• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Husein Ali

Banned
510
4,753
123
Update 49 The Progress

Abhi ne garage open hone ke ek mahine baad ek car le liya tha. Imported Japanese Toyota tha. Ussi mein jaata Navina ke ghar, rehta aur donon ghar par nahin milte to baahar ussi car mein ghumne jaate, aksar seaside par paaye jaate donon weekends mein.

Ab ajeeb baat yeh thi ke Abhi ki destiny shaayad desh ke purab wale hisse se juda hua tha, Ruhi hi udhar se hi thi, Navina bhi udhar ki hi thi, magar do different ilaake se the donon. East jaate hue ek chhota sa sheher tha aur wahan se ek do raha tha, straight jao to Ruhi ke ghar ke saamne se guzarna hota, aur right mudo to Navina ke ilaake ko jaata rasta… magar apne ghar se Abhi nikalta to uss East ke chhote sheher tak jaane ke liye wohi rasta lena padta jo wo leta tha Ruhi ke ghar ke taraf jaane ke liye….

Ab ek mashoor sea side East mein tha aur wahan jaane ke liye Ruhi ke main road se jana hota tha aur ek weekend ko Abhi aur Navina ne uss seaside jaane ko decide kiya…. Navina ko pata tha ke Ruhi ke ilaake se guzarna hoga wahan jaane ke liye, magar ussne ek baat bhi nahin kiya Abhi se uss baare mein… aur jab Abhi drive karte hue wahan se guzra, to Ruhi ki aangan mein dekha tak nahin siddha apna rasta dekhta gaya…. Navina ko pata hi nahin chala ke kidhar Ruhi rehti thi….

Jab samundar kinare donon car se utre tab navina ne pucha,

“Hum Ruhi ke mohalle se guzre the nah Abhi, aap ne mujhe kyun nahin bataya wo kidhar rehti hai? Usska ghar to bata sakte the mujhe at least.”

Abhi ne samundar ke door horizon ko dekhte hue kaha,

“Mujhe khud nahin pata chala ke main kab wahan se guzar gaya!”

Abhi ne jhoot kaha tha, assal mein Abhi chahta tha ke Manoj ya Ruhi ki maa ussko dekhe drive karte hue uss main road par, magar koyi nazar nahin aya tha…. aur Abhi ne sach mein ziada dhyaan diya hi nahin wahan se guzarte waqt.

Abhi aur Navina ne ek dusre ko mangni ke baad se shaadi ke 3 din pehle tak khat likhte rahe bina kissi din miss kiye…. Aur total 3,700 khat the ek dusre ke paas. Tamaam weh khat aaj bhi teen carton ke boxes mein maujood hein.

Abhi jab bank ke loan ko repay karne jata to kabhi manager se milta, kuch baatein hote ke kaam kaise chal raha hai etc…. tab ek din abhi ne manager ke desk par ek chota sa TV set jaisa dekha aur pucha ke wo kia hai. Manager ne kaha ke wo ek computer hai. Catode ray Wale computers the unn dinon, flat screen tha hi nahi computer hi sahi tarah se commercialised nahin hua tha sirf kissi bade bade company wale istemaal karte the aur bank wale… ziada tar IBM aur apple wale commercialised the, Microsoft tab utna popular nahin hue the… 1985 mein Microsoft ne windows 1.0 commercialised kiya tha… Abhi ko tab computer ka naam bhi nahin pata tha.

Uss din bank manager ne Abhi se kaha ke usske company ke liye bhi ek computer hona chahiye jiss mein wo tamaan workers ke naam ID, address, salary, company ki budget etc sab save kar sakta tha aur istemaal kar sakta tha….

Aur kuch mahinon baad Abhi ke garage wale office mein pehla computer laya gaya…. Secretary ko part time course follow karna pada uss computer par kaam karne ke liye, aur 3 mahine baad company ke saare important files save hone laga computer par. aur 1988 se hi Abhi ne computer chalana seekh liya tha aur ek computer khud apne liye bhi kharida ghar ke liye…

Aur dhire dhire jaise jaise computer ki generation badhta aur badalta gaya weise weise Abhi bhi change karta gaya aur ziada jaanta gaya computer ke baare mein.

1990’s mein internet par sab kuch hona shuru ho gaya tha aur Abhi tabhi se internet par connected tha aur apne company ke silsile mein foreign se comunicate karta emails se. Aur laptop naya naya aya tha tab aur Abhi ne tab ek laptop bhi le liya jo hamesha usski car mein rehta tha , sirf raat ko laptop ghar jaata jab Abhi ghar mein daakhil hota tha…

1990 mein hi Abhi ne apna pehla mobile kharida… wo ek analogue mobile tha Motorola make ki, wo yeh tha issko aaj bhi Abhi ne sambhal kar rakha hai kyunke yeh usska pehla mobile tha 1990 mein aya tha naya naya desh mein….

First-mobile-analog-1.jpg


To inn do saalon mein Abhi aur Navina ek dusre se khub mile, ghumein, maja kiye aur last mein donon ki shaadi fix hui aur bade dhoom dhaam se shaadi hui donon ki.

Ab Abhi ki company kaafi popular ho gaya tha Abruhi. Television walon ne usska interview liya tha jiss din ussne garage ko reopen kiya tha kyunke sab se youngest entrepreneur tha jissko bank ne karib ek crore loan dekar garage ko usske hawaale kiya tha. press mein bhi usski interview aur photos aaye the….

Unn dinon Abhi soch raha tha kia Ruhi aur usskki maa ne TV par usskko dekha hoga? Paper mein usski photo aur company ka naam dekha hoga? Ruhi ko kaisa laga hoga usska naam Abhi ke naam ke saat judhkar, Abruhi bante dekh kar?? Kia Ruhi ki maa aur khud Ruhi ko pachtawa nahin hua hoga?

Abhi ko uss waqt pata bhi nahin tha ke Ruhi kidhar hai, ussko pata nahin tha ke Ruhi uss Amit ke saath France chali gayi ya kahin aur kissi se shadi kar liya or what!! Agar Abhi chahta to Sunil ko khat likh kar Ruhi ke baare mein pata laga sakta tha magar ussne weisa nahin kiya…. Abhi yeh chahta tha ke agar Ruhi ko Abhi se pyar hai to Ruhi ko Abhi ke taraf ana chahiye tha. Jitna apne taraf se karna tha wo Abhi ne kar liya tha, bahot ziada hi kiya aur jhela tha Abhi ne Ruhi ke liye, to Ruhi ki baari thi Abhi ne socha iss liye ussne kabhi jaanne ki koshish nahin kiya pehle 5 saalon mein.

Abhi aur Navina ki married life bahot mast chal raha tha, Abhi ka kaam mast se bhi mast chal raha tha. Abhi ne apne garage ki advertisement ke saath ek ek chithi type karwa kar khud drive karte hue har ek bus owner ke ghar chorrne gaya tha…. North se south tak, east se west tak har bus owner ko ek ek chithi banta Abhi ne apne garage ko advertise karte hue… sirf ek bus owner ko chithi nahin diya Abhi ne, wo tha Mehboob.

Ab bus ki coach building ke ilawa aluminium ke kaam bhi hote the, usska ek alag team tha garage mein, weh log ziada tar outdoor kaam karte the, bade bade buildings mein aluminium frames laga kar window panes lagana etc… bade oonche 20 se 50 maale ke buildings mein weh kaam kiya jaata tha cranes se…. usske liye tender bhade jaate the agar governments ke buildings hote the… aur aksar daam kum hote the iss liye Abhi ko tender milta rehta tha… Abhi small profit mein kaam karta tha iss liye ussko bahot ziada kaam milta rehta tha garage mein.

Aur wohi kaam chote gharon mein bhi kiya jaata aur koyi gharib ke liye cost ziada hota to Abhi free mein weise logon ke ghar mein aluminium works kar diya karta tha, free of cost!

1994. Shaadi ke 5 saal baad Abhi ko ek din ek police station mein alluminiun ke khidki change karke naye lagwane the. Usske aadmi wahan kaam kar rahe the to Abhi check karne ko gaya tha ke kaam kahan tak hua hai wahan…. Aur Abhi ko kaun mila wahan? Mahesh, Ruhi ka chota bhai, ab wo police officer tha….. Abhi ne ussko dekha, muskuraya aur Mahesh khud aya Abhi se milne….

Mahesh ne Abhi se shake hand kiya, aur kaha,

“Hi, Abhi aap to bahot bade aadmi ban gaye ho ab, hmmm ABRUHI hehehehe aap ko TV par kayi baar dekha hoon, kaafi aage badh gaye ho ab life mein, very good very good mujhe Khushi hui Abhi.”

Abhi ne Mahesh ka haath apne haath mein pakre rakha Mahesh se baat karte hue, aur pucha ke wo kab police mein bharti hua yeh sab…. Abhi ko uss se Ruhi ke baare mein puchne ka mann kiya magar nahin pucha kyunke Mahesh ne Ruhi ki baat nahin kiya, bus ek dost ki tarah mila uss se aur casual baat kiya to Abhi ne bhi normal baat kiya Mahesh se…. Ruhi ki baat hi nahin hui…. Uss din ke baad Abhi Mahesh se kayi baar mila wahan aur kabhi uss sheher mein jahan usski chachi ki supermarket tha…. har baar donon doston ki tarah milte aur kuch der baat karte aur alag ho jaate….

Abhi ko ab pata chal gaya tha ke Ruhi ne bhi ussko TV par dekha hoga, usske ghar mein agar Mahesh ne Abhi ko dekha to matlab sab ne ussko dekha hoga aur ABRUHI company se sab wakif honge, Ruhi ki maa ko bhi sab pata chala hoga ke Abhi ek crorepati ban gaya hai aur usski Ruhi ke liye Abhi sahi ladka tha, aur pachta rahi hogi…. Iss se Abhi ko bahot Khushi milta tha jab sochta tha ke Ruhi ki maa par kia beet rahi hogi jab jab Abhi ko aur usski company ko TV par dikhaya gaya hoga….

Aur ek din Abhi ko East mein jana tha ek building ke liye quotation banaane. Abhi jab Ruhi ki main road se guzra to jaan bujh kar uss filling station par ruka fuel lene ke bahane. Filling station se Ruhi ki kitchen ki stairs saaf dikhaayi deta tha…. Abhi car se nikla aur Ruhi ke kitchen ke taraf dekhne laga…

Ye Abhi wo wala Abhi nahin tha jo unn dinon uss aangan mein gande kapdon mein kaam karta tha aur Ruhi se pyar ki bheek manga karta tha…. pichle 5 saalon mein Abhi ne itna tarraki kar liya tha ke ab usske paas ek BMW, Ek Mercrdes bentz, aur ek Audi tha, cars ka shauk tha abhi ko, rodeo jaisa drivings karta tha…. usska ghar pata nahin kitne crore ka tha; usske pehnaav se dikhta tha ek raiz aadmi hai…. Aur jab Abhi ko koyi nahin dikha stair par to pump par kaam karne wale aadmi ne Abhi se pucha,

“kuch chahiye kia Sir, fuel to full hai aap ki BMW mein to aap kyun ruke yahan Sir?

Abhi khayaalon mein khoya hua uss pump wale se pucha,

“uss ghar mein wahan last wala jo hai, Manoj, Mahesh, weh donon yahin rehte hein nah?”

Aadmi ne kaha,

“haan sir ji, donon bhai wahin rehte hein, aap jaante ho unhe Sir?”

Abhi ne weise hi khayaalon mein khoya hua udhar hi dekhte hue kaha,

“Ruhi?! Ruhi ko jaante ho tum?! Wo yahin hai kia?!”

Aadmi ne pucha,

“magar Sir aap kyun sawaal kar rahe ho? agar unnko jaante ho to wahan chale kyun nahin jaate aap?”

Abhi ne jaise ek sapna dekhte hue kaha,

“Ruhi France jaane wali thi gayi ke nahin bata mujhe, tab se abhi 8 saal ho gaye; gayi ke nahin bata mujhe!!”

Abhi ka dil zoron se dhadakne laga tha, wohi pehle ki tarah jab Ruhi ka naam leta tha, tab yehi haal hota tha, usske jaise saans fullne lage the uss aadmi se sawaal karte hue… Abhi ke nazar usski kitchen se hatt nahin raha tha aur uss aadmi se jawaab ka wait kar raha tha to aadmi ne kaha,

“Suna tha jaane wali thi Sir, magar gayi nahin hai abhi tak yahin hai!!”

Abhi tab tak aise hanffne laga tha jaise 100 metres bhaag kar aya tha, uss aadmi ka jawaab sun kar Abhi ne usske chehhre mein dekhte hue ek ajeeb si muskurahat mein kaha,

“Aath saal, 8 saal hahahaha dekhta hoon kab jaati hai!”

Aur Abhi car ke driving wale seat par baitha, to aadmi ne jhuk kar kaha,

“Sir koyi message ho to batadun Ruhi ji ko?!”

Abhi ne ussko ek 100 ka note dete hue kaha,

Bus itna kehna ke Amitabh Bachchan jitna lamba aadmi puch raha tha usske baare mein wo samajh jaegi.

To be continued….

Bahut bahut hi badhya update. Bahut shaandaar likha hai aap ne bhai.
Achcha tamaacha pada hai Ruhi ki maa k gaal par. Mahesh ke jarye ye to pata chal hi gaya ke unn logon ko sab pata hai Abhi ki tarrakki ke baare mein. Magar kia Ruhi ne bhi sab dekha hai?
Ab kia Ruhi ko wo filling wala bataega ke Abhi usske baare mein puch raha tha?
Agle update ka besabri se intejar rahega bhai.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,692
35,174
219
Bahut sahi......
Ab ruhi, manoj aur unke maa-baap ki himmat hi nahin rahi hogi... Abhi ke samne padne ki.... Mahesh aur ruhi ke dadaji.... Hamesha neutral rahe.... Isiliye mahesh ko koi dar ya sharm nahi lagi....

Ab 8 sal ho gaye.... Na ruhi ki shadi hui aur na hi wo kahin gayi.....

Kabhi kabhi man karta hai aise logo ke bare mein janne ka
..lekin..... Jaruri nahi hota

Abhi ki business aur personal life badhia chal rahi hai....
Lekin... Shayad ruhi fir wapas a rahi hai kahani mein
 

PK@yadav

Member
188
941
108
Wow casi bhai just wow...Kya behatareen update tha. Aapki G.K bhi kabile tariff hai. Aapne almost computer ka complete generation hi mentioned kar diya. Fantastic update casi bhai.. Mahesh to hamesha se hi Abhi ko pasand karta tha, aapne ek update me likha bhi hai ki wo to abhi ko apna brother in law bolta bhi tha akele mein.
 

Nayan Radhee

Banned
773
5,607
123
Update 49 The Progress

Abhi ne garage open hone ke ek mahine baad ek car le liya tha. Imported Japanese Toyota tha. Ussi mein jaata Navina ke ghar, rehta aur donon ghar par nahin milte to baahar ussi car mein ghumne jaate, aksar seaside par paaye jaate donon weekends mein.

Ab ajeeb baat yeh thi ke Abhi ki destiny shaayad desh ke purab wale hisse se juda hua tha, Ruhi hi udhar se hi thi, Navina bhi udhar ki hi thi, magar do different ilaake se the donon. East jaate hue ek chhota sa sheher tha aur wahan se ek do raha tha, straight jao to Ruhi ke ghar ke saamne se guzarna hota, aur right mudo to Navina ke ilaake ko jaata rasta… magar apne ghar se Abhi nikalta to uss East ke chhote sheher tak jaane ke liye wohi rasta lena padta jo wo leta tha Ruhi ke ghar ke taraf jaane ke liye….

Ab ek mashoor sea side East mein tha aur wahan jaane ke liye Ruhi ke main road se jana hota tha aur ek weekend ko Abhi aur Navina ne uss seaside jaane ko decide kiya…. Navina ko pata tha ke Ruhi ke ilaake se guzarna hoga wahan jaane ke liye, magar ussne ek baat bhi nahin kiya Abhi se uss baare mein… aur jab Abhi drive karte hue wahan se guzra, to Ruhi ki aangan mein dekha tak nahin siddha apna rasta dekhta gaya…. Navina ko pata hi nahin chala ke kidhar Ruhi rehti thi….

Jab samundar kinare donon car se utre tab navina ne pucha,

“Hum Ruhi ke mohalle se guzre the nah Abhi, aap ne mujhe kyun nahin bataya wo kidhar rehti hai? Usska ghar to bata sakte the mujhe at least.”

Abhi ne samundar ke door horizon ko dekhte hue kaha,

“Mujhe khud nahin pata chala ke main kab wahan se guzar gaya!”

Abhi ne jhoot kaha tha, assal mein Abhi chahta tha ke Manoj ya Ruhi ki maa ussko dekhe drive karte hue uss main road par, magar koyi nazar nahin aya tha…. aur Abhi ne sach mein ziada dhyaan diya hi nahin wahan se guzarte waqt.

Abhi aur Navina ne ek dusre ko mangni ke baad se shaadi ke 3 din pehle tak khat likhte rahe bina kissi din miss kiye…. Aur total 3,700 khat the ek dusre ke paas. Tamaam weh khat aaj bhi teen carton ke boxes mein maujood hein.

Abhi jab bank ke loan ko repay karne jata to kabhi manager se milta, kuch baatein hote ke kaam kaise chal raha hai etc…. tab ek din abhi ne manager ke desk par ek chota sa TV set jaisa dekha aur pucha ke wo kia hai. Manager ne kaha ke wo ek computer hai. Catode ray Wale computers the unn dinon, flat screen tha hi nahi computer hi sahi tarah se commercialised nahin hua tha sirf kissi bade bade company wale istemaal karte the aur bank wale… ziada tar IBM aur apple wale commercialised the, Microsoft tab utna popular nahin hue the… 1985 mein Microsoft ne windows 1.0 commercialised kiya tha… Abhi ko tab computer ka naam bhi nahin pata tha.

Uss din bank manager ne Abhi se kaha ke usske company ke liye bhi ek computer hona chahiye jiss mein wo tamaan workers ke naam ID, address, salary, company ki budget etc sab save kar sakta tha aur istemaal kar sakta tha….

Aur kuch mahinon baad Abhi ke garage wale office mein pehla computer laya gaya…. Secretary ko part time course follow karna pada uss computer par kaam karne ke liye, aur 3 mahine baad company ke saare important files save hone laga computer par. aur 1988 se hi Abhi ne computer chalana seekh liya tha aur ek computer khud apne liye bhi kharida ghar ke liye…

Aur dhire dhire jaise jaise computer ki generation badhta aur badalta gaya weise weise Abhi bhi change karta gaya aur ziada jaanta gaya computer ke baare mein.

1990’s mein internet par sab kuch hona shuru ho gaya tha aur Abhi tabhi se internet par connected tha aur apne company ke silsile mein foreign se comunicate karta emails se. Aur laptop naya naya aya tha tab aur Abhi ne tab ek laptop bhi le liya jo hamesha usski car mein rehta tha , sirf raat ko laptop ghar jaata jab Abhi ghar mein daakhil hota tha…

1990 mein hi Abhi ne apna pehla mobile kharida… wo ek analogue mobile tha Motorola make ki, wo yeh tha issko aaj bhi Abhi ne sambhal kar rakha hai kyunke yeh usska pehla mobile tha 1990 mein aya tha naya naya desh mein….

First-mobile-analog-1.jpg


To inn do saalon mein Abhi aur Navina ek dusre se khub mile, ghumein, maja kiye aur last mein donon ki shaadi fix hui aur bade dhoom dhaam se shaadi hui donon ki.

Ab Abhi ki company kaafi popular ho gaya tha Abruhi. Television walon ne usska interview liya tha jiss din ussne garage ko reopen kiya tha kyunke sab se youngest entrepreneur tha jissko bank ne karib ek crore loan dekar garage ko usske hawaale kiya tha. press mein bhi usski interview aur photos aaye the….

Unn dinon Abhi soch raha tha kia Ruhi aur usskki maa ne TV par usskko dekha hoga? Paper mein usski photo aur company ka naam dekha hoga? Ruhi ko kaisa laga hoga usska naam Abhi ke naam ke saat judhkar, Abruhi bante dekh kar?? Kia Ruhi ki maa aur khud Ruhi ko pachtawa nahin hua hoga?

Abhi ko uss waqt pata bhi nahin tha ke Ruhi kidhar hai, ussko pata nahin tha ke Ruhi uss Amit ke saath France chali gayi ya kahin aur kissi se shadi kar liya or what!! Agar Abhi chahta to Sunil ko khat likh kar Ruhi ke baare mein pata laga sakta tha magar ussne weisa nahin kiya…. Abhi yeh chahta tha ke agar Ruhi ko Abhi se pyar hai to Ruhi ko Abhi ke taraf ana chahiye tha. Jitna apne taraf se karna tha wo Abhi ne kar liya tha, bahot ziada hi kiya aur jhela tha Abhi ne Ruhi ke liye, to Ruhi ki baari thi Abhi ne socha iss liye ussne kabhi jaanne ki koshish nahin kiya pehle 5 saalon mein.

Abhi aur Navina ki married life bahot mast chal raha tha, Abhi ka kaam mast se bhi mast chal raha tha. Abhi ne apne garage ki advertisement ke saath ek ek chithi type karwa kar khud drive karte hue har ek bus owner ke ghar chorrne gaya tha…. North se south tak, east se west tak har bus owner ko ek ek chithi banta Abhi ne apne garage ko advertise karte hue… sirf ek bus owner ko chithi nahin diya Abhi ne, wo tha Mehboob.

Ab bus ki coach building ke ilawa aluminium ke kaam bhi hote the, usska ek alag team tha garage mein, weh log ziada tar outdoor kaam karte the, bade bade buildings mein aluminium frames laga kar window panes lagana etc… bade oonche 20 se 50 maale ke buildings mein weh kaam kiya jaata tha cranes se…. usske liye tender bhade jaate the agar governments ke buildings hote the… aur aksar daam kum hote the iss liye Abhi ko tender milta rehta tha… Abhi small profit mein kaam karta tha iss liye ussko bahot ziada kaam milta rehta tha garage mein.

Aur wohi kaam chote gharon mein bhi kiya jaata aur koyi gharib ke liye cost ziada hota to Abhi free mein weise logon ke ghar mein aluminium works kar diya karta tha, free of cost!

1994. Shaadi ke 5 saal baad Abhi ko ek din ek police station mein alluminiun ke khidki change karke naye lagwane the. Usske aadmi wahan kaam kar rahe the to Abhi check karne ko gaya tha ke kaam kahan tak hua hai wahan…. Aur Abhi ko kaun mila wahan? Mahesh, Ruhi ka chota bhai, ab wo police officer tha….. Abhi ne ussko dekha, muskuraya aur Mahesh khud aya Abhi se milne….

Mahesh ne Abhi se shake hand kiya, aur kaha,

“Hi, Abhi aap to bahot bade aadmi ban gaye ho ab, hmmm ABRUHI hehehehe aap ko TV par kayi baar dekha hoon, kaafi aage badh gaye ho ab life mein, very good very good mujhe Khushi hui Abhi.”

Abhi ne Mahesh ka haath apne haath mein pakre rakha Mahesh se baat karte hue, aur pucha ke wo kab police mein bharti hua yeh sab…. Abhi ko uss se Ruhi ke baare mein puchne ka mann kiya magar nahin pucha kyunke Mahesh ne Ruhi ki baat nahin kiya, bus ek dost ki tarah mila uss se aur casual baat kiya to Abhi ne bhi normal baat kiya Mahesh se…. Ruhi ki baat hi nahin hui…. Uss din ke baad Abhi Mahesh se kayi baar mila wahan aur kabhi uss sheher mein jahan usski chachi ki supermarket tha…. har baar donon doston ki tarah milte aur kuch der baat karte aur alag ho jaate….

Abhi ko ab pata chal gaya tha ke Ruhi ne bhi ussko TV par dekha hoga, usske ghar mein agar Mahesh ne Abhi ko dekha to matlab sab ne ussko dekha hoga aur ABRUHI company se sab wakif honge, Ruhi ki maa ko bhi sab pata chala hoga ke Abhi ek crorepati ban gaya hai aur usski Ruhi ke liye Abhi sahi ladka tha, aur pachta rahi hogi…. Iss se Abhi ko bahot Khushi milta tha jab sochta tha ke Ruhi ki maa par kia beet rahi hogi jab jab Abhi ko aur usski company ko TV par dikhaya gaya hoga….

Aur ek din Abhi ko East mein jana tha ek building ke liye quotation banaane. Abhi jab Ruhi ki main road se guzra to jaan bujh kar uss filling station par ruka fuel lene ke bahane. Filling station se Ruhi ki kitchen ki stairs saaf dikhaayi deta tha…. Abhi car se nikla aur Ruhi ke kitchen ke taraf dekhne laga…

Ye Abhi wo wala Abhi nahin tha jo unn dinon uss aangan mein gande kapdon mein kaam karta tha aur Ruhi se pyar ki bheek manga karta tha…. pichle 5 saalon mein Abhi ne itna tarraki kar liya tha ke ab usske paas ek BMW, Ek Mercrdes bentz, aur ek Audi tha, cars ka shauk tha abhi ko, rodeo jaisa drivings karta tha…. usska ghar pata nahin kitne crore ka tha; usske pehnaav se dikhta tha ek raiz aadmi hai…. Aur jab Abhi ko koyi nahin dikha stair par to pump par kaam karne wale aadmi ne Abhi se pucha,

“kuch chahiye kia Sir, fuel to full hai aap ki BMW mein to aap kyun ruke yahan Sir?

Abhi khayaalon mein khoya hua uss pump wale se pucha,

“uss ghar mein wahan last wala jo hai, Manoj, Mahesh, weh donon yahin rehte hein nah?”

Aadmi ne kaha,

“haan sir ji, donon bhai wahin rehte hein, aap jaante ho unhe Sir?”

Abhi ne weise hi khayaalon mein khoya hua udhar hi dekhte hue kaha,

“Ruhi?! Ruhi ko jaante ho tum?! Wo yahin hai kia?!”

Aadmi ne pucha,

“magar Sir aap kyun sawaal kar rahe ho? agar unnko jaante ho to wahan chale kyun nahin jaate aap?”

Abhi ne jaise ek sapna dekhte hue kaha,

“Ruhi France jaane wali thi gayi ke nahin bata mujhe, tab se abhi 8 saal ho gaye; gayi ke nahin bata mujhe!!”

Abhi ka dil zoron se dhadakne laga tha, wohi pehle ki tarah jab Ruhi ka naam leta tha, tab yehi haal hota tha, usske jaise saans fullne lage the uss aadmi se sawaal karte hue… Abhi ke nazar usski kitchen se hatt nahin raha tha aur uss aadmi se jawaab ka wait kar raha tha to aadmi ne kaha,

“Suna tha jaane wali thi Sir, magar gayi nahin hai abhi tak yahin hai!!”

Abhi tab tak aise hanffne laga tha jaise 100 metres bhaag kar aya tha, uss aadmi ka jawaab sun kar Abhi ne usske chehhre mein dekhte hue ek ajeeb si muskurahat mein kaha,

“Aath saal, 8 saal hahahaha dekhta hoon kab jaati hai!”

Aur Abhi car ke driving wale seat par baitha, to aadmi ne jhuk kar kaha,

“Sir koyi message ho to batadun Ruhi ji ko?!”

Abhi ne ussko ek 100 ka note dete hue kaha,

Bus itna kehna ke Amitabh Bachchan jitna lamba aadmi puch raha tha usske baare mein wo samajh jaegi.

To be continued….

Bahut badhya aur shaandaar update hai bhai. Shaandaar likha hai aap ne.

Kahan se kahan agayi kahani ab.
Itne saal beet gaye. Abhi ke dil ke kissi kone me a bhi Ruhi bassi hui hai. Wo ussko bhula nahin. Bich mein thoda shaayad bhula bhi tha magar ab bhi hai wo basti hai Abhi ke andar.
Mahesh se bhi mil liya abhi aur kayi baar mile donon. Abhi ko Mahesh se kabhi koyi problem nahin tha. Yaad hai mujhe ke Mahesh student tha unn dinon aur Abhi se achi dosti thi usski. To itne salon baad mile to dost ki tarah mile.
Aur Mahesh ke dwara Abhi ko pata chal gaya ke usske ghar mein sabko usske aur usske tarraki ke bare mein pata hai. Abruhi naam lekar hanssa Mahesh matlab ussko pata hai ke Ruhi ka naam hai Abhi ki company mein.
Last part aur bhi kamaal ki hai iss update mein.....
Abhi udhar se guzra 8 saal ke baad aur Ruhi ki aangan mein usski kitchen ko dekha der tak aur last mein mesg chorr aaya uss filling station wale ke saath.
Kia baat hai.
Jsbardast update hai bhai....
Kia Ruhi wapas arahi hai kahani mein ab?
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,380
159
Update 49 The Progress

Abhi ne garage open hone ke ek mahine baad ek car le liya tha. Imported Japanese Toyota tha. Ussi mein jaata Navina ke ghar, rehta aur donon ghar par nahin milte to baahar ussi car mein ghumne jaate, aksar seaside par paaye jaate donon weekends mein.

Ab ajeeb baat yeh thi ke Abhi ki destiny shaayad desh ke purab wale hisse se juda hua tha, Ruhi hi udhar se hi thi, Navina bhi udhar ki hi thi, magar do different ilaake se the donon. East jaate hue ek chhota sa sheher tha aur wahan se ek do raha tha, straight jao to Ruhi ke ghar ke saamne se guzarna hota, aur right mudo to Navina ke ilaake ko jaata rasta… magar apne ghar se Abhi nikalta to uss East ke chhote sheher tak jaane ke liye wohi rasta lena padta jo wo leta tha Ruhi ke ghar ke taraf jaane ke liye….

Ab ek mashoor sea side East mein tha aur wahan jaane ke liye Ruhi ke main road se jana hota tha aur ek weekend ko Abhi aur Navina ne uss seaside jaane ko decide kiya…. Navina ko pata tha ke Ruhi ke ilaake se guzarna hoga wahan jaane ke liye, magar ussne ek baat bhi nahin kiya Abhi se uss baare mein… aur jab Abhi drive karte hue wahan se guzra, to Ruhi ki aangan mein dekha tak nahin siddha apna rasta dekhta gaya…. Navina ko pata hi nahin chala ke kidhar Ruhi rehti thi….

Jab samundar kinare donon car se utre tab navina ne pucha,

“Hum Ruhi ke mohalle se guzre the nah Abhi, aap ne mujhe kyun nahin bataya wo kidhar rehti hai? Usska ghar to bata sakte the mujhe at least.”

Abhi ne samundar ke door horizon ko dekhte hue kaha,

“Mujhe khud nahin pata chala ke main kab wahan se guzar gaya!”

Abhi ne jhoot kaha tha, assal mein Abhi chahta tha ke Manoj ya Ruhi ki maa ussko dekhe drive karte hue uss main road par, magar koyi nazar nahin aya tha…. aur Abhi ne sach mein ziada dhyaan diya hi nahin wahan se guzarte waqt.

Abhi aur Navina ne ek dusre ko mangni ke baad se shaadi ke 3 din pehle tak khat likhte rahe bina kissi din miss kiye…. Aur total 3,700 khat the ek dusre ke paas. Tamaam weh khat aaj bhi teen carton ke boxes mein maujood hein.

Abhi jab bank ke loan ko repay karne jata to kabhi manager se milta, kuch baatein hote ke kaam kaise chal raha hai etc…. tab ek din abhi ne manager ke desk par ek chota sa TV set jaisa dekha aur pucha ke wo kia hai. Manager ne kaha ke wo ek computer hai. Catode ray Wale computers the unn dinon, flat screen tha hi nahi computer hi sahi tarah se commercialised nahin hua tha sirf kissi bade bade company wale istemaal karte the aur bank wale… ziada tar IBM aur apple wale commercialised the, Microsoft tab utna popular nahin hue the… 1985 mein Microsoft ne windows 1.0 commercialised kiya tha… Abhi ko tab computer ka naam bhi nahin pata tha.

Uss din bank manager ne Abhi se kaha ke usske company ke liye bhi ek computer hona chahiye jiss mein wo tamaan workers ke naam ID, address, salary, company ki budget etc sab save kar sakta tha aur istemaal kar sakta tha….

Aur kuch mahinon baad Abhi ke garage wale office mein pehla computer laya gaya…. Secretary ko part time course follow karna pada uss computer par kaam karne ke liye, aur 3 mahine baad company ke saare important files save hone laga computer par. aur 1988 se hi Abhi ne computer chalana seekh liya tha aur ek computer khud apne liye bhi kharida ghar ke liye…

Aur dhire dhire jaise jaise computer ki generation badhta aur badalta gaya weise weise Abhi bhi change karta gaya aur ziada jaanta gaya computer ke baare mein.

1990’s mein internet par sab kuch hona shuru ho gaya tha aur Abhi tabhi se internet par connected tha aur apne company ke silsile mein foreign se comunicate karta emails se. Aur laptop naya naya aya tha tab aur Abhi ne tab ek laptop bhi le liya jo hamesha usski car mein rehta tha , sirf raat ko laptop ghar jaata jab Abhi ghar mein daakhil hota tha…

1990 mein hi Abhi ne apna pehla mobile kharida… wo ek analogue mobile tha Motorola make ki, wo yeh tha issko aaj bhi Abhi ne sambhal kar rakha hai kyunke yeh usska pehla mobile tha 1990 mein aya tha naya naya desh mein….

First-mobile-analog-1.jpg


To inn do saalon mein Abhi aur Navina ek dusre se khub mile, ghumein, maja kiye aur last mein donon ki shaadi fix hui aur bade dhoom dhaam se shaadi hui donon ki.

Ab Abhi ki company kaafi popular ho gaya tha Abruhi. Television walon ne usska interview liya tha jiss din ussne garage ko reopen kiya tha kyunke sab se youngest entrepreneur tha jissko bank ne karib ek crore loan dekar garage ko usske hawaale kiya tha. press mein bhi usski interview aur photos aaye the….

Unn dinon Abhi soch raha tha kia Ruhi aur usskki maa ne TV par usskko dekha hoga? Paper mein usski photo aur company ka naam dekha hoga? Ruhi ko kaisa laga hoga usska naam Abhi ke naam ke saat judhkar, Abruhi bante dekh kar?? Kia Ruhi ki maa aur khud Ruhi ko pachtawa nahin hua hoga?

Abhi ko uss waqt pata bhi nahin tha ke Ruhi kidhar hai, ussko pata nahin tha ke Ruhi uss Amit ke saath France chali gayi ya kahin aur kissi se shadi kar liya or what!! Agar Abhi chahta to Sunil ko khat likh kar Ruhi ke baare mein pata laga sakta tha magar ussne weisa nahin kiya…. Abhi yeh chahta tha ke agar Ruhi ko Abhi se pyar hai to Ruhi ko Abhi ke taraf ana chahiye tha. Jitna apne taraf se karna tha wo Abhi ne kar liya tha, bahot ziada hi kiya aur jhela tha Abhi ne Ruhi ke liye, to Ruhi ki baari thi Abhi ne socha iss liye ussne kabhi jaanne ki koshish nahin kiya pehle 5 saalon mein.

Abhi aur Navina ki married life bahot mast chal raha tha, Abhi ka kaam mast se bhi mast chal raha tha. Abhi ne apne garage ki advertisement ke saath ek ek chithi type karwa kar khud drive karte hue har ek bus owner ke ghar chorrne gaya tha…. North se south tak, east se west tak har bus owner ko ek ek chithi banta Abhi ne apne garage ko advertise karte hue… sirf ek bus owner ko chithi nahin diya Abhi ne, wo tha Mehboob.

Ab bus ki coach building ke ilawa aluminium ke kaam bhi hote the, usska ek alag team tha garage mein, weh log ziada tar outdoor kaam karte the, bade bade buildings mein aluminium frames laga kar window panes lagana etc… bade oonche 20 se 50 maale ke buildings mein weh kaam kiya jaata tha cranes se…. usske liye tender bhade jaate the agar governments ke buildings hote the… aur aksar daam kum hote the iss liye Abhi ko tender milta rehta tha… Abhi small profit mein kaam karta tha iss liye ussko bahot ziada kaam milta rehta tha garage mein.

Aur wohi kaam chote gharon mein bhi kiya jaata aur koyi gharib ke liye cost ziada hota to Abhi free mein weise logon ke ghar mein aluminium works kar diya karta tha, free of cost!

1994. Shaadi ke 5 saal baad Abhi ko ek din ek police station mein alluminiun ke khidki change karke naye lagwane the. Usske aadmi wahan kaam kar rahe the to Abhi check karne ko gaya tha ke kaam kahan tak hua hai wahan…. Aur Abhi ko kaun mila wahan? Mahesh, Ruhi ka chota bhai, ab wo police officer tha….. Abhi ne ussko dekha, muskuraya aur Mahesh khud aya Abhi se milne….

Mahesh ne Abhi se shake hand kiya, aur kaha,

“Hi, Abhi aap to bahot bade aadmi ban gaye ho ab, hmmm ABRUHI hehehehe aap ko TV par kayi baar dekha hoon, kaafi aage badh gaye ho ab life mein, very good very good mujhe Khushi hui Abhi.”

Abhi ne Mahesh ka haath apne haath mein pakre rakha Mahesh se baat karte hue, aur pucha ke wo kab police mein bharti hua yeh sab…. Abhi ko uss se Ruhi ke baare mein puchne ka mann kiya magar nahin pucha kyunke Mahesh ne Ruhi ki baat nahin kiya, bus ek dost ki tarah mila uss se aur casual baat kiya to Abhi ne bhi normal baat kiya Mahesh se…. Ruhi ki baat hi nahin hui…. Uss din ke baad Abhi Mahesh se kayi baar mila wahan aur kabhi uss sheher mein jahan usski chachi ki supermarket tha…. har baar donon doston ki tarah milte aur kuch der baat karte aur alag ho jaate….

Abhi ko ab pata chal gaya tha ke Ruhi ne bhi ussko TV par dekha hoga, usske ghar mein agar Mahesh ne Abhi ko dekha to matlab sab ne ussko dekha hoga aur ABRUHI company se sab wakif honge, Ruhi ki maa ko bhi sab pata chala hoga ke Abhi ek crorepati ban gaya hai aur usski Ruhi ke liye Abhi sahi ladka tha, aur pachta rahi hogi…. Iss se Abhi ko bahot Khushi milta tha jab sochta tha ke Ruhi ki maa par kia beet rahi hogi jab jab Abhi ko aur usski company ko TV par dikhaya gaya hoga….

Aur ek din Abhi ko East mein jana tha ek building ke liye quotation banaane. Abhi jab Ruhi ki main road se guzra to jaan bujh kar uss filling station par ruka fuel lene ke bahane. Filling station se Ruhi ki kitchen ki stairs saaf dikhaayi deta tha…. Abhi car se nikla aur Ruhi ke kitchen ke taraf dekhne laga…

Ye Abhi wo wala Abhi nahin tha jo unn dinon uss aangan mein gande kapdon mein kaam karta tha aur Ruhi se pyar ki bheek manga karta tha…. pichle 5 saalon mein Abhi ne itna tarraki kar liya tha ke ab usske paas ek BMW, Ek Mercrdes bentz, aur ek Audi tha, cars ka shauk tha abhi ko, rodeo jaisa drivings karta tha…. usska ghar pata nahin kitne crore ka tha; usske pehnaav se dikhta tha ek raiz aadmi hai…. Aur jab Abhi ko koyi nahin dikha stair par to pump par kaam karne wale aadmi ne Abhi se pucha,

“kuch chahiye kia Sir, fuel to full hai aap ki BMW mein to aap kyun ruke yahan Sir?

Abhi khayaalon mein khoya hua uss pump wale se pucha,

“uss ghar mein wahan last wala jo hai, Manoj, Mahesh, weh donon yahin rehte hein nah?”

Aadmi ne kaha,

“haan sir ji, donon bhai wahin rehte hein, aap jaante ho unhe Sir?”

Abhi ne weise hi khayaalon mein khoya hua udhar hi dekhte hue kaha,

“Ruhi?! Ruhi ko jaante ho tum?! Wo yahin hai kia?!”

Aadmi ne pucha,

“magar Sir aap kyun sawaal kar rahe ho? agar unnko jaante ho to wahan chale kyun nahin jaate aap?”

Abhi ne jaise ek sapna dekhte hue kaha,

“Ruhi France jaane wali thi gayi ke nahin bata mujhe, tab se abhi 8 saal ho gaye; gayi ke nahin bata mujhe!!”

Abhi ka dil zoron se dhadakne laga tha, wohi pehle ki tarah jab Ruhi ka naam leta tha, tab yehi haal hota tha, usske jaise saans fullne lage the uss aadmi se sawaal karte hue… Abhi ke nazar usski kitchen se hatt nahin raha tha aur uss aadmi se jawaab ka wait kar raha tha to aadmi ne kaha,

“Suna tha jaane wali thi Sir, magar gayi nahin hai abhi tak yahin hai!!”

Abhi tab tak aise hanffne laga tha jaise 100 metres bhaag kar aya tha, uss aadmi ka jawaab sun kar Abhi ne usske chehhre mein dekhte hue ek ajeeb si muskurahat mein kaha,

“Aath saal, 8 saal hahahaha dekhta hoon kab jaati hai!”

Aur Abhi car ke driving wale seat par baitha, to aadmi ne jhuk kar kaha,

“Sir koyi message ho to batadun Ruhi ji ko?!”

Abhi ne ussko ek 100 ka note dete hue kaha,

Bus itna kehna ke Amitabh Bachchan jitna lamba aadmi puch raha tha usske baare mein wo samajh jaegi.

To be continued….
abhi crorepati ban gya khub tarakki kiya abhi ne pr dil abhi bhi ruhi ke liye dhadakta hai ruhi abhi ki ruh me jo bas gyi thi aisa to hona hi hai
superb update
 
Top