Rowdywa
Banned
- 1,133
- 5,151
- 143
Update 50 About Ruhi
“Sir koyi message ho to batadun Ruhi ji ko?!”
Abhi ne ussko ek 100 ka note dete hue kaha,
Bus itna kehna ke Amitabh Bachchan jitna lamba aadmi puch raha tha usske baare mein wo samajh jaegi.
Ab aaguey….
Abhi ne kyun uss din wahan ruk kar Ruhi ke baare mein sawaal kiya tha itne saalon baad wo khud nahin samajh saka. Aur ussko Ruhi ke baare mein baat karte waqt kia ho raha tha yeh bhi wo nahin samajh saka. Jiss dauraan wo Ruhi ki stairs par dekh raha tha, aur uss aadmi se baat kar raha tha Abhi ki awaaz badal gayi thi, usske saansein tez chal rahe the, wo jaise sapne mein tha uss waqt, jaise khayaalon mein ji raaha tha uss pal ko….
Ghar wapas jaane par Abhi ne drawer se unn diaries ko nikala jissko ussne uss din drawer mein band kiya tha jiss din Navina ne padhkar wapas kiya tha, matlab 7 saal baad unn diaries ko Abhi phir padhne laga…. Aur usske sukhe hue aansoo phir baahar aaye….. Ruhi ke saath guzaare ek ek lamhaat ko padhte hue Abhi ek chote bache ki tarah rone laga… usske aankhon ke saamne phir wo saare drisht taaza hone lage, Ruhi ki Muskaan, usskki awaaz, usski aadaien sab Abhi ko ghirrne lage aur wo wapas 1986 mein chala gaya…..
Ussko laga ke ek time machine ne ussko uthakar wapas Ruhi ke aangan mein patak diya.
Navina ki university mein lecture dene wala din tha, wo raat ko 9 baje wapas ane wali thi, matlab 9 baje Abhi ko ussko lene jaana tha kyunke Navina drive nahin karti thi, seekhna bhi nahin chahti thi, darrti thi drive karne se.
To Abhi ghar mein akele diaries padhte hue khub roya… aadha padha tab tak Navina ko lene jaane ka time ho gaya….
Navina se ussne kuch nahin kaha ke daries padhkar wo roya tha, phir bhi Navina Abhi ko itna pehchaanti thi ke usske awaaz se Navina ko pata chal gaya ke wo roya tha aur pucha kyun to Abhi ne jhoot kaha ke ek movie ki emotional scene ne usse rulaya.
Ghar wapas aane par Navina ne Abhi ke chehre mein ghaur se dekha aur usske gaalon ko chumte hue pucha,
“Aaj aap ne Ruhi ki diaries padhe the kia?”
Abhi Navina ko bahon mein bharke rone laga…. Usski chori pakri gayi thi…. Navina uss waqt ussko ek dost ki taraah comfort kar rahi thi, ek maa ki tarah ek rote hue bachche ko araam pahuncha rahi thi, Abhi ke peeth ko thapthapaate hue Navina ne pucha,
“Aaj aap ko Ruhi dikhi thi kia kahin? Hmmm? Aap ne dekha ussko kahin par kia?!”
Abhi ne rote hue kaha,
“Tum itni achchi kyun ho? Tum kaise bardaasht kar leti ho ke tumhara pati kissi aur ladki ke baare mein soch kar ro raha hai?!”
Navina ne araam se muskuraate hue kaha,
“Wo aap ka pehla pyar hai, main to secondary hoon nah, to samajhti hoon ke agar wo aap ko kabhi kahin mil gayi, to kia hoga mera? Aksar sochti hoon ke agar Ruhi aap ki zindagi mein wapas agayi to aap kia karoge? Kaise saamna karoge? Aur hamare haalat ko kaise manage karoge aap? Main to aap ko uss se milne ya usske saath rehne ko kabhi mana nahin karungi, magar main iss ghar ko chorr kar kahin nahin jaungi itna jaan lijiye aap…. Agar wo mili to aap usske liye alag ghar lena mere ghar mein mat laana usse haan!!”
Abhi ne Navina ko kiss karte hue kaha,
“Tum farishta mat banon Navina, tum apne haq ke liye lado mujhse se, ladaayi karo mujhse agar main uss se mili to, mujhko itna chhut mat do ke main bhatak jaun!”
Navina ne Abhi ke chaati ko chumte hue kaha,
“Nah, usska bhi haq hai aap par, iss liye main usska haq nahin chinungi, ussi ke badaulat to main aap se mili, ussi ki diaries ko padh kar to mujhe aap se pyar hua, ussi ke badaulat main ne aap ko jaana, pehchana, yeh jaana ke aap ke andar kitna pyar bhara hua hai…. Agar wo nahin hoti to main aaj aap ki bhi nahin hoti. Iss liye usska bhi haq banta hai aap par, iss liye mujhe aap ko uss se milne par rok tok karne ka koyi haq nahin.”
Abhi ne Navina ke gaalon ko chumte hue kaha,
“kiss mitti ke bane ho tum pata nahin!”
To Navina ne pucha,
“To ab batao kahan mili wo aaj aap ko?!”
Abhi: “kahin nahin mili wo. Aaj tak ussko dekha nahin hai main ne 24th December ke baad. Jiss din se wo mujhe chorr kar gayi aaj tak nahin dekha ussko main ne except ek do din bus ke andar se ussko usski aangan mein dekha tha guzarte hue… varna personally aaj tak nahin mila uss se main uss din ke baad”
Navina: “to phir kyun roye usski yaad mein aaj?!”
Abhi: “paagal hoon main, pata nahin kyun aaj main ruka usske ghar ke saamne main road par uss filling station par fuel lene ke bahane aur uss pump wale se Ruhi ke baare mein puch baitha…. Pata nahin kyun weisa kiya main ne!! ghalati kar baitha mujhko nahin puchna chahiye tha, upar se uss pump wale se keh diya ke Ruhi se kehna ke main aya tha usse dhundte hue!!!”
Navina: “To achah hua nah ab ek do din baad wapas jana uss station par uss aadmi se puchna kia uss ne aap ki message ko diya ussko ya nahin, tab sab pata chal jaega aap ko! – agar diya hoga to Ruhi ne kia kaha ussko wo bhi pata chalega aap ko…. Agar usski response sahi hui hogi to chale jaana uss se milne, kia pata ke wo aap ki raah dekh rahi hai abhi tak?! Who knows?!”
Abhi: “kyun bhatka rahi ho mujhe, main nahin jaane wala ab wahan…. Ghalati hui mujhse I won’t go there anymore!”
Naina: “acha ek baat bataiye, agar uss dauraan Ruhi aap ke samne aajaati jiss wat aap wahan khade the to? Kia karte aap? Agar wo bhaag kar aap ke taraf baahein feylaaye hue aati to aap ussko apne baahon mein nahin jakarte sab ke saamne sabko goli maar kar? Bataiye nah!”
Abhi aur Navina donon khade the ek dusre ko baahon mein bhade, aur Abhi ne usski peshaani ko chumte hue kaha,
“Ab bass karo mujhe aur kuch nahin sunna usske baare mein, stop it please!”
Naina ne kaha,
“Ruhi was a blessing in disguise in your life. Wo aap ki life mein issi liye aayi ke aap life mein tarakki karo. Agar wo nahin aati aap ki life mein, usski maa ko aap ka kaam naapassand nah hoti to aap ne aaj yeh dhan Daulat nahin kamaaye hote, murde garage ko firse zinda nahin karte aap, itna bada loan lekar uss garage ko nahin chalaate aap…. Yeh sab aap ne Ruhi aur usski maa ko dikhaane ke liye kiya….So Ruhi aap ki life mein ek masiha ban kar aayi, aap ka imtehaan liya aur uss tarah se aap ko neglect karke aap ko aage badhne ka mauka diya Ruhi ne…. that is a blessing in disguise! – balke hum donon ko bhi milaya Ruhi ne hi, wo nahin aati aap ki life mein to aap usski naam se diaries nahin likhte, aur main nahin padhti to main aap se impress nahin hoti to pyar nahin hota….yeh sab kuch to Ruhi ki vajah se hi hua nah? Aaj hum donon ek saath hai to Ruhi ke zarye se!.....
Agar wo kabhi bhi aap ko mili to ek baar mujhse zaroor milwana mujhe ussko thanks kehna hai, thanks iss liye ke ussne aap ko mere liye chorra, iss liye ke ussne aap ke pyar ko thukraya to aap ka pyar mujhe mila, thanks iss liye karna hai usse ke uss ne aap ko aaj iss mukaam par pahunchaya.”
Abhi ke paas kehne ke liye kuch bhi nahin tha kyunke jo bhi Navina ne kaha sab sahi the…..
Phir bhi Abhi ne pucha,
“Do you think unn logon ko mere baare mein khabar milta hoga? Do you think ke Ruhi ko pata hai mera Abruhi usske aur mere naam se hai? Kia ussko aur usski maa ko pata hoga ke main kahan se kahan pahuch gaya hoon? Kia usski maa ko ab pachtawa hota hoga? Kia Manoj ko pata hoga main kitna bada hasti ban gaya hoon aur wo abhi mere saamne kide makode ke jaisa hai hmm what do you think? Do they know?”
Navina: “100% sab pata hein sabko. Ruhi ko to pakka sab pata hoga aur usski maa ko bhi…. Aap itne baar TV par aaye ho news mein, aur har koyi news dekhta hai, aur phir papers mein, aur phir uss documentary mein jo baar baar tV par dikhaya gaya tha, aur uss business magazine walon ne pichle 5 saalon mein aap ke 3 interviews liye aur har baar aap ki kitne tasveerein chhape gaye uss magazine mein? My hubby is a celebrity my dear, to kaise ek celebrity ko nahin jaanenge weh log, pura desh aap ko jaante hein my dear Hubby!!”
To be continued…..
Fantastic, superb, awesone. Too good.
You rendered me really speechless with this update bro.
Blessing in disguise yeah totally agree with this. Ruhi had really been a blessing a disguise for Abhi.
Its due to her that Abhi is what he is and even Navina came to Abhi thanks to Ruhi and it is said by Navina herself. Hats to to a wife like her. Do we get wives like her anymore on earth?
If Ruhi is the blessing in disguise, Navina herself is the blessing in Abhi's life sent by Ruhi of course.
To get a wife who is so kind and generous Abhi must hv done good deeds in life.
Thanks for this amazing and lovely update bro. Its really awesome.