• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    298

navrose

Member
403
241
43
UPDATE 33 ~
(LIGHT OF HOPE)



Sayani Airlines
New York ~ 11:29 PM



“Mr. Aakash!”




Jet se utarte huwe ek Japanese Admi seedha Aakash ki taraf chala gaya, Uss ke saath he kuch aur log bhi Aakash ki taraf aa gye.



“Mera naam Haruki Sato hai! Mujhe yahan Daisuke aur Isabelle ke saath bheja gaya hai”




Aakash(Nod): Hmm, Nice!



Aakash pheeka reaction dia, Lekin Haruki Yahan Aakash ki personality ke baare me ache se jaan ker aya tha, Wo aisa pheeka savagat hone per kuch bhi nahi bola kiu ke usse Aakash ki power ka andaza tha.



Haruki(Grin): Ap ne jaise itni jaldi sab ko yahan laane ki arrangement ki hai! Sach me main to ap ka fan ho gaya, Pehli baar Sayani Family ke kaam aa rahe hum ye hamare liye bohat khushi ki baat hai.




Aakash(sigh): Fikar mat karo! Sayani Family apne madadgaro ko bhoolti nahi hai, Aage chal ker jahan Hamari zaroorat ho bejhijhak bata dena.



Haruki puri tarha Aakash ko makhan laga raha tha, Aakash bhi jaanta tha ke aj aise unhe yahan bulane ki usse kitni bari Keemat chukani ho gi, Lekin usse un sab se kuch matlab nahi tha, Abhi ke liye uss ki sirf ek Priority thi.



Kento: Haruki! Uss ke baare me bhi baat karo.



Kento Sensei bhi saath he aya tha, Kento ki baat sunte he Haruki ko yaad aa gaya ke wo kitni zaroori baat bhool raha tha.



Haruki: Wo ap se kuch Stone ke baare me baat huwi thi!



Aakash: Yes! Abhi sample mangwata hu.



Aaksh ne Barbie ku taraf daikha to wo ishara samajhte huwe apne Car me se ek briefcase nikal laya, Haruki ne ishara kia to ek angrez aage Barbie ke paas aa gaya.



Haruki: Ye Stephen hai! Teesri team jo Tutorial Tower gayi thi, Stephen un me tha, Stephen ke paas Material Knowledge ki ability hai.



Aakash ne Stephen ki taraf daikha to uss ke huliye se wo koi sadharan vyakti nahi lag raha tha, Wanhi Stephen ne apni Identity chupane ki koshis bhi nahi ki thi, Aakash ko samajh aa gayi thi ke Stephen khela khelaya banda hai sirf apni player ki shaktiyon per he nirbhar nahi hai.



Stephen: Shayad ap mujhe nahi jaante ho gye! Main ek chota sa business karta hu, Umeed he Bhavishya me ap se mulakat hoti rahe gi.



Aakash ne sirf Nod ker dia, Barbie ne Briefcase khola to beech me ek pathar rakha huwa tha, Stephen ne pathar ko haath me uthaya aur usse dhayan se daikhne laga, Har lamhe ke saath uss ke chehre ke bhav badal rahe the.



Stephen: Adbhut, Kamal! Koi shak nahi ke aisa pathar Sirf Darkvale ke jungle me he ho ga.



Stephen ne khushi ka izhaar karte huwe kaha, Wanhi uss ke shabd sun ker peeche khare Kento ke chehre per bhi khushi ki lehar aa gayi.



Kento: Kia hum kuch experiment ker sakte hai abhi?



Kento ne Aakash ki taraf daikhte huwe pucha, Aakash ne haan me Nod ker dia, Kento ne ek chota tukra uthaya aur usse ek bottle me rakhe chemical me daal dia, Kuch pal guzarne ke baad bhi kuch nahi huwa to Kento aur bhi khush ho gaya.




Kento: Stephen ne sahi kaha hai! Ye sach me kamal ka material hai, Mr. Aakash, Ap ke paas abhi kitna aur bhi ho ga ye pathar?



Aakash: Hmm! Abhi ke liye main pura to ap ko nahi du ga, Lekin tum sabhi mere kehne per aye ho to ek 20kg ka tukra meri taraf se ap ko Uphar ke roop me de diya hai, Jo bhi daikhna ho sab daikhne ke baad mujhe contact ker sakte ho, Hum uss ke baad aage ki deal kare gye.




Haruki: Zaroor! Ap fikar mat kariye, Daisuke ek Professional Admi hai, Hum ne usse samjha dia hai, Wo ap ke bhai ka khaas dhayan rakhe ga wahan.




Aakash ne uss per koi jawab nahi dia aur wahan se chala gaya, Baki sab kuch daikhne ke liye Barbie ko wanhi chhor dia.



****

Sayani Airlines
New York ~ 11:36 PM




“Yoo-Jung!!!”



Yoo-Jung jaise he apne jet se baahir nikli usse saamne se he Daisuke aur Isabelle ate huwe dikh gye, Yoo-Jung ne apne utar rahe Kijoong ki taraf daikha to Kijoong ne haan me sar hila ker usse jaane dia.



Yoo-Jung bhi un dono ke paas chali gayi, Teeno bakiyo se thora hat ker khare ho gye, Baki sabhi ka dhayan Aakash ki taraf tha.



Yoo-Jung: Ye sab kia ho raha hai Daisuke? Yun Achanak ek nayi Quest kaise aa gayi? Abhi to hum pichli quest se he nahi sambhal paye the!



Yoo-Jung ki heraani ko Daisuke samajh paa raha tha, Abhi tak un me se koi bhi Ezra se mile feature ko he nahi sahi se seekh paya tha, Ab ki baar un ke liye kaisa khatra intezar ker raha tha ye soch ker he un ke rongte khare ho rahe the.



Daisuke(Sigh): Mujhe bhi kuch samajh nahi aa rahi hai! Abhi tak sabhi teams ki har quest me 1 Month ka difference raha hai, Lekin aise ek quest ke kuch din baad he agli Quest ye ab tak nahi huwa, Lekin hamare paas choice bhi nahi hai, Hum sirf umeed ker sakte hai ke ab ki baar Quest pehle se Aasan ho.




Yoo-Jung: Sahi keh rahe ho ap! Main ne in dinon me training ki hai, Aur main shayad pehle se zada Shaktishali bhi ho gayi hu, Lekin ye ab ki baar Quest ke liye kafi ho gi ye nahi keh sakti!




Daisuke: Main bhi Special training ke beech tha! Kuch naya to nahi seekh paya lekin bachpan me seekhi cheeze dobara yaad ker chuka hu, Abhi ke liye hamare paas jo hai wo hai.



Daisuke bhi sab ke liye pareshaan tha ye uss ke chehre se pata lag raha tha, Wanhi Yoo-Jung bhi soch ker pareshaan ho rahi thi ke kia wo ab ki baar bhi jeet paye gye kia?



“Sir”



Daisuke aur Yoo-Jung baat ker he rahe the ke Daisuke ke saath aya ek officer apne haath me kapre ke andar lapete kuch le ker aa gaya, Daisuke ko pata tha wo kia hai.



Daisuke ne uss se wo pakra aur usse jaane ke liye keh dia, Daisuke ne kapre ko khola aur beech me se ek Bow nikala aur saath me kuch aur bhi nikala, Dikhne me wo kisi Spear ke jaise lamba aur shape me tha.

65e310d1a02ff7625645224f70567db8.jpg


Yoo-Jung (Frowns): Y-Ye!




Daisuke (Smile): Haan! Ye Fire Clan ka weapon hai, Ye Special Fire clan ke liye banaya gaya hai, hamare paas aise kuch weapons hai, Main ne kuch modified karte huwe in ko Mana Stone se tayar karwa dia hai, Ab tum in se Tutorial tower me bhi lar sakti ho.




Daisuke ne dono cheeze Yoo-Jung ko pakra di, Yoo-Jung unhe haath me pakar ker dhayan se daikhti rahi.




Daisuke: Mujhe kuch details me to nahi pata! Lekin mujhe itni samajh aa gayi thi ke tumhara Fire Clan se relation hai lekin tum un me se nahi ho, Lekin agar tum sach me Fire Clan se rishta rakhti ho to ye tumhare liye ek kamal ka weapon hai, ye sirf 1 attack ker sakta hai lekin mujhe umeed hai ye tumhare kaam zaroor aye ga.



Daisuke ke mann me sawal to bohat the, Lekin agar Yoo-Jung abhi usse nahi batana chahti thi to wo uss per pressure bhi nahi daalna chahta tha.



Yoo-Jung ne bow aur Spear ko rakha aur Daisuke ki taraf daikh ker Nod karte huwe Daisuke ke liye apni Respect dikhayi.



“Daisuke”



Isabelle ki awaz ne un ka dhayan apni taraf kheench lia, Isabelle ki Aankho me ansoo the, aur wo apni chaati per haath rakhe huwe khari thi, Daisuke jaldi se uss ke paas chala gaya aur uss ko pakar ker uss ko sahara dene laga.



Daisuke(Frightened): Isabelle! Y-ye kia ho raha hai tumhe? Kia dobara wohi sab?



Isabelle: Mujhe nahi pata! Lekin kuch sahi nahi lag raha hai, Jaise ek saath alag alag feelings mann ko bhaari ker rahi hai aisa lag raha hai, Ek ajeeb udasi andar ghar karti ja rahi hai.




Daisuke ne Paani mangwa ker Isabelle ko pilaya to uss ki halat kuch sudharne lagi, Lekin aisa huwa kiu ye unhe samajh nahi aa rahi thi, Aur phir jaise Yoo-Jung ko sab samajh ane lagi.



Yoo-Jung (Mumble): Aarav!



Daisuke: kia?



Yoo-Jung: Ye feelings Isabelle ki nahi hai! Tumhare bond ki wajha se tum apne Alpha, Matlab Aarav ki feelings ko mehsoos ker rahi ho.



Yoo-Jung ki baat sense bana rahi thi, Lekin unhe ab Aarav ka dar satane laga tha, Aarav ko wanhi chupa ker rakha gaya tha, Wanhi Vansh apni Car me baitha huwa tha to wo uss se bhi nahi puch sakte the.



Isabelle: Aarav! Aisa kia huwa hai jis ne tumhe itna udaas ker dia hai?


****

Sayani Airlines
New York ~ 11:33 PM




*Click*



Kamre ka darwaza khula aur Tsubame andar aa gayi, Uss ke saamne he ek bench per Aarav baitha huwa tha, Ye ek alag Area tha jo abhi bhi under construction tha, Aakash ne Aarav ko yanha rukne ke liye kaha tha.




Aarav sar jhukaye neeche he daikhte ja raha tha, Tsubame ko bhi Urvi ki halat ke baare me pata lag chuka tha, Tsubame khamoshi se Aarav ke paas ja ker baith gayi.



Aarav ko waise daikh ker Tsubame ko bhi bura lag raha tha, Kuch pal yun he dono ke beech khamooshi chayi rahi, Tsubame ne Aarav ka haath pakar ker apne haatho me thaam lia.



Tsubame: Urvi ke baare me pata laga mujhe!



Tsubame ne Aarav ki taraf se response ka wait kia lekin Aarav kuch bhi nahi bola, Tsubame samajh sakti thi uss ke dard ko, Wo apni behan ke liye he to ye sab ker raha tha.



Tsubame: Abhi itni jaldi haar mat maano! Urvi abhi bhi hamare saath hai, Agar hum mil ker dhoonde gye to kuch na kuch raasta he nikal aye ga.



Aarav(Sigh): Huh! Main haar nahi manana chahta, Lekin ye zindagi mujhe haraana chahti hai, Jab bhi 4 khushiyon ko daikh ker lagta hai ab sab kuch sahi ho ga tabhi ye zindagi aisa khel khel deti hai, Jaise un sab khushiyon ki keemat mere apne ho.




Aarav ne Tsubame ki taraf nazre ghoomate huwe kaha, Aarav ka chehra saamne ate he uss ki laal ankhe daikh Tsubame kaanp gayi, Aarav ki aankhen jaise sab ansoo baha ker sukh chuki thi.



Aarav(Breaking): Main ne hamesha apno ko khoya he hai! Lekin ab agar main ne Urvi ko bhi kho diya to main jee nahi pao ga, Sensei, Ap kuch dhoondiye na please, Main Urvi ko khona nahi chahta.



Tsubame ne aage barh ker Aarav ko apni bahon me le lia, Aarav kisi bache ki tarha rone laga, Tsubame ko jakarte huwe wo apna pura dukh baha raha tha, Tsubame ki aankhe bhi bhar ayi.



Wo Aarav ko uss halat se nikalna chahti thi, Lekin wo bebas thi, Uss ke Clan me bhi log Cancer jaisi bemaariyo se bach nahi paye the.




Tsubame: Tum fikar mat karo! Hume kuch na kuch raasta mil jaye ga, Hume sirf uss raaste ko dhoondne ki zaroorat hai, Sab se pehle ye ansoo bahana band karo, Aisi bheegi Aankhon se daikho gye to saamne raasta aa bhi gaya to daikh nahi pao gye.




Tsubame ne Aarav ko khud se alag kia aur uss ki aankhe saaf ker di, Aarav bhi apne mann ka kuch bhaar halka ker chuka tha, Lekin abhi bhi apni behan ki fikar usse sataye ja rahi thi.




Tsubame: Sab se pehle tumhe waapis ane per dhayan dena ho ga! Main tumhe itne kam waqt me kuch khaas seekha to nahi payi, Lekin mujhe tum per yaqeen hai, Tum waapis laut ker zaroor aoo gye.



Aarav ne ek gehra saans bhara aur jaane ki tayari karne laga, Uss ke paas samay kam bacha tha, Tsubame ne khud Aarav ko Armor pehan'ne me madad ki, Aarav ke liye Mana stone aur material se ek nayi Sword banwa di thi Aakash ne aur uss ka Armor bhi repair karwa dia tha.



Tsubame: Dhayan rakhna apna! Urvi ke liye kuch na kuch na kuch raasta nikal aye ga, Jaise Daisuke ke liye nikla tha, Hume sirf Vishwas rakhne ki zaroorat hai.



Aarav ne haan me sar hila dia aur beech me ja ker khara ho gaya, Tsubame ne ungliyo ke ishare se usse smile karne ka kaha, Aarav ne ek pheeki muskan chehre per saja li.



****

Sayani Airlines
New York ~ 11:53 PM




“Bhayia! Time ho raha hai”



Vansh ne apne saath baithe Aakash ki taraf daikhte huwe kaha, Aakash ne apne haath me pehni watch me Time daikh to kuch he samay bacha tha.



Aakash: Theek hai! Tum baki teeno ke paas chale jao.



Vansh ne sakoon ka saans lia aur khud ko set ker ke Car ka darwaza khol ker baahir nikalne laga, Tabhi Aakash ne uss ka haath pakar lia, Vansh ne peeche ghoom ker Aakash ki taraf daikha to wo usse ghoor raha tha.




Aakash: Agar teri bewakoofi se Aarav ko kuch bhi huwa to, Main kasam kha ker kehta hu ke tere zinda lautne ke baad bhi teri zindagi Narkh bana du ga!



Aakash ki aankho me ayi laali daikh ker Vansh ki halat kharab hone lagi, Aakash jhoot nahi keh raha tha, Vansh ne Nod karte huwe haath churwaya aur wahan se nikal gaya.




Aakash usse jaate huwe daikhta raha, Wo dar raha tha, Wo Aarav ke liye kuch aur bhi karna chahta tha lekin wo kuch bhi aur nahi ker sakta tha.



Aakash (Mumble): Please dobara zinda laut ana Aarav!



****

Tutorial Tower ~



*Crackle*



Ek bara circle ground per bana aur aag ki lapto ne uss circle ko gherna shuru ker dia, kuch he palo me lapte thamne lagi, Lapto ke beech me Pancho khare huwe the.



*Gasp*



Sab ne gehra saans bhara aur ek dusre ki taraf heraani se daikhne lage, Jaise puch rahe ho ke jo abhi huwa wo sirf un ke saath Huwa ya bakiyo ke saath bhi huwa hai.



Daisuke: Kia tum sab ko bhi koi Quest nahi mili kia?



Daisuke ne sawal kia to sab ne Na me sar hila dia, Ab ki baar wo sab beech me uss andheri jagha per nahi gye the, wo seedhe Tutorial Tower me aa gye the, Sab kuch ajeeb ho raha tha un ke saath,




[The quest location has been updated! You can now view the quest location on the mini-map. The quest details will be revealed once you enter the quest zone]



Un ke saamne ek Mini Map khul chuka tha, Unhe Quest Zone ka pata lag gaya tha jo un ke paas he tha, Agar wo chal ker jaate to 1 Din me wahan pohanch sakte the, Lekin unhe pata nahi tha Quest ka time kitna rahe ga.




*Owooo!*



Ek howl ne sab ka dhayan apni taraf kheench lia, Un ke saamne se he sabhi Demon Wolves pedo ke beech se nikal aye, Wanhi Shadow ne Armor pehna huwa tha jis per Lime baithi huwi thi.




Yoo-Jung ne aage barh Shadow ko Headpat karna shuru ker dia, Demon Wolves kareeb he the to Aarav ko sense karte he wo wahan aa gye.




Daisuke: Nice! Demon Wolves ke ane se hamara time bach jaye ga, Hume jaldi nikalna ho ga, Sabhi jaldi chalo.



Daisuke ek Demon Wolf ke upar baith gaya, Lekin Demon Wolves me se koi bhi Move nahi ker raha tha, Daisuke ne unhe aage barhne ka kaha lekin wo wanhi ruke rahe.


Sabhi Wolves Aarav ki taraf daikh rahe the jo khamooshi se sab kuch daikh raha tha, Daisuke ko samajh aa gayi Isabelle ki tarha Wolves bhi Aarav ki feeling ko mehsoos ker paa rahe hai.



Shadow aage barhte huwe Aarav ke paas ja ker usse ke chehre ko chaatne laga, Aarav ne usse sehlaya lekin uss ki udaasi sabhi Demon Wolves per bhi effect ker rahi thi, Kisi ko samajh nahi aa rahi thi ke wo Aarav se kia baat kare.




Isabelle: Hume kuch samay akele rehne do! Ap sabhi aage jao hum ap ko join karte hai.



Bella ne Aarav ki taraf jaate huwe kaha, Demon Wolves ne bhi uss ki baat maan li, Baki sab ko bhi ye he sahi laga, Aarav aur Bella ko wanhi chorte huwe wo log aage nikal gye.



Bella Aarav ke paas gayi aur uss ka chehra apne haatho me thaam ker uthaya aur usse dhayan se daikhne lagi, Aarav ke chehre se pehle wali chamak gayab thi.




Bella: Urvi ko kuch Huwa hai kia?



Bella ne seedha sawal kia, Aarav agar kisi ke liye itna fikarmand ho sakta tha wo sirf Urvi thi, Aarav ne haan me sar hila dia, Bella ne Aarav ka haath pakra aur usse neeche baitha dia.




Bella: Mujhe sab kuch batao kia huwa hai?



Bella ne Aarav ka haath thamte huwe kaha, Aarav ne Bella ki taraf daikha aur jaise usse ehsaas huwa ke Bella ek healer hai to uss ke chehre per kuch umeed ki kiran aa gayi.



Tsubame ne sahi kaha tha ke wo apne ansoo ki wajha se saamne raasta bhi nahi daikh paa raha tha, Aarav ne Bella ko sab kuch batana shuru ker dia Urvi ka cancer Uss ki Sayani family se deal aur sabhi kuch, Bella khamooshi se sab kuch sunti rahi.



Aarav ki sabhi baate sunte huwe usse Aarav ka dard samajh ane laga, Kitna juch bardasht kia tha uss ne aur phir bhi wo Tower me sab ki madad ke liye tayar rehta tha, Sab kuch sun ker bella ne kuch pal socha aur gehra saans bharne ke baad bolna shuru huwi.



Bella: Shayad main tumhari madad ker sakti hu!



Bella ke muh se nikle shabd sunte he Aarav ko ek umeed ki kiran dikhi, Uss ne Bella ki taraf umeed bhari nazro se daikh to Bella ne Nod karte huwe usse shaant rehne ka ishara ker dia.



Bella: Tutorial Tower se material le jaane wale hum akele nahi the! Pichle 2 saal se yahan se le jaye gye material per different experiment kiye ja rahe hai, Un me se he ek Experiment ho raha hai Elixir per, Aisa Elixir jo kisi bhi tarha ki Disease ko Cure ker sakta hai, Meri healing sirf wounds aur injuries ko heal karti hai, Lekin wo puri body ko cure aur purify ker sakta hai.



Aarav: Kia sach me aisa ho sakta hai kia?




Bella: Yes! Lekin Wo abhi bhi experiment phase me hai, Main abhi tumhe ye suggest nahi karna chahti thi, Lekin tumhe aise bhi nahi daikh sakti thi main, Tum Urvi ko mere paas le ana hum pehle bina Elixir ke usse Cure karne ki koshis kare gye, Lekin agar kuch possible na huwa to hum Elixir per switch kare gye, Lekin ek dikkat hai, they've encountered a problem—they haven't been able to find a way to store it. It's too potent.



Aarav: Kia matlab?



Bella: Elixir tayar hone ke baad wo bohat zada strong ho jata hai! Hume usse apni healing ability se Normal karna hota hai, Lekin kuch bhi usse contain he nahi ker pata, wo kisi Acid ki tarha ka ban jata hai.



Aarav: Phir?



Bella: Lekin Lime ko daikhne ke baad main ne unhe kuch suggest kia! Jaise tum ne lime ke liye uss pathar se Armor banwaya waise he hum uss se en container tayar ker sakte hai, Tumhare pathar supply karne ki wajha se main sure hu ke wo tumhe Elixir zaroor de gye.



Aarav ko yaad ane laga ke Aakash ne uss se sabhi pathar maang liye the, Yaani wo pehle he Urvi ke liye kaam ker raha tha, Aarav ko kuch acha mehsoos hone laga tha, Uss ne aage barh Bella ko apni bahon me bhar lia.



Aarav(Sobbing): Thank You, Thank You soo much! Tum ne aj mujhe bohat bara uphar dia hai, main kabhi bhi tumhare Ehsaan ko nahi bhulu ga.



Bella: Pagal ho gye ho kia? Hamare beech kaisa ehsaan? Kabhi tum meri madad karte ho to kabhi main tumhari, Ye ehsaan nahi dosti hoti hai.



Aarav Bella se alag huwa, Uss ke chehre per chamak waapis ane lagi thi, Ab wo waapis jaane ke liye utsuk ho raha tha, Aarav Shadow ki taraf barha nikalne ke liye.




Bella: Ruko, Aarav!




Bella ne Aarav ko awaz de ker roka, Aarav ne peeche ghoom ker daikha to Bella khari apni ungliyo ko masalte ja rahi thi.




Aarav: Kia huwa?



Bella ne ek gehra saans bhara aur tez chalte huwe Aarav ke kareeb ayi aur uss ka sar pakar ker neeche karte huwe uss ke honto per hont rakh diye.



Pehle to Aarav heraan huwa, Lekin uss ne virodh nahi kia aur Bella ki kamar me haath daal ker uss ke labo ko chusne laga, Bella ke haath Aarav ke sar ke peeche phirte ja rahe the.



*Puch* *Smooch*



Dono ne ache se ek dusre ke honto ka ras piya aur alag ho gye, Dono ek dusre ki taraf daikh rahe the, Jahan Aarav muskura raha tha wanhi Bella sharma rahi thi.



Bella: Tum mujh se koi sawal nahi pucho gye! Ye madad tumhe meri karni ho gi.



Bella bolte huwe wahan se tezi se nikal gayi, Aarav usse jaate huwe daikhta raha, Aarav ko pata tha ye sirf un ke Alpha aur Pack member ke bond ki wajha se huwa hai, Lekin Bella ko aise sharmata daikh Aarav muskuraye bina na reh saka.



Dono Shadow ke upar baithe jo un ka intezar ker raha tha, Shadow puri raftaar se bhaga aur jald he wo bakiyo ke paas pohanch gye, Daisuke ne ishare me pucha ke sab theek hai kia? Aarav ne angootha dikhate huwe good keh dia.



****

Unknown Place ~




“Ye sab ho kia raha hai?”




Ezra ne wahan ate huwe herangi se pucha, Wanhi kursi per baitha vyakti tezi se apne haath chala raha tha, Ezra seedhe uss ke paas chali gayi.




Ezra: Ye Achanak Quest ki kia wajha ban gayi? Abhi unhe un ke feature ko Use karna to seekhne dete!



Vyakti: Ye Quest meri taraf se nahi banayi gayi! System me kuch Error aya hai, Ye Quest khud he tayar huwi hai, Mujhe Quest to nahi dikh rahi sirf uss ke rewards dikh rahe hai, Reward wo he hai jo main rakhne wala tha.



Vyakti ki baat sun ker Ezra aur bhi pareshaan ho gayi, Ye pehli baar tha ke Vyakti ne aisi kuch galti ki ho, Lekin ye sab kuch ab ki baar he kiu ho raha tha?



Ezra: Hume Quest rokni ho gi!



Vyakti: Hum nahi rok sakte! Ye Quest mere control me nahi hai, Hum yahan se kuch bhi nahi ker sakte.




“Hum agar yahan se kuch nahi ker sakte to wahan jaane ki tayari karo!”



Ek sard Awaz ne Vyakti aur Ezra ke rongte khare ker diye, Dono jaldi se ek taraf ghoom gye, Un ke saamne White color ke kapro me koi khara huwa tha, Bina kisi Aura ke bhi wo unhe un ke defence me khare hone per majboor ker raha tha.



3feb143d514cef41a052f2803d7b4076.jpg

Vyakti: 7th Monarch! Ap yahan kia ker rahe ho, Hum sab kuch handle ker rahe hai yahan.



Monarch: Wohi daikh raha hu kaise sab kuch handle ker rahe ho tum log! Main ne pehle bhi kaha tha iss party ka khaas dhayan rakhna hai, Phir bhi ye galti kaise ho gayi?



Monarch ki awaz me gussa tha jo Vyakti aur Ezra ko dara raha tha, Unhen Monarch ki shaktiyon ka ache se andaza tha.



Vyakti: Galti mujh se huwi hai! Main he sudhaarne ki koshis bhi karu ga, main Khud Tutorial Tower me jao ga.



Vyakti ki baat sun ker Monarch ne Nod karte huwe hami bhar di, Vyakti ek taraf ghooma aur dobara ek gate kholne laga, Lekin wo Gate khol nahi paa raha tha.



Monarch: kia huwa?



Vyakti: Mujhe nahi pata! Lekin kuch hai jo hume wahan jaane nahi de raha.



Ezra(Frightened): Shayad mujhe pata lag chuka hai ke kon hume rok raha hai!



Ezra ne ek screen me daikhte huwe kaha uss ke chehre per pareshani jhalak rahi thi, Monarch aur Vyakti screen ke paas gye to saamne ka drishya daikh ker wo bho chaunk gye.




Vyakti: Wo Tutorial tower ke kisi se Monster se nahi larne ja rahe! Wo Tower ke Guardian se larne ja rahe hai!
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye Update 5K Words ka hai, Hum First Arc ke finally ke kareeb aa chuke hai, Target wo he hai 30 Likes Agar pura huwa to next update Thursday Night ko aye ga, Umeed karta hu ap ko Update pasand aye ga, Milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
BAHUT BADIA UPDATE
 

sakuna

Member
272
414
63
Jabardast update tha Bhai kuch confusing lga anyway maja aya waiting for next update apne bola tha week main 2 update ayenge Bhai try kro aj ya kal Tak ek dene ka
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,856
19,859
144
Jabardast update tha Bhai kuch confusing lga anyway maja aya waiting for next update apne bola tha week main 2 update ayenge Bhai try kro aj ya kal Tak ek dene ka
Update night 12 baje tak ya Morning 10 me aye ga!
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,856
19,859
144
Update ke last parts me kuch dikkat aa rahi! Jab Update aye ga to samajh aa jaye gi kahan, So agar update subha per jaye to wait ker lena guys!!!
 

Dragon.

Active Member
1,472
1,211
143
Waiting
 

drx prince

Active Member
1,564
1,548
143
Ha bhai kitna ready hua Update
 
Top