• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Amity

Banned
532
4,093
123
Update 45 State Of Mind Of Abhi & The Diaries

March ka mahina ab jaa chuka tha.

Abhi ke seene ab bhi dard baaki tha. Usske khayaalon mein ab bhi Ruhi bassi hui thi. Ab bhi wo uss aangan mein guzaare hue ek ek pal ko yaad karta tha.

Aaj, Abhi unn palon ko yaad kar raha tha jiss din ko Ruhi ne ussko lunch ke liye invite kiya tha jab usski maa usske nani ke ghar gayi thi. Abhi yaad kar raha tha kiss tarah Ruhi ke baalon se paani ke katre tapak rahe the, kiss tarah Abhi ne usske gardan ke piche apne naak laga kar ussko sungha tha aur Abhi ab bhi wo khusbhoo mehsoos kar sakta tha. Abhi yaad kar raha tha ke uss din ussne Ruhi ke kiss kiss ang ko chuua aur chuma tha, kahan kahan usska jism Ruhi ke jism se satta tha, raghda tha…. Ruhi ki baahein kiss tarah se Abhi ke kaandhe se hokar usske peeth par hua tha aur kiss taaqat se Ruhi ne Abhi ko jakra tha uss pal ko…. Abhi ko Ruhi ki jism ki khusbhoo bahot passand tha, wo usski khushbhoo ab bhi mehsoos karta tha, wo kissi aur mein nahin ho sakta, wo sirf Ruhi mein hi paaye jaa sakta tha…..

Abhi ne diary mein likha;

“She is still fresh in my mind despite almost 3 months have elapsed. She is still present in my heart and head. I can’t forget her, every day, every moment, every second she is here, around me. She is residing in my heart. She has made a home, a room for her deep inside my heart. I can still smell her fragrance.”

Abhi ne socha ke ab tak usski mangni ho chuki hoti aur aaj wo cigarette nahin pee raha hota. Magar iss waqt sab ulta tha, pehle 10 se 15 cigarettes peeta tha aur ab 30 se 40 peeta hai jabse Ruhi se juda hua hai. Yeh tha natija pyar ka Abhi ne khud se kaha.

Unn dinon VHS tape par video dekhe jaate the. Aur har nayi film jo release hota tha usska ek copy pehle market mein mil jata tha. To uss roz Abhi ne video club se ek nai movie rent kiya aur ghar mein sabke saath milkar dekha movie ko magar film ke dauraan bahut roya kyunke uss mein hero heroine juda ho gaye the aur gaane bhi aise the judaayi ke, ke Abhi se saha nah gaya.

Abhi khud se naraaz hote hue kehta,

“sala kyun main mili uss se? kyun main ne ussko dekha pehli baar? Kyun main ne ek taraf nahin dekha? Kyun Mehboob ne uss bus ko uthaya tha jangal se? kyun saeed mujhse milne aya tha uss kaam ke liye? Kyun main wahan gaya? Mujhe jana hi nahin chahiye tha, nah Ruhi ko dekhta, nah yeh sab hota, aaj main araam se, ghumta firta…. Ab dekho haal aisa ho gaya hai ke ghar ke nah ghat ke… itna dukh, itna gham, jiya nahin jata… paagal ho jaunga main!! Kaise ussko apne zehen se nikalun? Kaise usske chehre ko bhulaun? Kaise unn dhai mahinon ko apne memory se delete karun?! Nah Mehboob ne bus laya hota, nah main wahan kaam karne jata, nah mujhe Ruhi se pyar hota, aur nah aaj main iss haal mein hota!! KYUN? KYUN RUHI MERI ZINDAGI MEIN AAYI? KYUN MERI LIFE KO BARBAAD KARNE AAYI MERI LIFE MEIN WO??!”

Abhi ko bilkool chain aur sukoon nahin tha. Soch raha tha ke 3 mahine beet chuke hein aur abhi tak usska wohi haal hai to ussko khud dar lagne laga tha ke kahin depression mein nah chala jaaye…

Abhi ne dusre ladkiyon ke taraf dekhna hi band kar diya tha ab. Jiss din se Ruhi ke aangan se nikla kissi dusre ladki ke taraf dekhta hi nahin tha…. wo sochta ke ab sare ladkiyan Ruhi jaisi hi hogi…. Khud mein himmat nahin, aur pyar karne chali…. Sab dhoke dene wale honge Abhi sochta… to wo dobara aise gham nahin jhelna chahta…. To door rehta…. Ek nafrat si ho gayi thi jawaan ladkiyon se ussko… wo sochne laga tha ke sab wohi karenge jo Ruhi ne kiya usske saath…. Magar kab tak? Kehte hein nah doobte ko tinke ka sahare ki zaroorat bhi padta hai…. To kia pata wo tinka ajaaye Abhi ki zindagi mein achaanak?

Abhi aksar yeh bhi sochta rehta ke Ruhi agar ek virgin nahin hai to Ruhi ko Abhi ke taraf aur bhi ziada jhukna chahiye tha, kyunke Abhi ussko phir bhi accept kar raha tha aur phir bhi ussko pyar karta tha. Ruhi ko Abhi ki ziada zaroorat hona chahiye tha, magar sab ulta kyun hua tha?

Abhi kabhi kabhi gehraayi se sochta ke kia hua hoga Ruhi ke saath? Kiss ke saath sex kiya hoga jo virgin nahin thi? Kyun Ruhi ne pehle pucha tha ke usski ghalatiyon ko Abhi maaf kar sakta hai? Kia kissi se pyar karti hogi aur uss shakhs ne Ruhi ko behla phussla kar sex kiya aur chorr gaya ussko kissi aur ke liye? Kia kissi shadi shuda aadmi se sex kiya hoga? Kia kissi ne usska rape kiya hoga? Abhi yeh sab sochte hue yeh bhi sochne laga ke kia koyi incestuous relation raha hoga? Kiss ke saath Manoj ke saath? Nahin aisa nahin ho sakta….wo Abhi ko dikh jata agar weisa hota hota to…. Yeh sab soch soch kar Abhi apna sar khapa raha tha…..

Iss gaane ko suna Abhi ne aur kaha ke yeh Ruhi ko Abhi se kehna chahiye tha;

“Aap ki nazron be samjha pyar ki kaabil mujhe

Dil ki aye dhadkan sambhal ja mil gayi manzil mujhe…

Ji hamein Manzoor hai aap ka yeh faisla

Keh rahi hai har nazar banda parvar shukriya

Hanss ke apni zindagi mein kar liya shaamil mujhe

Aap ki nazron ne samjha pyar ki kaabil mujhe….”

Ruhi ko Abhi ka shukra guzaar hona chahiye the ke Abhi ne uss se pyar kiya, usski khaamiyan ke bawajud uss se pyar kiya. Magar Ruhi ne ussko thukraya tha….. aisa kyun hua? Abhi yeh sab sochta tanhaayi mein, jab bhi akela hota to buss yehi sab sochta rehta… khud se kehta ke agar Ruhi aur wo ek nahin ho sake to iss mein loss Ruhi ki hui thi Abhi ki nahin, iss mein khone wali Ruhi thi Abhi nahin…..

***************************************************************

Jab Saeed ne Abhi se kaha ke Mehboob naraz tha kyunke ussne kuch chorra tha usske wife ke paas to Abhi ne ziada jaanne ki koshish ki, magar Saeed ne kaha ke Mehboob khud Abhi se milne aega iss silsile mein kissi din, kyunke mehbob ko pata tha ke iss waqt weh log kahan kaam kar rahe hein….weise har bus owner ek dusre ko jaante pehchaante the uss ilaake mein.

Aur jab Sunil aya wahan kaam karne to Abhi ne uss baare mein baat kiya Sunil se. Ab sunil kyunke wahin ka rehne wala tha aur uss aangan mein sab ussko jaante the to wo kabhi bhi wahan jaata tha aur kissi ko koyi eitraz nahin tha iss liye Sunil ko Abhi ne bheja Rahima se milkar iss baare mein puchne ke liye ke kia Ruhi ne diaries padhi ya nahin.

Teen din baad Sunil ne Abhi ko yeh bataya:

Sunil: “Abhi main wahan jaa raha tha magar Reza ne mujhe jaane se mana kiya kyunke wahan par jiss din tumne diary chorra tha uss din Manoj ghar par tha aur ussne dekha tha tujhe ghar ke andar se….. ussi din shaam ko Mehboob ko sab pata chal gaya tha aur tumhare diaries sab ab bhi Mehboob ke ghar par hai. Wo Ruhi ko mile hi nahin!!”

Abhi ko zabardast jhatla laga yeh sun kar… phir bhi ussne Sunil se kaha,

“Are bhai tumne uss Reza ki baat par yakeen kiya? Kyun? Tujhe khud jaakar Rahima se sach ka pata lagana chahiye tha yaar!! Kia yaar sunil?!”

Sunil: “magar Abhi wahan donon gharon mein bada tension hai iss wajah se… Mehboob ko Ruhi ki maa, Manoj aur Ruhi ke pita bura bhala keh rahe hein kyunke usski wajah se tu Ruhi se mila, aur uski wife tera help kar rahi hai Ruhi ko tere diaries dene ke liye to bada problem hua tha uss aangan mein iss baat ko lekar, to main ne socha ke ab agar main bhi gaya wahan to kahin weh log ab mujh par bhi kahin ungli nah uthaane lage yaar!!”

Abhi kuch der khamosh raha aur sunil ne ek baat bataayi Abhi ko.

Sunil: “kia tujhe pata hai ke Mehboob ki wife ussko chorr kar kissi aur ke saath bhag gayi thi jab Farzina 2 saal ki thi?!”

Abhi ko shock laga aur kaha ke ussko bilkool kuch bhi nahin pata tha iss baare mein!

Tab sunil ne ussko bataya ke Rahima kitni hot aur sexy aurat hai, kitni gori aur khub surat hai aur jab usska ghar ban raha tha concrete wala jo abhi hai uss macon ke sath chakar chalne laga tha Rahima ki, jitney dinon tak wo ghar bana tha utne dinon tak Rahima aur Uss macon ke bich sex hota raha aur ghar ban gaya to Rahima bhaag gayi thi usske saath…. Baad mein saare uss aangan ke mard gaye the uss macon ke yahan bahot ladaayi hui thi aur whan se Rahima ko wapas lekar aaya tha Mehboob….. Ab soch tu bhi kuch weisa hi Ruhi se pyar karne laga aur Rahima black listed hai aise case mein aur ab wo tera help kar rahi hai to issue to hoga hi nah? Ruhi ki maa Rahima ko gali de rahi thi ke kia ussne Ruhi ko apni jaisi samajh rakha hai ke kissi ghair mard ke saath usski beti ko bhagaane ki koshish mein hai!!”

Abhi ko jhatka pe jhatka lag raha tha…… ab Abhi ne yaad kiya ke jab ek din wo Rahima se baat kar raha tha subha ko jab Rahima nighty mein thi aur sleeveless usski baazu dikhe the Ruhi ko usski kitchen se to kiss tarah se Ruhi Abhi se ruth gayi thi, aur Abhi samjha tha ke Ruhi jalan ki vajah se uss se ruthi thi… aur Abhi ko yaad aya ke uss roz khidki ke paas Ruhi ne Abhi se kaha tha ke wo uss Rahima se door rahe, wo achi aurat nahin hai….. to ab Abhi sab samajh raha tha ke kyun Ruhi ne uss se weisa kaha tha uss din!!

Sunil khamosh ho gaya tab Abhi ne phir sunil ko wahan jaakar Rahima se puchne ko kaha, aur sunil ne kaha okay aaj shaam ko hi jaega aur kal Abhi ko pakka khabar dega.

Dusre din jab sunil kaam par mila to Abhi ne pucha kia hua, to sunil hanss raha tha. Ussko hansste dekh kar Abhi ka hausla badha aur jaldi bataane ko kaha tab sunil ne bataya;

“Yaar jiss din tumne diaries diya tha Rahima ko sach mein uss din Manoj ghar par hi tha Rahima ne mujhe bataya…. Kuch ghanton baad, manoj ke ghar se nikal jaane par, Ruhi khud gayi thi Rahima ke ghar uss se milne kyunke Ruhi ne bhi tujhko dekha tha ke tu aya tha wahan, to Ruhi puchne gayi thi ke tu kyun aya tha…. Ruhi ko pakka yakeen tha ke tu ussi ke liye aya hoga. Rahima ne mujhse kaha ke Ruhi tujhse bahot pyar karti hai magar apni maa aur bhai se darrti hai.”

Abhi ne sunil ke baat ko katte hue kaha,

“Mujhe pata hai yaar wo mujhse behad pyar karti hai, magar tu yeh to bata diaries padha Ruhi ne ya nahin?!”.

Sunil: “yaar Rahima ne mujhse kaha ke tujhko sorry kaha hai ussne, ussne apni best kiya aur Ruhi ko tere diaries de diya tha ussne, Ruhi bahot khush hui thi aur hanss rahi thi khushi se ke tumne usske liye kuch bheja hai….… tumne shayad koyi gift bhi dala tha envelope mein Rahima ne kaha ke Ruhi ne uss wrapped gift ko envelope se usske saamne nikala aur apni dress ke jeb mein rakh liya, aur diaries ko envelope sameth apne seene se lagaa kar apne ghar chali gayi Rahima ko thank karte hue aur yeh bhi kehte hue ke kissi ko nahin batane ko ke Abhi ne usske liye kuch diya hai. Magar apne ghar mein jab Abhi tere diary padhne lagi – pata nahin kitna padhi thi ke usski maa ne usske haath se diaries ko chhina aur Manoj ko de diya…. Aur teri diaries ko Manoj ne padha, pura….. tab Mehboob ko wapas karne gaya Rahima ko sunaate hue, tabhi sab mein ladaayi hui ke kyun Rahima intermediate ka kaam kakr rahi hai Ruhi aur tere beech….”

Abhi bilkool chup ho gaya sab sunkar, sar jhuka liya aur usske aankhen bhar aayr to Sunil ne kaha,

“Yaar Rahima ne kaha ke Ruhi tujhse behad pyar karti hai, ussne to mujhse kaha ke tujhe aakar ussko utha lena chahiye usske ghar se, jaise tu taxi mein aya tha, apne doston ko lekar ana, usski ghar mein ghuss ke Ruhi ko utha lejana! Pakka Ruhi jaegi tere saath”

Abhi sochne laga ke Ruhi ki maa kiss kissam ki aurat hai, jab Abhi wahan kaam karta tha tab Ruhi ke sath rehne deti thi aur jo bhi Abhi Ruhi ko deta to lene deti thi aur ab diaries chhin liya Ruhi se, kia diary mein bomb tha jo phat jata? kyun chhina ussne diary ko Ruhi se? kyun nahin padhne diya usse?!

Sunil ne kaha,

“Aur ab diaries Mehboob ke ghar hai aur wo kissi din Saeed ko dega aur saeed tujhko wapas karega…..”

Abhi ne socha ke chalo itna to akkal hai unn logon mein ke diaries ko aag nahin lagaya unn logon ne aur diaries Abhi ko sahi salaamat wapas mil jaega…..

To be continued……. (2332 Words)

The nental state of Abhi is very well defined and narrated. Super job Casinar ji. The words you hv chosen to show Abhi'd mental dilemna are fabulous.
Reagaring the diaries happy to know that Ruhi read part of them and shocked to know about Rahima.
Anyhow lovely update and now Abhi is aware of more things regarding Ruhi and he must feel peaceful inside.
Very good going my dear.
Sorry for late reply, had been busy last night.
 
Amity

Banned
532
4,093
123
Update 46 Abhi Got back The Diaries & He Does Things

Kayi dinon se Sunil, Tony aur baaki ke log Abhi se apne daadhi shave karne ko kehte rahe the, sab uss se kehte ke wo clean shaven kitna handsome dikhta hai aur wo daadhi uss par bilkool suit nahin karta dangerous look banta tha usske uss daadhi se…. magar Abhi ne shave nahin kiya 6 mahine ho chuke the.

Dusre din Saeed ko jana tha Mehboob se milne kissi kaam se to Abhi ne ussko kaha ke usska parcel lekar ajaye Mehboob se. Saeed ne kaha thik hai aur chala gaya.

Saeed ke jaane ke baad Sunil ne Abhi se pucha,

“kia tu ekaat doston ke saath Ruhi ko utha nahin sakta sach mein jaise Rahima ne kaha?”

Abhi ne muskuraate hue jawaab diya,

“Sunil bhai, mujhe kissi ki bhi zaroorat nahin Ruhi ko uthaane ke liye, ek to bahot halki hai wo kayi baar utha chuka hoon ussko…. Aur mujhe koyi nahin chahiye agar ussko usske ghar se uthana pade to. Main akele kaafi hoon ussko utha ke ek taxi mein bithane ke liye…. Din mein agar kabhi wahan jaun to wo aur usski ma akeli rehti hai ghar mein, agar koyi mard hoga bhi to uss ghar ka koyi mard mere mukable khada nahin ho sakta, koyi mujhko rok hi nahin paega, mera ek laat ya ek mukka kafi hoga unn teenon ko niche leytaane ke liye….. Magar bhai main weisa karna nahin chahta, main chahta hoon ke Ruhi khud mere paas aaye…. Main chahta hoon Ruhi mujhe wo taaqat dikhaaye, wo mujhko prove kare ke wo mujhko pyar karti hai aur uss mein wo himmat hai mere paas aane ke liye…..”

Sunil: “Bhai Ruhi mein wo taaqat nahin hai, wo kamseen hai, wo aisa nahin kar paegi”

Abhi: “pata hai bhai…. Jiss din main Rahima ko diaries dene gaya tha, ussi din, main Ruhi ko usske maa aur baap ke saamne Ruhi ke ghar mein ghuss kar apne saath leja sakta tha…. aur bhai ek baat bataun? Rahima ne aisa kyun kaha bata?”

Sunil: “kyun? Kyun kaha?!”

Abhi: “Bhai tumne bataya ke wo bhaag gayi thi Mehboob ko chorr kar nah? To Ruhi ke family ke saamne Rahima ki naak kat gayi thi uss waqt thik hai, ab Rahima chahti hai ke Ruhi ki maa aur usski family ke naak katte iss liye wo chahti hai ke main weisa karun…. Unnki aapas ki ranjishein hai bhai main usske liye to yeh sab nahin karne wala…..”

Sunil:”are haan yaar main ne aisa nahin socha tha, tu sahi keh raha hai….”

Sunil ne yeh bhi kaha tab,

“Aur haan kal batana bhool gaya tha tujhe ke Rahima ne yeh bhi kaha tha ke Ruhi ke dada ji ne kaha tha ke kyun itne dinon tak Ruhi aur Abhi ko ek dusre se ghulne milne diya gaya tha, kyun donon ko chhup chhup kar milne deti thi usski maa, aur ab kyun inkaar kar rahi hai, donon ke shaadi kar deni chahiye….”

Abhi: “mujhe pata hai ussko koyi eitraz nahin tha, jiss din mujhe Manoj ne ghar se nikalne ko kaha tha ussi din budhe ne meri shadi Ruhi se karwane ke liye kaha tha, main ne suna tha jab main nikal raha tha wahan se….”

Sunil: “Yaar Ruhi ki maa ko tera kaam passand nahin aur wo samajhti hai yeh kaam permanent nahin hai aur aise kaam se tu ek pura jiwan nahin bita paega, biwi bache nahin paal paega, ussko bade post wale damaad chahiye shayad, ussko paise wala damaad chahiye Ruhi ke liye, main to yehi samjha, Rahima ne bhi yehi kaha tha, aur sach mein Ruhi ki maa aisi hi hai, laalchi hai paison ki aur Ruhi ko bi shaayad weisa hi bana rahi hai ussko bade bade sapne dikhati hogi, ussko amir aadmi se shaadi karne ko kehti hai Rahima ne bataya tha…. Aur mere saath bhi to wohi kiya tha nah unn logon ne bhai!!”

Abhi thodi der soch mein dooba raha phir Sunil se kaha,

“Main kuch aisa karke dikhaunga ke Ruhi ki maa aur Ruhi pachtaegi ek din, tu dekh lena, tu bhi dekhega Sunil…. Main kuch banke dikhaunga unn logon ko!”

Sunil:”kia karega tu Abhi?”

Abhi: “Waqt aane par dekh lena Sunil, abhi kuch nahin bata sakta main tujhe….”

***********************************************************************

Koyi ek ghante baad Saeed aya to dhapadaate hue Abhi gaya usske paas apne diaries lene magar saeed ne kaha,

“Nahin diya Mehboob ne mujhe. Ussne kaha wo khud tumko lautaane aega kyunke uskso tujh se kuch baatein kehni hai… wo ekaat din mein aega idhar tujhse milne tab dega tujhko tere diaries!”

Aur kuch der baad Saeed ne bhi Abhi se baat kiya aur kaha ke Ruhi ki maa ek buri aurat hai ussko bilkool trust nahin kiya jaa sakta. Yeh saeed ne iss liye kaha kyunke jab wo Mehboob se milne gaya tha to Ruhi ki maa ne uss se kuch baat kiye the ke Saeed ko kehna para ke wo bharose karne layak aurat nahin hai.

To Abhi ne pucha kia ussne Ruhi ko bhi dekha wahan.

Saeed ne kaha haan wo bhi apni maa ke saath hi thi.

Aur usske pita ke baare mein pucha to sunil ne kaha ke wo January mein hi wapas S.Arabia chala gaya.

Tab Abhi ne kaha,

“Sala sab ne kaha tha kitna achcha insaan hai; madarchod jhuta hai mujhse kaha tha ke apni beti ko saath lekar jayega!”

Aur Sunil ne phir se kaha,

“Abhi ab jaa shave karle ab, kyun usske liye daadhi chorra hai tumne? Devdaas jaisa look bana rakha hai, jab usske gharwale sab khilaaf hai to bhool ja usse aur kal main tumko clean shaven dekhna chahta hoon!”

******************************************************************************

Aur kuch dinon baad, uss jagah par kaam ka last din tha, aur Mehboob ka bus ruka jahan Abhi aur team kaam kar rahe the. Abhi kissi kaam mein busy tha ussne nahin dekha, to tony ne kaha,

“hey Abhi dekh Mehboob ki bus……”

Mehbob driving wheel pr baitha raha aur Reza bus se utar ka aya Abhi ko bulaane. Jab Abhi gaya bus ke paas….. pehle to Abhi bus ko chaaron taraf dekhne laga, uss bus mein Ruhi ki bahot saare yaadein jude hue the Abhi ke liye…. Abhi ka dil zoron se dhadka, uss bus ko dekh kar…. Abhi buss ke andar ghussa, Mehbob uss se baat karta raha magar Abhi bus ke andar uss hisse mein gaya jahan se wo Ruhi ko apne khidki ya washing stone ke paas dekha karta tha aur udhar se Ruhi ussko jeeb se chidhata tha….. bus ke uss hisse mein Abhi ko ek sukoon sa haasil hua, aur baahar dekha to aisa mehsoos hua ke baahar Ruhi dikhegi ussko…. Magar koyi nahin tha….. tab Abhi ne khud se kaha, ‘sab kuch badal gaya hai, ab yeh bus wo nahin raha, sab badal gaye hein, mujhe bhi badal jaana chahiye ab….’

Mehboob se mila usske baad aur Mehboob ne ussko wo grey envelope dete hue kaha,

“Abhi tu yeh mere ghar chorr aya tha, tumhare amaanat wapas kar raha hoon tujhe…”

Abhi ne bina Mehboob ke chehre mein dekhe hue pucha,

“Ruhi ne padha isse? Ye Ruhi ke liye tha!”

Mehboob ne kaha,

“Abhi agar tujhko Ruhi ko kuch dena hai to tum usske ghar jao, ussko do? Mere ghar kyun gaye aur meri wife ko kyun diya tumne? Tujhe pata hai isske liye donon families mein kitne problems hue Abhi? Bachon jaisa kaam mat kiya karo Abhi, yeh bilkool sahi nahin hai. Aayinda agar kuch udhar dena ho to jao main tumko wahan jaane se mana nahin kar raha, jab chaho jao, Ruhi se milo. Ye wo jaane aur usske parents mujhe koyi lena dena nahin hai, magar usski chizon ko mere ghar par mat chorrna phir kabhi… iss baar lauta raha hoon agli baar jala ke raakh kar dunga….!”

Abhi ne kaha,

“Bolna mujhe bhi ata hai Mehboob, agar bolna shuru kiya to tere paas bolne ke liye kuch nahin bachega, start karega aur accelator dabayega…..”

Mehboob: “Are wah ek to chori upar se seena zori! Abhi tu agar chahe to mere ghar bhi aa sakta hai, mere ghar tu aaye to mujhse milne, rahima se milne ya Farzinah se milne to thik hai, ek lagao ho gayi hai main samajhta hoon, Farzina aur Rahima donon tumko passand karte hein okay thik hai unn se milo mujhe koyi aapatti nahin, magar Ruhi ki koyi bhi chiz unn logon ke paas nahin chorrne ka…. Umeed hai ke tum samajh gaye….”

Abhi: “nahin baat khatam ab kabhi bhi kuch bhi nahin chorrna kissi ke paas, aur uss aagan mein jana hi nahin kabhi mujhe ab jaa tu befikar reh nahin aunga ab kabhi bhi udhar, jaa, chorr diya uss gali ko main ne hamesha ke liye!”

Mehboob chala gaya….. Abhi envelope lekar andar gaya jiss bus mein kaam kar raha tha uss mein, jaldi se envelope se diaries nikala, do diaries the 200 pages ke, matlab 400 pages ka likha hua tha Abhi ne…. Abhi jaldi jaldi pannon ko ulath pulath karke dhundne laga kahin Ruhi ne kuch likha hoga… magar kuch nahin dikha….. aur HAAN ABHI KHUSH HUA KE RUHI NE PERFUME RAKH LIYE THE…. SIRF RAHIMA KO PATA THA KE EK GIFT THA JO RUHI NE APNE JEB MEIN RAKHA THA…. KISSI KO USSKE BAARE MEIN NAHIN PATA THA, MATLAB RUHI NE ABHI KA DIYA HUA PERFUME APNE PAAS HI RAKHA….!

Abhi bahut kush hua kyunke Ruhi ne usski di hui ek tohfa to apne paas rakha! Wo “Soir De Paris” “Bourgeois” wala bahot mehnga perfume…. Abhi pir khayaalon mein kho gaya sochte hue jiss din ko Ruhi ne pucha tha uss se ke kia perfume use karte ho aap kitni achi smell arahi hai….. tabhi Abhi ne ussko kaha tha ke ek din wo usske liye wo perfume kharidega…. Aur wo kharid liya Abhi ne aur de bhi diya Ruhi ko….. Abhi yeh bhi sochne laga ke jiss waqt Ruhi ne wo perfume liya hoga, sungha hoga to uss se Ruhi ko Abhi ki yaad zaroor aayi hogi… usskko yaad aya hoga kiss din ko Abhi ne uss se kaha tha ke wo usske liye wo perfume kharidega….. matlab udhar Ruhi bhi Abhi ko ab, tab tak sochegi jab tak uss perfume ko use karegi….. Abhi iss baat se bahot khush tha.

Uss din ghar wapas jaane ke baad Abhi ne phir se diaries ke har ek panne ko ghuma kar dhunda ke kahin Ruhi ne kuch likha to nahin hoga… magar ussko kuch nahin mila…. Aur Abhi ne apni daily diary mein ab likha kiss date ko usko Ruhi ko di hui diaries wapas mili….

**********************************************************************

Kuch din baad Abhi phir gaya milne Samioullah broker se. aur uss se ussne bade board of director ka pata liya aur uss se milne gaya….. Abhi apne saath tamaam unn buss ki photos legaya dikhaane ke liye.

Director se mila aur samjhaya ke wo us company ko reopen karwana chahta hai, ussko experience hai aur wo company ko chala paega.

Director ne itna jawaan ladke ko itna door ki sochne ke liye badhaiyan diye aur kaha ke kum se kum half crore hona chahiye usske paas start karne ke liye, ussko aadha crore deposit karna hoga tab wo usske haq mein baat karega executive members se.

Abhi ne samjhaya ke usske paas utna paisa nahin hai aur director se hi kaha ussko raasta dikhaane ke liye ke ussko kia karna chahiye aur kaise ussko half core mil sakta hai.

Director ne kaha ke bank se loan lena padega, bank ussko half crore de dega jissko wo 15 saal ke andar repay karega kiston mein…

Abhi ne director se saare raaste puche ke kia kia karna padega kahan kahaan haat laat maarna hoga uss sapne ko pura karne ke liye…

Director Abhi ke madad karne ke liye tayyaar tha iss liye ke wo Director young entrepreneurs ko promote karta tha, to ek well established business man ko uss company ko chalaane ke bajae Director Abhi ko promote karna ziada passand karta kyunke Abhi naya tha, naya josh, naya khoon aur aage badhne ki chaah dekha tha Director ne Abhi mein….

Last wala raasta tha ke apne baap ki zammen ko bank mein mortgage karna padega tab half crore bank dega company ko start karne ke liye….

Ab Abhi wahan se ghar gaya….. ussko pata nahin tha ke usska baap samjhega bhi aur zameen ko mortgage karne ke liye tayyaar hoga bhi ya nahin…..

Apne baap se baat karne se pehle Abhi ne Naina se kaha,

“Naina tu chahti hai ke main Ruhi ko bhool jaun?”

Naina: “bilkool wohi chahti hoon bhai, kia karna usska, goli maaro nah bhai!”

Abhi: “aur tu chahti hai ke main shave karun?!”

Naina khush hote hue, Abhi ke chehre mein hansste hue dekhte hue kaha,

“chhee bilkool acha nahin lagta yeh daadhi tum par bhai, shave kakro nah, 5th Januray ke baad shave nahin kiye ho!”

Aur Abhi gaya aine ke saamne, shaving foam lagaya aur shave karne ke baad Naina ke saamne aya…..

Naina Khushi se jhoom uthi aur zor se thumke lagaate hue kaha,

“Mera bhai thik ho gaya ab lag raha hai mera bhai, normal pehle ki tarah….. woohoo!!!

Kia abhi ne sach mein Ruhi ko dil se nikaal diya? Ya sirf apne ghawalon ke liye, doston ke liye normal dikhne ke liye aisa kar raha tha? kia sach mein wo apne dil se Ruhi ko mita paega? Yeh waqt bataega ek din.

To be continued…. (2305 words)

Great to read that Abhi has decided to move on.
He is right. For how long will he keep lamenting for Ruhi who does not care for him.
So Mehboob returned the diaries to Abhi and Abhi did not find the perfume which meant that Ruhi kept it. Does Ruhi love expensive gifts thats why she kept the perfumes? Or did she just keep it as its precious gift from Abhi to her?
And Abhi decided to shave and he shaved off Ruhi off his brain also it seemed.
Good to see him thinking big to reopen the garage he worked before.
Hope he will be successful.
Very nice update Casinar ji. Keep it up.
 
shambhu

Banned
498
4,680

Bahut khushi hii bhai.
Ab abhi kuch kar dikhaaega :woohoo:
Bahut badhya update :vhappy:
 
Vikram singh rana

Active Member
509
3,075
138
Update 43 Working At Another Place

Abhi ne ab rona bandh kar diya tha, lagta tha usske saare aansoo ab sukh gaye the.

Wo kuch din baad royal cinema gaya ek movie dekne, aur uss supermarket mein Mahesh ko dekha, Mahesh ne bhi Abhi ko dekha magar ek dusre se kissi ne baat nahin kiye.

Abhi ne ab apne personal diary mein likha,

“My eyes do not cry now but my heart weeps, and when the heart weeps not tears come out but only blood. My heart bleeds and I am bearing it. It is very hard, it aches, it pains, I suffer, but I got to bear. But now I do not cry, let the heart keep crying inside, no one will see that.”

*************************************************************

Agle din Abhi kaam karne gaya aur wo kaam finish kiya aur kal se ussko uss jagah kaam par jana tha jo Ruhi ke ghar se 10 kms ki doori par tha…. Jab Abhi Ruhi ki aangan mein kaam kar raha tha to yeh wala bus owner aya tha Saeed aur Abhi ko kaam karte hue dekhne aur uss ne apne bus ko repair karne ke liye kaha tha…. matlab kal se Abhi ko bus mein Ruhi ke aangan ke saamne se guzarna hoga agle 1 mahine ke liye kyunke wahan ka kaam ek mahine ke liye tha…

Aabhi ko bilkool mann nahin tha uss taraf kaam karne jaane ko aur saeed se kaha bhi magar saeed ne kaha ke uss taraf dehna bhi nahin buss ke dusre side mein baithna…. Kaam to karna hai, tum Ruhi ke aangan mein thoda hi jaa rahe ho!

Aur subha ko jab Abhi wahan se guzra bus mein to kia aalam tha, kia feeling thi, wo bayan karna bahot mushkil hai… Abhi ko turant buss se utarne ka mann kiya…. Ussi bus stop par har subha 6 baje ajata tha nah? To ussko wo nostalgic feel hua… ussko laga ke ussko wahin utarna chahiye tha, aur Ruhi ki aangan mein hi jana chahiye tha…. shukar hai ke sirf 2 mins ke liye bus uss bus stop par ruka koyi utra phir bus aage badhne laga….

Wo jo subha ka fiza hota tha jab har subha ko Abhi aya karta tha subha savere Ruhi ke khidki par uss se baat karne ke liye… wohi atmosphere ab bhi tha kyunke ussi time ko Abhi guzra tha aaj phir bus se…. ussne ek nazar Ruhi ki angan mein dekha bhi jab bus guzra to magar sirf 2 seonds ke liye wo hua, aur sirf aangan aur Ruhi ka ghar nazar aya Abhi ko, aur bagiche mein phool dikhe…. Abhi ne socha ab pura ek mahina weise guzarna hai ussko to ussko umeed tha ke ek din Ruhi zaroor dikhega ussko uss aangan mein ya garden mein ya apni kitchen ki stairs par……

Usski galiyon mein jaan chorr diya Abhi ne magar ab majbooran ek mahine ke liye kaam ke silsile mein jana par gaya Abhi ko…. Phir isske baad bilkool gaya hi nahin uss taraf saalon tak….

Magar iss ek mahine mein kafi kuch dilchasp jaankaari milne wala tha Abhi ko Ruhi se related…. Kyunke jahan ab Abhi kaam karne jaa raha tha wahan bhi George aur Sunil ayenge apne kaam karne ko ussi bus mein!!

Uss jagah kaam karne ke liye har subha aur shaam ko bus Ruhi ki main road se guzarta, aur har din do baar Abhi usske ghar ke taraf dekhta. Halaan ke kuch ab expect nahin karta tha magar ussko yakeen tha ke kissi din to Ruhi ki jhalak zaroor dikhega usse. Shaam ko hamesha Ruhi aur usski maa kitchen ke stairs par hua karte the yeh pichle dhai mahinon mein Abhi ne dekh to liya tha iss liye ussko pata tha ya to kabhi shaam ko ghar lautte waqt ya subha ko Ruhi ko baad mein zaroor dekhega….

Aur hua wohi in 30 dinon mein 5 baar Abhi ne Ruhi ko stairs par dekha, sirf kuch pal ke liye aur 2 din subha ko kaam par jaate waqt baagh mein phool todte hue dekha Abhi ne… usske dil par kia guzra, kaisa feel hua ussko kia bayan karne laayak hai? Nahin. Bilkool bhi nahin. Phir bhi jaan lo ke Abhi ko turant bus se utar kar Ruhi ke paas jaane ko mann kiya uss se sirf ek sawaal karne ka mann kiya ke kyun uss din wo nahin nikli jab Manoj ussko dhitkaar raha tha…..

Pehli baar jab subha ko Abhi ne Ruhi ko dekha to khud se kaha ke ussko bus se utar kar jaana chahiye tha wo sawaal puchne, magar nahin gaya to socha phir kabhi subha ko wo dikhi tab Abhi zaroor utrega bus se aur jaega uss se puchne.

Aur jiss din dusri baar ussne Ruhi ko dekha garden mein to Abhi bus se utra, chal kar usski aangan tak gaya, Ruhi ko dekha, magar turant wapas bus stop par laut gaya….. usse himmat nahin hui uss aangan mein apne kadam rakhne ki…..

Aur ek din subha Abhi kaam par jaate waqt bus ke andar se Manoj ko dekha main road ke kinare khade aangan ke paas, aur Manoj ne bus ke andar dekha aur usski nazar Abhi par pada, bus aage ke bus stop par ruka aur shaayad Manoj ne socha ke Abhi phir wahan araha hai, to wo wait karne laga dekhne ko ke kaun bus se utar raha hai, aur bus ke andar se mudhkar Abhi bhi Manoj ko dekh raha tha, Abhi samajh gaya ke Manoj yehi soch raha hoga ke wo wahin araha hai phir se usski behen se milne ke liye, Manoj ka chehra uss waqt thoda fikarmand lagne laga tha….. magar bus restart hua aur jaane laga aage badhte hue, to Manoj ko pata chala hoga ke Abhi kahin uss taraf kaam kar raha hoga….

Ab Abhi ne dil hi dil mein socha kia pata Manoj ko uss din ke vyohaar ke liye afsos hai aur wo chahta tha ke Abhi phir aye aur wo Abhi se maafi maange aur uskso Ruhi se milaa de…. Kia pata ke Manoj par sab ne milkar chilaaya hoga, kia pata ke Ruhi ne uss se baat karna chorr diya hoga uss din ki vyohaar ki vajah se aur tab Manoj ne Ruhi se kaha hoga ke thik hai Abhi iss baar ayega to uss se maafi mang lunga aur tum mil lena uss se….. Abhi optimist aadmi tha to hamesha bhala hi sochta tha, positive hi sochta tha iss liye usske liye sab sahi ho sakta tha….

Aur unn 30 dinon mein jab Abhi ne us taraf kaam kiya total mein mein 7 baar Ruhi dikhi aur ek baar Farzinah ko bhi dekha Ruhi ki kitchen se nikalte hue magar sab se jiada ek din Ruhi ko tab dekha jab shaam ko jaate waqt ek truck ruka huya tha bus ke aage traffic block the aur bus thik Ruhi ke aangan ke saamne ruka tha koyi 4 mins tak….. Abhi seedha Ruhi ke kitchen ki stairs ko dekh raha tha apne chehre par rumaal rakh kar aur Ruhi ki maa dikhi thi stairs par, phir Mahesh dikha tha aur phir Ruhi dikhi thi stairs par aur wo seedha bus mein hi dekh rahi thi… bus se usski stairs tak ka faasla koyi 12 metres ka hoga…. Ruhi udaas kadhi dekhti rahi Abhi ke taraf, magar pata nahin Ruhi ne Abhi ko bus ke andar pehchaan liya tha ya nahin…. Jiss nigaah se Ruhi dekh rahi thi lagta thar ro padegi, Abhi ne apne chehre ko rumaal se dhankka hua tha, usske khud ke aankhen bhar aaye Ruhi ko dekh kar aur kyunke 4 mins tak mauka mila ek dusre ko dekhne ke liye, to Abhi ke mauke ka faeda uthaate hue ussko dekhta gaya, ab Ruhi ne shayad Abhi baal se, usske peshaani se, usske rang se Abhi ko pehchaan liya tha, issi liye khadi dekhti rahi jab tak bus aage nahin badha… Ruhi stairs par khade hokar apne kaandhe aur sar ko darwaze se tika diya tha bus mein dekhte hue…. Aur jaise usski aadat thi jab bus jaane laga to Ruhi ne aasmaan ko dekha aur… Abhi ko yakeen tha ke usske baad usski aankhen bhar aaye honge kyunke jab bhi wo weisa karti thi usski aankhen bhar aate the….. pata nahin kyun wo weisa karti thi…. Sar upar uthaakar aasmaan ko dekhti aur sar wapas jhukaati to usski aankhen bhare hote…. Pichle dhai mahinon mein Abhi ne Ruhi ko weisa karte 20/25 baar dekha hoga…. Abhi ne jaate hue bus mein socha ke shaayad ab Ruhi iss waqt usse dekh kar unn dinon ko yaad karne lagi thi, aur ho sakta hai Ruhi pray kar rahi hogi ke kaash Abhi bus se utar kar wahan aajaye…hakikat mein Abhi ka mann wohi chahta tha, ussko turant bus se utar kar bhaag kar wahan jaa kar Ruhi ko apne baahon mein jakarne ka maan kar raha tha….

Agar uss din Manoj ne uss tarah se Abhi ko nahin nikala hota, at least ache se araam se baat karke ussko wapas jaane ko kaha hota ya ek dosti banaaye rakhne ko kaha hota to aaj Abhi zaroor Ruhi se as a friend to milne jaata!!

Ye sab sochte hue Abhi uss din Ruhi ki yaad mein ghar pahuncha aur phir se usski yaad mein peene gaya….

*********************************************************************

Kaam mein jiss din Sunil se mila Abhi to Abhi uss se baat nahin kar paaya, ro diya Abhi ne usse dekhte hi… aur yehi din tha jab Sunil ne Abhi ko bataya ke uss din Ruhi ki maa ne Sunil se kia kaha tha aur uss din Sunil ussko nahin bata paaya tha kyunke Mehboob wahin tha to Sunil nahin chahta tha ke uss waqt Abhi aur Mehboob mein ladaayi ho. Sunil ko pata tha ke abhi hot tempered hai aur wo bardasht nahin kar paata aur ussi waqt wo Mehboob se lad leta…. Magar ab sab bataate waqt sunil ne kaha,

“Mujhe ussi waqt tumko shayad bata dena chahiye tha, aur sab ussi waqt saamne aajata to shayad aaj Tuhi teri hoti, tu shor machata, ghussa karta Mehbob se ladta magar tab Ruhi aur usski maa ko sab pata chalta to shayad tab Ruhi tumse aur khush hoti ke tum ussko paane ke liye lad baithe the….”

Sunil ne bataya ke uss din Ruhi ki maa ne uss se kaha tha ke Mehboob ne ussko kaha tha ke Abhi Ruhi ke liye thik ladka nahin hai, Abhi kaam nahin karta bekaar hai, Abhi sirf saeed ke kehne par kaam karne aya hai aur yahan sirf Ruhi ki vajah se regularly kaam par araha hai, varna jahan bhi kaam karta hai hafte mein do din kaam karta baaki ke din mauj masti karta hai, upar se gharib hai, bahot gharib hai, Ruhi ko wo khush nahin rakh paega, Ruhi usske ghar mein kabhi khush nahin rahega usski do behnein hein aur 4 bhai, ghar chhota hai kahan rahegi Ruhi ek kamre mein 4 bhaiyon aur do behnon ke beech? Dhang ka kam hi nahin to Ruhi ka kia haal hoga uss ghar mein…..

Aur sunil ne yeh bhi bataya ke Ruhi ke saamne yeh sab kuch kaha tha aur Ruhi se bhi kaha tha ke khabardaar uss se ziada baat kiya ya ussko badhawa diya to…. Abhi se door rehne ko order diya tha Mehboob ne.

Abhi ne sab sunte hue Sunil se pucha,

“bhai itna bata sakte ho ke yeh hua kab tha? kab Mehboob ne yeh sab kaha tha Ruhi aur usski maa se? usski nani ke ghar jaane se pehle ya baad mein?”

Sunil: “yeh to exactly nahin pata bhai, magar yehi sab kaha tha uss din usksi maa ne mujhse jiss din Ruhi tere gale milkar ro rahi thi jab tere ungli mein dawa laga rahi thi”

Abhi: “yaar yeh sab baatein kyun Mehboob ne kaha tha Ruhi aur usski maa se? yeh sab to bilkool JHOOT hai yaar!”

Sunil: “ab sun Abhi aur ek baat hai jo mujhe kehne se daarr lag raha hai, pehle mujhe promise kar ke tu chhup rahega aur kissi ko kuch nahin batayega aur nah kuch kahega… bilkool ek intelligent aadmi ki tarah baat sun aur buss aisa behave karna ke tujhe wo baat bilkool pata hi nahin….”

Abhi ne promise kiya ke chhup rahega aur buss aisa karega ke ussko kuch pata hi nahin, tab sunil ne kaha,

“Abhi yaar, sab tere Saeed ji ka kiya karaya hai…. Ek din Saeed aur usski maa mein baat hui thi. Ruhi ki maa ne saeed se pucha tha ke tu kaisa ladka hai iss liye ke usski beti tujhse pyar karne lagi hai…. Shuru mein Saeed ne kaha tu thik ladka hai magar baat karte hue Saeed ne kaha ke tu kaam nahin karta, bhagta rehta hai kaam se sirf yahan Ruhi ki vajah se har roz kaam par ata hai aur tera ghar chhota hai, tere kitne bhai behen hein aur Ruhi ko utne saare logon ke saath tere ghar mein rehna padega…. Matlab saeed ne Ruhi ki maa ko tere ghar mein beti dene se discourage kiya tha, aur yehi sab batein saeed ne mehboob ko bhi bataya tha… aur donon Mehboob aur saeed ne milkar tera patta kata hai bhai!”

Abhi: “Yaar main har roz wahin rehta tha kab unn logon ne itne saare baatein kar liye the Ruhi ki maa ke saath yaar?!

Sunil: “jab tu lunch time mein Ruhi ke saath hua karta tha ghar ke piche tab teenon udhar aapas mein baat kiya karte the Abhi, wo main ne bhi dekha hua hai!! Unn dinon main samajh raha tha ke sab yehi baat karte the ke tu aur Ruhi chhup chhup kar milte ho etc….”

Abhi rone laga yeh sab sunkar aur aaj Abhi ko sunil ka kaandha mila rone ke liye….

Baad mein sunil ne kaha,

“Mujhe pata chala ke tu gaya tha wahan aur Manoj ne tujhe wapas bheja, sab bataya mujhe usski maa ne yaar bahot afsos hua mujhe…”

Abhi: “usski maa ne tujhse uss din ke baare mein aur kia kaha Sunil mujhko sab sach sach bata please, meri Ruhi kahan thi wo kyun nahin aayi thi yaar?”

Sunil: “bhai detail nahin diya ussne, buss kaha ke tu aya tha aur Manoj ne tujhse buri tarah baat kiye aur tu bina kuch bole chala gaya… kaha ke sab log naraz iss liye the tujhse ke tu usski chachi ke ghar gaya tha baat karne kyunke wo log uss chachi ko bilkool passand nahin karte, uss chachi ne pata nahin kia aag lagaya tha ke Ruhi ki maa, baap aur manoj bhadke hue the, itna pata chala ke uss roz Ruhi bahot ro rahi thi au usski maa ne ussko tujhse milne ko mana kiya tha aur usske pita ne bhi, issi liye pita tujhse milne nahin aya tha kyunke tu usske bhai ke ghar gaya tha….”

Abhi: “kamaal hai yaar khud apni beti ko us chachi ke ghar rehne ko bhejti hai aur ussko passand nahin karti? Ruhi ki maa ne khud mujhe bataya tha ke Ruhi usske ghar rehne gayi hai jaise mujhe Ruhi se milne ka ishara kar rahi thi last day ko…. Khud manoj bekaar hai apne ussi chacha ke supermarket mein kaam karta hai aur ussko passand nahin karte weh log?!”

Sunil: “Abhi yaar hota hai nah family mein, log ek dusre ke tarraki se jalte hein to wo sheher wala chacha aur chachi well off hein to inn logon ka jalta hoga khaas kar Ruhi ki maa ki….”

Abhi: “bhai kia aage kuch ho sakta hai? Tu mere liye kuch kar sakta hai?”

Sunil: “Abhi meri baat maan to tu bilkool bhool ja Ruhi ko, nikaal feink apne dil se ussko, tujhe bahot saari ladkiyan mil jaenge yaar!”

Abhi: “bhool to nahin paunga bhai, pyar bhi karta rahunga umar bhar…. Milna likha hai kismat mein to milegi…. Varna aise hi kaat lenge zindagi ko yaar kaun si badi baat hai….”

Sunil: “haan 4th ko main bhi gaya tha picnic sab ke saath Ruhi bhi thi aur Ruhi se pucha tha main ne kia tujhse sach mein pyar karti hai, haan kaha tha ussne sharmaate hue aur kaha tha ke tumne uss se likha tha ke tu,3,4, ya 5 ko usske ghar ane wala hai, aur ussko fikar thi ke kahin to 4 ko nah jaaye wahan kyunke sab sea side par the… aur Ruhi ne tere baare mein kaafi baaten kiye the George ke saath, mujhe aur George ko pata tha ke tum aur saeed yahan iss bus mein kaam karne ane wale ho to main ne George se kaha ke tu jab yahan uss se milega tab wo tujhe bataaye ke Ruhi ne kia kaha ussko tere baare mein, to kal ya parson George iss bus ki engine ko check karne aaega to wo tujhe bataayega…..”

Abhi: “George se kia baat kiya Ruhi ne mere baare mein? Aur kyun?”

Sunil: “are wo sab dekhti thi nah ke tum kiss kiss ke dost ho? to Ruhi ko zaroor pata tha ke tum George ka acha dost ho issi liye ussne usske saath tere baare mein baat kiya shayad koyi message bhi diya hai George ko tujhe dene ke liye!!”

Abhi ko Khushi bhi hui gham bhi yeh jaan kar ke Ruhi ne koyi message bheja hai George ke saath, magar it’s too late kaha Abhi ne….. agar message 5 tariq se pehle milta to koyi baat hoti ab to bahot der ho chuka hai….

****************************************************************

George mila do din baad to Abhi ne uss se baat kiye.

George ne kaha,

“Ruhi ko pata nahin kaise pata tha ke tum aur hum dost hein, main khud keyraan hua jab picnic wale din ko wo mere paas aayi aur pucha ke kia mujhe pata hai ke Abhi kahan rehta hai….”

Abhi heyraan hua aur George se pucha,

“magar kyun mera pata pucha tumse George?”

George: “are pata nahin pucha, ussne mujhse kaha ke tum ne ussko kaha tha ke 5th tariq ko tu wahan ane wala tha to ussne mujhse kaha ke tum ko bol dun ke 5th ko nahin ane ko wo baad mein bataegi ke kiss din ko ana!”

Abhi: “What? 5th ko nahin ane ko kaha? Are yaar to tu ne mujhe contact kyun nahin kiya kissi tarah se bhi yaar? Mujhko bata dete nah yaar kissi tarah se bhi George?!”

George: “bhai 4th tariq ko der saam ko hum ghar laute picnic se… mujhe iss liye chalne ko kaha tha ke kahin bus ki engine mein koyi problem ho to main bana sakun….. ab raat ko kaise main idhar se tere paas ata? Main ne socha ke 5th ko subha ek dost ki car lekar tere ghar aakar tujhe bataunga, magar itna baarish hone lagi thi ke nikalna namumkin tha yaar!”

Abhi: “yaar George pata nahin kyun aane se mana kiya tha 5th ko?! Kuch to baat hui hogi nah….. to kia tumne uss se kaha tha ke tu mujhe bata dega?”

George: “nahin main ne uss se kaha ke main bahot door rehta hoon, ussne mujhse pehle pucha ke kia main tera ghar jaanta hoon kidhar hai, to main ne kaha ke haan jiss raat ko last din bus complete hue the to hum tujhe chorrne gaye the to tera ghar dekha tha. tab ussne kaha ke kia main ussko madad kar sakta hoon kyunke main tera dost hoon to madad karna padega to main ne kaha ke haan madad karunga….. main ne socha tha ke koyi letter vaghaira degi tujhe dene ke liye, magar jab ussne kaha ke tujhse milkar tujhe batana hoga ke agle din tujhe nahin ane ko wahan to main ne usse bataya ke naamumkin hai, kyun ke kal 5th hai aur aaj 4th to ek din mein kahan se jaa paunga tujhe bataane ko…. To wo samajh gayi ke nahin ho paega…. Phir bhi main ne socha tha ke agle din subha ko main ata tujhe bataane…. Magar baarish ki vajah se nahin aaya.”

Aaur kuch pucha ya kaha tha mere baare mein ussne tujhse George?

George: “hmmm pucha tha ke tera ghar kaisa hai hehehehe!”

Abhi ne muskuraate hue pucha,

“aur tum ne kia kaha?”

George: “main ne kaha raat ke 1 baja tha to thik se nahin dekha”

Abhi: “phir kia boli?”

George: “pucha ke concrete ka ghar hai ya tin aur ladki ka!”

Abhi: “Aur tum ne bola??”

George: “haan main ne bata diya ke concrete ka bada ghar hai aur main road par hai.”

Abhi: “tab kia boli?”

George: “khush dikhi aur muskura diye, tab ussko usski maa ne bula liya.”

Abhi heyraan aur pareshan hua ke aakhir kia baat hui hogi.

Phir kuch der baad George ne kaha,

“Abhi wo ladki tujhe bahot pyar karti hai, ussko dhoka mat dena, tu usske saath bahot khush rahega.”

Abhi: “tujhe nahin pata kia hua hai George?”

Tab sunil ne George ko sab bataya jo 5th tariq ko Abhi ke saat hua…..

George heyraan hua aur yaad karte hue kaha,

“Magar Ruhi ne to mujhse kaha tha ke usska chacha aur chachi against hai magar usske gharwale raazi hai.. aur haan sun Abhi, ek baar wo Reza Ruhi ko kuch bol raha tha to Ruhi ne ussko ghusse mein gali diya tha aur shut up kaha tha uss din.”

Abhi: “chorro yaar ab yeh sab baatein mere kiss kaam ka sab khatam ho gaye hein….”

George ne aur yaad karte hue kaha,

“haan ek baar jab hum wapas arahe the to bus mein Ruhi ne mujhse kaha ke ‘abhi bahot acha ladka hai, nek hai, honshiyaar aur bahot tez hai hai nah?’ to main ne uss se kaha haan sach mein tez hai, intelligent hai, tumhare liye bahot sahi hai, tum donon ki jodi bahot achi rahegi”

Abhi: “tab kia boli?!”

George: “hanssi bahot khush thi aur thank you kaha.”

Abhi: “George to kishton mein kyun bata raha hai sab bata nah aur kia kia kaha tha Ruhi ne tujhe?!”

George: “Buss yehi kuch aur yaad aega to bolunga nah!”

Abhi ko bahot Khushi hui, ussko yakeen tha ke usska pyar kabhi ghalat nahin ho sakta, Abhi ko pura yakeen tha pehle se hi ke Ruhi uss se bahot pyar karti hai….. magar ab kia faeda…..

To be continued….
Woooooowww......
Very well written and beautifully described act.....

Thoda bahut suspence bhi tha......jis tarah se George or Sunil ne baate bataayi us hisaab se kisi ki bhi baat puri tarah sach nahi hai.......

Ab baat karte hai details ki to........
Abhi ki baat sahi he.....aankhe rona bnd kar deti hai....ak samay ke baad.....lekin mann or dil jab bhi wo samay wo naam yaad aata hai ....ya baad rone lagta hai......

Isliye nahi rota ki hamaare saath ye sab hua tha.....balki iss liye rota hai ki hamaare saath hee aisa kyo hua.....hamne kisi ka kya bigada tha......bas andar se rone waale ki aankhen hee bata sakti hai.....uska haal....OR ye chij har koi nahi samajh sakta......

Ruhi ki gali uska ghar ka aangan uska wo raasta Abhi ke dil ke kareeb hai.....wanha ki hawaaye bhi Abhi ko Ruhi ka ahsaas dil aati hai.....
Aise situation me dobara uss jagah jana.....dil or dimaag dono ko hilaane ke liye kaafi hai......

Manoj ki face reaction.....Abhi ke prati Manoj ki nafrat ko dikhata hai.....
Like se koi kisi se chid kar karta hai.....ye sala phir se aa gaya.....

Iss situation me bhi Abhi positivity saath lekar chal raha hai.....ki ho sakta hai ki Ruhi or family waalo ne Manoj ko dhamkaya ho.....

Jis se Manoj ko bhi guilty feel hua ho.....OR ho sakta hai ki wo abhi se maafi maang le......
Pr Abhi ki ye soch usi situation me sahi hai jab Ruhi ne aisa kaha ho.....lekin Ruhi ke us samay ke act se aisa bilkul nahi lagta ki usme resist karne ki jara bhi power hai.....
Lekin wahi baat ak Abhi ka pyar use ye sab sochne par mazbur kar raha hai......

Obviously Ruhi ne pahchan liya abhi ko.....kyoki jinhe hum dil se maante hai unke hone ka ahsaas khud hee ho jata hai......

Ruhi ro rahi hai.....iss par nahi ki abhi use se dur ho gaya.....na hee iss liye ki abhi ko dutkar kar nikala gaya.....
Uske aansu uski mazburi ko dikhaate hai.....sabki chahta sochte- samjhte.......jaante hue bhi kuch na kar paane ka ahsaas....bebas hone ki stithi.....

Ye hai Ruhi ki mazburi.....na wo kuch kar sakti hai na wo kuch badal sakti hai.....bas ghutan sakti hai khud mai.....

Sunil ne aakhir saari baat Abhi ko bata hee di.....lekin mere hisaab se.....Jo bhi sunil ne bataya hai usme har line mai hee gadbad hai.....

Ak bar ke liye Mana ki Mahboob or saeed ne hee aag lagaati hai......OR mahboob ke pass to motive bhi hai.....ki Ruhi uski bhatiji jaisi hai or jab saeed ne use Abhi ke baare me galat galat bataya to usne 2 face ka kaam kiya or Ruhi ki maa ko bhadka diya......maan liya.....

Lekin saeed.....Saeed ke pass konsa motive hai.....Abhi khud saeed ki kamaai ka jariye hai.....yanha tak ki abhi ke kaaran hee use mahboob se 2 ki jagah 3 laakh mila hai.....
Ak bar ke liye iss baat ko maan lete hai ki abhi se hui ladaai or paise ke laalach ke liye wo aisa kar sakta hai.....
Lekin ye bhi itna bada reason nahi hai.....
Phir bhi ise hee sach maan kar chalte hai....tab ye baat aati hai ki.....

Ruhi ki maa ki baat ka bhi puri tarah vishwas nahi kiya jaa sakta......OR phir kai bar aadmi khud bachne ke liye bhi to dusro par ilzam laga deta hai.....

Ab baat kare Ruhi ki chachi ki to......janha tak mujhe yaad hai chachi ka first intro tab hee aayi tha jab Ruhi ke udhar jaane ki baat hui thi......us se pahle bas ye hee bataya gaya tha ki Ruhi ki ak chachi bhi hai.....OR Shweta uski beti hai.....bas itna hee.....

Sunil ke hisaab se chachi galat hai....lekin kaise jabki Ruhi ke wanha jaane se pahle na kabhi chachi Ruhi ke ghar aayi na kabhi ye log uske ghar gaye.....phir usne kaise kiya....
Aisa to hai nahi ki wo roj ghar aakar chup kar dono ko dekhti thi or phir Ruhi ke ghar waalo ko bhadka kar chali jaati thi.....not possible

Ruhi ki maa ne bataya ki chachi ne aag lagaya tha maan liya.....lekin chachi ke pass to Abhi Ruhi ke jaane ke baad gaya tha...mm lekin uske pahle jo sab naatak hue....uska kya....

Ise mere hisaab se ....ham ise aise dekh sakte hai ki......

YANHA RUHI KI MAA NE BADA GAME KHELA.....KAISE.....BATATA HU....
RUHI KI MAA NE CHACHI KE DUKAAN OR SHAHAR KE BAARE MAI KHUD ABHI KO BATAYA.....USE ACHCHI TARAH PATA THA KI ABHI WANHA JARUR JAAYEGA.....

PHIR ABHI WANHA GAYA OR CHACHI SE MILA.....OR JAB ABHI PHIR RUHI KE GHAR AAYEGA TAB WO ABHI KO BATA DEGI KI
ABHI BINA PUCHE BATAAYE CHACHI KE GHAR GAYA ISLIYE WO SAB NAARAAZ HAI.....OR CHACHI KE UN PAR CHILLANE SE GUSSA BHI.....OR ISILIYE WO ABHI SE KOI CONNECTION RAKHNA NAHI CHAHTE....

OR PHIR RUHI KI MAA NE YE BAAT SUNIL KO BATAI...TAAKI SUNIL ABHI KO BATAYE.....
AB GHAR WALA KOI HO TAB TO ABHI USE SAMJHAYE BHI.....LEKIN CHACHI KA WO KYA KAR SAKTA HAI.....

PHIR WAHI BAAT KHUD BHALE RAH KAR DUSRE KO VILLAIN BANANA...

George se Abhi ki taarif ki Ruhi ne.....good lekin jab usi Abhi ko kutte ki tarah jaleel kar ghar se nikala jaa raha tha.....
Tab kya Ruhi ke liye Abhi achcha.....pyar karne waala.....nek dil....intelligent nahi tha......
Jo hame dil-o-jaan se chahta ho use koi itni buri tarah be izzat karke nikaale.....to ye apne liye maut ke barabar hota hai.....

Us waakye ke baad Abhi khud badal gaya hai....gambhir ho gaya hai.....
Lekin Ruhi har baat has kar ya muskura kar....kar rahi he......jaise uske liye ye koi normal baat ho.....

Ruhi ne bhi chachi ko hee galat bataya lekin maine chachi ki position pahle hee clear kar di hai...

Khair dekhte hai aage kya Hota hai......
Anyways
Very good update
Thanks........

Ha kuch or bhi bacha hai aaj.......
Abhi: “chorro yaar ab yeh sab baatein mere kiss kaam ka sab khatam ho gaye hein….”
Abhi ki iss baat par.....

******हम तो चलते हैं लो ख़ुदा हाफ़िज़******

हम तो चलते हैं लो ख़ुदा हाफ़िज़
बुतकदे के बुतों ख़ुदा हाफ़िज़

कर चुके तुम नसीहतें हम को
जाओ बस नासेहो ख़ुदा हाफ़िज़

आज कुछ और तरह पर उन की
सुनते हैं गुफ़्तगू ख़ुदा हाफ़िज़

बर यही है हमेशा ज़ख़्म पे ज़ख़्म
दिल का चाराग़रों ख़ुदा हाफ़िज़

आज है कुछ ज़ियादा बेताबी
दिल-ए-बेताब को ख़ुदा हाफ़िज़

क्यों हिफ़ाज़त हम और की ढूँढें
हर नफ़स जब कि है ख़ुदा हाफ़िज़

चाहे रुख़्सत हो राह-ए-इश्क़ में अक़्ल
ऐ "ज़फ़र" जाने दो ख़ुदा हाफ़िज़

Once again
Thanks.....
 
Suparseupar

Banned
318
3,366
123
Update 46 Abhi Got back The Diaries & He Does Things

Kayi dinon se Sunil, Tony aur baaki ke log Abhi se apne daadhi shave karne ko kehte rahe the, sab uss se kehte ke wo clean shaven kitna handsome dikhta hai aur wo daadhi uss par bilkool suit nahin karta dangerous look banta tha usske uss daadhi se…. magar Abhi ne shave nahin kiya 6 mahine ho chuke the.

Dusre din Saeed ko jana tha Mehboob se milne kissi kaam se to Abhi ne ussko kaha ke usska parcel lekar ajaye Mehboob se. Saeed ne kaha thik hai aur chala gaya.

Saeed ke jaane ke baad Sunil ne Abhi se pucha,

“kia tu ekaat doston ke saath Ruhi ko utha nahin sakta sach mein jaise Rahima ne kaha?”

Abhi ne muskuraate hue jawaab diya,

“Sunil bhai, mujhe kissi ki bhi zaroorat nahin Ruhi ko uthaane ke liye, ek to bahot halki hai wo kayi baar utha chuka hoon ussko…. Aur mujhe koyi nahin chahiye agar ussko usske ghar se uthana pade to. Main akele kaafi hoon ussko utha ke ek taxi mein bithane ke liye…. Din mein agar kabhi wahan jaun to wo aur usski ma akeli rehti hai ghar mein, agar koyi mard hoga bhi to uss ghar ka koyi mard mere mukable khada nahin ho sakta, koyi mujhko rok hi nahin paega, mera ek laat ya ek mukka kafi hoga unn teenon ko niche leytaane ke liye….. Magar bhai main weisa karna nahin chahta, main chahta hoon ke Ruhi khud mere paas aaye…. Main chahta hoon Ruhi mujhe wo taaqat dikhaaye, wo mujhko prove kare ke wo mujhko pyar karti hai aur uss mein wo himmat hai mere paas aane ke liye…..”

Sunil: “Bhai Ruhi mein wo taaqat nahin hai, wo kamseen hai, wo aisa nahin kar paegi”

Abhi: “pata hai bhai…. Jiss din main Rahima ko diaries dene gaya tha, ussi din, main Ruhi ko usske maa aur baap ke saamne Ruhi ke ghar mein ghuss kar apne saath leja sakta tha…. aur bhai ek baat bataun? Rahima ne aisa kyun kaha bata?”

Sunil: “kyun? Kyun kaha?!”

Abhi: “Bhai tumne bataya ke wo bhaag gayi thi Mehboob ko chorr kar nah? To Ruhi ke family ke saamne Rahima ki naak kat gayi thi uss waqt thik hai, ab Rahima chahti hai ke Ruhi ki maa aur usski family ke naak katte iss liye wo chahti hai ke main weisa karun…. Unnki aapas ki ranjishein hai bhai main usske liye to yeh sab nahin karne wala…..”

Sunil:”are haan yaar main ne aisa nahin socha tha, tu sahi keh raha hai….”

Sunil ne yeh bhi kaha tab,

“Aur haan kal batana bhool gaya tha tujhe ke Rahima ne yeh bhi kaha tha ke Ruhi ke dada ji ne kaha tha ke kyun itne dinon tak Ruhi aur Abhi ko ek dusre se ghulne milne diya gaya tha, kyun donon ko chhup chhup kar milne deti thi usski maa, aur ab kyun inkaar kar rahi hai, donon ke shaadi kar deni chahiye….”

Abhi: “mujhe pata hai ussko koyi eitraz nahin tha, jiss din mujhe Manoj ne ghar se nikalne ko kaha tha ussi din budhe ne meri shadi Ruhi se karwane ke liye kaha tha, main ne suna tha jab main nikal raha tha wahan se….”

Sunil: “Yaar Ruhi ki maa ko tera kaam passand nahin aur wo samajhti hai yeh kaam permanent nahin hai aur aise kaam se tu ek pura jiwan nahin bita paega, biwi bache nahin paal paega, ussko bade post wale damaad chahiye shayad, ussko paise wala damaad chahiye Ruhi ke liye, main to yehi samjha, Rahima ne bhi yehi kaha tha, aur sach mein Ruhi ki maa aisi hi hai, laalchi hai paison ki aur Ruhi ko bi shaayad weisa hi bana rahi hai ussko bade bade sapne dikhati hogi, ussko amir aadmi se shaadi karne ko kehti hai Rahima ne bataya tha…. Aur mere saath bhi to wohi kiya tha nah unn logon ne bhai!!”

Abhi thodi der soch mein dooba raha phir Sunil se kaha,

“Main kuch aisa karke dikhaunga ke Ruhi ki maa aur Ruhi pachtaegi ek din, tu dekh lena, tu bhi dekhega Sunil…. Main kuch banke dikhaunga unn logon ko!”

Sunil:”kia karega tu Abhi?”

Abhi: “Waqt aane par dekh lena Sunil, abhi kuch nahin bata sakta main tujhe….”

***********************************************************************

Koyi ek ghante baad Saeed aya to dhapadaate hue Abhi gaya usske paas apne diaries lene magar saeed ne kaha,

“Nahin diya Mehboob ne mujhe. Ussne kaha wo khud tumko lautaane aega kyunke uskso tujh se kuch baatein kehni hai… wo ekaat din mein aega idhar tujhse milne tab dega tujhko tere diaries!”

Aur kuch der baad Saeed ne bhi Abhi se baat kiya aur kaha ke Ruhi ki maa ek buri aurat hai ussko bilkool trust nahin kiya jaa sakta. Yeh saeed ne iss liye kaha kyunke jab wo Mehboob se milne gaya tha to Ruhi ki maa ne uss se kuch baat kiye the ke Saeed ko kehna para ke wo bharose karne layak aurat nahin hai.

To Abhi ne pucha kia ussne Ruhi ko bhi dekha wahan.

Saeed ne kaha haan wo bhi apni maa ke saath hi thi.

Aur usske pita ke baare mein pucha to sunil ne kaha ke wo January mein hi wapas S.Arabia chala gaya.

Tab Abhi ne kaha,

“Sala sab ne kaha tha kitna achcha insaan hai; madarchod jhuta hai mujhse kaha tha ke apni beti ko saath lekar jayega!”

Aur Sunil ne phir se kaha,

“Abhi ab jaa shave karle ab, kyun usske liye daadhi chorra hai tumne? Devdaas jaisa look bana rakha hai, jab usske gharwale sab khilaaf hai to bhool ja usse aur kal main tumko clean shaven dekhna chahta hoon!”

******************************************************************************

Aur kuch dinon baad, uss jagah par kaam ka last din tha, aur Mehboob ka bus ruka jahan Abhi aur team kaam kar rahe the. Abhi kissi kaam mein busy tha ussne nahin dekha, to tony ne kaha,

“hey Abhi dekh Mehboob ki bus……”

Mehbob driving wheel pr baitha raha aur Reza bus se utar ka aya Abhi ko bulaane. Jab Abhi gaya bus ke paas….. pehle to Abhi bus ko chaaron taraf dekhne laga, uss bus mein Ruhi ki bahot saare yaadein jude hue the Abhi ke liye…. Abhi ka dil zoron se dhadka, uss bus ko dekh kar…. Abhi buss ke andar ghussa, Mehbob uss se baat karta raha magar Abhi bus ke andar uss hisse mein gaya jahan se wo Ruhi ko apne khidki ya washing stone ke paas dekha karta tha aur udhar se Ruhi ussko jeeb se chidhata tha….. bus ke uss hisse mein Abhi ko ek sukoon sa haasil hua, aur baahar dekha to aisa mehsoos hua ke baahar Ruhi dikhegi ussko…. Magar koyi nahin tha….. tab Abhi ne khud se kaha, ‘sab kuch badal gaya hai, ab yeh bus wo nahin raha, sab badal gaye hein, mujhe bhi badal jaana chahiye ab….’

Mehboob se mila usske baad aur Mehboob ne ussko wo grey envelope dete hue kaha,

“Abhi tu yeh mere ghar chorr aya tha, tumhare amaanat wapas kar raha hoon tujhe…”

Abhi ne bina Mehboob ke chehre mein dekhe hue pucha,

“Ruhi ne padha isse? Ye Ruhi ke liye tha!”

Mehboob ne kaha,

“Abhi agar tujhko Ruhi ko kuch dena hai to tum usske ghar jao, ussko do? Mere ghar kyun gaye aur meri wife ko kyun diya tumne? Tujhe pata hai isske liye donon families mein kitne problems hue Abhi? Bachon jaisa kaam mat kiya karo Abhi, yeh bilkool sahi nahin hai. Aayinda agar kuch udhar dena ho to jao main tumko wahan jaane se mana nahin kar raha, jab chaho jao, Ruhi se milo. Ye wo jaane aur usske parents mujhe koyi lena dena nahin hai, magar usski chizon ko mere ghar par mat chorrna phir kabhi… iss baar lauta raha hoon agli baar jala ke raakh kar dunga….!”

Abhi ne kaha,

“Bolna mujhe bhi ata hai Mehboob, agar bolna shuru kiya to tere paas bolne ke liye kuch nahin bachega, start karega aur accelator dabayega…..”

Mehboob: “Are wah ek to chori upar se seena zori! Abhi tu agar chahe to mere ghar bhi aa sakta hai, mere ghar tu aaye to mujhse milne, rahima se milne ya Farzinah se milne to thik hai, ek lagao ho gayi hai main samajhta hoon, Farzina aur Rahima donon tumko passand karte hein okay thik hai unn se milo mujhe koyi aapatti nahin, magar Ruhi ki koyi bhi chiz unn logon ke paas nahin chorrne ka…. Umeed hai ke tum samajh gaye….”

Abhi: “nahin baat khatam ab kabhi bhi kuch bhi nahin chorrna kissi ke paas, aur uss aagan mein jana hi nahin kabhi mujhe ab jaa tu befikar reh nahin aunga ab kabhi bhi udhar, jaa, chorr diya uss gali ko main ne hamesha ke liye!”

Mehboob chala gaya….. Abhi envelope lekar andar gaya jiss bus mein kaam kar raha tha uss mein, jaldi se envelope se diaries nikala, do diaries the 200 pages ke, matlab 400 pages ka likha hua tha Abhi ne…. Abhi jaldi jaldi pannon ko ulath pulath karke dhundne laga kahin Ruhi ne kuch likha hoga… magar kuch nahin dikha….. aur HAAN ABHI KHUSH HUA KE RUHI NE PERFUME RAKH LIYE THE…. SIRF RAHIMA KO PATA THA KE EK GIFT THA JO RUHI NE APNE JEB MEIN RAKHA THA…. KISSI KO USSKE BAARE MEIN NAHIN PATA THA, MATLAB RUHI NE ABHI KA DIYA HUA PERFUME APNE PAAS HI RAKHA….!

Abhi bahut kush hua kyunke Ruhi ne usski di hui ek tohfa to apne paas rakha! Wo “Soir De Paris” “Bourgeois” wala bahot mehnga perfume…. Abhi pir khayaalon mein kho gaya sochte hue jiss din ko Ruhi ne pucha tha uss se ke kia perfume use karte ho aap kitni achi smell arahi hai….. tabhi Abhi ne ussko kaha tha ke ek din wo usske liye wo perfume kharidega…. Aur wo kharid liya Abhi ne aur de bhi diya Ruhi ko….. Abhi yeh bhi sochne laga ke jiss waqt Ruhi ne wo perfume liya hoga, sungha hoga to uss se Ruhi ko Abhi ki yaad zaroor aayi hogi… usskko yaad aya hoga kiss din ko Abhi ne uss se kaha tha ke wo usske liye wo perfume kharidega….. matlab udhar Ruhi bhi Abhi ko ab, tab tak sochegi jab tak uss perfume ko use karegi….. Abhi iss baat se bahot khush tha.

Uss din ghar wapas jaane ke baad Abhi ne phir se diaries ke har ek panne ko ghuma kar dhunda ke kahin Ruhi ne kuch likha to nahin hoga… magar ussko kuch nahin mila…. Aur Abhi ne apni daily diary mein ab likha kiss date ko usko Ruhi ko di hui diaries wapas mili….

**********************************************************************

Kuch din baad Abhi phir gaya milne Samioullah broker se. aur uss se ussne bade board of director ka pata liya aur uss se milne gaya….. Abhi apne saath tamaam unn buss ki photos legaya dikhaane ke liye.

Director se mila aur samjhaya ke wo us company ko reopen karwana chahta hai, ussko experience hai aur wo company ko chala paega.

Director ne itna jawaan ladke ko itna door ki sochne ke liye badhaiyan diye aur kaha ke kum se kum half crore hona chahiye usske paas start karne ke liye, ussko aadha crore deposit karna hoga tab wo usske haq mein baat karega executive members se.

Abhi ne samjhaya ke usske paas utna paisa nahin hai aur director se hi kaha ussko raasta dikhaane ke liye ke ussko kia karna chahiye aur kaise ussko half core mil sakta hai.

Director ne kaha ke bank se loan lena padega, bank ussko half crore de dega jissko wo 15 saal ke andar repay karega kiston mein…

Abhi ne director se saare raaste puche ke kia kia karna padega kahan kahaan haat laat maarna hoga uss sapne ko pura karne ke liye…

Director Abhi ke madad karne ke liye tayyaar tha iss liye ke wo Director young entrepreneurs ko promote karta tha, to ek well established business man ko uss company ko chalaane ke bajae Director Abhi ko promote karna ziada passand karta kyunke Abhi naya tha, naya josh, naya khoon aur aage badhne ki chaah dekha tha Director ne Abhi mein….

Last wala raasta tha ke apne baap ki zammen ko bank mein mortgage karna padega tab half crore bank dega company ko start karne ke liye….

Ab Abhi wahan se ghar gaya….. ussko pata nahin tha ke usska baap samjhega bhi aur zameen ko mortgage karne ke liye tayyaar hoga bhi ya nahin…..

Apne baap se baat karne se pehle Abhi ne Naina se kaha,

“Naina tu chahti hai ke main Ruhi ko bhool jaun?”

Naina: “bilkool wohi chahti hoon bhai, kia karna usska, goli maaro nah bhai!”

Abhi: “aur tu chahti hai ke main shave karun?!”

Naina khush hote hue, Abhi ke chehre mein hansste hue dekhte hue kaha,

“chhee bilkool acha nahin lagta yeh daadhi tum par bhai, shave kakro nah, 5th Januray ke baad shave nahin kiye ho!”

Aur Abhi gaya aine ke saamne, shaving foam lagaya aur shave karne ke baad Naina ke saamne aya…..

Naina Khushi se jhoom uthi aur zor se thumke lagaate hue kaha,

“Mera bhai thik ho gaya ab lag raha hai mera bhai, normal pehle ki tarah….. woohoo!!!

Kia abhi ne sach mein Ruhi ko dil se nikaal diya? Ya sirf apne ghawalon ke liye, doston ke liye normal dikhne ke liye aisa kar raha tha? kia sach mein wo apne dil se Ruhi ko mita paega? Yeh waqt bataega ek din.

To be continued…. (2305 words)
Bahut acha laga ke ab Abhi apna khud ka garage chalaega.
Ab buss usske pita ussko jamin ko bank walon k paas girwin rakhne ko raji hi jaye, tab dekhna kaise Ruhi ki maa ki bajegi :toohappy:
 
Husein Ali

Banned
510
4,753

Mast aut majedar update hai bhai.
Ab Abhi mein badlav a raha hai.
Wo kuch karna chah raha hai kuch banna chahta hai. Aur mujhe yakeen hai wo kaamyaab hoga.
As usual aap ne jabaradat likha hai
 
Top