• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Komal singh

Banned
292
2,984
123
Update 66 Abhi Gives The Diaries To Ruhi

Abhi ne uss mauke ka faeda uthaate hue Navina se kaha ke wo Aruhi ko adopt karna chahta hai legally. Aur Abhi ne wo emotional moment sunaya Navina ko, ke kiss tarah se Aruhi ne ussko papa bulaya aur kaise wo Abhi ko apna papa samajhti hai.

Iss baat se Navina bahot khush hui kyunke bacha to ussko bhi chahiye tha aur ussko pata tha ke Abhi ko ek baby girl ki kitni chahat thi.

Magar Navina ne pucha ke agar Shweta ki bachi hai to Aruhi hamare saath kaise rahegi. Abhi ne samjhaya ke Aruhi donon gar mein rahegi, hamaare saath bhi aur apni maa ke saath bhi, wo inn donon gharon mein batt ke rahegi. Ussko Abhi, Navina aur Shweta ka yar bhi milega aur Ruhi usski nani ki bhi, balke kabhi wahan bhi rahegi apni nani ke saath.

Navina samajh gayi aur apni razamandi de diya, kyunke Navina Abhi ki Khushi chahti thi. Aur phir jiss aurat ki aulad nahin wo kyun khush nahin hogi ek beti paakar.

Next day Abhi gaya Ruhi ke yahan apni diaries lekar. Wo diaries jo rahima ke ghar chorra tha 25 saal pehle aur jo Mehbob ne usse wapas kiya tha aur wapas karte waqt Mehbbob ne uss se kaha tha ke agar kuch Ruhi ko dena hai to Ruhi ke ghar jaa kar dena usske ghar nahin.

Aur aaj jab Abhi apna Mercedes reverse mein Ruhi ke bhai Mahesh ke ghar ke side mein park kar raha tha tabhi Mehboob paidal apne ghar se nikal kar, main road ke taraf aa raha tha aur car ko reverse hote dekh kar ruk gaya tha. Mehbob ki umar ab 70 saal ka tha aur saare baal safed the, safed daadhi bhi rakha hua tha aur usske sar par ek safed topi tha. Abhi uskso nahin pehchaanta agar ussko apne ghar se nikalte nahin dekhta.

Thik jab Mehboob Abhi ke car ke paas reach hua, chalte hue tabhi Abhi apni Mercedes se nikla, thik Mehboob ke saamne aur kaha,

“Are Mehboob bhai abhi tak Zinda ho aap? Main to socha aap tapak gaye honge!”

Mehboob ne bade aadar se thoda jhuk kar Abhi se haath milaya kyunke ek Mercedes se koyi nikla to ussko laga koyi bada hasti to hoga iss liye izat se jhuk kar thoda muskuraate hue kaha,

“Kia hum ek dusre ko jaante hein bhai?!”

Abhi ke haath mein wohi lifafa tha, 25 saal purana, jaan bujh kar usske lifafe ko change nahin kiya tha, kyunke wo chahta tha Ruhi ussi lifafe ko haath mein pakre, aur ussi 25 saal purane diaries ko padhe jisske kuch panne ab alag bhi ho rahe the…. To Abhi ne Mehboob ko wo lifafa dikhaate hue kaha,

“Issko bhi dekh kar kuch yaad nahin aya Mehboob? Yeh wohi lifafa hai jo 25 saal pehle tumne mujhko wapas kiya tha iss mein wohi diaries hein jo tumne Ruhi se chhiin kar mujhe wapas kiya tha aur kaha tha ke mujhe Ruhi ko agar kuch dena hai to main ussko doon tumhare ghar nahin chorrun…..! To aaj de raha hoon ukhaad lena jo ukhaad sakta hai ab madarchod!”

Mehboob ne apni hypocrisy wale muskurahat se kaha,

“Are Abhi tum ho!! Tabhi to kahun chehra jaana pehchana sa lag raha hai, are bhai 25 saal puarne baton par kia ghusa karna yaar bhool jao unn baton ko!”

Abhi ko itna ghusa araha tha sab unn dinon ke wakiyaat ko yaad karte hue ke usska man kar raha tha khinch kar Mehbob ko ekaat ghunssa maare, to kaha,

“Tere gaand mein itne laat maarne ko mann kar raha hai abhi ke kia bataun….. sala budha ho gaya hai, agar main ne tere pe haath uthaya to log kahenge ke budhe aadmi ko maar raha hoon, chal jaa be chutiye, mardon mein ek randi hai tu!!”

Kyunke Abhi ko ghussa aya tha to awaaz ooncha karke bol raha tha, aur Ruhi ko wahan aane se pehle message kar diya tha iss liye Ruhi darwaze ke paas aa chuki thi, darwaza khol diya tha jiss waqt Abhi reverse car park kar raha tha, to ussne sab dekha aur suna, aur udhar se Ruhi ki maa aur baap ne bhi sab dekha aur suna jiss waqt Abhi Mehboob se wo sab suna raha tha….

Jab Mehboob aaguey badh gaya to Abhi ne Ruhi ke maa ki taraf dekha aur lifafa dikhaate hue aur bhi buland awaaz mein kaha,

“Dekh lo, issko chhina tha aap ne Ruhi ke haath se 25 Saal pehle nah? Ussko padhne nahin diya tha nah? Aaj wapas de raha hoon usse yehi padhne ko dum hai to aakar iss baar chhinaa tab aap ko bhi dikhaunga ke main kia bala hoon!!”

Ruhi ki maa ne kaha,

“Are Abhi beta kyun purane baton ko yaad kar rahe ho bhool jao nah wo sab!”

Abhi ne jawaab ussi buland awaz mein diya,

“Awwal to aap ko mujhe beta kehna ka koyi haq hi nahin, phir bhool jaun? Hargiz nahin, mere liye sab ab bhi weise hi hein jaise 25 saal pehle the, sirf yeh aangan aur aap ka ghar badla hai, aap badle ho aap ke joru ka ghulaam pati badla hai Abhi nahin badla, usska dil nahin badla, Ruhi nahin badli, Ruhi ka dil nahin badla hai budhya, khabardaar agar mere aur Ruhi ke bich aane ki bhi koshish ki to, jala ke raakh kar dunga – aur sunon main jab bhi iss aangan mein aaun to door rehiyo, nazar bhi mat aaiyo varna kuch kar baithunga, mera khoon khaulta tum jaise kidon makodon ko dekhta hoon to!”

Tab tak Wheelchair par baithi Ruhi ne oonchi awaaz mein kaha,

“Abhi mat munh lago aise logon ke, bahot suna chuka hoon sab ko pichle 25 saalon mein main, aao nah kabse wait kar rahi hoon main!”

“Coming sweetheart” kehkar Abhi ne Ruhi ki maa ko tedhe nazar se dekhte hue Ruhi ke taraf gaya.

Andar jaate hi Abhi ne Ruhi ko wheelchair se goad mein uthaya, kiss kiya aur sofe par leytaya usske haath mein diaries wale lifafa dete hue.

Diaries ko lekar Ruhi apne seene se lagaate hue ro padi, aur jaldi se diaries ko nikala aur jaldi jaldi pannon ko ghumaate hue Abhi ki handwriting dekh kar aur bhi rone lagi… rone ke baad apne aank aur naak ponchte hue kaha,

“Aap ne issko 25 saalon tak sambhaal kar rakha hai Abhi? Jalaya nahin issko? Saare yaadein sameth kar rakha hua hai aap ne Abhi?!”

Abhi: “Tumko zinda rakha hai main ne inn diaries mein Ruhi, unn dinon ko quaid kiya hai main ne inn pannon mein, padhke dekho, tum wapas chali jaogi unn dinon mein…. Unn lamhon ko phir se dobara jiyogi, ek ek pal tumhare saamne aise ayenge ke tumko lagega sab kal hua tha, uss aangan ko dekh paogi iss mein jo yahan tha 25 saal pehle, tumhare unn donon taps ko dekh paogi, uss peyr ko dekhogi, tumhare uss washing stone ko dekhogi, khud ko kapde dhote hue dekhogi, mujhko jeeb se chidhaate hue dekhogi, hum donon ko ghar ke piche kiss karte hue dekhogi, mujhko tumhare uss lakdi ke khidki ke paas tumse baat karte hue dekh paogi, tumko kaise ek din uss khidki se baahar nikaal diya tha main ne wo bhi milega iss mein, mera seeti bajana sunogi iss mein, tumhara unssko sunne par aana dekhogi, Shweta ko bhi dekhogi… buss ko pal pal bante hue dekhogi, khud ko bagiche mein paogi gulaab todte hue, aur subha 6 baje mujhko aangan mein daakhil hote hue dekhogi, washroom se tumse ishare se batein karte hue dekhogi, Rahima ko hum donon ko ayn waqt par pakar lena dekhogi…. Tumne mujh par kitne sitam kiye the wo bhi dekhogi, main kitna tadpa tha wo bhi dekhogi, mera kia haal hua tha jab yahan se nikla tha 5th January ko wo bhi dekhogi……. You will live those moments and days again……”

Sab sunte hue Ruhi zoron se rone lagi Abhi ko bahon mein bharke… Abhi bolte jaa raha tha, bolte jaa raha tha, chhup hi nahin ho raha tha aur Ruhi ne apne munh ko usske munh se laga kar ussko chhup karaya, kiss karte hue…..

Abhi ko kiss karte waqt ek baar Ruhi ne aankhen khola to dekha Abhi ke behte aansoo usske aankhon se hokar usske honthon tak aa gaye the tab ussko pata chala ke wo bolte hue khud Abhi bhi ro raha tha, saare dard ko baahar nikaal raha tha wo sab bolte hue…..

Phir Abhi ne kaha,

“Tumne kabhi bhi mere khaton ka jawaab nahin diya, kabhi likha hi nahin mujhko , aaj main chaahta hoon yeh sab padhne ke baad tum kuch likho, mujhe likhe hue kuch chahiye tumhare taraf se…..”

Ruhi ne kaha,

“Zaroor likhungi Abhi, is baar zaroor likhungi, tum jitna to nahin likhungi magar zaroor isska jawaab dungi aap ko iss baar, it is high time I reply now!”

Abhi ne thanks kaha aur jaane ki ijazat liya. Ruhi hayraan hui aur kaha ke wo expect kar rahi thi ke Abhi usske saath sara din guzaarega. Magar Abhi ne kaha ke nahin ussko wo diaries bilkool akele mein padhni chahiye, aur phir jawaab bhi likhna hai ussko to do din baad ayega. Ruhi ko ussne do din diya sab padhkar jawaab likhne ke liye. Aur Abhi ne yeh kaha;

“Main do ya teen din baad jab aunga to ek bada surprise lekar aunga tumhare liye, tum bahot khush ho jaogi uss surprise se….”

Ruhi ne heyraan hote hue pucha,

“Ab kia surprise doge aap mujhe Abhi? Yeh kaafi hai mere liye!”

Abhi ne kaha,

“Dunya bhari hui hein surprises se, ek aur sahi… fikar rmat karo mujhe pata hai tum bahot khush ho jaogi!”

Aur Abhi wahan se nikla, aur seedhe gaya Shweta se milne, wo kaam par thi Abhi ne ussko leave lene ko kaha emergency bata kar aur Shweta ke saath jaa kar Aruhi ko bhi liya usske school se aur teenon kahin kissi important kaam ke liye gaye.

To be continued….
Very nice.
Bahut acha laga jiss tarah se Abhi be Mehboob aur Ruhi ki maa ko sunaya. Best part tha update ki aaj
 
Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,720
259
Sorry bro, read this last night but could not reply as I slept.
Very nice and cool update. Loved the complicity and bonding between Abhi and Navina. Yes Navina knows and understands Abhi more than anyone else.
She had said all in the beginning that she had no issues if Abhi goes back to Ruhi, thus since she understood that Shweta is Ruhi's daughter and Abhi is getting what he did not get with Ruhi, with Shweta, so she understood and for her its normal and she does not mind.
Lucky Abhi.
Lets see what goes on now.
Great going my dear.
thanks very much for the appreciation Vikram bro
 
Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,720
259
Woooooowww
Very good and brilliant update
Very well written and described....

To baat karte hai story ke baare mai.....

ACTUALLY HUMAN BRAIN......YE AK AISI CHIJ HAI JO ISS DUNIYA MAI SABSE JYADA KHATARNAAK OR SABSE JYADA ACHCHI HAI.....SABSE JYADA PECHIDA OR SABSE TEZ....

AAJ BHALE HEE KITNE BHI SUPER COMPUTER YA ARTIFICIAL INTELLIGENCE AA JAAYE LEKIN ISKE 1% KE BARABAR BHI NAHI.....OR YE BAAT SCIENTISTS BHI MAANTE HAI.....

KYOKI YE BAS CHIJO KO APNE ANDAR STORE HEE NAHI KARTA BALKI UNKE SATH UNKI FEELIGS OR EMOTIONS BHI SAVE KARTA HAI....
LIFE KE KISI BHI PHASE MAI YA KITNE BHI SAALON BAAD AAP AGAR KOI CHIJ YA INCIDENT YAAD KARTE HAI TO YE AAPKO KUCH SAMAY KE LIYE NA SIRF WO YAAD DILATA HAI.....BALKI US INCIDENT YA THING KO LEKAR USS SAMAY AAPKI FEELING.....EMOTION KAISE THE WO HEE SAME FEELING AAPKO ITNE SAALON BAAD BHI FEEL KARWATA HAI...
Ak tarah se kuch der ke liye aapko uss samay me le jata hai....

Abhi ke saath bilkul waisa hee hai....usne bhi 25 saal baad wo perfume ko dekha or use smell kar.....qo jarur uss zamaane mai chala gaya....OR ak bar phir unn yaadon ko jee kar aaya hai....OR isi liye wo itna emotional ho gaya.....

Ruhi ko itne samay baad kiss karna or usko hug karna.....feel karna....waise to ye apne aap mai ak alag hee level ki feeling thi.....
Lekin iss samay ye abhi ke liye normal thi....bhale hee Ruhi ke liye ye ak extreme moment ho lekin abhi ke liye nahi.....
Kyoki Abhi to regularly Shweta ke roop mai Ruhi ko feel karta hai....

Ha lekin jaisa maine kaha....Ruhi ke liye ye ak extreme moment hai....kyoki wo pure 25 saal ke baad Abhi ko chhu paayi hai feel kar paayi hai....
Usko hug or kiss kar paayi hai....very emotional moment.....

Chachi ke baare mai KAMDEV bhai ne sahi kaha....OR usi baat ko lekar chachi unn sab par haavi rahti hai...
OR uski maa ki shaayad isliye nahi banti chachi se kyoki wo shaayad baat baat par Ruhi ki maa ko sunaayi hogi....about Ruhi’s so called mistake....
OR jab hame koi hamaare ya hamaare kisi family member ki galati ke kaaran bar bar sunata hai to hame bura to lagta hee hai saath hee sunaane waale le liye gussa or nafrat hamaare mann mai aa jaati hai.....
OR may be isliye dono me anban hai...mm

Lekin isme bhi mera ak sawaal hai....jab Ruhi ki mera aa or chachi mai banti nahi....saath hee Ruhi ki jab wo badi waali mistake bhi chachi ke ghar se judi hui hai....
To phir uski maa ne use chachi ke ghar hee kyo bheja....jise ki wo pasand nahi karti....
Nani ke ghar bhi to bhej sakti thi....janha tak mujhe dhyaan he baaki ke ghar ka bhi jikar aaya tha or unn logon ke saath koi dikkat bhi nahi thi....

Phir Ruhi ko aisi situation me bhi usi jagah kyo bheja janha pahle bhi gadbad ho chuki hai.....

Ha to ab baat karte hai Ruhi ke baare mai....
To ha Ruhi paagal ho gayi thi....uske liye duniya ujaad ho gayi thi or gusse or pagal pan mai wo chijo ko tod rahi thi or baarish me bheeg bhi rahi thi....OK
But ak baat hai....or wo hai...TIME PERIOD.....
Sahi time period par aapke muh se nikli ak baat ya phir ak thappad....mai nahi kah raha ki bhayanak ladaayi jhagda.....
Lekin kuch tez lawaj ya uthaya hua haath Ruhi ke future ko badal sakta tha....
Lekin usne sahi samay par aisa kuch nahi kiya....

Dusri chij use Abhi ke pyar par vishwas hee tab hua jab kuch bacha hee nahi tha....iska matlab ye hai ki JAB ABHI WANHA USKE LIYE PAAGAL HOTA THA......JAB DONO AK DUSRE KO KISS KARTE THE....HUG KARTE THE... AK 2 BAAR TO PHYSICAL WAALI SITUATION BHI AA GAYI.....OR UN SABHI MAI RUHI SAAMNE SE READY HUI THI....
TAB TAK.....TAB TAK USE ABHI PAR VISHWAS NAHI THA.....USKE PYAR PAR USKE BAATO PAR.....

USKE LIYE SAB BAS TIME PASS THA....KI AGAR HUA TO THIK NAHI TO NA SAHI....KOI DIKKAT NAHI HAI....

JABKI ABHI SHURUWAAT SE SURE THA ABOUT HIS LOVE OR WO TO SHAADI OR BACHCHON KE BAARE MAI BHI SOCH RAHA THA....APNI OR RUHI KI BETI KE BAARE MAI .....

TAB TAK WO SAB MAY BE RUHI KE LIYE AK BAHUT STRONG ATTRACTION THA....ABHI KA.....
KAM SE KAM RUHI TO AISA HEE SAMAJH RAHI THI.....

JAB HAMAARE MIND MAI KISI CHIJ KO LEKAR 2 THOUGHTS HOTE HAI....OR HAM DONO MAI SE KISI PAR PURI TARAH SAHMAT NAHI HOTE YA CLEAR NAHI HOTE.....
OR USS SAMAY AGAR HAMAARE ANDAR DECISION TAKING POWER NAHI HOTI YA ITNI SOCH SAMAJH NAHI HOTI....
TAB HAM SUNTE HAI DUSRO KE VICHAR USS CHIJ KE LIYE ....
OR PHIR UNN DONO SITUATIONS KO SANE WAALE KE POINYLT OF VIEW SE DEKHNE KI KOSHISH KARTE HAI.....

OR AGAR SAAMNE WALA KHUD CHAHTA HAI KI HAM USKI BATAAYI SITUATION KO SAHI MAANE TO WO USKA JIKAR BAR BAR KARTA HAI.....
OR HAMAARE DIMAAG NA CHAHTE HUE BHI USKI BAAT KO SAHI MAAN NE LAGTA HAI.....

Ruhi ke saath bhi aisa hee hua....wo apne future ko lekar Amit or abhi ke liye confirm nahi thi.....
Kyoki dono mai alag alag qualities thi....
Aise mai uski maa ne bar bar uske saamne Abhi ki burayi kar use Abhi ko kam maan ne ke liye vivash kar diya.....

OR Ruhi khud Abhi ko Amit ki tulna mai kam samajhne lagi.....jaisa ki usne kaha ki use Abhi ke pyar ki sachchai ka yakeen chachi waale incident ke baad hua.....
Pahle nahi tha....kyoki uski nazar mai tab Abhi kam tha.....OR Amit jyada better.....

OR janha comparison aa jaaye wanha pyar nahi ho sakta....meri nazar mai......

PACHHTAWA.....GUILT.....jab hame kisi baat ko lekar guilt hota hai to hame wo pal jab ki hamne wo sab kiya jo nahi karna chahiye tha ya phir wo nahi kiya jo karna chahiye tha.....
Wo sab hame bade hee detail mai or pal pal dikhaate hai....uss chij ke....
Normally bhale hee wo baat hame jyada yaad na rahe lekin jab kisi baat ko lekar guilt hota hai tab uss baat ki hame ak ak detail choti se chhoti chij yaad aati hai.....
Ak film ki tarah....

Isliye Ruhi ko sab itne detail mai yaad hai.....kyoki pichle 25 saalon se wo ye hee sab apne andar sochti aayi hai.....

2 lines Ruhi ke liye........

INN GUNAAHO KE DAAG KOI MITA DE......
KE KHUD HEE DARTA RAHA HU MAI......
APNE SAAYE SE.......

Khair Abhi bhi kaafi raaz kholne hai....
Dekhte hai kya Hota hai....

Waise kaafi dino baad review diya hai.....kuch samajh hee nahi aa raha tha kya kahu....isliye jo samajh aaya likh diya....next time better karne ki koshish karunga....

Anyways
Very good update
Thanks.....

Vikram bhai aap ka kaise shukriya ada karun meri samajh mein nahin araha :D
chalo ek ek karke aap ke reviews o main bhi detail karta hoon aap ka shukriya ada karte hue

ACTUALLY HUMAN BRAIN......YE AK AISI CHIJ HAI JO ISS DUNIYA MAI SABSE JYADA KHATARNAAK OR SABSE JYADA ACHCHI HAI.....SABSE JYADA PECHIDA OR SABSE TEZ....

AAJ BHALE HEE KITNE BHI SUPER COMPUTER YA ARTIFICIAL INTELLIGENCE AA JAAYE LEKIN ISKE 1% KE BARABAR BHI NAHI.....OR YE BAAT SCIENTISTS BHI MAANTE HAI.....

KYOKI YE BAS CHIJO KO APNE ANDAR STORE HEE NAHI KARTA BALKI UNKE SATH UNKI FEELIGS OR EMOTIONS BHI SAVE KARTA HAI....
LIFE KE KISI BHI PHASE MAI YA KITNE BHI SAALON BAAD AAP AGAR KOI CHIJ YA INCIDENT YAAD KARTE HAI TO YE AAPKO KUCH SAMAY KE LIYE NA SIRF WO YAAD DILATA HAI.....BALKI US INCIDENT YA THING KO LEKAR USS SAMAY AAPKI FEELING.....EMOTION KAISE THE WO HEE SAME FEELING AAPKO ITNE SAALON BAAD BHI FEEL KARWATA HAI...
Ak tarah se kuch der ke liye aapko uss samay me le jata hai....
bhai yeh aap ne kamaal ka varnaan kiya human brain ke baare mein... bahot hi exact explanation diya hai aap ne
Abhi ki uss perfume ko lekar brain mein wo saare yadein wapas laane ki... aap ki explanation 100% fit baithtta hai uss scene ke liye :thumbup:

Ruhi ko itne samay baad kiss karna or usko hug karna.....feel karna....waise to ye apne aap mai ak alag hee level ki feeling thi.....
Lekin iss samay ye abhi ke liye normal thi....bhale hee Ruhi ke liye ye ak extreme moment ho lekin abhi ke liye nahi.....
Kyoki Abhi to regularly Shweta ke roop mai Ruhi ko feel karta hai....
Exactly sahi pakda aap ne bhai

OR Ruhi khud Abhi ko Amit ki tulna mai kam samajhne lagi.....jaisa ki usne kaha ki use Abhi ke pyar ki sachchai ka yakeen chachi waale incident ke baad hua.....
Pahle nahi tha....kyoki uski nazar mai tab Abhi kam tha.....OR Amit jyada better.....

OR janha comparison aa jaaye wanha pyar nahi ho sakta....meri nazar mai......
yessssss right bro

Lekin isme bhi mera ak sawaal hai....jab Ruhi ki mera aa or chachi mai banti nahi....saath hee Ruhi ki jab wo badi waali mistake bhi chachi ke ghar se judi hui hai....
To phir uski maa ne use chachi ke ghar hee kyo bheja....jise ki wo pasand nahi karti....
Nani ke ghar bhi to bhej sakti thi....janha tak mujhe dhyaan he baaki ke ghar ka bhi jikar aaya tha or unn logon ke saath koi dikkat bhi nahi thi....
aap ka sawaal ka jawaab yeh hai bhai ke Chachi nurse thi aur ussko jab pata chala ke ek baby milegi ussko to ussne apne ghar lejaane ko offer kiya aur uss bachi ko adopt karne ko decide kiya issi liye ussne Ruhi ko apne ghar mein rakha uss baby ko paane ke liye kyunke usski koyi aulaad nahin thi.... ayr tab nani ke yahan kissi ko bi kuch pata nahin tha iss baare mein ke Ruhi pregnant haio, sab se iss baat ko chhupaya gaya tha bhai

Phir Ruhi ko aisi situation me bhi usi jagah kyo bheja janha pahle bhi gadbad ho chuki hai.....
wahan pehle gadbad NAHIN hui thi kabhi, gadbad ruhi ki bache janam dene ke baad shuru hui thi bhai :D

OR usi baat ko lekar chachi unn sab par haavi rahti hai...
OR uski maa ki shaayad isliye nahi banti chachi se kyoki wo shaayad baat baat par Ruhi ki maa ko sunaayi hogi....about Ruhi’s so called mistake....
OR jab hame koi hamaare ya hamaare kisi family member ki galati ke kaaran bar bar sunata hai to hame bura to lagta hee hai saath hee sunaane waale le liye gussa or nafrat hamaare mann mai aa jaati hai.....
OR may be isliye dono me anban hai...
bacha ho jaane ke baad unban hui thi Ruhi ki chachi aur Ruhi ki ma ke bich wo bhi Shweta ko lekar ussko apne yahan ya chachi ke yahan rehne dene ko lekar, usske baad chachi ne sunana shuru kiya tha ke ruhi badchallan thi etc etc har baar...... aayi baat samajh mein vikram bhai? :D

Ruhi ke saath bhi aisa hee hua....wo apne future ko lekar Amit or abhi ke liye confirm nahi thi.....
Kyoki dono mai alag alag qualities thi....
Aur ek reason thi bhai jo ab Ruhi baat karte waqt abhi ko batega ke kyun wo Abhi ko tab accept ya apne pyar nahin dikha paayi thi..... agle kissi update mein ruhi wo sab batayega Abhi ko

PACHHTAWA.....GUILT.....jab hame kisi baat ko lekar guilt hota hai to hame wo pal jab ki hamne wo sab kiya jo nahi karna chahiye tha ya phir wo nahi kiya jo karna chahiye tha.....
Wo sab hame bade hee detail mai or pal pal dikhaate hai....uss chij ke....
Normally bhale hee wo baat hame jyada yaad na rahe lekin jab kisi baat ko lekar guilt hota hai tab uss baat ki hame ak ak detail choti se chhoti chij yaad aati hai.....
Ak film ki tarah....
bilkool sahi bhai, perfect

2 lines Ruhi ke liye........

INN GUNAAHO KE DAAG KOI MITA DE......
KE KHUD HEE DARTA RAHA HU MAI......
APNE SAAYE SE.......

Khair Abhi bhi kaafi raaz kholne hai....
Dekhte hai kya Hota hai....

Waise kaafi dino baad review diya hai.....kuch samajh hee nahi aa raha tha kya kahu....isliye jo samajh aaya likh diya....next time better karne ki koshish karunga....
dil ki gehraayi se aap ka dhanyawaad vikram bhia itni achi varnaan ke saath review dene ke liye., i just love it :love:
 
Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,720
259
Bahut hi badhya.
Bahut acha laga aaj Navina ki ek update dekh kar i think ye pehla update hai jiss me Navina ka naam hai. Too good.
Ek alag hasti hai Navina. Ek alag kissam ka insaan. Bahut bade dil wali. Apne pati k liye jine marne wali, usske khushi k liye apne khushiyon ko kurban karne wali.
Haan pehle hi keh chuki thi wo ke Abhi Ruhi ke saath reh sakta hai agar wo wapas mili to issi liye Abhink diary mein sab padhke ussko pata chal gaya tha ke Shweta mein Abhi ko Ruhi mil gaya tha iss liye ussne kuch nahin kaha tha Abhi aaj tak. Abhi baat iss liye shuru hui kyunke Abhi Navina ko lene nahin gaya tha koyi emergency bata kar iss liye baat nikli to Navina ne baat ko cherr diya varna shayad wo kabhi kuch kehti hi nahin Abhi ko iss baare mein. 7 saal sab jaante hue chup rahi.
Hats off to this especial lady.

thanks very much Swathi dear
 
Top