Update 24 How Abhi Faced It (ii)
Abhi ne kaha,
“iss sawaal ke badle tumko yeh batana behtar suit karta ke tum kehti ke tum ne uss aadhe ghante tak kyun mujhe wait karwaya?!”
Ruhi ne jeeb ko daanton mein dabaate hue kaha,
“sorry Abhi, kal raat nahin soyi thi nah to 11 baje hi main gehri neendh mein thi, aap log bus mein kaam karte hue shor kar rahe the nah to main ne nahin mummy ne khidki band kar diye taake meri neendh nah tute!”
Abhi ne kuch nahin kaha thik tabhi uss taraf se Rahima ne Ruhi ko bulaya kuch dikhaane ke liye, aur Ruhi nikli aur yeh gungunaate hue Abhi ke bagal se guzri, “pyar karte hein hum tumhein itna…..”
Abhi ne suna aur usska dil bahot khush hua Ruhi ko uss geet ko gungunaate hue sun kar.
Aur Ruhi turant wapas aayi Rahima se kuch haath mein lekar aur wohi geet gungunaate hue Abhi ke bahot karib se guzri, to turant Abhi ne bhi gungunaya, “pyar karte hein hum tumhein itna….” Ruhi ne mudhkar usse dekha, muskuraayi aur kitchen ke chaukath par apni maa ke paas khadi ho gayi.
Abhi gaya unn donon ke paas khada hua aur Ruhi se pucha,
“did you read the letter?”
Ruhi ne ek pyari si muskurahat mein kaha,
“oh yes, yes thank you very much hmmmm thanks very very much for that, its so, so nice of you. But you will not get any answer for that okay Abhi?”
Abhi: “And why I won’t get any reply?”
Ruhi: “I am not worth to reply to such a lovely letter.”
Ruhi bade pyar se muskuraate hue baat kar rahi thi Abhi se apni maa ke saamne. Maa sirf muskura rahi thi.
To Abhi ne pucha,
“Is you mum understanding what we are talking?”
Ruhi: “No she is not!”
Abhi: “So will you tell me, what about the mistake you were talking yesterday?”
Ruhi ne baat ko badalte hue kuch aisa kaha jiss se Abhi ka dil baith gaya, ussko ghutan sa feel hua, Ruhi ne kaha,
“chalo maan lo ke aap ke khat ka mera jawaab nah hua to?!”
Abhi ne koyi jawaab nahin diya, buss Ruhi ke chehre mein utarte hue chehre se dekkhta raha. Kuch tha hi nahin Abhi ke paas kehne ke liye. Ruhi phir bhi muska rahi thi… to Ruhi ne khud kaha,
“Aur agar main aap se kahun ke meri mangni ho chuki hai to?!”
Yeh sunkar Abhi ke dimagh ne kaam karna bandh kar diya. Usske samajh mein nahin aya ke wo ab kia jawaab de Ruhi ko!!
Kuch pal khamosh rehne ke baad Abhi ne kaha,
“Main nahin manta, impossible….. So, you have someone in your life?”
Ruhi ne bade asaani se kaha,
“No not in my life, but he is abroad.”
Abhi ne dil ko sambhaalte hue pucha,
“he will come back to stay?!”
Ruhi ne muskuraate hue Abhi ke aankhon mein dekhte hue kaha,
“No, he will not come to stay, he will return.”
Abhi ne phir kaha,
“phir meri duah hai ke wo kabhi bhi wapas nah aaye!”
Ruhi ne hansste hue kaha,
“Hey bhagwaan aisa bhi koyi kehta hai kissi ke liye?!”
Ruhi ki maa sab sun rahi thi aur hanssti jaa rahi thi.
Abhi ne tab Ruhi ka haath thaam kar kaha,
“To kia tum mere liye ussko chorr nahin sakti, ussko bhool kar meri nahin ho sakti tum?”
Ruhi ne kaha,
“I don’t know that depends on my parents!”
Abhi ne object karte hue kaha,
“tumhare parents tumhare liye decide nahin kar sakte,tumko apna choice karna tumhara haq hai, weh log tumhare liye decide nahin kar sakte!”
Ruhi ne kaha,
“but it is my duty to obey my parents”
Abhi ne ussko jawaab diya,
“but it is also your duty to obey yourself”
Tab Ruhi zor se hanssi, to Abhi ne kaha,
“okay phir thik hai main abhi issi waqt tumhare mummy se shaadi ke kiye tumhara haath mangne jaa raha hoon….”
Iss par Ruhi aur bhi hanssne lagi…..
Abhi ko lagne laga ke jo kuch abhi Ruhi ne kaha sab banawti baatein the, magar usske dil mein darr tha ke kahin yeh sab sach nah ho….
Aur Ruhi ne kaha,
“have you ever realised how tall you are and how I am?”
Abhi ne turant kaha,
“That’s not important, how tall is Amitabh Bachchan and how tall is Jaya Badhuri?”
Ruhi iss par bahut hanssi usski maa bhi hanssti gayi Abhi ki baat sunkar….
Aur Abhi ne kaha pyar mein yeh sab nahin dekha jaata, lambaayi, rang, jaat paat sab koyi maene nahi rakhta….
Abhi ne tab Ruhi se kaha ke aaj kaam 5 baje end hoga magar wo 6 se 6.30 ya7 baje tak issi aangan mein rahega aur chahta hai ke Ruhi se akele mein baar kare…..
Phir Abhi kaam karne laga… Ruhi aas paas hi rahi aur apne jeeb se Abhi ko ghanton bhar chidhaati rahi, hanssti rahi, khush dikh rahi thi, chanchal adaaon se jaise Abhi ko rijha rahi thi apni maa ke saamne.
Ruhi ab Abhi ko nazar se bilkool bhi nahin chorr rahi thi. Abhi ko bus ke piche wale hisse par sheets chipkana tha, to kitchen se bus ke piche to nahin dikh raha tha, kafi derf tak Abhi wahan raha to Ruhi khud aayi udhar…. Ussne apne cousin ke yahan jaane ka bahana kiya taake Abhi ke paas aa sake…. To Abhi ne ussko roka, aur bus ke andar dekhte hue Ruhi ne kaha,
“dekho tumhara boss tumko dekh raha hai”
Abhi ne kaha,
“dekhne do ussko sab pata hai!”
Ruhi ne kaha:
“what ussko sab pata hai? To main chali bye bye….”
Abhi ko bolna pada ke nahin saeed ko kuch pata nahin hai tab Ruhi ruki Abhi se baat karne ke liye…. Aur Abhi ne kaha,
“mere taraf dekho to!”
Ruhi Abhi ke chehre mein, balke aankhon mein dekhne lagi, to abhi ne kaha,
“Dekho Ruhi, agar tum mujhe nahin mili, agar tum meri nahin hui, to main zindagi bhar kabhi shaadi nahin karunga, mujhe sirf aur sirf tum chahiye”
Ruhi ke donon Aankhen bhar aaye Abhi ko sunkar, ekaat katre aansoo ke chalak bhi gaye aur aasmaan taakte hue Ruhi ne roni awaaz mein kaha,
“oh my god, kyun aakhir kyun?
Abhi ne seriously kaha,
“kyunke main iss Ruhi ko nahin khona chahta ek ko kho diya hoon aur nahin khona mujhe!”
Ruhi samjhi nahin, ussne socha Abhi aise hi keh raha hai, Ruhi ne apne aansoo pochte hue kaha,
“Ab main jaa rahi hoon, main ab kuch dinon mein apni nani ke yahan chali jaungi.”
Abhi ne heyraan hote hue kaha,
“What?”
Ruhi rote rote hanss pari
Phir Abhi ne kaha,
“To yahan mera kia hoga? Main kaise kaam karunga yahan? Main kisse dekhunga har baar yahan, main Ruhi ke bina kia karunga phir yahan?”
Ruhi ne tab hansste hue kaha,
“phir dusre jagah kaise kaam karoge aap?”
Abhi ne kaha,
“Issi liye to tumhari ek tasveer mangi hai nah main ne? Please ek photo de do apni, please.”
Ruhi: “nah, main kabhi kissi ko apni koyi bhi photo nahin dene wali”
Abhi ne kayi baar manga, request kiya, minatein kiye magar Ruhi ne mana kiya.
Abhi ne tab uss abroad rehne wale aadmi ke baare mein pucha, aur Ruhi ne kaha wo France mein hai, aur usska naam Amit hai. Abhi ne kaha ke wo abhi abhi uss naam aur aadmi ko khud CREATE kar ke bata rahi hai weisa koyi hai hi nahin, to Ruhi ne kaha ke nahin wo hakikat hai.
Tab Abhi ne kaha,
“ya tum iss liye mana kar rahi ho kyunke meri yeh Naukri tumko aur tumhari maa ko nahin passand, main ganda rehta hoon, mere kapde gande hein iss liye?”
Ruhi ne jo jawaab diya wo Abhi ko passand aayi,
“kyun iss mein kia hai? Koyi bhi kaam ho, kaam to kaam hota hai”
To Abhi ne kaha,
“ya phir tumko eysh o araam wali life chahiye, luxuries chahiye, amir aadmi ke saath hona passand hai tumhe jisske paas car, naukar chaakar ho, jo abroad rehta ho….”
Ruhi ne kaha
“nahin bilkool bhi nahin main weisi nahin hoon!”
To Abhi bola;
“Shakespeare ne kaha hai – ‘Uneasy lies the head that wears a crown’ isska matlab pata hai nah?”
Ruhi ne phir kaha,
“Aap kitne padhe likhe ho Abhi, kia kuch nahin pata aur yaad hai aap ko hmmm?!”
Tab tak Ruhi ki maa ne ussko awaaz diya to Ruhi ne kaha ab ussko jaana hai aur wo phir wohi geet gungunaate hui gayi, “pyar karte hein hum……”
Abhi ek bhaaripan feel karne laga, phir bhi ussko Ruhi se bus ke piche itni der baat karke achcha laga.
Aur kuch hi der baad Abhi ko ab bus ke andar ke ceiling ke liye kuch istemal karna tha jo Ruhi ki lounge mein rakha hua tha to wo gaya wahan usse lene, Ruhi ki maa ne darwaza khola aur deewar se tek laga kar khadi Abhi ko dekh rahi thi to Abhi ne uss se kaha,
“Ruhi se keh dijiye main ek baar phir usske ghar ke andar aya hoon”
Ruhi ne dusre kamre se jawaab diya,
“kehdo unnko ke danda padega ab unnko!
Kuch der baad Abhi wapas panels par sheets chipka raha tha jo Ruhi ke terrace ke paas tha aur Ruhi aur usski maa donon wahi the aur baar baar phir Ruhi ne ussi tarah apni maa ke saamne Abhi ko apne jeeb se chidhaya… Abhi ko to Ruhi ka uss tarah se jeeb se chidhaana bahot pasand tha to Abhi ne socha ke Ruhi ka wohi “I love you” bolne ka tarika tha shaayad.
Aur kuch der baad aur Ruhi apni khidki par tek lagaye hue dekhi gayi, aur Abhi ussko fix dekh raha tha, to dhire se Ruhi ne kaha,
“Kia dekh rahe ho aap? Uss tarah se mat dekhiye mujhe.
Magar abhi ne aur behtar position liya Ruhi ko behtar se dekhne ke liye tab Ruhi ne kaha,
“aap bilkool paagal ho!”
Abhi ne jawaab diya ke “haan hoon main paagal!”
Ab Ruhi ki maa baahar nikli aur Ruhi chaukath par aayi aur Abhi ko ishaare se bulaya, to Abhi kaam chorr chaar kar gaya usske paas, Ruhi kuch kehne jaa rahi thi Abhi ko magar jab Abhi usske paas pahuncha to Ruhi ne kaha,
“main ne aap ko nahin bulaya!”
To wapas lautte hue Abhi ne kaha,
“mere jaane ka time ho gaya, please yahin rehna jab main jaane lagun mujhe tum dikhna chahiye jaate hue, varna main nahin jaunga aaj yahin rahunga! I will stay at your place all night!”
Ruhi ne Khushi se hansste hue kaha,
“Really aap yahin rahoge hamare yahan? Yeh to Khushi ki baat hai rehye nah!”
Uss waqt Abhi ke haath mein ek cigarette tha aur Ruhi ne kaha,
“kitna cigarette peete ho aap, feinkiye isse Abhi issi waqt!”
Abhi ko Ruhi ka weise kehna bahot achcha laga, ussko laga jaise ek wife apni husband ko cigarette feinkne ko keh rahi hai to Abhi ne jawaab mein kaha,
“Wo kab hoga tumko keh diya hai main ne, agar chahti ho ke hamesha ke liye cigarette feink dun to wo din jaldi se aaye pray karo! Matlab jab tum meri ban jaogi tab!”
Aur Abhi ne sach mein soch liya aur khud se kassam kha liya tha ke jiss din Ruhi usska hua wo cigarette kabhi nahin piyega uss din se.
Abhi ne phir yaad kiya ke ussne Abhi tak apni wo baat nahin bataayi hai to kaha,
“Ari suno to, kiss baat ke liye kal tum ne kaha tha ke kia main tumhari ghalatiyon ko maaf kar sakta hoon ya nahin? Tumne abhi tak kuch kaha hi nahin, sunon jab sab chale jaenge tab main rukunga, late tak piche ana hum baat karenge….”
Ruhi ne haan mein sar hillaya…..
Ab tak jitna kuch hua wo sab Abhi soch raha tha ke sab Ruhi ki maa ki banaayi hui plan hai Abhi ko aazmaane ke liye. Jo kuch Ruhi ne kaha, jaise wo behave karne lagi thi sab kuch Abhi samajh raha tha ke sab uski maa ne Ruhi ko seekhaya hai Abhi ko parakhne ke liye usska imtehaan lene ke liye Ruhi waisa kar aur keh rahi thi.
To be continued in the next update immediately
Bahut hi badhya update.
Romance se bhara hua update.
Bahut acha laga. Too good.