• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,598
113,837
304
Update 28 Abhi Returns Home

Abhi 6.30 ko bus mein chala gaya tha kaam shuru bhi kar diya tha. Koyi aur aaya hi nahin tha. Mehboob ya Rahima ko pata bhi nahin chala ke Abhi Ruhi ke ghar thehra tha. Sab soye hue the jab wo washroom gaya apne kaam karne wale kapda pehenne.

Ruhi aur Abhi ek saath kitchen mein baith kar chai piye the, usske baad wapas Ruhi ke kamre mein donon ne lamba passionate kiss kiye, Abhi ne kapda badla, Mahesh ka kapda wapas kiya, magar underwear Mahesh ka hi pehne rakha, Ruhi se kaha kal parson tak ghar se dhulwa ke wapas kar dega magar Ruhi ne ussko rakhne ke liye kaha.

Manoj 6 baje ghar se nikal gaya tha apne kaam par jaane ko. To uss se mulakaat hi nahin hui. Ruhi tab tak apni nighty mein hi thi bina bra ke. Jiss waqt usski bedroom mein Abhi ussko kiss kar raha tha to wo bilkool chipki hui thi Abhi ke chaati par aur Abhi usski mulayaam boobs ko apne chest par feel kar raha tha achchi tarah se aur ussko laga ke Ruhi jaan bujh kar thoda sa ragadh raha tha khud ko Abhi ke jism se….. Abhi ko fir afsos hua ke ussne raat ko Ruhi ko pyasa hi chorr diya tha aur subha subha to usski pyas bujhana naaamumkin tha kyunke usski maa kitchen mein thi, dada ji uth chuke the to kuch ziada kuch karne ki possibilities nahin the.

Jab Abhi ne bus mein kaam shuru kar diya to jaise har subha ko jab Abhi apne ghar se ata tha, uss waqt wo Ruhi se usski khidki ke paas jaa kar milta tha, to Ruhi ne ussko yehi kaha tha ke 7 baje tak baahar se uss se khidki ke paas baat kare magar pata nahin kyun Abhi ne weisa nahin kiya balke kaam start kar diya tha. To Ruhi apne khidki se Abhi ko akele kaam karte hue dekh rahi thi.

Jab 7 baje Saeed aur baaki ke log aaye to sab ne dekha ke apne khidki se Ruhi Abhi ko dekh rahi hai. Jab koyi pyar mein dooba hota hai to ussko pata nahin chalta ke dusre log unnko dekh rahe hein, pyar karne wale ko sirf apna pyar dikhaayi deta hai, Ruhi aur Abhi ke bhi yehi haal tha uss aangan mein. Koyi kissi ka parwah kiye baghair donon ek dusre ko ishara karte, ishare se baat karte, aur milkar bhi baat karte jaise sab normal the, upar se Ruhi aksar jeeb se chidhata Abhi ko aur wo lagbhag sab logon ne kayi baar dekha hua tha.

Kaam karte hue Abhi ek chiz ko soch kar usse miss kar raha tha. kia tha wo? Usski diary!! Kal raat agar wo ghar hota to kal ke baare mein sab kuch likh chuka hota. Ab soch raha tha ke aaj raat ko ussko kal ki 24 hours likhna hoga plus aaj ka din bhi. Yeh sab sochte hue kaam kar raha tha aur muskura raha tha kal raat ke moments ko sochte hue. Jab muskura raha tah ussi waqt udhar se Ruhi bhi unn palon ko soch kar muskura rahi thi jo donon ne kal raat ko ek sath bitaaye the, aur donon ke nazrein turant milte to donon ek dusre ko dekh kar hanss padte the. Aur yeh sab baaki ke log notice kar rahe the.

To ab sab normal guzarne laga aur lunch time ke baad Abhi gaya Ruhi se baat karne to ussne piche ke darwaze se Abhi se ghar ke piche milne aayi. Lunch time khatam hone tak donon ek dusre ke baahon mein rahe, kiss vaghaira karte, Abhi ka haath Ruhi ke jism ke kuch ziada hi andar ferrne laga tha aur Ruhi mana nahin kar rahi thi ab ussko chhune se.

Jab lunch ke baad Abhi kaam karne wapas gaya to Ruhi ek baar kuch kapde dho rahi thi jiss mein Abhi ka underwear tha, aur Ruhi ne ishare se kuch kaha Abhi se. Abhi gaya usske paas puchne to Ruhi ne kaha aaj shaam ko ghar wapas jaane se pehle usska underwear sukh jaega to ussko de degi lejaane ke liye.

Phir Ruhi sone chali gayi aur shaam ko 3 bajne ke baad kitchen ki chaukath par dikhaayi diye. Uss dauraan Shweta kayi baar Abhi se milne aayi bus ke andar, baahar, bagal mein, peyr ke paas, haar jagah. Aur kitchen se Ruhi Shweta ko dekhti rahi Abhi ke saath.

Shaam ko sab normal guzra aur washroom se hokar Abhi nikla ghar wapas jaane ke liye, to Ruhi ne ussko ghar ke piche aane ka ishara kiya kitchen ke chaukath se.

Assal baat yeh thi ke ab Ruhi Abhi ko bahot miss karne lagi thi, ussko pata tha ke ab Abhi chala jaega aur kal shaam aur raat ki tarah aaj usske saath nahin rahega, to Ruhi ko bahot udaas feel ho raha tha. Usska dil chahta tha aaj ke shaam aur raat bhi kal ki tarah guzre, ke Abhi aaj bhi wahin rahe usske paas, usske kareeb.

Jab Abhi ghar ke piche gaya to Ruhi uss se lipat gayi aur zor se Abhi ko jakar kar ussko chaaron taraf usske chehre par, chhaati par, gaal par, munh par chumne lagi. Ruhi ki baahein Abhi ke gale mein bandha hua tha aur wo Abhi ko chorr hi nahin rahi thi, ek kiss kiye donon ne, aur Ruhi ab kiss ko hi khatam nahin kar rahi thi, Abhi ne taaqat se ussko khud se door karte hue kaha,

“Aaj mujhko sach mein buss miss karwana hai kia? Kal milte hein nah sweetheart. Ab to jaane do nah baba!”

Ruhi ne ek natkhati adaa mein kaha,

“Nah! main nahin jaane dungi aaj bhi aap ko, mujhe aap ki ab zaroorat hai.”

Abhi ne bade pyar se kaha,

“Samajhta hoon my love, magar ghar bhi to jaana hai nah mujhe, ghar par sab meri raah dekh rahe honge, maa aur Naina fikar kar rahe honge, kal subha 6 baje yahan ajaunga aur yahin milenge donon aur sath rahenge 7 baje tak okay?!”

To Ruhi ne pucha,

“Achcha aap mujhe yeh batao ke kal raat itna acha mauka mila tha aap ko mere saath aap ne kyun kuch nahin kiya? I was waiting for that you know?!”

Abhi ne kaha,

“Are isska jawaab to kal raat ko hi de diya tha nah tumko? Atmosphere sahi nahin tha nah? Hum akele nahin nah the jaise uss din ko the jiss din tumari mummy nani ke yahan gayi thi.”

Ruhi: “Raat thi, tanhaayi thi, hum akele hi the, khamoshiyan the, aur kia chahiye the atmosphere banana ke liye? Kitni haseen raat thi kal? Aap ko pata hai main kal raat 3 baar aayi thi aap ke paas jab aap neendh mein the, iss umeed se ke aap ko jaga kar apne saath apne kamre mein lechalun, magar aap bahot gehre neendh mein the to disturb karna achha nahin laga… Aap sote hue kitna handsome aur sexy lagte ho pata hai aap ko?”

Abhi: “hmmm bilkool jaise main ne tumko uss din sote dekha tha, to tum ne bhi mujhko sote hue dekh hi liya, hisaab barabar hehehe”

Ruhi: “Aap ko mazaak sujh raha hai do you know what I went through? Can you understand that?”

Aabhi: “Do you really think I do not understand? And can you feel and understand what I had felt the day I had seen you sleeping? Do you know how much I was longing for you? I so dearly wanted to come on the bed by your side at that very moment and wished to make love to you, and you were looking so hot and sexy, if that stupid Reza had not been there I was sure to be on the bed by your side that day.”

Abhi ko sunke Ruhi ke aankhon mein ek chamak dikhi, aur ussne Abhi ko bahot sensually kiss kiya, aur usski aah nikal rahi thi kiss karte hue, usski jism mein jaise ek aag bhadakne lagi thi, aur apne jeeb ko Abhi ke gaal par ferrte hue Ruhi ne whisper mein apni garam saans chorrte hue kaha,

“I so badly now need you Abhi, please stay, issshhhh, I want you really bad!”

Abhi: “Sorry sweetheart it’s not the right time honey and not the suitable place for that. We are unfortunate because when the time was right you were not willing, and when you were ready last night, I knew it, but then I was not willing, its sad, we are not synchronised that way I see. But don’t worry, the suitable time and moment will soon be by our side.”

Ruhi e munh banaate hue kaha,

“thik hai phir jao aur kabhi wapas mat aana aap!”

Abhi ne usske aankhon mein dekhte hue usske donon aankhon ko kiss kiya aur kaha,

“haaye yeh ghussa bhi kitni khubsurat hai, chaar chand laga deta hai iss chehre par, jaaneman, zuban ne to keh diya magar ye aankhen meri raah takte rahenge kal subha tak aur ho sakta hai raat bhar sapnon mein bhi main hi bassa rahunga inn aankhon mein…”

Ruhi pighal gayi aur phir se lipat gayi Abhi se yeh kehte hue,

“hmmm aur aap in aankhon ko tarpa kyun rahe ho Abhi, innko aap hi ka intezaar rehta hai, uff kaise raat kategi aaj meri?!”

Abhi: “Shweta ko apne saath rakhna, uss ke saath meri batein karna, main tum donon ke yaadon aur baton mein to present rahunga nah hote hue bhi, hmm thik hai sweetheart?!”

Ek last kiss kiye donon ne, Ruhi ne ussko usska underwear diya ek kagaz mein lapet kar aur Abhi wahan se nikal chala….. Jab tak wo main road nahin pahuncha Ruhi ussko dekhti rahi.

Jab Abhi bus mein baith gaya, aur bus wahan se guzra to dekha ke Ruhi Shweta ke saath ussko bus mein dekh rahe the, angan ke bus ke paas khade hokar. Yeh pehli baar hua tha ke Ruhi bus ke paas aakar Abhi ko bus mein jaate hue dekh rahi thi aur aaj Ruhi ne Aabhi ko wave kiya Shweta ke saath.

Ghar wapas aakar sabse pehle Abhi ne apni diary likhna shuru kiya. Kal jo kuch bhi hua Ruhi ke sath usske ghar mein, usski kamre mein, kiss tarah Ruhi ne change kiya, kaise bra nikali etc sab kuch Abhi ne detail mein likha apne diary mein. Aur apne feelings ko deeply likha Abhi ne. Ye bhi likha ke abhi aane se pehle Ruhi ne uss se kaha ke kal raat 3 baar wo Abhi ko dekhne aayi thi beech raat mein aur Ruhi ne kaha ke wo kitna handsome aur sexy dikhta hai sote hue….. baaki sab kuch likha Abhi ne jaise har roz din kaise guzarta hai Ruhi ke aangan mein… wo sab likhte hue Abhi har raat ko un lamhon ko dobara jeeta hai har roz jaise abhi sab likhte hue Abhi wapas kal raat ke lamhon ko jee raha tha…..

Jab Abhi nahane chala gaya to hamesha ki tarah Naina ne wo sab padha jo Abhi ne likha tha. Naina jaanna chahti thi ke kal raat bhar Abhi kahan ruka tha, aur wohi padha Naina ne jisska ussko shak tha, matlab Naina ko shak tha ke Abhi Ruhi ke ghar hi ruka hoga…..

Jab Abhi naha kar wapas apne kamre mein aya to Naina diary haath mein liye Abhi ko dekh rahi thi aur kaha,

“Bhai she is not a virgin? Magar kyun ussne detail nahin bataayi aap ko?”

To be continued….
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,598
113,837
304
Update 29 The next Day

Jab Abhi naha kar wapas apne kamre mein aya to Naina diary haath mein liye Abhi ko dekh rahi thi aur kaha,

“Bhai she is not a virgin? Magar kyun ussne detail nahin bataayi aap ko?”

Ab aaguey….

Abhi ne Naina ki baat sunkar realise kiya ke ussko wo part nahin likhna chahiye tha, likhte waqt wo bhool hi gaya tha ke Naina wo sab padhne wali hai. To wo jaldi se naina ke paas jaate hue ussko phuslaate hue pehle to yeh kaha ke uss baare mein maa ko bilkool bhi nahin batana hai. Wo ek secret ki tarah sab se ghar mein chhupana hai. Naina maan gayi ke apni maa se wo baat nahin bataegi, magar phir bhi pucha ke detail kyun nahin bataayi Ruhi ne.

To Abhi ne naina ko yeh kehte hue samjhaya,

“Naina, ab tumhi batao kia iss baat ko aur ziada puch kar ussko pareshaan karta kia? Kia yeh thik hota ke aise nazuk baat ko main uss mauke par uss se aur ziada puch sakta tha, phir bhi main ne pucha to tha nah ke kiss ne kiya kaise hua, kaun tha wo…. Yehi sab puchne ke liye main ne 100 bar socha pehle, ussne batana shuru kiya phir ruk gayi yeh kehte hue ke wo uss baare mein baat nahin karna chahti. Ab tumhi socho Naina, agar usske saath koyi durghatna type kuch hua hoga to kia agar usske baare mein baat karti to wo unn dinon ko wapas nahin jeeti? Ussko aur dukh nahin hota? Hota nah? To main nahin dukh pahuchana chahta tha ussko issi liye main ne aur nahin pucha!”

Naina ne phir bhi kaha,

“bhai magar ussko aap ko batana chahiye tha nah?”

Abhi ne Naina se kaha.

“Nainu, maan lo ke tum Ruhi ho aur tumhare saath kuch weisa hua ho to kia tumko achcha lagega agar uss baare mein koyi tumse sawaal kare aur tumko sab kuch detail mein bataane ke liye kahe? Tumko acha lagega uss baare mein phir se sab kuch detail mein bataane ko? Bolo? Are filmon mein nahin dekha ke court mein kissi ladki ko kiss tarah se blame kiya jata hai agar kissi mard ne usske saath rape kiya ho ya zabardasti kiya ho to uss ladki se kiss tarah ke sawaal kiya jata hai aur ussko sab bataane mein kitni sharmindagi mehsoos hoti hai? To socho Ruhi ko kaisa feel hoga wo sab bataane mein?! Main ne yeh sab socha iss liye aur kuch pucha hi nahin….. Agar kabhi Ruhi ko batana hai to bataegi, magar main kabhi bhi iss baat ko nahin cherunga, Main uss se pyar karta hoon usski virginity se nahin, mere liye usska koyi importance hi nahin hai!”

Naina ne apne bhai ke baaton ko sunkar ussko zor se gale lagaya aur kaha,

“Mujhko mere bhai par garv hai. God bless you bhai!”

To iss baare mein phir kabhi Naina aur Abhi mein baat nahin hui. Aur naina ne kissi ko bhi ghar mein iss baare mein bataya hi nahin. Yeh baat sirf bhai aur behen ke beech hi rahi.

Magar uss shaam ko Naina ne Abhi ko bahot chedda yeh puchte aur anumaan lagaate hue ke kal raat Ruhi ke saath kia kia kiya ussne, ke ek full raat guzara ussne Ruhi ke saath to kitni haseen raat hui hogi donon ke….

Ab uss raat ko diary mein Abhi ne ab apne feelings ko likha aur ussko uss waqt kia feel ho raha tha, Ruhi ko kitna chahta hai aur miss kar raha hai wo sab likha uss ne. Abhi ne yeh bhi likha….

“I am waiting for that day when Ruhi will be here on this bed together with me and I will make her read all this. She will then read and know what I was going through the days I worked in her yard. Those were the most beautiful days of my life which I will never forget. I met love, I met the one I was waiting for, I met my soul mate in that yard. And I am grateful to God and my job. If I was not doing this job I would never have gone there, would have never known her, would have never met her….”

*************************************************************************

Subha 6 baje Abhi wahan pahunch gaya tha aur Ruhi uss se pehle tayyar Abhi ka wait kar rahi thi apne kamre ki khidki par tek lagaaye, Main rod par nazrein bichaaye ke kaun si bus se Abhi ayega. Har bus jo guzarti Ruhi kehti ‘ab aega, ab aya hoga, iss bus mein to zaroor aega….’ Aur jab Abhi ko dekha main road se usski aangan mein daakhil hote hue Ruhi ki aankhen bhar aayi…. Badi emotional thi wo bhi, chhoti chhoti baton mein usski aankh bhar aati thi, jaise asaani se aankhen chalak jaati thi usski, ab kia sochte hue usski aankhe iss waqt Abhi ko dekh kar chalki thi yeh wohi jaane.

Abhi ki nazrein bhi aangan mein daakhil hote hue sabse pehle usski khidki par hi pade the aur donon ke nazrein chaar hue, Abhi Khushi se muskuraya kyunke wo raaste bhar Ruhi ko sochte hue hi safar kiya tha, ussi ko dil o dimaagh mein basaaye hue ata tha har subha. To Ruhi bhi ussi ko dekhti rahi aur Abhi seedha uss khidki tak gaya, aur ooncha hone se ussko bilkool takliff nahi hui apne gaal ko Ruhi ke honth ke paas karne ko, jiss par Ruhi ne bade pyar se puppy diya, aur khidki se hi Ruhi ne apne donon baazu ko Abhi ke gale mein daal diya aur Abhi ne bhi Ruhi ko pakar liya jiss se Ruhi ka aadha jism khidki ke baahar agaya tha, aur donon zoron se hanssne lage….. Ruhi ko Abhi ne finally kamre ke baahar nikal diya uss khidki se, nange payr Ruhi ab baahar thi aur donon ke hanssi nahin ruk rahe the to andar se Ruhi ki maa ne jab donon ko hansste suna to dekhne aayi, aur wo Ruhi ki kamre mein aayi to dekha ke Ruhi baahar hai Abhi ko thaam kar zoron se donon hanss rahe the…..

Ab maa khidki se tek lagaya aur donon ko dekhte hue samajhne ki koshish kar rahi thi ke kia hua, to Ruhi apni maa ko dekh kar aur bhi zoron se hanssne lagi, maa ne pucha ke hua kia kyun paagalon ki tarah hanss rahi hai,to Ruhi ne kaha;

“ma meri chapal do nah, main nange peyr hoon!!”

To maa ne wapas kamre mein dekha ke Ruhi ki slippers andar hai to ab ussne realise kiya aur hansste hue pucha,

“kia tum khidki se baahar gayi? Kaise?!!”

Ruhi ziada zorr se hansste hue apne ungli ko Abhi ke taraf karte hue kaha,

“mujhko Abhi ne nikala hihihihihihihihihi!”

Abhi ki hanssi bhi nahin ruk raha tha, to Ruhi ki maa ne kaha,

“yeh chorron wali kaam hoti hai khidki se andar ana ya baahar jaana Abhi kia tum meri beti ko bhaga ke lejaane ko to nahin plan kiya hai?!”

Iss par Abhi bhi ziada hanssne laga phir kaha,

“Agar aap ne isska haath mujhe nahin sompa to yehi karna hoga mujhe, issi khidki se uda le jaunga Ruhi ko ek din!!”

Ruhi ki maa ne usski slippers diya Ruhi ko aur Ruhi ne tab ussko pehna aur Abhi ka haath pakar ke ghar ke piche legayi apni romance karne wale kone mein kuch pyar ke lamhe guzaarne ke liye Abhi ke saath…..

Uss daruan chipka chipki mein Ruhi ka haath Abhi ke pant ke pocket par pada jahan ussko laga ke cigarette ka packet tha, usske jeb mein haath dala Ruhi ne to nikla ek notebook. Abhi ke paas hamesha ek chota sa notebook hua karta tha, laal rang ka, aur pen to beshak hamesha Abhi ke kamiz ke buttonhole mein hua karta tha, jo aksar Ruhi ke baal mein fanss jaya karta tha. Pen Parker tha Abhi ke paas jiska refil wo change karta tha ink end hone ke baad. Silver colour ka parker pen hua karta tha Abhi ka.

Uss din Ruhi ne Abhi ka wo notebook liya aur kaha,

“Main ne aap ke letter ka jawaab nahin diya tha nah? To yeh notebook mere saath rehne do aaj iss mein main kuch likhungi aap ke liye, shaam ko jaate waqt le lena wapas, aur apna Parker pen bhi dijiye, issi se likhungi, aise menhge pen se kabhi likha hi nahin main ne life mein.”

Abhi ne de diya apne notebook aur pen donon Ruhi ko.

Din mein jab Abhi kaam mein laga hua tha to dekha ke achaanak Ruhi ki maa bahot tez kadmon se aangan se guzarte hue main road ke taraf jaa rahi thi… Abhi ko kuch samajh mein nahin aya ke kia hua, lagta tha kuch hua tha, phir ek pal baad Ruhi bhi usske piche gayi, Abhi bus ke andar tha aur kuch pucha nahin magar Ruhi ko nazron se follow kiya, to dekha ke road ko cross kiya maa beti donon ne, road cross karne ke baad to filling station hota tha aur donon ussi taraf gaye…..

Abhi bus se nikla aur dada ji se puchne gaya ke kia hua kahan gaye donon dhadpadaate hue?

Dada ji ne bataya ke Ruhi ke papa ne phone kiya hai Saudi Arabia se, ussi se baat karne gaye hein donon. To Abhi ne pucha to ghar mein idhar donon ko kaise pata chala ke wahan phone aya hua hai? Tab dada ji ne kaha ke filling se koyi aya tha bulaane ko.

Aur lunch time mein jab Abhi Ruhi se mila to pucha kia kaha usske pita ne to Ruhi ne kaha ke do hafte baad wo wapas arahe hein. Ruhi khush thi, usski maa bhi. Wo teen saal se S.Arabia mein tha. Abhi ne Ruhi se usske papa ke baare mein sawaal kiya ke wo kaisa aadmi hai, strict hai, severe hai, bold hai ya kaisa hai. To Ruhi ne kaha,

“mera papa CREAM hai. Bilkool makhan. 100% naram mizaj ka insaan hai, bilkool cool, thanda dimagh wala, jisko ghussa karna hi nahin ata kabhi.”

Abhi khush hua aur kaha,

“Tab to ussko hamare baare mein pata chala to ussko eitraz bilkool bhi nahin hoga?!”

Ruhi ne Khushi se kaha,

“bilkool bhi nahin, main ne haan kaha to wo kabhi ek word bhi nahin bolega, jiss mein meri Khushi ussi mein usski.”

Abhi: “great then, I am lucky!”

Ruhi: “haan iss maamle mein aap bilkool lucky hi ho, you will love my papa very much I am sure!”

Abhi: “And he? Will he love me, and love me as a son-in-law?”

Ruhi: “Of course he will. My elder sister’s husband that is by bro in law is always loved and cherished my all at home, so will be you, rather you will be more special because you are younger, and very handsome, you are a hero and my dad will get a hero as a son in law so no doubt he will be happy and love you”

Abhi ne Ruhi ho apne baahon mein bhadte hue kaha,

“Tum mujhe chadha rahi ho nah? jo main tumko dikhta hoon, zaroori nahin ke tumhare papa ko bhi wohi dikhun, could be he will not like me at all!”

Ruhi: “okay jab wo aaye to khud hi dekh lena main kuch nahin kehne wali ab!”

Abhi: “hope ke hamaare yahan ke kaam end hone se pehle wo ajaaye.”

Ruhi: Aap ne kaha that 24th December ko end ho raha hai nah kaam? Aaj 8th hai, papa 19th ko arahe hein, so you will still be here!”

Abhi: “Great I will get 5 days to know him, wo bus ke paas zaroor aega, hum kia kaam kar rahe hein dekhne to aega, to main uss se bat karunga.”

***********************************************************************

Shaam ko kaam khatam karne ke baad Abhi jab washroom gaya to Ruhi nazar nahin arahi thi. Balke pehle ek ghante se nazar nahin aayi thi aur Abhi ko bilkool achcha nahin lag rahaa tha, ussne seeti bhi bajayi uss gaane ki phir bhi Ruhi nahin dikhi aur na hi usski maa nazar arahi thi aur Mehboob Saeed se baat kar raha tha thik bus ke saamne. Abhi ko darr tha ke kahin ussko bina Ruhi ko dekhe hi ghar wapas nah jaana par jaaye aaj.

Aur jab bus ko pass kiya Abhi ne aur Ruhi ke khidki ke taraf dekha, to Ruhi nazar aayi usska intezaar karte hue pata nahin kabse… Ruhi ussko kuch kehne jaa rahi thi magar Abhi ne uss se pehle apna notebook mang liya…… yeh chauthi baar hua tha ke Ruhi kuch kehne jaa rahi thi magar nahin kaha tha, yeh ghar jaakar Abhi ne note kiya tha diary mein ke 4 baar Ruhi ne kuch kehna chaha tha magar nahin keh paayi thi, aur diary mein exact din aur waqt likha hua tha.

To Ruhi gayi notebook aur Abhi ki pen laane tab tak Abhi Saeed se baat karne laga, magar saeed jaane laga to Mehboob ne Abhi se pucha ke ab wo kia wait kar raha hai, to Abhi ne kaha ke Ruhi ek book dene wala hai usse.

Phir Mehboob chala gaya aur Abhi wapas gaya khidki ke paas aur Ruhi ki maa kitchen ke chaukath se Abhi ko jaate hue dekh rahi thi muskuraate hue, to jab Abhi Ruhi se mila khidki ke paas to uss se kaha ke usski maa dekh rahi thi ussko iss taraf aate hue, to Ruhi ne kaha,

“dekhne do kia buraayi hai?!”

Apna pen aur notebook lene ke baad Abhi ne Ruhi se kaha,

“ab jao kitchen ke stairs par please!”

Ruhi ne natkhati adaa mein hansste hue pucha,

“kyun?! Wahan kyun jaun main?!”

Abhi: “ofo tumko achi tarah se pata hai ke main ghar wapas jaate hue tumko dekhna passand karta hoon nah jao nah please….”

Aur abhi ne ussko bye kiya aur main road ke taraf badhne laga mudh kar dekhte hue ke Ruhi kitchen ke paas gayi ya nahin… aur main road reach hone se pehle dekha ke Ruhi ne usski baat maani aur aayi thi kitchen ke stair par aur Abhi ko dekhte hue muskuraa rahi thi….. yeh chhoti choti chizein Abhi ke liye bahot important tha, sirf Ruhi wahan nahin aati to Abhi ki shaam aur raat bahot bura guzarne wala tha.

Bus mein jaate waqt Abhi ne apne notebook check kiya to uss mein buss seikron love thoughts aur proverbs likha hua tha Ruhi ne…. muskuraat hue Abhi sab padhta gaya baar baar. Yeh pehli baar thi ke Ruhi ki handwriting mila tha Abhi ko wo bhi apne personal notebook mein, jissko Abhi umar bhar rakhne wala tha.

To be continued…. (2521 Words)
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,598
113,837
304
Update 30 Friends of Abhi At that Place

Kaam advance stage par pahunch chuka tha. George mechanic ne engine start kar diya tha aur electrician ne saare wires fit kar diye the, engine ki connections se lekar pure bus mein saare bulbs, lights, headlights, flashers, wipers, indicator ke light sab sahi chalne lage the. Inn sab ko Abhi ke team ke saath milkar kaam chalana tha kyunke wires saare bus ke andar se pass hote the, to kayi baar eisa hua tha ke Abhi ya Saeed ki zaroorat pade the electricians ko unn logon ke help lene ke liye taake unn ke electric wires koyi aisi jagah se nahin guzre jiss se baad mein connection ke problems ho. Abhi ka George aur electrician se acha banta tha.

Ab time aya tha painter ko join karne ki. Ussko bus ko paint karna tha, magar usske liye Abhi ke team ko kaam finising tak karna tha tab wo paint kar paata. Magar phir bhi agaya tha primar paint lagaane sabhi unn jagahon par jahan Abhi ke team ne kaam complete kar diye the. Painter ka naam tha Sunil. Jiss din Sunil aya Abhi heyraan hua yeh dekh kar ke Sunil direct Ruhi se baat karne gaya aur donon kuch der tak baat karte rahe Ruhi ke kitchen ke paas.

Sunil ek bahot hi acha insaan tha. Usske chehre aur swabhav se dikhta tha ke wo kitna acha insaan hai. Usska chehra bahot sympathetic chehra tha, ek muskaan rehta tha hamesha usske chehre par. Lagbhag 30 se 35 saal ka hoga aur shadi shuda tha.

Abhi ke do bahot achche dost bane the Ruhi ke aangan mein kaam karte hue. Wo the George aur Sunil. George bhi kuch ussi type ka hassmukh insaan tha, jo kabhi bhi ghussa nahin karta aur cool rehta tha. Usska Abhi se hamesha banta tha khaas kar wo Abhi ko support karta tha Ruhi ke pyar ko lekar.

Aur Sunil bhi weisa hi insaan tha. Kehte hein nah, opposites get attracted to each other, to shayad Abhi ki issi liye unn donon se bahot banta tha kyunke Abhi hot temper wala tha, ussko ghussa bahot jaldi ata tha, ussko apne ghusse par kaabu rakhna nahin ata tha, aur weh donon Abhi ke opposite the, shayad iss liye unn donon se Abhi ki achchi dosti hui thi. Weh donon Abhi ko bahot passand karte the aur jab bhi Abhi ghussa hota kaam ko lekar to George aur Sunil hamseha Abhi ko shant karaate the.

Jab Sunil se Abhi ki dosti ho gayi to Sunil ko pata chala ke Abhi Ruhi se pyar karta hai, kaise pata nahin chalta jab bus ke saare logon ko pata tha aur sab dekh sakte the kiss tarah donon aapas mein ishaare se baat karte hein phir chhup kar ghar ke piche milte hein etc…. jab Sunil ne wo sab dekha to wo khush hua. Aur uss baare mein Abhi aur Sunil ki baat hui.

To donon ke dosti hone ke baad Abhi ko pata chala ke Sunil kuch saal pehle Ruhi ki badi behen se pyar karta tha. Ruhi ki behen bhi uss se pyar karti thi. Magar unn dinon Sunil bekaar tha, dhang ka kaam nahin tha usske paas, aur Ruhi ki behen ko bahot saare shaadi ke proposals arahe the. To Ruhi ke parents ne dabaav dala tha Sunil aur usske parents par ke agar weh chahte hein ke Sunil unnke beti se shaadi karen to Sunil ko koyi bhi kaam to karna hoga nah!

Aur Sunil ne khud Ruhi ke parents ko keh diya ke Ruhi ki badi behen ke liye koyi bhi dusre proposal ko accept kar lein. Sunil itna achah tha ke wo nahin chahta tha ke usski bekaari ki vajah se Ruhi ki behen ki zindagi barbaad ho aur kissi ache ghar ke rishte chuth jaye usski.

Sunil issi ilaake ka rehne wala tha, to sabse usski jana pehchaan the. Aur kyunke ussne khud Ruhi ki badi behen ko kahin aur shaadi karne ke liye azaadi de diye the, Ruhi ke parents ussko respect karte the. Apni bekaari ki vajah se ussne apne pyar ko qurbaan kiya tha.

Usske baad se hamesha Sunil aur Ruhi ki family se ek acha relationship bana raha. Ussko cheddte the wahan ke log ke wo miss hua jamaayi tha uss ghar ka.

Ruhi ki badi behen ki shaadi ke 5 saal baad Sunil ne kahin aur shaadi kiye, kyunke 5 saal baad Sunil ki life mein tabdiliyan aaye the, aur wo as painter ek company mein kaam karne laga tha.

Sunil ki shaadi mein Ruhi ki puri family invited the yahan tak ke Ruhi ki badi behen aur pati bhi aaye the. Usski pati ko kabhi bhi pata nahin chala ke Sunil kabhi usski patni se pyar karta tha.

To iss tarah se Ruhi tab chhoti thi magar usski dosti bhi bani rahi Sunil ke saath. Jinn dinon Ruhi college jaati thi to Sunil ke ghar ke paas se guzar kar jaati thi, aur koyi ladka Ruhi ko chedta ya tang karta to Ruhi Sunil se kehkar ladkon ko bhagati thi.

Ab jab Abhi ko pata chala ke Sunil itna close hai uss family se to wo Sunil se Ruhi ke baare mein aur ziada janna chaha.

Sunil ko jab sab dikh gaya ke Abhi aur Ruhi ek dusre se kitna pyar karte hein to Sunil ne Abhi se kaha,

“Mujhe bahot Khushi hui yeh jaan kar ke tum Ruhi ko itna chahte ho. Ussko kabhi nahin chorrna, ussko bahot pyar dena, bahot achchi ladki hai wo!”

Abhi ko achcha laga Sunil ki unn baton ko sunkar. Aur ek din Abhi ne socha ke kia Sunil ko Ruhi ki virginity wali baat shayad pata hoga agar wo itna close hai unn logon se to……

Abhi ne yeh soch kar uss baat ko puchna chaha Sunil se, ke Sunil itna achcha insaan hai ke wo Abhi se kabhi jhoot nahin bolega, aur uss se sach nahin chhupaega. Abhi ko yakeen tha ke Sunil waisa insaan nahin hai ke weisi baat ko wo uchalega ya kissi se bhi kabhi uss baare mein baat karega. Sirf iss liye ussne ek din Ruhi ke baare mein baat karte hue pucha ke kia Ruhi ki life mein kabhi koyi tha? Kia Ruhi ne kabhi kissi se pyar kiya tha?

Jawaab mein Sunil ne bataya ke jinn dinon Ruhi college jaati thi, to tuition ke liye kissi ek teacher ke ghar jana padta tha ussko, aur unn dinon Ruhi ne Sunil ko bataya tha ke wo teacher uss se pyar karta hai, magar usske aage kia hua kabhi pata nahin chala. Magar Abhi ko virginity wali baat Sunil se puchne ki himmat nahin hui aur ussne yaad kiya ke Ruhi ne kaha tha ke kissi ko bhi nahin pata hai uss baare mein. To shukar hai ke Abhi ne uss baat ke baare mein nahin pucha Sunil se.

Sunil ne Abhi ko encourage kiya ke Ruhi ke pita bahot acha insaan hai usske aane ke baad Abhi uss se baat kar sakta hai aur uss se Ruhi ka haath maang sakta hai wo kabhi inkaar nahin karega, iss baat ka yakeen dilaya Sunil ne Abhi ko.

**************************************************************

Agle din, subha ko jab Abhi kaam par pahuncha to dekha ke Ruhi savere savere kapde dho rahi thi, bahot saare kapde the usski bucket mein, Ruhi ne Abhi ko aate hue nahin dekha ussne peeth kiya hua tha Abhi se. Aur Abhi ko heyraani iss baat ki hui ke usski maa usske sath nahin thi to Abhi ne socha ke kyun aaj itne saare kapde Ruhi akeli dho rahi hai.

Wo usske paas gaya, ek dusre ko puppiyan diye donon ne aur 7 baje tak baat kiye, aur Abhi kaam par lag gaya apna.

Kaam karte waqt hamesha ki tarah Abhi seikron baar Ruhi ko dekh rahi thi aur wo bhi washing stone se hazaaron baar Abhi ko kabhi dekhti, kabhi hanssti, kabhi muskuraati….. eisa chalta raha, aur jab Ruhi kapde sukhne ko tang rahi thi to Abhi bus ke piche wale hisse par kaam kar raha tha jiss se Ruhi ko usse dekhne mein muskil ho raha tha to Abhi ne dekha ke kiss tarah se Ruhi baar baar hatt kar, jhuk kar ya jagah badal kar Abhi ko dekh rahi thi.

Aur jab Ruhi terrace par poncha lagaane aayi to usski maa saath thi aur Ruhi ne achanak apne jeeb nikaal kar chidhaya Abhi ko aur usski ma ne hansste hue uss se pucha,

“kiss ke saath jeeb nikali tumne!”

Ruhi ne ungli dikhaya Abhi ko dikhate hue aur zor se hanss padi…. Abhi ko bahot acha laga usski wo adaa….

Abhi sochta raha ke sirf ussi ke saath Ruhi weisa karti hai aur kissi ke saath bhi nahin, itne saare log hein bus mein kaam karte hue aur sirf Abhi ko jeeb se mock karti hai to matlab saaf hai ke sirf Abhi ke liye wo special treat tha. Jab Abhi naya tha uss aangan mein tab to Ruhi ne kabhi weisa nahin kiya tha Abhi ke saath sirf closeness badhne ke baad wo weisa karne lagi thi, to Abhi ke samajh mein aya ke yeh Ruhi ke taraf se Abhi ko pyar karne ka ek ishara tha…. Iss se Abhi ko bahot Khushi milti thi.

Lunch time mein jab donn baatein kar rahe the to kyunke Chritmas karib araha tha Abhi ne Ruhi se kaha ke wo ussko ek Christmas wishing card post karega ek letter ke saath, ussko dusri letter milega Abhi ke taraf se magar wo ussko haath mein nahin dega balke postman ussko wo laakar dega.

Ruhi ne mana kiya yeh kehte hue ke sabko pata chal jaega ke postman ne ussko Abhi ki letter diya hai, ussne mana kiya. Magar Abhi ne zid kiye ke wo weise hi post karega, aur kaha ke issi ilake mein post karega aur khud postman ko ussko deliver karte hue bhi dekega… Ruhi baar baar kehti rahi ke kuch nahin post karne ko….

Lunch ke baad Ruhi iss din ko din bhar Abhi ke saamne rahi. Sone nahin gayi thi wo, Abhi ke saamne rahi din bhar jo Abhi ko bahot acha laga.

Ek baar Ruhi farzinah ki bicycle chadh rahi thi, bus ke paas se guzri to Abhi ne ussko roka, wo bus ke piche ruki taake baaki ke log nahin dekh paaye ussko Abhi se baat karte hue. Ruk kar ussne apni meethi aur surili awaaz mein pucha,

“kia hai ji, kyun roka mujhko aap ne ji!”

Abhi ne pucha ke kyun wo nahin chahti ke Abhi ussko post se kuch send kare. To Ruhi ne kaha,

“I will get troubles with my parents.”

Abhi: “but you will receive it in your own hands, no one will know what was in the letter….”

Ruhi “no, no no!”

Abhi: “kyun? Iss se pehle koyi tha jo tumko khat vaghaira likhta tha? Penfriends the kia tumhare? Kissi ko likhti thi tum? Pata hai mere kayi penfriends hai, tumhare bhi rahe honge hai nah?!”

Saeed uss taraf aa rahe the to Ruhi ne nah kehte hue wahan se nikal gayi.

Usske baad Ruhi saamne hi rahi ….

Har roz karib 1 baje Rahima juice serve karti thi saare workers ko. Ek tray mein juice ke glasses hote the, jissko finish karne ke baad hamesha Abhi hi tray wapas karne jata tha. Aur aaj jab Abhi tray wapas karne jaa raha tha to Rahima ne Ruhi se kaha,

“please wo tray lelo Abhi se, main kuch aur liya hua hoon hath mein….”

To Ruhi gayi Abhi ke haath se tray pakarne, ab Ruhi ke samajh mein nahin araha tha ke kaise tray sambhaale aur ek botal tha sath mein lene ko, to Abhi ne to ek haath se tray thama hua tha aur ek haath mein botal magar Ruhi ne donon haath se tray pakra to samajh nahin paa rahi thi ke kaise botal ko lein, iss liye Abhi usske chehre mein dekhte hue hanss raha tha, aur Ruhi jaise ladh rahi thi tray aur botal ke beech kia sambhaale, phir donon hanssne lage to Rahima khud aayi Abhi se tray pakarne aur Ruhi ne botal liya Abhi ke haath se aur jaate hue wohi apni jeeb se mock karti hui gayi Abhi ko aur kehti gayi,

“kitna bada haath hai usska, ek hi haath se tray pakra tha saare glasses ke saath, aur main donon haathon se tray nahin sambhal paa rahi thi!”

Ussko sunkar Abhi, George, Tony, Sunil sab hanssne lage.

Shaam karib 4 baje Abhi ko bus ke upar kaam karna tha. kadi dhoop thi, sab mahilaayein baahar aagan mein the, Ruhi ki maa, Ruhi, Rahima aur Shweta bhi. Abhi dhoop mein jhulaas raha tha, baar baar Ruhi ussko dekh rahi thi jaise afsos karte hue ke dhoop se Abhi bus ke upar jhulaas raha hai….

Abhi ne oonchi awaaz mein kaha,

“uff yeh garmi saha nahin jaa raha kissi ke paas koyi hat nahin hai mujhe iss dhoop se bachne ke liye”

Turant Ruhi ki maa ne Ruhi se kaha,

“Ruhi jaa apne dada ki hat dede Abhi ko dekh kitnaa dhoop hai upar!”

Khushi se Ruhi bhaagi ghar ke andar aur apne dada ji ke garden mein kaam karne wale hat lekar aayi Abhi ko dene… magar abhi to bus ke upar tha, kaise deti wo Abhi ko. To Abhi bus ke same wale end par gaya aur Ruhi ko hat ko throw karne ke liye kaha… sab log bus ke andar se, baahar se, side se, sabhi ki nazrein Ruhi par thi dekhte hue ke kia wo Abhi tak hat pahuncha paati hai ya nahin… ab weise movements karne se ek jawaan ladki ki body kaise position mein kaise dikhega, kia dikhega, cleavage, thighs, ya body ka kaun sa part hillega….kuch ladke aur mard shayad wo dekhna chahte the, aur koyi normal dekh rahe the magar khud Abhi Ruhi ki adaa ko, usski Muskaan ko, usski dhoop se bachne ke liye aankhon se saamne ek haath se shade karne ko, wo sab admire kar raha tha jiss waqt Ruhi hat upar ke taraf udaane wali thi….. magar Abhi ko bahot ghussa aya jab pata nahin kidhar se achanak Reza aya aur Ruhi ke haath se hat lekar Abhi ke taraf feinka!!

Abhi laa baboola ho gaya Reza ko weisa karte hue dekh kar! Ruhi ko pata tha ke Abhi ko achcha nahin laga jab reza ne usski haath se hat liya to aur afsos wali nazron se abhi ko dekha upar. Aur wapas chali gayi apni maa ke paas jahan se Ruhi abhi ko kaamm karte hue dekhti rahi bus ke upar. Wo ek finishing wala kaam tha jo Abhi complete kar raha tha taake barsaat mein bus ke andar bilkool paani nahin ghusse.

Shaam ko kaam end kiya aur jab Ruhi se Abhi milne gaya khidki ke paas to Abhi ne ussko ghar ke piche bulaya. Wo piche gayi, to Abhi ne ussko kiss kiya apne bahon mein bharke aur kaha ab har roz jaane se pehle ussko kiss karega aur Ruhi ko har shaam ko piche milna hoga….. aur Ruhi se alag hone se pehle Abhi ko yaad aya ke Ruhi ne kaise kaha tha ke usska haath kitna bada hai, to Abhi ne Ruhi se kaha apne donon haathon ko usske haath mein daalne ko jo ruhi ne kiya, aur Abhi ne Ruhi ke donon haathon ko apne ek haath mein qaid kiya aur kaha ,

“dekha itne bade mein mere haath, tumhare haath ek chhoti si bachi wali haath hein, Shweta ka haath shayad tumhaare haath se bade honge hehehehe!”

Ruhi ne bahot heyraan hote hue khud se kaha,

“Mere haath itne chhote hein ke donon haath aap ke ek haath mein bandh ho gaya uff!! Ab choriye mere haathon ko Abhi!!”

Phir Abhi ne Ruhi ke donon hathon ko apne hothon se lagaya, chuma, pyar kiya aur kaha,

“Yeh meri hone wali patni ke haath hein issko sambhaalna, kabhi kissi tarah ki choat ya takliff mat hone dena innko hmm!”

Ruhi, Khushi aur bahot pyar se Abhi ke chehre mein dekhti rahi uss waqt.

Aur Khushi ke saath Abhi wahan se nikla iss din ko.

To be continued…..
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,598
113,837
304
Update 31 The Distance….

Ek haffta aise hi guzra, Saturday ko Ruhi apni tuition ke liye jaati, aur uss waqt sabhi ke nazrein Ruhi par hoti kyunke wo ek apsara lagti thi jab bhi saj sanwar kar nikalti thi. Had se ziada khubsurat dikhti thi, ussko paane ke liye koyi bhi diwana hota uss roop mein Ruhi ko koyi bhi dekhta to.

Sunil ne Abhi ko chedhte hue kaha,

“Abhi dekh, tujhko jalan nahin hoti jab Ruhi eise ban than ke nikalti hai to? Zara dekh to sab ki nazar ussi par tike hue hein, dekh dekh sabko….. ab pata nahin jahan jaa rahi hai wahan uss sheher ke kitne log abhi usske piche padenge….”

Abhi ne buss muskuraate hue Sunil se kaha,

“yaar agar yeh kaam last phase par nahin hota to main ne soch liya tha ke ek Saturday ko main leave leta aur usske saath jata bus mein, aise mujhe pata chal jata ke wo kahan jaati hai sweing course ke liye.”

Sunil: “Isski kia zaroorat hai, usske pita ke aane ke baad usska haath to mang raha hai nah tu? Tab usske baad koyi nahin rokega tumko Ruhi ke saath kahin bhi jaane ke liye tab chale jana araam se!”

Abhi ne khush hote hue kaha,

“bhai issi liye to dhiraj rakh rakha hua hai aaj tak!”

Sunil ne kaha,

“yeh aise din hote hein jo tumhari life ke sabse haseen din honge Abhi, ek ladki ko shaadi se pehle court karna, usske ghar har hafte ko ana , usske liye chocolates vaghaira laana usske parents se milna, lunch ya dinner apne in-laws ke saath karna, jab tak shaadi ke din nah aajaaye… shaadi ke pehle wale life ke behtareen din hote hein wo mere bhai, khub jee bhar ke enjoy karna unn dinon ko!”

Abhi ne kaha,

“Sunil bhai aur in dinon ke baare mein kia khayal hai aap ka? Jab se yahan kaam shuru kiya hoon, jiss din se ussko dekha pehli baar, tabse aaj tak laga hua hon usske piche, ussko apna pyar dikhaya, apne pyar ko kabool karwaya, ussko bhi pyar hua hi hai nah? To mere liye yeh din bahot important hein bhai… maana ke jinn dinon ko aap keh rahe ho wo bhi utna hi zaroori hoga aur beshak unn dinon ka bhi intezaar hai mujhe ke sab official ho jaega tab baat aur hogi, jaise ke license mil jaega, aur abhi bina license ke chala raha hoon apni pyar ki gadi ko, ishk alag hi maza hai bhai… aur main hamesha aisa hi pyar chahta tha, ke khud kissi se pyar ho jaaye mujhe aur ussi ke saath sagaayi, phir shadi karun…… it’s a dream come true sunil bhai… magar abhi is dream ko true hone mein kuch time baaki hai“

Sunil ne tab kaha,

“Samajhta hoon bhai main bhi guzar chuka hoon nah iss phase se Ruhi ke sister ke saath…. Magar main kaamyaab nahin hua apne dream ko true karne mein…. Tum zaroor dream ko true karna bhai!”

***************************************************************

Ab dekhte hein 10 aakhri dinon ko jo Abhi ne guzara uss aangan mein. Kyunke har roz same chizein hote rahe to bahot repetition jaisa lagega aur boredom feel hone lagega, except last 10 dinon mein bade differences aaye….. phir Abhi ka wahan kaam khatam karne ke baad kitna kuch hua wo sab dekhna baaki hein, aur bahot kuch hua tha, bahot kuch.


To har subha Abhi ka wahan jana, Ruhi se milna, pyar karna, ghar ke piche wale hisse par apne kone mein jana kiss karna sab chalta raha. Uss aangan ke sabhi logon ka pata chalna, majority ko Abhi aur Ruhi ke pyar ko support karna sab bilkool sahi chalta raha.

Mahesh apne nani ke ghar se wapas agaya tha. Usski dosti Abhi ke saath mast tha aur ussko sab pata tha ke Ruhi aur Abhi ek dusre se pyar karte hein. Wo chota bhai tha to ussko koyi problem nahin thi balke Mahesh ne jaise Abhi ko apna brother-in-law maan liya tha unn dinon ko. Jab Ruhi aur Abhi ghar ke piche milte to Mahesh ko pata hota aur koyi uss taraf ata to wo oonche awaaz mein Ruhi aur Abhi ko bata deta tha, matlab Mahesh donon ko support karta tha.

10 din kaam end karne se pehle, malab 15th December ka din tha. Shaam ko ghar jaane se pehle jab Abhi Ruhi se mila to Ruhi ne pyar se abhi se kaha,

“kal main apne nani ke ghar jaungi mummy ke saath”

Abhi ko shock laga aur pucha ke usska kia hoga, to Ruhi ne kaha ke shaam ko wapas ajaegi. To Abhi ne pucha kitne baje ghar se niklegi jaane ko? Ruhi ne kaha subha ko, to Abhi ne kaha usske aane se pehle to hargiz nahin jana jab wo yahan aa jaaye tab ghar se nikalne ko. Ruhi ne kaha ke haan wo Abhi ka wait karegi jab ajaega tab ghar se niklegi apni mummy ke saath. Aur wohi hua…..

Ruhi apni maa ke saath apni nani ke ghar jaa rahi thi subha 8 baje. Abhi ne ussko goodmorning kaha, Ruhi ne nah Abhi ke taraf dekha nah reply kiya, na muskuraayi, sar jhukaaye aaguey badhti gayi. Abhi ko bahot embarrass feel hua. Ruhi ki maa ne Abhi ko dekha aur muskuraayi uss se. Din bhar Abhi sochta raha ke Ruhi ne kyun ajeeb behave kiya tha subha ko jaate waqt. Kehne ki zaroorat nahin ke wo kitni khubsurat dikh rahi thi naye llibaas mein aur kiss tarah se usski khubsurti nikhar kar aa rahi thi, upar se usski jaan lewa adaaein….

Aur din mein Reza ne Abhi se kaha ke Ruhi ki maa ne uss se kaha ke wo kabhi bhi Abhi ka Rishta Ruhi ke liye accept nahin karegi. Yeh baat ne Abhi ko din bhar bahut torture kiya.

Shaam 3 baje Abhi Ruhi ki raah dekhne laga, wo Ruhi ko bahot miss karne laga tha, ussko dekhna chahta tha, usski smile dekhna chahta tha, usski awaaz sunna chahta tha. khud se Abhi ne kaha, “OH MY GOD!!”

Shaam ko 3.30 baje jab Ruhi wapas aayi apne nani ke yahan se to usski rawayya Abhi ke taraf thoda different tha. Wo uss shaam ko Abhi se nahin mili aur Abhi wahan se ghar udaas gaya bina Ruhi se mile, bina kiss kiye jo Abhi ke liye ek pahaad ke ziada bhari wazan ki tarah tha usske seene par.

Raat ko apne diary mein Abhi ne likha ke kia usske nani ke yahan Abhi aur Ruhi ki baat hui aur unhon ne kahin inkaar to nahin kiya iss rishte ko? Aur Abhi ne yaad kiya ke wo Amit jisske baare mein pehle baat kiya gaya tha wo usski nani ke sheher ka hi rehne wala tha. To Abhi sochne laga ke kahin jab Ruhi wahan gayi to wo baat phir se nah chidh gayi ho Ruhi ki mummy aur Ruhi ke saath??!

Abhi ne yeh bhi yaad kiya ke jab Ruhi ne ussko apni virginity wali baat batayi thi tab Abhi ne yeh bhi pucha tha ke Amit wali baat jhoot thi to Ruhi ne kaha tha ke haan sab naatak tha. Magar Ruhi ki maa ne kaha tha ke baat sach thi ke Amit ne shadi ka proposal bheja hai Ruhi ke liye wo jab France se aega to Ruhi ko lekar jaega.
**********************************************************************

Agle din Abhi kaam par pahuncha to Ruhi nahin dikhi har subha ki tarah, khidki ke paas nahin thi. Abhi ne apna geet seeti bajaate hue 6 baje se 7 baje tak whistle kiya, magar Ruhi nahin nikli, usski khidki band thi.

Jiss time ko wo terrace aur lounge mein jhadu deti thi wo bhi nahin kiya Ruhi ne, nazar aayi to 11 baje ke karib aur ulta lounge ke saare parde ko bandh rakha Ruhi ne jo kabhi nahin hota tha, sab open hote the aur andar Ruhi har roz nazar aati thi. Magar iss subha ko sab ulta ho raha tha….

Abhi par kia guzar raha tha yeh bayaan ke baahar tha. Suffocation, ghutan, saans lene mein takliff dil ki dhadkanon ka tez badhna, yeh sab ho raha tha Abhi ke saath aur kaam aur bhi ziada mushkil hote jaa raha tha finishing karne ki…..

Lunch time mein bhi Ruhi nahin mili Abhi se. khidki ke paas Abhi wait karta raha magar khidki band rakha Ruhi ne, aur usski maa bhi nahin dikh rahi thi aur nah Mahesh aya tha baahar. Lagta tha sab Abhi ko escape kar rahe the.

Aur shaam ko jab Abhi ne kitchen ke chaukath par dekha tab Ruhi ki ek jhalak dikhaayi diya Abhi ko. Ussne abhi abhi nahaya hua tha, usski baal khule aur bheege hue the jo nazar araha tha.

Jab Abhi washroom ja raha tha khud ko wash karne aur change karne ko to Ruhi kitchen ke stair par khadi Abhi ke taraf dekhte hue muskura rahi thi…… Aisa lag raha tha aaj pehli baar wala moment phir se recreate ho raha tha, lagta tha donon ajnabee hein aur aaj pehli baar ek dusre ko dekh rahe the.

Abhi ko thodi si Khushi hui ke kum se kum usske taraf Ruhi ne dekha to, muskuraayi to! Aur Abhi ne haath ke ishaare se pucha ke kia hua kyun nahin dikhi din bhar aur Ruhi ne bhi ishaare se kuch kaha jo Abhi nahin samjha…. To Abhi ne thoda karib jaate hue dobara kehne ko kaha Ruhi se, to Ruhi ne apne seene par apne haath ko rakha aur phir uss haath ko Abhi ke taraf kiya aur munh se bina awaaz ke kaha, “I LOVE YOU!” usske honton ke movements se padhna asaan tha ke 'I love You' hi pronounce kiya Ruhi ne!

Abhi ki Aankhen bhar aayi aur kaampte hue honth se pucha,

“kyun tadpa rahi ho? kyun milne nahin aayi aaj?!”

Ruhi ne haath ke ishaare se nah kiya.

Abhi paagal hota jaa raha tha ke kia keh rahi hai kyun nah keh rahi hai phir bi I love you keh rahi hai kia baat hai, kyun weisa behave kar rahi hai!!

Aabhi ka jaane ka time ho gaya tha to Ruhi ko khidki ke paas aane ko kaha magar Ruhi ne phir nah kaha.

To Abhi usske kitchen ke paas hi gaya, Ruhi muskura to rahi thi, magar ek baar baahar dekha phir apne kadam ko do kadam piche kar liya Ruhi ne, aisa lagta tha ke kissi se darr rahi hai, jais kissi ne ussko abhi se baat karne ke liye mana kiya hua hai, wo to baat karna chahti hai magar kissi ka darr tha ussko, to Abhi ne buss itna kaha,

“kamaal karti ho yaar, subha jab jaa rahi thi to mujhko dekha bhi nahin aur goodmorning ko reply bhi nahin kiya tumne kia yaar!”

Ruhi ne hassnte hue kaha,

“uff main kaise aap ke taraf dekhti, sabhi ke nazar mujh par the, sab mujhi ko dekh rahe the mujhe bahot embarrass feel ho rahi thi issi liye nahin dekha tha aap ko, aap bhi to mujhko hi dekh rahe the nah!..... Ab jao please main andar jaa rahi hoon bye!”

Abhi ko wapas jaana pada, dusra din tha bina mile wapas ghar gaya, magar Ruhi ki “I LOVE YOU “kehne wali baat ko soch kar jaise Abhi ko tassalli ho raha tha.

Ghar jaakar diary mein likha ke kia ab Ruhi ke nani walon ne Abhi aur Ruhi ki baat ko official karne ka faisla kar liya iss liye Ruhi ko Abhi se milne ya baat karne se mana kiya hai? Kia ab jab tak sagayi nahin hogi tab tak kia Ruhi Abhi se baat nahin karegi? Kia unn logon ka koyi rasm riwaj tha kia ke ladke ladki ko mangni se pehle nah milne diya jaaye nah baat karne diya jaaye? Kia yehi baat thi kia?! Abhi yeh sab apni diary mein likhte hue pagla raha tha!!

***************************************************************

Inn last dinon mein ek Saturday tha, 20th December. 19th ko Ruhi ke pita nahin aya, news mili ke wo 23rd ko araha hai flight postpone kiya gaya tha usska. To iss Saturday ko, subha ko jab Abhi wahan reach hua, to Ruhi ko kitchen mein dekha, apne dada ki armchair par apni yellow nightdress mein rest karti hui. 15th se 20th tak ek subha ko bhi Ruhi khidki ke paas nazar nahin aayi, usski khidki bandh rehti thi subha ko ab…. Inn 5 dinon mein Abhi ka dil jaise tukde tukde hue the Ruhi ki distance se… aakhir kyun wo doorie rakh rahi thi Abhi samajh nahin paa raha tha…

Khair iss subha ko jab Abhi ne Ruhi ko kitchen mein dekha to wo Abhi se muskuraayi mudh kar usse dekhte hue. Ajeeb baat yeh laga tha Abhi ko ke usski maa saare kitchen ke kaam kar rahi thi jabke Ruhi armchair par baithi hui thi, to Abhi ne socha shayad Ruhi ki tabiyat thik nahin hogi.

Din ke 10 baje kaam zoron se chal raha tha bus mein aur Abhi ne Ruhi ko lounge mein jhadu lagaate hue dekha, parde ko hattaya Ruhi ne aur bus ke andar Abhi ko dekha. Abhi iss intezaar mein tha ke Ruhi terrace par jhadu lagaane aaye to wo uss se baat karne ki koshish karega…. pichle 5 dinon ko to Ruhi ne ek bhi mauka nahin diya Abhi ko, saamne aayi hi nahin thi pata nahin kyun halaan ke jab aamne saamne hote tab Ruhi muskuraati thi Abhi se.

Aur darwaza khula aur Ruhi terrace par aayi jhadu maarne, to Abhi ne bus ke andar se Ruhi se pucha ishaaron se ke aaj wo apni tuition ko nahin jaegi. Ruhi ne bus ek smile diya Abhi ko, donon ek dusre ko bade pyar se dekh rahe the bina koyi baat kiye.

Usske baad Ruhi nazar aayi apni maa ke paas ek chhoti si chair par baithi jab usski maa kapde dho rahi thi. To ishaare se Abhi ne Ruhi se pucha kia wo bimaar hai? Ruhi nahin samjhi ke Abhi kia keh raha tha to pucha, “WHAT” to Abhi ne haath se wait karne ka ishara kiya aur apne notebook se ek page liya aur uss par likha:

“NOW I LOVE YOU MORE AND MORE THAN I EVER LOVED YOU BEFORE. IN MY LIFE I HAVE NEVER LOVED ANYONE AS MUCH AS I LOVE YOU” signed – Abhi.

Aur uss note ko lekar Abhi wahan gaya Ruhi ke paas jahan kapde dhoti hai hamesha, aur jaise wahan reach hua to Ruhi kuch fikarmand dikhne lagi aur kaha,

“Aap ko yahan nahin ana chahiye tha, dekho sab log idhar dekh rahe hein” magar yeh sab kehte hue Ruhi hanss rahi thi.

Abhi ussko wo note de raha tha magar Ruhi ne nahin liya aur uss kagaz ko khidki ke paas rakh dene ko kaha. Aur Abhi ko ussko ziada dekhne se mana kiya yeh kehte hue ke sab log dekhte hein donon ko. Abhi ne note ko usski khidki ke paas rakh diya aur wapas chala gaya bus ke andar.

Ab Abhi soch raha tha ke yeh sab kia naatak hai, itne dinon se khule aam donon milte aur baat karte the to ab kyun Ruhi kehne lagi ke log donon ko dekhte hein ussko ziada nahin dekhne ko kaha vaghaira vaghaira….

Abhi bus ke andar se wait karne laga ke kab Ruhi wo note padhegi, aur jab Ruhi ne note ko liya, ek nazar Abhi ko dekha bus ke andar aur read kiya….. read karne ke baad Ruhi ne Abhi ko bade pyar bhade nazron se khade hokar dekha, aur Abhi sirf uss se muskuraya. Phir turant Abhi whistle karne laga “pyar karte hein hum tumhein itna” Ruhi ke chehre mein seriously dekhte hue. Ruhi ne note ko dobara padha phir se Abhi ko dekha aur kaha, “mujhko aise mat dekha kijiye please….” Magar Abhi ruka nahin balke fix dekhta raha Ruhi ke chehre mein, to Ruhi hanss padi aur uss note ko lekar ghar ke andar bhaag gayi.

Ruhi ne aur ek baat phir se kaha tha Abhi ko jiss waqt wo note ussko dene gaya tha, kaha tha, “ke haan kitne cigarette pee rahe ho aap sab dekh rahi hoon main” aur Abhi ne ussko jawaab diya ke “buss condition wala din to aane do sab rok dunga wada hai mera.”

Aur Abhi ko thoda ghussa aane laga tha ke kyun ab Ruhi uss se bhaag rahi thi, ab kia ho gaya tha ke logon ki parwah karne lagi thi, itne dinon se to sab khulam khula ho raha tha…. kyun ab Ruhi logon ke saamne Abhi se baat nahin karna chahti thi iss se Abhi ko takliff hone laga tha, ussko baaki mauka hi kahan milega Ruhi se milne aur baat karne ki agar sabke saamne nahin kiya to? Ab jab kuch din reh gaye the kaam ko end karne ke liye to change karna mushkil tha Abhi ke liye, balke ab to Abhi aur bhi ziada Ruhi se baat karna aur milna chahta tha…. Abhi ko bilkool achcha nahin lag raha tha jaise sab kuch hone laga tha ab. Bahut badlaav agaya tha Ruhi ki rawaiye mein…. Abhi ko yeh sab bahot disturb karne laga tha, ussko chain nahin tha, pareshan rehta tha…. usska dimaagh kaam nahin kar raha tha ke ab kaise Ruhi se contact kare.

Shaam ko phone aya S.Arabia se Ruhi ki maa gayi phone lene, tab Ruhi terrace par khadi usski wait kar rahi thi Abhi ko dekhte hue. To Abhi ne uss se pucha ke kia uss note ka koyi reply nahin degi to Ruhi ne sirf nah mein sar hillayi muskuraate hue. Abhi ko ghussa aya. Ruhi Abhi ke kaafi paas aakar khadi hui jahan Abhi kaam kar raha tha. yeh sab chhoti chhoti chizein Abhi ghaur se notice karta tha aur raat ko apne diary mein sab likhta tha. kyun Ruhi sabke saamne ab Abhi se baat karne se inkaar kar rahi thi phir bhi kyun Abhi ke itna karib aakar khadi ho rahi thi yeh Abhi ke samajh mein nahin araha tha.

Usski maa phone par baat karke agayi thi aur kaha ke 23rd ko Ruhi ke pita ajaega. Ab Ruhi aur usski maa donon Abhi ke bilkool paas khade the, to iss baar Abhi jaan bujh kar wahan se hatt gaya aur bus ke dusre hisse par chala gaya Ruhi se door. Abhi thoda naraaz tha uss waqt kyunke Ruhi ne jiss tarah se inkaar kiya tha ussko note ki reply dene ke liye, uss se Abhi ko ghussa aya tha. To jab Abhi door chala gaya Ruhi se, uss waqt Ruhi Abhi ko ghurr rahi thi, shayad Ruhi samajh gayi thi ke Abhi uss se naraz hai, to Ruhi Abhi ke ghusse ko shayad dekhna chahti thi… Ab Abhi ko ghussa iss liye bhi araha tha kyunke Saturday tha aur shaam ke 4 baj gaye the phir bhi kaam jaari tha…. aur kaam complicated stage par tha, Abhi nervous usski vajah se bhi ho raha tha upar se Ruhi ki berukhi….

4.30 ko Abhi saare tools ko rakhne gaya washroom mein aur khud ko wash karne gaya to Ruhi ussko ghurre jaa rahi thi, Ruhi ko pata tha ke Abhi ghussa hai. Ruhi ne kabhi bhi Abhi ko uss se ghussa hote nahin dekha tha, yeh pehli baar tha, to Ruhi Abhi ko ghaur se dekh rahi thi, Abhi ko pata tha ke Ruhi ki nazrein ussi par tikke hue the….

Phir jaane ka waqt hua to Abhi ne Ruhi ko apni kitchen mein bartan dhote hue dekha aur ishaare se pucha,

“TV par film arahi hai you are not watching?”

To Ruhi ne unn bartanon ko dikhaaya Abhi ko. Matlab saaf thi ke usskko bartan dhona hai to kaise film dekhegi, sab ishare se baatein ho rahe the, Abhi ne Ruhi se kaha ke jab wo jaane lage to wo yahin khadi rahe stairs par, ke achanak Rahima aayi aur dekha ke Abhi ishaare se kissi se baat kar rahi hai, wo muskuraayi, aur jab udhar se Ruhi ne Rahima ko dekha to aur zor se hanssne lagi….. iss liye ke Abhi aur Ruhi ki chorri chorri baatein karna pakri gayi thi Rahima se….

Jab abhi tayaar hokar nikla to Ruhi ab kitchen mein nahin thi, Abhi samajh gaya ke wo TV dekhne chali gayi, to Abhi ne khud se kaha thodi der mera wait nahin kar sakti thi!

Abhi jaane laga to Ruhi ke khidki ke taraf dekha to usski maa ko dekha khidki ke paas, Abhi ne uss se pucha ke Ruhi kidhar hai to maa ne jawaab diya “TELEVISON” phir Abhi ne usse Ruhi ko bulaane ko kaha. To Ruhi ki maa gayi Ruhi ko bulaane aur Abhi ko khidki ke paas aane ko kaha tab tak…. Magar jab Abhi khidki ke paas reach hua khush hote hue ke aakhir ab Ruhi se kuch baatein kar paega, magar maa akeli lauti andar se aur kaha,

“Nahin Ruhi nahin aegi kyunke usska Mehbob chacha baahar hai wo Ruhi par chillaega, sorry Abhi!”

Abhi ko phir bina Ruhi se mile wapas jaan pada. Bahot ghusa aya Abhi ko. Soch raha tha kia ho raha hai yeh sab ab? Kyun Mehboob bahar hai to nahin baat karegi Abhi se? Itne dinon se to baat karti aayi hai halaan ke Mehboob saamne hota tha, shuru mein mana kiya tha magar phir baat karti thi Mehboob ke hote hue to ab kia ho gaya hai….. yeh sab sochte Abhi apna sheher reach hua aur sheher mein chaaron taraf Christmass aur New year ka mahaul bana hua tha, saare shops mein tarah tarah se rang birange chizein maujood the, bahot saare bhid the charon taraf…. Saal ke ant ka mahaul tha chaaron taraf…. Aur Aise mein jab Abhi baaki ladkon ko ladkiyon ke saath dekh raha tha to sochta ke kyun iss waqt wo Ruhi ka haath thaame sheher mein ek shop se dusre shop mein ghum nahin sakta, kab usski baari aegi?

To be continued… (3700 words)
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,598
113,837
304
Update 32 The Last Sunday At Work

Agla din Sunday tha, 21st December, phir bhi kaam par jana tha kyunke kaam ko aur 3 dinon mein end karna tha. Raat bhar Abhi thik se soya nahin tha, karwatein badalta raha Ruhi ki yaad mein usski badalti hui adaaon ko sochte hue. Kyun wo badalne lagi thi? Kyun Mehboob se darrne lagi thi? Kyun usski maa bhi kuch ajeeb behave karne lagi thi….. Abhi apna chain o sukoon khone laga tha inn dinon ko….

Ruhi ki aangan mein daakhil hone se pehle Abhi soch raha tha ke kaash aaj Ruhi subha ko dikh jaaye; kum se kum aaj bagiche mein phool todti hui dikh jaaye to ussko good morning kahega pichli baar ki tarah…..

Angan mein dakhil hua, sar niche jhukaaye soch mein doobe Abhi chala jaa raha tha ke usski mangi hui duah kubool hote dikhayi diye, Ruhi bagiche mein gulaab tod rahi thi!! Abhi ka dil uss din ki tarah dhadka, ruk gaya, khush bhi tha aur ghum ne bhi ghar kiya hua tha usske dil ke andar, phir bhi kaha, “good morning Ruhi”

Ruhi ne jawab nahin diya magar muskuraate hue Abhi ko dekha. Abhi khada ho gaya uss se baat karne ke liye, tab Ruhi ne kaha,

“Uff aap jao, sab log ghar par hein Manoj bhi yahin hai aaj Sunday hai aap jao nah please! Mujhse baat mat karo, aur mujhko baar baar dekhna mat kaam karte waqt.”

Mayus, Abhi wahan se bina kuch kahe gaya washroom ke taraf change karne. Change kar liya to Mehboob ke kitchen ke paas se guzra to paya ke Ruhi bhi udhar aayi hui hai, wo apni yellow nightdress mein thi, jo bahot lambi dress thi, jissko Ruhi ko ek haath se sambhaalna padta tha chalne ke liye thoda sa upar uthakar…. To wo aur Abhi bilkool ek dusrte ke karib the, phir Abhi ne kaha,

“Tum ne aaj bhi good morning ka jawaab nahin diya? Kia tum log iss ilaake mein good morning nahin wish karte ko ek dusre ko? Lagta hai tumko aadat nahin good morning karne ki nah?!”

Ruhi ne danton mein jaise sorry kehte hue apne honth ko dabaya aur Rahima ki kitchen mein ghuss gayi mudhkar Abhi ko dekhte hue.

Baad mein Abhi bus ke andar kaam karne laga aur Ruhi kitchen ki stairs par khadi Abhi ko dekh rahi thi ek muskaan ke saath. Abhi aisa feel kar raha tha jaise shuru ke dinon mein naye naye mile the donon, pehli baar… jaise Abhi nayi nayi pehchaan hui thi donon ke….

Phir jab baaki ke log kaam par aaye to Ruhi ghayab ho gayi 2 ghante tak nahin dikhi. Ruhi ki maa kapde dhote hue nazar aayi to Abhi ne uss se pucha ke Ruhi kidhar hai to ussne kaha ke Ruhi bimaar hai!

Abhi ko kaam karte hue hathode se lag gaya usski ek ungli mein, khoon nikal raha tha, Ruhi ki maa ne wo dekha, to Abhi gaya Ruhi ki maa se yeh kehne ke Ruhi ko bata dein ke aaj 1 baje wapas chala jaega kyun ke Sunday hai; to Ruhi uss se milne aaye jaane se pehle kyunke Abhi ko kuch bahot zaroori baatein karni hai Ruhi se aaj. Magar Ruhi ki maa ne Abhi se kaha ke Ruhi nahin mil paegi uss se aaj kyunke usska bada bhai ghar par hai, bahot saare log hein aangan mein kyunke Sunday hai aur sab log donon ko dekhenge aur Mehboob ko passand nahin hai. Magar Ruhi ki maa andar gayi aur kuch dawa lekar aayi aur Abhi ki ghayal ungli mein lagaya, aur pucha kuch araam mila ke nahin. To abhi ne jawaab diya,

“Aap ne ungli par to araam de diya aunty, kaleje mein lagi hui Ruhi se kehdo nah ke wahan thoda marham lagaa de please.”

Yeh kehte hue Abhi ke aankeh bhar aaye, Ruhi ki maa ne Abhi ko ghaur se tarasti nazron se dekha aur kaha,

“Bahot bade bade baatein karte ho tum Abhi, aise hi baton se meri beti ko apna diwana banaya hai nah? Magar buss itna kahungi ke dhiraj rakho tum jo hona hai so hoga.”

Jab 1 baj gaya to Abhi ne dekha khidki ke paas Ruhi ki maa khadi hai aur Ruhi usske bagal mein Abhi ko dekhte hue hanss rahi hai aur apne jeeb se chedha Abhi ko apni maa ke saamne hamesha ki tarah. To Abhi ne socha isska matlab yeh hua ke jo kuch bhi Abhi ne Ruhi ki maa se kaha wo sab ussne andar jaakar Ruhi ko bataya. Maa beti mein jabardasr bonding thi, pyar ki batein jo ek aashik ne kaha apni beti tak pahunchane ke liye wo maa ne jaa kar beti ko bataya wah kia baat hai Abhi ne yeh sochte hue khud se kaha ke ho sakta hai maa se kissi ne aise romance nahin kiya hoga iss liye ussko Abhi ka aashikana andaz bahut passand arahe the iss liye usske message ko apni beti tak pahuncha rahi thi.

Ruhi koyi 15 minat tak wahin khidki par tek lagaaye hue Abhi ko dekhti rahi, jeeb se ussko chedti rahi, 1.15 ho gaya, magar Saeed kaam end nahin kar raha tha, aur Ruhi ab tak apni nightdress mein hi thi to Abhi ne khud se kaha Ruhi ki tabiyat sach mein thik nahin hai varna itne der tak Sunday ke roz wo nightdress mein nahin rehti. Jiss tarah se Ruhi Abhi ko dekhti, chedhti, wo Abhi ko behad passand tha, aur ussko himmat hoti thi aur usska hausla badhta tha aur Abhi khud se kehta ke ‘yeh ladki kitna pyar karti hai mujhse varna yeh sab kyun karti? Tabiyat thik nahin phir bhi 15 mins se ziada khidki ke paas khadi hokar mujhko nahin dekhti’

Jab Abhi washroom se dho dha kar apne safar karne wala saaf suthra dress pehen kar aya to Ruhi wahin khadi paayi gayi khidki se tek lagaye hue. Matlab kyunke Abhi ne ussko wait karne ko kaha tha wo wait kar rahi thi, Abhi ne kaha tha 1 baje, aur 1 baje se 1.30 ho gaye the aur wo wahin wait karti rahi, kyunke Abhi ne message bheja tha usski maa se ke ussko kuch bahot zaroori baat karni hai. Aur maa ne sab bilkool exact bataya hoga Ruhi ko ke Abhi ne tujhe bolne ko kaha hai ke wo aaj 1 baje kaam end karega aur tujhse milne ko kaha hai ussko kuch bahot zaroori batein karna hai tujhse!

“Wah mummy ji sahi message pahunchaya aap ne apni beti ko! Thanks mummy ji. Hone wali sasu maa.” Aisa Abhi keh raha tha apne dil ke andar.

To jab Abhi ne Ruhi ko wahin khidki ke papas paaya jaate waqt to khidki ke taraf badha Ruhi se baat karne ke liye. Ruhi muskurate hue ussko apne taraf aate hue dekh rahi thi. Abhi usske karib reach hua to sabse pehle kaha,

“Nightdress mein ho, raat ho gayi kia?!”

Ruhi aur usski maa donon hanss pade. Phir maa ne kaha,

“bahut lazy hai yeh kia tumko aisi lazy ladki chahiye Abhi?!”

Abhi ne kaha,

“Chalega, main usske hisse ke kaamon ko kar diya karunga jiss din ussko aise lazy feel hogi to, Waise mujhe pata hai ke Ruhi bilkool lazy nahin hai, kyunke itne dinon se usse itne saare ghar ke kaamon ko karte dekhte aya hoon, kitchen mein pakaati hai, mujhko kitna acha pakwan paka ke khilaayi hai issne, jhadu poncha lagaati hai, kapde dhoti hai…. To lazy kaise hui aunty ji!”

Ruhi muskura rahi thi Abhi ke chehre mein dekhte hue ke kiss tarah se Abhi usski taarif kar raha tha, usske chehre mein ek chamak thi Abhi ko admiration se dekhte hue. Maa ne kaha,

“Sun ri Ruhi teri to badi taarif kar raha hai yeh, tujhko patana ata hai issko, bada honshiyaar hai yeh Abhi!”

Ruhi ne Abhi ko dekhte hue hi apni mummy se kaha,

“main ne kaha tha nah aap se ke bahot honshiyaar hai Abhi!”

Phir Ruhi ne Abhi se pucha,

“Abhi aap ne kaha ke aap mere hisse ke kaamon ko kar doge jab main lazy feel karungi to, to aap mujhe bataaiye ke aap ko gharke kaun sa kaam karna ata hai?!”

Jo jawaab Abhi ne diya Ruhi aur usski maa ko wo sun kar donon maa aur beti dang reh gaye aur Abhi ko iss tarah dekhte rahe ke jaise kabhi nahin dekha tha ussko.

Abhi ne jawaab mein yeh kaha,

“Main bada beta hoon apni maa ka, baaki 3 bhai aur mujhse chhote hein, behnein to last mein paida hue, main ne donon ko pala, khilaya apne haathon se, aur bhaiyon ko bhi. Jab bhi maa bimaar hoti mujhe hi ghar ke saare kaam karne padte the, kapde dhona, har subha ko aata gundna aur roti pakana, chai banana, bhaiyon ko nehlana, khana dena, school ke liye tayaar karna, school bhejna, aur khud tayyar hona aur school jaana, wapas aana, sab ke liye khana pakana, pathar par kapde dhona jaise aap donon dhote ho, bade bade chaadar ko dhona aise hi pathar par, pathar par masala peesna…. Aur saare bartanon ko dhona, saaf karna, ghar mein har roz jhadu lagana, pooncha lagana….. SAB KUCH KARNA AATA HAI MUJHE!”

Yeh sab sunne ke baad Ruhi ke aankhen bilkool bhar aaye the, aur lagta tha ke wo lapak kar Abhi ke gale mein baahein bhad degi….. Ruhi ki maa bilkool khamosh ho gayi thi kuch der tak aur Abhi ke chehre mein dekhi jaa rahi thi… phir donon maa beti ne ek dusre ko dekha, aur Ruhi ki maa ne puccha,

“tumhari maa aksar bimaar rehti hai kia?”

Abhi: “Ab nahin, jinn dinon main padhta tha tab bahot bimaar rehti thi, 3 operation hui usski tab thik hui, stones hue the bladder mein aur ek baar goiter ki operation kiya tha phir ek baar peth mein kuch hua tha…unn dinon main 8 se 18 saal ka tha…. mere 19 hone ke baad maa kabhi bimaar nahin hui, aur tab tak Naina badi ho gayi aur ab wo maa ki madad karti hai kitchen mein aur baaki ke ghar ke kaamon mein. Naina ne bahot saare ghar ke kaam mujhse seekhi hai maa se nahin! Aaj bhi kuch pakaati hai to mujhse puchne aati hai ke yeh aisa karna hai ya waisa? Namak kitna dalna hai etc…..”

Ruhi sab phir se bade dhyan se sun rahi thi aur kaha,

“hmmm to aap ko pakana bhi ata hai, uss din mera pakaya hua jo khaya tha kaisa tha?”

Abhi: “ari aaj puch rahi ho? best tha sweetheart!”

Aur aakhir mein Abhi ne Ruhi ko piche aane ko kaha kyunke ussko kuch zaroori kehna tha Abhi ne kaha ussko. Magar Ruhi ne kaha “nah” aur Abhi ko jeeb se chidhaya aur ghar ke andar bhaag gayi!”

Abhi ne usskimaa ko dekhte hue kaha,

“kamaal hai samajhti nahin ke “ZAROORI” ka matlab kia hai yeh ladki?!”

Ruhi ki maa ne dhire se kaha,

“Nahin aa paegi, Manoj ghar par hai, baahar Mehboob hai ussko sunna padega jab aap chale jaoge to, ab aap jao Abhi…..”

Abhi jaane laga tha ke Ruhi ki maa ne hansste hue kaha,

“Weise, aap kia kuch karte ho ghar ke kaamon ko bata kar ussko aur ziada pata liya lagta hai, hai nah Abhi?”

Aur Abhi ko wapas ghar lautna pada bina Ruhi se apna important baat kahe….. jaate hue baar baar mudhkar dekhta gaya ke kaash Ruhi kitchen ke paas dikhe ya khidki ke paas aaye magar nahin dikhi…..

Ghar jaane se pehle Abhi ne a Christmas wishing card kharida Ruhi ke liye, ek bada sa card liya ussne.

Abhi ne khud se kaha ke wo ab Ruhi ko samajh nahin paa raha hai. Kahan ab Ruhi ko uss se aur ziada karib ana chahiye tha magar Ruhi uss se ziada doorie banaayi hui thi. Iss se pehle Ruhi uss se ghanton se ziada baatein kiya karti thi aur ab 5 mins bhi nahin karti aur kehti ke log dekh rahe hein….

Ghar wapas aakar Abhi ne sab kuch apne diary mein likha, shaam ke 5 baje bed par leytne gaya, ussko jagaane se mana kiya Naina aur apni maa ko - aur raat ko barah baje jaaga… Itni thakaan thi ke ussko hosh hi nahin raha ke kab din hai aur kab raat.

Aur raat ke 2 baje Abhi ne Ruhi ke liye dusra khat likha jissko wishing Christmas card ke sath kal post karega Ruhi ke hi ilaake wale post office mein.

To be continued….(2002 words)
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,598
113,837
304
Update 33 – Last Monday At Work

December 22nd

Ye din Abhi ke liye sabse bhaadi din tha uss aagan mein Abhi ke liye kaam karte hue dinon mein. Iss liye ke iss din ko Ruhi ne Abhi ko bilkool bhi bhaav nahin diya tha, baat nah se barabar hui thi, aur doorie to jaise ajnabiyon ke beech hote hein weisa tha. English mein Abhi ne likha tha, “She did not take any care at all about me, no consideration, like I did not even exist!”

Subha ko ek baar Abhi ne Ruhi ko dekha to buss itna keh paya, “hey Ruhi” magar Ruhi seedha chalti gayi aur Abhi ko oonchi awaaz mein kehna para, “you will receive a letter from the post office today, keep watching” Ruhi abhi se sirf door reh rahi thi.

Kuch der baad Abhi gaya uss ilaake ke post office aur Ruhi ki wishing card ko post kiya as a registered letter.

Post office se Abhi wapas aya to dekha ke Ruhi uss red skirt aur white blouse mein dressed thi jisski 3 din pehle Abhi ne usse pehenne ki farmaayish kiya tha.

Aur ek baar Abhi ne Ruhi ko cycle par apne ek cousin sis ke saath shop jaate hue dekha.

Aur 1.30 ko Abhi ne Ruhi ko postman se letter lete hue dekha. Letter, yaane wishing card lekar ek nazar Ruhi ne Abhi ko dekha aur bhaag kar ghar ke andar gayi aur zor se apni maa ko awaaz diya……

Abhi ne apna kaam jaari rakha…. Ussko pata tha ke andar usska khat padh rahi hogi, shayad apni maa ko sab bata rahi hogi ke Abhi ne kia kaha hai chithi mein….

Ab iss baar chithi mein abhi ne kia likha tha?

Likha tha English mein hi, magar kaha kuch aisa tha Ruhi ko uss letter mein:

“Ruhi sabse pehle main tumse ek sawaal puchta hoon, Ruhi mujhe batao ke hum donon ke bich pichle 3 dinon se kia chal raha hai? Pichle 3 dinon se tum mujhse ek distance rakhne lagi ho kyun Ruhi main janna chahta hoon ke baat kia hai? Tum ko mere aur bahut ziada karib hona chahiye tha inn dinon magar tum ne to aur bhi doorie bana rakha hai kyun Ruhi, kyun?

Iss se pehle tum mujhse openly baat karti thi bina kissi darr ke, aur ab jabke hum donon ne aapas mein baat kar liye hein, tum mere paas bhi nahin arahi ho?! main ab kia samjhun Ruhi? Isska kia matlab hai? Ruhi tum mere paas aane ke liye kiss se darti ho ab? Kisska darr hai tumhein mujhe batao please. Hum kuch ghalat to nahin kar rahe hein nah to darna kyun hai?

Tumhari yeh berukhi mujh par kia kayamat dhaati hai pata hai tumhein? Mujh par kia guzarta hai isska ehsaas hai tumko Ruhi? Meri jaan pe ban aati hai Ruhi….”

Aur bahot kuch likha tha abhi ne uss letter mein jaise likha tha usski pita ane wala hai to ruhi ke taraf se apne pita ko convince karne ko kaha tha, aur apne taraf se Abhi apna pura koshish karega usske pita ko manane ko ke wo donon ke rishte ke liye haan kahe. Abhi ne likha tha

“Tumne kaha tha ke tumhare papa bahot cool aur narm dil insaan hai, to agar tum uss se kahogi ke tum mujhse pyar karti ho to wo kabhi inkaar nahin karega, mere taraf se main bhi uss se kahunga ke main tumko dil o jaan se chahta hoon, udhar tum kahogi ke tum mujhe chahti ho to wo zaroor maan jaega, magar agar tumne kuch nahin kaha aur sirf mere taraf se kaha jaega to ho sakta hai ke wo samjhe ke mera pyar ek tarfa hai, iss liye tumko bhi baat karna hoga Ruhi, don’t forget that my love.”

Yeh bhi likha tha ke shayad 23rd ya 24th ko kaam ka aakhri din hoga aur Abhi ne request kiya tha Ruhi se ke last day ko wo pure din Abhi ke samne rahe, wo ussko din bhar dekhna chahta tha aakri din ko….

To Abhi kaam karte hue khud apne likhe hue shabdon ko yaad kar raha tha aur soch raha tha ke abhi andar Ruhi wohi sab padh rahi hogi aur apni khub surat xmas ki wishing card dekh rahi hogi aur uss par printed khubsurat lavzon ko padh rahi hogi.

Aur haan aakhir mein P.S likha tha Abhi ne khat ne niche bold mein:

P.S: (24th ko main chala jaunga, magar 31st tak tumko ek aur khat post karunga New Year ke mauke par…. uss mein tumko din aur tariq bataunga ke kab apne parents ke saath tumko dekhne aunga, ya ho sakta hai ke ek baar main akele aunga, usske baad tumhare parents se discuss karne ke baad tab apne parents ko lekar aunga tumhare ghar. So, wait for another letter from me by the 31st Decamber.)

Chithi padhne ke baad Ruhi terrace par aayi aur Abhi ko pyar bhade nazron se dekha. Abhi ne socha ke agar wo khat nahin milta aaj to shayad usske saamne aati hi nahin wo.

Ruhi ki maa Abhi ko Ruhi ke piche se dekh kar Abhi ke saath hanss rahi thi, aur Abhi Ruhi ke chehre mein dekh raha tha, aur Ruhi Abhi ko fix dekh rahi thi magar Abhi samajh gaya ke Ruhi uss se kuch kehne ki koshish kar rahi thi magar nahin keh paa rahi thi kyunke bahot sare log the bus mein aur bus ke aage piche chaaron taraf. Manoj, Mahesh, Mehboob, Ruhi ke chachi aur cousins sab the bus ke aas paas. Painting ho gayi thi lag bhag aur bus khubsurat dikhe lagi thi….. phir bhi bus ke andar bahot sare chhote chhote kaam baaki the jo Abhi pura kar raha tha….

Phir bhi Ruhi ne ek baar haath ke ishaare se abhi ko jaise kissi chiz ke liya mana kiya haath ko naah mein hillate hue. Abhi kuch bhi nahin samjha. Magar Ruhi muskura bhi rahi thi saath mein. Abhi Ruhi se baat karne ki koshish kar raha tha magar Ruhi ne Mehboob ke taraf apni ungli point kiya, matlab usske hote hue wo baat nahi karegi. Kuch der tak Ruhi khush dikhi aur Abhi ke aas paas rahi magar kuch der baad phir se wo distance rakhne lagi.

Ruhi apne bhai Mahesh, apni chacha ki beti, aur Farzinah ke saath hassi mazaak kar rahi thi, aur Abhi ko bilkool dekh hi nahin rahi thi jaise Abhi wahan tha hi nahin….. Abhi tadap raha tha, usska dil dukhne laga tha, ussko ghutan feel hone laga tha…. Abhi ko zor se chilla kar rone ka mann kar raha tha….. ussko headache ar heartache ek saath ho raha tha Ruhi ki behaviour se…. Abhi chahta tha ke Ruhi uss se uss tarah se pesh aaye jeise 7 din pehle thi, jaise uss din ko thi jiss raat ko Abhi ne usske ghar guzara tha, Abhi uss din ki tarah Ruhi ke saath rehna chahta tha jinn dinon ko har baar Ruhi ke sath ghar ke piche jaa kar ussko baahon mein bharke kiss kiya karta tha…. Abhi ko Ruhi ko zoron se baahon mein bharne ka mann kar raha tha , wo jaise till till mar raha tha, ghutan feel ho raha tha aur ussko saans lene mein takliff hone laga tha….

Phir bhi ussko kaam karna tha, itne chhote chote boring kaam the buss ke andar aur Abhi ka dimaaghi haalat kuch aisa tha ke kaam nahin ho paa raha tha uss se….

Kaam late end kiya uss din. Jab abhi tools rakhne jaa raha tha washroom mein to Ruhi apne bhai Mahesh aur cousin sis ke saath peyr ke niche baithi hanssi mazaak kar rahi thi… Abhi ka dil dukh raha tha aur wo hanss rahi thi…. Abhi ko ghussa bhi aa raha tha kyunke usske dimaagh ne kaam karna band kar diya tha uss waqt….

Aur jab Abhi unn teenon ke paas se guzra to Ruhi ne kuch aise baatein kiye Abhi ko sunaane ke liye ke Abhi dang reh gaya… Ruhi ne apni cousin sis se hansste hue aur chidhaate hue kaha,

"To tum kia samajh rahi ho ke main tumse shaadi karungi? Kyun tum sach mein samajh rahi ho ke main tumse shaadi karungi? Hahahahaha!!”

Yeh kia tha? Abhi ke liye tha? ya weh log sirf mazaak kar rahe the? Magar Abhi ne to apne pe liya…. Ruhi ne uss baat ko repeat kiya nazrein churaate hue Abhi ko dekh kar jissko Abhi ne dekha… matlab Abhi ne Ruhi ko hansste hue aur uss se nazrein churaate hue dekha jab wo baat ko repeat kar rahi thi ke , KIA TUM SAMAJHTE HO KE MAIN TUMSE SHAADI KARUNGI?

Wo sab dekhne aur sunne ke baad Abhi ko laga ke usske dil ke kayi tukde hue turant ussi waqt… ussko laga ke usski saansein rukne lage hein, laga ke wo hosh khone wala hai, usske aankhon ke saamne andhera sa chha gaya, aur wo jahan tha wahin baith gaya, deewaar se tek lagaate hue…. Tony guzar raha tha, to Abhi ke paas baith kar pucha ke kia hua….

Tab Ruhi aur team khamosh ho gaye the Abhi ko uss haalat mein dekh kar….. kuch der baad Sunil ne abhi se pucha ke kia hua… abhi ne kaha,

“yaar mujhe ab lagta hai ke Ruhi chahti hi nahin ke main usska haath mangun shaadi ke liye… lagta hai usska pyar ek jhoot tha mere liye….”

Sunil ne kaha,

“main uss se baat karun? Thik hai main baat karta hoon ruhi se!”

Magar Abhi ne roka sunil ko aur kaha agar zaroorat padegi tab ussko batayega….. Abhi apna self respect nahin khona chahta tha magar yeh bhi kehta khud se ke jung aur muhabat mein sab kuch jayiz hai to self respect khona kaun si badi baat hai….

Abhi socne laga ke itne saare baat likha tha ussne uss khat mein jissko Ruhi ne kuch der pehle padha, apni dil ki baat likha tha, Ruhi se kaha tha ke uss par kia beet raha hai usski berukhi aur doorie rakhne se, aur Ruhi uss tarah se behave kar rahi thi, ulta Ruhi ko uss khat ko padhne ke baad Abhi ko emotional support dena chahiye tha, magar Ruhi to sab ulta kar rahi thi…. Kiss se apna dil ka dukhda rota abhi ab? Kaun sunta usske dil ka haal, kiss se Abhi apne dil ke andar bhade ghutan ko share karta, kiss ke kandhe par sar rakh kar rota…. Kaun tha samajhne wala ke Abhi par kia beet raha tha… jo samajhne wali thi, wohi sitam par sitam dhaaye jaa rahi thi Abhi par….

Abhi ko akele sab kuch khamoshi se sehna tha. khamosh raha, apne andar sab chhupaaye rakha Abhi ne….

Jab Abhi jaane ke liye tayyar ho gaya to Ruhi wahin baithi rahi, ek nazar utha kar abhi ko dekha tak nahin, Abhi ne bhi bina kuch kahe chup chap nikal aya wahan se…..

Ghar pahunchne ke baad Abhi apne diary mein sab kuch likhte hue khub roya, apne diary ko apne dil ke dukhde ko sunaya Abhi ne….

Soch raha tha kal shayad aakhri din hoga Ruhi ke aangan mein aur ussko pata tha ke kal Ruhi ke pita aane wala tha, to ussko dikh gaya ke kal ka din aur bura hoga kyunke Ruhi apne pita ke wapas aane ki khushi mein ussko aur bhi ziada ignore karegi…. Phir bhi Abhi ne soch liya tha ke apne taraf se jo ussko karna hai wo kar ke rahega, Ruhi ke pita se baat zaroor karega yeh tey tha abhi ke taraf se….

To be continued……
Awesome update
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Casi bhai lajawab story likhi hai aapne bilkul alag hi plot h iska ekdum naptol ke aapne har ek update me explain kiya hai.

Ek question tha bhai ki ye story real hai to kya iske characters bhi sabhi real hai kya?

55th update me jaise ki aapne explain kiya hai us hisab se lagta hai ki Shweta kahi na kahi Ruhi ki beti lag rahi hai ek andaza lagaya hai bhai mene ab kya ye shach hai ki nahi wo aap hi jane.
Very nice story bhai.
 
Last edited:

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,598
113,837
304
Waiting
 

Indian001

Active Member
1,102
6,330
143
Casi bhai janta hoon weekend mein aap vyast rehte ho family ke saath fir bhi hamein intejar hai bhai thodi der se hi sahi update aega jarur
 
Last edited:
Top