Jab kisine hum se pucha ki pyaar kiya he
To hamare saamne ek saksh ka chehra ubhar aaya
Us chehre ko dekh te hi hamare nainon se aksh nikale
To wo bola kisi ne bewaafai ki he
Maine Naa me sar hilaya or kaha
"Bewafa hi to na the vo agar
hote to hum yuhi na rote "
"Vo marke ke bhi hamare rahe
Or hum jite ji unke na ho sake"
Jab mohabaat Hui thi tab
Ye duniya haseen lagti thi
Jab vo chod ke kiya gayi hume
duniya se hi nafrat ho gayi hume
"Vo mar ke bhi hamare rahe
or hum jite ji unke na ho sake"
jab unka nikah padha gaya
saanse humari nikal rahi thi
Aansu to unke bhi nikle the
par vo bataye to bataye kise
sab kahene ko uske apne the
aansu pochane ko koi na tha
"Vo mar ke bhi hamare rahe
Or hum jite ji unke na ho sake"
HUm ne to usi waqt than liya tha
ki hum khud ki hasti Mita denge
ek Wade tha unse hamara
VO bhi to hume nibhana tha
karne ko hum kuch bhi kar sakte the
HUm to khud ko bhi Mita sakte the
"Vo mar ke bhi hamare rahe
or hum jite ji unke na ho saka"
Vo duniya se hi rukhsar ho gayi
Jab bat hamare na rehne ki aayi
Yahi to hamari mohabbat thi
Ye logo ne bhi jaan liya tha
Jo us ne mar ke bhi nibhayi thi
Hume yuhi tanha chod ke
"Vo mar ke bhi hamare rahe
Or hum jite ji unke na ho sake"
Aaj bhi unke mohalle me hamari
Mohabbat ki dastan mashoor he
Aaj bhi jab hum gujarte he waha se
To log aksar Hume pagal kehte he
Log use meri deewani kehte he
Or Mujhe uska mastana kehte he
"Vo mar ke bhi hamare rahe
Or hum jite ji unke na ho sake"
Lahu hamara ek rang ka
Mohabbat hamari paak
Phir bhi log na maane
mitai ek Prem kahani
Hum haare bhi to khuda ke naam se
Uski kuraan meri Geeta bas fark itna
"Vo marke bhi hamare huye
Or hum jite ji unke na ho sake"
Mazhab aaj phir bich me aaya
Or do premiyon ko ujad gaya
Tab se na koi mazhab na khuda mera
Na hi main kisi ka or na hi koi mera
Aaj bhi hum saanse le rahe he
Par ab to ye bhi gawara nahi
"Vo mar ke bhi hamare huye
Or hum jite ji unke na ho sake"
Ab hum jindagi se ub chuke he
ZARINE
Ab saans Lena bhi gawara nahi
Rooh nikal ne ka intezaar he jisam se
ZARINE
zanaza uth ne ka intezar he mujhe
Jite ji ho hum na ho sake tere
ZARINE
fanna hoke tere hoke rahenge
"Bewafa hi to na the vo agar
hote to hum yuhi na rote"
"Vo marke bhi hamare huye
Or hum jite ji unke na ho sake"