Jitu0786
Bhai RJ13 WALA
- 203
- 182
- 43
Sab
Mast super
Update maja hi aagya pad kar
Sabke to lag gayi bhaiUPDATE 48 ~
(CORPSE)
****
Singh Enterprises
Mumbai ~ 4:33 PM
*Chuckles*
Singh Enterprise ki Building me bohat se log meeting ke liye aye huwe the, Aj unhe Aarav se milne ke liya bulaya gaya tha, Lekin ab tak Aarav he wahan nahi aya tha.
Kuch board members aur Shareholders alag se Malhotra ke paas baithe huwe the, Un sab ke cheharon per khushi se muskan ayi huwi thi.
Ravi: Mujhe Pratap se ye umeed nahi thi! Hum sab ko 2 baje se yahan bula ker Aarav ko he samay per nahi bulaya? Huh, Uss larke ke liye pehle he koi taiyar nahi hai, Upar se usse samay ka bhi dhayan nahi hai?
Ravi ek purana manager tha Singh Enterprises ke saath, Uss ki umar hone wali thi lekin wo abhi bhi ek Strong Position per baitha huwa tha.
Malhotra(Chuckle): Hamare liye acha he hai! Lekin ye mat bhoolo ke hum abhi bhi Pratap ke khilaf hone wale hai, Sabhi Points yaad rakhna apne aur sahi samay per vaar karte rehna.
Malhotra ne sabhi ke saath baat ker ke unhe sawal de diye the puchne ke liye, Malhotra ne apni taraf se puri koshish ker li thi Aarav ka background search karne ke liye, Lekin usse kuch bhi nahi mila tha.
Lekin usse Aarav ki education ka data bhi kanhi nahi mila tha, Uss ne wohi point strong ker liya tha, Aarav ki Education se le ker uss ka Work experience aur uss ki knowledge sab sawalo ko prepare ker liya tha uss ne, Lekin abhi bhi wo pura chaukanna ho ker baitha huwa tha.
Ye ek audotorium ki tarha ka kamra tha, Seats ke saamne he ek stage bana huwa tha, Jahan Speaker se le ker Projector tak sab kuch laga huwa tha.
Malhotra se kuch seats ke baad he Amar baitha huwa tha, Malhotra ko daikhte huwe uss ne thumbsup karte huwe All the best kaha to Malhotra bhi muskura diya.
Ravi(Whisper): Ye amar kuch zada Close nahi ho raha kya? Baat kya hai?
Malhotra: Sabhi yahan ek dusre ko nochane ke liye taiyar baithe huwe hai! Ye bhi un me se he aik hai, Ek baar iss ke baap ko raaste se hata du uss ke baad ye mere liye kuch bhi nahi hai.
Ravi(Smile): Kaise gadho ko saath rakhna parta hai! Lekin jab sachayi pata lage gi to uss ka reaction daikhne layak ho ga.
Ravi ki baat sun ker Malhotra bhi hansne laga, Uss ke liye Amar sirf ek mohara tha, Paise ki lalach me Amar bhi andha ho gaya tha.
Uss ki aisi harkaton se tang aa ker he Pratap ne usse uss ka hissa Pehle he de diya tha, Lekin Veer ki barabari karne ke chakkar me wo apna zada paisa dooba chuka tha.
Ab uss ki nazar Veer ke paise ke upar thi, Lekin Aarav ke beech me aa jane se usse ghabrahat hone lagi thi, Ye jaante huwe bhi ke Malhotra ek saanp hai Amar uss ki madad le raha tha.
****
Singh Enterprises
Mumbai ~ 4:51 PM
“Usse kaha bhi tha ke time per aye! Kya reh gaya hai ye larka?”
Vikram ne pareshani ke saath idhar udhar chalte huwe kaha, Pratap uss ke paas baitha usse daikh raha tha, Dono he Building ke baahir Aarav ka intezar ker rahe the.
Pratap: Chinta karne ki koi bhi baat nahi hai! Usse kuch kaam aa gaya ho ga.
Vikram(Frustrated): Lekin Papa ji? Ap bhi jaante ho andar koi sadharan log nahi baithe, Sabhi Shareholders aur Board member baithe huwe hai.
Vikram se log puchne shuru ho chuke the, Aarav ka phone tak nahi lag raha tha, Lekin Pratap ko jaise koi chinta ho he nahi rahi thi, Log ye baat ka faida uthane wale the.
*Screeeech*
Ek car baahir aa ker ruki to Vikram usse daikhte he pehchan gaya, Ye uss ki he Car thi Aarav subha uss se le ker gaya tha, Vikram tez kadmo ke saath uss taraf barhne laga.
Aarav car me se baahir nikla to Vikram ke ek aadami ne aage aa ker Aarav se Key le li, Aarav raaste me taiyar ho ker aya tha, Vikram ne usse ek salon jaane ke liye kaha tha.
Unhone ne Aarav ko ache se groom ker diya tha, Uss ke hairstyle se uss ke kapdo tak sab kuch set kiya gaya tha, Aarav ne Clear lens glasses bhi lagaye huwe the ek mature look ke liye.
Vikram: Kahan reh gye the tum? Sabhi log andar intezar ker rahe hai, Kam se kam inform to ker dete.
Vikram kehte huwe aage aa he raha tha ke Pratap ne usse rok diya, Vikram ne Pratap ki taraf daikha to uss ne usse shaant rehne ke liye kehte huwe Aarav ke haath ki taraf ishara ker diya.
Vikram ne Aarav ke haath ki taraf daikha to Aarav haath me ek bag pakre khara huwa tha, Vikram ne usse koi bhi bag dene ke liye nahi kaha tha, Lekin Aarav usse le ker aya tha to matlab uss me kuch to tha.
Aarav: Dad, Ghabarane ki zaroorat nahi hai! Ap sirf baith ker show enjoy karna, Sab kuch main sambhal lu ga.
Aarav ke chehre ko daikhte huwe he Vikram shaant ho gaya, Aarav andar ki taraf chala gaya, Pratap ne Vikram ki taraf daikha to wo apni jagha he ruka huwa tha.
Pratap: Vikram?
Pratap ne aage hote huwe apne bete ko daikh to Vikram ki aankhe bheegi huwi thi, Pratap ne usse hilate huwe usse hosh me laya.
Pratap: Kya huwa? Aise roo kyu rahe ho?
Pratap ki baat sun ker Vikram ko ehsaas huwa ke uss ki Aankhe bheegi huwi hai, Vikram apni aankhe saaf karne laga.
Vikram: Mujhe bhi nahi pata Papa ji! Lekin Na-Jaane kyu Aarav ke kahe shabd mujhe khushi de rahe hai, Ek pal ke liye aisa laga jaise mera Veer saamne khara ye shabd keh raha hai.
Pratap ne apne bete ka haath pakar liya, Un ke jeevan me badlav ane laga tha, Ek bina soche liya gaya nirnay ab unhe sahi lagne laga tha.
“Hum late ho rahe hai!!!”
Aarav ne unhe bulaya to wo dono bhi uss ke saath andar chal diye, Aarav ke andar jaate he raaste me aa rahe Employee usse daikhe ki koshish karne lage, Ab tak pure office me sab ko pata lag gaya tha ke Aarav kon hai.
Sabhi nazre Aarav ke upar he tiki huwi thi, Kuch log Aarav ki he baate ker rahe the, Aarav unhe ache se sun sakta tha, Lekin wo kuch bhi react nahi ker raha tha.
*Creak*
Meeting Room ke baahir ate he ek employee ne un ke liye Darwaza khol diya, Sabhi andar chale gye un ke andar ate he sab seedhe ho ker baith gye.
Sabhi Aarav ko pehli baar daikh rahe the, Un sab ki nazro me he Aarav ke liye bure khayal dikhayi de rahe the, Sab chehro per to ek jhooti muskurahat banaye huwe the, Lekin andar se sabhi sajish rach rahe the.
Aarav stage per chala gaya aur wahan ek chair per baith gaya, Uss ke saath he Pratap bhi aa ker baith gaya, Vikram baat karne ke liye khara raha.
Vikram: Maafi chahu ga ke ap sabhi ka samay aisa barbad kiya! Kuch karanon ki wajha se hum late ho gye, Lekin ab sabhi aa gye hai to hum aj ke topic per ate hai.
*Gossiping*
Vikram: Jaise ke ap sabhi ko pata he ho ga! Aj se 13 saal Pehle mere bete Veer ne Singh Enterprise ko yahan tak pohanchaya hai, Ap sabhi ne bhi uss me uss ka bohat saath diya hai.
*Clapping*
Vikram: Lekin ab Veer hamare saath nahi hai! Hum ne ye nirnay liya hai ke Veer ki jagha ab mera dusra beta Aarav Singh le ga, Mujhe umeed hai ke ap log uss ka bhi waise he saath do gye jaise Veer ka saath diya tha.
Pure kamre me sanata ho gaya, Sab log he halki awaaz me ek dusre se baat karne lage, Wanhi kuch Malhotra ka intezar ker rahe the.
Sukhbinder(Shareholder): Hum saath dene ko de to de! Lekin hume kuch pata bhi to ho ke saamne wala uss kabil bhi hai kya? Ap hume ye kyu nahi batate ke ab tak Mr. Aarav Singh kahan the?
Vikram ko aise sawal ki umeed thi, Lekin Sukhbinder se nahi thi, Uss ke sawal karte he Pratap ki nazar Malhotara ke upar chali gayi.
Malhotara usse he hanste huwe daikh raha tha, Jaise keh raha ho ke uss ke hote huwe Aarav company me kabhi bhi nahi aa sakta.
Vikram: Aarav kuch Di-
“Dad, Ap ke jawab dene se pehle main kuch kehna chahu ga! Kya main keh sakta hu?”
Aarav ne beech me he Vikram ko rokte huwe pucha, Vikram ne ek baar Pratap ki taraf daikha to wo usse baithne ke liye keh raha tha, Vikram neeche baith gaya.
Aarav: Beech me ane ke liye maafi chahu ga! Lekin kuch aisa hai jo main ap sabhi ke savalo se pehle ap ko dena chahu ga.
Sabhi dhayan se Aarav ko daikhne lage, Aarav ne apne saath laya bag khola aur uss me se kuch Envelope nikal ker table per rakh diye.
Aarav: Ap sabhi apne naam ka Envelope utha le! Usse baahir ja ker padhiye ga, Padhne ke baad ap sabhi waapis aa ker apne saval puch sakte hai.
*Gossiping*
Sabhi log ek dusre ki taraf daikhne lage, Aisa kya tha un Envelope ke andar ke Aarav ne uss ke liye meeting rok di thi?
Ravi: Tumhe nahi lagta ke tum Rude behave ker rahe ho? Tum Vikram ke bete ho lekin yahan baithe sab log bhi important log hai, Aisa kya hai Envelope me ke hume baahir nikal rahe ho padhne ke liye?
Aarav: Rude? Mujhe laga ke main acha behave ker raha hu! Lekin agar ap ko main rude lag raha hu to ap apne naam ka Envelope pehle padh sakte ho.
Aarav ne Ravi ke naam ka Envelope wanhi khare ek Employee ko pakra diya, Employee ne envelope Ravi ko de diya.
Ravi ne sab ki taraf daikhte huwe uss envelope ko khol liya, Uss ke andar kuch Paper the, Ravi ne chashma lagate huwe un ko padhna shuru ker diya.
Kamre me baithe sabhi log Ravi ke padhne ka intezar karne lage, Vikram aur Pratap bhi usse he daikh rahe the ke Aarav aisa kya le ker aya tha?
*Thud*
Padhte huwe beech me achanak he Ravi me un Paper ko table per ulta rakh ker chupa dia, Ravi ka pura chehra pasine se bheeg gaya tha aur uss ki saanse bhaari hone lagi thi.
Ravi sab ki taraf daikhne laga ke kisi ki nazar paper ke upar to nahi gayi, Uss ki harkate daikh ker baki sab bhi ghabra gye.
Malhotara(Whisper): Kya huwa? Kaise Papers hai ye?
Aarav: Puchne ki kya zaroorat hai? Agar jan'nna chahte ho to aa ker apna Envelope le sakte ho, Lekin agar kehte ho to....*Smile*......Sab ke saamne screen per ap ka Envelope dikha sakta hu main!!
Malhotara ne to dheemi awaaz me Ravi se pucha tha, Lekin Aarav usse stage per baithe sun sakta tha, Aarav ke chehre per ayi wo muskurahat Malhotra ko bhi pareshan karne lagi thi.
Ravi(Whisper): Envelope utha lo!
Malhotara abhi Aarav ko he daikh raha tha ke Ravi ne usse dheeme awaaz me Envelope uthane ka keh diya, Malhotara ne Ravi ki taraf daikha to wo sach me buri tarha se dara huwa tha.
Malhotara ne bhi aur kuch nahi kaha aur uth ker stage se apna Envelope uthane laga, Aarav ki nazre uss ke upar thi lekin wo bhi usse abhi kuch nahi keh raha tha.
Baki sab bhi ate gye aur apne naam ka Envelope lete rahe, Ek dusre se alag ho ker sabhi Papers nikal ker unhe parhne lage, Kuch he lamho me kamre me khare sabhi logo ke bhav badalne shuru ho gye.
Vikram: Aarav! Ye ho kya raha hai? Sabhi aise kyu behave ker rahe hai?
Vikram ne bohat socha lekin usse kuch bhi samajh nahi ayi, Pratap bhi ab soch me per gaya tha, Aisa kya tha un Envelope ke andar?
*Thud*
Aarav ne table per Veer ka diya wo Access Card rakh diya aur Vikram ki taraf daikhne laga.
Aarav: Veer ka hume diya akhri tohfa!!!
****
Pune Outskirts
Old Factory ~ 8:13 AM
*Screeeech*
Aarav ne car ko Pune outskirts me he ek purani Factory ke baahir rok dia, Car se utar ker Aarav ne ek baar chaaro taraf daikha to wo ek sunsan raasta tha, Usse wahan se koi bhi guzarte huwe dikhayi nahi de raha tha.
Uss Area ke kareeb koi ghar ya aur factory bhi nahi thi, Aarav ne aage barhte huwe Factory ko dhayan se daikha to wo ek purani factory thi jo kayi salon se band thi.
Aarav: Ye he building hai kya?
Tinkerbell: Lag to ye he rahi hai! Agar sahi analyze huwa hai to ye he building hai jahan Key card ka Use ho ga.
Tinkerbell ne Key card ko ache se Analyze ker lia tha, Usse ye pata laga tha ke ye card kahan Use karne ke liye banaya gaya tha, Aarav ne check kiya to ye factory ko Veer ne he khareeda huwa tha.
*Crack*
Darwaze per lage bare lock ko Aarav ne seedhe tod diya, Aarav ne darwaze ko khol ker andar daikha to andar andhera tha, Lekin Aarav ke liye ye koi dikkat nahi thi.
Aarav andar jaate huwe sab taraf dhayan se daikhne laga, Har taraf dhul he dhul thi, kayi jagha per to paudhe ugane shuru ho gye the.
*Clink-Clank*
Aarav ka paon ek bottle per laga to wo ghoomne lagi, Uss jagha aur bhi aisi sharab ki bottle giri huwi thi to wanhi kuch jagha cigarette giri huwi thi, Khaali factory daikh ker log yahan nashe karne chale ate the.
Tinkerbell: Ye card yahan kaise kaam aye ga? Ye sunsan bhootiya factory kaisi jagha di hai tumhe uss Veer ne?
Aarav dhayan se daikhne laga kyu ke card kanhi to lagna he tha, Aarav ne apni senses per focus karna shuru ker diya aur dhayan se sunane ki koshish karne laga ke kuch sunayi he de de.
Lekin tab bhi kuch sunayi nahi diya, Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke ye card kahan use ho ga, Kuch sochte huwe Aarav neeche baith gaya aur apna kaan zameen se laga ke sunane ki koshish karne laga.
Tinkerbell: Ye kya ker rahe ho? Dhul me khailne ka shauk ho raha hai kya tumhe?
Aarav: Ssshhhh!
Aarav ne Tinkerbell ko chup karwaya aur dhayan se sunane lage, Kuch pal baad he Aarav khara huwa aur aage barhne laga, Factory me he ek khaali kamre me Aarav ruk gaya aur waapis neeche baith gaya, Aarav ne zameen ko khatkhataya to awaaz kuch alag he ayi.
Aarav: Ab hume pata lagne wala hai ke ye Card kahan ka hai?
*Kaboooooom*
Aarav ne ek zordar punch zameen per maaR diya, Wahan se pathar tootne laga aur andar se ek lohe ka gate dikhne laga, Aarav ne usse pakra aur zor lagate huwe usse kholne laga.
Gate ka wazan bohat zada tha, Kisi bhi sadharan vyakti ke liye usse kholna mumkin he nahi tha, Gate khulte he Aarav ne andar daikha to neeche bhi andhera tha.
*Swoosh*
Aarav seedhe andar kud gaya, Aarav ne saamne daikha to wahan ek aur Gate tha, Aarav ne usse dhayan se daikha to wahan ek pannel laga huwa tha, Uss ke saamne he ek gate bana huwa tha.
Aarav ne kadam aage rakha he tha ke wahan lights khud he on ho gayi, Aarav ne aage badh ker panel me daikha to wo bhi khud he on ho gaya.
[Intruder detected!!!]
[Please scan access card for identification]
Ek awaaz panel ke andar se ane lagi, Aarav ne Card ko nikalte huwe Panel ke upar rakh diya, Panel card ko scan karne laga.
*Beep*
[Access card accepted. Please proceed with fingerprint scan for further identification.]
Tinkerbell: Ab fingerprint kahan se laye? Veer ki laash utha ker laani ho gi kya?
Tinkerbell ne muh banate huwe kaha, Aarav ne uss per dhayan nahi diya aur apna haath Scanner ke upar rakh diya, Aarav ke fingerprint scan hone lage.
[Fingerprint scan complete! Identity confirmed]
[Access Granted]
[Welcome, Corpse]
Aarav ki Identity confirm ho gayi thi, Lekin usse uss ke naam ki jagha Corpse ke naam se identify kiya gaya tha, Tinkerbell ye daikh ker heraan huwi lekin Aarav ne kuch khaas react nahi kiya.
*whooosh*
Aarav ke saamne wala bara gate khulne laga, Uss ke khulte he Aarav andar chala gaya, Aarav ke saamne ek lamba hallway tha.
[Welcome, Corps. Please select a language preference for the system.]
Aarav: Hindi!!!
[Language selected: (Hindi) Please provide a name for the system]
Aarav: Bo-
Tinkerbell(Shout): Nahiiii!!! Ab main tumhe aise pyaare system ko koi ajeeb naam nahi dene du gi.
Aarav(Sigh): Huh, Aisa hai to khud he koi naam de do?
Tinkerbell: Hmm, Tumhari duniya ke hisaab se daikhi to sab se sahi naam ho ga, Aetheria! Kya khete ho?
Aarav: Aetheria!
Tinkerbell: *Shocked*
Aarav ne ek pal ke liye bhi socha nahi aur wo naam rakh diya, Aarav ko un sab se koi maksad nahi tha aur na he naam ke peeche ka logic usse pata karna tha.
[New system name confirmed: (Aetheria) Welcome, Corpse, to the Aetheria system]
Aarav: Aetheria, Kia tum mujhe bata sakti ho ke ye sab kia hai?
Aetheria: Ye ek Underground Bunker hai! Yahan 3 floor hai aur har floor per alag alag tarha ke kamre hai, Araam karne kw liye kamra hai, Yahan ek training ke liye kamra hai, Yahan experiments ke liye kamra hai, Yahan data ke liye kamra hai, Yahan medical help ke liye kamra hai, Yahan baithne ke liye ek kam-
Aarav: Ruko, Main ye nahi puch raha ke yahan kya kya hai! Mujhe ye batao ke ye kyu aur kis ne banwaya hai?
Aetheria: Oh, Ye batman ne Corpse ke liye banaya hai! Ye bunker Corpse ki madad ke liye banaya gaya hai, Yahan Corpse ke liye bohat kuch rakha gaya hai.
Aetheria ek computer system thi, Aarav ko usse sahi se order dene per rahe the, Communication mushkil thi lekin utni bhi mushkil nahi thi.
Tinkerbell: Ab ye Batman kon hai? Cartoon khel rahe hai kya yahan?
Aarav: Batman Veer hai! Atheria, Batman ne mere liye koi message chora hai kya?
Aetheria: Yes! Batman ne ek Voice Note Corpse ke liye chora huwa hai, Usse Play karu kya?
Aarav: Yes!
Aarav haan kehte huwe aage chalte huwe Bunker explore karne laga, System ka voice setup pure bunker me kiya gaya tha.
[Ahm, Hello, Hello, Mic testing! Hmm, Thora ajeeb lag raha hai tum se aise baat karte huwe, Lekin ye wala voice message play ho raha hai uss ka matlab hai ke tumhe yahan laane wala hum dono me se koi bhi nahi hai, Shayad ab main zinda nahi hu. Huh, Bura lag raha hai ye sochte huwe he ke tumhe milne se pehle he main chala gaya hu, fuuu]
Ye awaaz Veer ki thi, Aarav ko uss ki awaaz yaad thi, Uss ki awaaz me baat karte huwe dard jhalak raha tha.
[Ab kaam ki baat per ate hai! Main tumhe kuch zada nahi bata sakta, Lekin ye bata sakta hu ke main tumhara dushman nahi hu, Ye bunker tumhare liye banaya hai, Kyu? Ye main nahi bata sakta, Ye hamari Bat cave hai, Hehehehe, System se communication thori mushkil ho sakti hai, Lekin 2009 me main aisa he system bana sakta tha]
2009 me he Veer ne ek aisa System banaya tha ye khud me he ek bari baat thi, Uss samay itna Advance A.I banana apne ap me kamal ki baat thi.
[Agar main tumhare saath nahi hu to main tumhari utni madad nahi ker sakta hu! Lekin main ne kuch business setup kiya hai mere baad wo sab rakh sakte ho, Tumhe seedhe mere Dada Ji ke paas jana ho ga, Tumhare paas Access Card daikh ker wo samajh jaye gye ke tumhe main ne he chuna hai, Unhe kuch samay lag sakta hai tumhe accept karne ke liye, Lekin mere se kiye Vaade ko nibhane ke liye wo sab kuch tumhe de de gye]
Tinkerbell: What the fuck? Ye wajha thi ke wo sabhi tum per aise andha Vishwas ker rahe hai? Mujhe laga he tha ke kuch to hai!!
[Lekin sab log tumhe accept nahi kare gye! Company ke andar ke log he tumhare liye archane khari kare gye, Lekin un sab ke illegal kaamo ki mere paas ek File bani huwi hai, Usse kaise kaam me lana hai? Wo tumhe khud sochna ho ga, Lekin ye file tumhare paas hone se koi bhi tumhe kuch nahi keh sake ga, Uss ke baad sab kuch tum Dada Ji ke upar chor sakte ho, Pratap Singh ko ek baar tum per Bharosa ho gaya to koi tumhare raaste me nahi aa sake ga]
Aetheria: File ko Corpse Data Room se collect ker sakta hai.
[Abhi ke liye itni information kaafi ho gi, Aage tumhe sab kuch System samjha de ga.........Huh, Corpse, Please mujhe kabhi bhoolna nahi, Yaad rakhna hamare liye tum se important duniya me koi bhi nahi hai. Goodbye, Brother!]
Veer ka message khatam ho gaya, Last me uss ki awaaz alag he saval chor gayi thi, Veer ki awaaz ronasi ho gayi thi.
Tinkerbell: Kia tum mujh se kuch chupa rahe ho kya? Tum veer ko pehle se jaante the kya?
Aarav(Sigh): Huh, Jahan tak mujhe yaad hai, Nahi! Veer se main sirf ek baar he mila hu, Jab uss ne mujhe ye card diya tha, Lekin mujhe ye naam yaad hai, Corpse!!
Aetheria: Corpse ke naam ki ek file system me save hai! Corpse, the Kid Who Was Supposed to Die!!!
****
Moonlit Oasis
Mumbai ~ 9:17 PM
*Boom*
Malhotra ne table per rakhi ashtray ko saamne darwaze per de mara, Uss ka pura chehra gusse se laal ho raha tha.
Moonlit Oasis Malhotra ka apna banaya ek club tha, Yahan wo apne dosto ke saath enjoy karne aya karta tha, Lekin aj wo yahan gusse ki halat me baitha huwa tha.
Uss ke saamne he Amar bhi baitha huwa tha aur saath me kuch aur Shareholders bhi baithe huwe the, Meeting khatam hote he wo sabhi yahan aa gye the.
Ravi: Malhotra, Shaant ho jao! Aise cheeze tor ker kuch badle ga kya?
Malhotra(Furious): Kaise shaant rahu? Hamare sab kiye karaye per paani firne ko hai, Akhir uss Aarav ke paas wo sab data aya kaise?
Malhotra ne gusse se chilate huwe kaha, Aarav ne un sabhi ke aj tak kiye company me sabhi ghaple aur baahir un ke chal rahe Illegal kaamo ke saboot la ker unhe de diye the.
Aarav ki taraf se un ke liye wo ek warning thi ke agar un me se koi bhi uss ke khilaf gaya to uss ki zindagi barbad karna Aarav ke liye koi bari baat nahi hai.
Un Envelope ko lene ke baad koi bhi kuch nahi bola aur Vikram ki sabhi baato per sab haami bharte rahe, Un ke paas aur koi choice thi bhi nahi.
Amar(Frustrated): Ye sab aur kis ne kiya ho sakta hai? Ek he to tha jo marne ke baad bhi hamare gale ka phanda bana huwa hai, Veer Singh!
Amar ne sharab ke ghoont bharte huwe kaha, Unhe shuru se pata tha ke Veer ke paas un ke khilaf kuch rakha huwa hai, Lekin unhe ye umeed nahi thi ke 10 saal baad wohi cheez Aarav ke paas ho gi.
Malhotra: Uss haramkhor ne kabhi mujh per vishwas nahi kiya! Kitni baar usse phasane ki koshish ker ke daikhi, Uss ke saamne larkiye tak la ker rakh di, Lekin pata nahi konsi mitti ka bana tha, Abhi bhi uss ka naam sun ker he khoon kholne lag jata hai, Ab uss ke jaisa he ek aur aa gaya hai.
Ravi: Lekin mujhe ek baat hazam nahi ho rahi! Ye Vikram ka ek aur beta nikal kahan se aya hai? Hume kabhi khabar bhi nahi huwi.
Ravi ne sharab rakhte huwe soch me doobe kaha, Bohat se logo ko ye he samajh nahi aa rahi thi.
Amar: Ghanta uss ka koi beta hai! Sab kuchh dhong hai, Najane konse naale se utha ker laye hai usse aur apna beta bana liya hai.
Amar ki baat sunte he Malhotra ke sivaye sabhi log hairan ho gye, Unhe ab tak sach me lag raha tha ke Aarav Vikram ka beta hai, Lekin Amar ki baat to kuch aur he kahani bata rahi thi.
Ravi(Frowns): Y-Ye kya keh rahe ho? Aarav sach me Vikram ka beta nahi hai kya?
Amar: Aji Lund mera!.....*hiccup*....Janam lete he mar gaya tha uss betichod ka dusra bacha, Uss andhi ko bura na lage uss ke liye ye kahani banayi thi tab ke uss ka dusra bacha kisi ko de diya hai.
Amar ki baat sun ker sabhi daru ek baar me utar gayi, Unhe ek Umeed dikhayi dene lagi, Lekin ye daikh ker wo heraan bhi the ke Amar ko ye pata hote huwe bhi wo kuch ker kyu nahi raha hai?
Sukhbinder: Yaar phir to hum uss ka jhoot sab ke saamne le ate hai? Uss ke baad kya kare gye wo log?
Malhotra: Ye bhool kabhi bhi nahi karna! Huh, Abhi to Pratap Singh uss Tanu ki wajha se ye dhong rach raha hai, Lekin agar sach baahir aa gaya to wo sab ke saamne apna sab kuch uss Aarav ko de de ga, Tab hume aise chorne ka un ke paas koi reason bhi nahi hone wala aur Hamari gande wali lage gi.
Sabhi ka muh band ho gaya, Abhi tak Pratap ko ye sach roke huwa tha, Lekin agar Aarav ki sachayi baahir ati to wo sab kuch tab bhi Aarav ko de deta, Lekin saath me un sab ke raaz khulne wale the.
Malhotra: Abhi hume shaant rehna chahiye! Bina kuch kiye mauke ka intezar karo, Hamari baari bhi aye gi sab kuch waapis lene ki, tab tak koi bhi kuch harkat nahi karna.
Malhotra ne sab ko warn karte huwe kaha, sabhi ne haami bhar di, Lekin Amar shaant he baitha raha, Uss ke andar sajish bun rahi thi.
Amar(Whisper): Aise to main kuch bhi lene nahi du ga! Ab main sach me larne wala hu, Mr. Aarav Singh!!!
[Aj ke liye itna he, Ye Update 5K words ka tha, Kuch boring ho sakta hai kyu ke Mostly sab kuch set ho raha tha update me, Lekin umeed karta hu ke Update pasand aye ga target wohi hai 80 likes, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Mast super
Update maja hi aagya pad kar