UPDATE 101 ~
(TRUTH OR TRUTH)
****
Apex Tower
Floor 25 ~ 5 Months Ago...!
*Thrrak-shquelch*
Aarav ne ek laat maarte huwe uske kadmon mein giraye huwe ek Drake ka aar kuchal diya. Aarav ka poora armor he khoon se bheeg gaya. Ab usko lagatar ladte huwe bohat din ho gaye the. Lekin ab tak usko 26th floor ka portal he dikhayi nahi diya tha.
[Level Up ×2]
[Player successfully reached Level 240]
[Congratulations, player! You have ranked up from A rank to S rank]
[Player successfully reached Rank Up, allowing her to utilize her stats more smoothly and efficiently]
[As a rank-up reward! the player is getting a new Ability/Skill]
[Unable to find any suitable low-rank abilities for the player! Would you like to use your points to acquire a high-rank ability?]
[Yes ~ No]
[No suitable high-rank abilities were found. You can upgrade one of your three current abilities or system features instead.]
Tinkerbell: Upgrade? Ab konsi ability ko upgrade karna sahi rahe ga?
Aarav ke liye abhi koi bhi suitable Ability nahi mil rahi thi to System usko uski purani Abilities ko he upgrade karne de raha tha. Lekin ye bhi ek golden chance he tha.
Kyu ke Aarav ki bohat si abilities he Level up ker he nahi sakti thi aur na he Aarav ke paas aur koi bhi raasta tha.
Aarav (Nod): Abhi ke liye to sab se pehle isko Upgrade karna sahi rahe ga...!
[Are you sure you want to upgrade this system feature?]
[Confirmed]
[System feature [LEVEL INSIGHT] upgraded to the next level]
[LEVEL INSIGHT]
[Level Insight has been upgraded to Level 3. You can now view the abilities of players whose level is lower than yours]
****
“Deathwatchers aa gaye hai kya?”
Dungeon master ne uski kursi per he baithe huwe uske paas he khade ek vyakti se pucha. Dungeon Master ke saamne bohat si system windows khuli huwi thi aur windows mein usko dungeon ke andar ka sab kuch dikhayi de raha tha.
Vyakti: Yes, they're in the Spectators' Room now...!
Dungeon Master ke paas he mein khade Vyakti ne usko kaha. Vyakti ne ek suit pehna huwa tha aur uske paas bhi ek system window uske saamne he float ker rahi thi. Lekin uski screen ke andar kuch numbers bane huwe the.
[$23,673,499,250]
Dungeon Master (Nod): Aur Malphas!?
Vyakti (Sigh): Malphas Ab ki baar bhi har baar ki tarha human Deathwatchers ko bulane se khush nahi hai! Lekin uske baad bhi usne ap ke orders ko follow karte huwe kuch bhi kaha nahi hai. Malphas is with Deathwatchers, making sure they're settled.
Dungeon Master (Smirk): Settled? They should enjoy it while it lasts. The Carnival doesn’t care how rich or untouchable they think they are... not for long.
Dungeon Master ke chehre per ek bhayanak si muskurahat aa gayi aur usko daikh Vyakti bhi muskurane laga. Uski nazar ab bhi uske saamne badh rahe numbers per thi.
Vyakti (Grin): Exactly...!
Dungeon Master: Start the Sponsorship and Judgment... now...!
Vyakti (Nod): As you command.
Dungeon Master ke aadesh ko sun ker vyakti ke chehre per bhi ek lalach se bhari muskurahat aa gayi aur usne muskurate huwe uske aadesh ko pura karna shuru ker diya.
****
Carnival of Death
Dungeon ~ Spectators' Room
*Slash*
*Thud*
“Motherfucker, Ye monster hai kya? Ek attack mein he mar rahe hai aur wo bhi weak se weak player ke attack se?”
Ek bade kamre ke andar har corner mein shadows he thi. Udhar sirf different colors ki dim lights ki he roshni thi. Spectators' Room ke andar lagbhag 17 se 18 ke kareeb Deathwatchers the.
Udhar baithe sab huwe Deathwatchers ya to richest families se aye the ya entrepreneur the. Un sab ke pehne huwe kapdon aur accessories se he unke paise ka andaza lag sakta tha.
Kamre ke andar he ek corner mein ek high_end bar bana huwa tha uska counter bhi rare black jade ka bana huwa tha aur uske peeche he glass shelves thi, jisme duniya ki sabse rare aur expensive spirits neatly arranged thi.
Bottles crystal glass mein thi, kuch par gold aur platinum detailing thi, aur kuch ke caps diamonds aur rubies se adorned the.
Kuch faded labels wali bottles thi, jo centuries-old lag rahi thi sirf special moments ke liye. Shelves ki golden backlight un bottles ko aur bhi highlight kar rahi thi, jaise yeh kisi luxury museum ka collection ho.
Counter ke peeche Bartender ek dum silent aur serious tha, perfectly dressed, ek professional jise sirf apna kaam karna tha. Uski movements calm aur controlled thi, jaise wo room ke vibe ka ek hissa ho.
Room ki hawa heavy thi, expensive oud ki halki si smell aur faint cigar smoke ka ek layer bana huwa tha, jo sirf un logon ko he suit karta tha jo yahan per baithe huwe the.
Har ek Deathwatcher apni seat pe comfortably baitha tha, unki body language relaxed, lekin unki aankhon mein ek alag hi sharpness thi. Designer suits, high-end jewelry, aur drinks jo shayad duniya ke sirf 1% log afford kar sakte hain
yeh sab unka luxury dikhane ke liye nahi, unka power aur status feel karane ke liye tha. Un sab ke saamne he upar bohat si system windows bani huwi thi aur unke andar bhi Dungeon ka sab kuch he dikhayi de raha.
Kenneth Deathwatcher (Smile): Lagta hai ab ki baar to C.O.D mein aur bhi tagade Player le ker aye gaye hai! Kyu, sahi kaha na?
Kenneth ne unke paas mein he khade huwe One Eyed Malphas ki taraf daikhte huwe kaha. Malphas ne usko ek nazar daikha aur dobara se seedha ho ker khada ho gaya.
Herbert Deathwatcher (Annoyed): Strong ho ya kuch bhi kyu na ho! Yanha per hum sirf game show daikhne ke liye he nahi aye hai.
Herbert ki baat ko sun ker udhar bohat se aur bhi Deathwatchers agree karne lage. Unko kisi ke bhi jeetne ka intezar nahi tha. Deathwatchers yanha per sirf sab ki maut ko daikhne ke liye aye the.
Ek samay tha ke sirf paison walo ke paas he power hoti thi. Lekin insanon ke Player ban'nne ke baad se ek naukar bhi kab un paison walo ke saamne aa ker khada hone laga unhen khud he ehsaas nahi huwa.
Players ke paas unse zyada authority aur power aa gayi thi aur ye baat unko bilkul bhi pasand nahi aa rahi thi. Unhe ab Guilds ke saath contract karna per raha tha khud ki power dikhane ke liye.
Lekin khud paisa dene ke baad bhi unhe khud ki he contracted guild ke saamne dab ker rehna per raha tha. Lekin ek player na hone ke kaaran ab unko wo sab kuch sehan karna per raha tha.
Kal tak sab ko khud se neeche samajhne walo ke liye ye sab kuch sehan karna bilkul bhi possible nahi tha. Lekin C.O.D ke kaaran ab wo unhi players ko khud ki aankhon ke saamne yun tadapte huwe marte daikh sakte the.
Un sab ko aise maut ki taraf badhte daikh ab unhe anand mil raha tha ek baar dobara unhen khud ki power ka nasha ho raha tha aur uske liye wo kitna bhi paisa dene ke liye taiyar the.
Ye unka God complex he tha jo unhen ye ehsaas karwa raha tha ke un sab players ka jeevan unke he haathon mein tha. Ek baar dobara se wo un logo ko ab keede makodon ki nazron se daikh rahe the.
[The Sponsorship and Judgment Panel is now open]
[Green Button: Sponsor your chosen player, providing support and favor]
[Red Button: Impose your wrath, increasing the difficulty and testing their limits]
[The minimum sponsorship fee is $100,000, and special difficulty adjustments require a minimum fee of $250,000]
Ek notification sab ke saamne aa gaya aur un sab ke paas hs ek red button aur ek green button bhi aa gaya. Unko daikh purane sab Deathwatchers ke cheharon per muskurahat aa gayi aur naye sab ab bhi confused the.
Malphas: Ab sab ke paas he Sponsorship aur uske saath judgment panel aa gaya hai! Ab sab carnival ki Difficulty ko badha sakte ho aur kisi bhi player ko support bhi ker sakte ho.
Herbert (Smile): Ab aye ga na maza...!
****
Carnival of Death
Dungeon ~ Stage 1 Floor 1
“Who in your team would you kill to save yourself, and why?”
Game Master ne ek aur team ke player ke paas aa ker usse saval kiya. Game Master kisi bhi order se nahi chal raha tha aur randomly kisi bhi player se kuch bhi question ker raha tha. Lekin ab tak udhar khade sab players ke raungte khade ho chuke the.
[Participant Remaining: 662]
Un sab ki aankhon ke saamne ab tak 50 se zyada players mar gaye the. Unki laashe udhar he unke saamne giri huwi thi aur baaki sab kuch ker bhi nahi sake the. Ye sab kuch daikh ker kuch players ne bhaagne ki bhi koshish ki
Lekin koi bhi ek kadam se zyada aage nahi badh saka aur udhar he gir gaya. Lekin Game Master ab har maut ke saath aur bhi excited ho raha tha aur uske questions aur bhi tricky ho rahe the.
Game Master ke saamne khada huwa Player ab aur bhi dar raha tha. Usne ek baar peeche uske sab teammates ki taraf daikha to wo sab bhi usko he daikh rahe the. Uske liye to aage kuan aur peeche khai ho gayi thi.
Player (Trembling): N-No one! I’d never betray my team.
Player ne himmat juta ker keh he diya aur khud se he haan mein sar hilane laga. Jaise khud se he keh raha ho ke usne sach kaha hai.
Game Master: *Evil Grin*
Game Master ke chehre per ayi huwi uss khaufnak muskurahat ko daikh ker Player ka pura shareer he kaanp gaya. Usko ek pal ke liye uski maut uski he aankhon ke saamne dikhayi de rahi thi.
Game Master (laughs coldly): Ah, how noble! But didn’t you already make your choice? Remember, actions speak louder than lies.
Player (Trembling): K-Kya?
Game Master (Grin): You let your partner take that hit just so you could survive...!
Game Master ke kehte he Player ke saamne scene chalne laga. Usne yanha ate huwe ek mountain rat se bachne ke liye uske peeche khade ek teammate ko Use karte huwe khud ko cover ker liya tha aur uske teammate ko dar se bataya bhi nahi tha.
Player: Guys, That’s not true...!
Player ne uske peeche khade huwe teammates ki taraf daikha to wo sab usko muh bana ker daikh rahe the. Jaise unko ab usse ghin aa rahi ho.
Player: G-Guys...!
Game Master: Deep down, you knew they’d die for you, didn’t you? Now it’s time to repay the favor.
Player (Furious): Fuck Yooouuuu!
Maut ko saamne daikh ker player ne khud se he control ko kho diya aur Game Master ki taraf apni sword ko le ker badhne laga. Lekin uska shareer beech mein he ruk gaya aur wo statue ban ker khada ho gaya.
Player: Huh?
Game Master (Grin): Bye, Bye...!
Player ne uske saamne daikha to Game Master ke haath mein ek gun thi. Usne apne teammates ki taraf daikha to sab ne usse muh fer liya tha.
*Bang*
Game Master ne fire ker diya aur ek bullet seedhe player ki chhati per lag gayi. Lekin Player abhi bhi khada huwa tha. Ye daikh ker wo abhi khush huwa he tha ke.
*Ka-booooom*
Uske shareer ke andar gayi huwi wo Bullet uske shareer ke andar he phat gayi. Player ke chithade udhar he zameen per aas-paas bikhar ker gir gaye the aur sab wo drishya daikh ker aur bhi bhaybheet ho gaye.
Ye sab kuch unse kuch dur he khada Aarav dhayan se daikh raha tha. Usne Caroline ki telepathy se bhi kisi ko baat na karne ka ishara ker diya tha. Uski baat maan ker sabhi khamoshi se sirf daikh he rahe the.
Tinkerbell (Exhale): [Fuuu ~ Finally, Temporary Dual cognition ability card mil he gaya hai! Purchase ker rahi hu]
Tinkerbell ne kaha to Aarav se he tha. Lekin usne uski baat ko bilkul he ansuna ker diya. Tinkerbell ne bhi bina samay barbad kiye card purchase ker liya.
[Ability Name: Dual Cognition]
[Cost: 300 Bazaar Points]
[Duration: 3 Hours]
[Type: Mental/Special]
[Dual Cognition allows the user to process and maintain two distinct thoughts simultaneously. This unique ability enhances cognitive function, enabling the user to strategize, analyze, and react with unparalleled efficiency]
[You have successfully purchased the ability card: Dual Cognition for 300 Bazaar Points!]
[You have activated the ability: Dual cognition! You can now think of two things simultaneously for the next 3 hours. Maximize your cognitive potential!]
Aarav ne Tinkerbell ke card purchase karte he usko Use ker liya. Aarav ab ek saath 2 thoughts maintain ker sakta tha. Ye karna bohat mushkil to tha. Lekin Aarav ke intelligence stats se uske liye ye handle karna utna mushkil nahi tha.
Aarav ne uske ek thought se uske dusre thought ko cover ker liya. Ek concious se Aarav abhi bhi game ko he daikh raha tha. Lekin ab dusre se wo strategy bana raha tha.
[Check]
[The player's level is lower than yours. You can now view the player's stats and abilities]
[Due to C.O.D. rules, Level Insight cannot reveal player's name or identity]
[Abilities]
[Mind Whisper]
[Inferno Piercer]
[Aether Glide]
[Dread Presence]
[Stabilizer]
Aarav: [Mind Whisper?]
[Ability Name: Mind Whisper]
[Type: Passive]
[This ability allows the user to continuously perceive the surface thoughts and emotions of nearby individuals. The user can "hear" what others are actively thinking, as if the thoughts are spoken aloud. It also provides an intuitive understanding of their emotional state]
[Range: A radius of 70 meters around the user]
[Limitations: Only surface-level thoughts are accessible; deeply buried memories or complex plans require prolonged exposure or specific effort
If multiple people are within range, the thoughts can become overwhelming, leading to confusion or mental fatigue.
The ability cannot be turned off, so the user must learn to mentally filter unnecessary information]
[Special Perk: Over time, the user develops an enhanced sensitivity to subtle thought patterns, making it easier to detect lies or intentions]
[Drawbacks: Constant exposure to others' thoughts may affect the user’s own mental stability]
Aarav (Smirk): [Laga he tha ke iske paas kisi tarha ki mind Reading ability hai...!]
Aarav ne 1-2 questions ke baad he ye andaza laga liya tha aur uski team ko telepathy se bhi baat karne se rok diya tha aur khud bhi dual cognition ke card ko purchase karna tak kuch bhi nahi kiya tha.
Tinkerbell: [Lekin ab kya kare master? Uske questions to kaise bhi ho sakte hai. Usne agar kuch aisa puch liya to?]
Aarav: [Hmm ~ Uske liye bhi ek strategy hai mere paas! Ab tumhe ye Yoo-Jung aur Caroline ko batani ho gi ab suno --------]
****
AkaiShiro Corporation
Tokyo ~ 12:56 PM
“Ye Red Bar kya hai?”
Tsubame ne panel ke side per ek nayi ayi Red bar ko daikha to usne puch liya. Uski baat ko sun ker Aakash ne bhi Red bar ki taraf daikha to uske chehre per ab halki si chinta dikhayi dene lagi.
Aakash: Ye difficulty bar hai! Viewers C.O.D ki difficulty ko aur bhi badhane ke liye paise de rahe hai. Ab sab kuch aur bhi mushkil hone wala hai.
Tsubame: What? Ye kam difficult tha kya? Ye jaise badh rahi hai mujhe to lag raha hai ke ye kisi ko bhi second stage se he aage nahi badhne de gye.
Aakash (Sigh): Huh, Sab chahate bhi ye he hai! Ye sab viewers yanha players ko struggle karte huwe marte daikhne ke liye he baithe hai.
Aakash ki baat sun ker ab Tsubame aur Daisuke ko bhi unki chinta hone lagi thi. Lekin Aakash ab bhi utna pareshan nahi lag raha tha. Uske chehre per abhi bhi ek confidence tha.
Tsubame: Aakash...Aarav aur tum ne kuch kiya hai kya?
Aakash ke chehre ke expressions ko daikh ker Tsubame ko shak hone laga. Uske saval per Aakash ne sirf uski taraf muskurate huwe daikh liya.
Tsubame: Dono he ek number ke pagal ho...!
****
Carnival of Death
Dungeon ~ Stage 1 Floor 1
*Bang*
Ek aur Player Aarav ke paas he gir gaya aur uske muh se khoon nikalne laga. Lekin Aarav uski help karne ke liye aage bhi nahi badha aur udhar he khada raha.
Game Master: Huh?
Game Master uske next target ko dhoond he raha tha ke wo ekdum se ruk gaya. Aisa lag raha tha ke wo kisi ki baat sun raha hai to Aarav bhi samajh gaya ke usko naye orders aye hai. Uske chehre ki muskurahat ekdum se aur bhi gehri hone lagi.
Game Master: Hey, Hey, Hey...Lagta hai ab tum sab ka bura samay shuru ho gaya hai...! Ab 2 logon ko jhoot kehne ki zaroorat nahi hai. Kisi ek ne bhi agar sach nahi kaha to puri ki puri team ko maar diya jaye ga.
“Ye kya baat huwi?”
“Aise beech mein rules kaise badal sakte ho?”
“Main ne iske liye haan nahi ki thi...!”
“Ye to cheating hai”
“Ye galat ker rahe ho”
“Mujhe ye game aur nahi khel-”
*Click*
*Bang*
Game Master ke kehte he sab player ek saath he bolne lage. Unko ab aur bhi dar lag raha tha. Lekin Game Master ki ek bullet fire karne per he sab ke sab chup ker gaye. Unka mann to usko maar dene ka ker raha tha. Lekin rules ke kaaran wo kuch bhi nahi ker sakte the.
Game Master (Grin): Life is unfair...! Let's start again...!
Game Master ek baar dobara uske next target ko dhoodhne laga. Uski nazar unki taraf hote he sab ke sab ki saanse ruk rahi thi.
Game Master (Grin): Hey, Hey, Hey...Yanha per kon hai hamare paas? This one... was invited through the Marked Invitation...! Lagta hai kisi ne to tumhe bulane ki bhari keemat di hai. Ab paisa diya hai to unko entertainment bhi to dena ho ga na?
Game Master kehte huwe udhar Kunle ke paas aa gaya. Lekin ab Kunle per aur bhi pressure mein aa gaya tha. Uske sirf ek galat javab se udhar ab sab ke sab mar sakte the.
Kunle: *Gulp*
Game Master: Now, If I gave you the chance to save your team by letting me kill a family member, would you? Who would it be? Remember ke hum usko 3rd stage tak ka free pass de gaye...!
Game Master ab tak dur se Kunle ke mann mein chal rahe thoughts ko read ker raha tha. Usne ye question uske liye kab se chhun liya tha.
Game Master (Grin): Bullseye...!
Kunle ke expressions daikh ker Game Master ko bhi pata lag raha tha ke usne bilkul sahi saval chunna hai.
Kunle: [Aa--- ko...! Lekin main usko bachane ke liye kisko marne dunga?....Black ---]
[Ability (Mnemosyne's Gaze) Activated]
[Editing memories…]
****
44 Minutes Ago....,
Abhi bhi sab unke saamne gir rahi laashon ki taraf he daikh rahe the. Lekin ab unhen samajh nahi aa rahi thi ke wo kaise stage clear kare gaye. Kyu ke ab tak sirf 3-4 teams he unke saamne stage ko clear ker saki thi.
Kunle ne Aarav ki taraf daikha to wo ab bhi bilkul shaant khada huwa tha. Usko becky aur Caroline ke chehre per bhi dar dikhayi diya. Lekin Yoo-Jung bhi Aarav ki tarha he shaant khadi huwi thi.
“Guys, Aarav keh raha hai ke questions ke time per sab ko unka mind blank rakhna hai...! Uske liye kuch bhi blank soch sakte ho, Black ya white board ya shadows ya darkness kise ke baare mein bhi soch sakte ho. Sirf Question ke baare mein nahi sochna hai aur Aarav ko mind mein enter karne dena hai”
Kunle: Huh, Bachi?
Ek bachi ki awaaz ko achanak ze sun ker Kunle bhi chaunk gaya. Lekin usne Aarav ki taraf daikha to Aarav dheeme se Nod ker raha tha. Ye uska signal tha ke ye usne he message bheja hai.
****
Kunle (Exhale): Fuuuu ~ No one! I’d never let you hurt my family...!
Game Master: Huh, Lekin tum tumhari team mein se kisi ko bacha sakte ho ...!
Kunle: Lekin meri team itni weak nahi hai ke mujhe akele ko unhe bachana ho ga...!
Aarav uski second consciousness ki help se uski Mnemosyne's Gaze ability ko active ker ke Kunle ke thoughts ko manipulate ker raha tha. Usko bhi ab samajh nahi aa rahi thi ke wo kya keh raha hai.
Game Master ko bhi uske mann mein kisi bhi tarha ki shanka nahi mil rahi thi. Ye daikh ker wo thoda hairan to huwa tha. Lekin Rules ke kaaran wo ah kuch bhi nahi ker sakta tha.
Game Master (Grin): Selfish, Nice...!
Game Master Kunle se aage badh gaya aur ab ki baar uske saamne Yoo-Jung thi. Game Master ne usko saamne daikha to uski muskan choti ho gayi kyu ke usko ab tak Yoo-Jung ke thoughts se bilkul bhi kuch nahi mila tha.
Yoo-Jung uske thoughts ko khud bhi bohat ache se control ker rahi thi. Udhar khade sab players mein se Game Master ko Yoo-Jung he sab se buri lag rahi thi.
Game Master: What’s the worst thing you’ve ever done to someone who trusted you?
[Ability (Mnemosyne's Gaze) Activated]
[Editing memories…]
[Failed]
Yoo-Jung: She died because of me...!
Aarav uski ability ko Use ker sakta usse pehle he Yoo-Jung ne jabab de diya. Aarav bhi uski harkat ko daikh ker hairan reh gaya.
Game Master (Grin): Ah, there it is. The truth behind your facade...! You could’ve saved her, but you didn’t. How does that guilt taste, I wonder!?
Yoo-Jung: I couldn’t do anything... I tried, but I was too weak! But i will have my revenge...!
Yoo-Jung ki baat sun ker Game Master bhi ek pal ke liye khamosh ho gaya. Usne bhi Yoo-Jung ko aur kuch bhi nahi kaha aur aage badh gaya. Aarav ab bhi Yoo-Jung ki taraf he daikh raha tha.
Lekin ab uske chehre per ek muskurahat thi.
Tinkerbell : [Ye ladki kya he hai?]
Aarav (Smile): [Her mother's warrior]
“Hey, Hey, Hey”
Ab ki baar Game Master aage badh ker Caroline ke paas chala gaya. Aarav aur Becky dono he peeche khade the. Aarav kyu ki usko uski 2 abilities ko ek saath Use karna tha aur Becky kyu ke Becky ko Aarav per baakiyo ki tarha vishwas nahi tha.
Lekin Caroline ke saamne ane per Game Master ke chehre per ayi muskurahat ko daikh ker sab he dar gaye the. Yoo-Jung ke saamne mili huwi haar ke baad bhi Game Master muskura raha tha.
Game Master (Laughing): Hey, Hey, Hey....Do you think you're a good person? Do you truly believe that after everything you’ve done, you deserve to survive?
Game Master ke saval ko sun ker Caroline ke bhi raungte khade ho gaye. Uski bigad rahi halat ko Aarav bhi mehsoos ker sakta tha. Aarav uski ability ko active ker raha tha. Lekin Dual cognitive mein ab usko kuch seconds chahiye hote the.
Game Master: You’ve killed, you’ve lied, you’ve betrayed...! But you still want to live. Why? Because you think you deserve it? Admit it. You’re no different from the murderers.
Game Master ki baaton ko sun ker Caroline ki bhi aankhon se aansu chhalak pade. Lekin usne khud ko control mein rakha kyu ke wo bhi ek mind reader thi to uska mind bhi strong tha. Lekin ab wo apni limits per thi.
[Ability (Mnemosyne's Gaze) Activated]
[Editing memories…]
“Caroline, Kabhi main ne tum se shayad ye kaha nahi hai! Lekin mujhe Hamesha se he tum per fakhar raha hai...Main ne jitna socha tha tum mere liye usse zyada ban ker saamne ayi ho... Haan, Ab main utni achi behan nahi ban saki. Lekin hamesha khush thi ke tum mere behan ho”
Caroline (Smile): Haan, Mujhe zinda rehna he ho ga...! Ye sirf mere liye nahi sab ke liye hai....!
Game Master: Huh?
Caroline ki muskurahat aur khushi ko daikh ker Game Master ke paas bhi ab kehne ke liye kuch bhi baaki nahi tha. Aarav ne sahi samay per Caroline ki memories mein ek moment ko add ker diya tha.
Game Master (Sigh): Good Work...!
[Stage Cleared!]
[You’ve made it through. Prepare for the next stage]
Ab Game Master unke paas se aage badh ker next target ko dhoond raha tha.
“Oi”
Game Master: Huh?
*Tuck*
*Tuck*
*Tuck*
Game Master ke peeche se ayi awaaz ne uske aage badhate kadmon ko rok diya. Usko uske peeche se kisi ke uske paas ate huwe kadmon ki awaaz sunayi de rahi thi.
Game Master peeche ghoom gaya. Usne saamne daikha to uske bilkul saamne he Aarav khada huwa tha. Aarav ko daikh ker wo bhi chaunk gaya.
Game Master: Huh?
Aarav (Smile): Let's play a game...!
.
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye 4.2K+ Words ka update tha. Ek extra update Thursday night ko dusre thread per aye ga aur next update 6-7K words ka ho ga. Umeed karta hu ke ap ko ye update bhi pasand aya ho ga target hamara wohi hai 130 Likes ke liye. Ab milte hai agle update per aur tab tak ke liye, Sayonara!!!]