Update 2
Us medicine ko pine ke baad Sagar ka sir pain hona kam ho gaya tha. Jab kuch der baad uska pain puri tarah se ruk gaya tab jaa kar usne apne aaspas dekha.
Yeh ek small room tha lekin yeh pura ka pura wood se bana hua tha. Sagar ne apne clothes ki taraf dekha toh paya ke yeh kaafi normal type ke the. Ek T-shirt ki tarah usne uppar body par kuch pehna tha aur ek normal pant jaisa kuch niche pehna hua tha.
Sagar apni jagah se uth jata hai aur us room mei bani hui window ke paas aata hai. Window ke bahar se pura jungle dikh raha tha. Abhi jo jis height se bahar ke nazare ko dekh raha tha isse usse pata chal gaya tha ke vo at least 1st floor ke height par hai.
Sagar ne apne bracelet ko tap kiya aur status window ko open kiya. Waha par usse wahi information mili jo usse yaha aane ke baad mili thi. Wahi usne Satellite ke status ko check kiya toh vo abhi bhi is planet ko map out kar rahe the.
Iske baad usne status window se uske body ki condition ko check kiya jo excellent thi. Iska meaning tha ke yaha ke atmosphere ne uske body par kaafi achhe effect show kiye the.
Kyo ki ab Sagar us room mei reh kar bore ho gaya tha is liye usne bahar jane ke baremei socha.
Room se bahar nikalne ke baad Sagar 1st floor se niche aane laga. Sagar us ghar ko kaafi achhe se observe kar raha tha. Yeh ghar 2 floors ka tha aur puri tarah se wood se bana hua tha. Kahi kahi par usse koi kuch kaam karte hue dikh jaa raha tha.
Us ghar se bahar aane ke baad Sagar samne bane raaste par chalte hue us village mei ghumne lag gaya.
Har koi apne apne kaamo mei kaafi busy sa tha.
Aise hi chalte hue Sagar ek open field mei aaya jaha par kuch bachhe khel rahe the. Sagar wahi khade reh kar unhe dekhne lag gaya. Usse apne bachpan ke din yaad aane lag gaye the. Unka world puri tarah se technology mei advance tha lekin iske wajah se jaise bachho se unka bachpan kahi chala gaya tha. Jab bachhe kuch samajhne ki age mei aate the toh un sabhi ke bich jaise ek competation sa start ho jata tha ke koun sab se zyada successful rahega har ek task mei. Upar se har schools mei Military Rule ko follow karna padta tha. Iske wajah se bachhe kam age se hi kaafi emotionless jaise ho gaye the.
Sagar bhi kabhi waisa hi tha. Lekin uski family ne usse puri tarah se emotionless hone nahi diya. Uski family aaspas ke Galaxy Cluster mei one of the Famous Families mei se ek thi. Ek noble hone ke wajah se Sagar kaafi saare subjects mei best se bhi best tha.
Kuch der aur wahi khade rehne ke baad Sagar phir se pure village mei ghumne lag gaya tha. Actually mei vo is village ko map out kar raha tha taaki usse future mei koi bhi problem na ho.
Aise hi ghumte hue usse Meera dikhi jo village ke ladkiyon ke saath baate kar rahe the. Abhi vo sabhi ek tree ke niche baithi hui thi aur kaafi haste hue baate kar rahi thi.
Sagar ek jagah khade reh kar bas Meera ko hi dekhe jaa raha tha. Uske liye jaise Meera ke aapas koi aur tha hi nahi.
Sagar-Kaash mein tumhe bata ke mere dil mei tumhare liye kya feelings hai Meera. Lekin darta hu ke kabhi tumhe un sabhi feelings ke baremei pata chala toh kahi mein apni sab se achhi dost na kho du. Par is dil ka kya karu mein. Yeh hai ke tumhare bina rehna hi nahi chahta hai.
Yeh sab baate Sagar apne aap se keh raha tha.
Yaha un sabhi ladkiyon mei baithi Meera ki nazar jab Sagar par gayi toh vo usse smile kar ke dekhne lag gayi aur usne dekha ke Sagar sirf usse hi dekhe jaa raha hai. Iske wajah se usse ab kuch sharam si aane lag gayi thi. Jab Meera ke aapas baithi ladkiyon ki nazar Sagar ki taraf gayi toh unhe samajhte der nahi lagi ke in dono ke bich kya chal raha hai. Unke face par bhi ek smile thi.
Vo sabhi ladkiya ab Meera ko halke halke chedne lag gayi thi.
Is baat ka pata jab Sagar ko laga toh vo hadbadate hue waha se chala gaya aur uski aisi halat par Meera ke saath saath baki ladkiyan bhi hasne lag gayi hi.
Un ladkiyon mei se ek ne Meera se kaha.
"Meera tum usse bata kyo nahi deti ke tumhare dil mei uske liye kya hai ?"
Is par Meera ne halke se smile kiya aur kaha.
Meera-Nahi yeh uski responsibility hai ke wahi mujhe samne se aa kar kahe.
Meera ki baat par dusri ladki ne kaha.
"Tum kaafi ajeeb ho. Aise mei na tum kabhi usse apne dil ki baat bata paogi aur na kabhi vo tumhe apne dil ki baat bata payega."
Meera ne is baat par kuch nahi kaha aur chup hi rahi.
Yaha chalte hue Sagar Village ke bahar aa gaya tha jaha se jungle start hota hai.
Tabhi usse yaad aaya ke jab vo aur Meera is jungle se guzar rahe the tab unhone kaafi bada bear dekha tha jo unhe kisi bhi tarah se normal nahi lag raha tha.
Kuch soch kar Sagar palat gaya aur Village head ko dhundne lag gaya.
Usse village head kisi se baat karte hue dikhe aur unke face par bhi kuch tension jaise expressions the.
Sagar ne vo sab dekh liya tha lekin abhi usse kuch pata karna tha.
Sagar chalte hue village head ke paas aaya. Jab village head ne usse apne paas khada dekha toh unhone smile kiya aur kaha.
"Ab kaise ho tum beta ?"
Sagar-Mein thik hu aur yeh sab aap ki wajah se hua hai.
"Are aisa kuch nahi hai. Toh kya tumhara mere paas koi kaam tha ?"
Sagar-Aap ko kaise pata chala ?
"Mere yeh baal aise hi safed nahi hue hai. Kaho kya pata karna chahte ho ?"
Sagar-Mein sab se pehle apne aur Meera ke baremei kuch batana chahta hu.
"Yahi na ke tum kisi dusre duniya se yaha aaye ho. Meera beti ne mujhe sab bata diya hai."
Sagar-Yeh toh achhi baat hai. Toh mein yaha ke baremei janna chahta tha. Ke yaha ke log kaise rehte hai kaam kasie karte hai. Magic is world mei kaise kaam karta hai. Sab kuch.
"Hmmm. Koi baat nahi. Chalo pehle kahi baith jaate hai phir mein tumhe sabhi jawab deta hu."
Yeh keh kar dono hi ek jagah aa gaye jaha par ek tree ke niche baithne ke liye stones se kuch banaya hua tha.
Waha par baith kar us village head ne Sagar ke sabhi sawalo ke jawab de diya. Iske wajah se Sagar ko bhi kaafi kuch pata chal gaya tha. Ab tak Sagar ko is world aur yeh kaise kaam karta hai iska general idea aa gaya tha.
Abhi Sagar aur Meera jis village mei the waha par sabhi logo ko paas ke kingdom se nikaal diya tha yeh keh kar ke vo kaafi poor hai aur tax pay nahi kar sakte hai.
Vo sabhi log yaha aa gaye aur unhone apne liye yeh ek village bana diya.
Kyo ki yeh village puri tarah se jungle mei bana hua tha is liye yaha par koi bhi kingdom se nahi aata tha. Unhe shayad yeh pata bhi nahi tha ke yaha par koi village bhi hai. Village ke south side se aage jaane par jungle us border se ocean start hota tha jo kaafi bada aur deep tha.
Is village ke log us direction mei kaafi kam hi jaate the.
Wahi is jungle ko sabhi beast plane kehte the. Kyo ki yeh pura area magical beasts se bhara hua tha. Waise toh yeh jungle kaafi bada tha aur yaha par kaafi dangerous magical beasts rehte the lekin abhi tak is village par kisi bhi magical beast ne attack nahi kiya tha. Is village ke aaspas yaha ke logo ne talisman laga kar rakhe hue the jiske wajah se yaha ke beasts ko humans ke baremei pata nahi chal pata tha jab tak vo is village mei rehte the.
Wahi jo stronger beasts the vo jungle ke deep mei rehte the.
Iske wajah se yaha ke logo beasts ka zyada khatra nahi tha.
Sagar village head se baat karne ke baad unhe dekhne lag gaya.
Unke face par vo tension ko clearly dekh sakta tha.
Sagar ne unse pucha.
Sagar-Uncle aap mujhe kuch tension mei lag rahe hai. Kya baat hai ?
Sagar ki baat sunkar village head ne ek gehri saans chodi aur kaha.
"Tension toh hai. Suna hai ke kingdom mei se kuch bandits bhaag kar is jungle ke area mei aa kar kahi chup gaye aur yaha ke kisi ne unhe is village ke paas hi notice kiya hai. Unke footprints yahi se kahi jaate hue dikhe hai. Is wajah se mein kuch tension mei hu. Yeh village kaafi small hai aur iski strength bhi kaafi kam hai. Hamare paas toh knights bhi nahi hai ke ham unke saath milkar un sabhi bandits ko yaha se bhaga de. Agar un bandits ko is village ke baremei pata chal gaya toh kaafi bura ho sakta hai."
Sagar achhe se samajh gaya tha ke kyo village head itne pareshan hai. Kuch der aur village head se baate kar ke Sagar waha se nikal gaya aur ek shant jagah aa gaya.
Usne apne bracelet par tap kar ke status window ko open kiya aur search command ko pass kiya.
Jaldi hi kaafi bade area ko status window ne show kiya. Usmei Sagar ko ocean tak ka area kaafi detailed tarike se dikh raha tha. Usne sab se pehle human heat signatures ko activate kiya aur us map ko dekhne lag gaya.
Kuch der baad Sagar ko jo chahiye tha vo mil gaya tha. Usse un sabhi bandits ke heat signatures dikh gaye the. Vo sabhi bandits is village ke east mei bani hui mountain range mei chupe hue the jo village se zyada distance par nahi thi.
Agar Sagar apne Ultra-suit ko pehen kar waha jata hai toh vo kuch hi seconds mei waha pohoch jayega. Par abhi Sagar sabhi ke samne kuch nahi karna chahta tha.
Aise hi pura din bitane ke baad Sagar sham ko ek small mountain par aa kar aaspas ke area ko dekhne lag gaya. Saath hi vo suraj ko dhalte hue bhi dekh raha tha.
Aise hi raat bhi ho gaye.
Sagar ne apne aaspas dekha aur phir apne bracelet par tap kar ke apna Ultra-suit on kar diya.
Dekhte hi dekhte uske suit ne usse cover kar liya aur uske suit mei lage hue thrusters ke saath udte hue un mountain range ki taraf chala gaya.
Abhi Sagar ke flight ki speed al most sound se kaafi fast thi. Sagar ke suit ki normal speed hi Mach 20 ki thi.
Uske is speed ko hit karne ke wajah se hawa mei ek sonic boom ban gaya tha jo kisi thunder ki tarah sound kar raha tha.
Jaldi hi Sagar us mountain range mei aa gaya aur mountains mei se udte hue vo ek bade se mountain par aa gaya jaha par land karne ke liye ek jagah thi. Wahi par kuch distance par ek cave bhi bani hui thi.
Sagar waise hi chalte hue andar jaane lag gaya. Usne apne chalne ke sound tak ko nullify kar diya tha. Iske wajah se agar us cave ke andar koi bhi hota toh usse Sagar ke aane ke pata tak nahi chal sakta tha.
Sagar aise hi chalte hue andar aaya. Usse us cave ke andar se kisi ke baate karne ki aawaze aa rahi thi.
Jab Sagar se kuch distance par aa kar us area ko scan kiya waise hi usse waha par jitney bhi log the un sabhi ke heat signatures dikhne lag gaye the.
Abhi is cave mei kuch 10 log the.
Sagar ne apne Ultra-Suit ko stealth mode ko on karne ki command di. Uske aisa karte hi uska suit puri tarah se dark ho gaya tha. Aabhi suit par jo dark colour dikh raha tha vo Venta Black ka upgraded version tha. Yeh colour light ko 100 % efficiency ke saath absorb karta tha. Iske wajah se agar andheri jagah mei is coloure ke clothes ko pehen kar koi khada bhi ho jaaye toh kisi ko bhi vo dikh nahi sakta tha. Not even with torch also.
Sagar chalte hue aa kar us cave ke gate ki taraf jaane wale raaste ke bich mei hi khada ho jata hai.
Abhi vo sabhi 10 log ek camp fire jala kar uske hi aaspas baithe hue the. Unmei se ek ke face par ek baca sa cut aaya hua tha aur vo kaafi strong bhi dikh raha tha. Vo dekhne se hi in sabhi ka leader dikh raha tha.
Abhi uske side mei baithe ek person ne kaha.
"Leader, mein ne is area ko achhe se dekh liya aur mujhe pata chala ke yaha se kuch distance par ek small village hai. Saath hi empire ko uske baremei kuch bhi pata nahi hai. Yeh sabhi empire se nikale hue log hai jo yaha aa kar bas gaye hai. Agar ham us small village ko apne control mei kar le toh hame ek base bhi mil jayega aur waha ki ladkiya bhi hamari ho sakti hai. Iske baad toh ham unke saath jo chahe kar sakte hai."
Us person ki baat sunkar us leader ke face par ek evil smile aa gayi. Kyo ki vo sabhi empire se bhage hue bandits the toh unhe dhundte hue empire ke knights yaha tak bhi aa sakte the. Lekin agar vo us small village ko hi apna base bana se toh waha ke logo ko vo as a hostage ki tarah bhi use kar sakte the.
Aise mei empire yeh nahi chahega ke waha ke logo ki jaan chali jaaye. Is tarah se unhe kaafi kuch mil bhi sakta tha.
Jaha yeh sab sunkar leader aur uske baki ke saathi zor zor se hasne lag gaye the. Wahi jab Sagar ne yeh suna toh usse kaafi gussa aa gaya tha.
After all us small village ke logon ne uski aur Meera ki kaafi care ki thi in 2 dino mei. Aise mei Sagar unhe hurt hota hua kaise dekh sakta tha.
Usne ek gehri saans li aur kaha.
Sagar-Well mujhe nahi lagta hai tumhara yeh plan kabhi successful hoga. Kyo ki successful hone ke liye tum kal ki subah bhi nahi dekh sakte ho.
Jab Sagar ne yeh kaha tab waha par jo bandits the vo sabhi alert ho gaye aur unhone campfire mei se ek ek wood stick ko uthaya aur apne aaspas dekhne lag gaye ke koun hai jo unhe bina pata chale unke itne paas aa gaya hai.
Unmei se kuch bandits shayad magic jante the is liye unke haato mei wands bhi the jinka tip halke se shine bhi kar raha tha.
Par unke laakh try karne ke baad bhi unhe koi bhi apne aaspas nahi dikh raha tha. Dikhta bhi kaise Sagar abhi stealth mode mei jo tha.
Jab un bandits ko koi bhi nahi dikha toh unke leader ne gusse mei aa kar kaha.
"Aise chup kar koi bhi bhouk sakta hai. Agar himmat hai toh samne aa kar baat kar ke dikhao."
Is par Sagar ne haste hue kaha.
Sagar-Mein tum sabhi ke samne hi khada hu. Lekin tum sabhi ki mout ban kar is liye tum mujhe sirf marne se pehle hi dekh sakte ho. Usse pehle nahi.
Yeh keh kar Sagar ne apen suit ke hand blade ko activate kiya. Yeh ek energy blade tha jo dark red colour se bana hua tha aur andhere mei vo chamak ne lag gaya tha.
Jab un sabhi bandits ne us blade ki taraf dekha toh vo sabhi samajh gaye ke Sagar kaha khada hai. Vo bhi aage badh kar uspar attack karne hi wale the ke un sabhi ko laga ke unke paas se kuch guzar gaya.
Har tarak ek shanti si cha gayi. Ab us cave mei sirf hawa ke behne ke wajah se jo aawaz aati thi wahi sunayi de rahi thi.
Jaldi hi un sabhi bandits ko pata chala ke vo sabhi half mei cut ho gaye hai. Unke uppar body parts unke lower body se alag ho kar girne lag gaye the.
Us cave mei ab un sabhi ki chikhon ki aawaz gunjh rahi thi.
Sagar phir se un sabhi ke samne aa kar khada hota hai aur apne stealth mode ko off kar deta hai.
Ab un sabhi bandits ke samne jo bich mei hi cut ho kar niche gire hue the vo sabhi apne samne kisi ko ek ajeeb se armor mei khada dekhte hai.
Sagar apne helmet ko retract karta hai aur un sabhi ko dekhne lagta hai.
Sagar ki aankho mei ek coldness thi.
Sagar-Mein ne kaha tha na ke tum sabhi ko mein tumhare mout se pehle dikh jaunga. Lo aa gaya tum sabhi ke samne.
Jaha Sagar ki aankho mei ek coldness thi wahi un niche gire hue bandits ki aankho mei ek shock tha ke unhe ek young ladke ne ek hi jhatke mei maar diya hai.
Jaldi hi un sabhi ki death ho gayi aur Sagar ne apne suit mei se ek capsule nikali aur uske upar lage hue ek button ko press kiya aur waha se chalte hue bahar aane lag gaya.
Jab Sagar chalte hue us cave se bahar aaya aur udte hue phri se village ki tarah aane laga tabhi piche se usse ek bade blast ki aawaz sunayi di.
Sagar ne jis capsule ko press kar ke pheka hua tha vo aur kuch nahi balki smart grenade the. Unke blast ki power itni thi ke unhe puri potential par blast kiya jaye toh vo is mountain range tak ko uda kar clean kar sakte the. After all Sagar ji human civilization se belong karta tha vo ek Level 5 Civilization thi jisne apne universe ko puri tarah se conquer kar liya tha. Aise mei ek aisa grenade banana unke liye koi badi baat nahi thi.
Sagar ne ab soch liya tha ke vo chahe jo ho jaaye is small village ko hamesha protect karega. Usse pata tha ke agar vo yeh baat Meera se kehta hai toh vo bhi usse mana nahi karegi.
Jaldi hi udte hue Sagar phir se ussi spot par aa gaya jaha se usne flight li thi.
Sagar ne apne bracelet par tap kiya aur apne suit ko retract kar liya.
Abhi vo aage badh kar waha se jaane hi wala tha ke tabhi usse laga ke koi hai jo usse dekh raha hai.
Is par Sagar ne smile kiya aur kaha.
Sagar-Meera mujhe pata hai tum yahi ho ab samne aao.
Jab Sagar ne yeh kaha toh Meera ek andheri jagah se nikal kar bahar aayi aur usne Sagar ko dekhte hue kaha.
Meera-Aa gaye tum un sabhi bandits ko khatam kar ke, kyo ?
Sagar-Jab tumhe pata hai ke mein kaha gaya tha toh tumne pucha hi kyo.
Meera-Nahi dekhna chahti thi ke kahi tum kuch aur nahi kahoge.
Sagar-Well mein ne kabhi tumse koi baat chupayi hai.
Yeh keh kar Sagar Meera ko smile karte hue dekhne lag gaya.
Wahi Meera ne apne aap se kaha.
Meera-Haan chupayi hai baat aur vo bhi sab se badi aur important. Lekin mein bhi Meera hu. Tum se tumhare dil ki baat tumhare muu se kehwa kar rahungi.
Jab Sagar ne Meera ko kuch bhi na kehte hue dekha tab usne kaha.
Sagar-Kya hua kaho kya mein ne tumse koi baat kabhi chupayi hai ?
Meera-Nahi baba nahi. Ab chalo agar village ke logo ko pata chala ke ham abhi waha nahi hai toh unhe tension ho sakta hai.
Sagar-Tum thik keh rahi ho.
Iske baad dono bhi village ki taraf chale gaye.
Aise hi kuch aur din nikal gaye.
Kyo ki mountain range ka ek bada mountain destroy ho gaya tha iske wajah se us area ke beasts par waha se bahar nikal kar village ke area mei ghumne lag gaye the.
Jab village ke logo ne is baat ko notice kiya tab tak kaafi beasts aaspas ke area mei aa gaye the aur unke farms ko destroy karne lag gaye the. Is wajah se village ke logo ne yaha se nikal jana sahi samjha kyo ki unke bachho ko beasts se khatra tha aise mei unka waha rehna kaafi dangerous tha.
Is baar area ko dhundne ki responsibilty ko Sagar ne apen upar liya. Kyo ki yeh sab uske wajah se hua is liye usne khud hi ek achhi jagah dhundne ke baremei soch liya tha. Wahi ab tak unke geo satellites ne unhe planet ki general maping nikal kar de di thi. Satellites se mile hue data ko dekhne ke baad Sagar aur Meera ko pata chala ke yeh planet unke planet se kuch 2-3 times zyada bada hai aur saath mei natural resources se full hai. Wahi un satellites ko atmosphere mei unknown energy ko detect kiya tha. Lekin data complete na hone ke wajah se unhe pata nahi chal paa raha tha ke yeh hai kya.
Iske baad agle din Sagar ne suit pehen kar ocean ke area ki taraf chala gaya.
Jaldi hi Sagar ocean ke beach area mei aa gaya tha.
Waha par usse kuch distance par kuch islands dikh rahe the wahi usne beach ke aaspas dekha sahi samjha.
Issi ke saath Sagar udte hue beach ke side se aage badhne lag gaya.
Tabhi usse ek jagah dikhi. Yeh kisi old city ki tarah thi jagah par kaafi bade area mei ghar dikh toh rahe the lekin log naa ke barabar the.
Sagar udte hue waha aaya aur us area ko inspect karne lag gaya.
Yeh ek bada area tha aur aisa lag raha tha ke empire ne is city ko abandon kar diya hai.
Sagar niche land karta hai.
Wahi abhi waha par jo log the vo aise Sagar ko ajeeb se armor mei land karte hue dekh kar kaafi dar gaye the.
Sagar ne apne helmet ko retract kiya aur paas mei khade ek shaks ko apne paas bulaya.
Sagar-Tum yahi rehte ho ?
"Ji ham sabhi yahi rehte hai."
Sagar-Is city ka naam kya hai ?
"Ji Baymard !"
Sagar-Hmmm !
Iske baad Sagar kuch sochne lag gaya.
Sagar-Yaha par koi empire ka official kyo nahi hai ?
"Ji king ne is city ko empire se nikaal diya hai. Ab ham hi yaha par rehte hai."
Sagar-Toh kya yaha par empire se koi officials nahi aate hai ?"
"Ji aisa nahi hai yaha par bich bich mei Duke aur unke kuch workers aate the aur ocean ke side par bane area mei kuch din rehte the. Par jab se king ne is area ko empire se nikaal diya hai tab se yaha par koi nahi aaya hai."
Sagar-Thik hai.
"Lekin aap koun hai ?"
Sagar-Mein paas mei hi bane hue ek small village se hu aur waha par beasts ki activites kaafi badh gayi hai is liye ham sabhi ko move hone ke liye area ko dhudh raha hu. Ab jab king ne is city ko empire se nikaal diya hai toh mein un sabhi ko yaha par settle karne ke baremei soch raha hu. Saath yeh kaafi achhi jagah dikh rahi hai. Isse develope karna bhi beneficial hi hoga.
Development ki baat sunkar waha ke sabhi logo ki aankho mei ek hope aa gayi thi.
Us shaks ne Sagar ko dekhte hue kaha.
"Kya aap sach mei yaha par development karenge. Agar aisa hai toh please jaldi se jaldi yaha aa jayiye. Ham sabhi ko aap ko zarurat hai. Hamare bachhe bhuk se mar rahe hai. Unhe khilane ke liye bhi hamare paas kuch nahi hai."
Sagar ne uski baat sunkar apne sir ko haan mei hilaya aur phir usse kaha.
Sagar-Tum zyada mat soch ham jaldi hi yaha aayenge aur dekhna yeh is planet ki sab se khubsurat city ban jayegi.
Yeh keh kar Sagar ne apne helmet ko retract kiya aur udte hue waha se village ki taraf chala gaya.
Jab Sagar village aaya tab uske face par ek badi si smile thi. Uske smile ko dekh kar sabhi samajh gaye the ke Sagar ko unke rehne ke liye jagah mil gayi hai.
Issi ke saath Sagar ne village se lekar Baymard tak jaane ka sab se safe raasta dhund liya aur phir sabhi ko keh diya ke vo apna zarurat ka saman le aur ek small small group mei divide ho jaaye.
Sagar ke instructions par sabhi ne apne apne zarurat ka saman liya aur small small group bana kar khade ho gaye.
Har group ke bich mei bachhe aurte aur buzurg log the aur unke aaspas kuch strong dikhne wale logo ko Sagar aur Meera ne khada kiya tha.
Issi formation ke saath vo sabhi chalte hue Baymard ki taraf chale gaye.
Kyo ki Sagar ne pehle hi safe route ko dhund liya tha is liye unhe zyada time nahi laga village se Baymard aane ke liye.
Sabhi kuch 1 & 1/2 din ke travel ke baad Baymard pohoch gaye the.
Jab sabhi ne Baymard ko dekha toh unhe achha laga. At least unke paas ab stones se bane hue achhe ghar hone wale the.
Sagar ne abhi ke sabhi logo ko city ke pehle wale area mei settel hone ke liye kaha. Sab se pehle vo Baymard ko puri tarah se inspect karna chata tha.