• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    287
346
693
108
Sexy revenge
Ashish Chanchlani Wow GIF by Amazon miniTV
 

Sushil@10

Active Member
507
476
63
UPDATE 87 ~
(History Unfolds) (4)



Sainte-Croix Hospital
France ~ 1985


*Click*


Varsha white room ke darwaze ko kholte huwe andar aa gayi, Usko andar aate he saamne Beatrice aur Suhani baithi huwi dikh gayi, Suhani khaana kha rahi thi, Lekin Beatrice muh fulaye baithi huwi thi.


Varsha ne Suhani ki taraf daikha to usne Beatrice ke acting karte huwe keh diya ke wo gussa hai, Varsha bhi muskurate huwe uske paas chali gayi aur uske saath baith gayi.


Lekin Beatrice muh fulaye huwe dusri taraf ghoom gayi, Varsha ne gloves pehne aur ek syringe utha ker Beatrice ke haath ko pakad ker taiyar karne lagi.

Varsha: Aj caretaker ko blood sample kyu nahi lene diya?


Beatrice: Kyu ke ap ne apna promise toda tha! Ap ne kaha tha ke ap yahan aati rahe gi, Lekin ap 17 din se nahi ayi thi, Aur unko main pasand bhi nahi karti.


Beatrice baat to ker rahi thi, Lekin usne ab tak Varsha ki taraf daikha bhi nahi tha, Ye daikh ker Varsha muskurane lagi aur uska blood sample lene lagi.


Varsha: Ap ko bhi pata hai na ke hospital me kitna kaam tha!? Ab usme busy ho gayi thi, Lekin ab aa gayi hu na...Care taker kyu nahi pasand?


Beatrice(Down): Us-Usne kaha ke ek baar main theek ho gayi to main ap se dur ho jaungi! Ye sach hai kya?


Varsha(Sigh): Huh...Uska ye matlab nahi tha! Wo sirf keh rahi thi ke ek baar tumhari bimari cure ho gayi to tum bhi dusre bacho ki tarha cheeze ker sako gi, Hum tumhare liye naye parents dhundhe gye aur tum ek baar dobara school ja sako gi aur ghoom sako gi aur jo kuchh bhi karne ko dil chahe ker sako gi.


Varsha ne uska sample lene ke baad kaha aur uski taraf daikhne lagi, Lekin uski baat sun ker Beatrice khush nahi lag rahi thi.


Varsha: Ab kya huwa?


Beatrice(Hesitant): Doctor, K-Kya ap mujhe adopt karo gi?...Main ap ke aur buddy ke saath rehna chahati hu, Agar nahi to mujhe cure nahi hona.


Beatrice ka chehara laal ho gaya tha, Usne keh to diya tha, Lekin usko ab cringe feel ho raha tha, Ankush he zyada samay uske aur Suhani ke saath bitata tha to unki dosti ho gayi thi.


Lekin Varsha aur Beatrice ke beech ek aur bhi khaas bond ban gaya tha, Varsha aur Beatrice ek tarha se uske bachapan se he saath the, Varsha se milne se pehle ki sab yaadein Beatrice ke liye kisi bure sapne ki tarha thi.


Beatrice ko uska khud ka baap he ek curse kehta aya tha, Ek bachi ko bhooka rakh aur torture ker ke usko lag raha tha ke wo uski patni ka intiqaam le raha hai, Usko torture ker ke wo khud ke andar Qi hone ki saza usko de raha tha.


Lekin Varsha se milne ke baad Beatrice ko pehli baar pata laga tha ke ek Maa ke paas hona kaisa lagta hai, Varsha ke liye bhi ab Beatrice uski khud ki bachi ki tarha ho gayi thi aur wo usko aage sirf ek achi life dena chahti thi.


Varsha(Nod): Hum saath rahe gye!....Lekin uske liye pehli main tumhe cure karu gi aur phir hum bina gloves ke ek dusre ka haath pakad ker duniya ghoome gye....I Promise!




****
Underground Base
Pune Outskirts ~ 1997 October 30



*Gasping*


Varsha neeche ghutnon per baith ker aage ki taraf daikhte huwe lambi lambi saanse le rahi thi, Uske saamne bed per Beatrice ki body thi, Usne khud ke saamne Beatrice ki aatma ko nasht hote huwe daikha tha.


“Varsha?”


Ankush bhi apni kalai ko apne dusre haath se pakade huwe andar aa gaya, Lekin aage ka drishya daikh ker uski ruh kaanp gayi.


*Beeeeep*


Ankush ne monitor per heartbeat ki seedhi line ko daikha tha uske raungte khade ho gye, Usne aur Varsha ne hamesha Beatrice ko cure karne ke baare me he to socha tha, Lekin ab wo he Beatrice uski aankhon ke saamne bejan laiti huwi thi.


Ankush: Beatrice?


Ankush ke kadam khud he Beatrice ki taraf badhne lage, Usko abhi tak vishwas nahi ho raha tha, Ankush peeche darwaze per khadi huwi Suhani bhi khadi hairani se sab daikh rahi thi.


Ankush bed ke paas chala gaya aur usne Beatrice ka haath pakad liya, Lekin uski body sach me bejan thi, Ankush khud ko rok nahi saka aur uska haath pakade udhar khada rone laga.


Usko aise daikh kef Suhani ke bhi aansu chhalak pade aur wo udhar he baith ker rone lagi, Lekin Varsha me ab hilne ki bhi himmat nahi ho rahi thi.


*Thud*


*Groan*


Aarav neeche gir ker behosh ho gaya, Uske paas khade Avinash ka pura Arm laal ho gaya tha kyu ke usne bohat zyada samay ke baad apne Qi core ko unseal ker ke Use kiya tha.


Avinash ka shoulder bhu dislocate ho gaya tha aur uske muh se khoon bhi nikal raha tha, Avinash khada lambi lambi saanse le raha tha, Usko daikh Varsha khadi ho gayi aur uski taraf badhne lagi.


*Grasped*


*Boom*


Varsha ne Avinash ko collar pakadte huwe usko deewar se laga diya, Uski aankhon me aansu aur gussa bhada huwa tha aur wo Avinash ko kha jaane wali nazron se daikh rahi thi.



Varsha(Furious): You could've save her too, Right!? Tum ek genius the, Aisa ho he nahi sakta ke tumhare paas dono ko ek saath bachane ka option nahi tha... *Sniff* Phir kyu tum ne usko bachaya nahi? Kyu usko marne diya? Aakhir Kyu?


Varsha uska collar pakade huwe he rone lagi, Uske andar khade rehne ki bhi shakti nahi thi, Avinash ne uski dono kalaiyon ko pakada aur uska haath jhatak ker khud se alag ker diya.


Avinash(Frustrated): Huh, Even if I could’ve saved her, why should I? I don’t even know her! If saving her even a little could put my son in danger...I’d choose my son every time.


Avinash ne Varsha ko khud se alag karte huwe kaha uske shabdon ko sun Varsha sirf usko hairani se daikhti reh gayi, Usko vishwas nahi ho raha tha ke ye Avinash keh raha tha.


Varsha(Bitter): Unbelievable, Ye sach me tum keh rahe ho? Ab tak sab ka rakshak ye keh raha hai? Kanha gaya wo Avinash jo dusro ke liye marne ko bhi taiyar tha? Abhi tum ek rakshak nahi *Shout* Rakshas lag rahe ho Rakshas...Kya uss bach per zara bhi tars nahi aya tumhe?


Varsha ko Avinash se ghin aa rahi thi, Usko pata tha ke usne Avinash ke saath galat kiya tha, Lekin usne kabhi Avinash ka ye roop daikhne ke baare me socha bhi nahi tha.


*Grasped*


*Choked*


Avinash ne Varsha ke gale ko pakadte huwe usko utha diya, Ye daikh Ankush ne uske paas aa ker usko rokna chaha, Lekin Avinash ke ek dhakke se wo peeche gir gaya.

Avinash(Furious): Haan, Ab bhi dusron ko liye main khud marne ko taiyar hu!...Lekin agar baat mere bacho ki hai!? I’d burn the whole world down to protect them...Phir chahe saamne unki khud ki Maa he kyu na ho.


Avinash ne Varsha ko phainkte huwe kaha to Varsha neeche gir gayi, Avinash ne ab tak Varsha ko maaf nahi kiya tha, Varsha gussa thi to Avinash ki aankhen bhi gusse se laal thi.


Avinash usko udhar he chhodte huwe aage badh ker Aarav ko uthane laga, Varsha ab usko rokna chah ker bhi rok nahi sakti thi.


Ankush aur Suhani ke saath baaki sab bhi unko khade daikh he sakte the, Avinash ne Aarav ko uthaya aur baahir nikal gaya aur beech se Urvi ka bhi haath pakad ker chala gaya.


Varsha unko aise jaate huwe daikhti he reh gayi, Uski aankhon se aansu chhalak pade aur wo udhar he besudh ho ker baith gayi.



Ankush: Varsha! Varsha!! Vars...shaaa!!!


Ankush ki aawaz dheeme se dheeme hoti gayi aur Varsha behoshi ki halat me girti rahi, Itne din aur raat ki mehnat ke baad ab ye sab hone se wo mentally exhaust ho gayi thi.


*Thud*





****


“Uhh...”



Varsha ne apne sar per haath rakhte huwe aankhe kholni shuru ker di, Uska sar abhi bhi kaafi bhaari tha, Varsha uth ker baith gayi.



Varsha(Groan): Ughhh!


“Varsha?”


Varsha ki awaz sun ker uske paas he kursi per baitha soo raha Ankush uth gaya, Usko hosh me ate daikh ker Ankush uske paas ho gaya, Varsha ko bhi ab ek saath uski behoshi se pehle huwe sab drishya dobara yaad ane lage.


Varsha: Ankush, Beatrice? Main kab se behosh thi?


Varsha ke savalon ko sun ker Ankush ne uska haath pakad liya, Varsha abhi buri tarha se kaanp rahi thi.


Ankush: Kal se unconscious ho tum! Hum ne...Hum ne Beatrice ko yanhi ek cemetery me dafana diya hai, Uski body ko ab zyada samay ke liye rakhna theek nahi tha.


Varsha ki dhadkane ek pal ke liye tham si gayi, Beatrice ko usne hamesha ke liye kho diya tha.


Varsha: Suhani kanha hai? Aur Veer aur Aakash ki kya halat hai?


Ankush: Aarav ne kya kiya ye mujhe ab tak pata nahi laga! Lekin bacho ki condition ab bohat behtar hai, Unke test kiye hai aur ye pehli baar huwa hai ke unke sab results normal aye hai...Unhe abhi white room me sulaya gaya hai, Aakash aur Veer Aarav se milna chahate the, Lekin unhe samjha diya hai.


Varsha uski baat sun ker aise he chup ker ke baith gayi, Ankush bhi usko sambhalne ka time de raha tha, Varsha kuch der baad uth gayi aur apna coat pehan liya.


Ankush: Kya huwa? Kidhar jaane ki taiyari?


Varsha: Kanha ja sakti hu! Apne bacho ke paas ja rahi hu, Apne ghar!


Ankush(: Seriously!? Abhi bhi usko ghar keh rahi ho? Varsha tumhe lagta hai ke wo insaan abhi bhi tumhe andar ane de ga?


Varsha: I don't care, Lekin main yahan per baithi nahi reh sakti! Mujhe mere bacho ke paas hona chahiye hai.


Ankush(Sigh): Huh, Fine! Lekin raat bohat ho gayi hai, Main bhi saath chalta hu.


Varsha(Nod): Okay!


Ankush bhi uske saath chal diya aur dono kamre se baahir aa gye, Varsha ne ek baar teeno bacho ko daikha to sab soo rahe the aur phir dono baahir aa gye, Ankush ki Car me baith ker dono Avinash ke ghar ki taraf chal diye.


*Screeeech*


Ankush ne ghar ke baahir car ko roka aur dono car se utar ker ghar ki taraf chalne lage, Raat ke 2 baj rahe the lagbhag sabhi gharon ki battiyan band ho gayi thi.


*Knock-Knock*


Varsha ne ghar ke darwaze per dastak di aur dono khade ho ker darwaza khulne ka intezar karne lage kuch der baad darwaza khula aur unke saamne Avinash khada huwa tha.


Unko daikh ker Avinash bina kuch bhi kahe darwaze ko khula chhod ker andar chala gaya, Varsha andar jaane lagi to Ankush bhi uske saath andar aa gaya.


Varsha: Kanha?


Ankush: 10 Minute yahan baith ker chala jaunga! Aise tumhe akeli nahi chhodunga.


Varsha: *Nod*


Varsha aur Ankush dono he ghar ke andar hall me aa gye, Varsha Ankush ko udhar baitha ker jaane lagi, Lekin kuch daikh ker uske kadam tham gye.


Uske saamne deewar per Bharat ki tasveer tangi huwi thi aur usper haar chadhayan huwa tha, Usko daikh Varsha bilkul chaunk gayi.


“3 Din pehle tumhare uncle ka dehant ho gaya tha”


Varsha ke peeche khadi Lakshmi ne kaha to Varsha ghoom gayi, Lakshmi ne white saree pehni huwi thi, Usko daikh ker lag raha tha ke usne kitne dinon se kuch bhi nahi khaya tha.


Varsha: Aunty?.... I'm sorry, M-Mujhe pata he nahi tha.


Lakshmi: Avinash ne tumhe aur bacho ko dhoodhne ki koshish ki thi! Lekin usko tum teeno mile he nahi, Kal Aarav ki Qi ko usne feel kiya to ghar se bhaagte huwe chala gaya tha.


Lakshmi ki baat sun ker Varsha ne yaad kiya to kal Avinash bhi white suit he pehne huwa tha, Varsha ko ab khud ki kahi huwi baato per gussa aa raha tha, Avinash ne uske baap ko khoya tha aur kal usne apne bache ko bhi lagbhag kho he diya tha.


Varsha: Sorry, Aunty...! Ap- Gussa ho kya?


Lakshmi: Main gussa kyu hone lagi? Ye tumhari aur Avinash ke beech ki baat hai... Lekin haan main nirash zaroor huwi thi sab kuch sun ker, Kabhi socha nahi tha ke har din mere kaam me jigyasa dikhane wali ek ladki uska ye arth nikale gi aur khud ke he bacho ki jaan sankat me daal de gi.


Varsha ke paas ab kehne ke liye kuch bhi nahi tha, Lakshmi ne bhi usko aur kuch bhi nahi kaha aur Ankush ke saamne kursi per baith gayi, Varsha udhar he khadi rahi aur kuch samay ke baad Avinash apne haatho me Aarav aur Urvi ko uthaye aa gaya.


Aarav aur Urvi dono he abhi gehri neend me the, Avinash ne unko Lakshmi ke paas laita diya aur khud bhi uske saath he baith gaya, Varsha bhi ek kursi per uske saamne baith gayi.


Varsha: Avinash, Aunty ne abhi uncle ke baare me bataya!... I'm sorry, Mujhe kal kuch-


Avinash: Papa ko kuch bhi hone se tumhe kuch farak bhi padhta hai kya? Ye pata hote huwe bhi ke unki kya halat hai tum ne to apna he swarth daikha na?...Ek baar main ne tumhe maaf karne ki galti ker di hai ab dobara nahi ker sakta.


Avinash ne kehte huwe ek baar Varsha ki taraf daikha bhi nahi, Varsha samajh gayi ke usko ab uski taraf daikhne se bhi ghin aa rahi thi.


Varsha: Ab kya chahate ho?


Avinash(Sigh): Mnemosyne's Gaze!


Naam sunte he Varsha ki aankhe hairat se khul gayi, Ye Lakshmi ki he banayi gayi ek forbidden art thi, Ye hypnosis ki tarha ki he thi, Lekin ye Art usko directly kisi ki yaadon me parvesh karne aur badlav karne me madad karti thi.


Lekin Lakshmi ke khud banane per bhi ye uske liye Use karni easy nahi thi, Usko bhi ye Art ke prayog ke liye support ki zaroorat hoti thi aur uske paas abhi Avinash ek support ke roop me tha.


Varsha: Aunty, ap kya bacho ki yaadein badalna chahte ho?


Avinash: Haan, Bacho ke liye tum sirf ek buri Maa ban jaogi! Unko tumhare wajood se bhi nafrat ho jaye gi aur wo tumhe kabhi daikhna bhi nahi chahe gye, Uske baad tum yahan se ja sakti ho aur kabhi bhi laut ker na ana.


Ankush: Avinash ye kuch zyada ho rah-


Avinash: Beech me bolne ki koshish bhi na karna! Agli baar tumhari kalai nahi gardan ho gi.


Avinash ne uski baat ke beech me he usko dhamki dete huwe kaha, Ankush ko gussa to aya, Lekin usne gussa pee liya aur chup ker ke baith gaya.


Varsha: Aur agar main ye na karu to phir kya karo gye?


Avinash(Sigh): Huh, Phir mere paas aur koi raasta nahi ho ga! Main Avinash Arya, Clan ka Leader ye kasam khata hu ke agli baar tum mere bacho ke kareeb dikhayi bhi di to tumhare baap ke aakhiri shabdon ko pura karte huwe tumhara sar dhar se alag ker dunga.



*Clang*


Avinash ne kehte huwe he clan leader ki sword ko unsheath karte huwe aage rakh diya, Varsha aur Ankush ki saanse thamne ko ho gayi.


Varsha sirf Avinash ki taraf daikhti he reh gayi, Lekin Avinash ne usko ek baar daikha bhi nahi aur baitha raha, Usko daikh ker lag raha tha ke wo sach me sar kaatne se pehle soche ga bhi nahi.


Varsha ne ek baar Lakshmi ki taraf umeed bhari nazron se daikha, Lekin Lakshmi ne bhi uski taraf daikha bhi nahi.


Avinash: Tumhare paas zyada samay nahi hai! Tumhe abhi nirnay lena ho ga.


Varsha ne ek baar dobara un dono ki taraf daikha, Lekin dono he ab badalne ke liye taiyar nahi the, Ye daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Uske paas sach me aur koi raasta nahi tha.


Varsha(Nod): Jaisa tumhe sahi lage! Lekin kya kabhi kabh-


Avinash: Ek baar bhi nahi! Unko tumhara chehara dobara dikhna bhi nahi chahiye.


Varsha bilkul bebas ho gayi thi, Uski nazar uske bacho per chali gayi, Unki wo aakhiri tasveer ko kaid ker lena chahti thi, Avinash bhi baitha intezar karta raha aur aakhir me Ankush ko he Varsha ko uthana per gaya.


Varsha apna sar jhukaye baahir ki taraf chal di, Usne khud he apne ghar ko kho diya tha, Uske dil me ek he chah thi ke ek baar dobara Avinash usko rok de aur kuch aur saza de de.


Lekin usko bhi andaza tha ke Avinash ab dobara vishwas nahi kare ga aur Ankush ke saath baahir chali gayi, Ankush ne uske liye car ka darwaza khola aur Varsha car me baith gayi.


Uske sabar ka bandh toot gaya aur wo car me baith ker rone lagi, Usne sab kuch he kho diya tha, Uska ghar uske bache aur Beatrice sab kuch he cheen liye gye the usse.


“Aur uss raat ke baad me ne tum dono ko kabhi bhi nahi daikha”



Car ke baahir Aarav aur Varsha parchhai ke roop me khade huwe the, Aarav ne uske brain se direct connection banaya tha to Varsha bhi uske saath thi.


Varsha: [Uske baad Avinash ne tumhe kya yaadein di mujhe nahi pata! Lekin wo sab sach nahi thi, Aarav tumhe pura sach nahi bataya gaya, Ye sirf Forged memories hai.]


Aarav(Scoff): [Aur ap ko aisa kyu laga ke aisi reality se bhu buri memories forge ho sakti hai? Meri Maa ne mujhe he maarne ki koshish ki aur wo bhi ek baar nahi do baar? Usse buri chhavi aur kya ban sakti hai ap ki?]


Aarav ki baate sun ker Varsha chaunk bhi gayi aur uske paas kehne ke liye bhi kuch nahi bacha, Aarav ki har baat sach thi.


Aarav: [Ap ko pata hai ap se pehle main ne ye sab kuch Dad ke nazariye se daikha tha!? Kya ap daikhna chaho gi?]


Aarav un memories ki baat ker raha tha jo usne Avinash ko devour karne ke baad daikhi thi, Varsha uski baat sun ker hairaan huwi aur usne sirf nod ker diya.


Aarav ne haath uthaya to unke saamne ka drishya badlne lage, Ab Aarav Avinash ki memories dikha raha tha, Varsha ne apne saamne daikha to usko sirf andhera dikhayi diya.


Varsha: [Ye kya hai?]


*Groan*


Abhi Varsha ne Aarav se pucha he tha ke usko ek taraf se kisi ke karahne ki awaz sunayi di, Varsha ne udhar daikha to usko Avinash khada dikhayi diya, Usne kuch pakada huwa tha.


Aarav: [Hairan ho gayi kya? Kuch andaza hai kya ke ya kya ho sakta hai?]


Varsha ke muh se ek shabd bhi baahir nahi aya, Usko pata lag gaya tha ke Avinash ne kya pakada huwa hai, Uske haath me abhi Beatrice ki soul thi, Jisko wo kanhi se khinch ker baahir nikal raha tha.


Varsha ne andar jhankana chaha to wo aur bhi hairan ho gayi, Uske saamne tha to sirf andhera he, Lekin wo usko mehsoos bhi ker sakti thi aur khud ko khinchate huwe mehsoos bhi ker sakti thi.


Varsha: [Ye kya hai?]


Aarav:
[Limitless Growth]


*Clap*


Aarav ke clap karte he Varsha ko Avinash ki nazar se dikhayi dene laga, Avinash ke saamne ek badi deewar thi aur deewar ke beech me ek chhed bana huwa tha.


Aarav: [Ye meri real potential hai! Limitless Growth, Lekin usko unlock karne ke liye ye deewar mujhe khud se todne ki zaroorat thi, Kyu ke agar main deewar ke dusri taraf ki growth ko control nahi ker sakta tha to wo mujhe control karne wali thi]


Varsha ke paas kehne ke liye shabd nahi the, Usko andar baaki sab souls dikhayi to de rahi thi, Lekin wo samundar me kuch bundon ke barabar bhi nahi thi.

Aarav: [Isko Unlock karne ke liye abhi bhi bohat samay tha! Lekin kisi ko laga ke kisi newborn baby ki soul ko transfer kiya jaye aur usko karte huwe ye chhed ban gaya]


Varsha ko aage ka kuch sochne ke liye aur sunane ki zaroorat nahi thi, Phir Aarav ki ye growth uske aur bhi souls ko devour karne se trigger ho gayi thi aur usko ab bhadne ke liye aur bhi energy chahiye thi.



Aarav: [Aur tab Dad ne dobara ek mushkil nirnay liya! Agar chhed band na kiya jata to baahir sab growth ke liye sirf ek energy ban ker reh jaate, Sab ko bachane ke liye Dad ne usko khatam ker diya]


Avinash ne Beatrice ki Soul ko haatho me he nasht ker diya aur uske baad chhed ko seal karne laga, Avinash ke liye wo nirnay kitna mushkil tha ye uski unstable energy se pata lag sakta tha.


Varsha: [Usne bataya kyu nahi?]


Aarav(Sigh): [Huh, Ap ne kaha ke unhone sach chupaya tha, Right? Ab ap ko batata hu ap ke ghinone sach ko chupa ker unhone hamay kya bataya]


Aarav ne dobara saamne ka drishya badal diya, Ab unke saamne dobara ussi raat ki memories thi, Lekin ye Avinash ki memory thi Varsha ke jaane ke baad ki.


Laskhmi: Avi...?


Lakshmi uth ker Avinash ke paas chali gayi aur usko gale se laga liya, Maa ki bahon me ate he Avinash ke aansu ruk nahi sake aur uske agosh me chehara chupaye wo rone laga.


Avinash in aansuon ko kab se roka huwa tha, Lakshmi ne bhi usko khul ker roo lene diya, Avinash bohat der aise he baitha rota raha aur aakhir shaant ho gaya, Lakshmi uske saamne baith gayi.


Lakshmi: Kya ho gaya tha? Itne aansuon ko chupa ker baitha huwa tha?


Avinash(Sniff): Aise he Kuch soch raha tha!...Usne kya he galat kaha tha? Aakhir ek rakshas he to hu na main? Sab se pehle apne logo ko he apne haatho se maara aur phir ek bachi ko bhi apne haatho se khatam ker diya!? Rakshas he to huwa na?


Lakshmi(Tearful): Aisa kyu bolta hai? Sab kuch tu ne dusron ke liye kiya tha, Lekin bojh uthane ke samay per tu akela kyu ho jata hai?


Lakshmi ne uska chehra thaamte huwe kaha usko sirf apne bete per taras he ata tha, Usne kabhi uske jaisa saaf dil insaan nahi daikha to aur sab dukh bhi uski kismat me he likh diye gye the.


Lakshmi: Ab sach sach bata! Kya sach me tu bacho ki memories me badlav karna chahta hai?


Avinash(Nod): Haan, Lekin unko Varsha ki buri memories nahi deni!...Ab ki baar ap ko mujhe bura banan ho ga.


Lakshmi(Frowns): Avi? Aisa kyu karna chahata hai?


Avinash(Sigh): Huh, Ap ko bataya tha na ke Aarav ki Limits ko seal kiya hai!? Lekin usko seal karna bohat mushkil tha, Meri banayi har seal ko he wo devour ker raha tha aur ant me....ant me mujhe khud ke core se ek seal banani per gayi.


Lakshmi: Huh? Kya matlab?


Avinash: Main uske chhed ko band to nahi ker sakta tha! Lekin main ne usko ab direct ker diya hai, Ab wo kisi ki bhi energy ko aise he nahi khinche ga, Usko ab sirf meri Qi chahiye ho gi, Aarav ke kareeb hone per wo khud he meri Qi khinchne lagta hai.


Lakshmi ne aisa kuch padha huwa tha, Ye karne se Avinash ne Aarav ko stable to ker diya tha, Lekin ab Aarav ke paas ane se uski Qi khinchne lagti thi aur agar uska pura core khali ho jata to Avinash ko bhi khatra tha.


Avinash: Ab bacchon se dur rehne ke liye kuch bahana to chahiye hai na? Agar ek bura baap ban gaya to bahanon ki zaroorat he nahi ho gi na?


Avinash keh to ye muskurate huwe raha tha, Lekin uski muskurahat ke peeche ka dard abhi Lakshmi daikh chuki thi, Usne sirf apne bete ke sar per haath rakh diya.


Avinash: Bacho ko ye bataye ke main ne unki Maa ko tadpaya aur zulm kiya hai! Aur Aakhir me mujhse tang aa ker usne dam tod diya tha.


Lakshmi: Maa ko maar kyu raha hai? Rok kyu nahi raha? Baap nahi to ek Maa to ho gi na?


Avinash: Ek baar bharosa ker ke daikh liya hai! Ab bacho ko dobara uske paas akela nahi chhodunga, Acha hai ke unhe lage ke unki Maa mar gayi hai.




****
Sayani Mansion
France ~ 12:24 AM



“Enough!”


Suhani ne Aarav ko dhaka dete huwe Varsha se alag ker diya, Suhani Aarav ko khoon pee jaane wali nazron se daikh rahi thi, Usne Varsha ko khud ke saath lagaya huwa tha.


Varsha bilkul sadme ki halat me Suhani ke saath lagi roo rahi thi, Varsha yahan khud ko Aarav ki nazron me sahi sabit karne ayi thi, Lekin yahan wo khud ki nazron me he galat sabit ho gayi thi.


Aakash ek taraf khamoshi se baith ker sab kuch observe ker raha tha, Barbie bhi uske saath khada huwa tha, Aarav ki taraf daikh ker usko andaza ho gaya tha ke Aarav ko ab sab kuch pata lag gaya hai.


Varsha: Aarav, Bache!


Varsha uth ker khadi ho gayi aur Aarav ki taraf badhne lagi, Ye daikh ker Suhani ko gussa aya, Lekin usne muh fer liya aur khadi ho gayi.


Varsha Aarav ke saamne aa ker khadi ho gayi, Lekin ab ki baar uski Aankhon me wo aatmavishwas nahi tha, Varsha andar se toot gayi thi, Usne Aarav ke saamne haath jod liye.


Varsha(Tearful): Aarav, Apni Maa ko maaf ker de! Bohat badi bhool ho gayi, Kab main khud ko ahankar me pagal ho gayi mujhe pata he nahi laga *Sob* Apni Maa ko maaf ker de.


Aarav ne Varsha ke haatho ko pakad ker neeche ker diya, Ye daikh Varsh uske haatho ko thaamne lagi, Lekin Aarav ne haath kheench liye.


Aarav(Scoff): Corpse, The Kid Who Was Supposed to Die, Right? Ap ko ek aur baat bataun kya? That kid really did die that day...The person you see in front of you isn’t your kid anymore....Murdon ko dobara zinda karne ki koshish na kariye, Sirf mayusi he ho gi.


Aarav ne Varsha ko dutkarte huwe dhakel diya, Varsha sirf usko hairani se daikhti he reh gayi, Aarav ki ye harkat daikh ker Suhani ke sabar ka band toot gaya.


Suhani(Furious): Aarav, Ab bohat ho gay-


Aarav: Kneel!



[Alpha Presence Activated]


Aarav ki ek nazar per Suhani uske ghutnon per aa gayi, Usko aise daikh ker Aakash ko hansi aa gayi, Usne usko bataya bhi tha ke Aarav kitna strong hai, Lekin ab usne khud mehsoos bhi ker liya tha.


Aarav: Just get out of my sight! Before I do something I'll regret later.


Aarav ki baat sunte he Aakash ne Barbie ko ishara ker diya, Barbie nod karte huwe Varsha aur Suhani ko baahir le gaya, Unke nikalte he Aarav table pakad ker khada ho gaya.


Ab tak to wo khud ko sambhale huwa tha, Lekin uske bhi emotions unstable ho gaye the, Varsha uski Maa thi, Uske saamne hone se wo bilkul unfazed nahi reh sakta tha.


Aakash: Andar dum ghutne laga hai! Kya kehte ho, Fresh air ke liye terrace chalo gye kya?


Aarav(Sweating): *Nod*


Aakash usko saath le ker Terrace per aa gaya, Aakash ne ek cigar ko nikal liya aur usko jalane laga, Aarav terrace se neeche daikhne laga, Usko Barbie neeche Varsha aur Suhani ko car me baithate huwe dikh gaya.


Aarav unki car ko mansion se nikalte tak daikhta raha, Unke baahir jaate he Aarav udhar baith gaya, Aakash uske paas chup ker ke khada raha.


Aarav: Aakash, Tum ne mere liye itna sab kuch kyu kiya?


Aakash: Mujhe laga ke tumhe ab tak pata lag gaya ho ga!?


Aarav(Scoff): Kya ye soch ker tum ne sab kuch kiya ke main tumhara bhai hu? Agar aisa hai to uski zaroorat nahi thi, Tumhare bhai ki soul ko main devour to kiya ho ga, Lekin sirf ek energy ke roop me, Main bhai nahi hu tumhara.


Aakash(Smile): *Nod* Haan, I know ke tum Sagar nahi ho! Huh...Aarav tumhe pata hai main sagar ko nafrat karta tha? Hamesha se mujhe lagta tha ke uske kaaran he main ajeeb hu...Lekin wo bechara to mujhe he bachate huwe mara tha, Mere liye mujhse zyada dukhi wo tha, Wo mujhse alag bhi nahi ho sakta tha...Lekin phir tum aye aur sab kuch badal gaya...Aarav Arya, Ya kahu ke spiderman *Laugh*


Aakash un palon ko yaad ke muskurane laga, Usko daikh ker Aarav mehsoos ker sakta tha ke Aakash sach me khush tha.


Aakash: Aarav tum mere aur Veer ke sab se pehle friend the! Haan, Tum hamare bhai nahi the, Lekin agar wo sach me hamare saamne hote to bilkul tumhari tarha ke he hote, Ye he kaaran hai ke unki soul ko devour karne ke baad hum tumhe he bhai kehne lage...Unhone hamay ye zindgi di thi aur tum ne hamay zindgi jeene ka mauka diya tha, Hum baakiyo ki tarah baahir nikal sakte the aur aj hum jo kuch bhi hai tumhare kaaran he hai, Agar hamay tumhari khatir marna he kyu per jaye hum taiyar hai.



Aarav(Sigh): Huh, Whatever! Lekin mujhse kuch bhi expect na karna ke main tumhara bhai banu ga.


Aarav itne emotions ko daikh ker sach me tang aa gaya tha, Usko daikh ker Aakash sirf muskura diya aur cigar ka anand lene laga.


“Master”


Aarav ko bulate huwe Tinkerbell baahir aa gayi-


Aarav: [Kya ho gaya?]


Tinkerbell: [Ap ka reward kuch minutes ke baad ap claim ker sakte ho! Ap ke liye ek surprise bhi hai, Ya kaho ke bonus hai]


Aarav: [Really!? Huh, Aur dusre kaam ka kya huwa?]


Tinkerbell: [Haan, Main ne error ke liye bhi check kiya tha, Lekin kuch bhi error nahi tha, Urvi per sach me dot nahi tha]


Aarav: [Huh, Lekin ye kaise ho sakta hai?]



Aarav ke saval per Tinkerbell ne bhi haath khade ker diya ke usko kuch bhi idea nahi hai.


Aarav: Aakash....Urvi ke baare me batao gye kya? Main ne Urvi ko khud m-.... marte huwe daikha tha, Phir wo yahan aur zinda kaise hai?


Aakash: Soch he raha tha ke ab tak tum ne pucha kyu nahi! Huh, Uske baare me main bhi kuch bhi khaas nahi janta, Urvi ki body ko Suhani ne claim kiya tha, Usko ek tumhara friend wanha le gaya tha, Unhe bhi Urvi ki dead body he mili thi, Lekin kab raaste me Urvi ki saanse dobara chalne lagi unhe bhi pata nahi hai.


Aarav ko bhi ache se yaad tha ke usne Urvi ki heartbeat ko rukte huwe suna tha, Usko ab bhi pura drishya kisi bure sapne ki tarha yaad tha, Usko Urvi ke zinda hone ki khushi to thi.


Lekin wo hairan huwe bina nahi reh sakta tha, Agar Varsha ne bhi kuch nahi kiya tha to huwa kya tha.


“Uske shareer ko main ne zinda kiya tha”




[You have entered the Domain of the Monarch]


[Prepare for potential encounter with powerful foe]


Aarav terrace se ek empty white space me aa gaya tha, Aarav ne sword ko nikal liya aur ladne ke liye taiyar ho gaya.


*Clanggggggg*


Ek attack ek side se aya aur Aarav mushkil se khud ko defend ker saka, Sirf ek attack ne uska balance bigad diya tha, Earth per ane ke baad usne aisa attack ye dusri baar feel kiya tha, Pehla usne Tarun ka aisa attack feel kiya tha.


“hohoho! Not bad, Young man”


Aarav ko uske side se awaaz ayi to wo uss taraf ghoom gaya, Uske saamne ek vyakti khada huwa tha, Lekin uske kapade bilkul sadharan the aur uske haath me ek purani E rank iron sword pakadi huwi thi aur chehre per ek mask pehna huwa tha.


122175872722ddc8165976c1bf6142dd.jpg

[Check]


[Target is too powerful!⚠️]


[Player cannot check his status]



Aarav: Huh?


[Access Granted!]


[The target has allowed you to check his status]



Vyakti ne Aarav ki taraf daikhte huwe usko check karne ka mauka de diya, Ye daikh ker Aarav ko aur bhi gussa aa raha tha.


[Check]


[
Name: Aarav Arya
Job: Soul Monarch]


Aarav(Shocked): What the fuck?
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Aur yahan huwa history unfold ka ant, Khush to bohat ho gye aur action bhi aa gaya :D Umeed karta hu ke ap ko ye update bhi pasand aya ho ga, Target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Awesome update and nice story
 
  • Like
Reactions: YuVraj SinGh1
15,607
32,137
259
romanchak Update. yoo jung ke maa ke saath bura hua .
Par ye CWD kya hai jo vansh ke paas 3 the .
ab aarav naya leader banne ki raah par chal pada hai .
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,798
18,747
144
Ohh..pencho ye revenge sexy kab ho gaya Salty~Otaku bhai ...😝😝
Puri story me sex sirf naam barabar aya hai, Lekin Revenge sexy bana diya... Kanhi main ek genius writer to nahi kya!? :notme:
 
Top