ops! ye kya ho gaya
Hope you enjoyed it.Super update..last moment me kya ho gaya ...5 patniyan kahan se ayenge?
Your queries would be answered soon through updates
ops! ye kya ho gaya
Hope you enjoyed it.Super update..last moment me kya ho gaya ...5 patniyan kahan se ayenge?
Nice updateTrin....trin....trin...
Jaise hi mobile uthakar Vyakti ne Hello kaha tu dusri taraf se ek gabhrai hui si awaj aayi
Ladki: Hello uncle aap kahan ho?
Uss Vyakti ne apani car ko side me roka aur ladki ki ghabrahat ko bhampkar bola
'kya hua beti?'
Ladki : Uncle yanha bank me kuch problem ho gayi hai. Please aap aa jayenge
Vyakti: kaisi baat kar rahi ho. Beta Mai ek important kaam par ja raha tha lekin vo sab baad me. Tum chinta na Karo, Main jaldi hi panhuch raha hun.
Vyakti apani car ko modkar bank ki disha me chal diya.
Bank panhuch kar usne dekha ki us ladki ko kai logon ne gher rakha tha aur vanga par police bhi aayi Hui thi.
Vyakti uss ladki ko dekhkar 'kya hua beti'
Abhi vo ladki koi baat karti usse pehle hi Jo mahila police inspector thi usne bade hi raubdar tarike se uss Vyakti ko pucha 'kaun hai be tu?'
Vyakti ne usko dekha aur dekhkar uss inspector se bola 'Lagta hai police me rahkar tamij se baat karna bhul gayi ho'
Police inspector 'ab tu mujhe tamij sikhayega, aa gaya gaban karne wali ka himayati bankar'
Vyakti ko gussaa tu bahut aaya lekin usne apane aap ko niyantran me rakhkar uss police inspector ko bola 'Dekhiye aap ek mahila hain, isliye main aap ki badtamiji ko najar andaaz kar raha hun, lekin itna hi knhunga ki soch samajh kar boliye kahin aap ko baad me aapke vyahvaar par pachtawa bhi karne ka awasar na mile'
Police inspector 'Tum mujhe dhamki de rahe ho'
Vyakti 'Main abhi aapki kisi bhi baat ka jawab nahi dunga aur kripya karke aage se hatiye aur mujhe manager se milkar mamle ka pata karne dijiye'
Vo Vyakti usse darkinar karte hue Manage se mila aur usse puchha ki aakhir hua kya hai.
Manager : Dekhiye Aaj Rajni ( Ladki) ko regular cashier na aane ki vajah se cash par duty lagai thi. Bank band hone ke baad cash ko jab milaya gaya tu usme 25 lakh ke karib cash Kam hai. Rajni se bahut puccha lekin vo ek hi baat kart rahi ki usne tu sab dhyan se kiya hai. Jab koi chara nahi raha tu police ko bulana pada
Vyakti : aap ek baat bataiye ki jab bhi koi cash transaction hoti hai tu usme Jo bhi note diye jate hain unki quantity likhi jati hai tu kya aap ko usse bhi pata nahi chala.
Manager : Dekhiye hamne jitni koshis karni thi kar li hai aur ab hamne majburi me police bulai hai. Vaise aap Rajni ke kya lagte hain.
Vyakti : Main Ravi Ahuja, Rajni ka uncle (Mausa ji) hun. Mujhe ab ye bataiye ki police case karna jaruri hai?
Manager : Agar abhi 25 lakh jama Kara diye jayen tu police case ki jarurat nahi padegi.
Ravi(Vyakti): Agar baad me pata chala ki ye paise jinka aap jikar kar rahe hain, asal me aisa kuchh hua hi nahin hai tu?
Manager: Tu paise Rajni ko vapis kar diye jayenge
Ravi: Paise tu vapis ho jayenge lekin ek baat bataiye kya ladki ne jo beijjati jheli hai vo vapis mil payegi?
Manager : Main Rajni ko acche se janta hun. Vo ek sincere aur immandar ladki hai. Isliye hamne usse bharpur mauke diye ki vo kisi ko bula le lekin uss bechari ka kisi ne phone bhi nahin uthaya. Ye tu accha hua ki aap aa gaye nahin tu vo inspector usse bahut badtamiji se pesh aa rahi thi aur usse dhamki bhi de rahi thi ki aaj uski khair nahin.
Ravi: Manager sahab ab Mere aane ke baad Rajni ka koi baal bhi baanka nahin kar sakta. Pehle aap ye bataiye ki aap ko paise kaise chaiye?
Manager: Dekhiye aap apane account se transfer kar dijiye nahin tu apane bank ki bank guarantee de dijiye.
Ravi ne apni branch ke Manager se baat ki aur usne iss manager bse baat karke bank guarantee bhej di aur sath hi iss manager ko bol diya ki vo mujhe har sambhav sahayata kare.
Vanga ka kaam nipatane ke baad jab ham manager ke cabin se bahar aaye tu Rajni apna sar neeche karke roye ja rahi thi.
Ravi: Rajni
Rajni Ravi ko dekhkar daudkar gale lag gayi aur fafak kar rone lagi.
Ravi uske sar par hath ferte hue kehne laga : chalo shant ho jao, ab sab theek ho jayega.
Police inspector : kaise theek ho jayega, ab tu police case ban gaya hai aur aaj ki raat tu ye ladki havalat me rahegi aur iski khub jamkar khatirdari hogi.
Rajni ne Ravi ko kas kar pakad liya aur Ravi uski halat ki dekhkar : Madam lagta hai aap ko tamij seekhani padegi
Police inspector : kya bola be tu, Mujhe tamij seekhayega.(havaldar ko boltey hue) Le chalo iss ladki ko
Ravi : (sard awaj me) bas bahut ho gaya.
Fir Ravi ne phone par kisi se baat ki aur phone uss inspector ko pakdate hue 'Madam aap baat kar lijiye'
Police inspector kabhi Ravi ko tu kabhi phone ko dekhti aur jaise hi usne baat ki tu uski halat kharab ho gayi.
Phone par baat karne ke baad uska baat karne ka aur hi badal gaya.
Police inspector : Sorry Sir, Please aap mujhe maaf kar dijiye
Ravi: Madam aap ko pehle bhi kaha tha ki aap aisa kuchh na kariye jisse aap ko pachtawa ho. Vaise ab Main Rajni ko le ja sakta hoon.
Police inspector: ab jab koi case hi nahin hai tu app le ja sakte hai. Ek baar fir se please mujhe maaf kar dijiye.
Ravi: It's ok
Fir Ravi Manager se Vida lekar bahar aaya. Rajni bahut dar gayi thi isliye usne pure raste Ravi ko bahut kasakar pakda hua tha.
Car ke paas panhuch kar Ravi ne Rajni se pucha 'beta tumhara koi saman nahin tha?'
Rajni : ( ghabrahat me) vo andar hi rah gaya hai
Ravi ne usse kaha 'Tum car me baitho, main lekar aata hun'
Rajni ne Ravi ko aur kaskar pakad liya aur kaha 'nahin nahin, mujhe akela chhodkar mat jaiye'
Tab Ravi ne bank manager ko phone karke uska saman bhijwane ke liye kaha to ek peon usse lekar aa gaya
Fir dono car me baithkar chal pade.
Wow superb update riya ji# 53
Ek kamre me Gita apani choti beti ke sath baithkar baat kar rahi thi
Gita: Beti kya socha hai shaadi ke bare me
Indu(Rajni's younger sister): Main aapko pehle bhi keh chuki hun ki mujhe koi shaadi nahin karni hai
Gita: beti aise jindagi kaise chalegi
Indu: jaise chal rahi hai chalegi
Gita: Beti Tumhare aage pura jeevan pada hai
Indu: Shaadi tu Maine ki thi lekin hua kya? Shaadi karne se agar kisi ki jindagi sudharthi tu fir meri jindagi kyoun ujjad gayi.
Gita: Har baat ke peeche koi na koi karan hota hai
Indu: Tab batao ki meri jindagi kyoun ujjad gayi
Gita usse Rajni ki patri ke bare me batana shuru karti hai aur usse batati hai ki 'jo jo bhi uske contact me aaya uski mrituye nischit hai. Tumhari shaadi tu hui lekin tumhari jindagi me vivah sukh tab tak nahin aayega jab tak uska upaye na kar liya jaye. Ham sab ne apane dil par pathar rakhkar Rajni se nata tod liya tha lekin hamari musibate kam hone ki bajaye badhti hi gayi'
Indu: Rajni ki patri se mere pati ki maut ka kya sambhand hai?
Gita: Yaad karo ki tumhara hone wala Pati jab hame ek mall me Mila tha uss waqt Rajni bhi vanhi maujud thi. Hame pata nahin laga aur na hi ham usse ya tumhe bhi yeh patri wali baat bata paye. Vo ek baar fir se Rajni se mila tha jo uski mrituye ka karan bana
Indu: Main Rajni Didi ki jaan le lungi
Gita: (feeki hansi ke sath) Tum uski kya jaan logi, uski jaan bhi ab kucch dinon me nikalne wali hai
Indu: ky...,........aaaaa ...
Gita: Sirf uski hi nahin balki ham sab ki jaan bhi khatre me hai
Indu: Main nahin manti
Gita: mat mano, lekin yeh batao ki tumhare fufa ji jo ek acche khase takatvar insaan the unke sath kya hua. Kucch hi dinon me vo sukh kar kanta ho gaye aur fir kashat bhogte hue iss duniya se chal base. Itna hi nahin unki dukaan me aag lag gayi aur sara maal jal kar swaha ho gaya.
Indu: yeh sab Rajni didi ki patri ki vajah se hai.
Gita: Jo bhi Rajni ke contact me pichale 3 mahine me aaya hai uska haal bura hua hai
Indu: Isliye aapne didi ko meri shaadi me nahin bulaya tha
Gita: kya karte? Sabhi rishtedaro ki jindagiyon ko khatre me dalte?
Indu: Agar aap jo keh rahi hain vo sach hai tu sab ki jindagi abhi bhi khatre me hai
Gita: Bilkul hai lekin Sab ki jindagi bach sakti hai agar ham apani marji se tumhare mausa ji se shaadi kar le tu yeh kasht tal sakta hai
Indu: k ...kkkk...yyy...aa. Unse shaadi karne se musibat kaise tal sakti hai
Tab Gita ne usse vibhhin yogye aur mane hue Panditon dwara jo bhi bataya tha vo sab batati chali gayi. Agar Rajni ke sath sath iss Parivar ki kam se kam char mahilaye unse shaadi kar le tab yeh kashat hamesha ke liye samapat ho jayega.
Indu apani mom ki baat sunkar soch me pad jati hai aur uske liye yeh manna bahut mushkil ho raha tha. Usne socha ki aisa bhi kahin hota hai? Agar kucch hona hoga tu vo hokar hi rahega. Mujhe nahin karni koi shaadi vaadi. Shaadi karne ka matalab ek hi Vyakti se kam se kam 6 mahilayen apane pyaar ko bantengi. Yeh tu shaadi hone se bhi bura khyaal hai. Ek tu baki sab ke sath Pati ko banto aur vo bhi apani maa, mausi, didi aur pata nahin kaun kaun? Ab unn sab ko pehle Wale Rishte se bulaoge ya soutan kahoge? Ye sab bahut hi khatarnak hai, isme tu apane pyaar ko pane ke liye pata nahin kya kya karna pade. Accha hai ki inn sab se dur hi raho.
Gita: Fir kya socha
Indu: Isme sochana kya hai, mujhe ye shaadi nahin karni
Gita: Tum abhi shayad jaldbaazi kar rahi ho. Agar tum yeh shaadi nahin karti aur parivaar ki kam se kam char Mahilaon ne unse shaadi nahi ki tab tumhare jeevan par bhi khatra hai. Mai maa hone ke nate tumhari jindagi ke liye Kanhungi ki ye shaadi kar lo, lekin karna tabhi jab tumhara man mane. Agar tumne apane tan man aur aatma ke bina yeh shaadi kisi dabav me ki tu vo shaadi nahin mani jayegi.
Indu: Mujhe kucch nahin sochna, Main yeh shaadi nahin karungi
Gita: Theek hai beti jaisi tumhari marji
Itna bolkar Gita vanha se dusre kamre me chali gayi. Uske mathe par chinta ki gehri lakire thi. Vo Ravi ko tu bol aayi thi ki Parivar ki Mahilaon ko mana legi, lekin yanha tu uski beti hi iss shaadi ke khilaf hai. Vo sochane lagi ki ab kisse baat kare. Uski tu himmat hi jawab de gayi.
Usne Ravi ko phone kiya lekin uska phone switch off aa raha tha. Usne bahut baar try kiya lekin har baar usse switch off hi mila. Pata nahin kyoun uska dil ghabrane laga aur vo parivar ki mahilaon ke bare me sochane lagi lekin usse bhrosa nahin tha ki koi bhi uski baat manega. Agar aisa hua tab Sab ki mrituye nischit hai.
Usse yeh bhi dar tha ki vo jiss kisi se bhi baat karegi tu uska pehla prashan hoga ki vo kyoun kare? Agar usse bataya gaya ki yeh shaadi na karne par uski mrituye nischit hai tu shayad vo taiyar bhi ho jaye. Kya uska taiyar hona majburi nahin mani jayegi. Ab sawaal yeh uthta hai ki vo kare tu kya kare? Isi uljhan me vo fir se Ravi ko phone karti hai lekin pehle ki tarah usse phone nahin milta.
Gita ke baar baar phone karne par bhi Ravi ke phone ka na milna usse dar aur junjhlahat ka ehsaas dila raha tha. Uska man kar raha tha ki vo phone ko uthakar patak de ki tabhi uske phone ki ghanti baj uthi aur jaise hi phone uthaya tu Vanha se ek ghabrai hui awaaz me kucch kaha gaya jisse sunkar Gita ke munh se bas itna hi nikla 'kkk.......yyyy.......aaa...'
Wow superb update riya ji
interesting
उम्मीद से अधिक बहुत ही रोचक। लगता है अब उलझन सुलझ रही
मगर मेरी उलझन को कौन सुलझाएगा ?
Thanks for liking and support.Nice update