• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 4 Ruhi Comes in Abhi’s Life Once More

“saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki….”

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani… Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

“Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!”


Ab aaguey….

Jab Abhi ne kissi ko Ruhi naam phukaarte suna to usska dil zoron se dhadka, usska chehra thoda sa laal hua aur usski nazar bus se hatkar uss awr dekhne laga jahan se ussne uss awaaz ko Ruhi naam phukaarte hue suna…. Ussko aisa feel hua ke ussko saans lene mein takliff hone laga tha uss pal ko, mushkil se ek lamba saans liya aur aankhon ko wahin jamaaye rakha iss intezaar mein ke koyi Ruhi naam wali udhar aaye….. tab ek oonche stair par khadi ek aurat ko dekha Abhi ne; aur andaza lagaya ke ussi aurat ne Ruhi ke naam ko phukara, aur sochne laga kia yeh uss Ruhi naam wali ladki ki maa hogi kia? Apni beti ko bus dekhne ke liye bula rahi hogi? To kia bus owner Mehboob uss Ruhi ka chacha hai? Matlab yahan Ruhi ek muslim girl hai, magar Abhi wala Ruhi to hindu thi…. Phir bhi dharm aur jaat ko bhool kar iss pal ko Abhi ne yeh dekhna chaha ke yeh Ruhi kaisi hogi? Khubsurat hogi aur apni Ruhi ki tarah adaon ki maalkin hogi? Chanchal hogi? Modern hogi, ya gharelu hogi? English bolna ata hoga? Padhi likhi hogi? Usski umar kia hogi? Kahin koyi bachi to nahin hogi? Aur agar shaadi shuda already hogi to? Usski baal keise honge, apni Ruhi jaisi hogi? Aur sabse pyare 2 chiz jo Abhi apni Ruhi mein ziada passand karta tha wo the usski muskurahat, aur usski meethi awaaz, to kia iss Ruhi ki bhi weisi muskurahat aur awaaz hogi kia?

Abhi ka dhyaan ab bus par bilkool nahin tha. Wo to wahan nazrein gadaaye khada tha jahan se yeh nayi Ruhi aane wali thi. Saeed ji ne Abhi se pucha,

“kia khayal hai, kaam kitne dinon tak chalega?!”

Abhi ne Saeed ji ko suna hi nahin, usska dhyaan to kahin aur hi tha uss waqt. Saeed ji ne tab Abhi ke chehre mein dekha, phir usski nazron ko follow karte hue saeed ji ne bhi wahan dekha jahan abhi ke nazrein thehre hue the aur ek aurat ko dekha khada hokar unn donon ke taraf bus ko dekhte hue. Faasla koyi 3 metres ke the jiss jagah bus tha aur jahan wo aurat khadi thi.

Saeed ji ne Abhi ki kehuni ko apne kehuni se takraate hue kaha,

“kyun miyan auraton ko taadne lage aate hi?”

Tab Abhi ka dhyaan wapas wahan aaya aur chahunkte hue kaha,

“nahin bhai main buss aise hi….. kuch soch raha tha….”

Aur tabhi uss aurat ne phir kaha,

“Ari Ruhi aah nah dekh to!”

Aur andar se awaaz aayi jissko Abhi ne bade dhyaan se suna,

“ofo maa, tum bhi nah, yeh chulhe par tarkaari kaun dekhega agar main tumhaare paas aa khadi hui to? Sab jal jaega yahan, dekh nahin rahi main paka rahi hoon!”

Abhi ke dil ka dhadakna jaise ruk sa gaya uss awaaz ko sunkar, jitni meethaas aur komalta uss awaaz mein suna Abhi ne, aur jiss adaa se uss ladki ki awaaz suna Abhi ne, wo machal gaya ab usski ek jhalak dekhne ke liye. Magar usske samajh mein nahin araha tha ke kaise ussko dekhein…. Abhi dil hi dil mein praathna karne laga ke wo ladki at least ek baar apni maa ki baat maan le aur ek baar bus ko dekhne aajaaye….

Tab tak Saeed ji ne phir Abhi se pucha ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai. Abhi ko dar tha ke kahin idhar udhar dekhte waqt wo ladki aakar wapas bhi nah chali jaaye to usski nazrein wahi jami rahe aur Saeed ko jawaab diya jaise hawa mein baat kar raha tha, “PATA NAHIN BAI!”

Ab to Abhi yeh chahne laga ke yahan ka kaam kabhi khatam hi nah ho, kyunke usska yahan kaam karne ka ek aur maksad mil gaya tha….

Abhi tarapne laga ussko dekhne ke liye, kaash wo ladki ek baar apni maa ke paas aakar khadi ho jaati, eisa soch raha tha abhi, aur achaanak uss aurat ne mehboob ji se kuch kaha jo sunaayi nahin diya Abhi ko, magar abhi unn donon ko hi dekh raha tha tab tak Saeed ji buss ke dusre taraf chale gaye the moaena karne bus ki. Aur abhi ki nazar wahi tikke hue the uss stair par, aur ladki ki maa ne phir se kaha,

“Ruhi aakar dekh to sahi nah!”

Aur andar se awaaz aayi,

“uff aati hoon wait karo, karhaayi ko utaar to doon!”

Jiss stair par wo aurat khadi thi wo kitchen mein daakhil hone wali stairs the. Uss makaan ka aakhri hissa tha aur jahan bus tha uss garden ki saamne wale hisse ke bilkool nazdeek tha. bus left hand side mein tha aur wo ghar right hand side mein tha. Chalo ek plan bana deta hoon taake aap sab ko samajh mein ajaaye sab kaisa tha wahan….


Ruhis-house-plan.jpg


To yeh raha plan. Bus ek badi si darkhat ke niche tha jiss se aadha din chaon hota tha bus ke niche, baad mein kada dhoop mein kaam karna padta tha. Jahan Ruhi ki kitchen hai wahan ek jagah stair likha hua hai wahin par usski maa khadi dekh rahi thi aur Abhi jahan tap one likha hai wahan opposite bus ke paas khada uss stairs ke taraf dekh raha tha ke kab Ruhi naami ladki saamne dikhe ussko. Bus ka front side Mehboob ke ghar ke taraf tha aur back side Ruhi ke cousin ke ghar ke taraf. Bus ki right side Ruhi ke ghar ke taraf, balke tap 1 aur tap 2 jahan Ruhi kapde dhoti hai, uss taraf tha. Aur Mehboob ke ghar ke piche washroom tha jahan fresh hona jata tha, kapde change karte the workers aur toilet bhi wahin the. Mehboob aur Ruhi ke ghar ke beech ka jo space tha wahan ziada tar kaam kiya jaata tha jaise, alliminium sheets ka kaatna, measurements lena, aur bahot saare lohe ka samaan rakha gaya tha aur kuch kaam karne ka samaan add hota gaya din ba din. Matlab jab bhi Abhi uss space mein hota to Ruhi ke ghar ke ziada kareeb hota. Bus se Ruhi ka ghar ka fasla buss der metre ka tha, usski kitchen, aur stairs 2 metres ki doori par the.

****************************************************************************************

Abhi besabri se wait karta raha ke kab wo Ruhi naam wali ladki stairs par aaye taake wo ussko dekh sake, usski awaaz to sun liya tha aur bekaraar tha ussko dekhne ke liye. Usski awaaz se Abhi ko samajh mein aaya; ya yun kahen ke uss patli, narm awaaz se andaza lagaya jaa sakta tha ke uss awaaz ki maalkin kaisi dikhti hogi. Matlab Abhi ne apne dimaagh mein seikron tasvirein bana liye the usski, apne tassavur mein iss Ruhi ki tasveer ko utaar liya tha ussne ab intezaar tha ussko dekhne ko aur natija kia niklega isska wait kar raha tha Abhi.

Abhi ko laga ek bahot khubsurat, naazuk, kamsin si ladki hogi, yeh usski awaaz se pehchana ya andaza lagaya tha Abhi ne… usski bekaraari badhne lagi thi aur mann mein hulchal paida ho gaye the, bechain ho raha tha Abhi usski ek jhalak dekhne ke liye.

Abhi ka Ruhi naam se gehra Rishta tha yeh sirf Abhi ko pata tha aur kissi ko bhi nahin uss waqt. Iss Ruhi naam se usska kia naata raha hai pichle kayi saalon se, kia ehmiyat thi usskki life mein Ruhi naam ka kissi ko kia pata tha usske siwa. Aur abhi sochne laga ke kismat kia khel khel raha tha usske saath ke ussi naam ki ladki se phir milwa raha tha ussko, aisa kyun tha? Kia yeh wala Ruhi Abhi ki life mein khushian laegi? Kia Abhi ki life mein jo kami hai wo ab puri hogi? Jo khaalipan abhi ko aaj tak apne viraan dil ke andar mehsoos ho rahi thi wo ab gulzaar hone wala tha?

Abhi ne ek gehri saans lete hue uss kitchen ki stair par apne nazron ko jamaaye rakha…. Aur ussko ek nili dress nazar aayi kitchen ke darwaze ke paas, dress uss ladki ki maa ki dress ko chhuh rahe the, magar dress pehnne wali nazar nahin arahi thi, phir ladki ki ek tang dikhi abhi ko, dress usski ghutnon tak thi, hawa se dress lehra rahi thi….

Abhi dil hi dil mein sochne laga kia kar rahi hai, kyun dikh nahin rahi hai, usska chehra kidhar chhupi hui hai?! Phir abhi ne ghaur se dekha to samjha ke ladki khule hue darwaze aur deewaar ke beech se bus ke taraf dekh rahi thi; Wo jab ek darwaza full khula hota hai aur khul kar deewaar se chipak jaati hai phir uss khule hue hisse aur deewaar ke beech ke hisse se baahar dekha jaa sakta hai nah? Ruhi ussi hisse se bus ko dekh rahi thi..….

Usska gora chehra aur ek aankh dikha Abhi ko, aur Abhi ka dil bade zoron se dhadakne laga… Ruhi apni maa se dhire dhire baat kar rahi thi yeh maa ki response se samajh mein araha tha…. bus ke taraf dekhte hue donon maa beti baatein kar rahe the, Abhi pray karne laga ke kaash wo ladki stair par ek baar aajaati to Abhi usskko pura dekh paata….

Mehboob apne ghar se nikla to ladki ki maa ne Mehboob se zor se kaha,

”Yeh kia gandagi khada kar diya aap ne aangan mein? Kitna ganda aur sada hua bus hai, aap kia karoge iss sade hue gande lohe se?!”

Apni maa ki baat sunkar wo ladki khilkhila kar hanssi. Abhi ne sab suna aur usski taraf dekhta raha. Aur ladki ne kuch ahiste se kaha apni maa ko jaise daantte hue. Abhi ke samajh mein aya ke ladki ne apni maa se kaha ke bus ki marammat karne wale log sab sun rahe hein, unnko acha nahin lagega….

Aur aakhir mein buss ek pal ke liye, koyi 2 seconds ke liye ladki stair par aayi, wo bhi jaise khud ko ek tang par sambhalte hue jaise stair par ana nahin chahti thi magar ek peyr fissal gayi iss liye majbooran ana pada, phir turant wapas piche chali gayi aur ussi darwaze aur deeewar ke beech se dekhne lagi.

Jiss pal wo nikli thi stair par Abhi ne bahot kuch dekha, aur uss par kia beeta, kia feel hua, kaise sambhala ussne khud ko yeh bayaan karna mushkil hai. Abhi ki nazrein tike rahe uss ek pal ke liye unn stairs par aur ussko to laga ke ek ghante bhar dekh liya uss ladki ko. Usske baal khule hue the jo hawa se lehra rahe the, kaale ghane baal, aur baal bhi bilkool weisi jaisi Abhi ko passand tha aur jaise baal usski Ruhi ke the, uss ladki ka rang bhi bilkool usski apni Ruhi ka rang tha, bilkool gori thi, chehra maan lo chand ka ek tudka dikh gaya Abhi ko, usski dress ek midi type thi, jo usski ghuton ko dhanke hue the, par talwe se thoda upar usski gori tang dikhe Abhi ko aur usski baazuwon par bhi nigahein pade the Abhi ke… Abhi ne khud se kaha,

“Haan komal dikhi mujhe wo, kamseen bhi hai, naazuk bhi lagi….”

Aur chehra? Muskurahat? Aankhen? Inn sab ko dekhne ka mauka hi nahin mila sahi se abhi ko, kyunke tab tak wo wapas chhup gayi thi…sirf ek jhalak dikha tha buss….. Abhi ne mann mein bassa liya ussko ussi pal…..

Uss din wahan se ghar lautne ke baad Abhi ne apni diary mein likha ke muddat baad aaj ussko apni Ruhi ki jhalak dikhi kissi mein, aur taahjub ki baat yeh thi ke ladki ka naam bhi Ruhi hi tha.

To be continued…… (2100 words)
nice update ..to ye koi dusri ladki hai jiska naam ruhi hai 😁😁..
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 5 The First Day of Work

Raat ko Abhi thik se so nahin paaya. Sirf uss ladki ko sochta raha, sapne mein ussko dekha bhi jab bhi zara si aankh lagi to. Ussko jaldi tha wahan wapas jaane ki aur wahan kaam shuru karne ki. Sochta raha kaam karega ya din bhar uss ladki ko dekhta rahega. Kia ladki ghar par rahegi har roz? Kia wo college jaati hogi? Ya kahin koyi kaam karti hogi? Yeh sab soch raha tha Abhi aur khud ko tassalli dete hue kaha ke agar kahin bhi jaati hogi subha aur shaam ko ek dusre ko dekh to payenge…. Abhi sochne laga ki wo uss se baat kar paega? Kaise baat shuru karega? Kia kahega uss se? Aur agar ladki ne baat nahin kiya to? Agar ussne Abhi ko jawaab nahin diya to? Thoda sharmilee type lagi thi uss waqt, to kia Abhi ke saamne aaegi bhi? Yeh sab sochta raha Abhi raat bhar. Apni diary mein bahot kuch likha. Diary one day page tha ussne 5 pages likh diya, matlab agle 4 din ke pages bhi bhar diye aaj ki events ko likh kar, to socha ek naya thick cover ka copy book kharidna hoga sirf inn dinon ko likhne ke liye, jab tak wo wahan kaam karega, uss copy book mein sirf wahan ke events ko likhega.

Subha mamool se bahot pehle uth gaya Abhi aur tayyaar hokar nikla kaam par jaane ke liye. Bus se safar karna tha, ghar se 40 kms ki doorie par thi wo jagah jahan Mehboob ka ghar tha. kaam karne ke liye puarane kapde ek bag mein liya hua tha, aur ek dusre bag mein kaam karne wale kuch auzaar the, aur of course khana bhi tha ek bag mein.

Subha 6.30 ko uss jagah ko reach hua abhi, Saeed bhai aur baaki ke 2 workers bhi aaye thik usske piche.

Bus stop se utar kar marammat karne wale bus tak pahunchne mein koyi 5 minat lagta tha, aur jab uss aangan mein daakhil hua abhi to usski nazar seedhe uss kitchen wale stairs par pahunche, bus par nahin. Chalte waqt bus tak reach hone ke liye abhi ki nazrein idhar udhar dekhta gaya, right mein jo ghar hai matlab jiss ghar mein wo ladki rehti hai, uss ghar ka saamne wale hisse ko ghaur se dekha abhi ne, jo pehla tap tha wahan dekha phir nazron ko uss taraf kiya jahan tap number 2 tha aur ek washing stone bhi tha uss dusre nal ke paas. Aur akhir mein uss jagah pahuncha jahan washroom tha. Aur ab wo washroom to direct uss kitchen ke opposite tha jahan kal Ruhi nazar ayi thi, uss washroom se kitchen ke andar nazar araha tha. Abhi ne ghaur se andar dekha. Koyi bhi nahin tha. Abhi ne sochna shuru kiya ke kal issi kitchen mein wo ladki paka rahi thi jiss waqt usski maa ussko awaaz de rahi thi……. Abhi ne ek vision kiya jo flashback ki tarah usske aankhon ke saamne aaye….

Ussne dekha ke ussi neeli dress mein ladki apni stove ke paas karhaayi mein kuch pakaa rahi hai aur Abhi ussko dekh rahi hai phir Abhi uss se ishaare se baat kar raha hai…..

Vision khatam hone ke baad Abhi ne socha kia aisa kabhi hoga bhi? Kia yeh mumkin hai? 4 se 6 mahinon tak yahin kaam karna hai kuch to baat aaguey badhegi zaroor….. Ek ajeeb si feeling ho raha tha abhi ko, uss kitchen ke andar dekhte hue, soch raha tha jaise usski maa pakaati hai kitchen mein weise hi ladki bhi kal paka rahi thi, ussko pakana ata hai, kia kabi kuch paka kar khilaegi Abhi ko? Wo sochne laga Abhi, usske haath ka paka hua kaisa lagega? Swadisht hoga? Abhi ussko kitchen stove ke paas dekhna chahta tha, ussko pakaate hue dekhna chahta tha, usska dil kar raha tha ke wo ladki wahan aaye aur Abhi usske paas jaakar ussko piche se jakre aur uss se pyar kare…. Aise feelings aa rahe the abhi ke dil mein kapde change karte waqt… ye sab sochte hue Abhi ne apne kapde badle, kaam karne wala purana kapda pehna aur baaki ke logon ne bhi wohi kiya aur sab bus ke paas ekatha hue. Saeed bhai ne Abhi se pucha,

“kaise start karna hai?!”

Abhi ne kaha,

“sabse pehle Mehboob bhai se kaho, ek lamba hose chahiye bus ko dhona hai pehle tab todna hai, saare sade hue tin, loha, shisha, andar ke tute hue seats sab nikaalna hai, bus ko sirf chasis mein dikhna hai ab….”

Wohi kiya gaya…. Oonchi awaaz mein sab baat kar rahe the, ke yeh karo, wahan paani dalo, aisa karo, veisa karo, yahan mat aao, wahan jao etc….

Abhi baar baar uss ghar ke taraf dekhe jaa raha tha kaam karte hue, soch raha tha kia wo abhi tak so rahi hogi? Ussko dekhne ka bada mann tha abhi ko, magar wo bilkool nazar nahin arahi thi. Kia wo kaam par chali gayi hogi? Kia college gayi hogi? Ya university ki student hogi? Usski maa kayi baar nazar aayi. Mehboob bhi kayi baar aaye, sabse baat kiye, Mehboob ki biwi, Rahima bhi aayi, chai dene aayi sabko phir wapas chali bhi gayi magar wo ladki nahin dikhi thi Abhi ko din ke barah bajne ko tha. Bus ko nanga kar diya gaya tha, sirf bus ki chasis nazar arahe the apne 6 wheels par.

Lunch time aya to Abhi gaya apne bag se khana lene ke liye washroom ke paas bag taanga hua tha jiss mein usske khaane ke chizein the; wahan jaate waqt bhi Abhi uss kitchen mein jhaanka aur ladki ki maa nazar aayi bartan maanjte hue sink ke paas, to jhat se abhi ne nazar hatta liya…. Bus ke andar baith kar sab khaane chale. Khaate waqt bhi Abhi baar baar uss ghar ek taraf dekh raha tha…. aur achanak ussne uss ladki ko Mehboob ke ghar se nikal kar apni kitchen ke taraf jaate hue dekha, aaj ek laal dress mein thi, baal khule hue the, ek nazar ussne bus ke taraf dekha aur apni kitchen mein chali gayi…. Abhi ne khud ko kossa ke kyun ussne ladki ko uss waqt nahin dekha jiss waqt wo apni kitchen se nikal kar Mehboob ke ghar Rahima se milne gayi thi… pata nahin kitne time se wo Mehboob ki biwi se baat kar rahi thi aur Abhi ko kuch pata hi nahin chala…..

Khaane ke baad sab main road par gaye tehelte hue cigarette kharidne. 45 mins ka lunch break liye the sabne. Yeh normal tha kahin bhi kaam karte to 45 mins lete the sab.

Jab cigarette pite hue wapas daakhil hue uss aangan mein to Abhi ne laal dress wali ladki ko ussi kitchen ki stairs par dekha jahan kal usski maa khadi thi. Magar main road se jiss jagah par wo khadi thi kaafi door tha to Abhi ko wo door dikhi aur Abhi chahta tha ke jab wo bus ke paas aaye to wo wahin khadi rahe taake ussko paas se dekh sake, magar jaise jaise weh log bus ke karib hote gaye ladki wapas apne kitchen mein chali gayi. Abhi shuru mein bahot khush hua ussko wahan khadi dekh kar, wo bus ko hi dekh rahi thi, aur ek baar raaste par dekha Abhi ke taraf, magar jab a
Abhi usski cousin ke ghar ke paas reach hua to Ruhi wapas ghuss gayi. Tab Abhi udaas hogaya aur pray karta raha ke wo wapas stairs par aaye.

Kaam shuru hua, ab saare puraane tin ko nikala jaa raha tha bus se, sade hue lohe ko kata jaa raha tha, hatode aur baaki auzaar se. bahot shor ho rahe the thaak thok, thik thaak ke awaazein bahot sunaayi de rahe the aur a
Abhi ne socha kia pata ke ladki thoda sone gayi hogi to nahin so paaegi unn logon ke shor karne ki vajah se…. do pahar mein bahot saare log thoda sote hein khaane ke baad, jab a
Abhi ghar par rehta tha to yeh usski aadat thi, to ussne socha shayad wo ladki aur usski maa ke bhi weise aadat ho….

Karib 3 baje muhalle ke bahot saare log aaye dekhne Abhi aur team ko kaam karte hue, khaas kar school ke bache log. Unn mein se ek ladka Ruii ka chota bhai tha jo 10th mein tha. wo to abhi ke bilkool paas aake khada ho gaya aur baat karne laga. Abhi ne pucha ke kaun hai kidhar rehta hai kia karta hai vaghaira aur jab ladke ne kaha ke wahin rehta hai to Abhi ko pata chala ke uss ladki ka chota bhai hai. Usska naam pucha tab ahbi ko Khushi hui kyunke ussko pata chala ke yeh Ruhi bhi hindu hi hai kyunke bhai ka naam Mahesh tha. phir Abhi ne pucha ke Mehboob ko chacha kehte hein sab to ussne socha ke Mehboob usske pita ka bhai hai to Mahesh ne kaha,

“hum Mehboob chacha ko ‘chacha’ iss liye bulaate hein kyunke mummy ne kaha ussko weisa bulaane ke liye”

Aur ek baar Ruhi stair par aayi Mahesh ko bulaane ke liye aur yun kaha bus ke taraf Mahesh ko dekhte hue,

“hey Mahesh chai nahin piyega kia? Main ne serve kar diya aakar pile mujhe sab saaf karna hai jaldi aah nah!”

Jiss waqt Ruhi wo sab keh rahi thi Abhi usski chehre mein dekh raha tha, aur Ruhi ne Mahesh ko dekhte hue wo sab kaha tha magar ek do baar usski nazrein Abhi par bhi gayi…. Abhi ne bahot achi tarah se usski nazron ko follow kiya tha.

Abhi ko behad passand aya usska uss tarah se usske taraf dekhna. Usski nazron mein ek komalta dikha Abhi ko, usski awaaz kitni mithi thi, usski muskurahat jaan lewa laga Abhi ko, usski awaaz aur ziada sunne ko mann kiya Abhi ko to ussne Mahesh se kaha,

“chai pine ke baad wapas ana thoda baatein karenge.”

Mahesh ne kaha,

“haan wapas ata hoon, mujhe dekhna hai tum log kaise issko bus banaate ho!”

Shaam ko 4 baje to aur kuch log aagaye aangan mein. Log bhade hue the uss jagah. Kabhi kissi ne bus ko bante hue nahin dekha tha, magar abhi to bus ko ujara jaa raha tha, nanga kiya jaa raha tha…. aas paas ke log jo apne apne kaam se wapas agaye the chale aaye the Mehboob ke bus ko dekhne ke liye… aur tab tak bus ko almost nanga kiya jaa chuka tha…. jab bus aya tha to kuch aisa dikh raha tha aangan mein kal



Jangal mein tha to aisa tha

OLd-bus2.jpg


Aur ab sab tor phor ke baad shaam ko 4 baje bus sirf chasis par tha aur yeh dikh raha tha

bus-chasis.jpg

Ab iss par frame banaya jaega din ba din kaam hoga bus ki frame weld karne ke baad alliminium sheets rivets se chipana hoga, sheets ko measurement se kaatna padega etc….

Shaam ke karib paanch baje jab washroom jaana tha sabko to ek baar aur Ruhi ki maa stairs par dikhi aur usski awaaz yun aayi,

“Ruhi aa dekh nah bus kaise bilkool khali ho gayi hai…”

Abhi ne socha ussko ab jaldi se washroom jaana chahiye aur udhar se wo Ruhi ko kitchen mein dekh paega. To jaldi se wo nikla….. usske kapde bilkool maile ho gaye the, chehre par bhi jagah jagah par gandh lage hue the, khud ko wash karna tha wo nahin chahta tha ke Ruhi ussko weisa dekhe…..

Abhi weise handsome ladka tha, gora rang, 6.2 feet/1m85 ooncha, kayi log ussko ‘lambu’ bhi bulaate the; usska ek strong personality tha, jaldi se log usske dost ban jaate the aur wo ek centre of attraction tha khud mein hi, log usske taraf nazar karte hi the kissi tarah se bhi, usski oochaayi ki vajah se kuch log ussko dekhte the to kuch log usski personality ki vajah se, to baat yeh hui ke Ruhi ki maa Abhi ko hi dekh rahi thi jab wo washroom ke taraf jaane lage to aur iss se pehle ke wo washroom pahunchta khud Ruhi ki maa ne Abhi se kuch kaha…. Kuch log jawaan 22 saal ke ladke se baat karna passand karte hein, kabhi tang khinchaayi karte hein to kabhi umar wale log jawaan logon se buss baat iss liye karte hein ke dekhein wo jawaan kitna kaabil hai….. aur kuch log khud ko jawaanon se dosti karne ke liye baatein karte hein, aur kuch log to jawaanon se akarshit hokar hi baat karte hein….

Abhi ko rukna pada ussko jawaab dene ke liye aur kitchen ke andar se Ruhi Abhi ke chehre mein ek muskaan se dekh rahi thi ke usski maa uss se baat kar rahi hai….

Abhi to khud ko saaf suthra karke Ruhi ke saamne pesh hona chahta tha magar usski maa ne Abhi ko ussi haalat mein rok liya to Abhi ko acha nahin laga magar kaise mana karta uss aurat ne baat kiya to jawaab to dena tha iss liye majbooran ussko rukna pada aur Ruhi ki maa ne muskuraate hue pucha tha,

“kitne dinon mein bus ban jaega?!”

Abhi ne bhi muskuraate hue jawaab diya magar Ruhi ko dekhte hue usski maa ko nahin,

“bahot bada kaam hai yeh, shuruwaat se sab kuch karna padega wo bhi haath se, koyi bhi garage wala machine nahin hai to ziada din lagenge!”

Andar se Ruhi muskuraate hue Abhi ko dekh rahi thi, usski haath mein ek plate tha jissko wo kitchen ki table par rakhne jaa rahi thi magar Abhi ko ruk kar sunne lagi thi, aur abhi ne note kiya ke uss waqt Ruhi ke baal khule hue nahin the, balke bandhe the, kuch iss tarah se ke usski kaandhe par koyi dekhe to lagta tha ke usski baal kaandhe tak katte hue hein, behad khubsurat dikh rahi thi, shayad thoda makeup kiya hua tha ya cream powder lagaayi thi uss waqt Ruhi ne….. Abhi ne socha ke khud kitna ganda dikh raha hai, maile kapde, maila chehra, baal bikhre hue, aur Ruhi ek princess dikh rahi thi…. Abhi ko jaldi tha washroom jaane ki, to ussne kaha,

“Wait main wash karke wapas aata hoon aur aap ko samjhaunga ke kitne kaam hai.

Aur wo chala gaya khud ko saaf karne magar wahan Saeed aur baaki ke do log uss se pehle wash kar rahe the to Abhi ko wait karna pada tab tak wo kitchen mein dekhta raha, aur Ruhi bhi baar baar usske taraf dekh rahi thi apne kitchen ke kaam karte hue…..

To be continued….. (2600 words)
nice update ...
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 6 Second Day at Work
Aur wo chala gaya khud ko saaf karne magar wahan Saeed aur baaki ke do log uss se pehle wash kar rahe the to Abhi ko wait karna pada tab tak wo kitchen mein dekhta raha, aur Ruhi bhi baar baar usske taraf dekh rahi thi apne kitchen ke kaam karte hue…..

Ab aaguey…

Abhi ne aine mein apne chehre ko dekha aur khud ko sharam aya usse, usske donon taraf gaal par kaale dhabbe lage hue the, baal bikhre hue the, chehra dhoop mein jhulass gaya tha, gore rang par jaise ek brown colour chipak gaya tha; khud ko dekhte hue abhi ne thoda ghussa kiya ke kyun wo ruka uss aurat se baat karne ko aur kissi ne bhi ussko nahin bataya ke usske chehre par kia laga hua hai, sochne laga ke kia issi liye Ruhi ussko dekh kar muskura rahi thi? Abhi ne khud se kaha,

“kia sochegi mere baare mein? Yehi nah ke main ganda hoon, I am a dirty brat?! Sala log ek ladki ko dekhne jaate hein to smart, handsome ban kar, naha dhokar saaf suthra kapde pehen kar, naye joote, best shirt, khud ko presentable karke ladki ke saamne jaate hein aur main iss tarah se ganda dikh raha hoon kaun passand karega mujhe iss haal mein dhat!!”

Abhi ko sharam feel ho raha tha aur kitchen ke taraf dekhna bandh kar diya apna turn wait kiya khud ko fresh karne ke liye; magar usska dil nahin maan raha tha ke wo Ruhi ko kitchen mein nah dekhe, usska mann tha ke wo ussko dekhe pakaate hue, ussko admire kare, to Abhi ne apne doston ke peeth piche chhup chhup kar Ruhi ko dekhna jaari rakha….. ussne ek baar dekha ke Ruhi ki maa ussko kuch keh rahi thi aur Ruhi zor se hanssi aur usske taraf dekha, wo khilkhila kar hanssi thi, Abhi usski uss hanssi par fida ho gaya, ussko Ruhi ko aur weise hansste hue dekhne ko mann kar raha tha…. hanssne ke baad Ruhi chulhe par ek dish mein mein ek ladki wale spoon se kuch chala rahi thi, matlab mix kar rahi thi, tarkaari paka rahi hogi Abhi ne socha.. aur weise hanssne ke baad Ruhi ke chehre par ek Muskaan baaki tha aur ussne apne niche wale honth ko daanton mein dabaate hue apni maa ke taraf dekha aur ussko kuch kaha, phir ek haath se Ruhi apne chehre se ek latt ko apne sar ke upar kiya tab weise hi ek honth ko daant mein dabaaye hue hi Abhi ke tarraf phir se dekha aur donon ke nazrein mile…. Abhi ke chehre par ek Muskaan ban gaya tha apne aap Ruhi ko admire karte hue.

Ab kyunke ussne dekha ke Ruhi ne usske chehre mein dekha to ab Abhi ne socha ke ‘Ruhi kahin yeh nah samjhe ke main uss se muskura raha hoon, main to usski adaaon par muskura raha hoon….’ Aur abhi ne nazron ko ek taraf kar liya.

Phir Abhi ne khud ko wash kiya aur kapde change kiye. Ab wo apne unn kapdon mein tha jiss se subha bus mein aya tha. jiss kapde se kaam kiya tha ussko wapas ghar lejaane ko pack kiya kyunke wo maile ho gaye the kuch ziada hi. Weise ek hafte tak ek kaam karne wala kapda pehenta hai magar aaj ki baat kuch aur thi kyunke gande bus ko saaf kiya tha to khud maile ho gaye the iss liye kapde ko wapas lejaana pada….

Jitna time Abhi ne liya khud ko dhone, saaf karne ke liye tab tak Saeed tayaar ho gaya tha aur ab Ruhi ki maa uss se baat kar rahi thi. Matlab jo jawaab Abhi ko dena tha wo jawaab Saeed de raha tha Ruhi ki maa ko aur Abhi ne dekha ke Ruhi ab stairs par khadi Saeed ki baton ko sun rahi thi apne maa ke saath.

Aur jiss waqt Abhi apne baalon mein kanghi kar raha tha khud ko aine mein dekhte hue ussne dekha ke Ruhi ki nazrein uss par the. Ruhi Abhi ko baal banaate hue dekh rahi thi thoda muskuraate hue. Aur donon ke beech ziada faasla bhi nahin tha, aamne saamne the donon, yeh pehli bar tha ke Abhi Ruhi ko itne karib se dekh raha tha. Bahot hi acha feel hua Abhi ko. Usska dil machalne laga, bahot khush tha wo. Ussne ekaat baar Ruhi ko dekha weise hi muskuraate hue, aur iss baar Ruhi hanss padi Abhi ko dekhte hue, pata nahin kyun ussko hanssee aayi. Abhi ne dobara aine mein dekha Ruhi ko hansste hue dekh kar ke kahin usske chehre mein kuch aur to nahin laga hua hai, sab saaf tha to kyun hanssi wo Abhi ne socha!

Ek blue Jean aur ek white Tshirt mein dressed tha Abhi aur ab ek handsome young man dikh raha tha. ussne khud ko kayi baar aine mein dekha, chehre par haath ferra kayi baar aur Ruhi ki nazrein uss par tikke rahe muskuraate hue. Ruhi ab Saeed ko nahin sirf Abhi ko dekh rahi thi; aur jab Abhi tayaar hua wahan se nikalne ke liye to Mehboob nikla ghar se aur Saeed ke paas khade hokar baat karne laga…. Tab tak Abhi chalte hue Saeed tak reach hua apne bag ko kaandhe par taange hue, aur ek nazar Ruhi par kiye hue. Ruhi ki nazar Abhi par hi thi jab wo ruka, Mehboob se handshake kiya, aur Saeed se wapas chalne ko kaha. Baaki ke do workers chale gaye the tab tak. Saeed ke paas ek aur ladka koyi 27 ya 28 saal ka baat kar raha tha magar usske haath mein ek camera tha jiss se wo bus ki photos le raha tha, kal jab bus aya tha tab bhi ussne kuch photos liye the. Abhi soch raha tha ke wo kaun hoga, shayad Mehboob ka koyi rishtedar hoga ussne socha. Aur ek budha aadmi bhi tha Mehboob ke paas lagbhag 70 saal ka budha jissko Ruhi ne dada kehkar phukara aur ussko kuch dene lagi, tab Abhi ko pata chala ke wo r
Ruhi ki dada ji hai kyunke kal Abhi ne uss budhe ko Ruhi ke ghar ke saamne baraamde mein dekha tha. to jaane se pehle Abhi ne sabse handshake kiye, aur uss budhe se bhi, aur budhe ne abhi se pucha,

“kidhar ka bashinda ho beta? Door jaana hai kia?”

Abhi ne ussko jawaab diya ke koyi 30 kms tak jaana hai aur apne muhalle ka naam bataya dada ji ko. Uss waqt Ruhi dhyaan se muskuraate hue abhi ko dekh rahi thi usske dada ji se baat karte hue. Abhi ko acha laga ke Ruhi kitni der se ussko weise dekh rahi thi.

Aur aakhir mein Abhi ne wapas jaane ki kadam uthaye aur ek nazar Ruhi ke taraf dekha aur ussko bye wave kiya, saath saath usski maa se kaha, “bye aunty, kal milte hein!”

Ruhi ne hanss diye Abhi ko weisa kehte sunkar aur wo ladka jo bus ki chasis ka photos le raha tha wo bhi hanssa Ruhi aur usski maa ke taraf dekhte hue….. Abhi ne to Ruhi ko wave kiya magar Ruhi ne uss se wave ke badle sirf laugh kiye.

Bus mein wapas lautte waqt Abhi ne Saeed se pucha,

“Wo ladka kaun tha jo photos le raha tha bus ki?”

Saeed ne jawaab mein kaha,

“wo uss aurat ka bada beta hai jissko tu taad raha tha kal!”

Abhi heyraan hua aur kaha,

“What? Main kahan taad raha tha uss aurat ko? Aaj wo khud mujhse puch rahi thi ke kab tak bus ka kaam pura hoga!”

Saeed ne tab kaha wo joke kar raha hai,

Abhi ab sochne laga ke Ruhi ka itna bada aur ek bhai hai matlab Ruhi ka bada bhai! Shayad issi liye wo bhi hanssa tha jab Abhi ne usski maa ko bye kaha tha, Abhi ne socha….. aur wo din bhar nazar nahin aaye kyunke wo kahin kaam par gaya hua hoga din bhar iss liye sirf shaam ko nazar aya.

Ghar pahunchne se pehle Abhi ne dukaan se ek mota sa thick cover wala copy book kharida 400 pages wala.

Aur ghar jaate hi baith gaya uss mein likhne. Pehle usski cover par title likha – “The Days I Spent At Ruhi’s Place”

Pages ko number karna shuru kiya, phir jo kal 5 pages ka likha tha apne dairy mein wahan se sab copy kiya uss nayi copy book mein, aur aaj ki din bhar ka event likha Abhi ne. Sab kuch likha. Kiss tarah se Ruhi ussko dekh rahi thi, kiss tarah muskura rahi thi, kiss tarah kitchen mein pakka rahi thi etc . Apne feelings ko likha, ussko kitna acha lagta hai wahan jaana, wahin rehne ko mann karta hai yeh sab kuch likha Abhi ne. Aur yeh lines likh kar aaj ka likhna end kiya;

“I wish I would be living in that village of hers. Thus, I could go there any time and look at her. What could she be doing at this time? Had she already had dinner? Must she be watching TV with her family? How nice it would have been if I suddenly reach there at this time and she gets surprised to see me! Would her mother ask me to get inside and watch TV with them? Would I get a seat close to Ruhi and we both hold each other’s hands and watch TV?”

Ek sapna likh raha tha Abhi, ussko iss sapne ko sach karna tha.

*********************************************************************************

Agle subha aur bhi ziada savere uth gaya Abhi. Usske dilo dimaagh mein sirf Ruhi bassa hua tha. Toilet kiya, brush kiya, aur brush karte waqt soch raha tha kia Ruhi uth gayi hogi iss waqt? Subha ke 5 baja tha. ya abhi neendh mein hogi? Aur agar neendh mein hogi to mujhko sapne mein dekh rahi hogi kyunke main ussko yaad kar raha hoon…. Abhi ne baal mein kanghi chalaate hue yaad kiya kiss tarah kal Ruhi ussko dekh rahi thi jab wo kanghi kar raha tha apne baal mein shaam ko, aur socha ke ab shaayad har roz weisa mauka milega ussko kyunke ussi time ko har roz kaam end karna aur wash karne jana hai aur ussi waqt Ruhi kitchen mein cook kar rahi hoti hai, yeh soch kar Abhi ko Khushi hui, dil ko ek sukoon mila.

Abhi ne shave bhi kiya, weise to har do din baad shave karta tha, magar kyunke ab Ruhi ka saamna karna tha ussne shave kiya aur soch liya ke jab tak Mehboob ki bus mein kaam karega har roz shave karega…. Wo chahta tha ke wo Ruhi ko handsome dikhe. Handsome to tha hi Abhi ziada hi hansdsome tha, magar unn dinon clean shaven hona hota tha, jiss ne teen din se ziada shave nahin kiya ussko ganda kaha jata tha…


Ab kaam ke usske saare puraane kapde hote the, magar ussne yeh bhi decide kiya ke ab purane wale kapde nahin pehnega wahan jab tak kaam karega. Ek dark jean aur ek dark blue wala shirt liya kaam karne ke liye. Weise to takriban saal bhar ek set kapda use karta tha, aur 4/5 saal purana kapda use karta tha kaam karne ke liye, magar Ruhi ke liye sab special karna chahta tha. To behtareen kapda liya kaam karne ke liye, wo libaas jo ab tak almost naya tha ussko ek saal tak pehen sakta tha ussne ussko kaam karne ke liye le liya.

Aur aaj subha 6.30 ko abhi reach ho gaya uss muhalle mein. Shop se cigarrte kharida aur kasht maarte hue uss aangan mein dakhil hua, aur Ruhi ke ghar ke taraf dekhte hue aaguey badhta gaya ke achanak ussko garden mein koyi dikha…. Garden right hand side mein hai, plan mein dekh lena update 4 par…. Abhi ne bilkool bhi nahin socha tha ke itne savere wo Ruhi ka saamna karega….. Ruhi night gown mein thi aur garden se gulaab ke phool pick kar rahi thi… usski haath mein ek kainchi thi jiss se wo phool kaat rahi thi, usski left hand mein koyi 4 ya 5 gulaab already the aur wo aur kaat rahi thi, usski nightgown pale blue color ki thi, lambi thi usski pura jism dhaka hua tha niche tak, yahan tak ke usski chappal par uss dress ki last end chhuh rahe the…..

Ab samajh mein nahin aya ke Ruhi Abhi ko dekh kar darr gayi, sharma gayi ya bilkool expect nahin kiya tha ke itne savere koyi ghair usski aangan mein achanak prakat ho jaega, aur usska chehra bilkool badal gaya, sirf ek teerchi nazar se ek baar dekha Abhi ko ek pal ke liye aur turant chehra ek taraf kar liya Ruhi ne, jab tak abhi usske level reach hua, to abhi ne usske taraf dekhte hue kaha,

“Hello, good morning, how are you?!”

Ruhi ne ek shabd bhi nahin kaha. Wo gulaab ke phoolon ko dekhti rahi, Abhi reply expect kar raha tha, magar ruk to nahin sakta tha ussko aaguey badhna tha washroom ke taraf change karne ke liye, agar ruk kar Ruhi se savere savere baat karta to sahi nahin hota Abhi ne socha, kyunke abhi usski jaan pehchaan bhi nahin hui hai uss se, iss liye Abhi aaguey badhta gaya mudhkar Ruhi ke traraf dekhte hue, aur dhire dhire kehta gaya,

“bahot khubsurat gulaab hein, shabnami katrein nazar arahe hein gulaabon ke upar, photos lenge to behad khubsurat lagenge….”

Khuda jaane ke Ruhi ne Abhi ke unn baton ko suna bhi ya nahin, Abhi badhta gaya washroom ke taraf weisa kehte hue…

Abhi washroom mein apne working clothes pehente hue sochne laga ke kal shaam wali Ruhi aur aaj ki garden wali Ruhi mein kitna antar hai. Kal shaam wali Ruhi kitni khil kar dekh rahi thai Abhi ko, ussko bye bhi kiya tha Abhi ne wave karte hue aur wo hanssi thi, aur aaj bilkool alag thi wohi Ruhi….. ek good morning ka jawaab bhi nahin diya savere savere….. Abhi ne khud se kaha,

“Sala ek good morning ka reply karne mein kia jata hai? Mera din ban jata aaj agar ussne mujhe good morning keh diya hota to, din mazedaar guzarta aaj mera… magar ab to mood hi kharab ho gaya savere savere yaar, main kyun aaj itni savere agaya yahan…. Kaash wo ab kitchen mein ajaaye to main dobara ussko good morning karunga aur kahunga ke good morning ka jawaab dete hein khamosh nahin rehte….!”

Washroom se kapde change karne ke baad garden ke taraf jhanka Abhi ne aur dekha ke Ruhi ne phool tod liye aur ghar wapas chali gayi thi saamne wale darwaze se ghar ke andar gayi, kitchen ke taraf nahin aayi… ab ghar ke andar se zaroor kitchen mein aegi to abhi wahin wait karta raha kuch der tak… kitchen ka door open tha magar kitchen mein koyi bhi nahin dikh raha tha…. usski maa bhi nahin thi….

Abhi sochne laga – “kia Ruhi ne hi chai banaaye honge ya usski maa ne? kia Ruhi sabse pehle uthti hai, aur kitchen mein aati hai? Kitchen saaf suthra dikh raha tha…..”

Tab tak Rahima apni kitchen se Abhi ko hello karti hai puchte hue ke itne savere chale aaye….. Rahima ek 30 se 33 saal ki bahot khubsurat aurat thi. Usski ek unique beti thi Farzina naam se jo primary school jaati thi…. Abhi ne ek do baat kiye usske saath Ruhi ke kitchen ke taraf dekhte hue….

Abhi phir sapnon ki dunya mein kho gaya. Ussne kuch aisa socha ke kaash Ruhi kitchen mein aaye aur Abhi se puche ke ussne chai pee liya, aur ek cup chai serve kare abhi ko apne haath se…

Abhi ne itna socha hi tha ke Ruhi ne to nahin magar Rahima ne ek cup chai diya abhi ko, garma garam chai jo abhi abhi banaya tha ussne.

Chai peete hue Abhi Ruhi ke kitchen ke taraf dekhta gaya Ruhi ko sochte hue, aur usski bagiche mein bartaav ko sochte hue…. Abhi ko kuch acha nahin lag raha tha, usska din aaj bahot bura guzrega ussko lagne laga tha….

“kyun Ruhi ne mujhko jawaab nahin diya? Kyun ek taraf dekha ussne? Kal to sab thik tha aaj kia ho gaya? Kia aaj din mein mujhse muskuraegi? Mujhko dekhegi bhi ya nahin? Kyu eisa behave kiya ussne mere saath savere savere? Main kia samjhun? Kia ussne mujhe suna nahin hoga? Aisa keise ho sakta hai, sab khamosh the, fiza thandi, ek awaaz bhi nahin kahin, keise meri awaaz nahin suni hogi IMPOSSIBLE….. achi tarah se suni ussne mere waaz ko magar jaan bujh kar jawaab nahin diya ussne…. Kia main ajnabee hoon? Kia kal humne baat nahin kiye? Usski maa se, usske bhai se, dada ji se, sabse baat to kar liye to ajnabee kaise hua main?!!”

Abhi ko kuch bhi acha nahin feel ho raha tha… usska dil jaise baitha jaa raha tha, himmat nahin ho rahi thi usse aaj kaam karne ki…. Weakness feel karne laga sirf Ruhi ki berukhi ki vajah se….

Kuch der baad wo bus ke paas gaya ek aur cigarrete jala kar, chasis ke charon taraf ghuma aur soch raha tha kahan se shuru karen frame banane ko, tabhi Saeed aur do dusre mulazin haazir hue…..

Abhi ko pata tha, balke laga aaj ka din lamba aur bhaari guzrega…. Welding karna hai aaj din bhar, bus ki chasis par frame weld karna hai…. Tabhi kitchen ke stair par Ruhi aur usski maa nazar aaye. Ruhi ab nightgown mein nahin thi, ussne ek white blouse aur dark skirt pehni hui thi…. Phir turant Ruhi apne ghar ke saamne wale hise par aayi tap one ke paas wahan jharu lagaane aayi, kal bhi wohi kiya tha, ek chota sa baramde par jharu lagaa rahi thi aur Abhi ke bus do kadam ki doorie par thi, jhuk kar jharu lagaa rahi thi aur Abhi ki nazrein uss se hatt hi nahin rahe the…. Ruhi ko pata tha ke Abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,

“cigarette pina achi baat nahin hai ji!”

To be continued…………. (3103 words)
nice update ...
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 7 And It Continued….


Ruhi ko pata tha ke abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,

“cigarette pina achi baat nahin hai ji!”


Ab aaguey….

Abhi ne to abhi abhi socha ke din bura guzrega magar sab ulta ho raha tha ussko kitni Khushi hui Ruhi ki uss baat ko sunkar wo bayaan nahin kar sakta….. Abhi ke samajh mein nahin aya ke kia jawaab dein Ruhi ko, wo Abhi ki reply ka wait kar rahi thi, jhaaru lagana bandh kar diya tha khadi thi Abhi ka jawaab paane ke liye ek Muskaan banaaye hue apne honton par…. Abhi ne usski maa ke taraf dekha aur wo Abhi ko hi dekh rahi thi muskuraate hue kyunke ussko pata tha ke Ruhi uss se baat kar rahi hai….

Tab tak Saeed ji Abhi ke paas aa gaye aur kaha,

“Abhi Welding machine ko ek current point mein to lagao, shuru karo yaar!”

To Ruhi ko laga ke wo abhi ko kaam karne ke liye disturb kar rahi hair to wapas jhaaru lagaane lagi Saeed ko dekh kar aur Abhi ne feel kiya ke Saeed bhai ne ussko disturb kiya aur ussko jawaab diya,

“Saeed bhai wo bhi main hi karun? Tony se kaho nah current point mein lagaane ko, mujhe to weld karna hai, aur tubes ko measurement par kaatna hai pehle, aap tubes ki measurement to lelo bhai!”

To Saeed bhai chala gaya Tubes ke taraf aur Abhi wapas Ruhi ko dekha aur kaha,

“sunon please, ek baat puchni hai!”

Ruhi do kadam Abhi ke taraf muskuraati hui aayi aur pucha,

“kia? Cigarrte kyun nahin pina yeh puchoge aap?”

Abhi ne hansste hue kaha,

“are nahin puchna yeh hai ke aap ko main ne kuch der pehle good morning kaha to aap ne jawaab kyun nahin diya?!”

Ruhi heyrani se abhi ke chehre mein dekhte hue pucha,

“What? Aap ne kab mujhse baat kiye, baat to main ne aap se kiya abhi abhi?!”

Abhi: “are yaar, jab tum garden se roses pick kar rahi thi aur main araha tha tab tumko good morning kaha tha nah?!”

Ruhi: “Really? Main ne to kuch nahin suna, sorry then, very good morning to you too and do have a nice day.”

Abhi bahot khush hua aur kaha,

“wow that’s great then, same to you my dear!”

Ruhi ne niche dekhte hue dhire se kaha,

“I am not your ‘dear’ aur aap to acha English bol lete ho to eisa kaam kyun karte ho aap?!”

Abhi: “Why? Iss kaam mein kia buraayi hai bhala?”

Ruhi: “meri mummy kehti hai yeh kaam sahi nahin hai kyunke iss mein future nahin hai!”

Abhi ne usski maa ke taraf dekha aur Ruhi ko jawaab diya,

“tumhari mummy ghalat kehti hai, this job is a perfect one.”

Tab tak Saeed wapas agaya aur thoda bossy hote hue Abhi se kaha,

“Abhi yeh baatein karne ka time nahin kaam karne ka waqt hai nah?!”

Saeed ki baat ko sunkar wahan se Ruhi bhaag chali!

Abhi ko acha nahin laga jiss tone mein Saeed ne Abhi ko Ruhi ke saamne weisa kaha. Magar Ruhi se batein karke Abhi bahot hi khush tha aur ab khud se kaha ke usska din ab bahot majedaar guzrega aaj to.

Abhi phir kaam par lag gaya. Kaam karte waqt of course baar baar Ruhi ke ghar ke taraf dekh raha tha. Abhi ne ek measurement tape lekar bus ki front side ka measurement liya, aur usske motabik lohe ko kaata bus ke front side ki frame weld karne ke liye. Saeed ne wohi kaam bus ki back side par kiya aur jo helper Tony tha wo Abhi ka saath raha aur ek dusra ladka tha Vinay naam se wo Saeed ka help kar raha tha.

Ab front side ke liye lohe ko curve karna tha weld karne se pehle. Yeh kaam garage mein ek bada sa machine mein hota tha, bade bade lohe ko kissi bhi form mein moda jaata tha tab bus ki chasis par weld kiya jata tha, ab yahan sab kaam haathon se karna tha to Abhi ne measure par kaate hue lohe ko ek bada sa hathode se ek dusre purane bus ki engine par rakh kar ek taraf Tony se hold karwaya aur uss lohe par hatoda maarta gaya ussko curve form dene ke liye. Uss se bahot shor ho raha tha. Koyi ek ghante tak abhi ko time hi nahin mila Ruhi ko dekhne ki magar Abhi ko pata nahin tha ke Ruhi apne ghar ke andar se khirki ke paas parde ke kone se Abhi ko wo kaam karte dekh rahi thi aur usski maa bhi dekh rahi thi Abhi ko uss lohe ko form dene ke liye kiss taraah hatoda maar raha tha. Ab wo loha Tony se sambhala nahin jaa raha tha kyun ke jab Abhi uss par hathoda maar raha tha to Tony ke haath mein shock lag raha tha iss liye kayi baar loha uss ke haath se chuth gira, aur ek baar loha jab Tony ke haath se chhuta to wo end wapas Abhi ke thik chehre ke paas laut kar ruka aur jhat se Abhi ne kuch kadam piche liya varna ussko gehra choat lag jata. Ruhi ne wo sab dekha aur usski aah nikli jiss waqt wo loha wapas Abhi ke chehre ke paas gaye to….

Kyunke jab loha bounce hokar gira ek ajeeb sa shor hua aur Tony zor se abhi ka naam chillaya ussko warn karne ke liye to Saeed, Vinay, Mehboob, Ruhi ka dada, Ruhi ki maa sab turant baahar aaye dekhne ko ke kia hua…..

Haath mein wo bada sa hatoda liye jiss action se upar chalaang laga kar Abhi kuda tha uss lohe se bachne ke liye, phir jiss jagah jaa kar Abhi land hua tha haath mein hathode sameth wo ek heroic action tha jissko Ruhi ne admire kiya. Hero lag raha tha Abhi uss action ko karte hue. Aur jahan land hua tha Abhi uss chalaang ke baad wo Ruhi ki terrace par tha, aur thik ussi jagah se ruhi Abhi ko jhaank rahi thi. Aur ussne turant khirki ki parde ko hatta kar abhi se kaha,

“Bahot dangerous hai yeh kaam, aap bahot khatarnaak tarike se abhi hurt ho sakte the, mujhko bahot darr laga jab main ne uss lohe ko aap ke sar ke taraf udh kar aate hue dekha to, mujhe laga ke aap ko lag gayi…. Aap bahot flexible body ke malik ho gymnastic karte ho kia aap? Aap wahan se kaise, jaise udhkar yahan pahunche?!”

Abhi ko bahot hi acha laga Ruhi ko wo sab kehte hue sun kar aur jawaab diya ke garage mein ek sophisticated machine hai jo lohe ko modta hai, yahan kuch nahin hai iss liye haath se karna pad raha hai varna kaam bilkool dangerous nahin hai…. Phir bhi Ruhi ki maa ne bhi join kiya Ruhi ko aur kaha ke dangerous hai yeh kaam. Tab tak Saeed aur Mehboob bhi Abhi ke paas aagaye to Saeed ne kaha ke Tony ki ghalti hai ussko kissi bhi keemat par lohe ko chorrna nahin chahiye tha. Aur Saeed ne Abhi se kaha ke wo khud tony ke jagah ab lohe ko hold karega taake Abhi uss par hathoda maar sake. Jab dobara Abhi jaane laga hatoda maarne to apni meethi awaz mein ruhi ne darte hue abhi se kaha,

“be vey careful please, I am feeling scared!”

Abhi ka dil machal gaya Ruhi ki uss caring words se. kitna khayal rakh rahi thi wo Abhi ka. Abhi ko itna acha laga ke usska dil andar jaise jhomne laga tha.

Kaam jaari rakha gaya…. Aur ek ghanta laga abhi ko bus ki front side ke tamaam lohon ko curve form dene ke liye usske baad ussne welding karna shuru kiya chasis par unn kaate hue aur mode hue tamaam lohon ko. Baar baar Ruhi ke ghar ke andar jhank bhi raha tha ke kahin Ruhi dikhegi ya nahin….

Ruhi nazar nahin aayi magar dusri nal ke paas Ruhi ki maa nazar aayi pathar par kapde dhote hue, aur pata chala ke wo kissi se baat karte hue kapde dho rahi thi to Abhi samajh gaya ke ruhi wahin hogi ghar ke piche wale hisse mein jahan se Abhi ko wo nazar nahin arahi thi…..

Abhi jo lohe tubes weld kiye jaa rahe the bus ki chasis par, wo base the frame ki. Ab uss base se upar aur tubes jode jayenge jo upar tak bus ka form lega. Wo sab karne mein ek mahina lag jaega. Abhi to kaam ki shuruwaat thi.

Der ghante beet gaye aur ek do baar Abhi ne dekha ke ghar ke piche se ek do baar Ruhi ne ussko dekha weld karte hue. Buss jhank rahi thi phir ghar ke piche ho jaati thi, same time apni maa se baat kar rahi thi….. Abhi ko pyas laga aur dekha ke nal hai to ek khali botal lekar gaya paani bharne, ussi bahane Ruhi se ek do baat kar leta, magar usska plan fail hua kyunke tap number one tha yahin bus ke paas, to kyun karib ke tap ko chorr kar piche wale tap mein paani bharne jata?! Phir bhi pani lene se pehle Ruhi ki maa se permission liya ke kia uss nal se paani le sakta hai…. Jiss waqt Ruhi ki maa Abhi ko reply kar rahi thi, Ruhi saamne aayi Abhi ko dekhne ke usski maa se kia keh raha tha wo. Muskura rahi thi aur jab abhi pani bharne laga botal mein to Ruhi ne kaha,

“pani maangte nahin hein, buss le lete hein, agli baar puchna nahin buss nal kholna aur bhar lena okay?!”

Abhi ne muskuraate hue thanks kaha, thik tabhi Ruhi ki maa ne Ruhi se kuch kaha, aur turant Ruhi ne Abhi se kaha,

“Hello? Juice piyoge? Thoda sa juice bana doon kia?!”

Yehi bat keh rahi thi Ruhi se usski maa ke kyun nah thoda sa juice de diya jaaye unn logon ko…

Magar Abhi ne Ruhi se muskuraate hue kaha,

“suno dear, juice sahi hai magar ek problem ho jaega!”

Ruhi heyrani se Abhi ko dekhte hue pucha,

“What? Juice se kia problem ho jaega bhala?”

To abhi ne kaha,

“juice piyunga to cigarrete pine ka mann karega kyunke juice sweet hoga nah? tab tum kahogi ke cigarrte pina acha nahin!”

Abhi ki reply sunkar Ruhi ki maa zor se hanss padi, aur Ruhi ne munh banaate hue kaha,

“to phir thik nahin nahin banaugi juice mat pina cigarrete phir!”

Phir bhi Ruhi ki maa ne Ruhi ko juice serve karne ke liye kaha ussko, magar haath ke ishaare se Abhi ne mana kiya.

Jab Abhi wapas kaam karne laga to Tony ne Abhi se kaha,

“tum ne kaise pata liya uss ladki ko yaar? Kitni khubsurat hai, pyari bhi hai, ek din mile aur tumne ladki pata liye wah yaar!”

Abhi ne Ruhi ke taraf dekhte hue Tony ko jawaab diya,

“abhi pataya kahan hai yaar, abhi to sirf baat cheet chal rahi hai, normal, casual baatein ho rahe hein, pataana to abhi door ki baat hai ….”

Tony ne kaha,

“are bhai saaf dikh raha hai ke wo tumko kitna passand karti hai. Pahaad par chadhne ki zaroorat nahin yeh pata karne ke liye ke ladki tumko kitna passand karti hai saath mein maa bhi hahaha, wife aur saas donon mil gaya tujhe to!”

Abhi ne khush hote hue Tony se kaha,

“tere munh mein ghee shakar yaar, kaash yeh sab sach ho jaaye! Wo mujhko bahot passand hai yaar, I am really in love with her!”

Tony ne kaha,

“yeh bhi saaf dikh raha hai ke you are in love with her, magar tumko shaayad nahin dikh raha magar mujhko dikh raha ke she is also in love with you bhai!!”

Abhi bahot hi khush hua Tony ke baton ko sun kar…. Aur phir aur bi ziada Ruhi ke taraf dekhne laga Abhi. Magar Abhi ko nahin lagta tha ke Ruhi bhi uss se pyar karne lagi hai. Ussko lagta tha ke shayad thoda aakarshit hui hai Abhi se, shayad handsome hai iss liye magar pyar karne lagi yeh nahin dikh raha tha Abhi ko. Abhi ko karna yeh tha ke ussko Ruhi ko khud se pyar karwana tha, Abhi chahta tha ke Ruhi ko bhi Abhi se weise hi pyar ho jaise Abhi ko uss se hone laga hai….

Abhi ne socha phir wo Ruhi ko apne dil ki baat bataega. Abhi Ruhi ke aur paas jaana chahta tha. Abhi to kewal do din hue the; aur Ruhi Abhi ko jaanta bhi kahan hai, donon ek dusre ko achchi tarah se jaan lenge tab Abhi baat ko cherrega aisa socha hai Abhi ne.

Tony ne kaha,

“ziada der mat karna bhai kahin koyi aur baazi nah maar le!”

Yeh sunkar Abhi ko jhatka laga. Pareshan hua wo, aur Ruhi ke chehre mein dekhne laga….. aisa fix dekha Ruhi ke chehre ko ke khud Ruhi hayraan hui aur ishaare se Ruhi ne hi pucha, “kia hua?!”

Abhi ke chehre mein ek udaasi chaah gayi thi, jo shayad Ruhi ne note kiya, Abhi lagataar ussko dekhe jaa raha tha aur Ruhi uncomfortable feel karne lagi…. Ruhi ne phir Abhi ko dekha aur haath ke ishaare se pucha kia hua to Abhi ne naah mein sar hillaya matlab kuch bhi nahin kaha….. phir Abhi ne dekha ke Ruhi ki maa taar par kapde sukhne ke liye taang rahi thi to jaldi sse Abhi bina kuch soche samjhe Ruhi ke taraf gaya…

Abhi ko apne taraf aate dekh kar Ruhi ka chehra laal ho gaya jaise ussko pata tha Abhi uss se kia kehne araha hai, Ruhi kabhi apni maa ko dekhti to kabhi bus mein dusre logon ko kaam karte dekhti phir Abhi ko dekhti… wo kuch ghabra si gayi….

Bus ke andar se Saeed bhai Abhi ko ghusse se dekh raha tha. ussko nahin passand tha ke kaam ke waqt Abhi idhar udhar jaaye…

Abhi Ruhi ke bilkool karib pahuncha aur dheemi awaaz mein, aashikana andaz mein pucha,

“Tumhari life mein koyi hai? Please sach batana? Agar hai to be jhijhak batado please.”

Ruhi hanss padi, chehra laal to hua hi tha aur Abhi ki baat sun kar wo hanssne lagi phir pucha,

“iss sawaal ka ek sawaal se jawaab doon?!”

Abhi usski hanssi ko admire karne laga, kitni khubsurat dikhti hai Ruhi hansste hue. Phir Abhi ne kaha,

“okay wohi sahi bolo to!”

Ruhi ne hansste hue hi pucha,

“yeh sawaal kyun? Jaan sakti hoon?!”

Abhi ne bilkool heyraan hote hue kaha,

“Areeee?! Kamaal hai, yeh koyi jawaab hai? Sawaal bhi nahin fit baithta ab…. Mera sawaal to sawaal hi reh gaya nah?!”

Ruhi ki maa donon ko muskuraate hue dekh rahi thi kapde taar par taangte hue.

Abhi ne phir dhire se kaha,

“please batao nah mere liye ye bahot important hai bolo nah please.”

Ruhi ne intelligently jawaab diya,

“kaise important ho sakta hai bhala? Hum ek dusre ko jaante bhi nahin, abhi do din hue ek dusre se baat kiye hue to kia important ho sakta hai do dinon mein? Mujhe nahin yakeen ke kuch bhi important hai abhi, I don’t believe you!”

Abhi ne socha wo bhi sahi tha.

Ruhi ab blush karne lagi aur apne jeeb ko apne upper lip ke andar se honth ko fullaya, phir muskuraayi Abhi ke chehre mein dekhte hue….. donon ek dusre ke aankhon ki gehraayi mein dekh rahe the… Abhi ne note kiya ke Ruhi ki nazrein usske chehre ko chaaro taraf dekh rahe the, usski peshaani ko dekha usski nazar ne, phir usske gaal ko dekha, tab usske chehre ko dekha tab usske aankhon mein wapas dekha….. aur Abhi ne kaha,

“samajhdaar ko ishara kaafi hai, mujhe jo kehna tha so main ne keh diya, aaguey tumhari marzi miss Ruhi”

Yeh keh kar Abhi mudhne wala tha wapas bus ke paas jaane ke liye magar Ruhi ne ussko yeh kehkar roka,

“bilkool nahin, aap ne kuch bhi kaha nahin, aap ne ek sawaal kiya tha mujhse, kuch kehne aur sawaal karne mein antar hote hein mister Abhi!”

Abhi ne Ruhi ke aankhon ki gehraayi mein dekhte hue kaha,

“mera sawaal hi ishara tha meri baat ka, uss sawaal se ishara mil gaya hoga, samajhdaar to ho tum, to ishara kaafi hai tumko hehehehe!”

Aur Abhi jaane laga wapas, to Ruhi hanssne lagi aur kaha,

“bahot honshiyaar samajhte ho aap apne aap ko nah Abhi?!”

Tab tak Abhi bus ke paas reach ho chuka tha aur mudhkar Ruhi se kaha,

“samajhta nahin hoon Miss Ruhi, main HOON. Honshiyaar hoon main!”

Ruhi ussko dekhti rahi kaafi der tak hansste hue. Apni jagah se baar baar Abhi muskuraate hue Ruhi ko dekhe jaa raha tha weld karte hue, aur Ruhi bhi ab bade pyar se Abhi ko dekhti jaa rahi thi…….

Kapde taar par sukhne ke liyne taangne ke baad Ruhi ki maa ne Ruhi se hansste hue pucha,

“kia keh raha tha Abhi?”

Ruhi thodi sharmaayi aur kaha,

“Puch raha tha ke kia koyi meri life mein hai kia? Hahahaha!”

Ruhi ki maa ne bus ke taraf Abhi ko dekhte hue Ruhi se kaha,

“Kaafi tez hai yeh ladka, yeh puchne agaya bus do din ki mulakaat mein? Hmmm aur tumne kia kaha usse?”

Ruhi ne balkhaate hue kaha,

“kuch nahin kaha main ne, main ne usske sawaal par sawaal se jawaab diya ke wo kyun yeh sawaal kar raha hai mujhse hihihihi!”

Maa: “Aur phir wo chala gaya kia?!”

Ruhi: “nahin bahot tez hai wo sach mein, padha likha lagta hai, English bhi acha bolta hai maa, ussne mujhe kaha ke samajhdar ko ishara kafi hai, aur kaha ke main samajhdar to hoon so samajh jaungi ke ussne ye sawaal kyun kiya mujhse, sach mein honshiyaar hai khud bhi kaha ussne hehehehe!”

Maa ne Ruhi ke chehre mein dekhte hue pucha,

“to ab tu kia karegi? Bata? Kia wo pasand hai tujhe?”

Ruhi ne ek gehri saans lete hue Abhi ke taraf dekha, phir apni maa ke chehre mein ek ajeeb si sikanjh chehre par laate hue kaha,

“pata nahin maa, pata nahin mujhe, kitna handsome hai, hai nah maa? Padha likha bhi hai aur strong hai, kitna lamba hai maa!! Main kia karun maa?!”

Maa ne bhi ek gehri saans liye aur kaha,

“Mujhe kia pata mujhse kyun puch rahi hai, tu bol kia karna hai ab?!”

Ruhi ne phir muskuraate hue apni maa ke taraf dekha aur kaha,

“Abhi kuch nahin kehna mujhe, kuch aur din beet jaane do tab bataungi aap ko aur shaayad ussko bhi….”

To be continued…. (3225 words)
nice update ..maa bhi raazi hai aisa lagta hai ..
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 8 The Next Early Morning

Ruhi ne phir muskuraate hue apni maa ke taraf dekha aur kaha,

“Abhi kuch nahin kehna mujhe, kuch aur din beet jaane do tab bataungi aap ko aur shaayad ussko bhi….”


Ab aaguey….

Wo din kuch weise hi beeta, ek dusre ko dekhte, kabhi kitchen ki stairs par Ruhi aati to kabhi ghar ke piche wale hisse par washing stone ke paas. Donon ek dusre ko dekhte, muskurate, aankhon aankhon se ishaare karte etc.

Sham hui, bahot saare log aa gaye uss aangan mein dekhne ke bus kaise ban rahe hein…. Ruhi ka bada bhai bhi agaya, usska naam tha Manoj. Matlab Ruhi ke bhaiyon ke naam the Manoj aur Mahesh, Kissi firm mein kaam karta tha baaton baaton mein Abhi ko yeh pata chala usske baare mein.

Ruhi ke dada ji bhi kayi baar Abhi se baat karne aya tha usske paas jab Abhi weld kar raha tha. Budhe ko welding ke baare mein kaafi pata tha, uss baare mein baat kar raha tha Abhi se. Aur jab jab Abhi Ruhi ke taraf dekh raha tha to dada ji Abhi ko observe kar raha tha aur andar andar muskura raha tha.

Ab shaam ko ghar wapas jaane ke time kuch ziada log ekatha ho jaate the aangan mein to Ruhi door rehti thi, saamne kum aati thi kyunke sab log notice kar lete unn donon ko. Aur Abhi yeh chahta tha ke usske jaane ke waqt Ruhi usske saamne rahe, jaane se pehle wo Ruhi ko dekhte hue wahan se nikalna chahta tha. aur hua yeh ke jab Abhi washroom gaya khudko fresh karne to Ruhi kitchen mein bhi nahin dikhi.

Manoj aas paas tha iss liye shayad Ruhi doorie barak rahi thi Abhi ne socha, magar kal shaam ko to Manoj ke haziri mein hi Abhi ne Ruhi ko goodbye wave kiya tha to aaj kyun Ruhi door thi, wo thi kahan? Abhi ko kuch bhi acha nahin lag raha tha uss waqt. Bechain ho raha tha aur pray kar raha tha ke jaane se pehle Ruhi usske ssaamne aa jaaye.

Jab Abhi tayyar ho gaya, change kar liya, hair brush kar liya aur kitchen mein dekha to sirf Ruhi ki mummy thi wahan Ruhi nahin thi, Abhi udaas ho gaya aur socha ke kitchen ke stair par ja kar uss se puche ke Ruhi kidhar hai….

Phir abhi ne socha ke kia Ruhi kahin ghar ke andar se ussko dekh to nahin rahi? Kia ussne jaan bujh kar weisa kiya taake dekh sake ke Abhi ussko dhundta hai ya nahin? To Abhi ghar ke andar dekhne laga, khidkiyon ke paas dekhne laga ke koyi pardah hille, magar kuch nahin dikha aur aakhir mein ussko nikalna pada washroom se. Saeed bhai usska wait kar raha tha bus ke paas.

Jab Abhi ne mudhkar kitchen ke stairs par dekha to koyi nahin tha aaj usski maa bhi nahin thi wahan. Abhi ne socha kal kitna haseen shaam thi aur aaj kitna alag hai kyunke Ruhi saamne nahin hai.

Jab Tap number one ke paas aya abhi to ussne Ruhi ke dada ji ko goodbye kaha aur oonchi awaaz mein kaha,

“Acha main ab chalta hoon bade miyan kal milte hein bye!”

Abhi ne jaan bujh kar oonche awaaz mein baat kiya taake andar se Ruhi ussko sunein aur ussko pata chale ke wo wapas ghar jaa raha hai.

Main road par nikalte nikalte abhi ne kayi baar mudhkar stairs par dekha magar Ruhi nahin dikhi, Abhi ne ghar ke piche wale hisse par bhi dekha jahan kapde dhote hein wahan bhi dekha magar Ruhi kahin bhi nahin dikhi aur Abhi bahot udaas nikla wahan se iss shaam ko.

Wahan se ghar jaate waqt bus mein sirf Ruhi ke baare mein sochta gaya, ussko ek ghutan si feel hone laga tha, ek bhaaripan jaisa tha usske seene par, ek bojh feel ho raha tha usse, sirf iss liye ke Ruhi nazar nahin aayi aaj shaam ko. Ruhi ko dil mein basaaye, mann mein bithaaye safar kiya Abhi ne ghar tak.

Aur apni special diary mein sab likhne laga aaj ke din ke baare mein. Khud muskuraate hue likh raha tha ke kiss tarah se aaj Ruhi se baatein hui, kiss tarah uss se puchne gaya tha ke kia usski life mein koyi hai, aur Ruhi ka jawaab bhi likha sab kuch ek ek pal ko likha Abhi ne…….

Sab kuch likhne ke baad bahot der tak sochta raha ke kyun aaj shaam ko Ruhi nazar nahin aayi, yeh baat Abhi ko bahot disturb karne laga tha.

Raat der tak neendh nahin arahe the Abhi ko. Ussko sirf Ruhi nazar arahi thi har jagah. Sote, jaagte, uthte, baithte sirf Ruhi bassa hua tha Abhi ke khayaalon mein, bade mushkil se aankh lagi aur ussko laga ke buss kuch minaton mein subha ho gayi.


*******************************************************************

Aangan mein chalte hue daakhil ho raha tha Abhi Ruhi ki yadon mein doobe, aur garden mein dekha ke kahin Wo phir se dikh nah jaaye gulaab pick karte hue. Abhi aate waqt yehi soch liya tha ke kaash aaj bhi wo garden mein dikhe to Abhi aaj ruk kar uss se baat karega aur puchega ke kahan thi kal shaam ko, kyun ussko jaate hue nahin dekha…. Magar Ruhi to aaj subha garden mein thi hi nahin… aur abhi ne khud se kaha,

“sala aisa kyun hota hai har baar? Sab ulta kyun hone lagta hai, jab bhi kuch kehna chahun, to mauka saamne ata hi nahin…”

Aur wo washroom reach hua. Ruhi ke kitchen mein dekha, khaali tha kitchen. Koyi nahin tha wahan. Subha ke 6 baje the. Kaam to 7 baje start hota hai aur 6 baje Abhi wahan pahunch gaya tha, sirf aur sirf Ruhi ke liye. Log so rahe the aur Abhi kaam ke site par aa chuka tha.

Ab Abhi ko Khushi hoti ke Ruhi ussko apne achche kapdon mein dekhti iss se pehle ke wo kaam karne wala purana kapda pehenta. Abhi subha subha fresh tha, dhoop mein jhulsa hua nahin tha, usska skin fresh tha, shave kiya tha aane se pehle, aftershave lagaya tha, thoda perfume bhi lagaya tha shirt par; ek Wrangler Blue Jeans aur ek safed shirt pehna hua tha. ek pair of khubsurat sport shoes mein tha… To chahta tha ke Ruhi ke saamne weise pesh aaye, taake wo Ruhi ko acha dikhe. Abhi yeh bhi soch kar early aya tha ke 6 se 7 baje tak pura ek ghanta hoga usske paas Ruhi se baat karne ko agar wo saamne aati to…. Magar wo dikh hi nahin rahi thi. Sab se pehla sawaal abhi ko yeh karna tha Ruhi se ke kal shaam ko wo kidhar thi, kyun saamne nahin aayi, aur aaj Abhi Ruhi se yeh request karne wala tha ke aaj se har shaam ko jab usska wapas jaane ka time aaye to Ruhi usske saamne rahe, kitchen ke stairs par present rahe taake Abhi ussko goodbye keh sake, ussko wave kar sake. Yeh kehna tha Abhi ko Ruhi se aaj. Magar wo dikhe tab nah?!

Abhi sochne laga kia Ruhi abhi tak so rahi hogi? Kia wo late uthti hogi? Phir abhi ne khud se kaha ke nahin kal to garden mein takriban issi waqt wo gulab tod rahi thi, matlab jaag jaati hai wo savere. Kia ghar ke andar se Ruhi Abhi ko dekh rahi hogi? Kia jaan bujh kar wo Abhi ko tarpa rahi thi? Yeh sab soch raha tha Abhi.

Abhi ne kapde nahin badle, socha ke 7 baje jab sab log ajayenge tab change karega. Weise hi raha. Apna bag rakha, ek cigarrete jalaya aur aangan mein ek walk karne laga. Bus ke piche wale hisse par dekhne gaya ke saeed ne kia kaam kiya hai… aur uss jagah se kapde dhone wale hisse ko dekha, to usske samajh mein aya ke kal jiss jagah par Ruhi khadi apni maa se baat kar rahi thi uss jagah se Ruhi ussko dikhta agar uss waqt Abhi bus ke piche wale hisse par kaam kar raha hota….. to Abhi ab charon taraf aangan ka moaena karne laga…. Dekhne laga ke kiss kiss jagah se kidhar behtar nazara hota hai Ruhi ke ghar, stairs, kitchen, kapde dhone wala place sab kidhar se best dikhta hai. Wo sab check kiya Abhi ne…..

Abhi ne yaad kiya ke first din ko Ruhi ek baar uss jagah se guzri thi jab apni cousin ke ghar se nikal ke apne ghar tak gayi thi, jiss din bus ko tow karke jungle se yahan laaya gaya tha. Ab Abhi ko yaad aya ke uss din ko ussne pehli baar Ruhi ko dekha tha. Uss roz Ruhi ek grey churidar mein thi aur haath mein do books liya hua tha ussne. To Abhi ko yeh bhi yaad aya ke ussne Ruhi ke haath mein ek Sydney Sheldon wala novel dekha tha uss din ko….. Aur ab Abhi samjha ke Ruhi read karti hai… khud Abhi ki taraah Ruhi ko kitabein padhna passand hai, wo apni cousin ke yahan se kitabein lene aayi thi, aur uss roz ghar ke samne wale door se andar gayi thi Ruhi haath mein kitabon ko liye.

To yeh sab yaad karte hue Abhi uss jagah par chal raha tha jahan se Ruhi guzri thi…. uss garden mein dekh raha tha jahan kal Ruhi gulaab tod rahi thi…., uss terrace ko dekh raha tha jahan Ruhi jhadu laga rahi thi, uss pathar ko dekh raha tha jahan usski maa kapde dho rahi thi…. Abhi ko uss aangan se pyar ho gaya jaise. Iss liye ke uss aangan ke har kone mein Ruhi bassi hui thi…

Abhi uss aagan ke chaaron awr dekh raha tha, ussko wo aangan sirf Ruhi ki yaad dila rahe the, Ruhi bassi hui thi wahan ke fiza mein, wahan ke hawa mein, wahan ke phoolon mein. Usski galiyon mein bhi sirf Ruhi bassi hui thi Abhi ke liye. Abhi chal kar main road par gaya. Road se seedha Ruhi ka ghar dikh raha tha, kitchen ki stairs dikh rahe the, Abhi ne socha ke yahan se bhi wo Ruhi ko dekh paega agar wo buss stair par ek baar khadi ho jaaye.. uss gali mein khada hokar Abhi Ruhi ko soch hi raha tha stair par dekhte hue ke jaise ek jaadu hua aur Ruhi nazar aayi stair par seedha main road par dekhte hue!!

Abhi ka dil zor se dhadka Ruhi ko dekh kar. Wo kal wali pale blue night gown mein thi, aur ussne Abhi ko dekh kar turant wapas andar ghuss gayi. To Abhi jaldi jaldi chal kar washroom ke taraf badha iss umeed se ke kitchen mein Ruhi ko dekh paega, wo wahin hogi kyunke uss ne abhi abhi ussko raaste par dekha….

Jab tak chalte hue Abhi washroom reach hua aur kitchen ke andar dekha to koyi bhi nahin tha. Abhi ko thoda ghussa aya. Sochne laga ke kyun chali gayi jab ussko pata hai ke main agaya hoon to?.... Phir Abhi sochne laga ke kia Ruhi sach mein stair par nikli thi ya yeh usska vehem tha? kia wo Ruhi ko itna soch raha tha ke wo usske khayaalon mein aayi thi assal mein wo Stairs par thi hi nahin? Abhi ne socha ke pyar ka aisa bhi assar ho sakta hai ke koyi yahan hai hi nahin phir bhi nazar arahi hai ussko? Wo kahin paagal to nahin hone laga tha? apna dimaaghi santulan khone to nahin laga tha Abhi pyar mei doob kar? Yehi sab soch raha tha Abhi…. 6.20 hue the, Abhi ne socha 45 mins se kum hai ab usske paas, kaash Ruhi kitchen mein aajaaye, wo pray karne laga ke God Ruhi ko kitchen mein bhej de jaldi se…..

Phir achanak Abhi ne khud se kaha,

“are agar wo meri tarah books padhti hai to wo zaroor book padh rahi hogi, matlab kal shaam ko bhi nahin dikhi thi kyunke book padh rahi hogi….”

Abhi khud ek bookworm tha, ussko achi tarah se pata tha book padhne wale ek baar agar padhne baith jaaye to uthte nahin hai, wo nah kuch sunte hai, nah kissi ki awaaz nah koyi shor sharaaba, unke concentration sirf book par hota hai…. Aur phir Abhi ne socha kitna acha pair hoga donon ka, donon ke taste same hein padhne ki latt donon ko hein wo bhi English book padhne ki latt……

6.30 hua aur Abhi himmat haar chuka tha. har ek minat ussko ek ghanta lag raha tha, har ek lamha ek ghata…… ussko yakeen ho gaya ke Ruhi read kar rahi hogi to jab tak wo book ko khatam nahin karegi wo saamne aane wali nahin hai. Wo phir bhi duaein maangta gaya khuda se ke usski Ruhi ko ek baar kitchen mein bhej dein….. aur Abhi ki Khuda se sunli….; duah qubool ho gayi; Ruhi kitchen mein aayi, uss night gown mein nahin balke ek two-piece mein, white blouse aur red skirt mein….

Ussko dekh ke Abhi ka dil achanak zor se dhadka, ek lamba saans liya Abhi ne aur dekha ke Ruhi ke haath mein ek cup tha jiss mein wo chai bhar rahi thi sar mez par jhuki hui thi, baal khule the aur weise hi jhuke hue gardan ke saath Ruhi ne ek halki Muskaan ke saath gardan ko left ki tarah mudhkar Abhi ko dekha. Abhi issi intezaar mein tha ke wo usske taraf dekhe taake wo uss se baat kar sake. Magar doorie 3 metre ke the to kaise baat karta, oonchi awaaz mein baat karna padta iss liye jiss waqt Ruhi ne usske taraf dekha to haath ke ishaare se bina awaaz ke jaise sound mute tha weise abhi ne ishaare se Good Morning kaha Ruhi ko. Ruhi muskuraayi aur weise hi honton ko “good morning” word pronounce karte hue ek khubsurat muskurahat se Ruhi ne bhi wish kiya Abhi ko, aur Ruhi wahin mez ke paas kitchen mein baith gayi chai sip karte hue. Abhi ko achcha laga ke apne kaam karne wale kapde mein change karne se pehle hi ruhi ne ussko ache kapdon mein dekha. Abhi ko pata tha ke wo handsome dikh raha tha aur chahta tha ke Ruhi par ek impression banaaye apni normal dress mein. Ruhi chai peete hue Abhi ke taraf hi dekh rahi thi.

Subha savere ka mausam tha, khamoshi chhaayi hui thi, fiza khubsurat tha, kuch parinde ki awaazein sunaayi de rahe the, ek chidya Ruhi ki kitchen ke upar baitha chun chun kar raha tha. Ziada tar log ab tak so rahe the, bahot kum log the main road par bhi iss waqt. Mehboob bhi abhi tak utha nahin tha aur nah hi Rahima dikh rahi thi halaan ke usski bhi kitchen ka darwaza khula hua tha. To Abhi ne Ruhi ke stairs par jaane ko socha. Socha ke ek do baat phusphussate hue hi kar lega usske saath. Sirf 3 metres ka faasla tey karna tha to Abhi ne kadam badhaya Ruhi ke kitchen ke taraf ussko dekhte hue…..

Jaise Ruhi ne dekha ke Abhi usske taraf aa raha hai to jhat se uth kadhi hui aur haath ke ishaare se nah mein hillaya Abhi ko… Abhi ne kadam rok liya ussko dekhte hue…. Ruhi mudhkar kitchen mein apne piche dekha, phir wapas Abhi ko dekha, to Abhi ne Ruhi ke piche dekha yeh soch kar ke koyi usske piche se ussko dekh raha hoga, iss liye wo jahan tha wahin theher gaya, magar Ruhi ko dekhta raha. Ruhi uss pal khadi ho chuki thi aur baar baar apne piche dekh rahi thi jiss se eisa lag raha tha ke ya to koyi usske taraf ghar ke andar se kitchen mein araha tha ya to koyi ussko dekh raha tha….

Abhi ko bechaini hone laga, ussko Ruhi se kehna tha ke aaj shaam ko wo idhar hi present rahe jiss waqt wo wapas ghar jaane lage. Aur tabhi Rahima apni kitchen mein aayi aur Abhi ko hello kehkar ussko ek cup chai de diya kal subha ki tarah. Rahima apni nighty mein thi. Ek pink colour ki nighty pehni hui thi ussne. Abhi ko disturb feel hua ussko uss libaas mein dekh kar aur apne nazron ko jhuka liya uss ne. Magar Rahima seedha Abhi ke chehre mein dekh rahi thi muskuraate hue. Rahima ki kitchen ka darwaza thik uss washroom mein hi khulta tha, assal mein wo ek separate garage ki tarah tha aur kapde dhone ki ek pathar bhi tha uss washroom mein, washroom naam diya magar tha wo kapde dhone ki jagah jahan sab worker kaam ke baad khud ko wash karte the… matlab Abhi thik ek kadam kitchen ke darwaze ke paas hi tha, aur Ruhi ki kitchen 3 metres ki doorie par tha…. Rahima ne Abhi se kaha,

“Tum bahot savere aajate ho har roz, kitne baje ghar se nikalte ho? aur uthte kitne baje ho hmm?”

Abhi ko uss se baat hi nahin karna tha, wo to Ruhi ko dekh raha tha; phir bhi jawaab to dena tha Rahima ko, to Abhi ne bina Rahima ko dekhe, balke Ruhi ke taraf dekhte hue Rahima ko jawaab diya. Kaha ke ussko subha ko savere uthne ki aadat hai aur yahan ka kaam bahot bada hai iss liye jaldi chala aata hai.

Ab udhar se jab Ruhi ne abhi ko baat karte dekha to ussko pata chal gaya ke Rahima ki kitchen mein iss waqt sirf wohi ho sakti hai, to Ruhi ne Abhi ke taraf dekhte hue, apne chai ko khatam karke cup ko thoda zor se mez par patka aur wahan se uth kar andar chali gayi. Abhi ko saaf samajh mein agaya ke Ruhi naraaz ho gayi kyunke wo Rahima se baat kar raha tha. Abhi ne socha are kia baat ho gayi, Rahima malkin hai bus ki, usske yahan kaam karta hoon ussne mujhse baat ki to main kaise ussko reply nah karun?

Ab Abhi ko ghussa aane laga Ruhi ki naarazgi par, aur Abhi ne apne kapde change karne ko socha ab. Tab tak Ruhi wapas aayi, aur thik jab wo kitchen mein aayi to Abhi Rahima ko cup wapas kar raha tha aur kyunke Rahima nighty mein thi usskki nangi baazu dikha Ruhi ko Abhi ke haath se cup lete hue, ussko fir ghussa aya aur wo munh banaate hue phir wapas chali gayi. Iss baar Abhi ne Ruhi ko munh banaate hue dekha aur ab Abhi ko hanssi aayi usski naraazgi par.

Aur Abhi ne change karna shuru kiya tab tak Rahima ghar ke andar chali gayi aur Ruhi phir kitchen mein aayi, Abhi ne shirt utaar diya tha, aur Ruhi ko dekha to wapas shirt ko pehna aur Ruhi ke kitchen ke taraf badha magar phir Ruhi ne haath ke ishaare se ussko wapas jaane ko kaha…. Abhi phir ruka aur ab ussne ishaare se Ruhi ko kuch kaha jo Ruhi nahin samjhi to Ruhi ne apne honthon ko “KIA?” ke form banaate hue Abhi se pucha….

Tab Abhi ne Ruhi ko stairs par aane ka ishara kiya. Ruhi ne munh fula kar nah mein sar hillaya. Abhi ne zid kiya ke ya to wo stairs par aaye ya Abhi usski kitchen ke stairs par aega. Ruhi samajh gayi aur apne piche mudhkar dekha aur Abhi ko ishaare se apne piche ungli se ishara karte hue kuch kaha jo iss baar Abhi nahin samjha. Magar itna abhi samjha ke ishaare se Ruhi shayad kehna chahti hai ke koyi hai wahan par jo ussko dekh raha ya rahi hai….

Aur tab tak Tony agaya, 6.45 ho gaye the. Saeed nahin aya tha tab tak. Ruhi ne Tony ko dekha, Tony ne ussko hello kaha aur Ruhi ne apne sar ko jhukaate hue Tony hello kiya. Phir Abhi ne weise hi ishaare se Ruhi ko piche ke nal ke paas aane ko kaha, aur Ruhi ke okay kaha. To jaldi se Abhi gaya Ruhi ke ghar ke uss hisse par jahan washing stone tha. Wahan ek khidki bhi tha, jiss par Ruhi aayi aur khidki se abhi ko dekhte hue pucha,

“ofo kia keh rahe ho aap main kuch nahin samajh rahi!”

Abhi ne direct pucha,

“Tum kal shaam ko kahan thi jab main ghar wapas jaane laga tha?”

Ruhi ne muskuraate hue pucha,

“kyun? Main kahin bhi rahun aap ko kyun bataun?!”

Abhi ke samajh mein nahin aya ke ab kia kahen, ussne yeh reply to nahin expect kiya tha Ruhi se.

To Ruhi ne khud sawaal kiya,

“Aap abhi kiss se baatein kar rahe the?”

Abhi samajh gaya ke Ruhi Rahima ki baat kar rahi thi. To jawaab diya,

“Tumko to pata hai kiss se main baat kar raha tha to kyun puch rahi ho? Mujhe batao ke tum kal kyun nahin dikhi yaar!”

Ruhi: “wo har subha tumko chai deti hai?”

Abhi: “hmm kal bhi diya tha main savere aajata hoon nah?!”

Ruhi: “hmmm kal matlab jab main gulaab tod rahi thi aur aap ne mujhe good morning kaha tha tab?!”

Abhi: “oh yeh baat hai to tumne suna tha jab main ne tumko good morning kaha tha kal aur mujhse kaha ke kuch suna hi nahin tha tumne! Bad manners for not replying a greeting!”

Ruhi hanss padi aur kaha,

“wo main ghabra gayi thi nah, aap achanak saamne dikh gaye the subha subha to meri samajh mein nahin aya ke main kia karun, main darr gayi thi aap ko achanak dekh kar issi liye meri awaaz hi nahin nikli thi aap ko jawab dene ke liye!”

Abhi ne muskuraya aur pucha,

“ab to bata do ke kal tum kidhar thi shaam ko!”

Ruhi: “kal? Meri aankh lag gayi thi jab aap jaa rahe the.”

Abhi: “shaam 5.30 ko tum so rahi thi? Main nahin maanta, tum andar se mujhko zaroor dekh rahi hogi nah? Tumne jaan bujh kar weisa kiya mujhko tadpaane ke liye hai nah bolo?!”

Ruhi ne apni kehuni ko windows ke kone par tikaate hue kaha,

“Main weisa kyun karungi bhala? Main to har shaam ko kitchen mein mummy ki help karti hoon…… wo kia hai ke main kitab padh rahi thi aur padhte padhte aankh lag gayi thi, thik aap logon ke jaane ke baad main kitchen mein gayi, tab baahar dekha to koyi bhi nahin tha aap log jaa chuke the!”

Abhi ne kaha,

“oh yeh baat hai to ek kaam karna aaj ke baad mere liye; karogi?!”

Ruhi ne muskuraate hue pucha,

“main kyun aap ke liye koyi kaam karungi?” aur hanss padi Ruhi.

Abhi ne phir bhi kaha,

“Please aaj se har shaam ko mere jaane ke waqt tum please mere saamne rehna, ya to stair par present rehna ya yahan iss khidki par rehna, main tumko har roz jaate hue dekhna chahta hoon, tumko bye wave karna chahta hoon, tumhari chehre ko dekhte hue jaana chahta hoon, itna karogi mere liye please?!”

To be continued…. (3850 words)
nice update ..ye dada bhi mann me khush ho rahe hai jab abhi ruhi ki taraf dekh raha tha ..
aur abhi ko kuch jyada hi ummeed hai ki ruhi usko jaate waqt dekhe ..
ruhi bhi aise narajgi jatati hai jaise usse pyar karti ho 🤔🤔..
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 9 Abhi Got Wounded

“Please aaj se har shaam ko mere jaane ke waqt tum please mere saamne rehna, ya to stair par present rehna ya yahan iss khidki par rehna, main tumko har roz jaate hue dekhna chahta hoon, tumko bye wave karna chahta hoon, tumhari chehre ko dekhte hue jaana chahta hoon, itna karogi mere liye please?!”

Ab aaguey….

Buss itna kaha Ruhi ko Abhi ne ke Saeed ji aate hue dikhaayi diye aur Ruhi ne kaha,

“Piche dekho, tumhara boss tumko dekh raha hai, ab jao ussko passand nahin jab tum kaam chorr kar mujhse baat karne aate ho!”

Abhi ne mudhkar dekha Saeed chalte hue washroom ke taraf badh raha tha, ussne Abhi ko ek bure nazar se dekha jaise sach mein ussko napassand tha ke wo Ruhi se baat kare aur Abhi ne ussko “hi Saeed bhai” kaha, to Saeed ne bhi “Hello” kehte hue aaguey badh gaya, usska chehra dekhne layak tha uss waqt. Aur Ruhi ne abhi se kaha,

“Dekha aap ne wo naakhush hai usske chehre se dikh raha hai!”

Abhi ne jawaab mein kaha,

“Tum usski fikar kyun kar rahi ho? Tum mera fikar karo nah. usska koyi haq nahin hai mujh par, mujhe kuch bhi karne se mana nahin kar sakta wo!”

Ruhi: “Tumhara boss hai nah, tum usske liye kaam karte ho to haq banta hai usska.”

Abhi: “Tumko kiss ne bataya ke main usske liye kaam karta hoon? Main ne uss se sirf kaam seekha hai, abhi wo mera koyi boss voss nahin hai, garage mein mera boss tha yahan nahin, samjhi kia?!”

Ruhi: “Mujhe kia pata mummy ne to kaha ke tum usske niche kaam karte ho!”

Abhi: “ofo, kia hai yaar ab tumhari mummy ko kaise yeh sab batein pata hai? Chorro inn baton ko tum yeh batao ke tumko mera naamm kaise pata chala? Tumne jab kal mujhe “Abhi” bulaya tha tabhi main puchne wala tha magar bhool gaya!”

Ruhi: “Are yeh bhi koyi puchne ki baat hai kia? Sab log itne zor zor se aapko bulaate rehte hein ke Abhi yeh karo, Abhi wo karo, Abhi kidhar ho, Abhi yahan aao, Abhi issko uthao, Abhi;Abhi; Abhi; iss aangan mein, hamare aangan mein sirf Abhi ka naam hi sunaayi deta hai aaj kal; jaise Abhi ka naam liye bina kissi ka kaam hi nahin hota uss bus mein; to kaise mujhe pata nahin chalega wo Abhi aap ho?!”

Abhi hanssne laga Ruhi ne jiss adaa se wo sab kuch kaha tha.

Aut thik tabhi Saeed ji ne kaha,

“ABHI ajao shuru karte hein yaar!”

Wo sunkar donon Abhi aur Ruhi hanns pade aur Ruhi ne zor se hansste hue kaha,

“Dekha main ne kaha nah sirf Abhi ka naam sunaayi deta hai iss aangan mein ab jao aap ka boss bula rahe hein aap ko!”

Abhi ki hanssi nahin ruk rahe the, Ruhi bhi ussko weise hansste dekh kar hanssti jaa rahi thi Abhi ke chehre mein dekhte hue aur Abhi ne Ruhi se kaha,

“I love your smile and the way you laugh.”

Aur Ruhi ne kaha;

“And I love your smile and your laughs, keep laughing always!”

Abhi ka dil garden garden ho gaya Ruhi ki baat sunkar aur kaha,

“Okay then chalta hoon shaam ko nazar aana zaroor okay?”

Ruhi ne haan mein sar hillaya aur aaj Ruhi ne Abhi ko wave kiya apni khubsurat kalaayi ko hillate hue phir kaha,

“wish you a very nice day”

Abhi jaane laga tha aur mudhkar kaha,

“Wish you the same Sweetheart!”

Sweetheart
word kehkar Abhi wahaan se tez kadmon ke raftaar se nikla, aur Ruhi ne muskuraate hue sar khidki ke baahar nikal kar kaha,

“I am NOT your Sweetheart!” aur Ruhi hanssne lagi jab dekha ke Abhi bhaag gaya…. Ruhi wahin khadi rahi khidki ke paas kuch der aur usski aankhein bhar aaye, ekaat boondh aansso ke usske gaal par tapke jissko wo ponch hi rahi thi ke dekha usske saamne Abhi ussko dekh raha hai!

Abhi khada sab dekh raha tha, Ruhi ke aankhon ka bharna, aansoowon ka tapakna aur gaal par behna sab dekha Abhi ne…. Ruhi ne iss liye nahin dekha ke Abhi wapas aya tha kyunke uss pal ko wo aasmaan mein dekhte hue kuch soch rahi thi jiss waqt usske aankhen bhar aaye the…. Abhi ko dekhte hue Ruhi ne apne gaal saaf kiye aur Abhi ne ekdum serious hokar pucha,

“Kia hua? Ari hua kia? Tum abhi to hanss rahi to rone kyu lagi ahcaanak? Kia hua kia?

Ruhi ne buss negative mein sarr hillate hue kaha,

“It’s ok kuch bhi nahin main aisi hi hoon kabhi bhi ro padti hoon, buss samajhlo ke yeh Khushi ke aansoo hein!”

Abhi ne heyraan hote hue pucha,

“kiss baat par royi tum? Last word to tum ne Khushi se mujhe kaha ke tum meri sweetheart nahin ho tab tumhare aankhen bharr aaye main ne sab dekha…. Kia sochne lagi thi tum mujhe reply karne ke baad? Kyun aasmaan mein dekh rahi thi? Batao nah kia baat hai!”

Ruhi ne Abhi ke chehre mein dekhte hue kaha,

“Meri bahot buri kismat hai, samajh lo ke main manhoos hoon, mujhko khushiyan raas nahin aati, iss liye rona agaya mujhe!”

Abhi ne kaha,

“Please aise mat rona mujhe dukh ho raha hai tumko rote dekh kar, aur yeh kitaabi baatein to mat hi karo mujhse ke buri kismat hai, manhoos ho, khushiyan raas nahin aati etc… bahot ziada novels padhti ho tum ussi ka assar hai aisi baatein !”

Saeed ji ki awaaz phir aayi,

“Are ABHI aao nah yaar kaam nahin karna kia aaj!!”

Ruhi phir hanss padi aur kaha,

“hahahaha, lo phir tumhara naam phukara jaa raha hai meri aangan mein ab jao tum ABHI SAHAB!!

Abhi ne hansste hue kaha,

“haan aise hi hansste rehna dekho kitni khubsurat dikh rahi ho hansste hue, keep laughing sweetheart, muuuuaaah!”

Tab tak iss baar sach mein Abhi jaa chuka tha aur dobara Ruhi ne sar khidki ke baahar nikal kar kaha,

“I AM NOT YOUR SWEETHEART ABHI”

Aur Ruhi badbadaayi,

“Kyun sweetheart keh rahe ho mujhe tum? Main nahin ban sakti tumhari sweetheart Abhi. Nahin ban sakti main!”

Ab aisa kyun kaha Ruhi ne? Buss jo bhi munh mein ata bol deti hai ya koyi baat thi aisa kehne ke liye? Abhi ke saamne nahin kaha usske peeth ke piche kaha, agar weisi koyi baat hai to uss se saaf kehdo nah?


***************************************************************************

Udhar Abhi aur team ne kaam start kar diye the. Abhi weld kar raha tha. Tony ussko help kar raha tha. Ab wahan ek aisa mauka aya jabke Abhi ko puraane chasis se pehle wale chipke hue lohe ko pighla kar giraana tha taake naye lohe ko us jagah par chipkaaye. Ek ghante tak weisa karte jaa raha tha. Ekaat baar ussne Ruhi ko chaaron taraf dekha magar wo dikh nahin rahi thi. Ab welding kar raha tha to welding mask hota hai nah, wo chehre ke saamne tha aur bahot concentration se kaam kar raha tha ke ussko dikha bhi nahin ke Ruhi usske bagal se guzar gayi kahin jaate hue. Usski maa bhi sath thi, Tony ne bhi nahin dekha unn donon ko jaate hue magar Saeed ne dekha.

Abhi khada, tha welding stick se ek purane chipke hue lohe ko pighla kar giraane ke liye, wo pighla hu loha niche girr rahe the, aur accidentally ek baar ek pighle hue lohe ka ball Abhi ke payr par girra, aur ussko pata hi nahin chala, aur jab pighla hua lohe se Abhi ki payr ki chamri mein jalan feel hua tab wo jaldi se apne payr par dekha, tab tak wo lohe ka pighla hua ball jo almost aag ka gola tha Abhi ke joote ke andar pighalte hue ghuss gaya Abhi ne dard ke maare haath se mask aur welding stick feinka aur chilla utha, aur jaldi se joota nikaalne ko baitha, jitna time ussne liya joota utaarne mein tab tak wo garam pighla hua loha jo aag ka gola tha usske payr ke chamri mein dhansste chala jar aha tha, Abhi chilla utha aur jab joota nikaal liya to socks mein ek hole ho chuka tha dhuan nikal raha tha aur wo pighla loha abhi ke payr ke gosht ko pighla raha tha, ek hole usske payr mein ho chuka tha tab tak Tony ne botal ka paani dala Abhi ke peyr par…. aur Abhi ne apne tang ko ek jhatka diya to wo garam Pighla hua loha ek taraf girra…..

Abhi dard se tadap raha tha, uss haalat mein bhi wo sirf Ruhi ko hi yaad kar raha tha, usske dil ki ek ichcha thi ke Ruhi uss waqt usske paas aaye aur ussko dilaasha de…. Magar Ruhi to thi hi nahin wahan aur Abhi soch raha tha wo ghar ke andar hai. Abhi ke payr par ek chedh jaisa ho gaya tha aur laal mass ka tukda dikhne laga tha….. Saeed bhai ne turant Abhi ko hospital jaane ko kaha kyunke injection lagwana bahot zaroori tha uss ghav ke liye, khoon beh rahe the aur Abhi ko uss jagah par bahot jalan feel ho rahi thi…. wo thik se chal bhi nahin paa raha tha….

To Mehboob ki wife, Rahima ne kaha,

“Dispensary hai yahin kuch door, main road par wahan lejao koyi Abhi ko, injection ho jaega.”

Abhi, Ruhi ke ghar ke andar dekh raha tha ke kyun koyi nahin araha tha ussko dekhne, ussko ajeeb laga ke aisa haadsa ho gaya aur unn logon ko kuch bhi sunaayi nahin diya ab tak?

Wahan ke logon mein se jo log shaam ko sab kuch dekhne aate hein unn mein se ek aadmi aaj kaam par nahin gaya tha shukar hai ke wo ussi waqt aangan ke andar aa raha tha, aur ussko jab sab pata chala to kaha ke wo apne car lekar turant ata hai Abhi ko dispensary lejaane ke liye.

Aur Abhi ko dispensary lejaya gaya. Marham patti kiya gaya usske payr mein. Ek injection lagaya gaya kulhe mein aur 3 injection har roz aakar lagana tha.

Ab payr mein patti bandh gayi to joota pehnna namumkin tha to aate aate Abhi ne ek pair of chappal kharid kar pehna. Aur wapas kaam par aaya. Saeed ne ussko ghar wapas jaane ko kaha rest karne ko kaha. Agar kahin aur kaam kar raha hota Abhi to turant ghar chala jaata magar yahan to Ruhi thi to wo hargiz nahin jaana chahega nah….

Wapas aane ke baad Rahima ne ussko juice diya au ek cigarette jala kar Abhi baitha aur Ruhi ke ghar ke taraf dekhne laga. Sochne laga ke kyun koyi bhi nazar nahin araha tha. Aur kuch der baad dada ji aya aur Abhi se pucha ke kaise yeh sab hua. Abhi ne socha agar dada ji ko pata chal gaya to Ruhi aur usski maa ko to pata zaroor chala hoga to kyun Ruhi ussko dekhne ko nahin aya Abhi yeh sochne laga.

Aur kaam start kiya Abhi ne baaki ke welding ko continue karte hue…. Phir lunch time hua, aur jab Abhi khana khane ja raha tha to main road se Ruhi aur usski maa ko aate hue dekha. Ruhi ne ek bahot khubsurat dress pehni hui thi aur pari jaisi dikh rahi thi. Behad khubsurat nazar arahi thi. Abhi wahin khada reh gaya ussko dekhte hue, aur apne payr ke dard ko bhool gaya. Sab log khaane chale gaye magar Abhi wait karta raha ke Ruhi usske karib aaye to wo ussko kuch to bole…. Ruhi ne jab Abhi ko khada dekha to muskuraane lagi aur sar niche jhuka liya. Wo aaguey chal rahi thi aur usski maa piche thi. Ruhi ke haath mein ek bag tha aur usski maa ke haath mein ek uss se bhi bada bag tha. kuch kharidne gaye the shayad Abhi ne socha. Aur jab Ruhi karib agayi to Abhi ne buss kaha,

“kamaal hai tum kab gayi ke mujhe pata hi nahin chala!”

Ruhi ne buss kaha,

“Aap kaam mein busy the jab main jaa rahi thi; yahin se guzri thi, khanssi bhi thi main aap ko agah karne ke liye magar aap ki welding machine shor kar rahi thi to shaayad aap ne suna hi nahin, to main kia karti?”

Tab tak usski maa ne ussko join karte hue kaha,

“ab chal bhi!”

To Ruhi ko jaana para…. Abhi ne aur kuch nahin kaha, ussne socha tha ke Ruhi ussko bina joota ke dekh kar heyraan hogi aur usske payr mein patti dekh kar sawaal karegi magar Ruhi ne kuch nahin pucha to Abhi sad hua aur khaane chala gaya.

Abhi ko Khushi hoti ke Ruhi usska care karta, aur dekhna chahta tha ke Ruhi ki expression kaisi hoti yeh jaan kar ke Abhi ko gehra choat laga hai aur injection karne gaya tha….. khair khana khaate waqt Abhi yeh expect karne laga ke ab Ruhi ke dada se Ruhi aur usski maa ko pata chal jaega to baad mein jab baat karne ka mauka milega to Ruhi zaroor puchegi Abhi se uss baare mein.

Magar uss din ko Ruhi ne ek baar bhi nahin pucha Abhi se ke usske payr mein kia hua, kayi baar shaam tak Ruhi aur Abhi ke nazrein mile, ek baar to donon aap paas the jab shaam ko Ruhi apni terasse par apni cousin sister se baat kar rahi thi, abhi wahin tha bus ke paas bilkool aamne saamne aur Ruhi baat karte waqt baar baar Abhi ko dekh rahi thi , donon ke nazrein mil rahe the magar ek baar bhi Ruhi ne nahin pucha Abhi se ke kyun payr mein patti bandhi hui hai aur choat kaise lagi. Iss se Abhi bahot disappoint hua.

Aur aya time ghar wapas jaane ka tab Ruhi stairs par aayi to, usski maa bhi wahin thi, aur jab Abhi wapas jaane laha to wave to kiya Ruhi ko, Ruhi muskura rahi thi Abhi ko dekhte hue aur halaan ke Abhi chappal mein ghar wapas jaa raha tha, shoes nahin pehna tha phir bhi Ruhi ne kuch nahin pucha aur nah usski maa ne pucha ke kyun chappal mein ghar jaa raha hai….

Abhi niraash hokar wahan se ghar wapas gaya iss din ko.

Ghar aakar apne disappointment ko likha Diary mein Abhi ne. udaas tha, phir bhi dil mein Ruhi ke liye bahot sara pyar samaya hua tha aur AbHi ne socha ke ho sakta hai ke dada ji ne bataya hi nahin ho ke Abhi ke payr jal gaye the, magar usske payr mein patti to dekhe honge Ruhi aur usski maa ne bhi to kyun donon mein se kissi ne bhi nahin pucha ke kia hua usske payr mein.

Abhi ne phir bhi ignore kiya aur Ruhi ki approach aur usski Muskaan, aur nazron ko socha ke kitni pyar se har baar wo Abhi ko dekh rahi thi aaj din bhar… wo sab yaad karte hue Abhi sone gaya; iss umeed se ke kal din behtar hoga. Kal Ruhi uss se puchegi ke usske payr mein kia hua, kal Ruhi usska ziada khayal karegi, kal Ruhi ko bahut afsos hoga yeh jaan kar ke Abhi ko choat lagi hai kaam mein, kal jab injection karwane jaega to Ruhi shayad usske sath jaegi ya ussko jaate waqt dekhegi, aur Abhi khud Ruhi ko apne saath chalne ko kahega…. Yeh sab sochte, Ruhi ko dil mein bassa kar Abhi ko neendh agayi, ussko apne payr ka dard bhi mehsoos nahin hua itna khoya hua tha Ruhi ki yaad mein.

To be continued…. (2652 words)
nice update ..shayad kuch bura hua hai ruhi ke saath 🤔🤔..
aur ye payr ko dekhkar kisine puchha nahi iska bura laga abhi ko ..
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 11 Abhi Very Happy

Sunday ko din bhar Abhi ne apne diary mein sab kuch likha usske aur Ruhi ke baare mein. Apne feelings ko likha, ussko kia feel ho raha hai, kitna pyar karta hai Ruhi se, usske baghair jee nahin paega yeh sab likha Abhi ne.

Usske ghar mein wo apni choti behen jo 18 saal ki thi uss se bahut close tha. Abhi ussko sab kuch batata tha aur apne diary padhne ko deta tha, matlab usski uss behen ko sab kuch pata tha jo beet raha tha Abhi par. Usski behen ka naam tha Naina. Aur ek uss se bhi choti behen thi Abhi ka. Baaki aur 3 bhai the usske. Naina baaki sabko Abhi ke baare mein bata deti thi siwae usske pita ke. Matlab ghar mein usske pita ke ilawa sabko pata tha ke Abhi pyar mein hai Ruhi se.

Abhi ka din Ruhi ki yaad mein guzra hamesha ki tarah aur agle din savere savere pahunch gaya Ruhi ki aangan mein aur aaj bhi Ruhi gulaab tod rahi thi uss din ki tarah.

Iss baar Abhi ruk gaya garden ke saamne Ruhi ko dekhte hue aur good morning kaha. Ruhi weise hi apni Nightgown mein hi thi. Ek muthi mein kuch gulaab ke phool liye hue the aur dusre haath se aur phool tod rahi thi.

Ruhi ne kuch sharmilee adaa se good morning reply kiya Abhi ko magar bahot hi dhire se. Abhi khada ussko dekhta raha aur Ruhi kabhi ussko dekhti to kabhi mudhkar apne piche ghar ko dekhti ke koyi ussko dekh to nahin raha andar se.

Abhi ne pucha,

“Saturday ko tum kahan gayi thi? Aur mujhko jaane se pehle bataya kyun nahin tha?”

Ruhi muskuraayi, phir hanss padi aur aur apni dheemi, meethi awaaz mein kaha,

“Batana bhool gayi thi Friday ko, uss shaam ko aap chale gaye tab mujhe yaad aya ke aap se kehna bhool gayi thi ke Saturdays ko main ek course follow karne jaati hoon sewing ki.”

Abhi ne heyraan hote hue pucha,

“sewing ki course? Kyun? Silaayi karogi aage chal kar kia?”

To Ruhi ne kaha,

”Aur kia kakrti? 12th ache se pass nahin hui, padhne ko aage mann nahin kiya, to mummy ne kaha silaayi seekh loon shaayad aage kaam ajaye!”

Abhi ne kaha,

“okay achcha bhi hai, magar kidhar gayi thi course follow karne ko? Kahin door kia?”

Ruhi ne kaha,

“West mein jo sheher hai wahan!”

Phir ruhi ne piche mudhkar dekhte hue kaha,

“Aap jao nah ab, aap kyun itne savere aajaate ho? Raat ko sote nahin ho kia? Abhi 6 baje hein kaam to 7 ko start hota hai nah?!”

Abhi ne jawaab diya,

“Neendh to tumne churra liye hein mere to kaise so paunga main? Aur ek baat batao kia tumko nahin passand ke main itne savere aajata hoon? Kumse kum sabke aane se pehle tumse kuch baatein karne ka mauka to mil jata hai, jaise abhi! Aur sach batao kia tum mujhko abhi expect nahin kar rahi thi? Kia tum abhi abhi mujhi ko nahin soch rahi thi?”

Ruhi hanss pari aur kaha,

“Aap mere khayaalon ke andar dekh sakte ho kia?

Abhi: “hmm isska matlab ke haan mere baare mein hi soch rahi thi tum hai nah? main to 24 ghante sirf tumko hi sochta rehta hoon, ghar se bus mein aate waqt tumhi rehti ho mere khayaalon mein to tumko bhi weisa hi sochna chahiye nah!”

Ruhi: “bilkool jhoot main aap ke bare mein bilkool bhi nahin soch rahi thi”

Aur ruhi hanss padi yeh keh kar, phir kaha,

“Aap jaao nah ab. Mera bada bhai yahin hai ussi ke liye flowers le rahi hoon wo photos leta hai apne camera se….”

Abhi ne tab kaha,

“Aur Saturday ko jab tum jaa rahi thi to ek nazar mujhko dekha bhi nahin nazrein bilkool niche jhuke hue the, mujhko ek nazar dekh to sakti thi nah?!”

Ruhi ne weise hi sharmilee andaaz mein gulaab ke phool ko dekhte hue jawaab diya,

“Main kaise nazar utha kar dekhti uss waqt sab ke nazar mujh par the mujhe maloom tha sab mujhi ko dekh rahe the, I felt very shy at that moment on that day! Magar main ne aap ko dekha tha jaate hue thoda sa. Mujhe pata tha ke aap bhi mujhko hi dekh rahe the.”

Abhi bahut khush hua usski answer se aur baat badalte hue kaha,

“Are haan Manoj bus ki bhi photos le raha tha, main ne dekha tha uss din! Wo professional photographer hai kia? Kaam kahan karta hai wo?”

Ruhi ne phir mudhkar ghar ke taraf dekhte hue reply kiya,

“Ussi sheher mein kaam karta hai jahan main silaayi ke liye jaati hoon, aur wo professional photographer to nahin magar usska shauk hai photos lena, ussko ek inaam mila tha ek baar kissi special photo ki ek photography contest mein!”

Abhi: “oh I See! Kia wo mujhe ek copy bus ki photos ka de sakta hai kia?”

Ruhi: “Ussi se maang lena, wo har roz bus ki photos leta hai, bus kaisa tha aur har roz kitna bus banta jaa raha hai, har roz kuch pics leta hai bus ki!”

Abhi: That’s great, wo mera madad kar raha hai ek tarah se, main zaroor uss se photos manguga last din ko.”

Ruhi: “To aap ko ussko pay karna padega photos ke liye!”

Abhi: “of course pay karunga. Kitna leta hai per photo?”

Ruhi: “pata nahin ussi se puch lena….. ab jao nah please, main nahin chahta hoon ke wo mujhse sawaal kare ke aap kia keh rahe the!”

Abhi: “Are to agar wo puche to keh dena ke main uss se bus ki photos kharidna chahta hoon nah!”

Ruhi ne phir hansste hue kaha,

“Bahot honshiyaar ho aap, turant aap ko ek bahana mil jata hai!”

Abhi: “Main to yahan sirf tumhare liye ata hoon; baaki to kaam to bahana hai sweetheart”

Ruhi: “main aap ki sweetheart nahin hoon kyun kehto aap mujhko sweetheart?!”

Abhi muskuraya aur jaane laga. To Ruhi ne kaha,

“Ruko please!”

Abhi: “kabhi jaane ko kehti ho kabhi rukne ko kia yaar!”

Ruhi ne tab hansste hue kaha,

“Mujhe kehna tha ke din mein kaam karte waqt aap baar baar mujhse baat karne mat ana khaas kar jab Mehboob chacha yahan hota hai!”

Abhi ne heyraan hote hue pucha,

“Are wo kyun? Mehboob ne kuch kaha kia?!”

Ruhi: “Haan baad mein bataungi aap ab jao!”

Abhi ne jaate hue kaha,

“Saturday ko tum Qayamat dhaa rahi thi, beauty queen lag rahi thi, itni khubsurat ho socha nahin tha, tum par to kayi mitte honge mere ilawa hai nah? jab uss sheher mein jaati ho to kitnon par Bijli giraati hogi tum hmmm?!”

Ruhi ne muskuraate hue kaha,

“mujhe kia pata? Aap jaise diwane aur honge kahin to main kia jaanun!”

Abhi: “shukar hai ke mere ilawa kissi aur ka pata nahin tumko varna mujhe takliff hoti!”

Ruhi tab thoda zor se hanss padi aur khud apne muhn par haath rakh kar piche ghar ke taraf dekha aur dhire se phussphussaate hue Abhi se kaha,

“Ab jao please baad mein milti hoon! Jab Manoj chala jaaye tab milna!”

Abhi khush hua aur chala gaya washroom ke taraf.

Washroom ke ke kone se Abhi watch karne laga Ruhi ko aur dekha ke wo terrace se hokar ghar ke saamne ke darwaze ke andar gayi tabhi Manoj ki awaaz sunaayi diya yeh kehte hue,

“are ek do katra paani daalo uss rose par nah tab click karunga”

Abhi samajh gaya ke andar Manoj unn gulaabon ki tasveerin le raha tha.

Bus 10 mins baad Manoj kitchen ke taraf se apne bag kaandhe par taange nikla aur Abhi se hello kaha aur jaane laga to Abhi ne ussko roka, aur Manoj ne muskurate hue kaha,

“Are bus miss ho jaegi shaam ko wapas aunga to baat karenge”

Magar Abhi ne kaha,

“to chalte hue baat karta hoon nah chalo tumko bus stop tak chorr ke ata hoon baat bhi kar lenge.”

Ruhi kitchen ke stairs par aa khadi hui Abhi ko usske bhai se baat karte hue sunkar. Abhi ne ussko dekha aur Ruhi Abhi se muskuraayi. Ruhi ko pata tha ke Abhi Manoj se bus ki photos ke baare mein baat karna chahta tha.

Aur jab Abhi aur Ruhi ne ek dusre se muskuraaye to Manoj ne donon ko ek dusre se muskuraate hue dekh kar hanssa.

Phir Abhi Manoj ke saath chalte hue bus stop tak gaya aur ussne Manoj se kaha ke jitney bhi photos wo bus ka lega unn sab pics ke ek copy ussko dein aur pucha ke per photo kitna lega. Manoj ne kaha 10 rupay ek photo ki. Abhi ne kaha okay aur tab manoj ne kaha ke,6 Mahinon mein 300 se ziada pics ho jayenge kia Abhi utna pay kar paega Manoj ne pucha, to Abhi ne kaha ke agar 500 pics bhi hue tab bhi pay karega. To Manoj ne kaha okay deal. Phir turant Abhi ne jeb se 500 rupay Manoj ko advance payment kar diya to Manoj ne kaha ke issi hafte mein pehla roll ko develop karega to jitney bus ki pictures hein wo Abhi ko dega.

Abhi kuch door ka soch raha tha is sliye ussko wo bus ki photos chahiye tha aur ussne Monoj se Saeed ko bataane se mana kiya ke Abhi uss se photos le raha hai. Yeh bhi kaha Abhi ne ke kabhi workers ko nahin lena photos mein, Saeed ko to bilkool bhi nahin lena, agar Abhi ko photos mein liya to koyi baat nahin…..

Yeh baad mein pata chalega ke Abhi ko kyun uss bus ke photos shuru se end tak chahiye tha. Abhi ne abhi se hi bade door ka soch rakha tha. Ek din future mein saare photos usske bade kaam aane wale the.

Abhi wapas aangan mein gaya aur Ruhi ko dhundne laga. 6.30 hua thato usske paas 30 mins tha Ruhi se baat karne ke liye. Washroom se kitchen mein dekha to koyi nahin tha, phir bus ke piche wale hisse se washing stone ke taraf dekha to wahan ke room ka khidki khuli hui dekha… ussko umeed thi ke Ruhi uss kamrre mein hogi…. Kuch himmat karke Abhi chalte hue wahan tak gaya…magar kamre ke andar dekhne ki himmat nahin hui ussko. Bahot ganda lagta kissi ke kamre mein dekhte hue ussne socha…

Ab kyunke Abhi kad ka ooncha tha to ussko sirf kamre mein dekhna tha to sab kuch dikh jata ussko, magar ussne dekha nahin iss niyat se gaya wo uss taraf ke agar Ruhi andar hogi to kum se kum Ruhi to ussko dekh paegi. Aur wohi hua, jaise Ruhi ne Abhi ko uss khidki se guzarte dekha to ussne gala saaf kiya Abhi ko jaise ek ishara kiya ke wo andar hai…. Bed par baithi, haath mein ek kitab liye Ruhi Abhi ko dekh rahi thi muskuraate hue.

Abhi ne ussko dekha, uss kamre a moaena kiya, aur pucha,

“is this your bedroom?!”

Ruhi ne muskuraate hue kaha,

“It can’t be called a bedroom, too small, but yes I sleep here, this is my bed.”

Abhi: “you can’t understand how lucky I am feeling to be introduced to the bed and place you sleep. It’s an honour for me.!”

Ruhi: “Ah really? Why so?!”

Abhi: “yessss my dear…. What are you reading?”

To Ruhi ne kitab ki cover ko turn karte hue Abhi ko book ki title dikhaayi, book tha ek Mills and Boon wala romantic tale. Cover ke pic par ek aurat thi semi nude ek bina shirt ke hero se lipti hui.

Abhi ne pucha,

“you love to read romantic stories only or any variety in your choice?!”

Ruhi ne kaha,

“nah mujhe sirf romantic hi padhna passand hai, detectives, horror ya police bilkool nahin passand sirf ziada tar mills and boon ya dusre author ke but romantic hi padhti hoon.”

Phir Ruhi ne ek collection dikhaya Abhi ko usski table par. Karib 25 ya 30 books the sab ke sab Mills and Boons collection wale. Abhi ne dekh kar muskuraya aur pucha,

“Abhi hum donon baatein kar rahe hein to ghar ke andar sab sun nahin rahe hein ke tum mujhse baat kar rahi ho?!”

Ruhi ne kaandhe ko uchakte hue kaha,

“To kia hua sunne do!”

Abhi: “tumhari mummy so rahi hai ya jaag gayi hai? Aur tumhare papa ko nahin dekha aaj tak main ne kahan hota hai wo, der raat ko kaam se wapas ata hai kia?!”

Ruhi ne kaha,

“Mera papa Saudi Arabia mein driving ki Naukri karte hein, wo wapas ane hi wala hai kuch mahine baad!”

Abhi: “oh I see! To tum, tumhari mummy, Manoj aur Mahesh rehte ho yahan!”

Ruhi ne add kiya,

“Dadaji bhi!”

Abhi: “are haan dada ji ko bhool gaya main! Aur buss itne hi members hein tumhare family mein?”

Ruhi: “no, meri ek badi behen hein jisski shaadi ho chuki hai wo yahan se 100 kms ki doorie par rehti hai. Kabhi kabhaar aati hai.”

Abhi: “wow great then to have an elder sis!”

Ruhi: “hmmm yes!”

Abhi: “acha yeh batao ke kyun tumne mujhse kaha ke jab Mehboob present ho to tumse baat nah karun? Kia kaha ussne?!”

Ruhi ne kamre mein piche dekha tab awaaz dhimi karke kaha,

“Mere papa aur Mehboob bhai jaise hein. Mere papa ne ussko hum logon ka khayal rakhne ke liye kaha hai, halaan ke bus ke piche wala ghar mere chote chacha ki hai, matlab mere papa ka chota bhai hai, phir bhi Mehboob mere chacha se badhkar hai. Uss ne meri mummy se pucha ke main aap se kyun baar baar baat karti hoon! To mummy ne wo baat mujhse kaha, to main samajh gayi ke unnko nahin achha lagta jab hum donon baat karte hein issi liye aap se kaha ke usski haaziri mein mat baat karna mujhse se”

Abhi: “okay main samajh gaya, usske saamne tumse baat nahin karunga.”

Ruhi: “are eise nahin, jaise hum abhi kar rahe hein aise mat karna but wahan jab sab koyi ek saath hein agar mummy, Mehboob chacha, Rahima chachi, Mahesh sab saath hein tab you can talk, but not like this alone me and you, samjhe aap?!”

Abhi: “thik hai samajh gaya main, magar ek dusre ko dekh to sakte hein nah, tum nazar aati rehna please. Main tumko har baar dekhna passand karta hoon. Agar ek ghanta ho gaya aur tum nazar nahin aayi to mujhe bechaini hone lagti hai to please saamne aaya karna hat baar okay?!”

Ruhi: “mujhe pata hai. Issi liye to aati rehti hoon nah!”

Abhi bahot khush hua aur kaha,

“thanks very much darling, ab chalta hoon weh log aane wale hein ab kaam start karna hoga. Aur dekha nah tumne pucha ke main kyun itne savera ajaata hoon, to ab samjhi, hum donon ko baatein karne ke liye kitna time mil gaya hai nah?!”

Ruhi ne haan mein muskuraate hue gardan hillayi.

Abhi jaane laga, phir wapas aya aur pucha,

“How old are you Ruhi? I am 22 will be 23 this year and you?”

Ruhi ne hansste hue kaha,

“ladkiyon ki umar nahin puche jaate, bad manners hihihi”

Abhi ne muskuraate hue kaha,

“ofo pata hai yaar, par main ne apni age bataya nah tumko so please tell me, kahin tum mujhse badi nikli to?!”

Ruhi zor se hanss padi aur kaha,

“haan main aap se badi hi hoon hihihihihi!!”

Abhi ne bhi hansste hue kaha,

“koyi baat nahin agar badi ho bhi to, umar se kia lena dena!”

Ruhi: “Aap ko koyi farak nahin padega agar main aap se umar mein badi hui to?

Abhi: “bilkool bhi nahin iss mein kaun si badi baat hai? Chalta hai yaar!”

Ruhi: “Acha aur aap ko lagta hai ke main aap se umar mein badi hoon kia?!”

Abhi: “bilkool hi nahin, tum 17, 18 ki lagti ho!! are yaar bata to do, 18 ho chuki ya ab bhi minor ho hehehehe!”

Ruhi: “ho chuki….. hmmmm I am over 19! Will be 20 this year!”

Abhi: “great that’s perfect then, ok see you later”

Aur Abhi chala gaya change karne, tab tak baaki ke sab agaye.

To be continued….. (2750 words)
nice update ...lagta hai abhi bus ki photo leke naya business ( bus bana raha hai waisa ) shuru karna chahta hai khudka 🤔🤔..
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 14 Did the Quarrel End? How?

Subha Abhi late utha. Ziada peene ki vajah se sota raha. 8.30 ko bus mein tha kaam ke liye jaane ko. Yeh pehli baar hua tha jiss din se wahan kaam kar raha tha.

Pahunchne se pehle bus mein jaate waqt Abhi of course sirf Ruhi ke baare mein hi soch raha tha aur kal ke hue wakiye ko…. Abhi ab yeh sochne laga tha ke subha ko sabse pehle kaam par reach hone wala aaj 8.30 ko reach nahin hua hai, aur socha ke Ruhi kia soch rahi hogi 6 baje se 8.30 tak jab ussko wahan nahin dekha hoga to? Abhi sochne laga,

“Kia Ruhi mujhko dhund rahi hogi? 6 baje se meri raah dekh rahi hogi nah? kissi se puchne aayi hogi ke main kyun nahin aya hoon? Are yaar kahin wo yeh nah soche ke iss liye ke ussne kaha tha ke main nahin aunga to bala tal gayi usski; iss liye main nahin aya hoon…..”

Ab Abhi ke dil mein phir se wo baat aayi ke Ruhi ne uss se kaha tha ke usske liye bala tal jaegi agar ussne wahan aana band kar diya to…. Yeh sochne ke baad Abhi ko bus se utarne ka mann nahin kiya, socha ke ab kaam par jaaye hi nahin. Wo abhi tak hurt feel kar raha tha uss baat ko soch kar…. Aur ek pal ke liye Abhi ne socha ke hamesha ke liye issi waqt se wahan jaana band karde aur uss kaam ko chorr de! Tab hamesha ke liye saare lafde khatam!!

Aisa soch to liya dil mein Abhi ne magar wahan pahuchne par bus se uss bus stop par hi utra jahan utarna tha, yaane Ruhi ke ghar ke paas wale bus stop par. 9 bajne wala tha aur tab abhi uss aangan mein chalte hue nazar aya. Saeed aur Vinay bus ke uss side par the jiss taraf wo bada darkhat tha, aur Tony bus ke paas tap one ke paas kuch kar raha tha, abhi washroom pahuncha to Tony usske paas gaya aur kaha,

“are yaar main ne socha tu nahin aega, Saeed ghussa kar raha tha aur bura bhala bhi kehne laga tha tujhe!”

Abhi ne kapde badalte hue aur Ruhi ke kitchen ke andar dekhte hue kaha,

“bhai goli maar Saeed ko aur yeh bata Ruhi nazar aayi ke nahin yaar?!”

Tony: “Abhi wo subha se kayi chakkar laga chuki hai, rone wali surat banaayi hui hai, khud mujhse kayi baar puch chuki ke tu kidhar hai aur usski maa aayi Saeed se puchne ke tu kyun nahin aya aaj!”

Abhi ne shirt pehente hue kaha,

“Really? That’s nice yaar, that’s very good news, magar ab kidhar hai wo ladki mujhe paagal banaane wali?!”

Tony: “Tujhko andar se zaroor dekh rahi hogi aur muskura rahi hogi, tere expression ko read kar rahi hogi ke tu abhi tak ghussa to nahin, ussko pata hoga ke kal tere liye wo saamne nahin aayi to tu ghussa hoga, andar muskuraate hue tujhe dekh rahi hogi. Bahot hi khush ho rahi hogi ke tu agaya hai. Dekna abhi zaroor
tere saamne aegi.”

Abhi: “Achah? To bala kaise talegi agar main aata hi raha to?! Ho sakta hai ke yeh bhi keh rahi hogi ke yeh bala phir agaya!”

Tony? “Ab chorr yaar, abhi tak tu uss baat ko dil mein liye baitha hai? Wo tujhse bahot pyar karti hai tujhe paagalon ki tarah dhund rahi thi!”

Abhi: "terrace par jhadu laga diya ussne, poncha laga diya kia?”

Tony: “nahin kuch nahin kiya sirf teri raah dekh rahi hai subha se, usski nazrein sirf main road par aur aate hue bus par rehti thi subha se!

Abhi: “yaar tony to ab kyun nahin dikh rahi hai? Mere saamne aa nahin sakti kia? Marr gayi kia wo?!”

Tony: “are yaar itna ghussa kyun karne laga achaanak tu? Wo sun legi yaar. Kamaal hai udhar Saeed ghussa kar raha hai idhar tu kia ho gaya hai? Kissi ki nazar to nahin lagi hein kahin?!”

Abhi: “bhaad mein jaaye saeed kaun si badi toap hai wo, chal karte hein jo kaam karna hai…..”

Jab Abhi aur Tony bus ke taraf jaane lage to Abhi ko Ruhi ki blue dress ki ek choti si jhalak dikhaayi diya lounge mein hawa se parde ke hillne ki vajah se. Matlab Abhi ko pata tha ke Ruhi ussko andar se dekh rahi thi.

Aur 9.15 ko Abhi ne kaam karna start kiya aur Saeed shuru hua;

“kia hai abhi? Aise kaam kiya jaata hai kia? Subha ke 9.15 ko kaam shuru hota hai kia?

Ek to Abhi pehle se ghusse mein tha Ruhi ki kal wale vyohaar ko lekar aur ab Saeed uss par chilla raha tha to Abhi ne bhi ghusse mein aur oonchi awaaz mein Saeed ko jawaab diya.

Donon mei tutu main main hone laga aur tension badhne lage…. Awaaz door tak sunaayi dene lage donon ke aur dhadpdaate hue Mehboob apne ghar se baahar aya aur donon ko shaant karne ki koshish kiye…. Saeed Abhi ko suna raha tha aur Abhi saeed ko…. Saeed ne ek baar kaha,

“yahan herogiri karne nahin aate hein kaam karne aate hein, Mehboob ne humko kaam karne ke liye paise diye hein flirt karne ke liye nahin, kia karta rehta hai tu kaam karne ke waqt, kia karne jata hai wahan uss washing stone ke paas? Kaam wahan hota hai kia?”

Ruhi aur usski maa sab sun rahe the, aur Ruhi ne apni maa ke chehre mein dekha, udaasi aur darr ke saath….. Ruhi ne kabhi nahin socha tha ke kuch aisa hoga….

Abhi ne Saeed ki uss baat ka yeh jawaab diya chilaate hue,

“kyun be tere gaand mein kyun aag lagta hai agar main wahan jata hoon to? Kaam to pura karta hoon tujh se bahut ziada kaam main ne kiya hai iss bus mein dikhaun tujhko, naap lagayega tum ne kitna kaam kiya aur main ne kitna?”

Mehboob ko pata tha ke Abhi ne bahut ziada kaam kiya hua hai to ussne Abhi ke kaandhe par haath rakh kar ussko ek taraf karne ki koshish kiya, magar Saeed ne bhi oonchi awaaz mein kaha ke ussko bataaye ke kaise Abhi ne ziada kaam kiya hai, to ussi tone mein, ghusse mein Abhi ne kaha,

“yeh dekh shuruwaat yahan se kiya tha main ne front side, jo back side se 50 gunah ziada complicated aur mushkil hai phir bhi tujh se pehle main ne right panel ko banana shuru kar diya aur tu back side par hi laga hua tha, jab main ne front side aur right panel pura kar diya tab jahan tujhko left panel pura karna tha wo bhi uss mein aadha se ziada main ne complete kiya, main ne upar ke kaam bhi aadha se ziada kar diya, to tere mukable 100 gunah ziada kaam kiya hai main ne iss bus mein sala mujhko 2 ghante ki lateness ke liye sunata hai? Main tujhko sunaunga to tere adhe paise mere hone chahiye, suna tum ne mujhe ghussa mat dila varna sab chorr chaar ke chala jaunga yahan se ek to bala banke mandra raha hoon kissi ke liye, nikal hi jaun to achchah hai!”

Abhi itna ghusse mein tha ke Mehboob ussko sambhal nahin paa raha tha, Ruhi aur usski maa terrace par nikal gaye the sab dekhte hue, to Mehboob ko laga ke sirf Ruhi Abhi ko shant kar paegi, to Mehboob ne Ruhi ke maa ke taraf dekha aur ishaare se ussko kuch kaha, aur Ruhi ki maa aayi Abhi ke bazu pakra aur apne terrace ke taraf lejaate hue ahiste aur araam se kaha,

“Idhar chalo aao aao ssshhhh ghussa thuk do aao nah dekho Ruhi tumko bula rahi hai aao nah beta, aisa nahin karte, thand rakho beta…” tab tak chalte hue Ruhi ghar ke piche wale hisse mein jaa chuki thi aur apni maa ko Abhi ko apne saat laate hue dekh rahi thi….

Wo hissa ghar ke piche tha washing stone se thoda door, Ruhi ki aankhe bhar aayi thi kyunke ussne sab suna ke Abhi ne kuch der pehle kaha ke kissi ke liye wo bala ban chuka hai to behtar hai ke sab chorr chaar kar chala jaaye… ruhi apni kahi hui baat par bahot pachta rahi thi aur jaise Ruhi ki maa Abhi ko uss kone mein laaya Ruhi Abhi se lipat gayi rote hue aur Abhi ke peeth par apne komal kalaayi ko ferrte hue Ruhi kayi baar rote hue kehti gayi,

“I am sorry, I am very very sorry, please forgive me, will you? Mujhe maaf kardo Abhi mujhse ghalati hui, mujhe kal wo nahin kehna chahiye tha I am so sorry Abhi!”

Abhi ka jism shake kar raha tha ghusse se, aur jitna zor se Ruhi ne ussko apne baahon mein jakra tha Ruhi usske jism ki wo thartharaahat feel kar rahi thi…. Aur Ruhi khud kaampne lagi rote hue aur maafi maangte hue. Ruhi ki maa sab dekh rahi thi aur apni beti ko rote hue dekh kar wo khud apni aankh se aansoo ponch rahi thi.

Abhi jaise hosh mein nahin tha uss waqt. Usske samajh mein nahin araha tha ke kia ho raha hai…. Ussko laga ke sab ek sapna tha… aur ahiste ahiste Abhi ne apne baahon ko uthaya aur Ruhi ke kaandhe par kiya, Ruhi ka badan pura Abhi ke jism se chipki hui thi uss waqt, Aur oonche kad ke hone ke kaaran Ruhi ka sar Abhi ke chaati par tha aur wo Abhi ke dil ki dhadkanon ko saaf sun rahi thi. Ruhi ke donon baahein Abhi ke baazu ke niche se hokar ussko jakre hue the…. Ruhi ke aankhon se ab bhi ashk jaari the, aur jis pal ko Ruhi ne Abhi ke haathon ko apne kaandhe par feel kiya tab usski aankon ke aansoo ruke aur usski maa wahan se wapas terrace par chali gayi aur Mehboob ne uss se kaha ke Abhi ko kuch der udhar hi rehne de taake wo shant ho sake. Ruhi ki maa tab Mehboob aur saeed se baatein karne lage jaanne ke liye ke jhagda kyun aur kaise shuru hua. Dhire se Mehboob ne Ruhi ki maa se kaha ke iss mein Abhi ki ghalati nahin hai ussne sach mein saeed se bahot ziada kaam kiya hai bus mein.

Udhar jab Abhi ke haath Ruhi ke kaandhe par gaye to Ruhi ne apne chehre ko usske chhati par sattaye hue hi kaha,

“Aap mujhe apne baahon mein bharna chahte the nah? Lo bhar liya aapne mujhe apne baahon mein ab khush?!”

Abhi ki saansein tez chal rahe the aur wo thoda hannff raha tha, to Ruhi ne ussi position mein kaha,

“Baap re itna ghussa uff mujhe nahin pata tha aap itne ghusse wale ho, aap to bahot cool aur sweet dikhte the itne dinon se aap ko sambhaalna bada mushkil hai!”

Abhi kuch nahin bol raha tha, jaise ab bhi kisi shock mein dooba hua tha, to Ruhi ko sar upar utha kar Abhi ke chehre mein dekhna pada, aur dekha ke abhi khoya hua hai to kaha,

“Aap ka ghussa mujh par tha nah? Mere wale ghussa aap nikaal rahe the nah? kal se ghussa paal rahe the aap mere khilaaf Abhi? Main nahin dikhi thi iss liye? Main ne saare parde khinch liye the iss liye? Main ne bala tal jaegi kaha tha iss liye? Main ne to buss mazaak kiya tha Abhi, I did not mean it at all! I am so sorry ke mere munh se wo shabd nikal gaye the Abhi. Main kal hi aap ko sorry kehne ke liye wait kar rahi thi lunch time ke waqt magar aap aaye hi nahin main wait karti rahi, to mera bhi mood off hua issi liye main shaam ko nahin nikli thi magar main aap ko andar se jaate hue dekh rahi thi Abhi. Pleaae forgive me nah!”

Abhi ne ek bahot lambi sanns liye jiss se Ruhi ki chaati aage badhi phir piche hue Abhi se chipki hui jo thi. Do jism ek jaan lag rahe the donon uss waqt.

Ruhi ne phir usske seene par apne gaal ko satta diya aur kaha,

“Aap mere liye bala kaise ho sakte ho bhala? Main to chahungi ke aap umar bhar har roz yahan aao aur main aap ko issi aangan mein dekhun zindagi bhar Abhi! …. Abhi aaj aap meri vajah se late aaye? Bataiye nah, kia aap nahin aane wale the aaj? Meri kal ki kahi hui baat ki vajah se? Pata hai, main aaj subha 4 baje se uth chuki hoon aur aap ki raah dekhti rahi dekhti rahi, socha 6 bajne se pehle ajaoge aaj kyunke kal shaam ko aap ne mujhe nahin dekha tha nah, iss liye main barpaayi karna chahti thi Abhi magar aap aaye hi nahin…. Aap ko pata hai mujh par kia beet rahi thi jab sab log aagaye aur aap nain aaye? Pata hai main ne kitna dhunda aap ko? Main ro pari thi Abhi, main apni maa se saari baatein kehte hue fut fut kar ro rahi thi, maa ko bheja tha saeed ji se puchne ke aap kyun nahin aaye ho, mujhe darr tha ke kahin meri kahi hui baat ki vajah se aap ab kabhi bhi nahin awo…. Main kia karti tab? Aap kyun late aaye aaj abhi? Boliye nah, mujhe sazaa dene ke liye hmm? You were punishing me?!”

Ruhi ki meethi awaaz mein tadap thi, aaj pehli baar jiss awaaz ko sunne ke liye Abhi tarasta tha uss awaaz mein itna tadap mehsoos kar raha tha.

Tab Abhi ne apna sar niche jhukaya, Ruhi ki thudi ko apne ungliyon se apne chehre ke taraf uthaya, Ruhi ke aankhon ne Abhi ke ankhon mein dekha, Abhi ne jhuk kar apne honton ko Ruhi ke honton par rakh diya…. Ruhi apne toes par khadi hui aur Abhi ko kiss karne lagi ziada zoron se Abhi ko jakarte hue….

Abhi ne life mein kabhi kissi ladki ko kiss nahin kiya tha, usske samajh mein nahin araha tha ke kaise kia karein, sirf apne honth ko Ruhi ke honton se takraya tha ussne, magar Ruhi ussko kiss kar rahi thi, Abhi ko ussi pal laga ke ussko kiss karna to ata hi nahin magar Ruhi ko kiss karna ata tha!!

To be continued…. (2450 Words)
nice update ..abhi ne apni bhadaas nikaal di poori ..
aur ye mehboob ne ruhi ki maa ko bulakar abhi ko ruhi ke paas leke jaane ko kaha kyunki ruhi hi uska gussa shant kar sakti hai 🤔🤔🤔..
tony ne kaha bhi tha ki ruhi ne majak kiya hai phir bhi abhi ko gussa aaya ,,galti to abhi ki bhi hai ..
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 15 The Calm Is Back

Abhi ne life mein kabhi kissi ladki ko kiss nahin kiya tha, usske samajh mein nahin araha tha ke kaise kia karein, sirf apne honth ko Ruhi ke honton se takraya tha ussne, magar Ruhi ussko kiss kar rahi thi, Abhi ko ussi pal laga ke ussko kiss karna to ata hi nahin magar Ruhi ko kiss karna ata tha!!

Ab aaguey….

Ruhi ki chaati Abhi ke seene par dabbe hue the, usski boobs chipke hue the Abhi ke chest par, aur Ruhi ne Abhi ko bade zor se jakra hua tha. Abhi ke saans lene se usski boobs jaise push ho rahe the, Abhi ne sar jhukaate hue usski thodi se Mulayam cleavage dekha, kitni mulaayam tha wo hissa jo Abhi ko nazar arahe the aaj pehli baar wo bhi apni khud ki baahon mein…. Ruhi ko jaise feel hua ke Abhi usski cleavage dekh raha tha, to halke se nazar ko upar kiya Abhi ke chehre mein dekhne ke liye to paaya ke haan Abhi ke aankeh usski seene ke andar hi dekh rahe the to Ruhi ne ek saans lete hue kaha,

“Aap ne nahin bataya ke aaj aap kyun late aaye abhi? Kia wo mujhko punish karne ke liye tha?”

Abhi ne dhire se gehri awaaz mein kaha,

“Tumhara dress maila ho jaega, mere kapde maile hein tum maile kapde par chiipki hui ho Ruhi!”

Abhi to apne working clothes mein tha, maile to the hi, par Ruhi ko koyi parwah nahin tha uss waqt, aur ussne kaha,

“Mere sawaal ko avoid kar rahe ho reply karne ko nah? issi liye dusri baat bana rahe ho Abhi?!”

Abhi ne usski gaal sehlaate hue kaha,

“yeh baat nahin hai Ruhi, mujhe acha nahin lag raha ke iss maile kapde mein tumhare saath iss position mein rahun main apne dusre kapde mein hota to baat aur thi nah.”

Ruhi ne ek Muskaan mein kaha,

“mujhe to koyi farak nahin padta, acha batao ab khush hue aap mujhe baahon mein bhar liya nah?!”

Abhi ne halke se hansste hue kaha,

“baahon mein tumne mujhe bhara hua hai main ne to sirf tumhare kaandhe par haath rakha hai!”

Ruhi ne ussko aur zor se jakarte hue ek bachche ki adaa mein kaha,

“To bharro nah mujhko apne baahon mein jaise main ne aap ko liya hua hai”

Abhi: “iss libaas mein main tumko nahin lena chahta apni baahon mein mujhe odd feel ho raha hai, tumhare kapde gande ho jayenge Ruhi!”

Itna kaha ke Mehboob ki awaaz aur usske kadam unn donon ke taraf badhte hue sunaayi diye, Mehboob yeh kehte hue araha tha,

“Abhi, ghussa thanda hua ke nahin ajao chalo kaam jaari rakho nah bhai!”

Usski awaaz sunkar Ruhi ne jhat se Abhi ko chorrte hue alag hua do kadam, tab tak Mehboob wahan pahunch gaya aur Ruhi se hi pucha,

“issko cool kiya tumne apni baton se nah?!” Aur Abhi ka haath thaam kar Mehboob ne usse chalne ko kaha.

Tab tak Ruhi ki maa bhi agayi Ruhi ke paas aur pucha,

“kia kaha ussne kyun itna late aya aaj?”

Ruhi: “pata nahin maa, mujhe yakeen hai ke meri hi vajah se late aya, ab bhi thoda ukhda ukhda sa hai, hope normal ho jaega kuch der baad, main jaati hoon terrace saaf karne usske aankhon ke saamne to rahungi, kuch der pehle main taras rahi thi ussko wahan dekhne ke liye…”

Ruhi ki maa ne pucha;

“Tumne ussko jakra hua tha, wo bhi mere saamne ussko jakar liya besharaam kahin ki, Mehboob jab aya to tujhko uss position mein nahin dekha nah?!”

Ruhi ne bata diya ke usske aane ke awaaz sunte hi Ruhi Abhi se do kadam door khadi ho gayi thi.

Ruhi chali gayi terrace par jhadu lagaane aur Abhi ko nazron se chorr hi nahin rahi thi. Abhi bhi ussko dekhte hue hi kaam kiye jaa raha tha. Aur Ruhi ussko dekhte hue khud se keh rahi thi;

“Iss aangan mein pehli baar ek naam itna goonji hai ABHI. Iss naam ko main to har roz weise hi sunna chahti hoon. Iss se pehle kabhi bhi yeh naam mere aangan mein nahin suna tha main ne, jab suna to itna suna ke iss naam ko sune bina raha nahin jata, agar yeh naam iss aangan mein goonjna band ho jayega to mujh par kia guzregi wo main soch rahi hoon aaj!!”

Aur achanak Ruhi ka dil dhadka aur khud se kaha;

“Abhi ne to mujhe ishare se sab kuch keh diya hai halaan ke saaf nahin kaha main usske mann ki baat ko padh chuki hoon, magar main apni baat ussko kaise bataun? Mere baare mein ussko pata chala tab kia hoga? Kaise react karega wo? Chala gaya to main kia karungi? Kyun main ussko dil de baithi? Itne dinon tak to kissi ke saath aisa feel nahin hua tha kyun Abhi se main ne shuru mein hi sab kuch nahin keh diya? Agar ussne socha ke main ne dhoke mein rakah usse tab kia hoga? Maa ne kehne se mana kiya hai, magar mujhe lagta hai ke ussko sab sach sach bata dena chahiye. Aur agar mere baare mein usske gharwalon ko pata chal gaya to koyi bhi accept nahin karega mujhe yakeen hai…. Main maa ko sunun ya apne dil ki? Kia karun main? Hey bhagwaan help me!”

Ruhi ke chehre par udaasi dekh kar Abhi ne ishaare se pucha kia hua, magar Ruhi ne kuch nahin mein sar hillaya.

Unn dinon ek geet mashoor tha jo Abhi aksar gungunaya karta tha aur usske situation par fit lagta tha, Abhi ne uss geet ko seeti bajaate hue gaya, wo Ruhi ke liye hi tha, aur Ruhi ussko pyar bhade nazron se dekhne lagi aur jab Abhi ne gaane ke mukde ko whistle kiya bilkkol sur mein to Ruhi ki Aankhen bhar aaye, gana yeh tha;

“Pyar karte hein hum tumhein itna

Pyar karte hein hum tumhein itna

Do aankeh to kia do jahan mein samaaye nah jitna

Pyar karte hein hum tumhein itna…..

Dil mein kab tak karoge basera

Saath kab tak nah chorroge mera

Dharti chorre nah suraj ka phera

Saath chorrenge yun hum nah tera

Pyar karte hein hum tumhein itna

Do aankhen to kia do jahan mein samaaye nah jitna

Zindagi ka tumhi ho irada,

Yaad rakhoge kia tum yeh wada

Nahin bhulenge hum tumhein aise

Dil nah bhule dharakna jaise

Pyar karte hein hum tumhein itna

Do aankehn to kia do jahan mein samaaye nah jitna

Jeete hai hum tumhare sahare

Din guzarte hein kaise tumhare

Ab judaayi nah seh payenge hum

Tumse bichde to mar jayenge hum

Pyar karte hein hum tumhein itna

Do aankeh to kia do jahan mein samaaye nah jitna

Pyar karte hein hum tumhein itna…..”



Iss gaane ko agar aap log issi waqt sunna chaahe to you tube ka yeh link par hai:

Manhar aur Asha bhonsle ke gaaye hue bahot hi mashoor gana tha yeh unn dinon aur har roz subha shaam radio par sunaayi deta tha… har kissi ke zuban par yeh geet hua karta tha unn dinon.

Ab Abhi itna zor se iss gaane ko seeti bajaate hue chala jaa raha tha Ruhi ko dekhte hue ke usski aankhen bhar aayi, wo ro padi aur chali gayi wahan se apna chehra dhone ko.

Khud Abhi ke bhi aankh bhar aaye kyunke wo iss part ko dil mein gaa raha tha seeti bajaate hue


Jeete hai hum tumhare sahare

Dun guzarte hein kaise tumhare

Ab judaayi nah she payenge hum

Tumse bichde to mar jayenge hum


Aur tahjub ki baat yeh thi ke jab Abhi seeti bajaate hue iss part ko dil mein gaa raha tha ussi pal ko Ruhi issi part ko hi dil mein gaa rahi thi, yaane ke yeh part jo female voice mein thi wohi Ruhi gaa rahi thi issi liye ro padi thi

Ab judaayi nah seh payenge hum

Tumse bichde to mar jayenge hum


Yeh kudrat ka Karishma tha ya kia magar hua aisa hi tha….. aur uss din ke baad wahan aakhri din tak kaam karte hue har roz, din bhar Abhi iss gaane ko seeti se oonche sur mein bajata tha… jab kabhi Ruhi nazar nahin aati thi to Abhi ko buss iss gaane ko seeti mein bajana hota tha aur Ruhi daudi chali aati thi usske saamne…. Donon iss gaane se jaise bandhe hue the unn dinon. Ab sochna agar bichde honge to kia haal hota hoga donon ka jab iss geet ko kabhi sunte honge to!! Yun sochiye ke 15 saal baad donon ek dusre se door hai aur iss gaane ko sun rahe hein ussi waqt par alag alag jagah par aur ek dusre ko yaad kar rahe hein to manzar kia hota hoga!! (yeh likhte hue main bahot bhaavuk ho gaya)

Uss din Abhi ka din bahot acha guzra. Saaed bhai aur wo phir se mamooli tarah se baat karne lage jaise ke kuch hua hi nahin tha. Shayad Saeed bhai ne apna kusoor maan liya tha aur ussko pata tha ke Abhi ne bus mein uss se bahot ziada kaam kiya hai.

Ruhi baar baar Abhi ke saamne aati rahi ussko apne jeeb se chidhaati jo Abhi ko behad passand tha…. ab jeeb nikaal kar honton ke beech kuch pointed jaise karke ek ladke ko dikhana isska sexual matlab bhi hota hai aisa Abhi ne socha kia Ruhi ko pata bhi hai ke wo kia ishara karti hai uss tarah se jeeb se usse mock karke? Magar kyunke usski uss adaa se, jiss adaa se Ruhi Weise karti thi wo bahot pyara hota tha iss liye Abhi ko bahot passand tha usska weise karna. Ek baar to Ruhi ne apni maa ke saamne weise jeeb se abhi ko mock kiya. Abhi heyraan reh gaya ke usski maa ne kyun kuch nahin kaha Ruhi ko aur weisa karne diya…. Maa hanss rahi thi jab Ruhi Abhi ko uss tarah se jeeb se mock kar rahi thi… aur weisa mock karna har roz hota raha. Chalta raha ruhi ke taraf se. ruhi khud darrta tha ke kahin kabhi Mehboob, ya saeed nah dekhle Ruhi weisa karte hue….

Ab aate hein kiss wale baat par.

Abhi kaam karte waqt uss kiss ko bhi gehraayi se sochta raha. Kyunke usska pehla kiss tha ussko pata tha ke wo anari tha aut kiss ahi se nahin kar paaya, ussko wo mehsoos hua tha uss waqt ke Ruhi ussko kiss kar rahi thi wo Ruhi ko nahin.

Ab kia Abhi ko pata chala ke Ruhi ne pehle life mein kiss kiya hua hai? Bilkool nahin. Abhi ko kaise pata chalta kyunke ussne life mein aaj pehli baar ek ladki ko kiss kiya, to ussko kia pata ke sahi kiss kaisa hota hai… haan tassavur mein Ruhi ko hi kiss karta hai khayaalon mein to sochta hai honthon ko honton par rakh kar chumte hein jaise gaal ko chumte hein. Magar usske honthon ko Ruhi chuss rahi thi kiss ke dauraan, balke Abhi ke jeeb ko takriban le liya tha apni munh mein kiss karte waqt….. yeh part Abhi ko bahot accha laga tha magar ussne expect nahin kiya tha ke weisa bhi kiss kiya jaata hoga.

Magar ab, tanhaayi mein jab Abhi soch raha tha to mehsoos kiya ke agar kiss weisa kiya jaaye aur agar usske munh mein Ruhi ka jeeb ajaaye to wo zaroor usske rass ko chuss lega, pee lega…. Aur ab akele mein Abhi soch raha tha ke uss waqt ussko wohi karna chahiye tha magar khud ko hi anari kaha ussne…. Aur Ruhi ki cleavage ko bhi socha Abhi ne aur ussne apne erection feel kiya aur utejina ne ghar kiya usske andar, phir Abhi ne Ruhi ko dekhna chaha ussi pal, to dekha ke Ruhi apni khidki se teke hue Abhi ko bade pyar se dekh rahi thi. Abhi ko ussi waqt Ruhi ko apne baahon mein bharne ka man kiya aur ab Abhi Ruhi ki jism ko dekhna chahta tha ussko mehsoos karna chahta tha apne haath se usski jism ko chhuhna chahta tha. lunch time karib araha tha to Abhi ne Tony se kaha ke wo pani lene jaa raha hai, aur Abhi terrace par gaya, Ruhi ne jab ussko waha dekha to jaldi se baahar aayi, aur Abhi ke saamne apni nili dress mein muskurati hui dekhne lagi. Abhi ab upar se niche Ruhi ko nihaar raha tha aur usski boobs ka form dekh raha tha usski dress ke upar, uss ubhaar ko admire kar raha tha, to Ruhi usske chehre mein dekhte hue pucha,

“kia hua? Kia dekh rahe ho Abhi?”

Abhi ne kaha,

“tumko phir se weise apne seene se lagaane ka mann kar raha hai, piche aao nah!”

Ruhi ne hansste hue kaha

“paagal ho kia? Dekho Saeed ji aur Mehboob donon bus mein hein weh dekh to nahin rahe magar unn ko pata hai ke tum yahan ho!”

Abhi ne kaha,

“tum behad khubsurat ho aur aaj main ne pehli baar tumko feel kiya, mera mann nahin bhara hai…”

Ruhi ne ussi Muskaan aur apni rijhati adaaon mein kaha,

“Okay milungi piche, tum lunch karne ke baad ana; hamare paas 30 mins tak to honge nah, aur haan cigarrete mat peena varna mujhe kiss nahin karne dungi, samjhe aap Abhi?”

Abhi bahot khush hua aur kaam par wapas gaya... Ruhi ko kiss karne ka, apne baahon mein bharne ko, usski jism ko chaaron taraf feel karne ko sochte hue…..

To be continued….
nice update ..kahi shweta beti to nahi hai ruhi ki 🤔🤔.. aisa kya hai ruhi ka past 🤔🤔..isliye uski maa abhi ke saath baat karne se nahi rokti kyunki wo bhi chahti hai ki uske beti ki shadi ho jaaye ..
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,844
32,653
259
Update 17 A Rival Or What ?

Unn dinon ko mobile, whatsasp, messenger, twitter, snapchat kuch bhai tha to nahin magar unn dinon ke youngsters kaise communicate karte the? Kia weh log bhi communicate karte ya chat karte the? Ziada door ki baat nahin 1986/87 mein filhaal chal rahi hai yeh kahani. To kia jaise aaj sab communicate karte hein tab hota tha kia?

Haan hota tha, bilkool hota tha. Wo kaise main samjhata hoon. Lagbhag har teenager ka boyfriend hua karta tha tab bhi. Jo college jaate the unnke to hote hi the, baahar ghumne, café mein, library vaghaira mein milte the date par tab bhi. Aur Abhi yehi chahta tha, aisa hi chahta tha ke usski love story chale. Wo chahta tha ek ladki ko passand kare aur iss se pehle ke family walon ko pata chale wo aur ladki mile koyi ek saal tak akele, ek dusre se behad pyar kare, tab apne parents ko bataaye phir engagement kare, tab shaadi. Abhi aisa love story chahta tha apni life mein.

Ab kaise communicate karte the baaki ke youngsters?

Wo hota aisa tha ke unn dinon har newpapers mein ek corner hota tha “PENFRIENDS CORNER” ke naam se. Uss corner mein koyi bhi apna naam aur address likh kar newspaper ko send karta aur usska naam aur address publish hota tha paper mein, aur koyi bhi ussko khat likh sakta tha kyunke usska naam penfriend corner mein aya tha. Teenagers, ladke, ladkiyan, adult, aged log sab uss penfriend corner mein apna naam send karte the, jissko ek saathi ko khat likhna passand tha, new friends banana, desh se bhi aur videsh se bhi.

Uss zarye se bahot saare jodi bane jo aaj shaadi shuda successful couples bhi hein. Ab hota aisa bhi tha ke jiss ladki ka naam uss corner mein aya to ussko 200 se 500 ladke khat likhna shuru kar dete the. Ab ladki ko sab ko reply karna to mumkin hota nahin tha to kuch gine chunon ko reply karti, aur dhire dhire unn mein ek to zaroor passand ata tha…. apne baare mein likha kia karte the, kidhar rehte ho, family members kitne hein etc etc…. sab kuch bolte the apne baare mein. Iss tarah se har kissi ko koyi ek to passand ata hi tha phir apne photos bhi bhejte the chithi ke lifaafe mein. Aaj to whatsap par ek selfie lekar send kar diya jata hai, magar unn dinon postman ka wait karna padta tha chithi aane ka. Ek alag khusi aur mahaul bana rehta jinn logon ke penfriends hote the aur har roz postman ka intezaar kiya jaata tha. Postman ghussa hota aur kehta, “are shaadi karlo tum log ek baar yaar lafda khatam ho har roz aise chitthiyan lane ko mujhe!”

Ab desh bhar mein naujawanon ke beech yeh Silsila chalta tha. well padhe likhe logon ke bich of course.

To Abhi ke bhi penfriends the Ruhi ko jaanne se bahot pehle. Do saal pehle Abhi ne unn sab mein se 3 penfriends se mile bhi the, magar teenon mein se ek bhi Abhi ko personally passand nahin aaye the, to sirf dosti aur writing tak ka naata rakha unn sab se aur dhire dhire ladkiyon ne Abhi ke letters ko reply karna band kar diye kyunke unn ladkiyon ko dusre penfriends mil gaye.

Abhi ke do foreigners penfriends bhi the, ek France se Pascale naam se aur ek Jennifer naam se jo Scotland se thi. Donon ne apni apni tasveerein send kiye the Abhi ko, aur Abhi ne bhi apne pics send kiye the unn donon ko, aur iss saal jinn dinon Abhi Ruhi ke yahan kaam karta tha yeh donon foreigners aur 2 local girls Abhi ke penfriends the. Abhi itna handsome tha ke laldkiyan to ussko passand kar lete the magar Abhi ko koyi passand ata tab nah baat banti? Phir jabse Abhi ne Mehboob ke yahan kaam karna shuru kiya tab se ek bhi penfriend ke khaton ko reply kiya hi nahin tha.

To lifaafe mein chithi ke saath photo share karna aam baat hoti thi unn dinon. Sabhi karte the. Aur aise hi ek din Abhi ne Ruhi se kaha jaise penfriends photo share karte hein kyun wo share nahin karti Abhi ke saath aur kyun ek dusre ko likh nahin sakte? Abhi ne Ruhi ko bataya ke usske bhi penfriends hein foreign mein bhi hai, buss dost hein iss liye Ruhi se apne photo manga magar Ruhi phir bhi nahin maani photos dene ko.

Abhi apne diary mein likhta to kehta ke sala jiss se koyi naata nahin, ziada interest nahin unn ladkiyon ke photos hein usske paas aur jiss se beinteha pyar karta tha usski ek tasveer bhi nahin usske paas.


*******************************************************************************

Uss shaam ko ghar wapas jaate waqt Abhi aur Saeed ek hi seat par baithe the bus mein. Abhi ne Saeed se kaha,

“Bhai main beinteha pyar karta hoon Ruhi se bhai. Main uss se shadi karna chahta hoon. I am serious bhai.”

Saeed: “Mujhe pata hai Abhi. Sabko pata hai wahan. Magar kia ladki bhi tumko pyar karti hai ya aise hi tere saath dillagi kar rahi hai?!”

Abhi: “Karti hai nah bhai bahot pyar karti hai mujhse, wo kaise nahin dikha aap ko bhai?! Aap dekhte nahin har baar mere saamne aa jaati hai, kabhi bhi baat karti hai, har tarah se prove karti hai ke mujhse pyar karti hai, dekha nah lunch time ke baad kitne der tak usske saath tha main?!”

Saeed: “ghar ke piche the tum donon nah? kia kar rahe the utne der tak? Kuch ghalat to nahin kiya nah Abhi?!”

Abhi: ”are nahin bhai, buss kiss kiya ziada kuch nahin!”

Saeed ne ek ajeeb si muskurahat mein kaha,

“kiss karne diya ussne tujhe? Buss itne dinon ke mulakaat mein kiss tak aa gaye tum donon, tab to ladki pahunchi hui hai Abhi, aisa nahin lagta tumko kia?!”

Abhi saeed ka matlab nahin samjha to buss kaha,

“behad chahti hai mujhe wo bhi bhai issi liye nah!”


*****************************************************************************

Usske baad kaam par takriban har roz lunch time mein Abhi Ruhi se milta, donon pyar bhare kuch pal guzaarte. Kiss karte. Pyar ki baatein karte…. Yeh ek hafte tak guzra.

Donon ke bare mein din ba din sabko pata chalta gaya, jitney bhi log chaahe ussi angan ke ya baahar ke bhi jo aate the bus dekhne aur ghanton guzaarte the uss aangan mein sabko pata chal gaya tha ke Ruhi aur Abhi ke beech love hai. Sab khule aam ek dusre ko dikhte, aur ab jiada pyar dikhaate to baaki ke saare logon ko dikhta tha, aur danke ke choat par Abhi kehta tha ke wo Ruhi se bahot pyar karta hai aur jald hi uss se mangni karega, phir shaadi.

Aur ek tha wahan Reza, wo Mehboob ke bus mein conductor ka kaam karta tha, Mehboob ke aur 4 buses chal rahe the nah. To jab bhi wo aata aangan mein jaise ussko jalan hota Abhi aur Ruhi ko close dekh kar, yeh Abhi ne notice kiya tha. Reza koyi 23 se 25 ka naujawaan tha. Aur wo uss mohalle ka rehne wala tha aur Ruhi se usski jaan pehchaan thi pehle se kyun ke wahin ka rehne wala tha aur uss aangan mein usska ana jana tha pehle se.

To kayi baar aise ghatnaayein hue jahan kabhi Abhi Ruhi se kuch kehna chahta to Reza bich mein khada rehta, unn donon ko baat nahin karne deta, ya kabhi Ruhi kuch Abhi ko dene arahi ho to wo chiz Reza le leta tab Abi ko deta, ya jab Abhi aur Ruhi terrace ke paas baat kar rahe hote to Reza wahan aakar khada ho jaata aur ek saath baat karta Abhi aur Ruhi se. Abhi ko bahot ghusa ata tha magar kuch kehta nahin tha Reza se. Par Ruhi se kehta tha ke Reza weisa kyun karta hai, to Ruhi kehti ke ussko ignore karne ko kyun ke wo short minded hai, aur sahi mein wo Reza short minded hi tha.

Iss Reza ke baare mein baad mein kuch aur aega issi liye issko yahan introduce karna pada.

Baaki sab mamool par chal rahe the uss aangan mein. Ruhi ab bekaraar rehne lagi thi Abhi ke bina aisa anumaan hota tha kyunke wo had se ziada baahar aati thi, bus ke paas aati, Abhi ko dekhti, uss se muskuraati, jeeb se mock karti, etc. Abhi har roz zoron se seeti bajaate hue wo geet gata “pyar karte hein hum tumhein itna”

Abhi ki seeti mashoor ho gayi thi uss aangan mein uss gaane ke sur mein bajte hue. Aur itna zor se whistle karta ke door tak sunaayi deta aur jitney bhi ghar aas paas the sab sunte the aur sabko pata chal jaata tha ke Abhi Ruhi ke liye wo tune ka seeti bajaata hai.

Ek shaam ko Shweta, Farzina aur Ruhi aangan mein ek copy book hath mein liye kuch game khel rahe the, aur Farzina bus mein aayi Abhi ke paas aur ek puzzle likh kar pucha. Abhi ne fatafat jawaab likh kar de diya. Phir baad mein pata chala ke wo puzzle Ruhi ne likh kar diya tha Farzinah ko guess karne ke liye aur Farzina ne Abhi ki help se jawaab paa liya aur jaakar Ruhi ko dikhaya.

Usske baad, Abhi ke kuch puzzles jaise sawaal likhe aur Farzinah ko jaa kar Ruhi se usska jawaab likhne ko kaha. Ruhi ko samajh mein nahin aya. Dada ji wahin aangan mein ek chothe se chair par baithe bachon ko aate jaate dekh rahe the to ek baar ussne copy book manga dekhne ke liye ke kia ussko puzzle ka jawaab aega… ussne bhi try kiya magar nahin mila jawaab. To Abhi ne jawaab likh kar diya farzinah ko jissne Ruhi ko dikhaya…. Kitchen ke stairs se Ruhi Abhi ko haath ke ishaare se keh rahi thi ke wo bahot ziada intelligent hai usske mukable kyunke Abhi ne usske likhe saare puzzle solve kar diye the aur Ruhi ne usske ek bhi sawaal ka jawaab nahin de saka.

Aur ussi waqt aangan mein Reza bhi hta, usske haath mein copy book jata tha, dada ji ke haath, Mahesh kek haath aur mehbob kek haath mein se copy hote hue Ruhi ke paas jaata magar koyi jawaab nahin de paata Abhi ke sawaalon ka.

Iss se yeh saabit hota hai ke uss aangan mein sabhi ko Abhi aur Ruhi ke pyar ke baare mein pata chal chuka tha aur sabhi normal the inn donon ke rishte ko lekar. Kissi ko koyi problem nahin dikh raha tha uss waqt.

November ka mahina start hua aur Mehboob ne Saeed se baat kiya ke kia Christmas tak kaam pura nahin ho sakta aur bus road par nahin chal sakta uss din ko? To Saeed ne Abhi se salaah maanga. Abhi to chahta tha jitney ziada din ho sake wahin kaam kare, magar jiss raftaar se kaam badh raha tha full mumkin tha 25th December tak kaam ko khatam karne ki. To Abhi ko kehna pada ke haan ho paayega. To decide kiya gaya ke Sundays ko bhi ab kaam karne aayenge last day tak.

Wohi kiya gaya November ke start se har Sundays ko bhi kaam par aane lage pura team. Magar Sundays ko bhi Saturdays ki taraf 2 baje end karte the.

Engine laa diya gaya tha, to engine ka mechanic jisska naam tha George, aur usske saath 2 apprentice the, weh log engine par kaam karne lage, aur electrician ko bhi laya gaya tamaan wire works karne ke liye bus mein. Ab coach building ki andar ka kaam open chorrna tha taake tamaam wiring bus ke panel ke andar se bichaaya jaaye aur har bulb ki entry karna tha ceilings mein jo plywoods ke the…

Usske liye Mehboob ko plywoods kharidna pada, bade bade sheets the jissko usske ghar mein rakhne ke liye jagah nahin thi to ussko Ruhi ke ghar ki lounge mein rakha gaya tha….. Uss din pehli baar Abhi Ruhi ke lounge mein daakhil hua tha unn sheets ko Tony Mehboob aur Reza ke saath milkar carry karte hue sambhaal kar rakhne ke liye.

Jiss waqt Abhi andar gaya Ruhi so rahi thi, do peher ki neendh mein thi aur jiss kamre mein wo thi, lounge se nazar arahi thi. Bed par Ruhi ko uss tarah se sote hue dekh kar Abhi ko kuch hua. Ruhi sote hue itni khubsurat lag rahi thi, wo saans le rahi thi to usski chaati upar niche ho raha tha aur Abhi kuch der khada ussko nihaarta raha… ussko Dekhte hue Abhi Ruhi mein apni patni ko dekh raha tha aur socha ke ek din khud apne kamre mein ussko uss tarah se sote hue dekhega. Abhi ka mann kiya ke ussi waqt jaakar Ruhi ko apni baahon mein bhar le. Bahot pyar araha tha ussko Ruhi par uss waqt, ek masoom pari jaise soyi hui thi bekhabar, apni ussi nili dress mein, usske gaal par halki si hawa ki chalne se usski ek latt gaal ko sehla rahe the, Abhi uss nazaare ko dekh kar emotional hua….. Ruhi ke karib hone ka usska mann kiya, aur jaie ussne aage badhne ko socha to dekha ke Reza bhi usske bagal mein khada Ruhi ko wo bhi dekh raha tha…..

Abhi ko ghussa aya aur kaha,

“Tu kia dekh raha hai?”

Reza: “Wohi jo tu dekh raha hai!”

Mehboob aur tony nikal chuke the tab tak.

Abhi ko, Reza ko ek thapad maarne ka mann kiya magar ghusse par kaabu rakhte hue Abhi ne uss se kaha,

“Abe saale wo meri hai, iss liye main ussko dekh raha hoon, tujhe ussko weise dekhne ka koyi haq nahin hai samjha ?!”

Tab tak Reza baahar nikalte hue Abhi ko jawaab diya,

“Wo kaise teri ho sakti hai be? Sirf tujhse baat karti hai isska matlab yeh nahin ke wo teri ho gayi baat to mujhse bhi karti hai ti uss hisaab se wo meri bhi hai!”

Abhi ko bahot ghussa aya Reza ke jawaab se aur kaha,

“Abe bakwas karna bandh kar, tujhe pata bhi hai ke mere aur usske bich kia Rishta hai?”

Reza: “kia Rishta hai bata? Teri wife hai wo? Teri fiancée hai wo? Tumne usske saath engagement kiya hai? Nahin nah to tu bakwaas karna bandh kar saale ladki ko badnaam karne ata hai yahan?!”

To be continued….. (2450 words)
nice update ..to reza kabaab me haddi bann raha hai ..ab kaise handle karega abhi usko dekhte hai .
 
Top