• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Rowdywa

Banned
1,133
5,151
143
Update 48 Abhi Trying To Get The land Mortgaged

Jab Abhi ne apne pita se zameen ko mortgage karne wali baat kiya to usske pita ne saaf inkaar kiya, ussne kaha,

“Mera zameen sirf mera nahin hai beta, yeh tum sab bhai behnon ke hein iss mein sab ka hisssa hai tera bhi hissa hai main ne agar issko girwin rakh diya aur tu udhaar chuka nahin paaya to tere bhai behnon ka kia hoga? Bank wale zameen hadap lenge aur kissi ko kuch nahin milega. Main tere liye apne dusre bachon ka haq to nahin maar sakta nah?”

Abhi ne behez nahin kiya kyunke ussko sahi mein laga ke kahin kuch ulta ho gaya to wo apne chhote bhai aur do behnon ko kia de paayega…. To ussne baap ki zammen wale idea ko drop kiya magar phir bhi bank gaya kuch papers ko Director se lekar uss garage ko reopen karwane ke silsile mein….

Bank ke manager se ghanton bhar baat kiya, saare apne bus banaaye hue pics dikhaya…. Manager impress hua magar surety ke taur par zameen ya kissi bhi property ka hona zaroori tha ussne kaha Abhi se.

Abhi ne manager se kaha ke garage ko hi mortgage kar liya jaaye, usske tamaan machineries, usski zameen, aur building sab….magar manager ne kaha wo to already mortgaged hai nah ussi ko churrwaane ke liye dusri mortgage ki zaroorat hai. Varna Abhi ko loan nahin diya jaa sakta…. Abhi ne manager se pucha kitna zameen chahiye uss value ki mortage ke liye… to manager ne kaha kum se kum aadha acre to hona chahiye.

Abhi udaas lauta bank se aur usske samajh mein nahin araha tha ke kia karen kaise karen….. aakhir mein socha ke idea ko drop karen aur apne ghar ke saamne apne khud ka chota sa garage khole aur coach building shuru kare apne khud ka…. Magar usske liye bhi paise chahiye the, aur saare machines kharidne ke liye bhi to paise chahiye, aur socha ke puraane garage ke machineries kharid paayega shaayad kyunke wo sab liquidation par to the hi….. Abhi raat bhar uss ke baare mein sochta raha…

Aur Navina ko khat likhte waqt inn sab ke baare mein bataya ke wo pareshaan hai kyunke ussko nahin samajh mein araha ke kaise ussko bank se loan mil sakta hai ab….

Abhi Navina se kuch bhi nahin chupata tha, jo bhi apne diary mein likhta sab kuch Navina ko bata deta tha….

Navina ka jawaab aaya dusre din to Abhi dang reh gaya usske khat padh kar!!! Usske aankh bhar aaye aur wo ro pada Navina ke khat padh kar…. Kayi mahinon baad aaj Abhi roya tha…. aaj ke aansoo Ruhi ke liye nahin tha, ek dost ke liye tha, ek aisa dost jo ajnabee thi, koyi Rishta nahin tha usske saath magar Abhi ke madad ke liye tayyaar khadi thi kissi bhi haal mein.

Navina ne likha tha,

“My father has already given me my share of land and it is on my name, I have a little bit more than half an acre of land, if you want I can come to the bank with you to get it mortgaged so that you get the required amount to restart that garage you once worked at!”

Aisa kaun karta hai? Apne bhi nahin karte, aur wo ajnabee thi, sirf khaton ke zarye pehchaan thi uss se. Ussne apne zameen ko girwin rakhne ke liye kaha Abhi se!

Abhi ne inkaar kiya, khat ke jawaab dete hue.

Navina ne reply mein insist kiya ke Abhi ko accept karna chahiye usski help, aur Navina ne Abhi se phir milne ke liye kaha urgently.

Donon phir mile ussi jagah, baat kiye, discuss kiye, Navina apne land ke kaagazaat lekar aayi thi aur Abhi ko dikhaya ke sab legal hein aur usske naam par hai. Abhi usske ehsaanon ke tale dabba rehna nahin passand kar raha tha tab Naina ko kehna pada ke wo Abhi se pyar karti hai shuru se hi aur uss pyar ke liye wo kuch bhi kar sakti hai….. Abhi ko Navina se pyar nahin tha. Magar Abhi ko pata tha pyar ke badle pyar nahin paane se kia beetta hai kyunke wo guzar chuka tha uss gali se…. to ussne Navina ko kuch nahin kaha phir bhi Navina ne khud kaha,

“Main aap se kuch nahin maang rahi hoon apne pyar ke badle… main aap se nahin keh rahi hoon ke aap bhi mujhse pyar karo Abhi… mujhe pata hai aap Ruhi se pyar karte ho, main sirf apni baat kar rahi hoon ke mujhko aap se pyar ho gaya to kia karun? Jaan bujh kar to nahin kiya buss ho gaya… aap ke ek khat ke bina nahin reh sakti, aap ek din mujhe nahin post karo to main bimaar hone lagti hoon, aap ki khabar nahin mile to bechain rehti hoon, mere dil o dimaagh mein sirf aap basse rehte ho, raat din aap ko aur aap ke baare mein sochti hoon…. Yeh pyar nahin to kia hai?!”

Abhi ko shak tha, magar yakeen nahin tha ke Navina uss se pyar karne lagi hai…. Yeh tabhi ho gaya tha jab Navina ne Abhi ki diaries ko padha tha….. jiss tarah se Navina Abhi ko khat likhti hai unn khaton se Abhi ko shak aur darr bhi tha aur aaj Navina ne keh bhi diya…. Aur Abhi nahin chahta tha ke Navina ko wo takliff mile jo Abhi ko mila tha Ruhi se….. To Abhi ne Navina ke pyar ko accept kiya aur donon ke jald mangni ho gaye….. 1987 mein hi….

Mangni ke baad bhi donon ek dusre ko likhte rahe, phir phone lag gaye ghar mein aur ek dusre se raat raat bhar phone par baat karte donon…..

Do saal tak courting chala donon ka aur 1989 mein 10th December ko donon ne shaadi kiye…..

Magar shaadi se bahot pehle, mangni ke baad hi bank se loan mil gaya Abhi ko, Navina ne apne land mortgage karwa diye, aur garage reopen kar diya Abhi ne aur kaam chaalu ho gaya tha garage mein 75% puraane workers wapas agaye the aur bus owners apne busson ko laane lage the garage mein repair ya naya banaane ke liye… kaam mast chalne laga tha aur in do saalon mein Abhi ne Ruhi ko bilkool hi bhula diya tha….. bhula diya tha iss tarah ke kaam aur Navina ke beech Abhi ka pura time nikal jaata tha…. har weekend mein navina ke ghar guzaarta… Saturday shaam jo jata raat bhar Rehta aur Sunday shaam ko ghar wapas ata, phir Monday ko garage chala jata din bhar kaam karta shaam ko ghar ata naha dho kar Navina ko likhta, ya phone par baat karta….. ek minute time nahin tha usske paas kissi aur chiz ke baare mein sochne ke liye….

Kissi din to Navina garage chali aati Abhi se milne jab wo kaam kar raha hota tha sham ko. College to 3 baje end hoti to Navina ghar nahin jaati Abhi ke paas chali aati…..

Weekends mein kabhi donon baahar milte, door ghumne jaate ishk farmaate, jangalon, natural places mein jaate jahan koyi kabhi nahin jaate weise jagahon mein ishk farmaate donon….. pure do daal tak aisa chala donon ke bich….

Navina ke pyar mein Abhi giraftaar ho gaya tha at last aur dhire dhire Navina ke saath rehte hue Abhi ko aakhirkaar uss se pyar ho hi gaya….. kissi ke saath rehte hue, pyar ho hi jata hai, ussko rokna naamumkin hota hai khaas kar agar insaan best ho to…. Navina ek nagina thi, ek angel thi jo aasmaan ne diya tha Abhi ko gift ke taur par…. shaayad aasman ko taras agaya tha Abhi par, usske tute hue dil ko jodne ke liye aasmaan ne Navina ko Abhi ke jholi mein daal diya tha.

Donon khush the, Khushi se jiwan bassar kar rahe the. Navina bahot pyar nichaawar karti thi Abhi par….. Navina ne part time course bhi kiye shaadi ke baad…. Abhi chahta tha ke wo aur aage badhe, to 5 saal part time course karne ke baad Navina ne PGCE ki degree haasil kiye aur teacher ki Naukri barkaraar rakha aur part time lecturer bhi ban gayi university mein. Navina shuru se Abhi se bahot ziada academically qualified thi. Aur Abhi chahta tha ke Navina aur ziada qualified ho.

Utna highly qualified hone ke bawajud Navina ghar mein apne haath se pakati thi aur saare ghar ke kaam khud karti thi, ussko naukrani rakhna passand nahin tha. Ek din bhi aisa nahin hua tha ke donon kabhi baahar kissi restaurant mein khaane ke liye gaye….. hamesha ghar ke khana khaate the donon….

Din bhar Naukri karti Navina, ghar par bahot saare students ke copy books laati correct karne ke liye phir bhi ghar ke saare kaam karti thi. Aur Abhi ka khayal bhi rakhti. Abhi ko ek bhi shikaayat ka mauka nahin mila kabhi Navina se. Perfect wife thi wo. Laakhon nahin karoron mein ek. Kaise aise insaan se koyi pyar nah karta?

Aur rahi baat Abhi ki to, wo koyi bade boss ki tarah nahin rehta garage mein…. Wo khud kapde badal kar gande kapdon mein subha 7 se shaam 4 baje tak tamaan workers ke saath khud kaam karta. Koyi bhi garage mein ata aur Abhi ko dekhta mazdooron ke bich to samajhta ke wo bhi ek worker hai… jab pata chalta ke wo maalik hai garage ka to sabko shock lagta….

350 log kaam karte the uss garage mein, per day 10 buson mein kaam hote the…. Kabhi kabhi 12 se 15 busson mein bhi kaam hote the… agar Abhi chahta to office mein suit boot pehen kar baitha rehta, mazdooron ke aage piche rehta check karte hue magar nahin ussko apne gande kapdon mein rehkar kaam karna passand tha, tin kaatna, lohe mein drill karna, welding karna, rivet lagana , yeh sab karne mein ussko chain aur sukoon milta tha, bilkool apne tamaam workers ki tarah kaam karta tha…. Saare workers Abhi ke izat karte the, big respect dete the ussko, aur kyunke wo maalik hokar khud kaam karta tha to kissi ki majaal thi jo wo kaam nah kare aur kissi bhi delivery mein deri ho? Iss vajah se Abhi ki garage bada tarraki karne laga tha aur kaam multiply hote jaa raha tha….

Garage ka naam Abhi ne ABRUHI rakha tha

Saamne board par likha hua tha:

ABRUHI COACH BUILDING AND ALLUMINIUM WORKSHOP

Tamaam office papers par logo mein ABRUHI design hota tha. Ek manager, ek secretary aur ek team manager tha office mein. Finance manager khud Abhi tha, aur worker bhi tha, aur khud ko worker ki aur Finance manager ka tankhwa deta tha Abhi.

To be continued….

Awesone, fabulous. Magnificent update Casi bro.
It is very beautifully written. Too good. Lovely.
The compatibility between Abhi and Navina is like made with perfection.
You wrote it very well that the sky put Navina in Abhi's since he suffered a lot and had a broken heart.
Navina came like an angel in Abhi's life and she made his life like a garden of roses. She brought only luck, happiness, peace, love and prosperity in the miserable life of Abhi.
She was the real LUXMI for Abhi.
And the life of Abhi took a huge favourable turn success started licking Abhi's feet.
I wont say more bro but you fully deserved to be praised for this wonderful writing and unexpected twist in the story. You always amaze me in all your stories. You always have extreme stuff to get your uodates3 spiced differently. Hats off my friend.
:adore: :adore: :adore: :adore: :adore:
 

Komal singh

Banned
292
2,983
123
Update 47 The New Penfriend - Navina

Abhi ne pichle 2 Mahinon se kissi bhi penfriends ko reply nahin kiya tha. sabke 2 ya teen repeat letter aa chuke the. To ek subha ko Abhi ne sabko reply karne ko socha aur baith kar sabko sorry kaha aur replies likh kar post kiya.

Abhi har roz ek newspaper kharidta tha bina miss kiye. Aur uss din jab post office se sabke letters post karke wapas ghar aya to papers padh raha tha ke penfriends corner mein kuch nayi ladkiyon ke naam dekha, unn mein do local ladkiyon ko likha Abhi ne. unn mein se ek east ki rehne wali thi, Ruhi ke ghar se 10 kilometres door. Ladki ka naam tha Namita aur ek ka Naam tha Nausheen jo desh ki north se thi. Donon ko ek ek introduction wala letter post kiya Abhi ne. Of course, wo sirf English mein khat likhta tha.

Normally within a week replies aa jaate the hamesha aur Nausheen ke taraf se reply agaya tha 4 din baad magar Namita ke taraf se koyi jawaab nahin aya.

Teen hafte guzar gaye aur Nausheen aur Abhi ki dosti ho gayi, 3 hafton mein 10 se ziada letters aa chuke the Abhi ke paas Nausheen ke taraf se. Magar Namita ka koyi reply nahin aya to Abhi samajh gaya ke Namita ko bahot saare ladkon ke khat aaye honge iss liye ussko apne passand ki saathi mil gayi hogi, to ussne Namita ko ignore kiya.

Magar 2 din baad Abhi ko ek khat mila jissko kissi Navina ne likha tha. Abhi ko heyraani hui ke yeh kaun hai, issko to nahin likha tha main ne…..

English mein likha gaya tha khat, khubsurat handwriting thi, aur uss mein likha tha ke wo Namita ki behen hai, Namita ko bahot saare khat aaye hein iss liye wo Abhi se dosti karna chahti hai. Abhi ne ussko reply kiya.

2 din baad usski reply agayi. Abhi ne phir reply kiya phir 2 din baad usski reply agayi….. jabse Abhi penfriendship karta tha yeh pehli baar aisa hua tha ke do din ke baad koyi ussko reply post kar deti thi….

Abhi ne uss se aur jaankaari jaana chaha ke kaise ussne Namita ki jagah ussko reply kiya aur kia Namita naraaz nahin hui? To Navina ne reply mein yah kaha,

“In fact, we quarrelled over your letter. That is why you got a response after several weeks. Namita is my little sister, I am a year older than her. She had got over 60 letters. We used to share reading and we make fun of the way of writing of the boys. Some do not even know how to write a letter, they write nonsense. So, we were rejecting most of them, the letters were going in the dustbin which Namita would never reply to, and those she liked were kept. And your letter came in my hand, I read it, was impressed by your language and beauty of writing and expressing yourself. When we finished with all, I told her I will reply to this one. She objected and wanted to read your letter, but I refused to give it to her, but she got furious and snatched your letter from me. She read your letter and told me,

“You keep the best for you and all garbages comes to me, why you did not show me this one? He has written to me not to you, so I will reply him!”

Then I turned my face with her and we went to sleep. I so much wanted to correspond with you, that I wished you were my penfriend. I thought the next day she had replied you, I did not know she had not replied. After a week I found your letter on my table. I asked her why that letter was on my table and she told me,

“tum ussko likhne wali thi nah to likho!”

I told her no I will not, keep her penfriends for herself. So, three weeks neither she replied you nor I and finally I decided to write to you. This is how we are now penfriends….. I use to share the reading of your letters with her and she jealously says,

“kitna achcha likhta hai yeh, isski English kitni achchi hai, kitna acha express karta hai, yeh aaj mera penfriend hota nah!”

And I thought she will take back your letters at that moment…. But she did not so we remain friends. Abhi I love your way of writing, your English is so good and you write beautifully that I wish I could read from you every day.”

Abhi ne jab yeh sab padha Navina ke khat mein to agle din ussko express delivery send kiya jo ussi din Navina ko mili aur Navina ne bhi Abhi ko express delivery send kiya jo dusre din Abhi ko mila aur yeh sislsila jaari raha donon ke beech. Ek dusre ko har roz donon letters likhte, aur express post karte, matlab har roz bina miss kiye donon ko ek dusre ke taraf se khat milte….. ek dusre ko har roz khat ka intezaar rehta….. sirf Weekends mein khat nahin aate the Monday se Friday tak har roz ek letter milte donon ko…..

Aur dhire dhire 2/3 pages ke badle 10 se 15 pages ke letter aane jaane lage ek dusre ko… aur iss tarah Abhi ne Ruhi ke baare mein bata diya Navina ko aur apne diaries ki baat kiye letter mein Abhi ne Navina se… to Navina ne unn diaries ko padhne ki khwahish ki….

Donon ne ek dusre ko apne photos bhi send kiye…. To Abhi ne Navina se milne ki farmaayish kiya, Navina ne agree kiya aur donon pehli baar mile ussi sheher mein jahan Ruhi ki chachi ki super market tha.

Aur milne ke baad Abhi ne Navina ko wo diaries diye jo ussne Ruhi ko diya tha….

Navina Ruhi se bhi chhoti thi kad mein aur Ruhi jitna khubsurat nahin thi. Magar Navina ki khubsurti usske dil ke andar thi aur usski dimaagh ke andar thi…… Navina ek graduated teacher thi, English padhaati thi college mein. Aur issi liye jab Navina Abhi ke letter padhti thi to ek bhi English mistake nahin dikhta tha ussko is vajah se Navina impress hui thi Abhi ke letter writing se.

Jiss din donon pehli baar mile the to sirf 45 mins ek saath the, ek café mein gaye, baithe, thodi der baat kiye, Abhi ne ussko diaries diye aur donon wapas apne apne ghar chale gaye ek dusre ko weise hi express letter send karne ki promise karte hue.

Navina ne jab Abhi ke donon diaries padhe to wo bahot royi. Der ghante mein sab kuch padh liya Navina ne. Abhi ke diaries padhne ke baad Navina samajh gayi ke Abhi ek true lover hai aur Navina ko aisa hi koyi pyar karne wala chahiye tha…. Navina ko Abhi se pyar ho gaya. Navina ne Abhi ko turant likha aur keh diya ke complete diaries padh liya ussne aur bahot royi, aur apni opinion likha Abhi ko ussne….. magar nahin kaha ke ussko Abhi se pyar ho gaya… to agle hafte phir se milne ka plan banaya donon ne kyuke Navina ko Abhi ke diaries wapas karne the…. To donon agle weekend ko phir mile ussi sheher mein. Ussi café mein.

Navina bahot achchi thi, had se ziada achchi. Nek, narm dil, pyar aur araam se baat karne wali, aur uss mein khaas baat yeh thi ke wo bahot dhyaan se sunti thi. Shaayd teacher thi iss liye ussko sunna aata tha. bahot caring thi aur loving bhi. Abhi ussko dost manta tha, magar kyunke Ruhi ki dairies ko Navina ne full padh liya tha to Navina ko Abhi ke baare mein sab kuch pata chal chuka tha ke wo kaisa hai, kitna emotional hai, kitna ghussa hai, etc…. Abhi ki character, personality sab ka pata chal gaya tha Navina ko…. Abhi ne apni diary mein ek jagah last pages mein Ruhi se alag hone aur diary wapas milne ke baad, jab Abhi ne shave kar liya tha tab yeh likha tha diary mein:

Tu hai harjaayi to apna bhi yehi taur sahi

Tu nahin aur sahi, aur nahin, aur sahi

Badi lambi hai zameen

Milenge laakh haseen

Iss zamaane mein sanam

Tu akela hi nahin

Yahan par Navina ne niche likha tha
“YOU ARE RIGHT ABHI”

Ye ghar wapas ghar jaane ke baad Abhi ne dekha tha, kyunke Navina ne ek khat haath mein diya tha Abhi ko jiss din donon mile the, post karne ke bajae kyunke weekend tha to ek dusre ko haath mein khat diye the donon ne aur uss khat mein Navina ne likh diya tha ke kiss kiss page par ussne apne comment likhe hue hein, iss tarah se Abhi ki dairy mein kayi jagahon par Navina ke handwriting paaye gaye….. Navina ke baad Abhi ne kabhi bhi life mein kissi aur ko wo diaries nahin diye….. kyunke Navina Abhi ki wife ban gayi 2 saal baad. Magar Abhi ki wife banne se pehle 2 saalon mein bahot kuch hua. Wo agle update mein pata chalega.

To be continued……

Casi ji iss update ne to hilla ke rakh diya.
Ye kia hogaya?
Ruhi ka kia hoga ab?
Navina kahan se prakat hui achanak?
Donon behnon ki nok jhonk bahut acha dikhaya aap ne.
English teacher Abhi ki writing se impress hui aur Ruhi ki jagah le liya :shocked:
Magar update lajawaab hai firbhi
 

Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228
Waiting
 

Komal singh

Banned
292
2,983
123
Update 48 Abhi Trying To Get The land Mortgaged

Jab Abhi ne apne pita se zameen ko mortgage karne wali baat kiya to usske pita ne saaf inkaar kiya, ussne kaha,

“Mera zameen sirf mera nahin hai beta, yeh tum sab bhai behnon ke hein iss mein sab ka hisssa hai tera bhi hissa hai main ne agar issko girwin rakh diya aur tu udhaar chuka nahin paaya to tere bhai behnon ka kia hoga? Bank wale zameen hadap lenge aur kissi ko kuch nahin milega. Main tere liye apne dusre bachon ka haq to nahin maar sakta nah?”

Abhi ne behez nahin kiya kyunke ussko sahi mein laga ke kahin kuch ulta ho gaya to wo apne chhote bhai aur do behnon ko kia de paayega…. To ussne baap ki zammen wale idea ko drop kiya magar phir bhi bank gaya kuch papers ko Director se lekar uss garage ko reopen karwane ke silsile mein….

Bank ke manager se ghanton bhar baat kiya, saare apne bus banaaye hue pics dikhaya…. Manager impress hua magar surety ke taur par zameen ya kissi bhi property ka hona zaroori tha ussne kaha Abhi se.

Abhi ne manager se kaha ke garage ko hi mortgage kar liya jaaye, usske tamaan machineries, usski zameen, aur building sab….magar manager ne kaha wo to already mortgaged hai nah ussi ko churrwaane ke liye dusri mortgage ki zaroorat hai. Varna Abhi ko loan nahin diya jaa sakta…. Abhi ne manager se pucha kitna zameen chahiye uss value ki mortage ke liye… to manager ne kaha kum se kum aadha acre to hona chahiye.

Abhi udaas lauta bank se aur usske samajh mein nahin araha tha ke kia karen kaise karen….. aakhir mein socha ke idea ko drop karen aur apne ghar ke saamne apne khud ka chota sa garage khole aur coach building shuru kare apne khud ka…. Magar usske liye bhi paise chahiye the, aur saare machines kharidne ke liye bhi to paise chahiye, aur socha ke puraane garage ke machineries kharid paayega shaayad kyunke wo sab liquidation par to the hi….. Abhi raat bhar uss ke baare mein sochta raha…

Aur Navina ko khat likhte waqt inn sab ke baare mein bataya ke wo pareshaan hai kyunke ussko nahin samajh mein araha ke kaise ussko bank se loan mil sakta hai ab….

Abhi Navina se kuch bhi nahin chupata tha, jo bhi apne diary mein likhta sab kuch Navina ko bata deta tha….

Navina ka jawaab aaya dusre din to Abhi dang reh gaya usske khat padh kar!!! Usske aankh bhar aaye aur wo ro pada Navina ke khat padh kar…. Kayi mahinon baad aaj Abhi roya tha…. aaj ke aansoo Ruhi ke liye nahin tha, ek dost ke liye tha, ek aisa dost jo ajnabee thi, koyi Rishta nahin tha usske saath magar Abhi ke madad ke liye tayyaar khadi thi kissi bhi haal mein.

Navina ne likha tha,

“My father has already given me my share of land and it is on my name, I have a little bit more than half an acre of land, if you want I can come to the bank with you to get it mortgaged so that you get the required amount to restart that garage you once worked at!”

Aisa kaun karta hai? Apne bhi nahin karte, aur wo ajnabee thi, sirf khaton ke zarye pehchaan thi uss se. Ussne apne zameen ko girwin rakhne ke liye kaha Abhi se!

Abhi ne inkaar kiya, khat ke jawaab dete hue.

Navina ne reply mein insist kiya ke Abhi ko accept karna chahiye usski help, aur Navina ne Abhi se phir milne ke liye kaha urgently.

Donon phir mile ussi jagah, baat kiye, discuss kiye, Navina apne land ke kaagazaat lekar aayi thi aur Abhi ko dikhaya ke sab legal hein aur usske naam par hai. Abhi usske ehsaanon ke tale dabba rehna nahin passand kar raha tha tab Naina ko kehna pada ke wo Abhi se pyar karti hai shuru se hi aur uss pyar ke liye wo kuch bhi kar sakti hai….. Abhi ko Navina se pyar nahin tha. Magar Abhi ko pata tha pyar ke badle pyar nahin paane se kia beetta hai kyunke wo guzar chuka tha uss gali se…. to ussne Navina ko kuch nahin kaha phir bhi Navina ne khud kaha,

“Main aap se kuch nahin maang rahi hoon apne pyar ke badle… main aap se nahin keh rahi hoon ke aap bhi mujhse pyar karo Abhi… mujhe pata hai aap Ruhi se pyar karte ho, main sirf apni baat kar rahi hoon ke mujhko aap se pyar ho gaya to kia karun? Jaan bujh kar to nahin kiya buss ho gaya… aap ke ek khat ke bina nahin reh sakti, aap ek din mujhe nahin post karo to main bimaar hone lagti hoon, aap ki khabar nahin mile to bechain rehti hoon, mere dil o dimaagh mein sirf aap basse rehte ho, raat din aap ko aur aap ke baare mein sochti hoon…. Yeh pyar nahin to kia hai?!”

Abhi ko shak tha, magar yakeen nahin tha ke Navina uss se pyar karne lagi hai…. Yeh tabhi ho gaya tha jab Navina ne Abhi ki diaries ko padha tha….. jiss tarah se Navina Abhi ko khat likhti hai unn khaton se Abhi ko shak aur darr bhi tha aur aaj Navina ne keh bhi diya…. Aur Abhi nahin chahta tha ke Navina ko wo takliff mile jo Abhi ko mila tha Ruhi se….. To Abhi ne Navina ke pyar ko accept kiya aur donon ke jald mangni ho gaye….. 1987 mein hi….

Mangni ke baad bhi donon ek dusre ko likhte rahe, phir phone lag gaye ghar mein aur ek dusre se raat raat bhar phone par baat karte donon…..

Do saal tak courting chala donon ka aur 1989 mein 10th December ko donon ne shaadi kiye…..

Magar shaadi se bahot pehle, mangni ke baad hi bank se loan mil gaya Abhi ko, Navina ne apne land mortgage karwa diye, aur garage reopen kar diya Abhi ne aur kaam chaalu ho gaya tha garage mein 75% puraane workers wapas agaye the aur bus owners apne busson ko laane lage the garage mein repair ya naya banaane ke liye… kaam mast chalne laga tha aur in do saalon mein Abhi ne Ruhi ko bilkool hi bhula diya tha….. bhula diya tha iss tarah ke kaam aur Navina ke beech Abhi ka pura time nikal jaata tha…. har weekend mein navina ke ghar guzaarta… Saturday shaam jo jata raat bhar Rehta aur Sunday shaam ko ghar wapas ata, phir Monday ko garage chala jata din bhar kaam karta shaam ko ghar ata naha dho kar Navina ko likhta, ya phone par baat karta….. ek minute time nahin tha usske paas kissi aur chiz ke baare mein sochne ke liye….

Kissi din to Navina garage chali aati Abhi se milne jab wo kaam kar raha hota tha sham ko. College to 3 baje end hoti to Navina ghar nahin jaati Abhi ke paas chali aati…..

Weekends mein kabhi donon baahar milte, door ghumne jaate ishk farmaate, jangalon, natural places mein jaate jahan koyi kabhi nahin jaate weise jagahon mein ishk farmaate donon….. pure do daal tak aisa chala donon ke bich….

Navina ke pyar mein Abhi giraftaar ho gaya tha at last aur dhire dhire Navina ke saath rehte hue Abhi ko aakhirkaar uss se pyar ho hi gaya….. kissi ke saath rehte hue, pyar ho hi jata hai, ussko rokna naamumkin hota hai khaas kar agar insaan best ho to…. Navina ek nagina thi, ek angel thi jo aasmaan ne diya tha Abhi ko gift ke taur par…. shaayad aasman ko taras agaya tha Abhi par, usske tute hue dil ko jodne ke liye aasmaan ne Navina ko Abhi ke jholi mein daal diya tha.

Donon khush the, Khushi se jiwan bassar kar rahe the. Navina bahot pyar nichaawar karti thi Abhi par….. Navina ne part time course bhi kiye shaadi ke baad…. Abhi chahta tha ke wo aur aage badhe, to 5 saal part time course karne ke baad Navina ne PGCE ki degree haasil kiye aur teacher ki Naukri barkaraar rakha aur part time lecturer bhi ban gayi university mein. Navina shuru se Abhi se bahot ziada academically qualified thi. Aur Abhi chahta tha ke Navina aur ziada qualified ho.

Utna highly qualified hone ke bawajud Navina ghar mein apne haath se pakati thi aur saare ghar ke kaam khud karti thi, ussko naukrani rakhna passand nahin tha. Ek din bhi aisa nahin hua tha ke donon kabhi baahar kissi restaurant mein khaane ke liye gaye….. hamesha ghar ke khana khaate the donon….

Din bhar Naukri karti Navina, ghar par bahot saare students ke copy books laati correct karne ke liye phir bhi ghar ke saare kaam karti thi. Aur Abhi ka khayal bhi rakhti. Abhi ko ek bhi shikaayat ka mauka nahin mila kabhi Navina se. Perfect wife thi wo. Laakhon nahin karoron mein ek. Kaise aise insaan se koyi pyar nah karta?

Aur rahi baat Abhi ki to, wo koyi bade boss ki tarah nahin rehta garage mein…. Wo khud kapde badal kar gande kapdon mein subha 7 se shaam 4 baje tak tamaan workers ke saath khud kaam karta. Koyi bhi garage mein ata aur Abhi ko dekhta mazdooron ke bich to samajhta ke wo bhi ek worker hai… jab pata chalta ke wo maalik hai garage ka to sabko shock lagta….

350 log kaam karte the uss garage mein, per day 10 buson mein kaam hote the…. Kabhi kabhi 12 se 15 busson mein bhi kaam hote the… agar Abhi chahta to office mein suit boot pehen kar baitha rehta, mazdooron ke aage piche rehta check karte hue magar nahin ussko apne gande kapdon mein rehkar kaam karna passand tha, tin kaatna, lohe mein drill karna, welding karna, rivet lagana , yeh sab karne mein ussko chain aur sukoon milta tha, bilkool apne tamaam workers ki tarah kaam karta tha…. Saare workers Abhi ke izat karte the, big respect dete the ussko, aur kyunke wo maalik hokar khud kaam karta tha to kissi ki majaal thi jo wo kaam nah kare aur kissi bhi delivery mein deri ho? Iss vajah se Abhi ki garage bada tarraki karne laga tha aur kaam multiply hote jaa raha tha….

Garage ka naam Abhi ne ABRUHI rakha tha

Saamne board par likha hua tha:

ABRUHI COACH BUILDING AND ALLUMINIUM WORKSHOP

Tamaam office papers par logo mein ABRUHI design hota tha. Ek manager, ek secretary aur ek team manager tha office mein. Finance manager khud Abhi tha, aur worker bhi tha, aur khud ko worker ki aur Finance manager ka tankhwa deta tha Abhi.

To be continued….

Abruhi= Abhi aur Ruhi. Kia naam rakha hai Abhi company ki. Navina ne kuch nahin kaha? Jamin Navina ne girwin rakhi naam Ruhi ki aayi wah. Kia ishk hai.
Anyway FANTASTIC update.
Wonderfully written. Kia varnaan kiya hai, kia darshaya hai sab kuch. Kamaal ka likha hai siperb, awesome mindblowing.
Navina ko aap ne bilkool upar kar diya aur Ruhi ko gayab.
Hats off for brilliant writing.
 
Top