- 1,646
- 15,459
- 144
Schedule |
---|
UPDATE# | DATE |
---|---|
Update 94 | 27th October 11:30 PM |
Update 95 | 30th October 11:30 PM |
Update 96 | 3rd November 11:30 PM |
Update 97 | 8th November 11:59 PM |
Last edited:
Schedule |
---|
UPDATE# | DATE |
---|---|
Update 94 | 27th October 11:30 PM |
Update 95 | 30th October 11:30 PM |
Update 96 | 3rd November 11:30 PM |
Update 97 | 8th November 11:59 PM |
Imotional update tha bada maza aaya ab next update ka wait hUPDATE 14 ~
(CALM CHAOS)
“Kaisi ho Vanshika beti?”
Neel ki Pita ji ne chehre per muskurahat sajaye kaha, Lekin Uss muskurahat me sachayi kanhi se bhi nazar nahi aa rahi thi, Vanshika bhi iss ko samajhti thi aur wo ye bhi jaanti thi ke dono Baap bete yahan kou aye hai, Lekin Vanshika itna waqt Social Media ki duniya me rahi thi ke logo se deal karna usse bhalee Bhaati ata tha.
Vanshika (Grin): Main achi hu! Ap kaise hai Prakash Uncle?
Prakash: Main bhi acha! Aj yahan se guzar rahe the to socha yanha se bhi hote jaye, Apni beti se bhi mil le gye iss bahane.
Prakash apni baat puri karne ke baad halka sa kehkaha laga ker hansa, Lekin kisi aur ko uss ki baat per khushi nahi ho rahi thi, Lekin phir bhi sab halka muskura diye.
Neel: Vanshu!
*Glare*
Neel ne mahool ko khushi bhara daikh Vanshika se sab kuch sahi karne ke liye baat karni chahi, Lekin wo Vanshika ke kareeb aa pata uss se pehle Aarav apni jagha se ek kadam aage ho gya.
Uss ki nazro se mehsoos hota wo tanav Prakash aur Neel ke pure badan me sursuri macha raha tha, Aarav kuch bhi nahi ker raha tha lekin uss ke sirf wahan hone se wahan sab pressure me the.
Wanhi Aarav pehle to ye sun ker pareshaan tha ke kal raat jis ko uss ne maara wo Vanshika ka Fiance tha, Lekin ab jab dobara uss ke saamne Neel khara tha to uss ki wo pareshani kanhi gayab ho chuki thi, Usse yaad the to Neel ke raat ko kahe gye Shabd.
“Behan ki laudi! Tujhe kia lagta hai apne baap ke naam ki wajha se kuch bhi kare gi aur kou tujhe kuch nahi kahe ga, Aj tujhe batata hu teri Aukat kia hai inhi randiyo ke saath tujhe chodu ga”
Aarav ko khud samajh nahi aa raha tha ke wo aisa behave kiu ker raha hai, Lekin Prakash bhi ek businessman tha aise pressure pehle bhi sahe the uss ne, Lekin Aarav jaise sadharan larke se uss ko ye Umeed nahi thi.
Wanhi Vanshika bhi Aarav ko gusse me daikh ghabra rahi thi, Uss ne raat me he Aarav ko wahan party me larko ko kutto ki tarha maarte daikha tha, Lekin wo Aarav ko mushkil me nahi daalna chahti thi.
Aarav ke haath ko apne haath me pakar jaise he Vanshika ne dabaya Aarav ka gussa shaant hone laga, Ab Aarav ko ehsaas ho raha tha ke wo kuch zada he Over React ker gaya hai.
Prakash:. Vanshika beti! Mujhe aj subha he is Nalayak ne bataya ke iss ne kal raat ko kia kia hai, Main ne ache se daant lagayi hai iss ko aur saza bhi di hai, Lekin meri bachi ko to takleef huwi hai na iss liye main khud apni bachi ko manane aya hu.
Prakash ne Aarav ko shaant daikhte he kaha, Wanhi Neel apne saamne Vanshika ko Aarav ka haath pakre daikh ghoor raha tha.
Neel: Kal raat tum he the na Vanshika ke saath?
Neel ne Aarav se sawal ker to lia per jaise he uss ne nazre utha Aarav ki ankho me daikha usse wo pehle wali nazre yaad aa gayi aur uss ki himmat toot gayi,
Aarav (Nod): Yes!
“Ap sab ko Adarsh Sir andar bula rahe hai!!!”
Ek awaz ne sab ka dhayan apni taraf kheench lia, Un ke paas he ek Larki khari huwi thi larki dikhne me sundar thi Blonde baal ankho per chashma aur badan per pehna wo tight suit kisi bhi mard ke Armaan jagane ke liye kaafi the.
Larki: Adarsh Sir ap ka intezar ker rahe hai!
Larki ne ek taraf haath se ishara kia to Mansion ki balcony me he Adarsh khara huwa dikh gaya sab ko, Adarsh ne apna haath hila ker Prakash ko greet kia to Prakash ne bhi usse haath hila dia.
“Bus ye he nahi chahta tha main!!!”
Prakash ne apni taraf se to halki Awaz me kaha tha, Lekin Aarav uss ko apni tez Hearing ki wajha se ache se sun sakta tha.
Prakash (Grin): hum aa rahe hai!
Prakash ne kaha aur Neel ke kandhe per haath rakh ker uss ke saath andar ki taraf chala gaya, Vanshika ne Aarav ka haath choora aur Andar ki taraf chali gayi.
Larki: Ap ko bhi saath bulaya hai Adarsh Sir ne Mr.Aarav!
Larki ne Aarav se kaha to Aarav ne Adarsh ki taraf daikha jo usse he daikh raha tha, Aarav ko apni taraf daikhta daikha uss ne haan me sar hila dia, Larki ne Aarav ko apne saath ane ka ishaara kia aur aage chalne lagi.
Aarav bhi uss ke peeche chalne laga, Aarav kal se yahan tha lekin wo pehli baar Mansion ke andar ja raha tha uss ke Mann me excitement aur nervousness dono thi, Wo larki Aarav ko andar le gayi.
Baahir se Alishaan dikhne wala ye Mansion Andar se aur bhi zada adbhut tha, Har jagha Mehnge se mahnge Arts piece lage huwe the jo wahan ki khubsoorti aur bhi barha rahe the.
Wo larki Aarav ko wahan se ek kamre me le gayi, Ye ek Mini Office ki tarha ka kamra tha, Wanha ek Book Case me kuch files rakhi huwi thi aur saamne he ek Desk tha jis ke peeche Adarsh baitha huwa tha.
Wo larki ja ker Adarsh ke paas khari ho gayi, Wo Adarsh ki P.A thi, Amelia Ellis, Adarsh sirf apne kuch logo per he Trust karta tha aur Amelia un me se ek thi.
Wanha rakhe ek sofe per Archana Baithi huwi thi, Uss ke saath baithi thi un ki bari beti Arti, Arti ki Umar 26 saal thi Shaadi huwi thi lekin Husband ke saath ban'nne ki wajha se apne parents ke paas wapis aa gayi, Ab ye apne Papa ke saath un ke business me haath batati hai.
Arti ke saath baithi huwi Sayani gharane ki Bahu Akash ki patni, Saanvi, Saanvi ki Umar 21 saal thi sirf 19 ki Umar me he uss ki shaadi Akash se ho gayi thi, Wo wanha khamooshi se baithi ek bare ghar ki bahu ki tarha behave ker rahi thi, Lekin Aarav ko uss me se ek Uncomfortable Vibe aa rahi thi.
Vanshika ne Jaise he Aarav ko andar ate daikha wo tez kadmo ke saath uss ke paas aa gayi aur Normal behave karte huwe Dheemi awaz me boli.
Vanshika (Whisper): Tum andar kiu aye ho? Main ne kaha tha ke main sab kuch handle ker lu gi!
Aarav: Mujhe uss Larki ne bulaya hai! Adarsh Sir ke kehne ki wajha se Mujhe bhi Ana per gaya, Aur believe me mujhe iss waqt yahan aa ker khushi nahi ho rahi.
Vanshika: *Sigh*
Agar Adarsh ne Aarav ko andar ane ka kaha tha to Vanshika kuch nahi keh sakti thi usse, Prakash aur Neel ek sofe per ja ker baith gye kamre ka Atmosphere kanhi se bhi acha nahi lag raha tha kisi ko.
Adarsh: Mujhe khabar mili hai ke kal raat kia huwa hai! Lekin phir bhi main ek baar apni beti ke muh se Sun'nna chahu ga ke kal raat ko kia huwa hai?
Adarsh ne Vanshika se kaha to Vanshika ke saath Aarav bhi heraan ho gya, Adarsh ko sab pehle se pata tha raat ko kia huwa hai, Lekin kaise?
Vanshika ka ab kuch bhi chupana banta he nahi tha, Uss ne raat ko jo kuch huwa tha wo sab batana shuru ker dia lekin wo Aarav ko jitna kam Mention ker sake utna kam ker rahi thi, Wanhi Prakash ke mathe per paseena aa chuka tha.
Vanshika sab kuch batane ke baad chup ker gayi, Adarsh ne Neel ki taraf daikha jaise wo puch raha ho ke Vanshika ki batayi sab baato se wo sehmat hai kia?
Neel ki khamooshi daikh ker Adarsh ko jawab mil gaya, Adarsh ne Arti ki taraf daikha to Arti ne haan ne sar hila dia.
Arti: Daikhiye Prakash Uncle! Ap ke saath hamara Relation ye rishta hone se pehle se hai, Ap ke liye hamare dil me bohat Izaat hai, Lekin jo kal Raat ap ke bete ne kia wo bhi hum Nazar andaz nahi ker sakte.
Prakash: Tum sahi keh rahi ho beti! Neel ne jo kia wo sab galat tha, Ab tum jo saza dena chaho de sakte ho iss ko.
Arti ne situation ko bohat ache se bigarne se bacha lia tha, Aur ye karne ka ishara Adarsh ne he uss ko kia tha, Prakash ka business Sayani family ke kareeb bhi nahi ata tha lekin uss ke connection kuch bari jaghao per the jis ki wajha se Adarsh uss se bigarna nahi chahta tha.
Lekin agar wo situation ko handle karta to usse ek baap ki tarha faisla karna per jata, Iss liye uss ne Arti ko baat karne ke liye aage kia kiu ke uss waqt wo he bina kisi rudeness ke baat ker sakti thi.
Arti: Yahan agar kisi ko Neel ne sab se zada takleef di hai to wo Vanshu ko di hai! Agar wo Vanshu se maafi maang le aur Vanshu uss ko maaf ker de to hume bhi koi problem nahi hai iss se, Lekin agli baar agar aisa kuch huwa to faisla sirf Vanshu ka nahi ho ga.
Arti ne faisla sunate huwe kaha, Prakash ne Neel ko aage barhne ka kaha to Neel khara ho gya, Uss waqt uss ki embarrassment sab ko mehsoos ho rahi thi, Wo kadam aage nahi barha paa raha tha to Prakash uss ke paas ho gya.
Prakash(Whisper): Halaat ko aur mat bigaar! Abhi Akash yahan nahi hai iss ka he ehsaan maan upar wale ka, Uss ke ane se pehle sab kuch nipta de, Maafi he to maangni hai ek karwa ghoont bhar ker maang le maafi.
Neel ne apni muthi bheenchi aur chair per baithi Vanshika ke paas chala gaya, Vanshika ne apni nazre pher li Neel neeche apne ghutno ke bal baith gaya.
Neel: Kal jo kuch bhi huwa wo meri sab se bari galti thi! Uss ke liye mujhe maaf ker do, Aur main Kasam khata hu aage se aisa kuch bhi nahi ho ga, Vanshu.
Vanshika maaf karna chahti to nahi thi lekin jab Arti ne apna faisla sunaya tha to wo Vanshika ke liye signal bhi tha ke usse maaf karna he ho ga, Neel se abhi bhi uss ko ghin aa rahi thi.
Wo apna life partner aisa kab chahti thi, Lekin ab uss ki family ne decide ker lia tha wo kuch bhi nahi ker sakti thi-
Vanshika: Main tumhe maaf karti hi! Lekin agli baar se aisa kuch bhi huwa to bhool jana ke tumhari koi fiance bhi thi.
Vanshika haar maan ker maaf ker dia uss ki nazre khud wahan khare ek shaks oer chali gayi, Aarav jo sab kuch khamooshi se daikh raha tha wo Vanshika ki ankho me dard daikh sakta tha.
Raat ko ye he larki kidi sherni ki Tarha party me neel se lar rahi thi, Lekin ab apni family ke saamne wo kuch bhi nahi ker sakti thi.
*Click*
Kamre ke darwaze ka handle ghooma aur darwaza khul gaya, Saamne he Vansh khara huwa tha jo kamre ke andar aa raha tha wo jaise he andar aya uss ki nazar sab se pehle Aarav per gayi aur uss ki ankhe herat se phelne lagi.
Vansh (Shock): Tum yahan kia ker rahe ho?
Adarsh (Shout): Vansh! Uss ke baare me baad me puch lena, Abhi chup ker ke baith jao.
Adarsh ne unchi awaz karte huwe Vansh se kaha to wo bhi chup ker gaya, Agar Adarsh Vansh ko chup na karwata to Un ke Player hone ki bhanak lag sakti thi Kisi ko bhi, Vansh wanhi chup ker ke baith gaya.
Neel: Uncle main ne kal jo kia wo gakat tha! Lekin kal raat ko iss larke ne mujhe sab ke saamne Punch maara hai jis ka Nishaan abhi tak mere chehre se nahi gaya.
Neel ne gusse se Aarav ko ghoorte huwe kaha, Adarsh dobara mushkil Paristhiti me phans chuka tha.
Arti: Dil me gussa rakhne se kuch nahi ho ga! Tum (Aarav) yahan aoo.
Arti ne Ungli ke ishare se Aarav ko paas bulaya, Wo Aarav ki sachayi nahi jaanti thi lekin Adarsh ko Aarav ke baare me pata tha wo iss tarha Arti ke uss ko treat karne se kuch kehna chah raha tha, Lekin wo apni beti ko agar beech me rokta to Na sirf Aarav per sab ko kuch shaq hota saath me Arti ko bhi bura lag jata.
Aarav ne Arti ko apni taraf ishara karte daikha to wo aage barh uss ke paas chala gaya, Vansh abhi bhi herani se Aarav ko daikh raha tha ke Orc King se larne wala ye Vyakti uss ki behan ke aadesh kiu maan raha hai.
Arti: Kal raat jo bhi huwa kon galat tha kon nahi in sab se mujhe farak nahi parta! Tum bhi jaise Neel ne maafi maangi hai waise he uss se maafi maang lo.
Arti ka faisla sun pehli baar Adarsh aur Vansh ki hawa Tight huwi thi, Aarav koi sadharan vyakti nahi tha jis ko aise maaafi maangne ka keh dia jaye-
Wanhi Aarav ke liye pehli baar nahi tha ke uss ko kisi se maafi maangni per rahi thi, Uss ne pehle bhi bohat se logo ke saamne haath jor ker apne pita ke karz ke liye maholat maangi thi paise na hone per unhi logo se paiso ki bheek bhi maangi thi.
Lekin aj Aarav samajh nahi paa raha tha ke wo chah ker bhi jhuk kiu nahi paa raha? Wo maafi maangne ke liye tayar tha lekin ek tofan jo uss ke andar uth raha tha wo usse rok raha tha, Saamne khare Neel ke chehre per wo Muskurahat usse gussa dila rahi thi.
Aisa Aarav ke saath pehle kabhi nahi huwa tha, Kiu ke ye Pride uss ki nahi Alpha ki thi jo Neel jaise Vyakti ke saamne usse jhukne se rok rahi thi, Aarav ki ankho me wo angare saamne khare Neel ki muskurahat ko dar me badalne shuru ho gye the.
Arti: Ghoor kia rahe ho? Meri baat suni nahi tum ne kia? Neel se maafi maango-
“Arti!!!”
Ek garajti awaz ne kamre me sab ko dehla ker rakh dia, Sab ki nazre khud he kamre ke darwaze per chali gayi jahan sab ke saamne Akash khara huwa tha, Uss ki ankho me Aarav se zada gussa tha.
Lekin jaise he uss ne Aarav ko apni taraf daikhte daikha Akash ne ek gehra saans bhara aur khud ko shaant ker lia, Lekin uss ki uss awaz ne sab ko andar se sehma ker rakh dia tha.
Akash chalte huwe Aarav ke paas aa ker uss ke saath khara ho gya aur haath jor sab ko namaste keh dia, Jahan sab heran the wanhi Prakash ke mathe per paseena paani ki tarha behne laga.
Akash: Kia ho raha hai yahan? Kis baat ki maafi maange ga Aarav?
Neel ki awaz bhi nahi nikal rahi thi Akash ke saamne, Yahan tak ke Adarsh bhi ankhe phaare Akash ko daikh raha tha, Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke sab aisa kiu behave ker rahe hai?
Arti(Frightened): W-Wo bhayia! K-Kal raat ko iss larke ne Neel per haath uthaya tha iss liye.
Arti jo ab tak pure kamre me kisi commander ki tarha order suna rahi thi wo bhi haklane lagi thi, Akash ne sab ki taraf daikha aur apne ap ko thora aage jhuka lia.
Akash(Bow): Kal raat jo kuch bhi huwa wo sab galat tha! Lekin Aarav ne jo kia uss ki maafi main maangta hu.
Akash ke jhukte he sab ke andar ka dar Herat me badal gaya, Akash jaisa insaan kisi aur ki galti ke liye maafi maang raha tha wo bhi sar jhuka ker.
Prakash: Akash beta ye kia ker rahe ho? Tumhe Maafi maangne ki kia zaroorat hai?
Akash: Prakash Uncle! Kal raat jo kuch bhi huwa wo mujhe pehle he inform ker dia gaya hai, Aur mujhe nahi lagta ke Aarav ki wahan kuch bhi galti hai agar aage bhi kabhi aisi koi situation huwi to meri taraf se Aarav ko permission hai iss tarha dobara react karne ki, Agar iss faisle se ap ko bura laga hai to uss ki zimedari mujh per hai na ke Akash per.
Prakash: Aisi kuch nahi hai beta! Hum galat the, Neel to sirf apne kuch dosto ki wajha se iss larke se maafi mangwana chahta tha, Kiu ke kal raat iss ne un per bhi haath uthaya tha, Wo gussa the to sirf iss liye iss baat ko khatam karne ke liye hum iss larke se maafi mangwana chahte the.
Akash ne Aarav ki taraf daikha jo usse he daikh raha tha, Aj tak Aarav ek bare bhai ki tarha sab mushkilo se lara tha lekin pehli baar usse aisa ehsaas ho raha tha jaise wo relax ker sakta hai Akash ki nazro me tha ke wo Aarav ko bacha le ga har mushkil se.
Ye ehsaas Aarav ke liye bhi naya tha uss me kabhi ye pehle mehsoos nahi kia tha, Uss ke chehre per kab muskurahat aa gayi wo khud na mehsoos ker saka, Uss ko muskurate daikh Akash bhi muskura dia.
Akash: Neel! Agar tum apne dosto ko samjhane ki koshis karo gye to wo samajh jaye gye.
Neel: L-Lekin Bhayia! Wo sab thore gusse me the.
Akash: Mujh per Vishwas karo! Tum unhe samjha sakte ho, Agar wo na samjhe to main khud aa jao ga tumhare saath.
Ab iss se aage na to Neel kuch keh sakta tha na he Prakash, Kamre me ek khamooshi cha chuki thi-
Prakash ne uss waqt wahan se jana he sahi samjha, Dono Baap beta Adarsh se ijazat lete huwe baahir nikalne lage-
Akash: Aur ap log yaad rakhna!
Prakash: !!!
Neel: !!!
Akash: Aarav mere liye mere chote bhai ke jaise hai! Agar wo kuch bhi galti kare to uss ki zimedari meri hai, to agli baar se jab bhi ap Aarav se kuch kaho to ye yaad rakhna ke wo sab ap mujh se keh rahe ho.
Ek pal pehle shaant baithe Akash ki awaz me ek kroorta aa chuki thi, Wo samjha nahi raha tha warning de raha tha ke agar unho ne Aarav ko kuch bhi kaha to wo khud uss ka badla le ga.
Prakash ka pura badan kaanpne laga uss ne Neel ka haath pakra aur tezi se baahir nikal gaya-
Aarav: *Sigh*
Agar aj Akash waqt per nahi ata to Aarav ke liye ek bari mushkil khari hone wali thi, Aarav ne aage barh Akash ko dhanyavaad kehna chaha, lekin sirf ek kadam uthate he Aarav ke kadam larkharaye aur wo girne wala tha ke Akash ne usse pakar lia.
Akash (Panicked): Kia huwa Aarav?
Aarav ne kal se kuch bhi nahi khaya tha upar se kal se lagatar hone wali fight aur healing se uss ki body drain ho gayi thi, Wanhi abhi Alpha ki wajha se uss per aur bhi pressure aa gaya tha.
Aarav(Weary): I'm feeling a bit weak, but it's nothing serious! I think it's just because i didn't eat today, I'll be fine after i grab something to eat.
Akash: Maa! Aarav ke liye khana lagaye.
Akash ne jaldi se apni Maa ko khana lagane ko kaha, Aarav ki halat daikh wo kitna ghabra gaya tha ye uss ki awaz me jhalak raha tha.
Aarav: Nahi! Urvi mera intezar ker rahi ho gi, Mujhe jana ho ga.
Akash: lekin-
Archana (Smile): Tum fikar mat karo Akash! Main khud Aarav ke saath jao gi aur isse ache se khila ker wapis aao gi.
Akash: Theek hai! Lekin ap please ki halat jab tak theek nahi hoti iss ko baahir mat ane dena.
Archana: Theek hai Baba!
Akash: Main bhi kuch Araam ker lu! Saanvi, main ek quick nap lu ga mujhe 2 ghante me waapis jana hai.
Saanvi ne haan me sar hila dia, Akash ne Aarav ko Archana ke hawale ker dia aur baahir nikal gaya, Uss ke jate he kamre ka wo pressure kam ho gya aur sab ne sakoon ka saans lia, Jahan Arti ye soch rahi thi ke Aarav kon hai jis ke liye uss ka bhai itna aage barh gaya, Wanhi Vansh gusse bhari nazro se Aarav ko ghoor raha tha.
Saanvi bhi Akash ke peeche khari huwi aur uss ke paas jaane lagi, Uss ne pehli baar nazre utha ker Aarav ko daikha jo usse jaate huwe daikh raha tha, Saanvi ne choti smile se Greet kia aur baahir chali gayi.
Adarsh: Archana tum Aarav ke saath chali jao! Vanshika tum bhi ab ja sakti ho, Arti aur Vansh Tum dono abhi ruko mujhe kuch baat karni hai.
Archana Aarav ke saath Quarter ki taraf chal di aur Vanshika apne kamre ki taraf-
****
*Slam*
Neel Prakash ke saath Car ki pichli seat per baith gaya aur zor se darwaza band ker dia, Uss ke chehre per gussa tha.
Prakash: Driver Ghar le chalo! Hum abhi Neel sahib ko ghar choore gye phir Office chale gye.
Prakash ki baat sun Driver ne Car ghar ki taraf ghooma di-
Neel(Aggressive): Akhir ap uss Akash se kuch kehte kiu nahi ho? Jab daikho wo hume Order deta hai jaise hum uss ke phenke tukro per jee rahe hai, Aur aj to uss ne sab ke saamne hume dhamki di hai aur wo bhi uss 2 kaori ke Bodyguard ke liye.
Prakash(Sigh): Huh! Tujhe abhi bhi bohat kuch seekhna hai Zindagi me, Kia pucha tu ne? Uss Akash se kuch kabhi kaha kiu nahi main ne, Akash ek tofan ki tarha hai jis ko daikh ker dusri taraf bhaagna chahiye jo bhi uss tofan ki taraf jane ki koshis karta hai wo kisi Pagal se kam nahi hai.
Neel: !!!
Prakash: Main 28 Saal se iss business ki duniya me hu! Bohat se logo ka garoor aur ahankar tor ker yahan tak aya hu main, Lekin sirf wo ek larka aisa mila mujhe jise jitna main ne torna chaha utna main khud maar khata raha, Akash jaise tofan ko khatam nahi ker sakte sirf bach sakte hai.
Prakash ke har shabd me uss ki haar jhalak rahi thi, Apne bete ko batate huwe bhi usse jhijhak mehsoos nahi ho rahi thi ke wo kaise ek kal ke aye larke ke saamne ghutne taik chuka hai.
Prakash: Sirf main nahi koi bhi uss ke khilaf nahi jata! Jahan sab paiso ke liye ek dusre ke khoon ki nadiya baha sakte hai wahan Akash kisi Raja ki tarha rehta hai, Na to tum usse gussa dila sakte ho na khush ker sakte ho, Agar wo tunhare saamne tumhe maar bhi raha ho ga to wo iss liye nahi ho ga ke wo tum per gussa hai ya tum se usse koi khatra hai, wo sirf tumhe maare ga kiu ke ye uss ke liye ek task hai jo usse complete karna hai, iss liye sab ne usse ek naam dia hai, Calm Chaos.
Neel: Gulp! Kia wo sach me itna khatarnak hai, to phir wo uss Aarav ke liye kiu andar gussa huwa?
Prakash: Mujhe nahi pata! Lekin agar wo larka uss ke liye zaroori hai to hume puri koshis karni ho gi ke uss larke ko kuch na ho warna hamari galti ho ya na ho, Desai Family ka naam puri duniya se khatam ho jaye ga.
*Ring* *Ring*
Neel ke mobile per Call ayi to wo uss khoof ki duniya se baahir aya, Call uss ke dost ki thi jo kal raat uss ke saath tha.
Neel: Lagta hai Uss Aarav ke baare me puchne ke liye Call ker raha hai!
Prakash: Usse samjha do! Warna hum sab ke liye khatra khara ho jaye ga.
*Huh* *Huh*
Neel ne Call pick ki aur jaise he uss ne mobile apne kaan per lagaya duari taraf se uss ke dost ki tez saanso ne Neel ko heran ker dia.
Neel(Frightened): Karl! Kia huwa hai Karl?
Karl(Groan): N-Neel bacha le mujhe Neel, yahan koi hamare secret hideout me ghus g-gaya hai *Cry* Hamare sab dosto ko maar dia hai uss ne, Neel W-wo wapis aa raha hai Neel *Ahhhhh*
Saamne se apne dost ki dardnak cheekho ne Neel ko buri tarha hila ker rakh dia tha, Neel Karl ko pukarta raha lekin saamne se sirf uss ke chilane ki awaz ati rahi phir kuch pal khamooshi chaa gayi jis ke baad Neel ko dusri taraf se dobara awaz ayi.
Other Side: Tere sab dosto ko khatam ker dia hai! Sirf tu bacha hai to apna sar jhuka ker chalna tu agar sar uthaya to seedhe maathe ke beech me ched karu ga.
Dusri taraf se Neel ko dhamki mil rahi thi, Aur dhamki dene wale ki awaz me ek karoolta thi jaise agar baat Sach me karne per ayi to Neel ka bacha Na-Mumkin tha.
Neel (Shiver): K-kon?
Neel ne mushkil se ye pucha lekin uss ke andar ki puri himmat toot chuki thi, Dusri taraf se ek zor ka kehkaha laga aur saamne se hansne ki awaz ayi jaise wo Neel ke sawal ki bewakoofi per hans raha ho.
“Barbie!!!”
*****
“Please let me go!!!”
Abhi Archana aur Aarav Quarter ke paas pohanche he the ke andar se unhe awaze ane lagi, Aarav ne tezi se aage barh ker darwaza khola aur andar chala gaya, Saamne he Urvi khari thi uss ki kalayi Julia ne pakri huwi thi.
Aarav ko saamne daikhte he Urvi haath churwa ker bhaagte huwe aa ker Aarav se lipat gayi, Aarav ne bhi usse bahon me bhar lia aur comfort karne laga usse.
Urvi(Shivering): Kahan chale gye the ap? Pata hai kitni dar gayi thi main!!!
Aarav ko ab situation ka andaza ho raha tha, Kal to Urvi pure Hosh me bhi nahi thi aur jaldi soo bhi gayi thi aur jab wo hosh me ayi to Anjaani jagha per jahan wo kisi ko jaanti bhi nahi thi aur upar se uss ka bhai bhi gayab tha.
Aarav: Kuch nahi huwa! Dar mat Urvi, Main yanhi hu sirf kuch kaam se baahir gaya tha, Ab wapis aa gaya hu main.
Aarav ne Urvi ko kuch samay yun he Bahon me bheenche rakha aur jab wo kuch relax huwi to usse choor dia, Urvi wanhi Aarav ka haath pakar ker khari ho gayi.
Urvi: Mujhe phir waisa he sapna aya tha! Jab uthi to ye Larki mere paas thi aur pata nahi kia bol rahi thi.
Aarav ne Julia ki taraf daikha to uss ne ishara ker dia ke uss ki koi galti nahi hai.
Archana: Julia ki mother Russian hai! Julia bhi bachpan se Russia me rahi hai to wo mostly Russian he bolti hai abhi English seekh rahi hai Julia.
Aarav apni Skill ki wajha se Julia ki language samajh sakta tha aur bol sakta tha, Lekin Urvi ke liye Julia ki baato ko samajhna possible nahi tha.
Archana: Ab sawal jawab baad me karna! Tum dono abhi bhooke ho, Apni apni jagha per baitho main khana lagati hu.
Archana ghar se khana banwa ker saath layi thi, Jis ko wo wanhi table per lagane lagi, Aarav aur Urvi bhi ja ker baith gye, Ye ek chota round table tha jahan 4 Chairs rakhi huwi thi.
Urvi(Whisper): Bhayia ye kon hai?
Aarav: Ye Adarsh sir ki wife hai! Kal inho ne he tumhara khayak rakha tha aur Julia ko tumhare paas rehne ka kaha tha.
Urvi chup ker ke Archana ko daikhne lagi, Archana Adarsh jaise bare Insaan ki patni thi, Lekin abhi wo unhe khana Serve karte huwe muskura rahi thi jaise usse khushi ho rahi thi ye karne se.
Archana: Indian Khana banaya hai tum dono ke liye! Abhi tumhe ghar ke khaane ki adat ho gi to main ne kuch alag na Bana ker ghar wala taste dene ki koshis ki hai.
Archana ne dono ko khana paros ker wanhi baith gayi, Aarav ne pehal karte huwe ek nivaala muh me daala Aarav ki ankhe kab bhar gayi Usse khud na pata chala.
Archana: Kia huwa mirch zada ho gayi kia?
Aarav(Tears): Nahi! Bohat maze ka hai khana, Iss ka svaad bilkul meri Maa ke banaye khaane jaisa hai, Zada samay to nahi khaya un ke haath ka khana lekin wo Svaad kabhi bhoola nahi.
Aarav ki baat sun Archana ka chehra khil gaya wanhi Urvi apne bhai ki baate sun ker bhavuk ho rahi thi-
Archana: Ap kiu nahi kha rahi beta! Haan abhi tumhe weakness feel ho rahi ho gi, Koi baat nahi main khila deti hu.
Archana ne Urvi ke aage se plate apni taraf ker li aur khud nivaala bana ker Urvi ki taraf barha dia, Urvi kabhi Archana ke haath ko daikhti to kabhi apne bhai ko wo jhijhak rahi thi.
Uss ko jhijhakti daikh Archana ne khud aage barh usse khila dia, Jaise koi Maa apne bache ke naa khane per usse khilati hai, Urvi apni haatho ki muthi banaye aone ansoo rok rahi thi.
Bin Maa ke bacho ko jab aise Maa ka pyaar milta hai to unhe uss pyaar ki bhook bhi hoti hai aur dar bhi hota hai ke unhe dobara adat na ho jaye iss pyaar ki, Kiu ke wo Pyaar dobara unhe choorta hai to wo dobara uss pyaar ko mehsoos nahi ker paate hai.
Aisa he kuch Urvi ke saath ho raha tha, Archana me uss ko apni Maa ka roop dikh raha tha lekin wo khul nahi paa rahi thi aur Naa he Archana ko khilane se rokne ki himmat ker paa rahi thi.
Aarav sirf Archana ko Urvi ko khilate daikh ker khush ho raha tha, Ye pal zada der naa bhi ho lekin wo in palo ka maza lena chahta tha iss waqt-
Dono ne khana kha lia to Urvi jaldi se Washroom chale gayi apne ansoo chupate huwe, Julia aage barh ker sab bartan uthane lagi.
Aarav: Thanks!
Archana: Aur ab ye kis liye hai?
Aarav: Kal se ap ne jo Urvi ke liye kia uss ki main bohat Izaat karta hu! Lekin ap bhi jaanti hai ke ye sab kuch samay ke liye he hai, Mera kaam yahan khatam hone ke baad ye sab bhi khatam ho jaye ga.
Archana sirf chehre per ek muskurahat sajaye Aarav ko daikhti rahi, Aarav apni asli feelings ko apne andar dabate huwe bol raha tha wo iss sab ko khatam nahi hone dena chahta tha, Lekin wo Sachayi se nazre bhi nahi ghooma sakta tha.
Archana: Meri Maa ki hum 3 betiye thi! Mujhe bachpan me hamesha lagta tha ke agar 1 beti kanhi chali bhi jaye to Maa hum 2 ke saath he khush reh sakti hai, *Sigh* Lekin jab mere apne bache huwe to Mujhe ehsaas huwa ke Maa ke kitne bhi bache kiu na ho, Uss ke liye uss ke sab bacho ka pyaar 1 jaisa he rehta hai.
Aarav: !!!
Archana: Arti meri sab se bari beti thi aur hamesha se apne Papa ki laadli! Wanhi Vansh aur Vanshika hamesha ek dusre se larte jhagarte rehte lekin un me pyaar bhi tha jo wo dikhate nahi the, Lekin mujhe sab se zada kabhi kisi ke liye bura laga hai to wo tha Akash.
Aarav: Akash! Lekin kiu?
Archana: Akash Autistic hai!
Archana ke kahe shabd Aarav ke sar per kisi bomb ki tarha phoote the, Aarav ne kuch Autistic logo ko daikha tha lekin Akash kanhi se Autistic na lagta tha.
Archana: Jab hume iss ka pata chala to hum toot gye the puri tarha! Baki bacho ki tarha Akash na khelta tha na kisi ko chu sakta tha, Hamesha darte huwe mere paas rehna uss ki takleef mere liye daikhni mushkil ho rahi thi, Tab hume ek mushkil faisla lena per gaya, Adarsh ke dost Autism ler research ker rahe the hum ne Akash ke treatment ke liye Akash un ke paas bhej dia.
Archana ki awaz sirf uss waqt ko yaad ker bhaari ho gayi thi, Wo khila huwa chehra murjha gaya tha-
Archana: 8 Saal tak Akash ko duniya se alag ek White Room me rakha gaya, 8 Saal unho ne Akash ko hum se alag rakha aur jab wo waapis aya to uss ka Autism to behtar ho gya, Lekin uss ke badle uss ke andar se sab Emotions khatam ho gye the, Na he usse kisi cheez ki chahat thi naa he kisi baat ka dukh, Mera beta kisi Machine ke jaisa bana ker wapis bhej dia tha unho ne akhir kaise ek Maa ye bardasht kare.
Archana ki ankho se ansoo behne lage Aarav apni jagha se uth uss ke saath ja ker baith gaya aur Archana ke kandhe per haath rakh usse himmat dene laga.
Archana: Lekin 4 saal baad pehli baar mujhe kal mere bete ke chehre per muskurahat dikhayi di hai, Aur us ki wajha tum the, Mujhe iss baat se Matlab nahi hai ye kaise huwa mujhe sirf iss baat ki khushi hai ke main apne bete ko khush daikh payi hu.
Aarav ko ab samajh aa rahi thi wahan kamre me sab Akash ke gusse heraan kiu ho rahe the, Ek emotionless Vyakti jab ap ke saamne Emotion dikhaye to heraani to ho gi.
Archana: Tum yahan sirf mere chote bete ko bachane aye the! Lekin tum ne uss ke saath raat ko meri bachi ko bachaya aur mera beta mujhe wapis lauta dia hai, Tum mujhe svarthee keh sakte ho lekin main tumhe kanhi bhi nahi jaane du gi, Aj se tum bhi mere bete aur Urvi meri apni bachi hai
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, 6K words ka update hai jo pehle aa jana tha lekin kuch Reasons ki wajha se time zada lag gaya, Aur abhi tak ek baar bhi target complete nahi huwa main update to waixe bhu tuesday tak post ker du ga lekin phir bhi target wo he hai 30 Likes, Umeed karta hu ap ko update acha lage ga milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Nice and fantastic update bhai keep posting
SUPERB AWESOME FANTASTIC MIND BLOWING UPDATE BHAI
Superb update
Shandar update bhai....
Archana ka kahana bhi sahi hai k maa apne sabhi bacho se e jaise hi prem karti hai...
Ab lagata hai Aarav aur uski bahan ko ek pariwar ka payar milega...ye fir payar k nam par emotional blackmail kiya jayega..
Dekhate hai aage kya hoga
Nice update bro
Are yrr dosto like kro
etni badiya story hai
Nice update bro
EMRE! KHUSH HUA ....BOLO BACHA AGLA UPDATE KB AYEGA....,,
Nice update
Superb zabardast update
Awesome update
Bhai kya likha h bhut emotional update tha maza hi aa gya padh ke dekhte hein aakash ke bare mein aur kya kya jankariyan hath lagti h
Nice one
Waiting for next update
Bhai apne Aaj update Dene ka bola tha
Koi nhi pr ...Jo bola hai uska dhyan rkhna 2 update..KHI ye ek me na bdle....ha quality achi honi chahiye nhi to Maza nhi at update padhne mein...
Ok bhai
Esi story ke liye apun log hamesa sath bane rahege...
Okk bro intejaar rahega
Imotional update tha bada maza aaya ab next update ka wait h
Waiting for new update
Bhai besabri se intejar ho raha hai aap ka
Update 15 has been posted Guys!!!Exact time pe update kabhi bhi nahi ayega kya.....