• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    298

Sidh

Member
406
1,005
123
UPDATE 22
(BEYOND THE HORIZON)


Darkvale Forest ~
84 Hours 32 Minutes Remaining


*Sshhhrrrr*



Aarav Khali ankho ke saath kadam aage barhata ja raha tha, Uss ke haath se Ki Blade neeche zameen se lagte huwe uss phaarte huwe aage barh rahi thi, Aarav ki nazre Kabhi Yoo-Jung to kabhi Shadow ke kate huwe sar ki taraf jaati.



Aarav ne apni nazre upar karte huwe apne saamne khare Orc King ki taraf daikha, Orc King chehre per ek ghinoni muskan liye Aarav ko daikh raha tha, Aarav ki ankho me gussa bharne laga.



[Alpha Authority Activated]

[Unique Ability (Will to live) Activated]

[Beast Transformation (Wolf Claws)]



Aarav ne kehar bhari nazro se Orc King ki taraf daikha, Orc King ke chehre aur bhi khusi aa gayi jaise wo Aarav ki halat Enjoy ker raha ho, Aarav ne raftaar pakri aur aage barhte huwe chalaang maari aur hawa me apni blade ko rotation dete huwe.



[Deathly Slash]




Aarav ne pehla vaar he Deathly Slash ka kia jaise wo Orc King ki ghinoni muskan ko ek bhi aur pal nahi daikhna chahta tha, Aarav ko khud ehsaas na huwa lekin uss ke Deathly Slash ne neeche Ground per ek cut bana dia.



Aarav ne neeche kadam rakhte he saamne daikha, Lekin Orc King wahan tha he nahi Aarav ne ghoomte huwe peeche Slash mara to Zameen se ek Blood spike baahir aa gayi, Aarav ne uchalte huwe apne haatho per Balance ker khud ko peeche ghaseet lia.



*Grooowwwwrrrrr*



Aarav ka gussa barhne laga, Uss ki Ki Blade roop badal ker Claws ke saath dalne lagi, Aarav tezi se aage barha aur ek ke baad ek Vaar karne laga, Orc King ki raftaar bhi barhne lagi aur wo Aarav ke har Attack ko dodge karne laga.




Orc King ne Aarav per Vaar karna chaha to Aarav hawa me uchal gaya, Uss ki ankhe Neele rang se laal me badalne lagi, Aarav ne apna haath aage barhaya to uss ke haath me Ki energy ikathi hone lagi, Inner Ki kisi Ball ke roop me Aarav ke haath me Rotate karne lagi.



Aarav: Arrrggghhhhh!




Aarav haath neeche karte huwe neeche Orc Ki ki taraf jaane laga, Aarav hava me jaise Levitate ker raha tha uss pal, Aarav ka haath Orc King ko lagne he wala tha.



*Pssshhhhh*



Aarav ki kalayi me tez jalan huwi aur Inner Ki ki bani wo ball nasht ho gayi, Aarav zameen per ja gira uss ki ankhe dobara waapis normal hone lagi, Aarav ka sar bhaari hone laga.



Aarav: Ye kia huwa? Or-



*Pch*



Aarav kuch aur bolta ke uss ke chehre oer kuch aa gaya, Aarav ne dhayan se daikh to wo Slime thi, Aarav waapis baitha aur chaaro taraf daikhne laga, Wahan koi bhi Orc ya Orc King nahi tha.



Aarav: Kahan gye wo sab? Abhi to yanhi the! Kuc-



Aarav ne saamne daikha to Vansh aur Yoo-Jung dono bilkul sahi the, Dono ke chehro per khoof tha, Jahan Vansh hava me ghabraye huwe Spear ghoomaye ja raha tha.


Wanhi Yoo-Jung ek jagha baithi dar se kaanp rahi thi, Yoo-Jung ki ankho me ansoo the wo khari bhi nahi ho paa rahi thi.

765eebaf39a1dc6d77141dfe4fce55a7.gif


Aarav: Ye sab kia ho raha hai? Was it just in my mind?



Aarav ne khud se sawal kia, Uski awaz me shanka aur Ashcharya dono ka ehsaas tha, Wo samajhne ki koshis ker raha tha ke jo drishya uss ne kuch pal pehle daikha wo sach tha ya sirf uss ki kalpana, aur phir jaise usse kuch yaad aya to wo apne saath latke uss bag ko khol uss me wo kitaab dhondne laga.



Bag me rakhna to Easy tha, Lekin uss ko Dhoondne me kuch waqt lagta tha, Kitaab milte he Aarav ne uss ko khool panne palatne laga, Kuch pal me he Aarav ko wo page mil gaya jis ko wo dhoondh raha tha.




[The Illusion Mist is a creature that uses mist to create illusions from a distance. When someone breathes in the mist, they start seeing these illusions. If the person gets hurt outside of the illusion, it breaks the spell. However, they must avoid inhaling the mist again, or they can get trapped in the illusions once more.]



Slime Aarav ka chehra iss liye dhake huwe thi ke wo dobara Illusion Mist me saans na le, Aarav ke paas aisi situation se bachne ka raasta tha, Inner Ki ko saanse lene ke raaste me balance karte huwe ek filter bana lia Aarav ne, Filter se hava me chupe sabhi poison sirf purify ho ker Body me ja sakte the.



Aarav: Ab tum mere chehre se hat sakte ho!


Slime Aarav ki baat maante huwe neeche utar gaya, Aarav ne gehra saans bhara lekin usse kuch bhi na huwa, Aarav ne muskurate huwe Slime ko thap thapate huwe usse uss ke kaam ke liye shabashi di.


(◍•ᴗ•◍)✧*。




Aarav waapis khara huwa, Uss ne apne kareeb daikha, Uss ki banayi Ki Ball beech me nasht to ho gayi thi, Lekin uss ke Impact se wahan ek bara gadha ban chuka tha, Aarav ko khud samajh na ayi ke uss ne ye kaise kia tha, Uss pal jaise Aarav khud ki body se control kho raha tha.



Aarav: Akhir kitni takatwar thi wo Ki Ball? Zameen ko chhue bina he itna bara gadha wo bhi in pathro per jis ko Slime bhi pighla na payi!



Aarav ne abhi ke liye un khayalo ko mann se nikala aur apne saathiyo ko bachane chala gaya, Aarav ne Vansh se pehle Yoo-Jung ko Illusion se nikalna sahi samjha, Wo Vansh ko Yoo-Jung ki ye halat nahi dikhana chahta tha.


Aarav Yoo-Jung ke paas gaya ti wo ghabrate huwe khud ko peeche ghaseetne lagi, Yoo-Jung Aarav se bhi dar rahi thi lekin Aarav ko ab pata tha ke wo Aarav se nahi jis ko wo Aarav ki jagha daikh rahi thi uss se dar rahi thi.



Aarav ne apne tez kadmo aur Movement ko Use karte huwe Yoo-Jung ke peeche ja ker uss ka pakar lia, Yoo-Jung Chutne ki koshis karne lagi per Uss me abhi wo pehle wali strength nahi thi, Aarav ne apne haath Yoo-Jung ke Gulabi honto per rakhte aur Yoo-Jung ko khud se chipka lia, Apna chehra Yoo-Jung ke kandhe per le jaate huwe apne daanto ko Yoo-Jung ki makmali tawacha per gaar diye.



*Aghhh, Uhmmmm*



Yoo-Jung ke muh se awaz nikli, Lekin wo dard se cheekhne se zada Moan zada lag rahi thi, Yoo-Jung se zada Aarav ghabra gaya, Uss ne to ye Yoo-Jung ko bachane ke liye kia tha lekin uss Pahari larke ko kia pata tha ke ye kitna galat dikh raha hai.



Lekin ab Aarav ne ye ker he dia tha to wo ruka nahi aur daant se aur bhi kaatne laga, Yoo-Jung ki pakar Aarav ke haatho per kasne lagi aur uss ka dar khatam hote huwe wo hosh me aa gayi, Aarav ne apna chehra peeche kia aur Yoo-Jung ke muh aur naak per haath rakhe baitha raha.




Aarav: Tum hava me saane nahi le sakti! Mujhe nahi pata tum ne kia daikha, Lekin wo jo bhi tha wo sirf ek Illusion tha, Hume tumhare liye koi mask chahiye per mere paas mask nahi hai.



Yoo-Jung ne kuch pal chaaro taraf nazre ghoomayi, Usse Aarav ki baat per vishwas ho gya ke wo sahi keh raha hai, Yoo-Jung ne angoothe se Good ka ishara kia to Aarav apna haath uss ke chehre aur kamar se hatate huwe khara ho gya.



Aarav ab jab dobara Yoo-Jung ki taraf daikh raha tha to Situation Awkward ho gayi uss ke liye, Ab tak pehli baar Aarav mekisi larki ko aise Moan karte suna tha.



Aarav (Awkwardly): H-Hum mask dhoond-



Yoo-Jung: Uss ki zaroorat nahi hai! Main hava me chupe toxic se bach sakti hu, Pehle sirf meri Laparwahi ki wajha se main Illusion me phans gayi thi, Hamare liye abhi uss Mist Monster ko dhoodna zaroori hai, Mist me aur bhi koi Toxic ho sakta hai jo hume Harm ker sakta hai.




Aarav: Right! Lekin hum usse dhoonde gye kaise? Wo kanhi bhi ho sakta hai!



Yoo-Jung (Sigh): Huh! Mujhe laga tha tum ab tak Figure out ker chuke ho gye.



Aarav: Kia?



Yoo-Jung: Tumhe kis lagta hai? Dzanum se larte waqt mujhe kaise pata chal gaya ke tum wahan ho?



Ab jab Aarav dobara soch raha tha to sach me Yoo-Jung ne bina daikhe he Aarav ko pukar lia tha, Jahan Aarav tha wahan Yoo-Jung ko dikhna possible he nahi tha.


Aarav: Kaise?



Yoo-Jung: Mujhe last Quest ki MVP Banne per ek new Ability mili thi! Holoscan, Main apne around 50 Meter tak Area ko Scan ker sakti hu, Bilkul kisi Radar ki tarha, Sab kuch to nahi dikhta lekin agar mujhe pata hai ke main kia dhoond rahi hu aur wo 50 meter ke Radius ke andar hai to main uss ki location detect ker sakti hu.



Ye ability Aarav ki sense ki tarha ki thi, Lekin Aarav aise detect nahi ker sakta tha, Jahan Holoscan zada specifically mosnter ki location pin ker sakti thi.


Aarav: Vansh ko bhi uss waqt ais-


Yoo-Jung: Nahi! Vansh chutiya hai, Uss ke chehre se uss ki tharak jhalak rahi thi, Mujhe Holoscan ki bhi zaroorat nahi thi!



Aarav apna sar pakar khara ho gya, Sach me Vansh ek chutiya tha, Upar se Yoo-Jung ek pal ke liye bhi nahi jhijhki kuch kehne se pehle, Aarav shayad pehli curse word sun raha tha kisi larki ke muh se, Aarav ne dobara apne sar se ye baate nikali aur jo zaroori hai uss per dhayan dene laga.



*Ahhhhh*




Vansh apna spear liye bhaagte huwe un ki taraf aya, Yoo-Jung bina kisi effort ke uss ke side per gayi aur Vansh ko pakarte huwe kisi Wrestler ki tarha Chokeslam dete huwe zameen per patak dia, Vansh wanhi neeche Unconscious ho ker gir gaya.




Yoo-Jung: Ab hamare liye zada easy rahe ga! Shuru karte hai phir.



Yoo-Jung dikhne me kisi Pari ki tarha ki thi, Lekin uss ke move kisi Demon se kam khatarnak nahi the, Beauty with Brain to tha he lekin Yoo-Jung ke liye Demon lagana galat nahi tha.



Aarav (whisper): Shayad mujhe wo moan wali baat kabhi pata nahi lagne deni chaiye iss ko!



Yoo-Jung: What?



Aarav: Kuch bhi nahi! Tum shuru karo.



Yoo-Jung ne apna dhayan saamne kia aur hava me he Ungliya chalane lagi, Matlab uss ke saamne uss ki System window open thi.


Yoo-Jung: Mil gaya hume hamara mujrim!


****


Darkvale Forest ~
83 Hours 27 Minutes Remaining




*Gasping*



Daisuke ki saanse bhaari ho chuki thi, Wo Pichle ghante se apne pratidwand ko harane ki koshish ker raha tha, Lekin Daisuke ki kanhi se bhi jeet hoti dikh nahi rahi thi, Daisuke ne apne dusri taraf daikha to wahan Pathro ke neeche Isabelle dabi huwi thi.



Daisuke (Annoyed): Akhir chahte kia ho tum? Yahan aa kaise gye tum?



Daisuke ko uljhan hone lagi thi, Lekin Dusri taraf se koi bhi jawab na aya, Daisuke ne dobara apni swords uthayi aur apne pratidwandi ki taraf tezi se bhaagne laga, Paas jate he Daisuke ne apni Sword ko ghoomate huwe vaar karna chaha, Lekin ek baar dobara wo asafal raha aur ulta khud zakhmi hote huwe peeche ja gira.




Daisuke ki halat ab uthne layak nahi rahi thi, Wo zor lagate huwe uthna chah raha tha, Lekin uss ki halat usse uthne nahi de rahi thi, Saamne khara vyakti chalte huwe Daisuke ki taraf ane laga, Daisuke apni haar maan chuka tha Vyakti ne apna haath Daisuke ke sar per rakha.



[Healer detected! Mana transfer to player in progress]


[Player's Mana Zone Activated]



Daisuke ne sar utha saamne daikha to wahan wo Vyakti nahi, Isabelle baithi huwi thi Daisuke ke sar per haath rakhe, Daisuke ki HP bhi recover hone lagi, Daisuke ko situation samajhte waqt nahi laga.



Daisuke: Sab kuch ek chhalava tha kia?



Isabelle: Shayad! Lekin Achanak se tum ajeeb harkate karne lage, Main ne pehle koshis ki ke apni shaktiyan istemal na karu, Lekin jab halat bigarne lagi to mujhe Ability Istemal karni per gayi, Agar tumhe kuch ho jata to mujhe kon bachata?



Isabelle ne Daisuke ko Calm karne ke liye dhayan se apne shabdon ko chuna tha, Daisuke bhi Isabelle se kuch kehne ki halat me nahi tha, Daisuke uthte huwe deewar se tik ker baith gaya.



Daisuke: Tum ne kia kiya?



Isabelle: Pata nahi! Lekin mujhe ye pata chala hai ke itna zada Mana hone ki wajha se main Ek Mana Zone bana sakti hu, Ye kia hai mujhe bhi nahi pata lekin main ne koshis ki to tum apne hoosh me waapis aa gye kisi tarha iss se!



Daisuke: Hmm!



Dono ke beech shanti chaa gayi, Jahan Isabelle Daisuke ki ajeeb harkate daikh ker dar gayi thi, Wanhi Daisuke abhi huwe chhalave ki socho me dooba huwa tha.



Isabelle (Concern): Kia daikha Chhalave me tum ne?




Daisuke (Sigh): Huh! Kuch purane zakhm the, Dobara hare ho gye hai wo, Daro mat abhi ke liye theek hu main, Tum batao kitni der ye Mana Zone bana ker rakh sakti ho.



Isabelle: Pata nahi! Lekin zada samay nahi banaye rakh pao gi, Ab ki baae shayad Mujhe bhi ye Mana Zone na bachaye, Lekin ab hume pata to chal gaya na ke wo ek Chhalava hai, Hum dobara shayad na phanse uss me!




Daisuke: Nahi! Main ne jo mehsoos kia hai wo ajeeb tha, Main jaanta tha ke wo sach nahi hai, Lekin main usse jhuthla bhi nahi paa raha tha, Chhalave se mili ye chhote bhi abhi tak hai, Agar dobara hum phanse to shayad waapis na aa sake hum.



Isabelle: Hume kuch karna chaiye!




Daisuke: Kia kare? Meri halat aisi nahi hai ke hum chal sake, Tumhare bina ye Mana Zone bhi nahi rahe ga to tumhe peeche chhor kuch daikhne bhi nahi ja sakta, Agar tum ne Heal Use ki to Durability kam ho jaye gi, Hum sirf Prarthana ker sakte hai, Agar ye Dhundh se Illusion aye hai to Dhundh ke saath chale bhi jaye gye, Ye prarthana karo ke hamare khatam hone se pehle khatam ho jaye ye Dhundh, Warna sach me hum yahan 24 Ghante bhi pure nahi ker sake gye.




Daisuke peeche deewar se sar sata ker baith gaya, Isabelle bhi darne lagi aur puri koshis karne lagi ke wo kuch he aur pal kiu nahi lekin Mana Zone banaye rakh sake, Lekin unhe lag nahi raha tha ke wo nikal sake gye ab ki baar.



Isabelle (Sob): Lagta hai akhri baar usse daikhne ka moka bhi nahi mila ga mujhe!



Daisuke (Smile): Huh! Itna pyaar karti ho to keh kiu nahi deti uss se?




Isabelle: Pyaar nahi keh sakti usse main! Pyaar to ek baar main ker chuki hu, Mera Fiance jo budhu ye samajh raha ke main trip per hu, Lekin jo Aarav ke saath main mehsoos ker rahi hu wo bhi bohat ajeeb hai, Sirf ek baar usse daikhne ki chahat mere andar se jaye nahi ja rahi, Na Jaane uss ki chumban ne kia ker dia hai mujh per, Aisa hai jaise ek khinchav mujhe uss ki taraf kheenche ja raha hai, Huh! Kia lagta hai kaisa ho ga wo?



Daisuke: Kaisa hai ye to nahi keh sakta! Lekin kam se kam wo zinda hai, Andrew ke waqt jo notification aya tha abhi tak waisa koi Notification nahi aya, Jab tak wo notification nahi aye ga Matlab wo zinda hai!




Isabelle (Relief): Thank You! Kam se kam wo zinda hai ye jan'nne ko mila, Na jane kia ker raha ho ga wo?





****



Darkvale Forest ~
81 Hours 59 Minutes Remaining




*Woosh* *Woosh*



Aarav aur Yoo-Jung dono bina kadmo ki awaz kiye bhaagte huwe Mist Monster ki taraf jaa rahe the, Vansh ko Unconscious Aarav ne kandhe per uthaya huwa tha, Unhe nikle huwe kafi samay ho chuka tha lekin jaise Mist Monster bhi unn se dur bhaag raha tha.



Yoo-Jung: Hamare saamne he wo kanhi ruka huwa hai! Lagta hai thak chuka hai wo itna bhaagne ke baad.



Aarav aur Yoo-Jung Location wali jagha pohanch khare ho gye, Lekin wahan unhe koi bhi nahi dikh raha tha, Dono har taraf dhoondne lage lekin wahan koi bhi nahi tha.



Aarav: Kahan hai wo?



Yoo-Jung: Mujhe nahi pata! Main sirf location pata ker sakti hu, Wo yanhi kanhi hai, Lekin hamari nazro me nahi aa raha, Kanhi wo Invisible to nahi hai kia?



Aarav: Tum ne apna kaam ker dia hai! Ab meri baari hai.



Aarav ne Vansh ko neeche laita dia aur zameen ko chhute huwe ankhe band ker dhayan lagane laga, Uss ki Sense ne kaam karna shuru kia aur wo apne kareeb dhoodne laga Mist Monster ko.



Aarav: Wahan us ped ke upar!



Aarav ne ishara kia to Yoo-Jung tezi se uss taraf uchli, Eagle Eye ko Use karte huwe uss ne dhayan se daikha to usse apne saamne Mist Monster mil gaya, Kisi machar ke Aakar ka ek keera uss ke pankh Alaukik roshni me chamak rahe the, Roshni me ek Vibration se Mist ban rahi thi, Yoo-Jung ko daikhte he wo waapis urte huwe bhaaga.

367c08571f6e0b5ab74a97338cc6718f.jpg


Yoo-Jung ne apne Dagger se Vaar karna chaha, Chote Aakar ki wajha se Uss ne Aasani se khud ko Yoo-Jung ke vaar se bacha lia, Yoo-Jung se bachte he wo dobara bhaagne ko huwa.



Uss se pehle Aarav apne sharp Senses se Yoo-Jung ki lead follow karte huwe uss ke saamne aya aur apni Ki Blade uss ko kaatne ko huwa, Lekin dobara uss ne khud ko bacha lia lekin ab ki baar uss ki direction ki sense freeze ho gayi thi ek pal ke liye.



*Swish*



Ek Arrow hava ko cheerte huwe uss machar jaise praani ko apni nok per le jaate huwe saamne ped ne ja ghusa, Uss ke pankho ki roshti dheemi hote hote khatam ho gayi.



Aarav ne Yoo-Jung ki taraf daikha jo apna bow liye khari huwi thi, Andhere me ek keere ke Aakar ke praani per itna accurate Aim karna koi sadharan baat nahi tha, Dhundh khatam hone lagi aur waapis se sab kuch saaf dikhna shuru ho gya.



Aarav ped ke paas gaya aur Arrow ko baahir nikal daikhne laga, Arrow ki tip per Mist Monster tha, Lekin wahan koi Mana Stone nahi dikh raha tha.



Aarav: Ab iss ka kia kare?



“Noum”



Aarav ki kalayi se Slime ki halki awaz ayi, Aarav ne slime ki taraf daikha to wo Mist monster ki taraf daikh rahi thi.



Aarav: Kia huwa? Khaana chahte ho to kha sakte ho tum!



(●♡∀♡)



(╯°□°)╯︵ `



Slime ne Arrow ko Monster ke saath jhapat lia, Kuch he lamho me monster aur Arrow dono puri tarha nasht ho gye the.



[Acid Slime Devoured a Higher Level Creature]


[Acid Slime Power Leveled Up]

dac095c99b7809fa69fd290bbe10f19d.jpg


Acid Slime ke Mist Monster ko khaate he uss ka level up ho gya, Ab tak Aarav ye bhi nahi samjh saka tha ke Rank aur Level me kia difference hai? Aarav ne ye Waapis jaane ke baad sochne ke liye chhor dia.



Yoo-Jung: Hume waapis jana chahiye! Kuch ghanto me waapis roshni ho jaye gi, Hamare paas araam ke liye kuch ghante he hai, Hum me se koi ek pehle soo jaye ga aur dusra Guard kare ga, Phir dusra soo jaye ga aur pehla Guard kare ga!



Yoo-Jung ne duty samjha di, Vansh ki halat Guard karne wali thi nahi to usse count nahi kia, Dono waapis Safe Zone ki taraf chale gye, Waapis ane ke baad Aarav ne Infinity bag me se Tent aur Heater jaisi cheeze nikaal li jo wo saath le ker aya tha.



Tent set karne ke baad Pehle Aarav ne Guard duty lene ka decide kia, Vansh ko ek taraf laita dia gaya aur Yoo-Jung alag se lait gayi, Aarav baahir ek bare pathar ke upar baith gaya.



Acid Slime ko apne saamne Rakh Aarav usse dhayan se daikhne laga, Ek din me he dobara kitna kuch badal chuka tha, Jo Slime subha Aarav ki dushman thi ab wo he Slime Aarav ke saath thi, Agar Slime madad na karti to shayad wo log Illusion se kabhi baahir he na aa pate!




Aarav Slime ko daikha apne Purane saathiyo ko yaad karne se reh na saka, Akhir kanha the sab Demon Wolf? Kiu wo unhe Sense nahi ker paa raha tha? Wo un Orc's se bach ker nikal to gye the na? Aise bohat se sawal Aarav ke mann ko uthal puthal ker rahe the.



Aise he khayalo me waqt beetata gaya, Kuch ghanto ke baad Yoo-Jung khud he uth gayi aur Aarav ko araam karne ke liye bhej ked Guard duty per baith gayi, Aarav abhi laita he tha ke pure din ki thakan ek saath effect ki aur Aarav agle he pal neend ki gehrayio me chala gaya.



415e2e25a02a1e6698ff0cd84ec8ee88.jpg

*Ughhhh*



Aarav jaldi se uth ker baith gaya, Uss ka badan paseene se bheega huwa tha aur saanse tez tez chal rahi thi, Aarav ne baahir daikha to roshni jo chuki thi, Aarav baahir nikla saamne he usse Vansh dikh gaya.



Vansh: Kuch zada nahi soo liye kia?



Aarav ko ek pal ke liye gussa aya ke akhir kon puri raat sota raha hai? Lekin wo bina kuch bole Yoo-Jung ke paas chala gaya jo apne weapons tayar ker rahi thi.



Aarav: Nikal rahe hai kia hum?



Yoo-Jung: Haan! Abhi ke liye hum waapis uss taraf jaye gye jis taraf se main ayi thi, Agar mere Holoscan me Isabelle ya Daisuke me so koi aa gaya to hum un ke saath mil sakte hai.




Aarav: Good! Main Tent le leta hu waapis.



****



Darkvale Forest ~
73 Hours 13 Minutes Remaining




*Thud*




Ek pathar ke girne ki awaz se Daisuke ki aankh khul gayi, Apne saath daikha to neeche Isabelle laiti huwi thi, Kab un ki aankh lag gayi dono ko he pata nahi chala, Der raat tak Isabelle Mana Zone banaye rakhe huwe thi.



Daisuke ne upar daikha to pedon ke beech me se halki dhoop darshan de rahi thi, Daisuke khara hone ki koshish ker raha tha lekin abhi bhi uss ki body bohat damage thi, Daisuke apna sar dobara deewar se sata ker baith gaya.



Daisuke: Akhir 24 Ghante survive ker he lia! Ab jald se jald baki-



*Glup*



Ek safed rang ki cheez Daisuke ki taraf ayi to wo Isabelle ko lete huwr Side per sarak gaya, Aise Achanak movement se Isabelle bhi ankhe khol ker daikhne lagi ke kia huwa? Daisuke uss taraf daikha jahan wo kuch pal pehle baithe the to wahan ek jaal sa ban gaya tha.



Daisuke: Spider! Lekin kahan?



Daisuke ne apni Swords per pakar banayi aur Spider ko dhoondne laga, Usse zada dhoondna nahi para, Ek taraf se Spider ati Daisuke ko dikh gayi jo kisi Billi ke size jitni bari thi, Daisuke aage barhne ko huwa he tha ke uss ke kadam wanhi tham gye, Uss ek Spider ke baad wahan se ek aur Spider ayi phir ek aur phir ek aur nikal ayi.

a8fb38d2fc1337d969c0ff4db0ffa41b.jpg


Wo sirf ek spider nahi puri Spider Army thi, Daisuke ne Isabelle ko uthaya aur wahan se bhaagne laga, Daisuke ko spider ki power ka andaza nahi tha lekin itne bare number se larna Daisuke ki haar ban'nne wala tha.



Isabelle: Ab kia kare hum? Mera Mana pura Exhaust ho chuka hai, Main simple boost bhi nahi Use ker sakti hu!



Daisuke ki halat abhi bhi khaas sudhri nahi thi, Lekin aisi khatarnak me zinda bach jaane ke baad Daisuke haar nahi man'nna chahta tha, Bachi huwi takat istemal karte huwe Daisuke bhaage ja raha tha, Spiders bhi jaise aj uss ka peecha na chhorne ka faisla ker ke ayi thi.



Daisuke bhaage ja raha tha jab tak uss ke saamne ek Cliff nahi aa gayi, Cliff itni deep thi ke upar se uss ka ground dikh bhi nahi raha tha, Daisuke ne apne kadam Dusri taraf ghoomate huwe Cliff ke saath bhaagne laga, Lekin Spiders ne dono taraf se Cover ker lia tha unhe jis se Daisuke sirf ek direction me he bhaag sakta tha.



Lekin Spiders kisi pal bhi uss ke saamne aa sakti thi, Kuch Spiders bare patharo ko sirf apne Webs se kheench ker idhar udhar phenk rahi thi, Daisuke aur Isabelle ko un ka ant dikhne laga har kadam ke saath un ki umeed khatam hoti ja rahi thi.



“Daisuke!!!!”




Ek awaz ne Daisuke ko waapis hosh me le aya, Awaz Cliff ke dusri taraf se ayi thi, Dono ne uss taraf daikha to Cliff ke dusri taraf un ke saath Baki teeno bhaag rahe the, Un dono ke liye Andhere me ujala ban ker aye the wo teeno, Aarav bhaagte huwe idhar udhar daikhne laga aur phir jaise Aarav ko jo chahiye tha wo usse mil gaya.




Aarav: Yoo-Jung! Mere saath aoo.




[Unique Ability (Will to Live) Activated]


[Current Progress (13.2%)]


[Fear Decreased -100%]


[Endurance Increased +41]


[Intelligence Increased +41]


[Strength Increased +41]


[Stamina Increased +41]


[Agility Increased +41]


[Sense Increased +7]


[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]



Ek zameen se ukhra huwa ped jo Neeche gira huwa tha, Aarav ne uss ka ek chhorr pakra aur Yoo-Jung ne uss ka dusra chhorr pakra, Uthate huwe Aarav ne beech se ped pakar lia aur Yoo-Jung uss ko sahara dene lagi, Bhaagte huwe Cliff ke kinare aa ker Aarav ne aur Yoo-Jung ne zor lagate huwe ped ko phenka to wo Daisuke ke side ja laga aur idhar se Aarav ne usse pakar ker girne se bacha lia.




Aarav (Shout): Daisuke! Yahan aoo!



Daisuke ne Aarav ki tarac daikha to wahan nikalne ka raasta ban chuka tha, Aarav ko ane me waqt lag sakta tha, Tab tak Daisuke wahan ruk nahi sakta tha to usse he uss taraf jana tha.



Daisuke: Isabelle! Bachi huwi puri takat se pakar lo mujhe.




Daisuke bhaagte huwe Ped ke upar charh gaya, Yoo-Jung Arrows se Spider ko rokne ki koshis ker rahi thi, Wanhi Aarav dusri taraf se ped ko pakre huwa tha, Daisuke ki umeed barhne lagi wo kadam barhata raha, Uss ki ankho ke aage andhera chaane laga saanse bhaari hone lagi aur akhir uss ka paon phisal gaya.



Aarav: Daisuke!!!




Daisuke Ped ki tehni ko pakre jhool raha tha, Lekin wo apni halat me zada der usse nahi pakar sakta tha, Yoo-Jung ko ped ke upar charhna per gaya aur wo Daisuke ki taraf bhaagi, Lekin Daisuke ka haath phisalne laga tha uss ke peeche latki Isabelle neeche ki gehrai daikh dar rahi thi, Daisuke tehni ki tip per aa chuka tha.



Isabelle: Sorry!


Isabelle ne Daisuke ka kandha choor dia, Daisuke ki ankhe herat se khul gayi jab uss ke peeche wazan kam huwa, Yoo-Jung ne Daisuke ka haath pakar lia oer Daisuke ki nazre neeche gir rahi Isabelle per thi jo ankho me ansoo liye gir rahi thi, Wanhi dusri taraf khare Aarav ka pura badan sehar utha, Kia wo dobara apne saathi ko khone wala tha?



“Kia phir se wohi hone wala hai? Itni mehnat ke baad bhi main kuch nahi ker pao ga kia? Kia mujhe bachane kudna chahiye kia? Lekin main wahan itni dur tak Isabelle ko pakarne ke liye pohanch pao ga kia? Agar sirf main Tsubame ki movement seekh pata! Lekin mujhe kiu uss ko seekhne ki itni zaroorat dikhti thi? Kiu uss ke bina adhoora lagta tha? Haan, Main saamne daikhne ki koshis me kabhi peeche daikh he nahi paya! Kia waisi Movement sird Tsubame ki thi? Nahi, Wo chahat mujhe Tsubame se nahi kisi aur se ayi thi! Mera sab se pehla opponent”



[Forceful Unsealing of Alpha's Abilities Detected!]


[Alpha's Abilities Unsealed: Forceful Override Detected!]



[Alpha's Ability Successfully Unsealed!]


[New Ability Acquired (Flash Steps)]


ed322e497cbb046351d58a2f04b316e7.jpg


Aarav: Flash Steps!



Aarav ke pairon me Vibration mehsoos hone lagi, Ek jhatke ke saath Aarav Cliff se kud gaya, Sabhi ki nazro me Aarav ek jagha se dusri Jagha teleport huwa tha, Lekin Isabelle kafi neeche ja chuki thi to Aarav ne Isabelle ko pakra aur paas ke pathro ko pakarne ki koshish karne laga, Lekin tez movement se uss ka haath kisi bhi pathar per sahi se nahi laga.



Ek haath se Isabelle ko kamar se pakre dusre haath se rukne ki nakam koshis karte huwd Aarav bhi Isabelle ke saath he khayi me chala gaya, Kuch he pal me dono bakiyo ki nazro se ojhal ho gye.



Yoo-Jung ne Daisuke ko upar kheencha aur Usse le ker Vansh ke paas aa gayi, Daisuke ke hosh abhi bhi salamat nahi huwe the, wanhi Spiders dusri taraf se web shoot ker ke iss taraf aa rahi thi, Ek baar dobara wo ghirne lage Spiders ke beeche me, Yoo-Jung sar jhukaye khayi se neeche daikhe ja rahi thi.




Yoo-Jung: Hume nikalna ho ga! Hum yahan se seedha neeche nahi ja sakte hume ek safe route dhoondn ho ga.



Vansh(Scared): Pagla gayi ho kia? Tumhe lagta hai yahan se gir ker dono me se koi bhi bacha ho ga?



Daisuke: Wo zinda hai! Abhi tak notification nahi aya, Yoo-Jung sahi keh rahi hai hume Safe route dhoondna ho ga.




Vansh(Annoyed): Yahan In makriyo se kaise bach kef nikle pehle wo socho!



Daisuke me itni takat nahi thi ke wo bhaag pata ya lar sakta, Kia Vansh aur Yoo-Jung itne Spiders ko ek saath maar sakte the kia? Dikhne me wo Na-Mumkin lag raha tha, Yoo-Jung dono ko peeche chorte huwe Spiders ke paas jaane lagi.



Daisuke (Concern): Yoo-Jung! Chances mat lo, Wo-



Daisuke ke shabd beech me he ruk gye, Yoo-Jung haatho ko phela gehre saans bharne lagi, Thumb aur Index finger se ek Hole banate huwe Aim bana ker Yoo-Jung ne zor se saans choori to uss ke muh se Aag nikalne lagi aur makriyo ko jalane lagi.


22ff555e3478e4eba0abed37ddfcae44.gif


Daisuke: Fire Realm Clan!

.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Update ko dhayan se parhna bohat se future plots hai iss update me, 5.7K words ka hai ye Update,Light jaane ki wajha se thora late ho gya, Baki Target wohi hai 30 likes agar huwa to Next Update Saturday Nght ko aye ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga aur agar pasand aye to izhaar karna mat bhoolna, Milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Bahut mast update bhai
 
  • Like
Reactions: kartiksingh

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,924
189
waiting new update
 

Shanu

Deadman786
6,105
16,916
188
Fabulous update Bhai ☺️😊
 
  • Like
Reactions: king cobra

sakuna

Member
272
414
63
UPDATE 5 ~
[ALPHA VS AARAV ARYA]

“Demon Wolf! Hai to wo bhi ek wolf he lekin wo hamari duniya ke wolf se kayi hisse zada khatarnak khonkar hai, Wo ek aise jeev hai jin ko jaane bina un se larne ka sochna bhi hamare liye moat hai, Earth ke Wolves se zada tez zada taqatawar zada khonkar aur nidar, Aur tum mujhe keh rahe ho main aise jeevo ke beech us bache ko marne ke liye chorr du?”


Daisuke ne andrew ke haath se apni kalayi ko churate huwe kaha, Daisuke ki ankho me dard tha jis ka andaza us ke kaanpte badan se lagaya ja sakta tha.


Aarav ne apni jaan khatre me daal ker zada Demon Wolves ko apne peeche le ja ker khayi me apne saath kheench lia tha, Per kuch Demon Wolves phir bhi Bakiyo ke peeche lage rahe 20 Minute bhaagne ke baad unhe ek Cave dikhi jis ko daikhte he daisuke ne sab ko uss ke andar jaane ka keh dia tha.


Cave ke muh per kuch phool lage huwe the, Jis ko daisuke wolfsbane keh raha tha, ek purple rang ke phool jinho ne Cave ke muh ko dhaka huwa tha, Jis ki wajha se Demon Wolves bahir he ruk gye the.


1e1b5f685c878c2f2900c4c6546e5896.jpg


30 Minute baad jab Daisuke sab ki safety ke baare me sure ho gya to us ne Aarav ko dhoondne ke liye akele bahir jaane ka sab ko kaha aur bahir ki taraf nikal gaya, Jis ke reaction me Andrew us ke saamne aa gaya us ko rokne ke liye.


Andrew: Mujhe anubhooti hai ke tum per is waqt kia beet rahi hai! Lekin main tumhe aise bahir nahi jaane de sakta.


Wahan sirf Andrew tha jise Daisuke ki halat ka andaza tha, Wo dono apne desh ke sipahi the jinho ne logo ko bachane ki kasam khayi thi, Apne ankho ke saamne ek bahadur larke ko un ke liye yun apni jaan ko khatre me daalta daikh ker wo khud ko kaise surakshit mehsoos ker sakte the?


Lekin Andrew bhi bahir khatre ko jaante huwe bhi yun Daisuke ko bahir kaise bhej sakta tha, Jahan se Aarav gira tha wahan ki gehrayi to unhe pata nahi thi per Aarav ke survival chances kitne low the ye sab ko pata tha.



Vansh: (Irritated) Oye! Ye kia laga rakha hai yahan? Tumhe lagta hai ke wo zinda bacha bhi ho ga wahan? Wo bhediye cheer phaar ker kha chuke ho gye ab tak use, Abhi Us ke peeche hum sab ko yahan khatre me chorr ker bhagne ki jagha ye batao yahan se nikalna kaise hai?



Vansh jo sab kuch daikh raha tha wo tang ate huwe bola, Us ki baate sun Daisuke ne gusse bhari nazro se use ghoora jis oer Vansh ke rongte khare ho gye.


Vansh ek mazboot shareer ka malik tha per Daisuke ek Intelligence Officer tha, Iss me koi shak nahi tha ke agar Daisuke aur Vansh larte to Vansh he tha jo neeche gir ker dhool chatne wala tha.



Andrew: Calm Down Soldier! Uss ki baate karwi zaroor hai per galat nahi hai, Hume pehle yahan situation ko handle karna chahiye, Yahan bhi sab dare huwe hai kise ko kuch nahi pata ke un ke saath kia ho raha hai agar kisi ko situation ke baare me kuch idea hai to wo sirf tum ho.



Daisuke ne apni nazre jhuka li aur Haatho ki muthi zor se bheench li, Wo Aarav ke peeche jaana chahta tha per wo aise sab ko beech me itne sawalo ke saath nahi chorr sakta tha.



Daisuke: Theek hai! aa jao main batata hu ke kis hell me aa ker phans chuke hai hum.



Daisuke Vansh ki taraf ek gusse se bhari nazar daali aur sab se kaha jis per sab Daisuke ke paas aa gye, Daisuke sab ke saamne ek pathar per baith gaya.



Daisuke: (Sigh) Jaise main ne pehle kaha! Hum pehle nahi hai jin ke saath ye sab ho raha hai, Hum se pehle bhi log the jo iss tarha Yahan teleport huwe the, Jab hume iss cheez ki khabar huwi to hum ne use start me to lightly lia per jab hume un baki bache huwe 4 logo me supernatural powers dikhi to sab ko apna pura focus un per karna he para, Iss sab ko top secret investigation ka roop de dia gaya, Jis se hume bohat Ajeeb cheeze daikhne aur jan'nne ko mili.



Daisuke ne sab ki taraf daikha to sab dhayan se us ki baato ko sun rahe the, Jo kuch unho ne daikha tha uss ke baad Daisuke per Shak ki koi wajha nahi bachi thi.



Daisuke: Un 4 logo ka kehna tha ke unhe kuch nahi pata achanak he wo apni jagha se yahan teleport ho gye the bilkul jaise hum huwe hai, Unhe bhi hamari tarha ek quest mili thi jis me unhe ek E RANK Beast (AZHDAAR) ko maarne ka kaha gaya, Azhdaar dikhne me ek komodo dragon jaisi dikhne wali Creature thi, Jis ki thook Acid jaise thu aur wanhi us ki Tail kisi bari chattan ko torne ki taqat rakhti thi.


892702614125356ff5747347695ab2d0.jpg

Isabella: Wait! Hamari Quest me to koi rank nahi likha?



Daisuke: Right! Unhe bhi Rank nahi pata tha, Rank to kia unhe to ye bhi nahi pata tha ke un ke saath ho kia raha hai, pehle 20 din to unhe sab kuch samajhne me lag gye, In 20 dino me unho ne Information Collect ki phir jab finally unhe cheeze samajh ayi to unho ne Quest complete ki aur jaise he unho ne Quest Complete ki unhe un ke Reward me jaise kaha gaya tha wo wapis aa gye.



Yoo-Jung: Iss ka Matlab agar hum apni quest Complete kare to hum bhi wapis ja sakte hai?


Yoo-Jung ne Daisuke ki baato se andaza lagate huwe kaha jis per sab ko ek umeed dikhi, Wanhi Daisuke Yoo-Jung ka sawal sun ker thori soch me per gaya lekin wo khud ko thora normal ker ke apni baat aage barhata hai


Daisuke: Haan! Hum Quest puri ker ke wapis ja to sakte hai, per zada waqt ke liye nahi, Quest ke end me un 4 ko ek notification mila tha jis me unhe un ki Tutorial Tower me next visit ki timing batayi gayi thi.



Vansh: (Frightened) Wait! Matlab yahan se nikalne ke baad hume yahan wapis ana ho ga?


Daisuke ki baat per sab ke chehre per ayi wo khusi ki chamak ek pal me bujh gayi.


Daisuke: Haan! Lekin iss ke beech me Unhe 1 Maheene ka waqt mila tha total 4 baar wo Tutorial tower me aye the, Lekin har baar un ki Quest ki Difficulty barhti gayi jis ke chalte 4th Quest un me se sirf ek puri ker ke wapis aa saka.



Daisuke ki Baat sun sab ke chehre peele per gye, Kahan wo yahan se nikalne ki so h rahe the wanhi ab unhe apne saamne Moat nazar aa rahi thi.


Yoo-Jung: Lekin ye zaroori to nahi hume bhi un ki tarha wapis ana pare, Hume iss jagha ka kuch pata nahi hai ke yahan konse niyam chalte hai, to ap kaise keh sakte ho ke hume bhi Wohi sab karna ho ga?


Yoo-Jung ne dobara ek sawal pucha jis per sab ko ehsaash huwa wo dar ke maare itni sime baate kaise soch nahi paa rahe the, Wanhi Daisuke Yoo-Jung ko iss situation me itna calm daikh ker halka sa muskura dia.



Daisuke: Smart Girl! Tumhara sawal bilkul sahi hai, Tumhe yaad hai main ne kaha hum pichle 2 saal se in cheezo ko investigate ker rahe hai? In 2 saalo me hume 4 aur Group mile jo waise he yahan aye hai.



Daisuke ki iss baat ne ek aur shock de dia sab ko, Wanhi Yoo-Jung ko uss ke sawal ka jawab bhi mil gaya.



Daisuke: Hum pehle Group ki wajha se thora zada serious ho chuke the iss liye jab hume dusra group mila to hum ne un ke thorough iss duniya ko aur bhi jankari lene ka faisla ker lia aur aise he janakari lete rahe, Baki groups ko bhi 30 din ka waqt milta jis me Unhe ek E RANK Beast ko Maarna hota tha, Jis ke liye unhe different skills aur abilities milti.



Andrew: (Curiously) Skills???? Abilities????


Iss baar Andrew na sawal kia jo khamooshi se sab kuch sun aur samajh raha tha, Jis per Daisuke Sab mo system ke baare me samjhane laga jis ki information unho ne baki groups se li thi



“Sab se pehle to har player ko un ki Status window dikhayi deti jis me wo apna Rank, Level, Skills, Abilities aur Stats daikh sakte hai, saath me unhe un ki Health aur Mana bhi dikhne ko milta hai.


Jitne high tumhare stats number ho gye utna tumhara wo stat high ho ga, For example jaise Yoo-Jung ki intelligence hum sab se zada hai iss liye uss per [Enchanced Language Understanding] skill lete waqt itna zada effect nahi huwa, Kiu ke wo skills High Intelligence Stat ke liye hai.



Skills kia hai? To Skills hamari kisi bhi talent ko aur bhi zada powerful karti hai, Jaise Yoo-Jung ke paas ek Archery talent hai jis ki wajha se us ke paas Archery wali skills ho gi”


Daisuke ne Yoo-Jung ko daikhte huwe kaha jaise wo use uss ki skills batane ka keh raha ho, Yoo-Jung ne sab ki taraf daikha to sab use he daikh rahe the jis per Yoo-Jung ne dobara apni status window khol li jis ko kholne ka tareeka Daisuke use smajha raha tha.



Yoo-Jung: (Sigh) Enhanced Kyūjutsu!


8562b97e177fafd63bb01f7d86c405b8.jpg



Yoo-Jung ne apni ek skill ke baare me sab ko bata dia, Jis se sab ko wo pal yaad aa gye jab Yoo-Jung bhaagte huwe Arrow Shoot ker paa rahi thi, Uss waqt to sab apni jaan bachane me itne masroof the ke wo iss cheez per dhayan he nahi de sake, Per ab jab unho ne iss baare me socha tha wo Normal bilkul nahi tha.



Daisuke: Bilkul aise he skill hamare talent ko bohat strong buff deta hai jis se hum apni skills use ker sakte hai, Wanhi Abilities Skills se alag alag hai jahan skills Talent per based hai jinhe ap physically use ker sakte ho wanhi Abilities aisi cheeze hai jo physically possible nahi hai jaise Magical powers jis ki wajha se ap Ability users ko Mage bhi keh sakte ho, Ability me alag alag tarha ke Abilities hoti hai for Example Healing Ability, Attack Ability aur Shield Creation Ability, Mostly Players ya to sirf Skill ya phir Ability dono me se ek le sakte hai per kabhi kabhi kuch ke paas Skills ke saath abilities bhi hoti hai.



Isabella: Healing Ability! Meri Status Window per mujhe ye Ability Dikh rahi hai. Aur saath me kuch alag alag skills bhi jo Healing ke liye use ho sakti hai


dfea8830528232f2f4166ade8cf05dd5.jpg

Daisuke: Nice! Hamare paas ek healer bhi hai, Skills aur Abilities aisi hai jo Humans se bohat zada powerful hai per un me ek aur bhi hai Unique Ability users Unique Ability Users Na hone ke barabar hote hai iss liye iss ke baare me hum kuch nahi jaante per iss duniya me mili ek book ke hisaab se ek Unique Ability Millions Dual Skill and Ability Users se zada Powerful hota hai, Un ki Unique Ability un ke ilawa koi possess nahi ker sakta.


Daisuke ne System ki puri Details sab ko bata di jo kisi ke liye bhi hazam karni mushkil thi per wo sab chup the.



Yoo-Jung: Mujhe kuch baate samajh nahi ayi! Jab baki sab ko 30 din ka waqt mila hai to Hume sirf 7 din Kiu? Aur Hume yahan la ker Quest kiu di ja rahi hai?



Yoo-Jung ne dobara sab ko heraan ker dia Time limit per ab tak kisi ka dhayan nahi gaya tha, per ab jab Yoo-Jung ne iss ke baare me pucha to sab aur bhi dar gye.



Daisuke: Time limit ke baare me mujhe bhi kuch nahi pata, Per mujhe jahan tak lagta hai hum sab yahan koi test Subject hai kiu ke main iss jagha ke baare me aur system ko pehle se samjh pa raha hu iss liye shayad system ko hume sab samajhne ke liye waqt dena sahi nahi laga, To iss liye shayad meri wajha se Time limit kam ho gayi hai.



Vansh: Matlab tumhari wajha se hum sab ki zindagi aur bhi khatre me per chuki hai?



Vansh ne gusse se bola wo ab tak apna gussa shant kiye baitha tha per jab use Daisuke yahan kasoorwar nazar aya to wo gusse se ubal para, Lekin wo kuch karta uss se pehle use apne kanhde per Andrew ka haath mehsoos huwa



Andrew: kuch pagal panti mat karna! Iss waqt hamare liye tum se zada zaroori daisuke hai.



Andrew ne Vansh ke kandhe per pakar banate huwe kaha apne kandhe per dard mehsoos ker Vansh Shanti se neeche baith gaya,




*Oowwwoooo*



Ek zordar Howl ne sab ka dhayan Cave se bahir ki taraf kheench lia, Us Howl ke foran baad bahir jo Demon Wolf ke kadmo ke awaze tez hone lagi aur dheeme dheeme dur jati mehsoos hone lagi



Vansh: (Smiles) Lagta hai Demon Wolves hume chorr ker chale gye hai, Hum ab bahir ja sakte hai.



Vansh un awazo ko sun ker bola ab wo wahan se nikal sakte the iss se pehle demon wolves wapis ate.


Daisuke: (Frightened) Pagal mat bano! Ye howl in Demon Wolves ke liye nahi thi, Ye howl Alpha ke liye thi.


“Alpha???”



Sab ke chehre per dar tha jis tarha Daisuke Alpha se dar raha tha wo Sadharan dar nahi tha, Wo Dar se zada khoof tha Alpha ka khoof.


Daisuke: Ek Demon wolf E Rank Azhdaar ko takar dene ke liye kafi hota hai per ek Alpha ki presence me wo E Rank ka Demon Wolf kisi D Rank Beast ke jitna powerful hota hai, Agar iss howl ne Alpha ko yahan bulaya hai to behtar hai ke hum bahir jo bhi chal raha hai uss ke beech me na aye!


Daisuke ki baat sun sab ne ishare se hami bhar li, Wo ek E Rank Normal Wolf se aoni jaan bacha rahe the agar wohi Demon D Rank ke jitna powerful hota to bachne ke chances na ke barabar the.


Aur wanhi ab un ke saath Alpha khud bhi tha jis ke power ka kisi ko andaza nahi tha, Yahan tak Daisuke ko bhi Alpha ke baare me kuch nahi pata tha, Use un books se kuch pata chali thi to sirf ek line.


“For the strength of the pack is the Alpha, And the strength of the Alpha is the pack”


****



[The Demon Alpha Wolf marks you as its enemy.]




[Aarav Arya VS Alpha Demon Wolf]


[You can now see your opponent's status.]

a2ae7d22bb9912a64a470cb756b00fc0.jpg
*Grab*

Aarav ne sword per apni pakar mazboot ker li, Use andaza tha ke wo apni moat ke saamne khara hai per kuch palo ke andar he Aarav ke andar kuch badal chuka tha jahan pehle wo dar raha tha wanhi ab wo calm mind se situation ko ache se notice ker raha tha.


Iss waqt us ka opponent Alpha Demon Wolf tha jis ki power ko us ne abhi daikha tha, Alpha na sirf us se bara aur takatwar tha us ke paas ek power thi jis se wo apne muh se ek beam nikalta tha wo bhi itni powerful beam jis ne Bhaaloo ko cheer dia tha.



Aarav: Mujhe use gussa nahi dilana chahiye! Agar main use Power me nahi hara sakta to main dimagh se kaam lu ga.



Aarav ne ek baar pura plan dobara yaad kia, Wo ab yahan se bhaag nahi sakta tha Battle Stone ke curse ki wajha se, iss liye wo position le ker khara ho gya.


Uss ko yun khara daikh Alpha bhi ready ho gya Aarav apni nazre Alpha per garaye huwa tha per agle he pal Alpha Achanak apni jagha se gayab ho gya, Palak jhapakte he Alpha apni jagha se gayab ho chuka tha.


Aarav ko Alpha apne side se uss ki taraf ata mehsoos ho raha tha per wo react nahi ker paa raha tha Alpha ne 1 pal me ek bari distance ko paar ker lia aur seedhe Aarav ke saamne aa ker apne Claw se Aarav ki haath ko ukharna chaha.



Claws ne Aarav ke kandhe ko buri tarha zakhmi ker dia per Aegis ne zada effect khatam ker dia jis se us ka haath ukharne se bach gaya, Lekin attack se Aarav hawa me kuch feet dur ja gira.



Alpha Aarav se kuch dur khara ho gaya jaise wo Aarav ko dobara khara hone ka chance de raha tha, Per uss ek Attack ne Aarav ko andar tak pura hila dia tha wo wanhi baitha dard se karah raha tha.



Aarav ko uss Attack se ehsaas ho raha tha ke dono ke beech kitna power difference hai, Aarav ko ab apni kismat per hansi aa rahi thi Alpha wolf iss fight ko serious bhi nahi le raha tha wo jaise sirf Aarav ke saath khel raha tha, phir bhi Aarav uss ke saamne weak tha.


*Tip* *Tip*



Aarav ki nazre neeche thi jab use khoon ki boonde neeche girti dikhi, Aarav ne jab khoon daikha to use Ehsaas huwa us ka Jabra toot chuka hai aur ye khoon us ke muh se beh raha hai, Aarav apne haatho per lage us khoon ko daikh ateet ki yaado me khone laga.

e1237ce3edab65c13230b3f7f99c410b.jpg


Aarav ke pita ji ke Antim Sanskar ko 2 din he huwe the jab uss ke pita ji ne jis se karze liye the wo apne paise lene aa gye, wo Aadmi apne 2 beto ke saath Aarav ko ek jagha gher ke khare ho gye apne paise ki wasooli karne ke liye.



Per Aarav jis ne apne pita ji ka antim sanskar bhi Manohar se paise Udhar le ker kia tha wo kahan se 2 Lakh de sakta tha, jab Aarav ne unse waqt mangna chaha to wo gusse se Aarav ko peetne lage Aarav ka badan ke alag alag hisse se khoon behne laga un me se ek ne Aarav ke muh per laat maari to Aarav ke muh se bhi khoon behne laga.


3ae55eeee9e7165425b825078e557827.jpg


Kisi ne Manohar ko khabar ker di to wo bhaagte huwe wahan aa gaya aur un logo ko un ke paise de ker jaane ka keh dia, wo log paise gin ker hanste huwe wahan se chal diye.



Aarav peeche se unhe gusse se ghorta raha wo unhe wanhi pakar ker un se badla lena chahta tha per wo aisa ker nahi sakta tha kiu ke uss ke Anjam ka use andaza tha.


Wo log Aarav ko chain ki zindagi jeene nahi dene wale the agar Aarav un se panga leta to, Aarav ne gusse ke karwe ghoont pee liye per ye sab yanhi khatam nahi huwa karza lene wale ate rahe Aarav un se beizati sehta raha bina koi jawab diye.


Per ab cheeze Alag thi use yahan kisi anjaam ki fikar nahi karni parne wali thi, Uss ke paas ek moka tha Us beizati aur takleef se bane jawale ko shaant karne ka moka, Aarav ne Sword per dobara pakar banayi aur khare ho ker apni shirt se apne muh per lage khoon ko saaf ker lia.

f4669ec771ddef6bc6c3444b98c26130.jpg


Aarav ko dobara khara hota daikh Alpha bhi dobara Attack ke liye ready ho gya aur dobara bhaagne laga per iss baar Aarav apni jagha per bina hile khara raha, Alpha ghoomte huwe Aarav ke side oer gaya aur Uchalte huwe Aarav ke sar per waar karne laga.

947849b6368727f4c0e3b3e4ac581543.jpg
[Skill (Slash) Awakened]

*Swisshhh*


Aarav ne Alpha ko jaise he hawa me mehsoos kia to foran apni Sword se us per Attack kia, Aarav ki speed ek pal ke liye tez huwi Aarav ko Sword ka weight bhari mehsoos huwa uss ki sword ke slash ka Pressure pehle se zada tha, Jis se Aarav Alpha per hit lene me kamyaab ho gya.




Alpha ne hawa me he apni position change ker li jis se wo Apna sar katne se bach gaya per us ke side per ek bara cut lag chuka tha jis se khoon beh raha tha.



*Groowwwrrrr*


Alpha dard se karahne laga use bhi ehsaas ho gya ke Aarav Us se weak zaroor hai per itna bhi nahi ke wo Alpha ko khud se yun khelne de, Sirf ek galti aur Alpha wanhi sar katwaye mara ho sakta tha.



Aarav ke chehre per ek muskurahat aa gayi pehli baar tha jab koi Aarav ko iss nazro aise dar ki nazro se daikh raha tha, Aj tak logo ne use sirf kisi keere ke jaise treat kia tha, Per ab ye badal chuka tha wo kisi ki Ankho me khoof laane me kamyaab ho gya tha.



Ye ek aisi feeling thi jo Aarav ne aj se pehle kabhi mehsoos nahi ki thi, Wo kisi ko dard me daikh ker khush nahi ho raha tha balke iss baat se khush tha ke wo pehli baar apne liye yun kuch ker saka hai, Wo aj kisi Hopeless insaan ki tarha sirf zameen per nahi gira raha.


*Arrggghhhh*


Alpha hawa me mushkil situation me zaroor tha per wo phir bhi Aarav ki gardan per apne claws se Attack karne me kamyaab ho gya tha, Aarav ko uss ki gardan per jalan mehsoos ho rahi thi jaise wahan se uss ki skin jal rahi ho.



Aarav: Mujhe Claws se bhi bach ke rehna ho ga, Ye koi Sadharan Claws nahi hai.



Jahan Aarav apne agle move ke baare me soch raha tha wanhi Alpha gusse se Aarav ko ghoor raha tha, Jis Insaan ko wo kamzoor samajh raha tha wohi uss ko moat ke ghat utarne ke kareeb tha.



Alpha ne khud ko thora peeche kia aur apna muh khol lia, Uss ke muh me wohi beam dobara ikathi hone lagi, Alpha ko ye karta daikh Aarav ghabra gaya.


0ab703862069567a807f8c147f896cca.jpg

Aarav physical Attack ko to seh pa raha tha per iss beam ki power ka use koi andaza nahi tha, Alpha ne us Beam ko Aarav ki taraf shoot ker dia Aarav ne khud ko bachane ke liye side per jump kia per Alpha ne Beam ko us taraf ghooma dia.



Aarav ke paas jab dodge karne ke liye jagha nahi bachi to khud ko bachane ke liye Aarav ne apni Sword ko apne aage shield ki tarha rakh lia.



Tabhi Sword per lage uss Mana Stone ne chamakna shuru ker dia jis ke foran baad Sword ke gird ek Blue Aura phelne laga, Beam Sword se ja takrayi per Sword use rok paa rahi thi.


Lekin uss beam ka pressure itna zada tha ke wo Aarav ko peeche ki taraf push ker rahi thi. Aarav ne Sword ko neeche zameen per ghusa di per wo abhi bhi peeche ko push ho raha tha.



*Clang*



Beam ke pressure se Sword side per ja giri Aarav ne saamne se hatna chaha per Beam Aarav se bohat zada tez thi Beam seedhe Aarav ki chest per lagi, Aarav ki chest ki sab hadiye puri toot gayi Aur wo hawa me urte he peeche ja gira



*Agggghhhhh*


b2b063ae8e5c2f6fd84246acf55a932b.jpg
Aarav dard se chilane laga us ki cheekh itni unchi thi ke uss ka gale se Awaz nikalni band ho gayi, Wanhi Alpha bhi itni zada Beam ko ek saath shoot karne ke wajha se pura Exhaust ho gya tha.


Pehle he bhaaloo se larne ki wajha se wo zakhmi tha aur girne ki kagar per tha wanhi Aarav ke diye zakhm ki wajha se us ki halat aur bhi kharab ho gayi thi per wo abhi bhi apne pairo per khara tha, Per uss ki beam me power bohat kam ho chuki thi jis ki wajha se Aarav zinda bach gaya tha warna Aarav wanhi chaati me ched liye mar jata.



*Grrrrr*



Alpha ne guraya wo Aarav ke saamne abhi bhi mazbooti se khara tha wo Aarav ko apni Power dikha chuka tha, Wanhi Aarav bus dard se karahe ja raha tha uss ke paas uthne ki bhi himmat nahi thi.


Per phir bhi Aarav ne apne haath neeche rakhe aur un per zor daalte huwe apne shareer ko upar uthaya.



*Ahhhh*


Dard ki ek tez lehar uss ke pure shareer me pheli per Aarav ruka nahi wo yun khud ko haara huwa nahi Maan sakta tha, Aarav dobara apni jagha per khara ho gaya us ka pura shareer kaanp raha tha.


Lekin wo us dard ki parwah kiye bina Apni Sword ke paas gaya aur apni sword wahan se utha li aur Alpha ki taraf point ker di, Aarav ke saamne dobara uss ki Health ki window aa gayi.


01da8a84501d43ddf98640e736d8b912.jpg

Aarav apni akhri HP per tha matlab ab uss ke paas waqt nahi tha, Wo kisi bhi lamhe wanhi gir sakta tha per Aarav apni Zindagi ki pehli aur akhri Battle yun haarna nahi chahta tha, Abhi uss ka sirf ek maqsad tha wo tha ye battle jeetna.



Lekin wo iss larayi me zada der tik nahi sakta tha iss liye agla Attack uss ka akhri Attack hone wala tha, Aarav ne apne kadam Alpha ki taraf barha diye aur dheeme un kadmo ko tez karte huwe bhaagne ka roop de dia.



Aarav ko yun talwar liye apni taraf ata daikh Alpha bhi uss ki taraf bhaagne laga per Alpha khud ko kamzoor nahi dikha raha tha wo apni raftaar se bhaag raha tha, Aarav ke kareeb ate he Alpha us ki taraf hawa me uchla.



Alpha ko Attack karta daikh Aarav ne bhi apni Sword se Attack karne ke liye Sword liye position li, Lekin Alpha tak uss ki Sword pohanchne se pehle Alpha ka Attack us per pohanchne wala tha, Aarav Alpha ki speed ko match nahi ker sakta tha iss ka use bhi ehsaas ho gya tha.



*Crack*


Achanak Alpha ke neeche se ek spike tez Raftaar se nikla jis ko Alpha Dodge na ker saka aur wo Alpha ke andar ghus gaya, Alpha wanha hawa me latak gaya aur dard se karahne laga per uss ne Aarav ko nazar andaz nahi kia aur dobara apne muh me beam ikathi karne laga.



Wanhi jab Aarav ne Alpha ko aise daikha to ye uss ke liye best Chance tha wo iss waqt Alpha ko hara sakta tha, Lekin agar wo fail hota to Alpha ki beam uss ke chehre ko cheerte huwe guzar jati.



Lekin Aarav ruka nahi uss ne apni sword per power lagayi aur uss ghooma dia us ki sword Lal rang se chamki aur uss ke saamne ek notification aya.


[Deathly Slash]


3ff8ff4e6f15290dc9ab66fe84f74459.gif

Sword seedhe Alpha ke sar ko us ke dhar se alag karte huwe Aarav ke haath se chut ker du ja giri, Wanhi Alpha ka kata huwa sar zameen per gir gaya.



Aarav: Huh! Main jeet gaya.



Aarav ne khud se kaha wo Iss battle ko jeetne me kamyaab ho gya per us ki HP bilkul khatam ho gayi thi, Wo bhi neeche girne laga girte huwe uss ne side oer daikha to bhaaloo apna haath zameen me ghusaye laita huwa tha, Matlab bhaaloo ne bhi Aarav ki tarha apni akhri power Alpha se jeetne me lagayi thi.



Akhir me dono Alpha ko harane me kamyaab ho gye, Aarav wanhi Alpha ki latki huwi Body ke neeche gir gaya, Uss ka sar upar ki taraf tha jahan use Khayi ke upar kuch Demon Wolves dikhe jo apne Alpha ki laas ko daikh rahe the, Aarav ki ankho ke aage dheeme dheeme andhera chaya aur wanhi band ho gayi.

1426e197415ba4e85c3b01ace5363bd8.jpg
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye wala Update 5K+ Words ka Mega update tha, Aur jaisa main ne pehle kaha main ghar nahi tha to update ko jab bhi thora thora time milta to tab likha hai, Iss Update me kuch parts boring lag sakte hai per unhe ignore mat karna un parts se aage story samajhne me Easy ho ga, Time laga hai per Update per bohat mehnat ki hai, Umeed karta hu ap logo ko update acha lage ga aur agar update acha lage to Like aur Review zaroor dena tab tak ke liye Sayonara!!!]
Update is brilliant someone suggested this story in werewolf brother I'm quite surprised you are doing good job brother
I have only one request and another readers have also same request if you have started this story so please be consistent with story and complete story
 

Damha

𝓗𝓲𝓼𝓸𝓴𝓪
Staff member
Sectional Moderator
20,202
23,112
229
Agar ap kisi Character ko khud naam dena chahte ho to simply mujhe PM ker sakte ho, Aur agar kuch special sugestion ho character related to wo bhi Request ker sakte ho, Request Sirf 20 August tak li jaye gi! :good:
Kuch ideas hai kal tak ju ko batao ga
 
  • Like
Reactions: king cobra

sakuna

Member
272
414
63
UPDATE 12 ~
(A CRAZY NIGHT)


Archana: Vanshika! Sabhi Driver tumhare bhai aur papa ke saath gye huwe hai, Tum akele kaise jao gi?



Aarav ko andaza tha ke ye kon hai, Vansh aur Akash ki behan Vanshika Sayani, Vanshika ke baare me internet per kuch khaas nahi mila tha, Vanshika sirf ek Insta model ke naam se jaani jati thi.



Vanshika (Frustrate): Mom Please! Mujhe jaana ho ga, Meri Zindagi ka sawal hai!



Archana: Lekin akele kaise beta?



Vanshika: Agar koi mere saath chala to theek hai na phir! Let's see unhhhh, Hey Black Shirt!!!




Ab aage.


Sayani Mansion
New York ~ 9:15 PM



Vanshika ka ishara Aarav ki taraf tha jis ne Aarav ka dhayan bhi apni taraf kheench lia, Wo andhere me zaroor thi lekin Aarav apni senses ki wajha se dono kahan khari hai ache se mehsoos ker paa raha tha, Vanshika Garage se baahir ki taraf chalne lagi.



Vanshika ke har kadam ke saath wo andhere se Roshni me aa rahi thi jis se Aarav Vanshika ko daikh paa raha tha, Instagram per 15M Follower ke saath “Angel” Naam se mashoor larki Aarav ke saamne khari thi.


d8574de7afddf83f0e9646771420b08e.jpg

Vanshika ek Child Actress bhi thi jis se uss ki ek Cute image thi sab ke dimagh me, Ussi Image ko abhi banaye rakhi huwi thi Vanshika Urf Angel, Jis ko daikhne ke liye log apni zindagi dao per lagane tak ke liye ho jate the, Wo Larki Aarav ke saamne khari thi.



Vanshika ne khud per bohat dhayan dia tha, Shareer ka har kona jaise khud tarasha ho chehre per aisi innocence jo sakht se sakht dil bhi pighla de, Grey ankho me wo chamak jis Vanshika puppy face bana ker Fans ke dil me raaj karti thi.



Vanshika: Batao Maa! Agar ye wala mere saath jaye tab to permission de do gi na.


Archana: Nahi!


Vanshika: Ab kiu? Ap ne he to kaha ke ap mujhe akeli nahi bhejo gi! Ab kisi ke saath to jaane do.



Vanshika apne haatho ko gusse me baandh ker muh fulate huwe boli, Iss me koi shak nahi tha ke log uss ki masomiyat me pighal jate the-



Archana: Bilkul bhi nahi! Uss ke 2 reason hai, Pehla tumhare Baba ne kuch dino ke liye kisi ko bhi raat ko baahir jaane se Mana kia hai, Aur dusra Reason jis ko tum apne saath le jaane ka keh rahi ho wo abhi Yahan naya hai Aarav ko yahan ke baare me kuch bhi nahi pata.



Vanshika (Puppy Face): Lekin Mom mujhe kal ke liye wo notes chahiye! Please main zada Samay baahir nahi rahu gi, Jaldi se jao gi aur Notes le ker waapis aa jau gi, Kal ke liye important hai wo Notes.


Vanshika apne nichle hont ko baahir nikal puppy face banate huwe boli, Aarav jo abhi bhi sab kuch samajhne ki koshis ker raha tha uss ke dil ki dharkane bhi tez ho gayi.



Archana (Smile): Your puppy face will not work on me! Agar important hai to Akash se keh do wo wapis ate huwe Pick ker le ga Tumhare liye unhe.



Vanshika (Frustrate): Ughhh, Fine! Main subha le lu gi unhe, Bohat buri ho ap.



Vanshika bolte huwe pair patakte huwe andar ki taraf bhaag gayi, Koi bhi nahi keh sakta tha ke ye larki 19 ki hai harkato se abhi bhi bachi thi, Aarav uss ko jaate huwe peeche se daikhta raha.


Archana: Uss ki fikar mat karo! Uss ka roz ka hai, Tum ne abhi tak kuch khaya nahi ho ga aoo mere saath main khana deti hu tumhe.



Aarav: Thanks! Lekin main Urvi ko daikh lu 1 baar.



Archana: Haan zaroor! Waise wo khana kha ker Araam ker rahi hai, Main ne Julia se keh dia hai wo aj raat uss ke paas ruke gi, Tumhare liye saath wala kamra khol dia hai.


Aarav shukriya kehte huwe wahan se Quarter ki taraf chala gaya, Darwaza khula he huwa tha to wo seedha andar chala gaya, Aarav abhi pehli baar Quarter ke andar aya tha chota tha lekin sab facility ke saath pyaara quarter tha.



Har Quarter me 2 Bedroom the aur 1 Kitchen aur Bathroom tha, Aarav aur Urvi ko pura Quarter dia gaya tha-



Aarav andar bedroom me gaya to wahan bhi darwaza halka khula huwa tha, Aarav ne usse khol ker andar daikha wanha neeche zameen per Julia ek Mattress rakh ker uss per baithi book parh rahi thi koi, Urvi bed per laite Soo rahi thi.


Julia: Master Aarav! Kuch chahiye kia ap ko?


Master shabd sunte he Aarav ko apne andar awkward feel hone laga, Thora Cringe bhi feel ho raha tha lekin khushi bji ho rahi thi, Pehli baar usse kisi ne Master kaha tha.



Aarav: Kuch Nahi! Main sirf Urvi ko check karne aya tha, Daikh lia hai ab main chalta hu.



Aarav Julia mo Araam karne ka keh ker baahir aa gaya, Archana ne usse khane ke liye bulaya tha to Aarav Main House ki taraf jaane laga-


*Vrooom*



Abhi Aarav raaste me he tha ke usse Car ke engine ki awaz ayi, Awaz thi to halki lekin Aarav ki high hearing ki wajha se wo usse sun paa raha tha, Aarav ne usse Ignore karna chaha lekin phir kuch soch ker wo daikhne chala gaya.




Main Gate khula huwa tha jahan 1 Car khari huwi thi, Aarav ne dhayan se daikha to Usse Car me Vanshika baithi dikhayi di, Archana ne Aarav ke saamne Usse Manna kia tha saaf tha ke wo chup ker ja rahi hai.



Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke ab wo kia kare Archana ko batane ka waqt nahi tha, Aur agar Aarav kuch na karta to Vanshika akeli chali jati.



Aarav: Baad me daikha jaye ga! Abhi main wo karu ga jo karna chahiye.



Aarav tezi se bhaagte huwe Car ke baahir nikalne se pehle uss ke paas chala gaya, Vanshika bhi aise Aarav ko daikh Car ko rok deti hai.



Vanshika: Hey! New Guy, Yahan kia ker rahe ho?



Aarav: I'm sorry to be Rude! but could I ask where you're going?



Vanshika (Gazing): Aur tumhe uss se kia matlab?



Vanshika jo kuch Minute pehle he Apni Maa ke saamne Masomiyat bhari harkate ker rahi thi Achanak uss ki awaz me ek Teekha pan aa gaya tha.



Aarav: Meri jagha banti to nahi hai kehne ki! Lekin Adarsh Sir ke bohat Ehsaan hai mujh per, Main aise ap ko akele nahi jaane de sakta.



Vanshika: Fine! Get in the car.



Aarav (Confuse): Wait! What?



Vanshika: Tum ne he kaha na ke mujhe akele nahi jaane do gye! To theek hai mere saath aa jao, Agar nahi ana to mere raaste se hat jao.



Aarav herani se Vanshika ke confidence ko daikh raha tha, Wo puch nahi rahi thi Faisla suna rahi thi Aarav ko khamooshi se khara daikh Vanshika ne Car ko halki Race de di.


Aarav saath jaana to nahi chahta tha lekin wo Vanshika ko akele bhi nahi jaane de sakta tha, Peeche Guard khara unhe daikh raha tha Majbooran Aarav ko Vanshika ke saath baith gaya.




Aarav (Sigh): Huh, I'm Gonna regret this!



****


Vanshika's Car
~ 9:56 PM




“Hum ja kahan rahe hai?”



Aarav ne teesri baar ye pucha tha lekin pehli 2 baar ki tarha khamooshi se mila usse, Aarav ko ab fikar hone lagi thi ke agar kuch galat ho gya to uss ke paas aya apni Zindagi savarne ka 1 moka bhi barbaad ho jaye ga-




Vanshika: Pohanch gye hum!



Vanshika ne Car ko side per lagaya aur baahir nikal gayi, Aarav bhi uss ke peeche baahir aa gaya saamne ek bara ghar tha jahan se music ki tez awaze baahir aa rahi thi, Andar House Party chal rahi thi-



Aarav: Hum yahan party karne aye hai?



Vanshika (Nod): Yes!



Vanshika tab se ab tak sirf 1 shabd boli aur bol ker andar ki taraf chal di, Aarav ko yaqeen nahi ho raha tha ke wo kisi ki party ki khaatir itna kuch kare ga, Ab Aarav ke paas koi Choice bhi nahi thi wo Vanshika ke peeche andar chala gaya.


2323c9d459fb8a58023a9d63960a42e5.jpg
0c80c15bb78e03caa0e4234f062c3e9e.jpg

Ghar ke baahir he Aarav ko log dikhne shuru ho gye, Kuch baate ker rahe the to kuch apne haatho me glass pakre khare huwe the, Aarav andar chala gaya saamne to duniya he alag chal rahi thi.



Sab Music per Naach rahe the kuch akele to kuch apne couple ke saath, Aarav pehli baar aisi kisi jagha per aya tha har taraf teenager's drink pee rahe the to wanhi kuch ek dusre se lipte pyaar ki nadiyo me doobe huwe the.



Aarav ne sab ko ignore ker ke Vanshika per dhayan dete huwe uss ke saath chalta raha, Vanshika ek table per baithi ek larki ke paas chali gayi.



“Guys the Angle is here”


“Wohooo”


Vanshika ko daikhte he 1 larke ne kaha to sab shor machane lage, Vanshika ne haath hila ker Hi kaha aur sab waapis apne maze me lag gye.



Vanshika: Kahan hai wo, Lydia?



Vanshika ne aage jate he seedhe pucha to saamne baithi Lydia ne Stairs ki taraf ishara ker dia, Vanshika ne ek upar ki taraf daikha aur Lydia ke haath se uss ki drink kheench ker ek saans me puri pee li.



Vanshika: Main upar ja rahi hi! Can you keep her busy for me?



Vanshika ne Aarav ki taraf ishara karte huwe kaha, Lydia apni nasheeli ankho se Aarav ki ankho me daikhne lagi uss ke honto per muskurahat aa gayi.



Lydia (Smile): Leave it to me!



Vanshika upar ki taraf jaane lagi to Aarav bhi uss ke peeche jaane ke liye aage barha lekin Lydia ne Aarav ki kalai ko pakar lia, Aarav ne Lydia ki taraf daikha to wo lalchai nazro se Aarav ko daikh rahi thi.


8ea0b7cfb7b7b84f7f1622c18008a007.jpg

Aarav: Please, Let me go!


Aarav ne apna haath churana chaha per Lydia pehle he Apni jagha se khari ho ker Aarav ke saamne aa gayi, Apne haath ko Aarav ki chaati per rakh Aarav ko peeche dhakailne lagi.



Lydia zada zor bhi nahi laga rahi thi lekin Aarav resist bhi nahi ker paa raha tha, Peeche le ja ker Lydia ne Aarav ko ek sofe per gira dia aur chehra uss ke paas le ja ker uss ke kaan me apni garam saanse chorte huwe dheeme se boli.



Lydia (Seductive): why are you in such a hurry! Let's have some fun.



Lydia Aarav ke kaanse peeche hote huwe uss ke saamne ho gayi, Dono ka chehra ek dusre ke kareeb tha Aarav wahan se nikalna chahta tha lekin uss ki body uss ka saath nahi de rahi thi.



“Well Well, Look what we have here!”



Lydia kuch aur karti ke wahan kuch aur larkiya bhi wahan aa gayi, Lydia ne muskurate huwe un ki taraf daikha.



Lydia: Hey, Veronica!



Veronica: Hello, Lydia! Oh my god, Who is this Handsome Devil?


Veronica ne jaise he Aarav ko daikha wo Lydia kl chirhane ke liye uss ki taang kheenchne lagi, Lekin Tutorial tower se waapis ane ke baad sach me Aarav ke andar ek charm aa gaya tha, Uss ki body Tight ho gayi thi uss ki skin aur bhi fresh ho gayi thi Jis se Aarav ki look he badal chuki thi.



Lydia: He is with Vanshika! He is busy upstairs, You know what i mean? I'm just looking after her guest here.


Lydia ki baat sun teeno ek dusre ko daikh ker hans di, Aarav ko bhi fikar hone lagi ke Vanshika kanhi kisi Mushkil me na ho, Aarav ne dobara khare hona chaha to Lydia ne dobara usse dhaka de ker baitha dia.



Lydia: And where do you think you are going?


Lydia Aarav ki goad me uss ki taraf chehra ker ke baith gayi, Aarav ki halat kharab hone lagi Usse aisi situation ka kuch experience nahi tha, Agar wo zabardasti utnna chahta to Lydia neeche gir jaati jo wo chahta nahi tha.


56e28e599e9b5016853c839f724318a7.jpg

Lydia (Blush): Uhmmm, Aarav! Something is poking me down there.



Aarav ka pura chehra Sharmidgi se laal hone laga, Chahe jitna bhi control ker le tha to wo ek Mard he na aisi halat me kis ke Armaan na jaage, Aarav ne uthna chaha to kisi ne uss ke kandhe ko pakar lia.



Veronica: Don't worry, we won't tease you!



Veronica ne Aarav ko wanhi baithate huwe kaha, Veronica Aarav ke peeche khari thi to baki dono Larkiya uss ke dono side per baith gayi, Aarav ko sharmata daikh unhe maza aa raha tha.



Lydia ne bhi apni gaand halki halki hilani shuru ker di jis se Aarav ka chota sultan puri salami dete huwe khara ho gaya, Aarav apne haatho ko control ker raha tha ke wo kanhi Galat jagha na chale jaye.



Lydia (Whisper): Don't be Embarrassed!



Veronica: We have to do something about your shyness.



Veronica Ki baato se lag raha tha ke wo koi shetaani khurafat soch rahi hai, Aarav ko chorr Veronica wahan se gayi aur beer ki bottle utha layi.



Aarav: Hey! I'm not a Drinker.


Aarav ne Veronica se kaha lekin wo Aarav ki baato ko ignore ker rahi thi, Veronica ne ek bottle kholi aur Aarav ko peelani chaahi per Aarav ne apna muh ghooma lia.




Veronica puri koshis ker rahi thi lekin Aarav bilkul bhi peena nahi chahta tha, Abhi usse Vanshika ke paas bhi jaana tha.


Lydia: Give it to me!



Lydia ne Veronica ke haath se bottle pakri aur usse peene lagi, Bottle se drink uss ne apne muh me bhar li lekin pee nahi, Aarav ko bhi samajh nahi aa rahi thi ke wo karna kia chahti hai, Lydia ne Aarav ke sar ke peeche haath daala aur jhatke me usse aage kheenchte huwe uss ke hont apne honto se jor liye.

b5fddf9f5d9ba692310243d0ddc17569.gif


Aarav ke hont apne ap khulte gye aur Lydia ke muh se beer Aarav ke andar jaane lagi, Lydia apni gaand aur zor se Aarav me lund per matkani lagi, Wanhi baki larkia usse cheer ker rahi thi.



“Lydia, Lydia, Lydia”



Daikhte he daikhte wahan log ikathe hone lage, Lydia ne Aarav ko apni bahon me bhar lia tha-


*Cough* *Cough* *Cough*


Shur me to Aarav ko mehsoos nahi huwa lekin jaise he beer ka taste Aarav ke muh me aya Aarav ki halat kharab ho gayi, Uss ne Lydia ko sofe ke side per dhakel dia aur wahan baitha khaansne laga.



Lydia ne pehle he bohat pee huwi thi jo ab usse madhoosh ker rahi thi, Aarav chance milte he wahan se khara ho ker bathroom ki taraf bhaag gaya-



*Ughhh*



Bathroom me jaate he Aarav ne ulti ker di, Uss ne aj tak Alcohol ya Smoke ko haath bhi nahi lagaya tha, Aarav apne chehre per paani maar ker khud ko seeshe me daikhte huwe lambe lambe saans bharne laga.



Aj tak Aarav ne kabhi kisi larki per dhayan nahi dia tha, Uss ke liye uss ki zindagi ka 1 he maksad tha apni behan ko ek achi life dena, Pehli baar koi Aarav ko itni importance de rahi thi.




Aarav ko khushi mil rahi thi lekin wo dar bhi raha tha, In chamak me kanhi wo apni zimedariyo ko na bhool jaye, Aarav yahan maze karne nahi aya tha kaam karne aya tha.



Aarav ka chota sultan abhi bhi puri salami dete huwe khara, Aarav ne usse Adjust kia aur khud ko fresh ker ke baahir aa gaya, Sab waapis Music ki dhun me jhoomne lage the.


Aarav bina kisi ki nazro me aye upar ki taraf chala gaya-


“Vanshika ye itni bari baat nahi hai jitni bari tum isse bana rahi ho!”



“Itni bari baat nahi hai! Neel tum mere peeche ye sab ker rahe ho, Jab ke hum ne sab kuch decide ker lia tha, Aur tum keh rahe ho ye bari baat nahi hai”



Aarav abhi akhri Stair per he tha ke usse upar se jhagarne ke awaze ane lagi, Aarav tezi se upar chala gaya, Wahan kuch larke khare huwe the jinho ne Aarav ko peeche he rok dia.



Aarav ne saamne nazre ghoomayi ek kamre ke baahir 2 larkiya sirf bedsheet ko apne upar lapete khari huwi thi, Wanhi Vanshika ek larke se behas ker rahi thi, Baato se Aarav ko pata chal gaya ke larke ka naam Neel hai.




Vanshika (Yelling): Tumhe pata bhi hai mujhe in sab se kitni nafrat hai! Lekin tum phir bhi yahan In sluts ke saath Gulchare ura rahe ho.



Larki: Hey, Mind your Language!!!



Vanshika: Shut the Fuck up, Bitch!!!



Vanshika ne garajti nazro se larki ko daikhte huwe kaha to uss ki bolti band ho gayi, Lekin Neel ko gussa ane laga tha.



Neel: Problem kia hai tumhe? Tum to aise behave ker rahi ho jaise tumhari family bohat achi ho! Tumhara apna bhai Vansh har raat nayi larkiyo ke saath raate rangeen kare uss se tumhe farak nahi parta, Phir mere kuch karne se kiu tumhe Problem ho rahi-



*Chataak*



Neel abhi bol he raha tha ke Vanshika ne ek zordar thapar Neel ke chehre per jhar dia.



Vanshika: Mujhe farak nahi parta ke Vansh kia kare! Lekin uss ki wajha se main koi baat nahi sunu gi.



Vanshika gusse se bol rahi thi Vansh ka naam ate he uss ke chehre per ghin aa chuki thi, Wanhi Neel thapar khaane ke baad gusse me aa chuka tha.



Akhir uss ke dosto ke saamne uss ko thapar laga tha, Wo kaise aisi beizati seh sakta tha uss ke sabhi dost usse he daikh rahe the, Neel ne aage barh Vanshika ke dono haath pakar ker peeche dewar per upar ker ke pakar liye.


Dusre haath se uss ne Vanshika ke gaalo ko pakar ker daba dia, Vanshika chutna chahti thi lekin Neel ki takat ke saamne wo kuch nahi ker paa rahi thi.



Neel: Behan ki laudi! Tujhe kia lagta hai apne baap ke naam ki wajha se kuch bhi kare gi aur kou tujhe kuch nahi kahe ga, Aj tujhe batata hu teri Aukat kia hai inhi randiyo ke saath tujhe chodu ga aur tera ghamand to aisa tor-




*Bam*



Abhi Neel bol he raha tha ke ek Zodar punch uss ke muh per laga aur wo hawa me urte huwe peeche dewar se ja takraya aur neeche gir gaya, Vanshika ne saamne daikha to Aarav uss ke saamne khara huwa tha.



Aarav ke knuckle per Neel ke muh se nikla khoon laga huwa tha, Sirf 1 Punch me neel hosh khone ko ho gya tha, Uss ke wahan khare dosto ko kuch bhi samajh nahi ayi abhi jo larka un ke peeche tha ab wo un ke saamne khara tha.



Un ki buri tarha phat chuki thi, Aarav ne peeche Vanshika ki taraf daikha to wo muh khole Aarav ko daikh rahi thi-



Aarav: Hume Yahan se nikalna ho ga.


Neel ke dost neeche ki taraf bhaag gye the lekin wo wapis aa sakte the, Aarav ne Vanshika ka haath pakar ker usse le jana chaha to Vanshika ne apna haath chura lia.



Vanshika (Smile): Ruko! Main ye golden opportunity miss nahi ker sakti.



Vanshika ne apna Mobile nikala aur wanha behoosh gire huwe Neel ki tasveere lene lagi, Neel ke muh se khoon beh raha tha lekin wo halke hosh me tha.



Vanshika: When you mess with me, that's what you get!!!



Vanshika apni middle finger dikhati huwi wapis aa gayi, Aarav ne uss ka haath dobara pakra aur usse le ker neeche ki taraf bhaaga, Seediyo ke neeche he larke un ko pakarne ke liye tayar khare huwe the.




Aarav ne Vanshika ka haath choora aur wanhi upar se jump lete huwe apna ghutna sab se aage wale larke ke muh per maar dia, khare hote huwe Aarav ne neeche se dusre larke ki chin per punch maar dia jis se wo seedhe table ker upar gir gaya.



Aarav: Chalo Vanshika!



Aarav ne wahan se nikalna chaha per ek larke ne Aarav ko peeche se pakar lia aur apni bahon me zor se jakar lia, Aarav koshis ker raha tha lekin wo uss larke ki pakar se chut nahi paa raha tha.



Aarav: What the Fuck!



Aarav ki strength pehle se double thi lekin phir bhi wo uss larke ki pakar se nikal nahi paa raha tha, Wo 6 Foot ka ek Mazboot Shareer ka larka tha daikh ker he lag raha tha ke wo apne din ka zada waqt Gym me rehta hai.





[Unique Ability (Will to live) Activated]



[Current Progress (9.6%)]


[Fear Decreased -100%]


[Endurance Increased +32]


[Intelligence Increased +32]


[Strength Increased +32]


[Stamina Increased +32]


[Agility Increased +32]


[Sense Increased +5]


[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]





*Crack*


Aarav ki ankho per laga lens Toot ker ankho se baahir gir gaya, Aarav ki chamakti Neeli ankhe sab ki buri tarha phaar rahi thi, Aarav ne zor lagaya to iss baar wo easily uss larke ki pakar se nikal gaya.



Uss larke ka haath pakar ker Aarav usse hawa me indradhanush ki tarha ghoomate huwe neeche patak deta hai-



Aarav: Sorry Buddy!



Aarav ne Vanshika ki taraf daikha to wo Aarav ko khoof ki nazro se daikh rahi thi, Aarav ko jaise he Apni ankho ka ehsaas huwa wo apne haatho se apni ankhe dhakne laga.



Aarav: Fuck!


Aarav ko wahan sab ke dar ki wajha samajh aa rahi thi, Kisi monster ki tarha pehle to wo logo ko utha utha ker patak raha tha aur upar se uss ki chamakti ankhe, Aarav apne senses per focus ker bina ankhe khole wahan se nikalne ki soch raha tha.



Ek haath ne Aarav ka haath thama aur usse le ker bhaagne laga, Aarav ne ankhe kholi to wo Vanshika thi jo Aarav ka haath pakre uss ko le ker bhaag rahi thi, Jahan sab log dar rahe the wanhi Vanshika Aarav ko apne saath le ker bhaag rahi thi.



Vanshika ke chehre per dar tha lekin wo apne dar se lar ker Aarav ke paas ayi thi, Wo larka bhi dobara khara ho ker un ke peeche bhaaga, Vanshika ghar se baahir aa gayi aur apni Car ki taraf bhaagi.



Vanshika: I forgot the key inside the house!



Vanshika apne purse me daikhte huwe boli, Wo larka bhi baahir aa gaya tha Vanshika dobara Aarav ko le ker side per bhaagne lagi kuch aage jaane ke baad he ek turn per ghoom ker unhe ek choti gali dikhi, Vanshika Aarav ko ler ker Andar chali gayi.



Gali bohat choti thi jahan per 1 waqt pwr sirf 1 Insaan guzar sakta tha, Vanshika Aarav se chipak ker khari ho gayi un ke beech hawa ke jaane ka raasta bhi nahi tha, Andhere ki wajha se unhe koi daikh nahi paa raha tha.




Vanshika (Whisper): Tum kaanp rahe ho!



Vanshika ke point karne se Aarav ko ehsaas huwa ke wo kaano raha hai, Uss ki ankhe abhi bhi chamak rahi thi iss liye wo unhe band ker ke khara tha.



Vanshika: Tumhe dar rahe ho?



Aarav ne gehra saans bhara, Wo dar he to raha tha jab se wo Waapis aya hai usse dar lag raha tha, Dar ke jaise uss ne apni galti se Andrew ko khoya tha waise kisi aur ko na kho de, Baahir se to Aarav shaant tha lekin andar uss ke emotions ka tofaan bana huwa tha.




Aarav ko apni ankho ki wajha samajh aa rahi thi, Ye Alpha ki ankhe thi jo larte waqt chamakti thi, Aarav ko dar tha ke kisi waqt bhi kuch bhi ho sakta hai jis ki wajha se uss ki ankhe har waqt larne ke liye tayar thi.




Vanshika: Agar tumhe dar lag raha hai to tum keh sakte ho ke tumhe dar lag raha hai!



Vanshika ki awaz me chinta thi, Ke raat me he Aarav ne 3 alag alag Vanshika ke roop daikhe the Masomiyat, Gussa aur Parwah.



Aarav: Nahi bata sakta! Nahi keh sakta ke kitna toota huwa hu andar se main, Agar main he toot gaya to Bakiyo ko kon sambhale-



Vanshika ne beech me he Aarav ko chup karwa dia aur Aarav ko hug ker lia, Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke ab Vanshika ko kia ho gya hai, Lekin Vanshika chup khari Aarav ke baalo me haath phera rahi thi.



Vanshika: Tum toot sakte ho! Agar dard ho to tum roo bhi sakte ho, Emotions ko andar kaid karne se wo khatam nahi hote balke andar he andar Tumhe kha jaye gye.



Vanshika ka har shabd Aarav ki atma ko chu raha tha, Vanshika ko Aarav ki situation ka pata nahi tha lekin uss ke shabdo me ek jadoo tha jo Aarav ko shaant ker raha tha



Vanshika: It's okay to cry when there's too much on your mind, The clouds rain too when things get heavy.


****


The Black Pearl Restaurant
New York ~ 10:34 PM




Restaurant me sirf ek table per6 log baithe huwe the, Jin me se 1 tha India Intelligence Bureau ka Joint Director/Advisor Dineshwar Sharma jis ke saath 4 Officer bhi aye the, Karunesh Singh jo India ke bare businessman me se 1 tha wo bhi wanhi un ke saath baitha huwa tha, Host Akash tha jo un ke saath baitha Khana kha raha tha.



Karunesh (Smile): Umm! Aj tak sirf suna tha yahan ke 7 Course Meal ke baare me, Lekin aj lag raha hai ke sach me itni tareefe deserve karta hai ye meal.



Karunesh ne alga chamach muh me daalte huwe kaha, Akash ne halki smile de di aur waapis apne khaane per focus karne laga.



Dineshwar: Hum yahan sirf khana enjoy karne nahi aye! Weapon ki kia update hai?



Akash (Smile): Hmm! Weapon mere paas aa chuka hai, Main ne use try bhi ker lia hai aur sach me bohat kamal ka hai wo.



Akash ke khaate huwe haath ruk gye aur wo kuch soch soch ker khush hota ja raha tha, Dineshwar ko acha nahi lag raha tha ke uss ke wahan hote huwe bhi Akash apni sochi me gum hai.



Dineshwar: Yaad rakhna akhir me wo hamara Weapon he ho ga! Sirf aur sirf Karunesh ke kehne per hum ne usse India se baahir jaane dia hai, Waise bhi report mil chuki thi uss ki Intelligence ko sirf 3 maheene ke liye hai tumhare paas wo February hote he usse lene hum khud aa jaye gye.



Dineshwar apni Awaz me ek wazan rakh raha tha jis se wahan sab pressure me aa rahe the, Lekin Akash abhi bhi Dineshwar per zada dhayan nahi de raha tha-



Karunesh: Arrey, Dineshwar! Abhi ye baate kiu ker rahe ho? Abhi hum yahan meri Aur Akash ki Company ke beech collaboration ki baat karne aye hai yahan, Baki baate baad me ker lena waise bhi Akash apni deal se phire ga nahi, Mil jaye ga tumhara Weapon tumhe.



Akash: Galat keh rahe ho tum Karunesh! Deal me kuch changes hai, Mujhe weapon pasand aa gaya hai aur ab wo mere paas se kisi aur ke paas nahi jaane wala.


Akash ne bina kisi reaction ke seedhe seedhe keh dia, Dineshwar aur Karunesh kuch pal Akash ko muh khole daikhte rahe, Lekin Dineshwar ko gussa aa chuka tha uss ne apna haath table per zor se maar dia.



Dineshwar (Yell): Ye kia bakwas kiye ja rahe ho! Tujhe kia lagta hai ke tu kahe ga aur hum maan jaye gye? Meri baat maan le, Don't put yourself in Danger.



Karunesh: Ruko Dineshwar! Akash ki baat ka kuch aur matlab ho ga, Aisa he hai na Akash? Sahi se samjhao kia kehna chahte ho?



Akash: Sahi se he bataya hai! I'm Sorry, That Deal's now off the table!!!



Dineshwar: Dobara soch le Akash! Tu Intelligence ke khilaf ja raha hai, Iss ka ant acha nahi ho ga.



Dineshwar apne gusse ko andar rakhne ki koshis ker raha tha, Wanhi Akash Dineshwar ki Threats ko ignore ker ke usse aur bhi gussa dila raha tha.



Akash: Aj se 3 Saal pehle main iss Restaurant me khana khane aya tha! Yahan se baahir ka Nazara aur special 7 Course Meal mujhe pasand aa gaya, Owner se main ne restaurant mujhe baichne ko kaha lekin usse Restaurant se kuch zada he pyaar tha, Lekin mujhe bhi Restaurant se pyaar ho chuka tha mere raaste me tha sirf wo Owner, Ek raat jab wo Owner ghar ja raha tha raaste me ek Accident me uss ki moat ho gayi, Ab jab Owner beech me nahi tha to main ne uss ke bete se ye restaurant khareed lia.



Akash ne pehli baar apni nazre utha ker sab ki ankho me ankhe daal ker daikha, Sab ke rongte khare ho gye sab ko samajh aa rahi thi ke wo Accident koi Accident nahi tha.



Akash: Aur iss baar mere Weapon aur mere beech me tum sab log ho!!!



Dineshwar: Aisi khokli dhamkiyo se nahi darta main! Tere jaise lakho ko khatam karne ki takat rakhta h-


*Bang* *Bang* *Bang* *Bang*


Ek saath 4 goliye chali aur Dineshwar ke saath aye chaaro log table per gir gye, Un ka Sar peeche se phata huwa tha Dineshwar ne peeche daikha to Saamne Barbie khara huwa tha Dineshwar per Apni Gun se Aim kiye.

b95ab86103e27748f77d9da6ea645d5d.jpg

*Click* *Click*



Barbie: Fuck! Phir se magazine bharni bhool gaya.



Dineshwar: Y-Ye kia kiya tum ne?


Dineshwar ki awaz uss ke gale me phans rahi thi, Usse bilkul Andaza nahi tha ke Akash iss had tak chala jaye ga, Wanhi Karunesh apni zindagi me Pehli baar kisi ki laash ko daikh raha tha, Uss ki puri body Numb ho chuki thi.



Akash: Kia huwa? Awaz kiu ruk gayi tumhari? Tumhe ye to nahi laga tha ke yahan sirf baate ho gi? Yahan Deal's baato se nahi Gun se hoti hai, Welcome to America Baby!!!



Dineshwar (Frightened): Mujhe maar ker bache ga nahi tu! Agar 1 ghante me main ne apni safety ka na bataya to puri intelligence force tere ghar ke baahir ho gi kal!!!




Dineshwar ne akhri dhamki dete huwe kaha, Atma uss ki bhi kaanp rahi thi lekin wo khud ko kamzoor dikha ker shikar nahi ban'nna chahta tha, Wanhi Akash lasho ke beech baitha dobara apna khana khane laga.



Akash: Yahan tu Officially nahi aya! Yahan tum sab ke ane ka sirf kuch logo ko pata hai, Jin ko mere Admiyo ne pehle he sambhal lia hai Airport se yahan tak tum logo ko mere Drivers choori ki gaariyo me laye hai to agar main yahan tum sab ko maar bhi du to mujh per kisi ko shak nahi hone wala.



Akash ne ek aur Card phenk dia, Dineshwar ki ab sabhi umeed khatam ho chuki thi, Ab uss ke paas sirf 1 he Option tha Dineshwar ne apna haath neeche le ja ker tezi se apni gun nikal ker Akash per chalani chahi.

1c57660664e55c1e1409dca64feb6cb9.gif

*Bang*


Barbie ne Dineshwar se pehle Goli chala di jo Dineshwar ke khopre ko torte huwe uss ke sar me ghus gayi aur Dineshwar wanhi mar gaya, Ab sirf Karunesh bacha tha wo bhaagte huwe Akash ke Pairo me gir gaya.



Karunesh (Crying): Mujhe mat maarna! Mere chote chote bache hai! Main wada karta hu tere kisi plan ke beech me nahi aoo ga.



Akash ne apna khana khatam kia aur Tissue se apna muh saaf ker ke Wine utha li aur wahan se uth ker ek sofe per ja baitha, Karunesh bhi neeche raingte huwe Dobara uss ke pairo me aa gira.


6b0bcefab78eede309de945ce6039fba.jpg

Karunesh: Sirf 1 moka!


Akash: Jo apne bhateeje ka na ho saka Uss per kaise yaqeen karu main? Kitna Yaqeen tha Uss Veer ko tujh per, Lekin tu kisi kutte ki tarha jahan khud ka munafa dikha wahan jeeb nikal ker baith jata, Ab jab baat khud ki zindagi ki ayi hai to kaise gir gira raha hai.



Akash ne Karunesh ke baal pakre aur uss ka upar utha dia, Karunesh ki ankho me khoof tha-


Akash: Don't play with fire if you can't handle the flame.



*Slash*



Wanhi ek Knife se Akash ne Karunesh ka gala kaat dia, Karunesh apna gala pakar khoon rokne ki koshis karne laga lekin Khoon rokna uss ke liye Na-Mumkin tha, Wo zameen per kis Bin-Paani machli ki taraha tarapta raha aur wanhi apna dum tor gaya.



Akash ne apna haath saaf kia aur dobara wine ka ghoont bhar ker Baahir sehar ka nazara daikhne laga, Barbie uss ke saath aa ker khara ho gya.

e56ac6ed7ad8191a0bfb868d897f0c5e.jpg

Akash: Kitna strong tha wo?



Barbie: Main ne apni kisi Ability ya Skill ko Use nahi kia tha! Abhi wo mujh se kamzoor hai, Lekin aage chal ker wo bohat Powerful ho ga shayad baki Player's se bhi zada.



Akash ke chehre per muskurahat aa gayi, Wo Apna haath aage ker saamne ke nazare ko apni muthi me band karne laga-




Akash: Aarav! Main kisi bhi buri parchai ko tujh per parne nahi du ga, Tu sirf mera hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, 6K Words ka update hai iss me per Character personality built huwi hai to Update ko dhayan se parha jalbaazi me mat parhna, Agar is update per 30 Likes huwe to Next update Thursday ko aye ga, Milte hai agle update per Sayonara!!!]
Bhai update ko werewolf brother ki story se merge Krna hai kya veer karunesh dono ko jod diya
 
  • Like
Reactions: king cobra

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,924
189
Bhai update ko werewolf brother ki story se merge Krna hai kya veer karunesh dono ko jod diya
ittefaq hai bas kyuki writer jo hain wo werewolf bhai ko nai jante hain aisa unhone bataya ek comment par ab kai sare naam mach ho rahe lekin story alag hai ishiliye padhiye kuch naya mil raha hai to
 
  • Like
Reactions: sakuna

_ABHAY_Smarty_

Ne dis jamais que je t'aime
5,501
7,279
189
UPDATE 22
(BEYOND THE HORIZON)


Darkvale Forest ~
84 Hours 32 Minutes Remaining


*Sshhhrrrr*



Aarav Khali ankho ke saath kadam aage barhata ja raha tha, Uss ke haath se Ki Blade neeche zameen se lagte huwe uss phaarte huwe aage barh rahi thi, Aarav ki nazre Kabhi Yoo-Jung to kabhi Shadow ke kate huwe sar ki taraf jaati.



Aarav ne apni nazre upar karte huwe apne saamne khare Orc King ki taraf daikha, Orc King chehre per ek ghinoni muskan liye Aarav ko daikh raha tha, Aarav ki ankho me gussa bharne laga.



[Alpha Authority Activated]

[Unique Ability (Will to live) Activated]

[Beast Transformation (Wolf Claws)]



Aarav ne kehar bhari nazro se Orc King ki taraf daikha, Orc King ke chehre aur bhi khusi aa gayi jaise wo Aarav ki halat Enjoy ker raha ho, Aarav ne raftaar pakri aur aage barhte huwe chalaang maari aur hawa me apni blade ko rotation dete huwe.



[Deathly Slash]




Aarav ne pehla vaar he Deathly Slash ka kia jaise wo Orc King ki ghinoni muskan ko ek bhi aur pal nahi daikhna chahta tha, Aarav ko khud ehsaas na huwa lekin uss ke Deathly Slash ne neeche Ground per ek cut bana dia.



Aarav ne neeche kadam rakhte he saamne daikha, Lekin Orc King wahan tha he nahi Aarav ne ghoomte huwe peeche Slash mara to Zameen se ek Blood spike baahir aa gayi, Aarav ne uchalte huwe apne haatho per Balance ker khud ko peeche ghaseet lia.



*Grooowwwwrrrrr*



Aarav ka gussa barhne laga, Uss ki Ki Blade roop badal ker Claws ke saath dalne lagi, Aarav tezi se aage barha aur ek ke baad ek Vaar karne laga, Orc King ki raftaar bhi barhne lagi aur wo Aarav ke har Attack ko dodge karne laga.




Orc King ne Aarav per Vaar karna chaha to Aarav hawa me uchal gaya, Uss ki ankhe Neele rang se laal me badalne lagi, Aarav ne apna haath aage barhaya to uss ke haath me Ki energy ikathi hone lagi, Inner Ki kisi Ball ke roop me Aarav ke haath me Rotate karne lagi.



Aarav: Arrrggghhhhh!




Aarav haath neeche karte huwe neeche Orc Ki ki taraf jaane laga, Aarav hava me jaise Levitate ker raha tha uss pal, Aarav ka haath Orc King ko lagne he wala tha.



*Pssshhhhh*



Aarav ki kalayi me tez jalan huwi aur Inner Ki ki bani wo ball nasht ho gayi, Aarav zameen per ja gira uss ki ankhe dobara waapis normal hone lagi, Aarav ka sar bhaari hone laga.



Aarav: Ye kia huwa? Or-



*Pch*



Aarav kuch aur bolta ke uss ke chehre oer kuch aa gaya, Aarav ne dhayan se daikh to wo Slime thi, Aarav waapis baitha aur chaaro taraf daikhne laga, Wahan koi bhi Orc ya Orc King nahi tha.



Aarav: Kahan gye wo sab? Abhi to yanhi the! Kuc-



Aarav ne saamne daikha to Vansh aur Yoo-Jung dono bilkul sahi the, Dono ke chehro per khoof tha, Jahan Vansh hava me ghabraye huwe Spear ghoomaye ja raha tha.


Wanhi Yoo-Jung ek jagha baithi dar se kaanp rahi thi, Yoo-Jung ki ankho me ansoo the wo khari bhi nahi ho paa rahi thi.

765eebaf39a1dc6d77141dfe4fce55a7.gif


Aarav: Ye sab kia ho raha hai? Was it just in my mind?



Aarav ne khud se sawal kia, Uski awaz me shanka aur Ashcharya dono ka ehsaas tha, Wo samajhne ki koshis ker raha tha ke jo drishya uss ne kuch pal pehle daikha wo sach tha ya sirf uss ki kalpana, aur phir jaise usse kuch yaad aya to wo apne saath latke uss bag ko khol uss me wo kitaab dhondne laga.



Bag me rakhna to Easy tha, Lekin uss ko Dhoondne me kuch waqt lagta tha, Kitaab milte he Aarav ne uss ko khool panne palatne laga, Kuch pal me he Aarav ko wo page mil gaya jis ko wo dhoondh raha tha.




[The Illusion Mist is a creature that uses mist to create illusions from a distance. When someone breathes in the mist, they start seeing these illusions. If the person gets hurt outside of the illusion, it breaks the spell. However, they must avoid inhaling the mist again, or they can get trapped in the illusions once more.]



Slime Aarav ka chehra iss liye dhake huwe thi ke wo dobara Illusion Mist me saans na le, Aarav ke paas aisi situation se bachne ka raasta tha, Inner Ki ko saanse lene ke raaste me balance karte huwe ek filter bana lia Aarav ne, Filter se hava me chupe sabhi poison sirf purify ho ker Body me ja sakte the.



Aarav: Ab tum mere chehre se hat sakte ho!


Slime Aarav ki baat maante huwe neeche utar gaya, Aarav ne gehra saans bhara lekin usse kuch bhi na huwa, Aarav ne muskurate huwe Slime ko thap thapate huwe usse uss ke kaam ke liye shabashi di.


(◍•ᴗ•◍)✧*。




Aarav waapis khara huwa, Uss ne apne kareeb daikha, Uss ki banayi Ki Ball beech me nasht to ho gayi thi, Lekin uss ke Impact se wahan ek bara gadha ban chuka tha, Aarav ko khud samajh na ayi ke uss ne ye kaise kia tha, Uss pal jaise Aarav khud ki body se control kho raha tha.



Aarav: Akhir kitni takatwar thi wo Ki Ball? Zameen ko chhue bina he itna bara gadha wo bhi in pathro per jis ko Slime bhi pighla na payi!



Aarav ne abhi ke liye un khayalo ko mann se nikala aur apne saathiyo ko bachane chala gaya, Aarav ne Vansh se pehle Yoo-Jung ko Illusion se nikalna sahi samjha, Wo Vansh ko Yoo-Jung ki ye halat nahi dikhana chahta tha.


Aarav Yoo-Jung ke paas gaya ti wo ghabrate huwe khud ko peeche ghaseetne lagi, Yoo-Jung Aarav se bhi dar rahi thi lekin Aarav ko ab pata tha ke wo Aarav se nahi jis ko wo Aarav ki jagha daikh rahi thi uss se dar rahi thi.



Aarav ne apne tez kadmo aur Movement ko Use karte huwe Yoo-Jung ke peeche ja ker uss ka pakar lia, Yoo-Jung Chutne ki koshis karne lagi per Uss me abhi wo pehle wali strength nahi thi, Aarav ne apne haath Yoo-Jung ke Gulabi honto per rakhte aur Yoo-Jung ko khud se chipka lia, Apna chehra Yoo-Jung ke kandhe per le jaate huwe apne daanto ko Yoo-Jung ki makmali tawacha per gaar diye.



*Aghhh, Uhmmmm*



Yoo-Jung ke muh se awaz nikli, Lekin wo dard se cheekhne se zada Moan zada lag rahi thi, Yoo-Jung se zada Aarav ghabra gaya, Uss ne to ye Yoo-Jung ko bachane ke liye kia tha lekin uss Pahari larke ko kia pata tha ke ye kitna galat dikh raha hai.



Lekin ab Aarav ne ye ker he dia tha to wo ruka nahi aur daant se aur bhi kaatne laga, Yoo-Jung ki pakar Aarav ke haatho per kasne lagi aur uss ka dar khatam hote huwe wo hosh me aa gayi, Aarav ne apna chehra peeche kia aur Yoo-Jung ke muh aur naak per haath rakhe baitha raha.




Aarav: Tum hava me saane nahi le sakti! Mujhe nahi pata tum ne kia daikha, Lekin wo jo bhi tha wo sirf ek Illusion tha, Hume tumhare liye koi mask chahiye per mere paas mask nahi hai.



Yoo-Jung ne kuch pal chaaro taraf nazre ghoomayi, Usse Aarav ki baat per vishwas ho gya ke wo sahi keh raha hai, Yoo-Jung ne angoothe se Good ka ishara kia to Aarav apna haath uss ke chehre aur kamar se hatate huwe khara ho gya.



Aarav ab jab dobara Yoo-Jung ki taraf daikh raha tha to Situation Awkward ho gayi uss ke liye, Ab tak pehli baar Aarav mekisi larki ko aise Moan karte suna tha.



Aarav (Awkwardly): H-Hum mask dhoond-



Yoo-Jung: Uss ki zaroorat nahi hai! Main hava me chupe toxic se bach sakti hu, Pehle sirf meri Laparwahi ki wajha se main Illusion me phans gayi thi, Hamare liye abhi uss Mist Monster ko dhoodna zaroori hai, Mist me aur bhi koi Toxic ho sakta hai jo hume Harm ker sakta hai.




Aarav: Right! Lekin hum usse dhoonde gye kaise? Wo kanhi bhi ho sakta hai!



Yoo-Jung (Sigh): Huh! Mujhe laga tha tum ab tak Figure out ker chuke ho gye.



Aarav: Kia?



Yoo-Jung: Tumhe kis lagta hai? Dzanum se larte waqt mujhe kaise pata chal gaya ke tum wahan ho?



Ab jab Aarav dobara soch raha tha to sach me Yoo-Jung ne bina daikhe he Aarav ko pukar lia tha, Jahan Aarav tha wahan Yoo-Jung ko dikhna possible he nahi tha.


Aarav: Kaise?



Yoo-Jung: Mujhe last Quest ki MVP Banne per ek new Ability mili thi! Holoscan, Main apne around 50 Meter tak Area ko Scan ker sakti hu, Bilkul kisi Radar ki tarha, Sab kuch to nahi dikhta lekin agar mujhe pata hai ke main kia dhoond rahi hu aur wo 50 meter ke Radius ke andar hai to main uss ki location detect ker sakti hu.



Ye ability Aarav ki sense ki tarha ki thi, Lekin Aarav aise detect nahi ker sakta tha, Jahan Holoscan zada specifically mosnter ki location pin ker sakti thi.


Aarav: Vansh ko bhi uss waqt ais-


Yoo-Jung: Nahi! Vansh chutiya hai, Uss ke chehre se uss ki tharak jhalak rahi thi, Mujhe Holoscan ki bhi zaroorat nahi thi!



Aarav apna sar pakar khara ho gya, Sach me Vansh ek chutiya tha, Upar se Yoo-Jung ek pal ke liye bhi nahi jhijhki kuch kehne se pehle, Aarav shayad pehli curse word sun raha tha kisi larki ke muh se, Aarav ne dobara apne sar se ye baate nikali aur jo zaroori hai uss per dhayan dene laga.



*Ahhhhh*




Vansh apna spear liye bhaagte huwe un ki taraf aya, Yoo-Jung bina kisi effort ke uss ke side per gayi aur Vansh ko pakarte huwe kisi Wrestler ki tarha Chokeslam dete huwe zameen per patak dia, Vansh wanhi neeche Unconscious ho ker gir gaya.




Yoo-Jung: Ab hamare liye zada easy rahe ga! Shuru karte hai phir.



Yoo-Jung dikhne me kisi Pari ki tarha ki thi, Lekin uss ke move kisi Demon se kam khatarnak nahi the, Beauty with Brain to tha he lekin Yoo-Jung ke liye Demon lagana galat nahi tha.



Aarav (whisper): Shayad mujhe wo moan wali baat kabhi pata nahi lagne deni chaiye iss ko!



Yoo-Jung: What?



Aarav: Kuch bhi nahi! Tum shuru karo.



Yoo-Jung ne apna dhayan saamne kia aur hava me he Ungliya chalane lagi, Matlab uss ke saamne uss ki System window open thi.


Yoo-Jung: Mil gaya hume hamara mujrim!


****


Darkvale Forest ~
83 Hours 27 Minutes Remaining




*Gasping*



Daisuke ki saanse bhaari ho chuki thi, Wo Pichle ghante se apne pratidwand ko harane ki koshish ker raha tha, Lekin Daisuke ki kanhi se bhi jeet hoti dikh nahi rahi thi, Daisuke ne apne dusri taraf daikha to wahan Pathro ke neeche Isabelle dabi huwi thi.



Daisuke (Annoyed): Akhir chahte kia ho tum? Yahan aa kaise gye tum?



Daisuke ko uljhan hone lagi thi, Lekin Dusri taraf se koi bhi jawab na aya, Daisuke ne dobara apni swords uthayi aur apne pratidwandi ki taraf tezi se bhaagne laga, Paas jate he Daisuke ne apni Sword ko ghoomate huwe vaar karna chaha, Lekin ek baar dobara wo asafal raha aur ulta khud zakhmi hote huwe peeche ja gira.




Daisuke ki halat ab uthne layak nahi rahi thi, Wo zor lagate huwe uthna chah raha tha, Lekin uss ki halat usse uthne nahi de rahi thi, Saamne khara vyakti chalte huwe Daisuke ki taraf ane laga, Daisuke apni haar maan chuka tha Vyakti ne apna haath Daisuke ke sar per rakha.



[Healer detected! Mana transfer to player in progress]


[Player's Mana Zone Activated]



Daisuke ne sar utha saamne daikha to wahan wo Vyakti nahi, Isabelle baithi huwi thi Daisuke ke sar per haath rakhe, Daisuke ki HP bhi recover hone lagi, Daisuke ko situation samajhte waqt nahi laga.



Daisuke: Sab kuch ek chhalava tha kia?



Isabelle: Shayad! Lekin Achanak se tum ajeeb harkate karne lage, Main ne pehle koshis ki ke apni shaktiyan istemal na karu, Lekin jab halat bigarne lagi to mujhe Ability Istemal karni per gayi, Agar tumhe kuch ho jata to mujhe kon bachata?



Isabelle ne Daisuke ko Calm karne ke liye dhayan se apne shabdon ko chuna tha, Daisuke bhi Isabelle se kuch kehne ki halat me nahi tha, Daisuke uthte huwe deewar se tik ker baith gaya.



Daisuke: Tum ne kia kiya?



Isabelle: Pata nahi! Lekin mujhe ye pata chala hai ke itna zada Mana hone ki wajha se main Ek Mana Zone bana sakti hu, Ye kia hai mujhe bhi nahi pata lekin main ne koshis ki to tum apne hoosh me waapis aa gye kisi tarha iss se!



Daisuke: Hmm!



Dono ke beech shanti chaa gayi, Jahan Isabelle Daisuke ki ajeeb harkate daikh ker dar gayi thi, Wanhi Daisuke abhi huwe chhalave ki socho me dooba huwa tha.



Isabelle (Concern): Kia daikha Chhalave me tum ne?




Daisuke (Sigh): Huh! Kuch purane zakhm the, Dobara hare ho gye hai wo, Daro mat abhi ke liye theek hu main, Tum batao kitni der ye Mana Zone bana ker rakh sakti ho.



Isabelle: Pata nahi! Lekin zada samay nahi banaye rakh pao gi, Ab ki baae shayad Mujhe bhi ye Mana Zone na bachaye, Lekin ab hume pata to chal gaya na ke wo ek Chhalava hai, Hum dobara shayad na phanse uss me!




Daisuke: Nahi! Main ne jo mehsoos kia hai wo ajeeb tha, Main jaanta tha ke wo sach nahi hai, Lekin main usse jhuthla bhi nahi paa raha tha, Chhalave se mili ye chhote bhi abhi tak hai, Agar dobara hum phanse to shayad waapis na aa sake hum.



Isabelle: Hume kuch karna chaiye!




Daisuke: Kia kare? Meri halat aisi nahi hai ke hum chal sake, Tumhare bina ye Mana Zone bhi nahi rahe ga to tumhe peeche chhor kuch daikhne bhi nahi ja sakta, Agar tum ne Heal Use ki to Durability kam ho jaye gi, Hum sirf Prarthana ker sakte hai, Agar ye Dhundh se Illusion aye hai to Dhundh ke saath chale bhi jaye gye, Ye prarthana karo ke hamare khatam hone se pehle khatam ho jaye ye Dhundh, Warna sach me hum yahan 24 Ghante bhi pure nahi ker sake gye.




Daisuke peeche deewar se sar sata ker baith gaya, Isabelle bhi darne lagi aur puri koshis karne lagi ke wo kuch he aur pal kiu nahi lekin Mana Zone banaye rakh sake, Lekin unhe lag nahi raha tha ke wo nikal sake gye ab ki baar.



Isabelle (Sob): Lagta hai akhri baar usse daikhne ka moka bhi nahi mila ga mujhe!



Daisuke (Smile): Huh! Itna pyaar karti ho to keh kiu nahi deti uss se?




Isabelle: Pyaar nahi keh sakti usse main! Pyaar to ek baar main ker chuki hu, Mera Fiance jo budhu ye samajh raha ke main trip per hu, Lekin jo Aarav ke saath main mehsoos ker rahi hu wo bhi bohat ajeeb hai, Sirf ek baar usse daikhne ki chahat mere andar se jaye nahi ja rahi, Na Jaane uss ki chumban ne kia ker dia hai mujh per, Aisa hai jaise ek khinchav mujhe uss ki taraf kheenche ja raha hai, Huh! Kia lagta hai kaisa ho ga wo?



Daisuke: Kaisa hai ye to nahi keh sakta! Lekin kam se kam wo zinda hai, Andrew ke waqt jo notification aya tha abhi tak waisa koi Notification nahi aya, Jab tak wo notification nahi aye ga Matlab wo zinda hai!




Isabelle (Relief): Thank You! Kam se kam wo zinda hai ye jan'nne ko mila, Na jane kia ker raha ho ga wo?





****



Darkvale Forest ~
81 Hours 59 Minutes Remaining




*Woosh* *Woosh*



Aarav aur Yoo-Jung dono bina kadmo ki awaz kiye bhaagte huwe Mist Monster ki taraf jaa rahe the, Vansh ko Unconscious Aarav ne kandhe per uthaya huwa tha, Unhe nikle huwe kafi samay ho chuka tha lekin jaise Mist Monster bhi unn se dur bhaag raha tha.



Yoo-Jung: Hamare saamne he wo kanhi ruka huwa hai! Lagta hai thak chuka hai wo itna bhaagne ke baad.



Aarav aur Yoo-Jung Location wali jagha pohanch khare ho gye, Lekin wahan unhe koi bhi nahi dikh raha tha, Dono har taraf dhoondne lage lekin wahan koi bhi nahi tha.



Aarav: Kahan hai wo?



Yoo-Jung: Mujhe nahi pata! Main sirf location pata ker sakti hu, Wo yanhi kanhi hai, Lekin hamari nazro me nahi aa raha, Kanhi wo Invisible to nahi hai kia?



Aarav: Tum ne apna kaam ker dia hai! Ab meri baari hai.



Aarav ne Vansh ko neeche laita dia aur zameen ko chhute huwe ankhe band ker dhayan lagane laga, Uss ki Sense ne kaam karna shuru kia aur wo apne kareeb dhoodne laga Mist Monster ko.



Aarav: Wahan us ped ke upar!



Aarav ne ishara kia to Yoo-Jung tezi se uss taraf uchli, Eagle Eye ko Use karte huwe uss ne dhayan se daikha to usse apne saamne Mist Monster mil gaya, Kisi machar ke Aakar ka ek keera uss ke pankh Alaukik roshni me chamak rahe the, Roshni me ek Vibration se Mist ban rahi thi, Yoo-Jung ko daikhte he wo waapis urte huwe bhaaga.

367c08571f6e0b5ab74a97338cc6718f.jpg


Yoo-Jung ne apne Dagger se Vaar karna chaha, Chote Aakar ki wajha se Uss ne Aasani se khud ko Yoo-Jung ke vaar se bacha lia, Yoo-Jung se bachte he wo dobara bhaagne ko huwa.



Uss se pehle Aarav apne sharp Senses se Yoo-Jung ki lead follow karte huwe uss ke saamne aya aur apni Ki Blade uss ko kaatne ko huwa, Lekin dobara uss ne khud ko bacha lia lekin ab ki baar uss ki direction ki sense freeze ho gayi thi ek pal ke liye.



*Swish*



Ek Arrow hava ko cheerte huwe uss machar jaise praani ko apni nok per le jaate huwe saamne ped ne ja ghusa, Uss ke pankho ki roshti dheemi hote hote khatam ho gayi.



Aarav ne Yoo-Jung ki taraf daikha jo apna bow liye khari huwi thi, Andhere me ek keere ke Aakar ke praani per itna accurate Aim karna koi sadharan baat nahi tha, Dhundh khatam hone lagi aur waapis se sab kuch saaf dikhna shuru ho gya.



Aarav ped ke paas gaya aur Arrow ko baahir nikal daikhne laga, Arrow ki tip per Mist Monster tha, Lekin wahan koi Mana Stone nahi dikh raha tha.



Aarav: Ab iss ka kia kare?



“Noum”



Aarav ki kalayi se Slime ki halki awaz ayi, Aarav ne slime ki taraf daikha to wo Mist monster ki taraf daikh rahi thi.



Aarav: Kia huwa? Khaana chahte ho to kha sakte ho tum!



(●♡∀♡)



(╯°□°)╯︵ `



Slime ne Arrow ko Monster ke saath jhapat lia, Kuch he lamho me monster aur Arrow dono puri tarha nasht ho gye the.



[Acid Slime Devoured a Higher Level Creature]


[Acid Slime Power Leveled Up]

dac095c99b7809fa69fd290bbe10f19d.jpg


Acid Slime ke Mist Monster ko khaate he uss ka level up ho gya, Ab tak Aarav ye bhi nahi samjh saka tha ke Rank aur Level me kia difference hai? Aarav ne ye Waapis jaane ke baad sochne ke liye chhor dia.



Yoo-Jung: Hume waapis jana chahiye! Kuch ghanto me waapis roshni ho jaye gi, Hamare paas araam ke liye kuch ghante he hai, Hum me se koi ek pehle soo jaye ga aur dusra Guard kare ga, Phir dusra soo jaye ga aur pehla Guard kare ga!



Yoo-Jung ne duty samjha di, Vansh ki halat Guard karne wali thi nahi to usse count nahi kia, Dono waapis Safe Zone ki taraf chale gye, Waapis ane ke baad Aarav ne Infinity bag me se Tent aur Heater jaisi cheeze nikaal li jo wo saath le ker aya tha.



Tent set karne ke baad Pehle Aarav ne Guard duty lene ka decide kia, Vansh ko ek taraf laita dia gaya aur Yoo-Jung alag se lait gayi, Aarav baahir ek bare pathar ke upar baith gaya.



Acid Slime ko apne saamne Rakh Aarav usse dhayan se daikhne laga, Ek din me he dobara kitna kuch badal chuka tha, Jo Slime subha Aarav ki dushman thi ab wo he Slime Aarav ke saath thi, Agar Slime madad na karti to shayad wo log Illusion se kabhi baahir he na aa pate!




Aarav Slime ko daikha apne Purane saathiyo ko yaad karne se reh na saka, Akhir kanha the sab Demon Wolf? Kiu wo unhe Sense nahi ker paa raha tha? Wo un Orc's se bach ker nikal to gye the na? Aise bohat se sawal Aarav ke mann ko uthal puthal ker rahe the.



Aise he khayalo me waqt beetata gaya, Kuch ghanto ke baad Yoo-Jung khud he uth gayi aur Aarav ko araam karne ke liye bhej ked Guard duty per baith gayi, Aarav abhi laita he tha ke pure din ki thakan ek saath effect ki aur Aarav agle he pal neend ki gehrayio me chala gaya.



415e2e25a02a1e6698ff0cd84ec8ee88.jpg

*Ughhhh*



Aarav jaldi se uth ker baith gaya, Uss ka badan paseene se bheega huwa tha aur saanse tez tez chal rahi thi, Aarav ne baahir daikha to roshni jo chuki thi, Aarav baahir nikla saamne he usse Vansh dikh gaya.



Vansh: Kuch zada nahi soo liye kia?



Aarav ko ek pal ke liye gussa aya ke akhir kon puri raat sota raha hai? Lekin wo bina kuch bole Yoo-Jung ke paas chala gaya jo apne weapons tayar ker rahi thi.



Aarav: Nikal rahe hai kia hum?



Yoo-Jung: Haan! Abhi ke liye hum waapis uss taraf jaye gye jis taraf se main ayi thi, Agar mere Holoscan me Isabelle ya Daisuke me so koi aa gaya to hum un ke saath mil sakte hai.




Aarav: Good! Main Tent le leta hu waapis.



****



Darkvale Forest ~
73 Hours 13 Minutes Remaining




*Thud*




Ek pathar ke girne ki awaz se Daisuke ki aankh khul gayi, Apne saath daikha to neeche Isabelle laiti huwi thi, Kab un ki aankh lag gayi dono ko he pata nahi chala, Der raat tak Isabelle Mana Zone banaye rakhe huwe thi.



Daisuke ne upar daikha to pedon ke beech me se halki dhoop darshan de rahi thi, Daisuke khara hone ki koshish ker raha tha lekin abhi bhi uss ki body bohat damage thi, Daisuke apna sar dobara deewar se sata ker baith gaya.



Daisuke: Akhir 24 Ghante survive ker he lia! Ab jald se jald baki-



*Glup*



Ek safed rang ki cheez Daisuke ki taraf ayi to wo Isabelle ko lete huwr Side per sarak gaya, Aise Achanak movement se Isabelle bhi ankhe khol ker daikhne lagi ke kia huwa? Daisuke uss taraf daikha jahan wo kuch pal pehle baithe the to wahan ek jaal sa ban gaya tha.



Daisuke: Spider! Lekin kahan?



Daisuke ne apni Swords per pakar banayi aur Spider ko dhoondne laga, Usse zada dhoondna nahi para, Ek taraf se Spider ati Daisuke ko dikh gayi jo kisi Billi ke size jitni bari thi, Daisuke aage barhne ko huwa he tha ke uss ke kadam wanhi tham gye, Uss ek Spider ke baad wahan se ek aur Spider ayi phir ek aur phir ek aur nikal ayi.

a8fb38d2fc1337d969c0ff4db0ffa41b.jpg


Wo sirf ek spider nahi puri Spider Army thi, Daisuke ne Isabelle ko uthaya aur wahan se bhaagne laga, Daisuke ko spider ki power ka andaza nahi tha lekin itne bare number se larna Daisuke ki haar ban'nne wala tha.



Isabelle: Ab kia kare hum? Mera Mana pura Exhaust ho chuka hai, Main simple boost bhi nahi Use ker sakti hu!



Daisuke ki halat abhi bhi khaas sudhri nahi thi, Lekin aisi khatarnak me zinda bach jaane ke baad Daisuke haar nahi man'nna chahta tha, Bachi huwi takat istemal karte huwe Daisuke bhaage ja raha tha, Spiders bhi jaise aj uss ka peecha na chhorne ka faisla ker ke ayi thi.



Daisuke bhaage ja raha tha jab tak uss ke saamne ek Cliff nahi aa gayi, Cliff itni deep thi ke upar se uss ka ground dikh bhi nahi raha tha, Daisuke ne apne kadam Dusri taraf ghoomate huwe Cliff ke saath bhaagne laga, Lekin Spiders ne dono taraf se Cover ker lia tha unhe jis se Daisuke sirf ek direction me he bhaag sakta tha.



Lekin Spiders kisi pal bhi uss ke saamne aa sakti thi, Kuch Spiders bare patharo ko sirf apne Webs se kheench ker idhar udhar phenk rahi thi, Daisuke aur Isabelle ko un ka ant dikhne laga har kadam ke saath un ki umeed khatam hoti ja rahi thi.



“Daisuke!!!!”




Ek awaz ne Daisuke ko waapis hosh me le aya, Awaz Cliff ke dusri taraf se ayi thi, Dono ne uss taraf daikha to Cliff ke dusri taraf un ke saath Baki teeno bhaag rahe the, Un dono ke liye Andhere me ujala ban ker aye the wo teeno, Aarav bhaagte huwe idhar udhar daikhne laga aur phir jaise Aarav ko jo chahiye tha wo usse mil gaya.




Aarav: Yoo-Jung! Mere saath aoo.




[Unique Ability (Will to Live) Activated]


[Current Progress (13.2%)]


[Fear Decreased -100%]


[Endurance Increased +41]


[Intelligence Increased +41]


[Strength Increased +41]


[Stamina Increased +41]


[Agility Increased +41]


[Sense Increased +7]


[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]



Ek zameen se ukhra huwa ped jo Neeche gira huwa tha, Aarav ne uss ka ek chhorr pakra aur Yoo-Jung ne uss ka dusra chhorr pakra, Uthate huwe Aarav ne beech se ped pakar lia aur Yoo-Jung uss ko sahara dene lagi, Bhaagte huwe Cliff ke kinare aa ker Aarav ne aur Yoo-Jung ne zor lagate huwe ped ko phenka to wo Daisuke ke side ja laga aur idhar se Aarav ne usse pakar ker girne se bacha lia.




Aarav (Shout): Daisuke! Yahan aoo!



Daisuke ne Aarav ki tarac daikha to wahan nikalne ka raasta ban chuka tha, Aarav ko ane me waqt lag sakta tha, Tab tak Daisuke wahan ruk nahi sakta tha to usse he uss taraf jana tha.



Daisuke: Isabelle! Bachi huwi puri takat se pakar lo mujhe.




Daisuke bhaagte huwe Ped ke upar charh gaya, Yoo-Jung Arrows se Spider ko rokne ki koshis ker rahi thi, Wanhi Aarav dusri taraf se ped ko pakre huwa tha, Daisuke ki umeed barhne lagi wo kadam barhata raha, Uss ki ankho ke aage andhera chaane laga saanse bhaari hone lagi aur akhir uss ka paon phisal gaya.



Aarav: Daisuke!!!




Daisuke Ped ki tehni ko pakre jhool raha tha, Lekin wo apni halat me zada der usse nahi pakar sakta tha, Yoo-Jung ko ped ke upar charhna per gaya aur wo Daisuke ki taraf bhaagi, Lekin Daisuke ka haath phisalne laga tha uss ke peeche latki Isabelle neeche ki gehrai daikh dar rahi thi, Daisuke tehni ki tip per aa chuka tha.



Isabelle: Sorry!


Isabelle ne Daisuke ka kandha choor dia, Daisuke ki ankhe herat se khul gayi jab uss ke peeche wazan kam huwa, Yoo-Jung ne Daisuke ka haath pakar lia oer Daisuke ki nazre neeche gir rahi Isabelle per thi jo ankho me ansoo liye gir rahi thi, Wanhi dusri taraf khare Aarav ka pura badan sehar utha, Kia wo dobara apne saathi ko khone wala tha?



“Kia phir se wohi hone wala hai? Itni mehnat ke baad bhi main kuch nahi ker pao ga kia? Kia mujhe bachane kudna chahiye kia? Lekin main wahan itni dur tak Isabelle ko pakarne ke liye pohanch pao ga kia? Agar sirf main Tsubame ki movement seekh pata! Lekin mujhe kiu uss ko seekhne ki itni zaroorat dikhti thi? Kiu uss ke bina adhoora lagta tha? Haan, Main saamne daikhne ki koshis me kabhi peeche daikh he nahi paya! Kia waisi Movement sird Tsubame ki thi? Nahi, Wo chahat mujhe Tsubame se nahi kisi aur se ayi thi! Mera sab se pehla opponent”



[Forceful Unsealing of Alpha's Abilities Detected!]


[Alpha's Abilities Unsealed: Forceful Override Detected!]



[Alpha's Ability Successfully Unsealed!]


[New Ability Acquired (Flash Steps)]


ed322e497cbb046351d58a2f04b316e7.jpg


Aarav: Flash Steps!



Aarav ke pairon me Vibration mehsoos hone lagi, Ek jhatke ke saath Aarav Cliff se kud gaya, Sabhi ki nazro me Aarav ek jagha se dusri Jagha teleport huwa tha, Lekin Isabelle kafi neeche ja chuki thi to Aarav ne Isabelle ko pakra aur paas ke pathro ko pakarne ki koshish karne laga, Lekin tez movement se uss ka haath kisi bhi pathar per sahi se nahi laga.



Ek haath se Isabelle ko kamar se pakre dusre haath se rukne ki nakam koshis karte huwd Aarav bhi Isabelle ke saath he khayi me chala gaya, Kuch he pal me dono bakiyo ki nazro se ojhal ho gye.



Yoo-Jung ne Daisuke ko upar kheencha aur Usse le ker Vansh ke paas aa gayi, Daisuke ke hosh abhi bhi salamat nahi huwe the, wanhi Spiders dusri taraf se web shoot ker ke iss taraf aa rahi thi, Ek baar dobara wo ghirne lage Spiders ke beeche me, Yoo-Jung sar jhukaye khayi se neeche daikhe ja rahi thi.




Yoo-Jung: Hume nikalna ho ga! Hum yahan se seedha neeche nahi ja sakte hume ek safe route dhoondn ho ga.



Vansh(Scared): Pagla gayi ho kia? Tumhe lagta hai yahan se gir ker dono me se koi bhi bacha ho ga?



Daisuke: Wo zinda hai! Abhi tak notification nahi aya, Yoo-Jung sahi keh rahi hai hume Safe route dhoondna ho ga.




Vansh(Annoyed): Yahan In makriyo se kaise bach kef nikle pehle wo socho!



Daisuke me itni takat nahi thi ke wo bhaag pata ya lar sakta, Kia Vansh aur Yoo-Jung itne Spiders ko ek saath maar sakte the kia? Dikhne me wo Na-Mumkin lag raha tha, Yoo-Jung dono ko peeche chorte huwe Spiders ke paas jaane lagi.



Daisuke (Concern): Yoo-Jung! Chances mat lo, Wo-



Daisuke ke shabd beech me he ruk gye, Yoo-Jung haatho ko phela gehre saans bharne lagi, Thumb aur Index finger se ek Hole banate huwe Aim bana ker Yoo-Jung ne zor se saans choori to uss ke muh se Aag nikalne lagi aur makriyo ko jalane lagi.


22ff555e3478e4eba0abed37ddfcae44.gif


Daisuke: Fire Realm Clan!

.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Update ko dhayan se parhna bohat se future plots hai iss update me, 5.7K words ka hai ye Update,Light jaane ki wajha se thora late ho gya, Baki Target wohi hai 30 likes agar huwa to Next Update Saturday Nght ko aye ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga aur agar pasand aye to izhaar karna mat bhoolna, Milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Seriously bro.. very much underrated story...
Hopefully it gets what it deserve...
 
Last edited:
  • Like
Reactions: king cobra
Top