- 1,099
- 1,926
- 159
Main Character Introduction in Detail | Some Dialogue |
Last edited:
Main Character Introduction in Detail | Some Dialogue |
Superb duper fantastic update bahi sabUpdate--24
Shazaib: Yeh bahir itna shor kiun ho raha hai (unchi awaz main) Kon hai bahir.
Awaz: Djævel.
Gudiya: Bhaiya.
Mein: Hmmmm.
Gudiya: Bhaiya es baar mein aap k sath jaun gi.
Mein: Theek hai (Jhon se) Gadi tyaar kr aur bndey bhi Shazaib Malik k ghar jana hai aur haan Police walon ko kch mat kehna who kch nai krein gey mujhey jantey hn bas Arsalan k personal guards ko shodna mat.
Jhon: Theek hai.
Jhon chala gya tyaari krney mein bhi sab se mill k nikal para sath Gudiya bhi thi mein ne IG ko phone mila dia.
IG: Hello.
Mein: Mein Aly bol raha hn.
IG: (shocked) G g boliey.
Mein: CM Arsalan k ghar jo Police Security hai us k head ko phone kr k bata do k wahan jo kch bhi hota hai who chup chap rahein ager koi beech main aaya tou khud zimedaar ho ga.
Mein ne phone cut kr dia aur kisi aur ko phone milaya.
Mein: Aaj CM marney ja raha hai uski jagah doosra CM appoint kr lo.
Mein Shazaib Malik k ghar pounch gya Jhon bhi apney bndon k sath pounch gya tha mein gadi se utra sath gudiya bhi hum ander janey lagey Police waley side hatt rahey they Arsalan ki Security ne mujhey rokney ki koshish ki lekin nakamyaab rahey.
Shazaib: Yeh bahir itna shor kiun ho raha hai (unchi awaz main) Kon hai bahir.
Awaz: Djævel.
Awaz aur naam suntey hi Shazaib Darr gya aur jab us k samney Mein aaya tou darr k marey kanpney laga 3 saal baad phr se us k ghar pe aaya tha merey sath Gudiya bhi thi Mein Gudiya ko le k hall main Sofey pe beith gya.
Mein: (Shazaib se) Sab ko yahan bula khaas kr apney Betey ko.
Sab aa gaey they sath main Habiba bhi Habiba ki nazer jesay hi Aly pe gai who doud k us k pass gai aur usey galey se laga lia jab us ki nazer Gudiya pe gai tou who aur khush ho gai aur Aly k baad Gudiya ko bhi Galey se laga lia.
Habiba: Kesi hai meri jaan.
Gudiya: Mein theek hn DD.
Habiba: Itney salon baad tujhey deikh rahi hn mein terey liey surprised bhi hai meri jaan.
Gudiya: Kia hai DD.
Habiba: Terey liey Gudda.
Tabhi ek bacha nanhey kadam chalta hua aaya jisey Habiba ne utha lia aur Aly aur Gudiya k aagey kr dia.
Habiba: Bhaiya mera Beta.
Habiba ki baat suntey hi Meri aankhon main hulki nami aa gai Gudiya bhi mujhey achi trhah samjhti thi k mein es waqt kia feel kr raha hn Gudiya aagey barhi aur us bachey ko Habiba se le lia aur pyaar krney lagi tabhi wahan Arsalan aa gya aur mujhey apney ghar main deikh k ek pal k liey ghabra gya lekin yeh soch k mein ek CM hn tou Habiba k pass chala gya Gudiya ki nazer jesay hi Arsalan pe gai us k chehrey pe Gussa aaney laga.
Mein: Habiba Last time jab mein yahan aaya tha tou yaad hai kiun aaya tha.
Habiba: Haan bhaiya lekin baat kia hai mein kab se deikh rahi hn k merey Betey ko deikh aap khush nai hn baat kia hai bhaiya.
Mein: Mein khush hn Habiba mein bht khush hn lekin jo mujh se gunhah hua hai tumhey le kr us ki wajah se Dukhi hn.
Habiba: (Shocked) Gunhah? Bhaiya yeh aap kia keh rahey hn mujhey kch samjh nai aa rahi.
Mein: Jab mein last time aaya tha tou tum ne kaha tha k tum Arsaalan se Rishta tod rahi ho lekin mein ne tumhey rok lia tha yehi Gunhah mujh se hua tha.
Habiba: Bhaiya aap aesi baat kiun kr rahey hn kia hua hai.
Mein: Rida ki Tasveer Mamu ko bheijhney walon main Arsalan bhi hai mujhey yahan se door janey pe Majboor krney walon main Arsalan bhi hai lekin mein ne phr bhi maaf kia isey kch nai kaha kiun k Tum es ki BV ho mein ne isey Maaf kr dia tha Mein lout k aaya Umer ne Rida ka Rape kr k usey Goli maar di aur ab who bhaag k Arsalan k pass aaya hai aur Arsalan ne usey chupa k rakha hai aur tum Achi trhah se janti ho k Mein ab Arsalan ko Maaf nai kr sakta meri wajah se tumhari Zindagi berbaad ho jaey gi esi liey khud ko Gunahgaar maan raha hn tumhara aur Tumharey bachey ka.
Meri baat suntey hi Habiba ko jhatka laga usey umeed nai thi k Arsalan aesa kch krey ga uski aankhon se aansu nikalney lagey who ladkhadayee aur girney ko hui lekin Mein ne usey sambhal lia who merey galey lag k aur zor se roney lagi.
Arsalan: Habiba yeh Jhut bol raha hai.
Habiba ko yeh suntey hi Gussa aa gya who mujh se alag hui aur arsalan ki traf palat k usey Thapper maar dia Arsalan ko es ki umeed nai thi sath main us k ghar walon ko bhi.
Arsalan's Mother: Yeh kia Behuda herkat hai Habiba.
Habiba: Mein ne Pehley bhi kaha tha k Bhaiya merey liey Merey baba se bhi uper hn koi unhey dukh de ya Nuqsaan pounchaney ki jurrat krey ga tou mein usey Zinda nai shodun gi es ki himmat kesay hui merey Bhaiya ko Nuqsaan pounchaney ki.
Arsalan: Habiba tum bhool rahi ho mein tumhara Sohar hn Tum es Kuttey k kehney pe mujhey suna rahi ho.
Habiba: (Arsalan ko thapper mar k) Teri Himmat kesey hui merey bhaiya ko gali deney ki doobara aesa bhonka bhi tou teri Zuban kheinch loon gi.
Habiba ki language aur rawiey ko deikh k Arsalan aur us k ghar waley shocked they k Habiba ko achanak hua kia hai kiun Merey liey un se ulajh rahi hai.
Habiba: Bhaiya meri aur merey bachey ki Fiker mat kro aap ko es k sath jo krna hai who kro mujhey farq nai perhta.
Arsalan: Halwa hai kia Mein CM hn Zinda nai shodun ga isey aur Tujhey bhi bht aag lagi hui hai na tujhey 2 min lagein gey teri Garmi utarney.
Abhi Arsalan aagey kch bolta usk seeney pe Kick lagi aur who Hawa main udta hua peeshay deewar se ja Takraya es humley k liey Arsalan bilkul bhi tyaar nai tha aur us k ghar waley bhi darr gaey they yeh sab deikh k uper se Meri Aankhein es waqt full laal theen aur Gussa Chehrey pe es qader tha k sara Chehra laal hua para tha.