• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    263

Raj dollar 050183

New Member
83
134
33
UPDATE 84 ~
(History Unfolds) (1)

Presbyterian Hospital
New York ~ 2:54 AM

*Yawn*

Urvi uske kamre me baithi ek kitaab padh rahi thi, Medicine lene ke baad bhi usko neend nahi aa rahi thi.

*Knock-Knock*

Urvi abhi kitab padh he rahi thi ke darwaze per knock huwa, Urvi awaaz ko sunte he lait gayi aur book ko blanket ke andar chupa liya.

*Click*

Darwaza khula aur koi kamre ke andar aa gaya, Lekin Urvi uski aankhe band ker ke laiti rahi, Usko kadmon ki awaaz uske kareeb ati sunayi de rahi thi.

“Urvi, Natak band ker sakti hai! Mujhe pata hai tu soo nahi rahi”

Urvi: Bhayiaaaa?

Urvi ne ek lamhe me he awaaz ko pehchan liya, Usne aankhen kholi to uske saamne Aarav khada huwa tha, Aarav muskurate huwe usko daikh raha tha.

Urvi(Exhale): Fuuuuu ~ Ap ne to dara he diya tha! Mujhe laga ke Ashley waapis aa gayi hai.....Lekin ap bhi usko batana nahi ke me ab tak uthi huwi hu.

Aarav: Ashley ka dar hai? Aur mera? Main gussa nahi karu ga kya?

Urvi: Ap gussa kyu karo gye? Agar main ab tak soyi nahi hu to ap bhi kanha soo rahe ho? Mister Aarav Arya......Ap ko shayad yaad nahi ho ga, Lekin ap bhi abhi patient hai......Hum dono he galti per hai to......Kya he ker sakte hai.

Aarav(Smile): Shaitan bhi abhi competition ki soch ker dar raha ho ga! Kon keh sakta hai ke aise bhole chehre ke peeche aisi chalu ladki hai.

Urvi(Smirk): Ab ap ko jaisa sochna hai ap soch sakte hai! Lekin apna yanha kya ker rahe hai......Ahm.......Ap ki girlfriend akeli ho gi na?

*Cough-Cough*

Urvi ki baat ko sun ker Aarav bilkul chaunk gaya, Veronica ke baare me ab tak usne kisi ko bhi nahi bataya tha, Usko aise daikh ker Urvi hansne lagi.

bf9f8ed9039a20ef0395fbc32f7e4e7c.jpg

Aarav: Kaise pata laga?

Urvi: Yahan mere bhi kuch informer ban gye hai!.....Ab itni nazar to rakhni ho gi na? Warna aj kal ke bache to haath se nikal jaate hai.

Aarav: Sahi line per hai behan! Aise he chalta raha to doctor to pata nahi, ek din lady James bond zaroor bane gi.

Urvi: Ab baate na banaye! Yahan kaise ana huwa? Kanhi laat maar ker baahir to nahi nikal diye gye? Agar aisa hai to main to bhabhi ki side per hu.

Aarav: Bhabhi? Lek- *Sigh* Aisa kuch bhi nahi hai! Hum aise he baat ker rahe the to beech me.....beech me-

Urvi: Beech me kya?

Aarav: *Gulp* Beech me hum b-bacho ke naam.....naam sochne lage!

*Laugh*

Aarav ki baat sun ker Urvi ke zor se hansne lagi, Aarav aya to confidence ke saath tha, Lekin ye baate karna awkward tha.

Aarav: Ab bas kare gi kya?......Ek baar he puchu ga, Agar future me meri beti huwi to uske liye kuch naam socha hai kya?

Aarav ne seedhe hote huwe ek saans me bol diya, Uski halat daikh ker Urvi ko aur bhi hansi ane lagi, Aarav usko muh bana ker daikhne laga.

Urvi(Giggling): I'm sorry!......Hahahaha, I'm sorry, Huh........Ladki huwi to usko hum Aarohi naam de gye, Kaisa hai? Ap ke naam se similar bhi hai, Ye perfect naam ho ga na?

Aarav: Hmm.....Acha naam hai! Huh, Ab main chalta hu.

Aarav keh ker uth gaya, Lekin Urvi ne uska haath pakad liya, Aarav uski taraf daikhne laga.

Urvi: Aj hum baate karte hai na? Aj akele acha nahi lag raha.

Aarav: Abhi tujhe rest karne ki zaroorat hai! Hum kal baate kare gye.

Aarav uth ker baahir ki taraf chal diya, Urvi usko daikhti rahi, Aarav ne darwaze per ruk ker uski taraf daikha aur wave ker diya.

Aarav: Good Night!

****
Sayani Mansion
France ~ 10:27 PM

“Urvi”

Aarav Urvi ko bahon me liye khada huwa tha, Uski aankhe kab aansuon se bhar gayi usko khud ehsaas nahi huwa, Urvi ko khud ke saamne daikhte he wo khud ko rok nahi saka.

Usko abhi kisi baat se matlab nahi tha wo sirf usko pakad ker khara huwa, Jaise wo usko chhoden ga to wo kanhi chali jaye gi.

Urvi: Ummm......Mister? Ye ap kya ker rahe hai?

Urvi ne Aarav ko dhakelte huwe khud se alag ker diya, Aarav ne Urvi ki taraf daikha to Urvi bilkul hairan khadi huwi thi, Uske chehre per halka gussa bhi tha.

c176824b0e04af71614dab5855605b17.jpg

Urvi: Ye kya harkat thi? Kya kisi ko bhi aise he pakad lo gye? Aakhir ho kon ap?

Aarav sirf udhar khada Urvi ko daikhta he reh gaya, Urvi khud ko Aarav se dur ker rahi thi, Usko aise daikh ker Aarav bhi hairan tha.

[Check]

[Name: Urvi Arya

Level: The Initiate Level Qi User

Relationship: Twin Sibling]

Aarav: [Dot?]

Aakash: Sorry Doc! Ye Aarav hai......Hum ne Aarav ko thoda surprise diya hai, Lekin Aarav thoda bhavuk ho gaya.....Wo sirf ap ko thanks kehna chah raha tha, Ap ko bura laga ho to main apologize karta hu.

Urvi: Ap ko sorry kehne ki bilkul zaroorat nahi hai! I can understand ke bhai ko aise itne samay ke baad hosh me daikh ker ye kitne khush ho gye, Lekin thanks ki hakdar main nahi hu, Ye ap ki khud ki will power thi hum to sirf ap ki care he ker sakte the.

Urvi baat ker rahi thi, Lekin Aarav sirf usko daikh raha tha, Uska dhayan Varsha per se bhi hat gaya tha, Urvi uske bilkul saamne ho ker bhi uske paas nahi thi.

Urvi: Let me introduce myself again! Hey, I'm Urvi Arora, Aakash's doctor, You might have heard of me already?

a150818d58bff264b45dcb37bb7503ea.jpg

Urvi ne Aarav ki taraf haath badhate huwe kaha, Aarav sirf khada uska haath daikhta reh gaya, Usko aise daikh ker Tinkerbell ko usko hosh me lana per gaya.

Tinkerbell: [Master!]

Aarav: Huh? A-Aarav Singh! Nice to meet you.

Urvi: Singh? Wait, aren’t you a Sayani like Aakash?

Aakash: It's a long story! I'll fill you in later, Abhi dinner ka time ho raha hai, Kya kehti hai?

Urvi: I'm really sorry! Lekin abhi kuch kaam hai, Parth bhi wait ker rahe ho gye, Actually intern's ne ap ke liye kuch gifts diye the, I really don't know ke wo khud dene kyu nahi aye.

Urvi ne gifts Barbie ko pakdate huwe kaha.

Urvi: Hospital ke baad Maa aur Suhani Di ke saath gifts ko drop karne wali thi! Lekin ye dono kab bina bataye nikal ayi pata he nahi laga, Like, Seriously?

Urvi ne Varsha ko ghoorte huwe kaha to Varsha ne silently apologize ker liya, Urvi ne bhi usko kuch zyada nahi kaha.

Aakash: Thank You! Lekin kal tevar ka din hai, Kal yaad se ana ho ga.

Urvi(Smile): Sure! Lekin abhi ayi hu to ek test bhi karna hai, Uske baad main nikal rahi hu.

Aakash: Thank You! Aarav, Ap sab dinner table per wait ker sakte hai, Urvi ko see off karne ke baad main ap sab ko join karta hu.

Aakash ki baat sun ker Barbie aage badha aur sab ko ler ker dining room ki taraf chal diya, Aarav bina kuch uske saath chal diya.

****
Unique Hospital
Surat ~ 4:19 AM

“Aayush?.......Aayush? Kanha ho?”

Nandini pure hospital me bhaagte huwe Aayush ko dhoond rahi thi, Subha ka samay tha, Raat ko dono he Ishika ke paas he the, Nandini soo ker uthi to uske paas se Aayush gayab tha.

Nandini(Gasping): Ab kanha chala gaya hai ye ladka? Ab kya naya kaand kare ga?

Nandini ab pareshan hone lagi thi, Lekin ab tak usko Aayush kanhi bhi nahi dikh raha tha, Ab uski saanse bhi phulne lagi thi.

“Woahhhhh”

Nandini(Frowns): Don't tell me! Aayush.

Nandini ke saamne NICU(neonatal intensive care unit) tha, Usko andar se Aayush ki awaaz sunayi de rahi thi, Bina samay barbad kiye Nandini andar chali gayi.

Uska dar sach me badalte samay bilkul bhi nahi laga, Usko saamne he window ke paas Aayush khada dikh gaya, Usko daikh ker Nandini ko gussa bhi aa raha tha aur dar bhi lag raha tha.

Subha ka time tha to kisi ne unko andar ate daikha nahi tha, Lekin agar koi daikh leta to unke liye bura ho sakta tha.

Nandini(Furious): Aayus-

Aayush: Huh? Nandini? Sahi samay per ayi ho, Mujhe tum se kuch puchna tha.

Nandini gussa to aa raha tha, Lekin abhi wo khud ke liye pareshaniyon ko badhana nahi chahti thi to wo chup ker ke uske paas chali gayi.

Aayush: Nandini, what are all these tiny little creatures?

Aayush ka saval sun ker Nandini uski taraf daikhti reh gayi, Nandini ko ab Aayush ke saval per yakeen nahi ho raha tha ke usne sach me ye pucha hai.

Aayush uski taraf daikh bhi nahi raha tha aur bina palakein jhapkaye NICU ke andar new born babies ko daikh raha tha.

Nandini: Seriously? Those are babies! We're right outside the NICU, Aayush kya tum kisi kaid se riha ho ker aye ho? Koi itna anjaan kaise ho sakta hai?

Aayush(Nod): Haan!

Nandini: What?

Aayush(Nod): Haan, Kaid se riha ho ker he aya hu! Bachpan me he mujhe kaid ker liya gaya tha, Bohat se monster's ke beech me kaid tha, Maste......Ughhhh, Usne kisi lo bhi batane se mana kiya tha.

Aayush bacho me aisa khoya ke usko kuch bhi ehsaas nahi huwa ke wo kya keh raha hai, Aarav ne usko kisi ko kuch bhi batane se mana kiya huwa tha.

Lekin udhar Nandini usko daikhti he reh gayi, Aayush ko daikhne ka uska nazariya bilkul badal gaya tha, Aayush ne uska haath pakad liya.

Aayush: Nandini, Kisi ko bhi batana nahi ke main ne kuch kaha hai! Wo mujhe waapis kaid ker le ga, Please.

Nandini(Nod): Huh, Okay! Kisi ko bhi kuch nahi bataungi.......I'm sorry, Main bina kuch bhi jaane kuch bhi keh rahi thi *Sniff* I'm sorry.

Aayush: Huh? What?

****
Sayani Mansion
France ~ 11:12 PM

*Tap-Tap*

Aarav dinning table ke ek side per baitha huwa tha, Uske saamne he Varsha aur Suhani baithi huwi thi, Aarav ne dhayan diya to Suhani usko he gusse se ghoor rahi thi.

Suhani dikhne me Aakash ki umar ki he lag rahi thi, Lekin uska chehra abhi bhi kisi masoom ladki ki tarha ka tha, Lekin uski aankhe Aarav ko kaccha chaba lene wali nazron se daikh rahi thi.

Lekin sirf wo he Aarav ko nahi daikh rahi thi, Uske saath baithi Varsha ki nazare bhi Aarav per thami huwi thi, Lekin Aarav usko nazarandaz karne ki koshish ker raha tha.

*Vroooooooom*

Aarav ko baahir se car ke nikalne ki awaaz sunayi di, Usko pata lag gaya ke Urvi chali gayi hai, Lekin usne kisi ko kuch bhi nahi kaha.

Aarav: [Tinkerbell! Ye thi to Urvi he, Lekin usko kuch bhi yaad nahi tha, Lekin phir bhi uske upar kisi tarha ki bhi dot kyu nahi tha?]

Tinkerbell: [I don't know! Aisa hona to nahi chahiye tha, Ap ne uski heartbeat bhi suni hai, Urvi ko sach me ap yaad nahi ho]

Aarav(Nod): [Hah! Lekin aisa kyu hai? Kuch system error?]

Tinkerbell: [Error ho bhi sakta hai! Lekin abhi main check nahi ker sakti, System bazaar quest ka reward kabhi bhi ap ko mil sakta hai, Main kuch taiyari ker rahi hu]

Aarav: [Huh, Thank You! Lekin reward ke baad Error ko check karna]

“Suhani, Knife rakh sakti ho kya?”

Aakash ne dinning room me ate he suhani ki taraf daikhte huwe kaha, Suhani table se ek butter knife pakad ker baithi huwi thi.

Suhani(Glaring): Lekin kyu? Aakash tum ne daikha nahi ke isne yahan ate he kya kiya tha? Doctor ko haath lagane ki himmat bhi kaise ki isne? Ab agar kareeb bhi aya t-

Aakash: Usne agar kareeb ana chaha bhi to tum kuch nahi ker sakti! Aarav tum se bohat zyada strong hai.

Suhani: Leki-

Aakash: Even Yoo-Jung can’t win against him! So if he even tries something, you won’t be able to stop him.

Varsha: Suhani, Just drop the knife! Hum yahan ladne ke liye nahi aye.

*Clang*

Suhani ne gusse se Aarav ko daikhte huwe Knife neeche table per rakh di, Aakash bhi unke saath baith gaya, Aakash ke baithate he ek darwaza khula aur kuch servants unke liye khana le aye.

Unko khana serve karne ke baad sabhi ke sabhi servants baahir chale gye, Sab kuch unke saamne tha, Lekin koi bhi khaana shuru nahi ker raha tha.

Varsha aage padh ker Aarav ko khana parosane lagi, Lekin Aarav ne beech me he uska haath pakad ker rok diya, Suhani ko gussa ane laga, Lekin wo chup baithi rahi.

Aarav(Glare): Ye kya ker rahi ho?

Varsha: Kya ker rahi hu? Apne bete ko khana paros rahi hu.

Aarav(Scoffs): Huh, Beta?......Aur ap ye kyu laga ke main ap ka beta hu?

Varsha: Lagna kyu hai? Tum mere bete he to ho........Aarav, Past me reh ker hamay kuch bh-

Aarav: Ateet me main nahi ab tak ap reh rahi hai! Miss Varsha, Meri Maa mar chuki hai, Ye mera sach hai, Ap kitni bhi koshish ker le mere liye kabhi dobara zinda nahi ho sakti.

Suhani(Shout): Aarav! Zuban ko lagam lag-

Aarav: Shut the fuck up! Main yahan tum sab se rishte banane nahi aya.....Varsha Ji, Kya ap ko kuch kehna hai ya sirf yahan Maa hone dikhawa karne ayi hai?

Aarav ab tak khud ko shaant rakhe huwa tha, Lekin ab wo aur chup nahi reh sakta tha, Aarav ke kathor shabdon ko sun ker Varsha sirf usko daikhti reh gayi.

Varsha: Aarav, Kuch baate tum se chupayi gayi hai! Avinash ne tumhe jo dikhaya hai sab kuch waisa nahi hai, Sachayi Avinash ki tumhe batayi sachayi se bohat ala-

[Player is overflowing with hatred! Player's emotions are now unstable]

[Warning]

[Player is losing his emotions! Player is letting his negative personality take over him]

Aarav(Furious): Papa ke baare me main kuch bhi nahi sunu ga! Unka naam bhi ap ke muh se nahi sunana chahata.

Aarav ne mutthi ko zor se bheenchte huwe kaha, Uski baat sun ker Varsha bhi usko daikhti he reh gayi, Suhani usko ghoorne lagi.

Lekin Aakash sirf khamosh baith ker sab kuch daikh raha tha, Barbie bhi bina kuch kahe unke paas chup ker ke khada huwa tha.

Varsha(Sigh): Huh.........Laga nahi tha ke tumhare andar mere liye itni nafrat bhari ho gi! Aakhir kiya kya hai main ne? Sach sunana chahate ho to batati hu.

Aarav: Mujhe ap ki kahi kisi baat per ratti bhar bharosa bhi nahi ho ga! Ap kitni badi jhooti aur makkar hai uska andaza mujhe bohat bachpan me he ho gaya tha.

Aarav ki baat sun ker Varsha seedhe ho ker baith gayi aur usne haath baandh liye.

Varsha: Kya chahate ho? Kaise sach bataun ke tumhe vishwas bhi ho?

Aarav: Ap ko kuch bhi batane ki zaroorat nahi hai! Sach main khud daikh sakta hu.

*Claws*

Aarav ne uthate huwe claws nikal liye, Ye daikh ker Suhani chaukanni ho gayi, Lekin ek pal me Aarav table ke dusri taraf unke paas tha, Varsha bhi react nahi ker saki aur agle he lamhe Aarav ke claws Varsha ke sar per the.

Varsha: Ughhhh!

[Ability (Mnemosyne's Gaze) Activated]

[Player has established a direct connection to the target's brain]

[Player can now access multiple memories of the target]

Suhani(Furious): Aaravvvvvvv!

Suhani ne dobara knife utha li aur Aarav ki taraf badhne lagi.

Aakash(Sigh): Huh, Barbie! Stop her.

*Clang*

Suhani ke haath me knife 2 tukro me bant chuki thi, Uske saamne Barbie bhi haath me ek butter knife pakade he khada huwa tha, Suhani ko kuch samajh bhi nahi aya ke kab kya huwa hai.

Aakash: Suhani, Kyu dar rahi ho? Aarav kuch bhi kyu na keh le, Lekin wo apni Maa ko kabhi bhi kisi tarha ka nuksan nahi pohanchna chahe ga, Ye tumhe bhi pata hai na? Aarav sirf Varsha Ji ki yaadon ko daikh raha hai, Hamay uska intezar karna chahiye.

Suhani abhi Aarav ka muh todna chahati thi, Lekin Aakash ki presence me wo Aarav ko haath bhi nahi laga sakti thi, Karva ghont bhar ker Suhani chup ker ke baith gayi.

****
Sainte-Croix Hospital
France ~ 1987

*Hiss*

Varsha Operating room ke scrub sink per khadi haatho ko dho rahi thi, Uske paas he khadi uski operating team khamoshi se usko daikh rahi thi, Unko kuch kehna tha, Lekin sab he kehne se dar rahe the.

Varsha bina kisi per bhi dhayan diye haath dhoti rahi, Uske paas he uske kapdon per khoon ke nishan the, Uske haath saaf hone ke baad bhi wo unko lagatar dho rahi thi.

*Click*

Scrub area ka darwaza khula aur ek Vyakti andar aa gaya, Usko daikhte he puri team seedhe khadi ho gayi.

“Ankush Sir yahan kya ker rahe hai?”

“Shhh, Unki taraf daikh nahi rahi kya? Unki nazre doctor ki taraf hai”

“Kya sach me chief aur doctor date ker rahe hai?”

Ankush ke andar ate he sab unke baare me he baat karne lage, Lekin Ankush kisi ki bhi baat per dhayan nahi de raha tha, Uski nazar Varsha per tiki huwi thi.

Ankush aage badhate huwe uske kareeb chala gaya, Varsha ne ek baar sar utha ker usko daikha aur dobara haath dhone lagi.

Ankush: Varsha, Theek ho na?

Varsha: Mujhe kya ho ga? Yanhi tumhare saamne to khadi hu, Theek nahi lag rahi kya?

Ankush: Theek lagne aur theek hone me antar hota hai! Varsha, Kya tum sach me theek ho?

Varsha: I'm fine, Kya ho gaya hai? Main kyu bura feel karu gi? Aisa to nahi hai na ke patient mere kaaran bach nahi saka aur na he main ne kuch aisa try nahi kiya jo main ker sakti thi......Hum sirf koshish he to ker sakte hai na? Mu.....Mujhe kya *Sigh* Huh!

Varsha kehte huwe chup ho gayi aur zor se haatho ko ragadkar dhone lagi, Ankush ne peeche sab ko ghoor ker daikha to sab he baahir bhaagne lage.

Ankush: Varsha!

Ankush ne Varsha ko pakadte huwe khinch liya, Varsha seedhe uski chhati se aa ker lag gayi, Varsha ne upar daikha to Ankush usko he daikh raha tha.

Varsha(Flustered): Y-Ye tum kya ker rahe ho?...... Ankush, Uncle wait ker rahe ho gye, H-Hamay unko report bh-

Ankush: Shhhh!

Ankush ne Varsha ke sar per haath rakhte huwe uska chehra chupa diya, Varsha uski harkat daikh ker chaunk gayi aur usko push karne lagi.

Ankush: Varsha......! Mujhe theek nahi lag raha, Kya hum kuch pal aise reh sakte hai?

Ankush ki baat sun ker Varsha ke haath khud he ruk gye, Usne haatho se uski shirt ko bheench liya, Kab uski aankhe bheegne lagi usko khud he ehsaas nahi huwa.

Varsha: Aur kitni baar ye ho ga? Kitni baar main aise he logo ko bhavanaon ke saath khelungi? Ab thak gayi hu main.......Kitni umeed ke saath wo mere paas aye the ke main unke liye kuch ker du gi, Lekin har baar sab ki khushiyon ko chur chur ker ke rakh deti hu.......Aakhir kyu?

Varsha ke sabar ka bandh ab toot chuka tha, Ankush bina kuch kahe usko pakad ker thapthapata raha aur usko shaant hone ka samay dene laga.

Ankush: Varsha, Ye tumhari galti bilkul bhi nahi thi! Kam se kam tum koshish to ker rahi ho.......Haan koshish me kabhi kabhi logo ko ek hope dikhti hai, Lekin tum usko sach banane ki koshish karti ho, Hum usko ab jhooti umeed to nahi keh sakte na.

Varsha khud ko shaant karne lagi, Ankush se alag ho ker Varsha chehara saaf karne lagi aur fresh ho gayi aur Ankush ke paas khadi ho gayi.

Varsha: Thank You!......Uncle wait ker rahe ho gye.

Ankush: *Nod*

Ankush Varsha ko saath le ker baahir ki taraf chal diya, Varsha ek pal ke liye ruk gayi aur usne operation theater ke andar daikha, Andar ek chinese aadmi baitha huwa tha.

Aadmi ke haath me uska mara huwa baby aur uske saamne uski wife ki dead body thi, Uski aankhon me ek bhi aansu nahi tha, Uski aankhon me sirf pachtawa dikh raha tha.

Ankush: Varsha! Late ho rahe hai.

Ankush ki awaaz sun ker Varsha ne nazre hata li aur uske saath OT se baahir nikal ayi, Varsha ki team abhi bhi baahir he khadi huwi thi, Unko baahir ate daikh sabhi bhaag gye.

Ankush aur Varsha bina kisi per dhayan diye aage badh gye, Hospital ke staff me sab he unko daikh rahe the, Ankush aise kisi se bhi baat nahi karta tha, Lekin uski aur Varsha ki college se dosti thi to unke liye ye badi baat nahi thi.

Ankush ek meeting room ke baahir ruk gaya, Yahan tak aa to gaya tha, Lekin uska andar jaane ka mann bilkul bhi nahi ker raha tha, Varsha ne uske kandhe per haath rakh ker usko aage badhne ke liye kaha.

Ankush: *Nod*

*Click*

Ankush darwaza kholte huwe andar chala gaya, Uske saath he Varsha bhi andar chali gayi, Andar kuch log pehle se baithe huwe the, Unke beech ek badi umar ka Aadmi baitha huwa tha.

*Mohan Arora*

Uske aage he table per ek nameplate rakhi huwi thi, Ankush bhi Mohan ke paas rakhi huwi kursi per baith gaya, Lekin usne ek baar Mohan ki taraf daikha bhi nahi.

Ankush: Varsha! Ab ap shuru ker sakti hai.

Ankush ne bina Mohan se kuch bhi puche keh diya, Lekin Mohan ne usko kuch bhi kahe bina chup baitha raha, Varsha sab ke beech me aa ker khadi ho gayi.

Varsha: Hello Everyone! Yahan baithe har insaan ko ab tak pata he ho ga ke Qi clans kya hai? Qi clans ko special humans ne banaya tha.....Ye special humans ek tarha ki Qi possess karte hai, Ye unko baakiyo se alag banati hai.....Aur main bhi unke beech se he ayi hu.

Varsha ne Qi energy se blade banate huwe sab ko dikhaya, Unke beech se kayi logo ne ye daikh rakha tha, Lekin kuch ke liye ye pehli baar tha.

Varsha: Hum khaas hai! Lekin hum sab se alag nahi hona chahate....Hum bhi baakiyo ki tarha rehna chahate hai, Lekin aisa ho nahi sakta......Hum kisi sadharan vyakti se pyaar to ker sakte hai, Lekin kabhi bhi unke parivar ko aage nahi badha sakte, Unko hum khush nahi rakh sakte.

Kehte huwe Varsha ki nazar khud he sab ke beech Ankush ki taraf chali gayi.

Varsha: Ye he kaaran hai ke Qi users kam se kam ho rahe hai! Aisa he chalta raha to ek din aye ga ke ye gift insanon ke beech se hamesha ke liye khatam ho jaye ga, Ye he soch ker hum ne ye nayi research shuru ki hai.

Doctor Suraj: Lekin ek Qi user kisi non Qi user ke saath bacha kyu nahi ker sakta?

Varsha: Kyu ke Qi user ke bache ke andar birth se Qi core hota hai! Lekin agar ek bhi parent non Qi user ho to core ko uski puri energy nahi milti aur wo baby ki spiritual energy ko kheenchne lagta hai, That’s why they don’t survive.

Doctor Suraj: Lekin kya hum baby ki birth ke baad uske core ko energy nahi de sakte kya? is there any chance it can ever increase its energy? Can it stabilize?

Varsha: It’s highly doubtful! The energy flow of Qi users is strong, but if the baby’s core is weak from the start, it may never be able to harness that energy.

Doctor Chen: Is there any way we can find solutions for this situation? Can we balance the energy levels somehow?

Varsha: Ye research uske liye he hai! Hum pregnancy ke time per he baby ke core ko develope karne ki koshish ker rahe hai per ab tak hum ek baar bhi kamayab nahi ho sake.

Doctor Jay: Kya ye possible bhi hai?

Varsha: Agar ap ye pehle puchte to shayad main bata nahi sakti thi! Lekin hamay kuch saal pehle he 2 ladkiyan mili hai, Un dono ke parents me se ek Qi user tha aur ek nahi tha, Lekin dono survive ker gayi hai.

Doctor Suraj: Really? But how?

Varsha: We still don't know! The surprising part is that their spiritual energy was so high that it started to crush their own Qi cores, Unhe unke clans se ek curse keh ker nikal diya gaya hai, Unki spiritual energy ke high hone se wo kisi ko chhu bhi nahi sakti hai aur unki energy abhi bhi lagatar badh rahi hai, At this rate, we’re not sure how long they’ll survive.

Varsha ki baat sun ker kamre ke andar khamoshi chha gayi, Varsha bhi khud ko bebas mehsoos ker rahi thi ke wo chah ker bhi un bacchiyon ke liye kuch nahi ker sakti thi.

Mohan(Sigh): Phir kya huwa? Ab tak agar ladkiyon ne survive kiya hai to kuch to khaas baat ho gi na? Pata karo, Phir chahe tumhe unhe kaatna he kyu na per jaye.

Varsha: Sorry, What?

Mohan: I’m funding your research because I want a strong heir for my son! I don’t care if you’re the mother of that child, I just want results, and I want them soon.

Ankush(Furious): Papa! Y-

Mohan: Shhh, Yahan main tumhara pyaar daikhne nahi aya! Already bohat samay barbad ho gaya hai......Doctor, Meri baat ko yaad rakhna.

Mohan ne kaha aur uth gaya, Uske saath he baaki sab bhi uth gye, Bina Ankush ki taraf daikha Mohan baahir nikal gaya.

*Thud*

Ankush ne table per haath maar diya, Abhi bhi wo Mohan ke saamne kuch bolne layak nahi huwa tha, Ankush Varsha ke paas aa gaya.

Ankush: I'm sorry Varsha! *Scoff* Sab ke saamne wo tumhe bol ker chale gye aur main kuc-

Varsha ne beech me Ankush ke muh per haath rakh diya, Ankush usko daikhta reh gaya.

Varsha: Khud ko blame karne ki zaroorat nahi hai! Unhe jo bolna ho wo bol sakte hai, Lekin tum mere saath ho ye kaafi hai.

Varsha ne chehre per muskan sajaye kaha to Ankush bhi muskura diya, Uske haath khud he Varsha ke sar per chala gaya.

*Riiing... Riiing...*

Abhi kuch aur hota ke unke paas he rakha huwa landline ring karne laga, Ankush ka muh ban gaya aur ye daikh ker Varsha ko hansi ane lagi, Ankush ne muh banate huwe receiver utha liya.

Ankush: Hello........Kya?

Ankush ke chehre ke expression ek pal me badal gye the, Ankush ne receiver neeche rakha aur Varsha ka haath pakad ker chal diya.

Varsha: Kya huwa hai?

Ankush: Laboratory se call ayi thi! Beatrice uth nahi rahi hai.

Ankush ki baat ko sun ker Varsha bhi pareshan ho gayi, Dono hospital se nikalne ke liye bhaagne lage.

“Dr.Varsha! Ap ke se milne ke liye koi aya hai”

Reception se ek nurse ne Varsha ko bulaya lekin Varsha bina kuch bhi kahe Ankush ke saath baahir nikal gayi, Lab hospital se walking distance per he thi to dono aise he Lab ki taraf bhaagne lage.

“Doctor *Sniff* Doctor”

Lab ke baahir he unko ek bachi khadi huwi dikh gayi, Uske saath he ek nurse bhi khadi huwi thi, Varsha unke paas chali gayi.

Varsha: Suhani? Yahan kya ker rahi ho?

Nurse: Doctor, Ye kab se yanhi khadi ap ka wait ker rahi hai! Main ne koshish ki lekin ye andar ja he nahi rahi.

Suhani: D-Doctor! Be-Beatrice ko kuch ho gaya hai.....Main n-ne kuch b-bhi nahi kiya.

Varsha: Haan, Tum ne kuch bhi nahi kiya! Main aa gayi hu na? Hum abhi Beatrice ko theek ker de gye, Ap Didi ki baat maan ker unke saath jao.

Varsha ne Suhani ko Nurse ke paas chhod diya aur khud andar chali gayi, Uske saath he Ankush bhi andar aa gaya, Research Laboratory ke neeche ek bunker banaya gaya tha.

Nurse Suhani ko bunker ke andar ek taraf le gayi aur Varsha Ankush ke saath dusri taraf chali gayi, Dono hallway se hote huwe dono ek kamre me chale gye.

“Doctor?”

Kamre ke andar kuch log khade huwe the aur kamre ke beech me Beatrice giri huwi thi, Varsha uske paas chali gayi aur usko daikhne lagi.

*Groaning*

Varsha: Damn it! Beatrice ki spirit energy aur bhi badh gayi hai aur bilkul unstable ho gayi hai, Beatrice ki body bhi limit per hai.

Ankush: Ab kya kare?

Varsha: I don't know! Ab hum kya ker sakte hai?

*Cough*

Beatrice khanste huwe khoon bhari ultiyan karne lagi aur dard se karahane lagi, Lekin ab Varsha ko bilkul bhi samajh nahi aa rahi thi ke wo kya kare, Usko khud ke bebasi ke upar gussa aa raha tha.

*Tuck*

*Tuck*

*Tuck*

“Soul Binding”

Kadmon ki awaaz ke saath kuch shabd unko sunayi diye aur ek thread Beatrice ki shareer se bind ho gaya, Varsha ki aankhon ke saamne Beatrice ki energy stable hone lagi thi.

Varsha ne sar uthate huwe upar daikha to hairan ho gayi, Usko uski aankhon per vishwas nahi ho raha tha.

“Avinash?”
25e6215931e600b70b42e366a56f4a10.jpg
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update 5.3K words ka tha aur issi ke saath Forged bonds Arc ko shuruaat hoti hai, Ye Arc last update ke comparison me thoda light rahe ga, Lekin ye Arc apne saath bohat savalon ka javab laya hai, Hope ke ap ko maza aye ga, Like target ab 120 Likes hai, Umeed karta hu ap ko update pasand aya ho ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Shandaar update
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

Ladies man

Active Member
500
1,653
123

Ding 👍nice update keep posting
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

Power king

New Member
26
23
3

Bahut jabardast update tha bhai. Ab aage kiya hoga dimaag me aa raha hai. Jaldi Next update dena bhai 👌👌👌👌👌👍👍👍
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,659
15,559
144
Bahut badhiya or mast update
:thank_you:

1. Idhar vansh ko kya hi saja di ha arav ne bhai pal pal mout ke liye tadapne ke liye chhod diya sach me na use jine diya na marne diya or ab wo mar hi gaya ha. Lekin kya arav ko uske mission ke according uske reward nahi mile kya jo usko vansh se revenge ke bad milte uske stats 30 percent unsealed ho jate jisse uski power ir badh jati
Reward abhi bhi calculate ho rahe hai! Kyu ke quest bilkul seedhi nahi thi, Tinkerbell usko he handle ker rahi hai.
2. Idhar rakshabandhan ke din tanu arav ka intejar kar rahi ha lekin arav to udhar busy ha ab udhar usko sab mil gaye han to kya arav idhar nahi ayega ye achha nahi hoga sab sath me rahe to hi achha rahega kyonki ab tanu or singh family ko dekhne ki bhi adat ho gayi ha khaskar tanu ki mastiyan dekhte han age kya hota ha
Aarav ab tak ek fake identity ke saath Singh parivar ka sadasya bana huwa tha! Sirf uske revenge ke liye, Ap shayad uski deal ko bhool rahe hai....Lekin ab aage kya hota hai ye to aage he pata lage ga :roll:
Idhar arav ko jhatke pe jhatke lage jaa rahe han pehle akash ek dam thik ha dusra wo bhi Qi user nikla or kahin ye bhi arav ki tarah spirit clan se nikla to kyonki arav ko apna bhai batata ha to usse to yahi lagta ha
Maybe or maybe not :catshrug: Lekin ye kanha clear huwa ke wo sach me uska bhai hai :notme:

idhar ghar me ghuste hi sabse bada pehla jhatka ki arav ki real mother varsha bhi jinda thi or to or wo bhi Qi user nikli lekin arav unhe dekhkar khush hone ki bajaye itna gussa kyon ho gaya jaise abhi hi mar dega ye to bad me pata padega
Uske kuch hints me ne diye the! Lekin bohat he mysterious the to i know ke koi bhi pick nahi kare ga :D Ab to mujhe bhi yaad nahi ke kanha diye the :laughing:
Or last me bhai rakshabandhan per arav ke sath sab readers ko gift diya ha Urvi ji da thi bhai finaly ye suspence khatm hua Urvi sach me jinda ha or arav ke samne khadi ha
Is she? :anyasmug:

lekin wo bachi kaise lagta ha ua rat urvi ki body ke jane wali wo lady varsha hi thi kaise bhi karke use thik kar diya hoga
“kaise bhi karke use thik kar diya hoga” Best explanation :lol:

ab sab log jinda ho rahe han to kahin ab avinash bhi jinda hoker na aa jaye
:anyahide:

lekin abhi to urvi ki jyada khushi ha lekin sirf ek dar sata raha ha kahin urvi ke uper black dot na ho kyonki abhi arav ne use check nahi kiya ha agar check kar liya or black dit hua to jo khushi mili ha wo dukh me bhi badal sakti ha kyonki black dot ka matlab kya hota ha ye sabhi jante han or urvi ke hav bhav se mujhe ye sachh hota bhi najar aa raha ha ki khin wo arav ko bhul na gayi ho
Surprise! No dot :susdance:

Mene socha tha ki fight ke bad arav ke sabhi doston ka reunion hoga lekin fir abhi ke liye alag ho gaye
i'm not milking the story! Bina baat ke scene ko add nahi karu ga, Har scene ke liye ek sahi samay socha huwa hai, Usko uske samay per launga.
urvi ko jinda dekhkar khush honge or bahut se questions ka answer bhi milega dekhte ha kya hota ha age
Ek baat batata hu! Writer ko batate nahi hote ke konse character ko daikh ker khushi ho rahi hai :anyasmug:
 
  • Haha
Reactions: zamam

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,659
15,559
144
Kya hi kahu Bhai is update ka teacher student ka emotional scene, dosto reunion hona, or subse barhi bat ek bete ko uske baap ki jagah dena what scene man
Kunle ki character development ki shuruaat bohat pehle ho gayi thi! Uska character yahan tha bhi zaroori, Ye ek tarha se Aarav ke emotions ka darshane ka tarika tha.
Hannah Araav se larh rhi thi jab k usko pata hai k wo usse nhn Jeet sakti but wo fir bhi samna karna chah rhi thi but ek hi war me wo knock out ho gai
Woman :sip: Lekin wanha koi bhi Aarav ke ek attack ka saamna karne layak nahi tha, Even ke Michael bhi usko underestimate ker raha tha, Hum uske liye ab Hannah ko blame naho ker sakte :D

arav ne usko nhn mara kyn k Barbie k uspe bht Ahsan thy is liye usko zinda chor diya warna arav ne toh kasam Khai thi k Jo bhi mere revenge k beech aega wo mare ga. Jaise machiel Aya tha wo arav ko samjha rha tha l, but Arav ne usko hi path parha diya mia ke through
Aarav kuch bhi ker sakta tha! Lekin wo kisi aur ko nuksan nahi pohanchna chahta tha, Kyu ke koi bhi usko rokne layak tha he nahi ke Aarav ko usko maar ker raaste se hatane per jaye :approve:
HAnnah apne Bhai k liye vansh ka sath de rhi thi jaise wo usko Azad Kara sake but barbie to khud ki Marzi se Akash k sath hai kyn k wo Akash k sath loyal hai,
Desperation! Usko bhi pata tha ke Barbie usko khud nahi chhodega, Lekin wo bina kuch kiye reh bhi nahi sakti thi, Uski character development aage daikhne ko mile gi.

but ek bat abhi bhi sar k uper gai kyn k pehle kabhi uska zikar nhn hua tha, Ellis Kon hai wo Inka Bhai hai Yan Hannah ka lover bux ye cheeze samjh nhn ai
Bhai? :dquestion:Ye gender kaise assume ker liya? Ellis ek ladki thi aur usko first Arc me introduce karwaya tha, Ab kanha kiya tha ye khud dhoond lena :D

Ab aty hai humare one and only Arav k taraf, vansh ne usko bht Barhkane ki koshish ki but arav ka wo last dialogue Jo dimensions me Jane se pehle tha wo yad karwaya or usko regeneration potion de Kar betahasha Dard diya vansh ko jaise wo mar na saky or usko Dard bhi milta rhe

Or toh or usne vansh se uski Wife ko cheen k jitna Dard diya wo toh usse bardasht nhn hoga or last me Maarne ki bat Kar rha tha k kill me
Simple revenge rakh he nahi sakta tha! Agar aisa karta to readers mere se revenge lene lagte :laughing:
Such a nice story
Keep posting & waiting for next update

Please give update as soon as possible
:thank_you:
 
  • Like
Reactions: zamam
Top