Awesome update bhaiUPDATE 3
[THE PREY]
Recap
Wanhi Jab Aarav ne apni taraf Arrows ate daikhe to us ke chehre per halki si muskurahat aa gayi, Arrows ko dodge karne ki wajha se Wolves ki speed slow ho rahi thi jis se Aarav ko distance barhane ka moka mil raha tha.
Per ye khushi kuch palo ki he thi, bhaagte huwe Aarav ko apne saamne ek khayi dikhi, Khayi daikh ker Aarav apne Kadmo per zor dete huwe ruka.
*Grrrr*
Per Us ke rukte he ek wolf Aarav per kud para aur us ne Aarav ke kandhe per apne daant gara diye jis Aarav ka balance kharab huwa aur wo larkharate huwe seedhe khayi me gir gaya.
Aarav: i'm Sorry!!!!! Urvi.
Ab Aage
“Urvi! Tujhe nahi lagta tujhe ye sab karne se pehle bhayia se puchna chahiye tha?”
Urvi ki dost Divya jo us ke saath college se wapis aa rahi thi us ne Urvi se kaha, Us ka sawal sunn Urvi ne dheeme se Naa me sar hila dia
Urvi: (Sigh) Nope! Tujhe kia lagta hai? Agar main bhayia se puchti to wo mujhe college ki larkiyo ko tution dene ki permission dete kia?
Urvi ka jawab sun Divya ke paas kuch bhi kehne ko na bacha Aarav kabhi bhi Urvi ko permission nahi dene wala tha, Ulta Urvi ke kehne per wo apne ap ko aur push ker leta kaam ki taraf jo Urvi chahti nahi thi, Lekin Aarav Urvi ko School ke baad MBBS karwana chahta tha jis ka Urvi ka bhi Mann tha.
Urvi Scholarship ke liye Aim karne wali thi lekin Scholarship mil bhi jaye to aur bhi bohat se kharche the jin ko afford karna Aarav ke liye bohat mushkil tha, Iss liye Urvi ne tutions dene ka socha jis se apne kuch kharche wo khud pure ker sake jis se Aarav ko kuch Asani ho jaye.
Divya: Phir bhi! bhayia ko bina bataye Tution kaise de gi?
Urvi: () Wo main ne soch lia hai! Daikh Bhayia raat me ghar ate hai, main bhayia ke ane tak ghar ke thore kaam karti hu jo itne zada nahi hai, to phir main aisa karu gi school ke baad wanhi school ke paas ek larki ke ghar tution du gi larkiyo ko, main ne larki se puch lia hai us ke ghar walo ko koi issue nahi hai, Bus us larki se tution fees nahi lu gi, Tution ke baad 4:30~5:00 Baje tak seedhe ghar aa ker bhayia ke ane se pehle ghar ke kaam ker lu gi.
Divya: (Frowns) Baap re! Kameeni tu to puri Planing bana ker baithi huwi hai.
Divya ne Urvi ke kandhe per kandha maarte huwe kaha jis per Divya ne use kandha maar dia aur dono khilkhilate huwe ek dusre ko halke dhake dene lagi.
Divya: (Frowns) Parth Bhayia! Lekin unho ne ye kise uthaya huwa hai?
Divya ne Road ke dusri taraf per chalte apne bhai Parth ko daikha, Jis ki kamar per uss ne kisi ko uthaya huwa tha, Divya ki baat sun Urvi ne Parth ki taraf daikha per jab uss ki nazar peeche wale insaan per gayi to uss ke chehre ki rangat badal gayi.
Urvi: (Stunned) Bhayia!
Bhale he Aarav ka chehra Parth ke dusre kandhe per hone ki wajha se dikh nahi raha tha, Per Urvi ne use ek jhalak me pehchan lia, Aarav ko daikhte he Urvi tezi se Aarav ke paas aa gayi.
Urvi: Bhayia!
Urvi ki awaz sun Parth chalte huwe ruk gaya, Us ke ghoomte he Aarav ka chehre saamne aa gaya, Aarav ki ankhe band thi us ke sar per Dressing ki huwi thi, Aarav ko yun Unconscious daikh Urvi ki ankhko se ansoo behne lage uss ne kaampte haatho ko Aarav ke chehre per rakh use chunne lagi, Wo itna ghabrayi huwi thi ke kuch bol bhi nahi paa rahi thi.
Parth: Fikar mat karo! Kuch nahi huwa Aarav ko, Bus zada kaam karne ki wajha se Weakness ho gayi thi jis ki wajha se dukan per gir gaya tha, Glucose lagwa li hai kuch der Araam karne ke baad hosh aa jaye gi.
Urvi: (Sobbing) Phir tum inhe hospital me araam karne dete aise kiu le ker ghoom rahe ho?
Urvi ne gusse se kaha, Apne bhai ko iss halat me daikh uss ki samajh me kuch nahi aa raha tha wo kia bole ja rahi hai, Iss liye parth ne bhi gussa nahi kia.
Parth: Agar isse Hospital me chorta to hosh me ate he Seedha kaam per wapis aa jata, Iss liye isse ghar chorne ja raha hu jahan tum isse zabardasti aram karwa sako, aur rahi baat aise kiu le ja raha hu wo iss liye kiu ke wahan koi rickshaw wagaira nahi thi iss liye.
Parth ki baat sun Urvi ko ehsaas ho gya wo gusse me kuch zada he uncha bol gayi, per wo bhi kia karti? jab baat uss ke bhai ki ho to wo khud ko control nahi ker pati thi.
Divya: Urvi! Sawal baad me bhi puche ja sakte hai, pehle Aarav Bhayia ko ghar le ker jane de Parth bhayia ko.
Divya ki baat sun Urvi side per ho gayi, Parth Raasta milte he dobara chalne laga aur ghar aa ker Aarav ko bistar per lita dia.
Parth: Mujhe wapis kaam per jana hai! Chal Divya tujhe ghar chorte huwe jata hu.
Urvi ne dono ko darwaze tak chora aur darwaza band ker ke wapis Aarav ke paas aa gayi, Urvi ne Aarav ko bohat waqt ke baad aise sakoon se sote daikha tha wo wanhi Aarav ke paas ek stool ko rakh ker baith gayi.
Urvi: Kiu karte ho mujhe Tang!....
Urvi ki awaaz rowasi ho gayi thi.
Urvi: Kitni baar!!!!!! Kitni baar ap se kehna ho ga mujhe ke sirf ap ke upar nahi hai sab zimedariya, Yaad hai bachpan me jab hum khelte the ap kia kehte the.
Ek pal ke liye bachpan ki yaad ko yaad ker Urvi halki si muskurahat hansi.
Urvi: Maa yahan nahi hai to kia huwa? Hum hai na ek dusre ke liye! Agar ek khelte huwe gir bhi jaye ga to dusra use dobara utha de ga, Phir kiu? Akhir kiu ap ne khud ko girne se itni mushkil se roka huwa hai? Akhir kiu mujhe khud ko uthane ko moka nahi de rahe ho?
Urvi ke andar ki sari bharaas wo apne bhai per nikal rahi thi, Jitna bhi dard wo samete huwe thi wo bahir nikal rahi thi, Bhale he Aarav use sun na sake per wo keh paa rahi thi ye he bohat tha uss ke liye.
Urvi: (Glares) Aarav Arya! Agara tum apni Mann mani karne chahte to aisa he sahi! Per yaad rakhna mujhe mera bhai bilkul sahi halat me wapis chahiye, Tumhe jo karna hai karo per ant me hamesha mera bhai mujhe mere paas chahiye.
****
*Huh*
Aarav ne apni ankhe kholi, Us ka chehra upar Asmaan ki taraf tha, use apne saamne wo pahar nazar aa raha tha jahan se wo gira tha, Uss ki apni saanse tez chal rahi thi per wo un saanso ko mehsoos nahi ker pa raha tha, Aisa tha jaise us ka shareer us ke saath hai he nahi.
Aarav: Kia? Kia main bach gay....,
*Agggggggh*
Aarav khud se sawal ker he raha tha jab us ke pure shareer me ek tez dard ki lehar uthi, Jo injuries body Numb hone ki wajha se feel nahi ho rahi thi un sab ka dard ek saath Aarav ko mehsoos huwa, Aur dard aisa jo bardasht ke bahir tha.
Aarav ne zindagi me bohat se zakhm aur dard bardasht kiye the per iss ke saamne wo kuch nahi the, Shareer ke alag alag hisso me maas phat ke khoon beh raha tha aur Aur bohat si hadiye buri tarha se toot chuki thi,
Insaan ke jism me agar thora sa bhi cut lage to dard sehna mushkil hota, Lekin agar pura jism he jagha jagha se cut jaye to dard kaha se seh paye ga Insaan? Dard itna zada tha ke Aarav hil bhi nahi paa raha tha, Uss ka ek taraf ke kandha bhi toot chuka tha aur wahan se maas bhi gayab tha, Jis wajha se khoon kandhe se bhi lagatar beh raha tha.
Aarav: Fuckkkkkkk!!!!!
Dard ke kaaran Aarav kuch theek se soch bhi nahi paa raha tha, Aarav ke saamne ka pahar daikh ker lag raha tha ke 100 foot ki unchai se gira tha Aarav, Wo zinda tha ye bhi ek chamatkar se kam nahi tha.
Lekin agar wo zinda tha bhi to aur kitni der zinda reh sakta tha? Jis tarha khoon beh raha tha use umeed nahi thi ke wo zada der zinda reh sake ga.
Maano jaise uss ka pareshani System ne bhaanp li ho, Us ke saamne dobara ek system window aa gayi
[The Player is in a critical state, HP is dropping repeatedly]
HP 27 se gir ke 7 ho gayi thi aur lagatar girti ja rahi thi, Zahir tha ke HP 0 hone per Aarav mar jaye ga, Jis se Aarav ko ehsaas ho gaya ke us ke bachne ka koi Chance nahi hai.
Aarav: Agggh! Akhir kiu? Kiu ho raha hai mere saath ye sab? Akhir Kia bigara hai main ne kisi ka?
Aarav ka Mann bhaari ho raha tha Dard Sehan karna chah ker bhi wo seh nahi paa raha tha, Akhir me uss ki ankho se ansoo behne lage
Aarav: Sirf Ek khawaish! Sirf ek khawaish ki thi main ne ke apni behan ko muskurahat de saku, kia ye bhi bohat zada maang lia tha main ne?
Aarav ne puri zindagi me khud ko itna bebas kabhi mehsoos nahi kia tha, Chahe jo bhi mushkil hoti wo hamesha Mehnat ker ke un mushkilo ko khatam karne me yaqeen rakhta tha, Lekin aj wo andar se toot chuka tha pehli baar Aarav ko lag raha tha ke wo aj haar gaya hai.
*Thump*
Aarav se koi cheez zor se aa ker takrayi jis ke chalte Aarav ka pura shareer Barf me gulatiya khate huwe 10 se 12 Feet dur ek pathar se ja takraya.
*Eeeeeeeeeeee*
Aarav ke kaano me siti si bajne lagi Ankho ke aage sab dhoondla dikhne laga, Aarav ka pura shareer buri tarha kaampne laga.
Aarav ne mushkil se apni kholi per abhi bhi sab dhoondla tha, Dheere dheere Aarav ka vision theek ho gya, Per jab us ne apne saamne ke manzar ko daikha to us ki bachi huwi himmat bhi jawab de gayi.
Uss ke saamne 15 ke kareeb Demon Wolves the per jo use dara raha tha, wo wolves nahi balke un ke saamne khara ek Vishal barfeela Bhaaloo tha. (Ice Bear)
Wo Bhaaloo kisi Haathi se bhi bara tha, aur uss ke upar jagha jagha khoon laga huwa tha, Us ke saamne Wolves bacho jaise lag rahe the, Aarav ne apne kareeb daikha to wahan ek Demon Wolf mara huwa tha, ye Wohi wolf tha jo abhi Aarav se aa ker takraya tha.
Per sirf ye he Wolf nahi tha jo mara tha bohat se aur bhi Wolves wahan mare huwe the jin ke shareer me ice spikes ghuse huwe the, Per wo Ice Spikes per gire kaise ye Aarav ko samajh nahi ayi? Per iss Sawal ka jawab bhi Aarav ko foran mil gaya.
Jab bhaaloo ne apna haath Zameen per Maara to Wolves ke neeche Ice spikes Nikalne lage, Demon Wolves ne tezi se apni jagha se chalang maari aur un Ice Spikes ko Dodge karne lage.
Lekin phir bhi bohat se wolves un spikes se injured ho gye, Per wo yahan ruke nahi aur sab tezi Se bhaaloo ki taraf barhe wo bhaaloo per apne numbers ka use ker ke attack karna chahte the, per Vishaal hone ke bawajood bhaalo ki raftaar dheemi nahi thi wo kisi bhi wolf ko apne kareeb ane nahi de raha tha.
Aarav: (Shivers) Ye!!!! Ye kia ho raha hai? Akhir ye kahan aa gaya hu main? Ye ice Spikes? Ye vishaal Bear?
Aarav theek tarha bol bhi nahi paa raha tha, Ab dard ki jagha Khoof ne le li thi saamne ka nazara koi aisa nahi tha jis ko daikh ker wo calm reh sake. Bhaaloo ki wajha se Aarav Wolves se to bach gaya tha.
Lekin bhaalo Wolves se Aarav ko bachane ke liye nahi lar raha tha balke wo khud Aarav ko apna shikaar banane ke liye lar raha tha, Dono side me se jo bhi jeetne wala tha wo Aarav ka shikaar karne wala tha.
Matlab chahe jo bhi jeete Ant me Aarav ki maut he thi, ye soch ker Aarav ko khud ki kismat se jo thori bohat Umeed thi wo bhi khatam ho gayi.
Wanhi dusri taraf Wolves lagatar sankhya me kam hote ja rahe, Akhir me sab Wolves ne ek taraf se attack karne ki jagha Bhaaloo ke chaaro taraf phel gye aur ek saath uss per Attack karne ke liye bhaag pare.
Lekin iss baar un ki Movements badal gayi thi, Wo baar baar apni position change ker rahe the aur baar baar ek pal ke liye un ki speed itni tez ho rahi thi ke wo dikhayi bhi nahi de rahe the.
Bhaaloo ne dobara khud ko ghoomaya aur sab per attack karna chaha per usi pal Wolves ne apni speed barhayi aur apne Claws se bhaaloo ke Shareer ko pharne lage.
*Groowwrr*
Bhaalo buri tarha se dahara per Wolves ruke nahi aur lagatar Bhaaloo per Claws aur apne daanto se us ke shareer ko kaatne lage.
Bhaaloo gusse me aa gaya aur apne haatho se sab Wolves ko utha utha ke dur phenkne laga, Sab Wolves dur dur ja ker gir rahe the per wo foran he khare hote aur dobara Bhaaloo per Attack ker dete per ye khel zada waqt nahi chala.
*Roaaaaar*
Bhaaloo ne ek dahar li aur apne aage ke dono haatho ko zameen per de maara uss ke chaaro taraf Ice Spikes Nikalne lage Wolves ne bhagna chaha per Ice Spikes bohat dur tak phel chuke the jis ke chalte bohat se ice spikes wolves ko maarne me kamyaab ho gaye.
Sirf 3 se 4 he wolves bache the jo buri tarha se zakhmi the, Wo aise larayi jeet nahi sakte the ye wo khud bhi samajh gye the.
*Oowwwoooo*
Un me se ek wolf ne apna muh upar karte huwe Howl kia ye howl ek signal tha baki wolves ke liye, Wolves ab sirf shikaar nahi jeetna chahte the ab wo Ice bear ko apna shikaar banana chahte the, Bhale he wo janwar the per apne pack ke wolves ko yun marta daikh gussa unhe bhi aa raha tha.
Wanhi abhi huwe Ice Spikes ke Attack ko daikh Aarav aur bhi chaunk gaya, Ab tak uss ne jo kuch daikha tha ye uss sab se zada chauka dene wali cheez thi, Wo jahan bhi tha use ye pata lag gaya tha wo Prithvi per to nahi tha.
Us ice spikes se huwe attack ki wajha se puri zameen aur pahar hil gye, Tabhi Aarav se ek Seeshe ki bottle aa takrayi Aarav ne us bottle ko daikha to beech me hare rang ka paani tha.
[Item: (Healing Potion) ~ Effect: (Instantly Restores 10 HP)]
Aarav ke saamne jab dobara window khuli to uss per likhe Lafz parh ker Aarav ke saanse thamne ko ho gayi, Use yaqeen nahi ho raha tha ke jo likha huwa wo sach hai, Per jo uss ne abhi daikha tha wo kahi se bhi normal nahi tha, Per Aarav ke paas Shaq karne ka moka nahi tha waise bhi wo marne he wala tha us ki HP sirf 2 reh gayi thi.
Aarav ne bottle uthani chahi per us ka haath hila he nahi, Aarav khud pura hilana laga jis se Zakhm aur khulne lage aur dard aur barhne laga per Aarav iss waqt us ek chance ko gawana nahi chahta tha jo use itni mushkilo ke baad mila tha.
Aarav aise he hilta raha use koi faraq nahi per raha tha ke larayi me aage kia ho raha hai wo sirf us potion ko hasil karna chahta tha, Aise he hilte hilte wo potion ke kareeb gir gaya.
Aarav ne ek lambi saans bhari aur dard bardasht karte huwe khud ko ghaseet ker potion ke kareeb le gaya, Per ab sawal tha ke wo Bottle ko kaise kholta, lekin itna kareeb aa ker wo peeche nahi hatna chahta tha.
Per usi pal wahan ka mahool badal gaya, Wahan ki hawa bhaari mehsoos hone lagi, Ab tak jo larne ki awaze aa rahi thi ek pal me band ho gayi, Aarav ko apne peeche kuch mehsoos huwa kuch aisa jo uss ne kabhi mehsoos nahi kia tha, Uss ka dar barhne laga aur tabhi us ke saamne ek aur notification aa gaya.
[Alpha Demon Wolf presence stunned player body, Player have fallen into a stunned state.]
Aarav ne dheeme se apni gardan ghooma ker daikha to ek chattaan ke upar ek ek wolf khara mehsoos huwa Aarav use theek se daikh bhi nahi paa raha tha, Dikh rahi thi to wo 2 Laal khoon ke liye bhooki ankhe.
[Activating Unique Ability (Will to live)]
[Requirements not met]
[To use the Unique Ability (Will to live) to its full potential, you have to meet its requirements]
[Current Progress (3.8%)]
[Fear Decreased -40%]
[Endurance Increased +10]
[Intelligence Increased +20]
[Strength Increased +10]
[Stamina Increased +10]
[Agility Increased +10]
[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he guys, thora late ho gya kiu ke update me changes ker raha tha, Update pichle update jaise 3K+ Words ka hai, Abhi storie ka order set ker raha hu shayad next week se 1 hafte me 3 update dene start ker du, Iss liye like aur Reviews de ker mujhe aise he maze ke update dene me madad karte rahiye ga, Next update monday Evening me aye ga ya tuesday Evening me tab tak ke liye, Sayonara (Eid Mubarak)]