Theek hi kaha hai, jab dost aise hon, to dushmano ki kya jarurat hai. Avinash ko uski clan rivalry ki wajah se dokha de kar tower me hamesha ke liye kaid kar liya, wo to lagta hai vyakti ne portal khol kar usko apne pass bula liya lekin weh wapas kabhi apne bacchon ke pass na ja paya.
Idhar Aarav ke saath bhi aisa hi hua, Vansh ne usko dhoka diya. Lekin Aarav ke saath uski puri team rahi aur Vansh murkh jealousy ke maare ye sab kar baitha, weh yeh nahi soch paya ki agar Aarav nahi hai to weh sab bhi nahi rahenge.
Veronica to usase lagta hai emotionally bhi attach ho rahi hai. Akash ne Vansh ko accha sabak samjhaya, lekin ab dekhna hai ki Aarav ke do dushman khade ho gaye hain, ek to Vansh aur dusra Soo-hyun kyon ki usko pata chal gaya hoga ki Aarav ko bhi Soul-Binding power mil gayi hai. Bas, Ek baat nahi samajh me aayi, Akash Aarav se itna attach kyon hai, yeh keval apne faide ke liye hi nahi lag raha hai, kuch to emotional attchment bhi hai. Mujhe lagta hai kahin Akash bhi to player rah chuka hai, kyon ki Vansh ko peetna itna asan nahi tha.
Great update. Ab jaldi se Urvi bhi theek ho jaye.