- 1,848
- 19,673
- 144
Schedule |
---|
UPDATE# | DATE |
---|---|
2nd February 11:30 PM | |
6th February 11:30 PM | |
11th February 11:30 PM | |
20th February 11:30 PM | |
Update 110 | 23rd February 11:30 PM |
Last edited:
Schedule |
---|
UPDATE# | DATE |
---|---|
2nd February 11:30 PM | |
6th February 11:30 PM | |
11th February 11:30 PM | |
20th February 11:30 PM | |
Update 110 | 23rd February 11:30 PM |
Astonishing update dear broUPDATE 109 ~
(GENIUS)
****
Carnival of Death
Dungeon ~ Stage 3
[You have correctly identified the game]
[Stage 3 Challenge: Human Chess]
[Objective: Kill the Black Team’s King within the given time]
[You cannot move after reaching your designated position]
[Making a move that does not follow your piece’s movement rules will result in instant elimination]
[Failure to kill the enemy King before time runs out will result in elimination]
[Protect your King at all costs]
[White Team moves first]
[Pieces will be immobilized during the opponent’s turn]
“E7... D7... C7...”
Aarav ek ke baad ek darwaze ko kholte huwe aage badh raha tha. Yoo-Jung ne usko kuch daikhne ke liye bheja tha aur wo khud baaki sab ko le ker kanhi aur chale gayi thi.
Tinkerbell: [Human Chess... Lekin ap ko ye kaise pata nahi laga?]
Aarav: [Because I’ve never played chess in my life...! Not even once]
Tinkerbell: What... Seriously? Lekin ye to ek normal game hai na? Uske baad bhi?]
Aarav (Sigh): [Huh... Lekin mera childhood normal nahi tha! Mere paas chess ya kisi bhi aur game per dhayan dene ka samay nahi tha... I know the pieces and stuff, but I’ve never actually played a full game]
Aarav ki baat sun ker Tinkerbell ko bhi ye zyada surprising nahi laga ke Aarav stage ko pehchan nahi saka kyu ke usne kabhi chess kheli he nahi thi to usko chess ka khayal tak nahi aya tha.
Tinkerbell: [So even geniuses have their limits, huh?]
Aarav (Nod): [Haan, Lekin tum mujhe waise bhi ek genius nahi keh sakti...!]
Tinkerbell: [Ab tumhe genius nahi kahu to aur kisko kahu gi? Ab tak tumhe main ne haarte huwe daikha bhi nahi hai]
Aarav (Sigh): [Main clearly ek fool nahi hu And I’m definitely smarter than most people! Main infinity prison ke andar ek lambe samay tak raha hu... it changed me. My battle instincts got sharper, my survival sense is better than ever. Lekin agar tum meri powers mujhse cheen lo to... I’m just an above-average smart guy]
Aarav ki baat ka matlab Tinkerbell bhi samajh rahi thi. Aarav ke plans bilkul flawless nahi hote the aur unke andar bohat se loopholes bhi hote the. Lekin uski strength loopholes ko cover ker leti thi.
Tinkerbell: [Aur Yoo-Jung?]
Aarav (Nod): [Yoo-Jung ko hum genius keh sakte hai! Uski observation skills shuruaat se he extra ordinary lagi hai mujhe... Lekin Yoo-Jung bhi puri tarha se unbreakable genius nahi hai]
Tinkerbell: [Lekin phir asli genius hum kis ko keh sakte hai?]
Aarav: [Aakash Sayani...!]
Aakash ka naam sunte he Tinkerbell ke mann se bhi sab doubts khatam ho gye. Aakash ke brain ko Tinkerbell ne bhi experience kiya tha. Uske saamne Aarav bhi kabhi calm nahi reh saka aur uski har baat ko Aarav bhi serious leta tha.
Ab tak Tinkerbell ne Aarav ko kisi ke saamne bhi aise nahi daikha tha jaise wo Aakash ke saamne hota tha. Aarav ko bhi pata tha ke Aakash uski taraf hai aur Aarav ko uske upar puri tarha se ab vishwas bhi tha.
Lekin Aarav ke vishwas ka kaaran sirf Aakash aur uska relation nahi tha. Aarav usko kabhi opponent ke roop mein daikhna bhi nahi chahata tha to usne Aakash per puri tarha se vishwas karne ka nirnay le liya huwa tha.
Aarav: [Yoo-Jung... Main B7 ke andar hu]
Aarav ne B7 room ke darwaze ko kholte huwe he telepathically Yoo-Jung ko bata diya. Aarav udhar se he sab rooms ko check karte huwe aa raha tha. Lekin usko raaste mein aur kuch bhi dikhayi nahi diya tha.
Yoo-Jung: [Ab B6 mein daikho ke wanha per piece hai kya?]
Aarav: [Alright...!]
Yoo-Jung ke kehte he Aarav ab neeche ke room ki taraf chal diya. Uske darwaze per B6 likha huwa tha.
*Click*
*Grooowwwrrrr*
Aarav jaise he B6 room ke andar gaya to uske aage ek aur giant castle khada huwa tha. Aarav ke andar ate he usne dobara patthar phainkane shuru ker diye.
[Flash Steps]
*Woooosh*
*Ka-booooom*
Aarav bina samay barbad kiye flash steps se aage badha aur giant castle ko todte huwe uske andar se baahir nikal gaya. Uske peeche giant castle tukaron mein toot ker bikhar gaya tha.
[invalid move!]
[The fallen piece is reforming…]
[The Black Rook has reformed!]
[The Black Rook has returned to play!]
[The board rejects your move… the piece is reset!]
Aarav ne peeche ghoom ker daikha to uske peeche giant castle dobara khada huwa tha.
Aarav (Sigh): Huh... Kitna easy hota agar main sirf isko aise he khatam ker sakta...!
Aarav: [Yoo-Jung, B6 per bhi ek Rook hai! Ab kya karna hai?]
Yoo-Jung: [Bingo... Main ne sab ko unki positions per bhej diya hai! Ab tum udhar se seedhe B1 per chale jao. Raaste mein aur koi piece nahi ho ga to tumhe rukne ki zaroorat nahi hai]
Aarav (Nod): [Good...!]
[Flash Steps]
*Woooosh*
*Click*
*Woooosh*
*Click*
Aarav bhaagte huwe ek room se dusre room mein jata raha. Usne ek baar bhi ruk ker Yoo-Jung ko question ker ke time waste nahi kiya.
[Time Remaining: 04:50]
Caroline: [Lekin Yoo-Jung, tumhe sab ki positions ke baare mein kaise pata hai?]
Yoo-Jung: [Ek baar sab apni apni kalaiyon ki taraf daikho...!]
Yoo-Jung ki baat sun ker sab he unki kalaiyon ko daikhne lage. Un sabhi ki kalaiyon ke upar Letter likhe huwe the. Aarav ne uski kalayi ko daikha to udhar “K” likha huwa tha
Uske saath baakiyo ke bhi aise he Becky ke “R” Aur Caroline ke “B” Aur Kunle ke “P” Aur sab se last mein Yoo-Jung ki kalayi mein “Q” Likha huwa tha.
Yoo-Jung: [Ye letter chess mein notation ke liye hote hai! King ke liye K bishop ke liye B queen ke liye Q rook ke liye R aur pawn ke liye P letter hota hai...!]
Yoo-Jung ki baat sun ker un sab ko pata lag gaya ke unko konsa chess piece banaya gaya tha.
Yoo-Jung: [Lobby ke andar 2nd room ke andar ek unfinished chess game thi! White pieces ke 12 minutes aur 22 seconds remaining the same time jo hamay stage ke liye diya gaya hai. Uske according hum abhi wo he game khel rahe hai]
[Current Board Position Identified]
[White Team:
King (Corpse) → B1
Queen (Luna) → G1
Rook (Iron Wall) → E1
Bishop (Vengeance) → B2
Pawn (Protector) → H6
[Black Team:
King → H8
Knight → F6
Rook → E8
Rook → B5
Pawn → H7]
Tinkerbell: [What the fuck!? Usko sab pieces ki puri position tak yaad thi?]
Aarav: [Jaise ke main ne tum se kaha tha *Grin* Unrealistic observation skill...!]
Ab Tinkerbell ko Aarav ki baat ka matlab samajh aa raha tha. Yoo-Jung har samay shaant rehti thi per wo sab kuch daikh rahi hoti thi.
*Click*
“Huh... Corpse?”
Aarav B2 room mein gaya to udhar usko pehle se he Caroline khadi huwi dikh gayi. Uski ye position thi Aarav se next room ke andar. Lekin Aarav ne uski taraf daikha to usko Caroline ke chehre per dar dikhayi diya.
Aarav usko samajh sakta tha. Caroline ke paas sab attack skills aur abilities ranked thi aur ab usko sab se alag akele act karna tha. Aarav ne Caroline ki taraf daikhte huwe subspace pouch se uske liye ek sword nikal ker usko de di.
Aarav: Main tumhare paas he hu! Yanha nervous hone ka matlab maut ho gi... Kuch bhi ho jaye per hum sab ko apna apna role pura karna ho ga. Okay?
Aarav ne sword Caroline ke haath mein dete huwe uski aankhon mein daikhte huwe kaha. Caroline ne uski taraf daikha aur haan mein sar hila diya. Usko calm karne ke baad Aarav uski position per chala gaya.
[All pieces have taken their positions]
[The board is set]
[The unfinished game resumes]
[White’s turn begins]
[Time Remaining: 02:56]
****
Mohan Arora's Room
France ~ 3:31 PM
Mohan uske kamre ke andar chair per baitha huwa tha. Uski chair ke saath he rakhi ek aur chair per Ankush bhi baitha huwa tha. Mohan aur Ankush baithe coffee pee rahe the.
Lekin Mohan ki nazre Ankush usko kisi khanjar ki tatha uske upar mehsoos ho rahi thi. Uske bhi pasine chhut rahe the. Lekin wo khud ko calm dikhane ki koshish ker raha tha.
Ankush: D-Dad... Ap ne kuch kehne ke liye bulaya tha?
Ankush ne jhijhakte huwe baat ki shuruaat ki aur khud he khamosh ho ker baith gaya aur coffee cup ki taraf daikhte huwe Mohan ke kuch kehne ka intezar karne laga.
Mohan: Hmm ~ Ek he baat puchni hai, Aur kab tak?
Ankush: Aur kab tak!?
Mohan: Aur kab tak tum mujhe nirash karne wale ho? Kyu ker rahe ho tum mere saath ye sab? Aakhir kya he maanga hai main ne tum se. Ek shaktishali vaaris, Kya wo bhi nahi de sakte tum mujhe?
Ankush (Sigh): Dad... Main ap ke liye kuch bhi ker sakta hu! Lekin ye ek cheez he main nahi ker sakta... Please!
Mohan: Lekin kyu? Aakhiri baar kaaran puch raha hu! Uske baad mera nirnay sunau ga.
Mohan ki awaaz mein aur bhi kathorata aa gayi thi aur uski baat sun ker Ankush ko bhi ab lag nahi raha tha ke Mohan ab uske excuses se aur satisfy hone wala hai.
Ankush (Sigh): Huh... Kyu ke agar ap ko agar sirf ek vaaris chahiye hota to main taiyar tha! Lekin ap ko ek hathiyar chahiye hai aur uske liye ap kya kuch ker sakte ho uska mujhe ache se andaza hai...!
Ankush ne ek gehri saans le ker sab kuch Mohan se keh diya. Uske andar ka pura gubbar Ankush ne Mohan ke saamne nikal diya tha. Uski baat sun ker Mohan usko aankhe khole daikhta he reh gaya.
Usne kabhi Ankush se ye kaha to nahi tha. Lekin ye sach tha ke uske plans aise he the. Mohan sirf ek vaaris nahi ek shaktishali vaaris chahta tha aur phir usko uske liye kuch bhi kyu na pad jata wo karne ko taiyar tha.
Mohan: Lekin usmein galat kya hai? Tumhe bhi to main ne aise he taiyar kiya tha. Duniya ke saath chalne ke liye ye karna zaroori hota hai warna duniya tumh-
*Thud*
Ankush: Galat? Ismein sahi kya? Ap ke liye main har din mehnat karta tha! Lekin main class mein top karta tha to ap mujhe dusri class se ke bacho se compare karte the. School mein top karta tha to ap kisi aur school ke bache se compare karte the aur jab un sab se aage badhta tha to ap mujhe kisi aur bade genius se compare karne lagte the... Sach to ye hai ke ap kabhi satisfy hona he nahi chahate the... Comparing your kid to others, pushing them to fight everyone, and making their life hell for it?
Mohan ke baat karte huwe beech mein he Ankush ne coffee cup ko zor se table per rakhte huwe unchi awaaz mein kehna shuru ker diya. Uske chehre per uski frustration saaf dikhayi de rahi thi.
Ankush (sighs): It took me 22 years to break free from your “Everyone’s out to get you” mindset! Wo mere liye kisi torture se kam nahi tha... I felt like an empty shell…!
Mohan: *Glare*
Ankush (Smile): Lekin phir Varsha ke pyaar ne mujhe badal diya! Usne mujhe bataya ke koi mera dushman nahi hai.... No one is. I don’t have to fight them. I... I can help them instead...! Beatrice ke chehre ke dar ke saye mein doobe chehre per muskurahat la ker mujhe ehsaas huwa ke mujhe dusro se badhiya nahi better hone ki zaroorat hai... Mujhe logo ko kuchalne ki nahi bachane ki zaroorat hai...!
Ankush ke chehre per to muskurahat thi. Lekin uski muskurahat ko daikh ker Mohan bilkul bhi khush nahi tha.
Mohan (Frustrated): Ye sab ka sab dhong hai! Usko sirf ek sahare ki zaroorat thi aur usne tumhara Use kiya hai uske liye. Uski research ko fund karne ke liye uske pati ko dhokha dene ke liye uske bacho ko Arora khandan ka hissa banane ke liye... Lekin tum ho ke pagalon ki tarha uske deewane bante ja rahe ho?
Ankush: Varsha swarthi hai to wo mujhe swarthi he sveekar hai! Ap se bhi main ye he chahu ga ke ap bhi Urvi aur Suhani ko he apna parivar maan lo...!
Mohan: Unko tum apna parivar keh sakte ho! Lekin wo kabhi Arora parivar mein shamil nahi ho gye.
Ankush: *Sigh*
Mohan: Abhi tum samajh nahi rahe ho! Ye duniya lagatar badal rahi hai. Player, Monster, Qi clans aur aage kis ko pata ke kya ho ga? Un sab ke beech mein sirf Arora khandan ko ek itihas ban ker nahi rehne de sakta. Hum pehle bhi shaktishali the aur aage bhi rahe gye aur hamara naam sab ko yaad rahe ga uske liye chahe mujhe kuch bhi kyu na karna per jaye....!
Ankush: Dad, Main ap ko ek baar he vishwas karne ke liye kehta hu! Main kabhi Arora family ka naam kisi ko bhoolne nahi dunga. Hum hamare power ke liye nahi... Hamare ache karmon ke liye yaad kiye jaye gye.
Ankush aur Mohan dono he unke nirnay se hat nahi rahe the. Lekin ab Ankush thoda darne laga tha kyu ke Mohan ab khamoshi se usko daikh raha tha.
Mohan (Sigh): Ab main tumhe last chance de raha hu! Tum meri baat maan rahe ho ya nahi?
Ankush: Ap kitna bhi chahe utna intezar ker sakte hai! Lekin maaf karna, Ap ko har baar nirasha he ho gi...!
Ankush kehte huwe khada ho gaya aur jaane ke liye taiyar ho gaya. Usne Mohan ki taraf daikha to jaise usse jaane ki permission maang raha ho. Mohan ne uski taraf daikhte huwe Nod ker ke usko jaane diya.
Mohan ke ishara karte he Ankush udhar se nikal gaya. Uske baahir jaane tak Mohan usko jaate huwe daikhta raha aur Ankush ke baahir jaate he Mohan ki secretary andar aa gayi aur Mohan ke paas aa ker khadi ho gayi.
****
Carnival of Death
Dungeon ~ Stage 3
[Time Remaining: 02:18]
”We have a winning move here!?”
Caroline ne ek baar ache se board ke setup ko daikha to uske muh se khud he nikal aya. Uski baat sun ker Aarav bhi uske upar dhayan dene laga.
Aarav: [Winning Move?]
Caroline (Nod): [Haan... Becky E1 se black ke E8 per positioned Rook ko capture ker sakti hai...! And that puts their King in checkmate]
Aarav: [How? What’s stopping him from running?]
Caroline: [Black king ke paas kya options hai? H7 ko black ka pawn he block ker raha hai! Uske paas sirf G8 ya G7 ka he option hai. Lekin G8 aur G7 dono ko he Queen(Yoo-Jung) cover ker rahi hai to ye checkmate ho ga...!]
Aarav: [Yoo-Jung, that means the game ends here.... Right?]
Aarav ne ek baar confirm karne ke liye Yoo-Jung se pucha. Lekin Yoo-Jung ab tak bilkul khamosh khadi huwi thi. Aarav ko Caroline ki explanation theek to lag rahi thi. Lekin usko Yoo-Jung ki khamoshi khal bhi rahi thi.
Yoo-Jung: [Yes... It should]
Yoo-Jung ne bhi move ko confirm ker diya. Lekin ab Aarav ko bhi ye theek nahi lag raha tha.
Becky: [Alright, so I just move to E8, take the Black Rook, and that’s checkmate?]
Aarav: [I don't know, Lekin ye bhi carnival ki he ek stage hai...! Lekin ye stage aise ek move se end ho rahi hai? it’s too easy. Almost like it was… set up for us to take...!]
Aarav ki baat sun ker sab soch mein per gye. Unhe bhi Aarav ki baat ab sahi lag rahi thi.
Yoo-Jung: [Exactly, I don’t know.... But something about this feels wrong! Jaise hum kuch bohat he important point miss ker rahe hai]
Aarav (Nod): [Yoo-Jung, do you think we shouldn’t make the move?]
Yoo-Jung: [Lekin hamare paas aur koi safe option hai bhi kanha? If we do anything else, the rook on b6 will take out the bishop(Caroline). If we move the bishop, our king(Aarav) will be exposed]
Yoo-Jung ki baat bhi sahi thi. Unka ek galat move bhi unke teammate ki maut ka kaaran ban sakta tha. Unke paas zyada time bhi nahi bacha tha.
[Time Remaining: 01:22]
Becky: [We don’t have a choice... Right? Then I’m doing it. Main Caroline ko khatre mein nahi daal sakti]
Yoo-Jung (Nod): [Alright ~]
Yoo-Jung ke saath he baaki sab ne bhi E1 se E8 ke move ko confirm ker diya.
[Move Confirmed]
[Iron Wall (Rook) → E8]
*Rumble ~*
*Crash*
*BANG*
Becky ke saamne move confirmation notification aa gye aur uske saath uske saamne ke sab room hilne shuru ho gye. Aisa lag raha tha jaise koi uske liye raasta bana raha tha. Uske saamne ki sabhi deeware ek saath toot gayi aur E8 tak uske liye direct raasta ban gaya.
Becky: [Alright ~]
*Tuck ~ Tuck*
*Thud ~ Tuck*
[Ability (Titan's Wrath) Activated]
Becky ne uski shield ko pakda aur tezi se E8 per khade huwe giant castle ki taraf bhaagne lagi aur beech mein usne ability ko active ker liya. Uski shield Mana se enchant ho gayi aur Becky ke aas-paas energy ka aura ban gaya.
“Why does a game end when it’s game over? A game should be played till the very last move…!”
Yoo-Jung ko Game Master ke kahe huwe bol ek dum se yaad aa gye aur yaad ate he uski aankhe khauf aur hairani se khul gayi. Uske haath kaanpne shuru ho gye.
Yoo-Jung: [Becky... Stop ~]
*Woooosh*
*Ka-booooom*
[Black Rook Eliminated]
[Checkmate Declared]
Becky ne giant castle ke paas ate he jump liya aur shield ko uski chhati per maar diya. Giant castle ke beech mein attack se crack ane lage aur agle he pal giant castle udhar he bikhar gaya.
Becky (Panting): [Haah... Haah... Yoo-Jung, Kuch huwa hai kya?]
Yoo-Jung: [Becky, Tumhe abhi udhar se waapis ana ho ga...!]
Caroline: [Lekin ye checkmate ho gaya na? Ab darne ki kya baa-]
[Warning! The game is not over]
[Turn Switching…]
[Black’s Turn Begins]
Becky: Huh?
Ek saath sab ke chehre ka rang udd gaya aur sab unke saamne aye notification ko hairani se daikh rahe the. Checkmate ke baad bhi game khatam nahi ho rahi thi.
[Your objective: Kill the Black Team’s King within the given time]
Unhe black ke king ko checkmate nahi karna tha usko maarna tha. Lekin unki turn ke baad ab black side ki turn aa gayi thi.
[Black Knight → E8]
[Pieces will be immobilized during the opposing team’s turn]
*Rumble ~*
*Crash*
*BANG*
Becky ki aankhon mein khauf aur badh gaya jab usne uski body ko immobilized mehsoos kiya. Wo ek jagha per freeze ho gayi thi aur ab uske saamne ek baar dobara deeware toot rahi thi aur raasta ban raha tha. Lekin ab ki baar ye uske liye nahi uski taraf ban raha tha.
*Tuck*
*Tuck*
*Tuck*
Becky ne uske saamne daikha to uske saamne se black ka knight chalte huwe aa raha tha. Becky ka pura shareer kaanpne laga uski aankhon ke saamne uski maut thi.
Caroline (Shout): Beckyyyy.... Run...!
Caroline chillane lagi. Lekin Becky ke saath abhi wo sab bhi immobilized ho gye the. Unse bhi hila nahi ja raha tha. Aarav bhi koshish ker raha tha per wo game ke andar uski strength se bhi kuch bhi nahi ker sakta tha.
Black knight becky ke bilkul saamne aa ker khada ho gaya. Usko daikh ker Becky ki dar se halat to kharab ho rahi thi. Lekin agle he pal kuch soch ker wo shaant hone lagi.
Becky: [Yoo-Jung, Ab black king ke liye hamara raasta khul gaya hai na?]
Becky ne Yoo-Jung se saval kiya to sab ruk gye aur hairani se uski baat ko sun'nne lage.
Yoo-Jung (Nod): [Haan... Ab next move mein black ke king ko maar sakte hai...!]
Becky (Smile): [I see... Ms. Caroline... Ap ek bohat achi boss thi... Mujhe maaf karna... Main ab ap ko aur Protect nahi ker saku gi...!]
Becky muskurate huwe Knight ko uski sword uthate huwe daikhne lagi.
Caroline (Tearful): [Beckyyyy....! Please, Don't...!]
*Slash*
[Iron Wall (White Rook) Eliminated]
****
Level Up Tower
Player Association ~ 3:26 AM
[Iron Wall (White Rook) Eliminated]
*Bam*
“Dammit...”
Michael ne desk ke peeche baithe huwe uske haath ki mutthi bheench li aur desk per maar di. Michael ke chehre per gussa aur gilani dono bhav dikhayi de rahe the.
*Crack*
Michael ka desk ek high ranked wood se bana tha per usmein bhi ek crack aa gaya. Uske saamne he system window open thi aur uske andar carnival ki stream chal rahi thi.
Lekin stream ke andar ka drishya Michael se bhi daikha nahi ja raha tha. Uske saamne Becky ki sar kati laash E8 ke floor per giri huwi thi aur uske paas he black knight khada huwa tha.
Michael kuch der ke liye udhar he shaanti se baitha raha aur lambi lambi saanse lene laga. Uske baad Michael ne uske kaanpte haatho se holographic window ko haath se band ker diya.
*Beep*
Michael: Gerald. In my office... Now!!
Michael ne desk ke side per he bane ek button ko press karte huwe keh diya. Uske kuch seconds ke baad he Gerald bhaagte huwe Michael ke office ke andar aa gaya.
Gerald: You called, sir?
Gerald ne andar ate he kaha. Lekin uske andar ane per bhi Michael ne uska sar nahi uthaya aur udhar waise he baitha raha.
Michael: Contact Captain Becky’s parents! Inform them… *Hesitate* Tell them she died while performing her duty.
Michael ki request sun ker Gerald ki bhi aankhen khul gayi. Usse Michael ki baat per vishwas nahi ho raha tha. Lekin usne Michael aur desk ki halat ko daikha to uska shak khud he dur ho gaya.
Gerald (Nod): I-I’ll arrange a call...!
Gerald ne jhijhakte huwe Nod kar ke keh diya.
Michael: No... Cancel the call! I’ll tell them myself.
Gerald: Sir, is that necessary? Abhi Ms. Caroline ki absence mein association ko ap ki zyada zaroorat hai... I can deliver the message on your behalf.
Michael: Nahi, Becky ke parents ek phone call se zyada deserve karte hai! She deserved better. Make the arrangements... I want to meet them ASAP. Personally...!
Gerald: Understood. I’ll set the schedule!
Gerald kehte huwe udhar se chala gaya. Uske jaane ke baad Michael kuch der udhar he shaanti se baitha raha. Usne khud ko calm kiya aur dobara se stream ko start ker diya aur aage daikhne laga.
Michael (Stunned): Caroline? Come on… not another one! Please.... Please... Ab main kisi aur ko marte nahi daikhna chahata.
****
Carnival of Death
Dungeon ~ Stage 3
[Time Remaining: 57 Seconds]
*Gasping*
“Caroline... Caroline... Move... Caroline...”
*Gasping*
“Haah... Haah... Beck.... Haah... Y.... Haah”
Ab white team ki turn thi to ab sab players dobara move ker sakte the. Lekin uske baad Caroline ab tak Becky ki maut ke shock se ubhar nahi saki thi aur uski jagha per freeze ho gayi thi.
Uske peeche usko sab bula rahe the. Lekin wo kisi ki bhi awaaz per react ya reply nahi ker rahi thi aur lambi lambi saanse bharte huwe udhar he khadi rahi.
Tinkerbell: [Ab hum kya kare? Jeetne ke liye isko aage badhna ho ga...!]
Ab kyu ke Black knight F6 se hat gaya tha to white bishop (Caroline) B2 ke liye Black king H8 tak ka raasta ban gaya tha. Lekin uske baad ab Caroline bilkul shocked ho ker sochne samajhne ki bhi kshamta kuch pal ke liye kho chuki thi.
Aarav (Sigh): [Huh, Merlin... Mujhe shuruaat se he usse achhi feeling nahi aa rahi thi...! Usne hamare saamne sab hints rakh diye the. Kyu ke yanha hamare paas aur koi raasta nahi tha...!]
Aarav ki team ko jeetne ke liye kam se kam unka ek teammate sacrifice karna he tha. Ye agar ek simple chess hoti to wo sab survive ker sakte the. Lekin abhi unka objective king ko maarna tha usko sirf checkmate karna nahi tha.
So, Becky had to die for the win. There was no other way.
Aarav: [Merlin last dono game masters se zyada dangerous hai! Lekin uski shaktiyon ke kaaran nahi uske calm aur sly nature ke kaaran. Merlin chahata to ek difficult game de sakta tha... Lekin usne hamay jeet ki umeed de ker todne ka nirnay liya]
Tinkerbell: [Lekin kaise?]
Aarav: [Assigned roles daikhe hai tum ne? Merlin ne last dono stages se Becky aur Caroline ki ek dusre ke prati loyalty aur respect ko daikhne ke baad he unhe ye position di hai... Janha ek ki maut ke baad dusri ko move karna tha]
Game master ne carnival ki shuraat se he uske sab target ko select karna shuru ker diya tha. Previous stages ke game masters ki tarha wo uski authority ke nashe mein andha nahi huwa tha aur uske brain ka use ker raha tha.
Aarav: [I have to admit, that was a clever move! Ab Caroline ek battle type nahi hai to uske liye king ko ek strike mein khatam karna possible nahi ho ga aur Becky ki death se usko kuch seconds mil gye hai Caroline ke shock ke kaaran aur ye hamare liye ant bhi ho sakta hai aur hum kuch ker bhi nahi sakte the]
Yoo-Jung: [Aarav...! Ab kya karne wale ho tum?]
Aarav abhi Tinkerbell se baat ker he raha tha ke usko Yoo-Jung ki awaaz sunayi di. Yoo-Jung Aarav se kuch karne ke liye nahi keh rahi thi. Usko already pura vishwas tha ke Aarav kuch ker raha hai.
Aarav (Sigh): [Main tumhari aur Aakash ki tarha ek born genius nahi hu... Lekin uska ye matlab nahi ke main kuch bhi nahi karne wala...! *Smile* Lekin ek cheez mere paas hai to wo hai meri Instinct aur meri overpowered prowess...!]
Yoo-Jung: [Aur tumhari instinct tumhe kya keh rahi thi?]
Aarav: [Ye he ke mujhe yanha kisi per bhi bharosa nahi karna chahiye aur khud kadam uthaane chahiye hai!.... Aur main ne wo uthaye bhi hai]
[Unique Ability (Soul Binding) Activated]
[You have successfully bound Caroline's soul]
[The target is weaker than you]
[You can now control her actions and move her as you wish]
Caroline: Ughhhh ~
Caroline ka ek haath achanak he khud se uske paas rakhi sword per chala gaya aur usne sword ko utha liya. Uske saath he Caroline bhi hosh mein aa gayi. Lekin khud ki body ko yun move karte daikh wo hairaan ho gayi.
Tinkerbell: [Huh, Ye tum ne kab kiy- Wait... Sword dete huwe tum ye ker rahe the kya?]
Tinkerbell ne jaise he ye ehsaas huwa wo khud he hairaan ho gayi. Aarav ne Caroline ko sword dete huwe uski soul ko bind ker diya tha. Kyu ke Aarav per Caroline ko vishwas tha to usne Aarav ko unintentionally he ye karne de diya tha.
[Time Remaining: 26 Seconds]
[Move Confirmed]
[Vengeance (Bishop) → H8]
*Rumble ~*
*Crash*
*BANG*
Caroline ke saamne bhi ek raasta seedhe black king tak ban gaya. Usko ab uske saamne dusri taraf H8 per Black King baitha dikhayi de raha tha aur uske peechd next stage ka locked portal dikhayi de raha tha.
Aarav: [Ye tumhare liye thoda mushkil ho ga! Lekin mere paas wale room hone ke kaaran main ye ker sakta hu... Lekin tumhe thoda bardasht karna ho ga]
Aarav ne Caroline se kaha to Caroline bhi hairan ho ker sochne lagi ke Aarav kya kehna chahata hai?
[Flash Steps]
Caroline: Huh? Aghhhhh...!
Caroline ki body thodi neeche huwe aur uske kadam khud he aage badh gye aur agle he pal wo havaon ke cheedte huwe bhaag rahi thi. Ye Aarav ki speed ke paas bhi nahi thi. Lekin Caroline ke jaise ek non-battle type player ke liye ye bhi bohat badi baat thi.
[Deathly Slash]
*Slashhh*
Black King ke paas pohanchte he Caroline ke haath ne khud sword uthayi aur king ko beech se kaatate huwe aage nikal gayi.
[Black King Eliminated]
[Stage Cleared!]
[Stage: Human Chess]
[Time Remaining: 13 seconds]
[White Team Victory!]
[The Black Team's King has been killed]
[The game has ended]
*Rumble ~*
*Crash*
*BANG*
*Bam*
*Ka-booooom*
Aarav (Shout): Lunaaaa ~
Stage ke clear hote he sab rooms ke beech ki sab deeware toot gayi. Ab sab pieces ek white room ke andar the. Aarav ne chillate huwe Yoo-Jung ka naam liya to sab uski taraf daikhne lage.
Yoo-Jung udhar already uske bow ko uthaya huwe arrow rakhe taiyar khadi huwi thi. Aarav ke kehte he usne ek ke baad ek arrow shoot karna shuru ker diya aur usne udhar black team ke baaki remaining pieces ko bhi maar diya.
Yoo-Jung: Let's Go ~
Yoo-Jung ke kehte he sab next stage ke portal ki taraf bhaagne lage aur seedhe portal ke andar chale gye.
[Stage Cleared!]
[You’ve made it through. Prepare for the next stage]
[Teleporting your team to Stage 4's Lobby...]
[Remaining players: 4]
.
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he. Ye Update 5K words ka tha aur iske saath he 3rd stage bhi puri hoti hai aur ab baari hai final stage ki. Umeed karta hu ke ap ko ye update bhi pasand aya ho ga aur pasand aya hai to like karo, Target hamara ab bhi wohi hai 130 likes ke liye. Ab milte hai agle update per aur tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Woh rule sirf Altheron City k liye tha... Read update 104 again.... Specifically the last part of it....Aarav ki team ka number odd tha, yeh to even ho gaya. Kya ek aur team member ko marna padega...
Ultimate update hai bhai maza aa gayaUPDATE 109 ~

Bhai main pichle 6 din se ap ki story ko parh raha hu aur main ne special ap ko review dene ke liye login keya hai aur ab tak ki kahani mujhe bohat achi lagi hai aur main sab per review dena chahta tha lekin likhne ke liye tha he bohat kuch to mujhe kuch samajh he nahi aya ke kis kis point ko likhu? To main current update per he review de raha hu. Ye pehla review hai to kuch galti ho to advance me he sorry keh raha huUPDATE 109 ~