi air aniket ne phone rakhte huye bas itna hi kaha
Aniket- mai aa raha hu waha.
Komal ne bhi jaldi se pucha
Komal- kya hua ?
Aniket- Avi ek hafte se gayab hai
Komal- kya ? Ek hafte se ? Kaha gyaa ? Aur kyu ??
Aniket- kisi ko kuch nahi oata is bare me
Komal- sanjana ko to pata hoga
Aniket- Avi ka dost gaya tha sanjana ke baat karne par usne baat taalne wale jawab diye sare, mai dekhta hu jake kya scene hai pura..
Komal- mai bhi chalti hi sath me sanjana se mai karti hu baat tum shant rehna bas..
Aniket ko bhi Komal ki baat sahi lagi aur dono jaldi se nikal gaye avi ke college ke liye..
Udhar sanjana ki halat kharab ho rahi thi use ache se pata tha ke ab aniket aayega aur aate hi sabse pehle usse hi sawal puchega aur agar sanjana aniket ko college me nahi mili to wo use dhundhte huye uske ghar bhi pahuch sakta hai aur fir mamla aur bigadne ke chances hai isiliye sanjana college me hi ruki huyi thi
Sanjana aniket se darr rahi thi, jo kuch bhi hua wo agar aniket ko pata chala to sanjana ki khair nahi thi kyuki avi kyu gayab hai kya hua hai ye sirf sanjana ko pata tha aur us waqt parking me sanjana ke alawa aur koi bhi nahi tha isiliye sanjana ne man hi man decide kar liya tha ke wo kisi ko kuch nahi batayegi
Idhar aniket aur komal sanjana ko dhundhte huye canteen me aa pahuche aur sanjana ne jaise hi aniket ka gusse wala chehra dekha to wo aur jyada ghabra gayi, wo jis hasmukh aniket ko jannti thi jisse wo mili thi ye wo bilkul nahi tha.. sakht chehra, aur laal aankhe saaf bata rahi thi ke is waqt aniket ke ander jwalamukhi dhadak raha tha aur jab usne sath me komal ko dekha tab use thoda acha laga aur wo dono aake uske samne baithe.. aniket sanjana ko kha jane wali najro se dekh raha tha wo kuch bolta isse pehle hi komal ne uske hath par hath rakh kar use shant rehne ka ishara kiya
Aur komal ne direct sawal kiya
Komal- avi kaha hai ?
Sanjana ghabrate huye boli
Sanjana- mujhe bhi nahi pata, mai bhi dhunh rahi hu
Komal- yaha canteen me baith ke ?
Is sawal ka sanjana ke paas koi jawab nahi tha, komal ne aage kaha
Komal- tum pyaar karti ho na usse to tumhe to bataya hoga usne ki wo kaha ja raha hai..
Sanjana- pyaar mai karti hu wo mujhse nahi karta.. wo kabhi mere kisi sawal ka sidha jawab nahideta hai..
Komal- aakhri mulakat kab huyi ?
Sanjana- ek hafte pehle..
Komal- kuch kaha tha kya usne wo kaha ja raha hai wagaire..
Sanjana- kuch nahi..
Komal- tum logo ke beech koi jhagda wagare hua tha kya
Sanjana kuch pal ruki fir thodi himmat jama karke boli
Sanjana- nahi aisa kuch nahi hua
Komal- uska kisi se jhagda hua tha kya ?
Is point tak aniket aur komal dono ke dhyan me aa gaya tha ke sanjana jhuth bol rahi hai komal use samjhate huye boli
Komal- look sanjana, avi ek hafte se gayab hai, tumhe samajh aa rahi hai ye baat ? hum yaha tumhe koi saja dene nahi aaye hai, ab is waqt avi kaha hai is baat ka pata lagana jyada jaruri hai kya hua hai bataogi ?
Sanjana- mai sach keh rahi hu komal kuch nahi hua hai mai nahi janti avi kaha gya kyu gaya..
Ab aniket ke sabra ka band tut gayatha aur wo apne dono hath table par patakte huye jor se garja
Aniket- jhuth..! jhuth bol rahi hai tu, tere ko hum log pagal lagte hai kya jo tu jo bhi bolegi hum chup chap maan lenge
Sanjanja rone lagi thi aur komal uske paas jakar ab use chup kara rahi thi, sanjana rote rote boli
Sanjana- muje sach me nahi pata kuch
Aniket- tumko nahi pata to kisko pata hai fir ? tum kya bol rahi ho sanajh aa raha hai tumko ? tum ek hi college me ho tu pyaar karti hai usse to ye aisa kaisa tumhara pyaar ? ek hafte se wo gayab hai aur tumne ek baar bhi pata karne ki koshish nahi ki ye bhi janna nahi chaha ke wo kaha hai ? kya hua hai chup chap sach sach batao warna abhi tumhare baap ke paas jake mai sara matter clear karta hu aur mai avi nahi hu jo tumhari galtiyo par parda dalunga eti se ant tak sab bataunga aur ye bhi bataunga ke avi akhri baar tumse hi mila tha aur ye uske dost ne dekha tha..
Aniket ne andhere me teer chala diya tha aur wo barabar nishane par laga tha… ek to baap ka naam upar se use aur avi ko kisi ne sath me dekha tha ye sunte hi sanjana ki hawa tight ho gayi aur ab agar usne nahi bataya o sara mamla uske ghar tak ja sakta hai ye sochte hi wo aur jyada darr gayi
Ab sach batane ke alawa upay nahi tha ye sanjana ke samajh me aa gaya tha.. fir usne rote rote saari baate un dono ko batayi par jitni ho sake utni apni galti kam batake aur avi ki boli huyi aakhri line usne jaanbujh ke nahi batayi
Par aniket ko ab bhi pura yakin nahi ho rah tha
Aniket- tum jitne hafto se avi ko jaanti ho na utne saalo se pehchanta hu mai usko. Mai tumhe warn kar raha hu sanjana isme agar koi baat jhuth huyi ja aur avi ke gayab hone me tumhara hath hua to kasam hai meko mere dost ki mai tumhe sukh se jine nahi dunga ye dhyan me rakhna
Sanjana komalke gale lag ke rone lagi aur aniket aur bhi jyada bhadka
Aniket- ye band karo apne natak.. aur nikalo meri aankho ke samne se mujhe tumhari shakal bhi nahi dekhni hai, uth aur nikal..
Sanjana jaldi se uth kar waha se nikal gayi aur aniket dono hatho se apna sar pakad ke baitha.. uski aankho se bhi ab aansu aane lage the aur komal use samjhate huye boli
Komal- ani.. ye rone ka samay nahi hai.. hum police me complaint karke aate hai..
Aniket ne apni aansu poche aur bola
Aniket- police ki jarurat nahi hai uska dost jinda hai.. mereko avi pe pura vishwas hai ki wo kuch galat kadam nahi uthayega aur wo duniya ke kisi bhi kone me ho mai dhundh nikalunga se, dekhta hu kaha tak bhagta hai..
Komal- tmhari saari baat theek hai aur avi jaise tumhara dost hai mera bhi hai mai bhi use dhundhne me tumhari madad karungi par ek precaution ke taur par police complaint dene me kya harj hai.. hum ek kaam karte hai paas ke police station me uski missing complaint likha dete hai aur ghar chal kar shant dimag se sochte hai use kaise aur kaha dhundhna hai.. avi agar apna dimag laga raha hai to use dhundhne ke liye hame bhi uski tarah sochna hoga.. police apna kaam karenge aur hum apna par use dhundhenge jarur..
Aniket ko bhi komal ki baat sahi lagi aur wo dono uthe aur police complaint karke ghar aa gaye aur sochne lage ke akhir avi gaya kaha hoga ?..
Bhai jayada ho gayi hai.sorrryyyyyKaha se late vichar bohot be comment karna nahi tha,tu chutiya kaha a
Adhi bhai mai film maker hota to bhai tu or nanu no. Pe hoteUpdate 28
Sanjana ko jab aniket ne canteen se jane ko kaha to sanjana jo waha se bhagi to sidha apne ghar jakar ruki aur sidha apne room me jake rote huye baith gayi
Kuch samay baad sanjana ko apni pith par kisi ka hath mehsus hua, usne palat kar dekha to waha uski maa uske bagal me baithi thi
Shakuntala- kya hua hai sanju ?
Sanjana apni aankhe pochte huye boli
Sanjana- nahi kuch nahi maa wo bas aise hi.
Shakuntala- kya hua hai bataogi ab ?
Sanjana- nahi kuch nahi hua hai maa
Shakuntala- dekha sanjana- har ladki ki pehli dost uski maa hi hoti hai aur abhi tum jis umra me ho na to mai tumhari maa kam dost jyada hu, mujhe nahi bataogi kya hua hai ? beech me tum ekdum khush thi bilkul kisi titli ki tarah ghar me ghumti thi par pichle do hafto se mai dekh rahi hu ke tum udas ho, kisi se theek se baat nahi karti ho, apne call receive nahi karti ho, kya hua hai..
Maa ke mamta bhare shabd sun kar sanjana aur bhi rone lagi aur maa ko jo samajhna tha wo samajh chuki thi
Shakuntala- mujhe pata hai ye jarur dil ka mamla hoga, kya hua hai sanju..
Ab sanjana ka sanyam tut gaya tha aur wo apni maa se bilakh kar aur bhi jor se rone lagi
Sanjana- mujhe kuch samajh nahi aa raha hai, mai kya kar rahi hu kyu kar rahi hu, kuch kuch samajh nahi aa raha
Shakuntala- tum shant ho jao pehle aur mujhe ache se batao ke kya hua hai, mai madad kart hu tumhari
Itna bolke unhone sanjana ko pani diya aur ab sanjana bolne lagi.. maa ko apne sath jaan kar sanjana ka darr thoda kam hua tha isiliye usne bagair koi baat chhipaye sab kuch bata diya.. sanjana ki maa sab sun rahi thi, sanjana ne sab bata diya tha, av ki boli aakhri line bhi
Aur uske baad jo hua wo sanjana ne sapne me bhi nahi socha tha
Saaataaaakkkkkk !!
Maa ne ek sansanik thappad sanjana ke gaal par jad diya tha aur wo gusse me garaj kar boli
Shakuntala- pagal ladki, akkal hai tujhme thodi.. ye tumne kya kiya hai samajh aa raha hai tumko kuch ? ye wahi ladka hai na jiski tumne ragging li thi ?
Sanjana ne apna gaal malte huye ha kaha jise sun kar uski maa aur bhadak gayi aur gusse me room me chakker lagane lagi aur boli
Shakuntala- kis baat ka ghamand hai tumme ? kaunsi baat ka itna attitude hai ? ameeri ka, thoda acha dikhti ho iska ? ratti bhar ki bhi akal nahi hai tumme, kya samajhti kya ho tum apne aap ko ?.. kis baat ka itna ghamand pale baithi ho.. apne aap se pucho ye.. ye sab tumhara nahi hai ye tumhe mila hai.. ye tumhara roop meri den hai.. tumne aise kaunse jhande gade hai apne dun par batana jara.. kartavya shunya.. pehle kam bawal hua tha kya jo dobara us ladke ke piche gayi..
Sanjana jaise taise boli
Sanjana- mai pyaar karti hu usse
Ye sunte hi maa aur bhadak gayi
Shakuntala- muh tod dungi mai.. aayi pyaar karne wali.. isko pyaar bolte hai kya ? kisi bhi faltu chiz ko dimag me bitha kar sab kuch satyanash karne ko pyaar nahi kehte.. aur pyaar me kuch bada chhota nahi hota.. fir bhi usne bataya tha ke wo kisi ko chahta hai fir tumhare paas do options the ya to uska picha chhod do ya fir uske dil me apne liye jagah banao par nahi tumhare liye to pyaar ek compitition hai, usne mujhe sataya ab mai sataungi.. sab pagalpan hai sirf, mujhe ye bilkul pasand nahi aaya sanjana.. us ladke ne tumhari galtiyo par prda dala, tumhari harkato ke bare me tumhe papa ko nahi bataya tumhe rusticate hone se bachaya ye sab kya kam tha ye batane ke liye ke uske man me bhi tumhare liye kuch hai
Maa kuch samay tak kuch sochne lagi aur fir wo shant huyi aur wapis sanjana ke paas baith kar use samjhane lagi
Shakuntala- bacche, pyaar aise nahi hota hai.. ghar kabhi akele insan se nahi banta hai, uske liye kisi apne ka sath chhiye hota hai.. ek agar galti kare to dusre ko use sambhalna hota hai… pyaar me koi bada chhota nahi hota.. apne maan sanmaan se pehle dusre ke bare me sochne ko pyaar kehte hai.. sach kahu to mujhe lagta hai ki ye ladka hi tumhare liye sabse sahi hai.. aaj na kal use bhi ye baat samajh jayegi ki wo bhi tumse pyaar karta hai aur mei mano to dhundho use
Sanjana ko apni maa ki baat jach gayi thi aur ab uski aankhe khul chuki thi.. sara amangal ansuo se saaf ho gaya tha aur aur fir se ek baar pyaar ki roshni dil dimag par chha gayi thi
Sanjana- sach me mujhse bahut badi galti huyi hai par ab mujhe sab samajh aa gaya hai par mai use dhundhu kaise
Shakuntala- tumne kaha tha na ke uska dost aur uski biwi use dhundh rahe hai, bas unhi ke sath dhundho use
Sanjana- par maa wo mujhse bahut jyada naraj hai aur wo meri shakal bhi nahi dekhna chahta
Maa hasi aur boli
Shakuntala- beta tumne unka gussa dekha unki baate suni par us gusse ke piche chipi chinta aur apnapan nahi dekha.. sach hai jaha koi rishta kaam nahi aata waha dost ek saccha dost aapke liye duniya idhar se udhar kar deta hai, maine to bas unlogo ki dosti ke bare me tumse suna hai aur usse lagta hai ke Avinash kismat wala hai jo use aise dost mile hai, aur aise dost milne ke liye avinash bhi to utna hi saaf dil wala hoga isme koi doubt nahi hai..aur jab galti ki hai to mafi mangne se kyu darna.. kyuki mafi mangne ke liye bhi bahut himmat chahiye hoti hai aur kisi se mfi mangne se tum chhoti thode hi ho jaogi, aise log bahut kismat se milte hai sanju bhale hi wo tumse pyaar na kare par aisa dost hona bhi bahut badi baat hai..
Sanjana- par wo karenge mujhe maaf ?
Shakuntala- tumne kiya tha avinash ko itni jaldi maaf ?
Sanajana ke paas iska koi jawab nahi tha
Shakuntala- jyada se jyada kya hoga, wo log tumne do char baate sunayenge, galiya denge jiski tum hakdar ho to sun lena par use dhundhne me bhi wahi log madad karenge, aur avinash ko dhundhna hoga warna ye guilt jindagi bhar tumhara picha nahi chodega
Sanjana- aur papa ?
Shakuntala- uski chinta tum mat karo mai sambhal lungi unhe, bata dungi ke tumhara kya wo koi industrail visit hai…
Sanjana apni maa ke gale lag gayi aur maa uske sar par hath ferte huye boli
Shakuntala- ye agar tumhe mil gaya na sanjana to tumhari jindi itniachio hogi jo tumne kabhi sochi bhi na ho
Sanjana- thank you so much maa
Shakuntala- au ye sab maine tumne maa ban ke nahi ek dost ke nate bataya hai…
Apni maa se baat karke sanjana ke dimag se sara confusion dur ho gaya tha aur ab use pyaar ka matlab samajh aa gaya tha aur ab usne than liya tha ke chahe kuch bhi ho jaye wo avi ko dhundh ke rahegi aur usne man hi man decide kar liya tha ke ab bhale aniket kitni hi galiya de de wo piche hatne wali nahi
Wo apne ghar se nikal kar sidha aniket ke dukan par pahuchi aur waha se ghar ka pata lekar sidha uske ghar par, darr to use lag raha tha par ye darr uske nishchay ke samne ab bahut chhota tha
Wo aniket ke ghar pahuchi to darwaja aniket ne hi khola aur sanjana ko dekhte hi wo bhadak gaya
Aniket- tum fir se aa gayi ? ek baar bola hua samajh nahi aaya kya ? mujhe shakal bhi nahi dekhni tumhari chalo niklo idhar se
Sanjana- mujhse galti huyi hai aniket, mujhe maaf kar do
Aniket- ha karta hu na maaf, jao jakar pehle avi ko dhundh kar lao
Sanjana- par mai akeli kaha dhndhungi use
Aniket- ye uska dil todne ke liye sochna chahiye tha ab chalo nikl;o idhar se mai akela samarth hu mere dost ko dhundhne ke liye
Itna bolke aniket se sanjana ke muh par darwaja band kar diya par ab sanjana bhi jidd par ad chuki thi aur chahe kuch ho jaye wo waha se nahi jane wali nahi thi fir chahe koi use gali de ya maare aur wo waise hi darwaje ke paas khadi rahi….
I was about to say thisBhai itne likes ke liye complete mat kar dena.dar lagta hai jaggu bhai ne bohot gali nikali thi jab unki complete story phadne gaya tha
Arey bhai bhai bhai shukriyaAdhi bhai mai film maker hota to bhai tu or nanu no. Pe hote
Peg ke sath injoy kar raha hu bohot payari kahani