• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    314

Rajesh

Well-Known Member
3,792
8,132
158
UPDATE 6 ~
[DEVOUR]




[Deathly Slash]


Aarav ko apne haath me pakri sword me ek bhaari wazan mehsoos huwa per wo wazan aisa nahi tha jis se Sword neeche gir jaye, ulta Sword pehle se zada power aur speed se aage barh rahi thi maano hawa ko cheerte huwe aage barh rahi jaise.




*Slash*


3ff8ff4e6f15290dc9ab66fe84f74459.gif

Sword Alpha se connect huwi aur us ke sar ko dhar se alag karte huwe nikal ker aage nikal gayi per Aarav ki akhri HP bhi usi lamhe khatam hone ko ho gayi aur Sword uss ke haath se chuth ker nikal gayi.



Aarav ka apne shareer se control khatam hone laga aur wo peeche ki taraf girne laga, Aarav ne girte huwe apne side per daikha to wahan use Bhaaloo dikha jis ka haath zameen per tha jis se uss ne wo spike Alpha ke neeche zameen se nikala tha.



Lekin jaise Battle stone ki detail me likha tha Bhaaloo ne beech me interfere kia tha iss liye uss per Curse ka Asar ho gya aur wo wanhi Rakh ban gaya, Aarav use Rakh bante daikhte huwe oeeche girta raha.



*Thud*


Aarav peeth ke bal zameen per gir gaya uss ne apna chehra seedha kia to use wanhi khayi ke upar kuch Demon Wolves khare dikhe jo apne Alpha ki latki huwi laash daikh rahe the.



Aarav: (Softly) Mujhe maaf karna!



Aarav un Demon Wolves ko daikh maafi maange se reh na saka, Jaise wo un ki takleef mehsoos ker paa raha tha use pata tha kaisa lagta hai jab ap ke upar se suraksha ki chau khatam ho jati hai.



Bhale he Demon Wolves iss waqt Aarav ke dushman the per Aarav aisa insaan tha jo apne dushmano ka bhi bura nahi chahta tha, Jin takleefo se wo lar chuka tha uss ke baad wo kisi ka bura kaise chah sakta tha, Aarav ki ankhe bhari hone lagi aur dheeme dheeme band hone lagi.


*Crack* *Crack*



Aarav ki ankhe jaise he band hone he wali thi uss ke kaano me Ajeeb se awaz ayi jaise koi bohat si hadiye ek saath toot rahi ho, Aarav ne apni ankhe thori kholi to uss ka pure shareer me rongte khare ho gye.



Aarav ke theek upar latki Alpha ki body me se jo khoon beh raha tha wo hawa me he ruka huwa tha, Jis ke saath Alpha ki body se alag alag organs bhi uss khoon me the.



Wo khoon aur organ kisi ball ke roop me hawa me Levitate ker rahe the jis ne apna rukh ek dum se Aarav ki taraf kia aur tezi se neeche ate huwe Aarav ki khule muh ke andar jane laga aur wanhi kuch khoon khule huwe zakhmo me raaste andar jane laga.


*Ugh* *Ugh*

*Dhak* *Dhak*


Thora thora ker ke wo sab Aarav ke andar chala gaya, Aarav ke dil ki dharkane tez hone lagi aur uss ka vision dhundla hone laga, Aarav ke saamne se sab kuch gayab hone laga pahar, pathar, Badal aur Asmaan sab kuch uss ki ankho ke saamne se gayab ho gya, Aarav ne apne ird gird daikha to use mehsoos huwa ke wo khoon ke talaab me laita huwa tha.



Aarav: Bahir nikalo! Bahir nikalo mujhe yahan se, Koi hai kia yahan? Daisuke, Andrew koi meri awaz sun raha hai kia?


Aarav ne zor se chilate huwe kaha ke shayad koi uss ki awaz sun le per wahan koi nahi tha, Aarav ab buri tarha se thak chuka tha ab tak use pata tha ke use kia karna hai per ab sab kuch uss ki samajh se bahir jane laga tha.


“Awaz dene se kuch nahi ho ga! Yahan hamare siwaye koi nahi hai”


Aarav ko kisi ki Awaz ayi to uss ne apne haatho per zor daal ker uthne ki koshis ki aur wo ye daikh heraan ho gya ke uss ke shareer se pura dard khatam ho gya hai aur wo wapis khara ho pa raha hai.



Aarav khara huwa aur us ne ghoom ker awaz ki taraf daikhna chaha, Wo jaise he ghooma to uss awaz ke malik ko daikh ker wo dar se larkhara ker dobara gir gaya.


Aarav: (Frightened) Alpha!!!!!


1631ec12a08f289f38c4dad09db13e4b.jpg

****


*Crack*


Daisuke: (Whisper) Oye! Dhayan se chalo hume zada awaz nahi karni hai yahan.



Daisuke ne Dheemi awaz me Isabella se kaha jis ke paon ke neeche ped ki ek tahanee aa ker toot gayi thi, Wo sab iss waqt wahan se chupke se nikalna chah rahe the.



Daisuke ne jaise kaha tha us ke mutabik ye jagha Demon Wolves aur White Bear ki thi, Demon Wolves aur White Bear ke beech hamesha se territory ko le ker jung chalti rahi hai, Kiu ke White Bear ek A Rank Beast hai to uss ko harana aasaan nahi hone wala tha wanhi Demon Wolves bhi kuch kam nahi the.



Jis wajha se dono ke beech Antim larayi kabhi nahi huwi thi, ye Area iss jagha ke sab se khatarnak Area me se ek tha jahan rukna bilkul bhi acha nirnay bilkul nahi tha, Iss liye jab puri raat guzar gayi aur subha ki halki rohni dikhne lagi to Daisuke ne sab se pehle sab ko yahan se nikalne ke liye kaha.



Daisuke ne sab se un ke status ki information le li jis se wo aage sab ko ek role de sake, Sab ke paas koi aur raasta tha bhi nahi to unho ne bhi apne status ki information Daisuke ko de di.


[Daisuke Status]

d7ee1b1dc267994fc41fc1eb49bbbe6e.jpg
26cbef79c73b7aa890e62e40b07cab89.jpg
fdc261210aba6e055a0b1aa250bb3b86.jpg
62202ff9a3c4b33420c105b80a0a37f8.jpg
79f102baf0995e00682e1c3ecd01828c.jpg

Daisuke ke paas Swordsmanship Skill thi jis se wo Sword ko use ker sakta tha wo bhi zada ache se uss ke saath uss ke paas Dual Wielding thi jis ki madad se wo 2 Different weapon ko ek saath use ker sakta tha.


Daisuke ke paas Ability bhi thi Defense Break jis ko use ker ke wo apne opponent ke defense ke hote huwe bhi uss per Attack ker sakta tha per iss per MP lagti thi jis ki wajha se wo Iss ko waste nahi ker sakta tha.


[Isabelle Status]

330ba396bc2880933219deaa1f983b1a.jpg
b6a4c0b8f1229fd61689470410355cc6.jpg
edab83d3a0164dde1a67311c5e947d94.jpg
54c1577d9d7ab8a1e3258905e0045778.jpg
6b34d63dc8b29401fb3f5906ba295e44.jpg
307fe794c538fe6e9ee7155d2a7a45ad.jpg



Isabelle ke paas koi bhi Fighting skill ya phir fight ke liye koi Ability nahi thi per uss ke paas Healing Abilities thi jis se wo kisi ko bhi Heal ker sakti thi aur Mana Transfer ker sakti thi.


Uss ke saath he uss ke paas Boost Ability bhi thi jis se kisi ke status ko thora sa boost de sakti thi, Jis se uss ke saath lar rahe logo ko larne me aur Madad mil jati wanhi Isabelle ke paas Herb Knowledge bhi thi jo use alag alag herbs ko check karne me madad karti thi


[Vansh Status]

7fdd7cc47a1f7832f4eb53157a90d244.jpg
5c9530ab9f47939568d649278b7053e2.jpg
1ef12d7a4be09837caa1cdb2579a7321.jpg
ace25cccc2e245977ee196a02545cc38.jpg
59d76fe3aa288628a8c1b4f5c1368843.jpg



Vansh ke paas Blacksmith ki skill thi jis se wo Weapons forge ker sakta tha jis ki abhi bakiyo ko bohat zaroorat thi, Lekin Weapon banane ke liye suitable Material aur work space chahiye thi.



Black Smith ke saath Vansh ke paas Spear Combat ki skill bhi thi jis se wo spear ko apne weapon ke liye Use ker sakta tha, Ability me Vansh ke paas Material Detection thi jis se wo alag alag material ki properties jaan sakta tha jo Weapon Forge karne me uss ko bohat madad ker sakti thi.



[Andrew Status]


44f88cb340ac3c5abb307cfee121ad5c.jpg
0ab55717ab24154a4b93e1514ee4b12c.jpg
feb58ab92581ef4677141893697e3699.jpg
93bb6b22321c4ad58410299b4ec2156f.jpg
e092d1329c5d0fdc4beeb1a6fac1b9f5.jpg

Andrew ke paas Master Shield Wielder Ski thi aur un sab me Andrew pehla tha jis ke paas B Rank skill thi, Skill ki madad se wo Shield ko wo defense aur attack dono ke liye Use ker sakta tha.


Uss ke saath he Andrew ke paas Flailmanship thi jis se wo Flail ko apne weapon ke liye Use ker sakta tha, Aur Ability me uss ke paas Strength Focusing thi jis ko Use ker ke wo apni body ke kisi ek part me apni puri strength laga sakta tha.



[Kim Yoo-Jung Status]

bb90704092de21571ad0433f12e404b1.jpg
179e88ba7f978a56411b25a05cd00015.jpg
8a87d5797b0073d031fe6c6cfd0344c9.jpg

c6d5fc9d0f49928e3a3cfdba61912d6e.jpg


Kim Yoo-Jung ka Status wahan sab se alag tha, Na sirf uss ke Stats high the Uss ki skills aur Abilities bhi bohat kaam ki thi, Enchanced Kyujutsu se wo Achi Archery to ker sakti thi jo sab ne daikhi he thi uss ke saath uss ke paas Stealth Combat bhi thi jis se wo apne Opponent per Stealth Attack ker sakti wo bhi kisi ko notice huwe bina.




Ability me Yoo-Jung ke paas Eagle Eye thi jis ko Use ker ke wo apne Vision ko barha sakti thi aur Sab kuch bakiyo se zada saaf daikh sakti thi, Lekin sab abilities ki tarha ye Ability bhi MP Consume karti thi jis ki wajha se wo har waqt Ability Use nahi ker sakti thi.





Daisuke: (Whisper) Main dobara plan bata raha hu to sab dhayan se sun lo! Quest ke neeche diye gye map me location ke hisaab se hamare paas Orc king ke paas jaane ke 2 raaste hai Zameeni raasta aur Pani ka raasta, Zameeni raaste se hum Orc king se larne ke liye ready ho sakte hai kiu ke Earth ke kisi bhi Weapon se Yahan ka beast Mar nahi sakta jis ke liye hume yahan ke material se bane weapon chahiye hum kiu ke vansh ek Black smith hai hum Material ikhate ker ke Vansh se un ke weapons banwa sakte hai.



Daisuke ne Vansh ki taraf daikh ker akhri line boli to Vansh khamooshi se muh banaye chalta raha, Wo Daisuke ke orderes follow nahi karna chahta tha per wo kuch aur ker bhi nahi sakta tha.



Daisuke: Lekin! Zameeni raaste me ek problem hai, Agar hum zameeni raaste se jate hai to Orc King tak jane ki koshis karte hai to phir chahe hum pura raasta bhaag he kiu na le, Lekin hum kisi bhi halat me 20 din se pehle wahan nahi pohanch sake gye, to hamare paas bacha Paani ka raasta Map ke hisaab se Nadhi ke kinare ek boat hai jis se hum agar koshis kare to 5 Din me Orc king ke paas pohanch jaye gye.

73edb9b9cd2e261d97d316e155e7b120.jpg



Daisuke: Kiu ke Zameeni raasta lamba hai aur iss liye hum Pani ke raaste wahan jaye gye, Lekin hume weapons ke liye material chahiye aur ye koi sadharan material nahi hai, Weapons ke liye Hume khaas stone chahiye jo kisi beast ke marne ke baad peeche reh jate hai, Iss liye agar koi bhi janwar jaisi cheez ki laash dikhe to foran mujhe batana, Samajh aa gayi kia?



Daisuke ne sab se pucha, Vansh aur Isabelle dono ka muh bana huwa tha ke unhe kisi Janwar ke body part se bane weapons Use karne pare gye, Wanhi Yoo-Jung aur Andrew ka reaction normal tha jaise unhe survival ke liye ye kaam manzoor ho.


Daisuke: Okay! Ab apni position dobara sun lo, Isabelle ek healer hai jis ki hume bohat zada zaroorat hai ek healer ko khone se hamare liye cheeze aur bhi difficult ho sakti hai, iss liye Isabelle center me rahe gi jis ki wajha se hum use safe rakh sake, Yoo-Jung ke paas Archery skills hai iss liye wo har waqt peeche kisi high spot per rahe gi jahan se wo Bina kisi pareshani ke Aim le sake.




Isabelle aur Yoo-Jung dono ne haan me sar hila ker apna approvel de dia.


Daisuke: Andrew ke paas B Rank ki shield Skill hai jis se wo enemy ko Block ker sakta hai Attack karne ke saath saath iss liye Andrew ek Tank ka role play kare ga, Aur uss ko assist kare gye main aur Vansh.



Vansh: Per-



“Shhh”



Vansh kuch kehne wala tha ke uss se pehle he Andrew ne apne honto per unglu rakh use khamoosh rehne ka ishara ker dia, Vansh ko bhi ehsaas ho gya ke wo jazbaat me unchi bolne wala tha jo wahan ke beast ki attraction ka reason ban sakti thi.



Daisuke: Larke mujhe pata hai tum aisi khatarnak position nahi chahte, Lekin hamare paas koi aur choice nahi hai ulta agar hum iss plan ko follow kare bhi to hamare survival ke chances mushkil se 20% hai, Aur bhoolo mat abhi tak Hume Orc king ke Rank ka bhi pata nahi chala hai agar hamari kismat ke aur bhi laure lagne huwe to hume shayad kisi D Rank beast se larna per sakta hai wo bhi bina kisi training aur experience ke-



Daisuke ne dobara sab ko khatre ka ehsaas karwate huwe kaha jis oer sab khamoosh ho gye.



Daisuke: Tum sab ke Status me tumhe tumhari job dikh jaye gi, sab ko ek job milti hai hume uss Job ke hisaab se experience ikatha ker ke level up karna hai, kiu ke hume hamari job ke related New skills aur Ability bhi mil sakti hai.


Sab ne Daisuke ki baat sun ker dobara apne status khole to sach me un ki job ke aage likha huwa tha ke un ka Role kia hai?


Yoo-Jung: (Whisper) Mr.Daisuke!!!



Yoo-Jung ne dheeme se Daisuke ko pukara jo sab se aage chal raha tha, Daisuke ne peeche ghoom ker daikha to Yoo-Jung ne ek ped ke upar latak rahe Kuch Fruits ki taraf ishara kia, Unhe yahan aye 15 ghante se zada samay ho chuka tha per abhi tak kisi ne kuch bhi nahi khaya tha.



Lekin wo Furits dikhne me to Apple jaise the per yahan ke fruit wo kha sakte hai ya nahi iss cheez ka unhe confirm nahi tha, Kia pata Fruit khane se unhe kuch ho jaye? lekin wahan sab bhooke the Daisuke ne much waqt wanhi khare socha ke use kia karna chahiye?



Daisuke: Isabelle! Kia tum apni Ability Herb Knowledge se uss fruit ko check ker sakti ho kia?



Daisuke ne Isabelle ki Ability ko use karne ka socha agar wo apni Ability se Fruit ko check ker sake to unhe pata chal sakta tha ke fruit kha sakte hai ya nahi?


Isabelle: (Whisper) I don't know? Shayad ker saku, Shayad na ker saku?


Daisuke: (Sigh) Hmm! Aisa karo Ped ke neeche ja ker uss Fruit ko ache se daikho shayad tumhari Ability active ho jaye.


Isabelle Daisuke ki baat maante huwe ped ke paas chali gayi kiu ke bhook use bhi lagi huwi thi, Lekin uss ki ability Active nahi ho rahi thi, Isabelle ne apna haath uthaya aur Fruit ko touch karne ki sochi shayad aise wo Ability active ker sake ye soch ker-


*Grrrrr*



Ek gurahat ne Isabelle ke uth rahe haath ko wanhi rok dia, Uss ka pura Shareer kaanp utha, Uss ne peeche daikha to sab apni jagha per moorti bane khare uss ke aage daikh rahe the sab ko aise daikh wo aur bhi dar gayi.



*Grrrrr*



Dobara gurahat ki awaz ayi to Isabelle ne dheeme se ghoom ker uss ne apne saamne daikha to use wahan Demon Wolf dikha.

34fb02fc7fa0a61110afeeb25c33acf5.jpg

Isabelle: (Screams) Ahhhhh


*Thud*


Isabelle peeche hote huwe gir gayi use gira daikh Daisuke aage ane ko huwa he tha ke ek pressure ne sab ko wanhi ghutno per gira dia.




[Alpha Demon Wolf presence stunned player body, Player have fallen into a stunned state.]


Sab ke saamne Notification aya aur un per pressure aur barhne laga, Vansh aur Isabelle dono he pure zameen per gir gaye wanhi Daisuke, Andrew kuch had tak uss pressure ko bardasht ker ke aone ghutno per baithe huwe the.




*Swisshhh*



Ek Arrow un ke paas se hote huwe Demon wolf aur Isabelle ke beech me ja ker Zameen me ghus gaya, Ye Arrow Yoo-Jung ne shoot kia tha jahan koi sahi se kuch daikh bhi nahi paa raha tha wanhi Yoo-Jung apni jagha per apne Bow se Aim liye khari huwi thi.



Yoo-Jung: Sab khare hone ki koshis karo main akeli sab kuch handle nahi ker sakti hu!!!



Andrew: (Shocked) Per kaise? Tumhe kuch mehsoos nahi ho raha kia?



Daisuke: Ho raha hai use mehsoos! Lekin uss ki intelligence hum sab se zada hai jis wajha se Yoo-Jung iss pressure ko resist ker paa rahi hai.




Daisuke ne Andrew ko wajha batate huwe kaha, Un sab me Yoo-Jung he thi jis ki intelligence sab se zada thi iss liye ye pressure uss ko itna effect nahi ker raha tha.



*Huh*



Yoo-Jung ne dobara bow ki string ko peeche kheencha aur Aim set ker ke khari ho gayi-


Yoo-Jung: Mr.Daisuke yahan aur bhi Wolves hai, 4, 7, 12 nahi yahan bohat se Wolves hai, Mujhe kia karna chahiye?



Daisuke ne apne ird gird daikha to har taraf se Wolves baahir aa rahe the, Lekin Daisuke ye daikh ker heraan ho gya ke un me se koi bhi attack nahi ker raha tha, Wo sab Isabelle ke paas ja ker khare hote ja rahe the.


Daisuke: Shoot mat karna!!!



Daisuke ne Yoo-Jung ko rokte huwe kaha aur situation ko samajhne ki koshis karne laga, ek ek ker ke wahan Demon Wolves barhte he ja rahe the lekin abhi tak kisi ne bhi attack nahi kia tha.


*Fap* *Fap* *Fap*



Ek taraf se bohat Demon Wolves ke bhaagte huwe ane ki tez awaze ane lagi, Sab ne us taraf daikha to saamne se Demon wolves ka jhund bhaagte huwe aa raha tha.



Daisuke: WTF!!!! Ye sab aise bhaagte huwe yahan kiu aa rahe hai.



Yoo-Jung: Wait!!!



Yoo-Jung ne apna Bow neeche kia aur un Bhaagte huwe Wolves ko dhayan se daikhne ki koshis karne lagi aur tabhi.



[Ability (Eagle Eye) Activated]



Achanak Yoo-Jung ka Vision saaf hone laga aur use Dur se ate Demon Wolves saaf dikhne lage jaise wo bilkul uss ke paas khare ho, Uss ne bina Panick kiye un Demon Wolves ko check karna shuru kia aur tabhi uss ne kuch daikha jis ko daikh wo heran ho gayi.



Yoo-Jung: Mr.Daisuke! Un me se ek Demon Wolf......Uss larke Aarav ko apne upar bithaye huwe aa raha hai.



Daisuke: What?????



Daisuke Yoo-Jung ki baat sun heran ho gya, Jo Demon Wolves kal se un ka shikaar ker rahe the aj wo un ke saathi ko le ker kiu aa rahe the, Wo sab Demon Wolves kuch lamho me he wahan pohanch gye aur wo bhi seedhe Isabelle ke paas chale gye.



*Roowwwrrrrr*



Jis Demon Wolf ne Aarav ko apne upar liataya huwa tha uss ne neeche jhuk Aarav ko Isabelle ke saamne phenk dia, Wanhi jab baki sab ne Aarav ki halat daikhi to wo sab ghabra gye.


Aarav ka pura chehra khoon se latpat tha, Uss ke Pehne Armor ki wajha se uss ki neeche ka hisa dikh nahi raha tha per khoon uss ke Armor se baahir aa raha tha.



Lekin us ki halat se zada uss me se aa rahe Aura se sab dar rahe the, Jis pressure ko wo pichle kuch waqt se mehsoos ker rahe the wo unhe Aarav ke andar se ata mehsoos ho raha tha.


Andrew: Aarav?



Andrew ne Aarav ko pukara per Aarav ki taraf se koi Response nahi aya, Daisuke ko bhi kuch samajh nahi aa rahi thi uss ne ab tak ke player's se jo information li thi uss me kahi iss baare me kuch nahi tha jis me Demon Wolves ap ko aise le ker ghoome, Demon wolves ko jaise he moka milta tha wo seedhe ap maarne ko hote the.



*Grrrrr*



Un me se ek Demon Wolf Isabelle ke paas ja ker use hilane laga wanhi Isabelle Demon Wolf ki iss haqat se aur dar rahi thi wo Unconscious hone wali thi dar se-



Yoo-Jung: Isabelle! Utho wo tumhe kuch nahi kahe gye, Mujhe nahi pata Demon wolves aisa kiu ker rahe hai? Per mujhe ye samajh aa rahi hai wo tumhe maarne ke liye tumhare paas nahi hai, shayad wo tumhari Healing powers ke liye tumhare paas aye hai.



Yoo-Jung ne jaldi se wahan ki situation ko samajhne ki koshis karte huwe kaha, Agar wi Demon Wolves unhe maarne ke liye yahan aye hote to ab tak wo unhe maar chuke hote lekin wo unhe koi Nuksaan nahi pohancha rahe the.


Aur Yoo-Jung un Demon Wolves ka dar mehsoos ker paa rahi thi, Shayad uss ki Assassin job ki wajha se wo situation ko jaldi pickup ker paa rahi thi.



Isabelle: (Sobbing) M....Main nnn...n...aahi uthhh pao gyi!!!


Isabelle ne rote huwe kaha uss ka pura shareer buri taraha kaanp raha tha-

Daisuke: Yoo-Jung tum itna surely kaise keh sakti ho ke wo yahan Isabelle ki healing powers ke liye hai?



Yoo-Jung: Mr.Daisuke Mujhe laga tha ap ko samajh aa gayi ho gyi ab tak, Ap daikh sakte ho wo kaise Zakhmi Aarav ko yahan le ker aye hai aur bina kisi aur per dhayan diye sirf Isabelle ke paas gye hai, Agar ap kisi patient ko le ker doctor ke paas jao gye to uss ka aur kia matlab ho sakta hai?



Yoo-Jung ki baat sun Daisuke ko bhi uss ki baat sahi lagi, Shak to use bhi tha per wo itna sure nahi tha lekin Yoo-Jung ke thoughts ko sun ker wo aur bhi sure ho gya.



Daisuke: Isabelle khud ko move nahi ker sakti pressure ki wajha se Yoo-Jung tumhe khud aage barh ker Isabelle ko uthana ho ga, tum ye ker sakti ho na?



Daisuke ne Yoo-Jung ko aage kia karna hai wo bataya, Jis per Yoo-Jung ne haan me sar hila dia aur dheeme kadmo ke saath Isabelle ki taraf chalne lagi, Wo tezi se nahi chal rahi thi jis wajha se Demon Wolves ko Yoo-Jung se koi khatra mehsoos nahi huwa aur unho ne uss ko aage ane dia.



Yoo-Jung chalte huwe Isabelle ke paas aa gayi aur dheeme dheeme neeche jhukne lagi, Sab Demon Wolves ki nazre uss per he thi Yoo-Jung ne Isabelle ko uss ke baazo se pakra aur uss ko uthane lagi.


Yoo-Jung: (Softly) Daro mat! Main tumhare saath hu Yahan.



Yoo-Jung ne Isabelle ko pakra to Isabelle uss lipat gayi, Yoo-Jung uss ke kaanpte shareer ko mehsoos ker pa rahi thi iss liye uss ne Isabelle ko apni bahon me le lia.


Yoo-Jung: Hey! Daro mat main tumhare paas he hu, Mujh per yaqeen rakho main tumhe kuch nahi hone du gi.



Isabelle: (Sobbing) Mujhe yahan se le chalo Please!!!



Yoo-Jung: Sorry! Lekin yahan se nikalne ke liye Hume pehle kuch karna ho ga, Mujh per yaqeen rakho aur mere saath chalo.



Yoo-Jung Isabelle ko thame Aarav ki taraf jaane lagi to Isabelle khoof se Na me sar hilane lagi, Jis per Yoo-Jung ne ankho se use relax rehne ka ishara kia aur Uss ko thame Aarav ki taraf kadam barhane lagi.


*Dhak* *Dhak*


Jaise jaise wo Aarav ke kareeb ja rahe the Yoo-Jung ko bhi wo pressure aur strong hota mehsoos ho raha tha lekin itna nahi jis se wo khud per se control kho de, Aarav ke paas ja ker Yoo-Jung Isabelle ke saath neeche baith gayi.



Yoo-Jung: Hume agar yahan se nikalna hai to tumhe iss larke ko heal karna ho ga!!!!


Yoo-Jung ne Dobara Isabelle ko uss ka kaam samjhaya per Aarav ke itna kareeb ane ki wajha se Isabelle hil bhi nahi paa rahi thi.



“Khud per boost use karo!!!”



Peeche se Daisuke ne awaz dete huwe kaha, Boost se Isabelle apne kisi bhi target ke status ko kuch palo ke liye double ker sakti thi, Ye kaam ker sakta tha Yoo-Jung ne Isabelle ka haath uss ke dil ke upar rakhwa dia.



Isabelle: Per main ye karu kaise?



Yoo-Jung: Mujhe zada to nahi pata per main ne kuch minute pehle he apni ek Ability use ki hai, Aur agar main sahi hu to Ability use karne ke liye tumhe bus uss Ability se kia karna hai uss baare me sochna hai aur uss per he focus karna hai.



Yoo-Jung ne kuch waqt pehle kia experience share karte huwe kaha, Isabelle ne apni ankhe band ki aur boost ko use karne ke baare me sochne lagi.




[Ability (Boost) Activated]


[(Boost) Ability has been used on the Player)]



[For the next 30 seconds, all stats are doubled]



Isabelle: Huh!


Isabelle ke upar se pressure kam hone laga, Uss ne Yoo-Jung ki taraf khushi se daikha to Yoo-Jung ne use Jaldi se Aarav ko heal karne ko kaha, Isabelle ne foran apna haath Aarav ke upar rakh dia.



Isabelle: (Mumbling) Heal, Heal, Heal! Please Heal ho jao.



Isabelle haath rakhe baar baar Heal bolri rahi, Lekin Aarav per uss ka koi asar nahi ho raha tha kuch bhi na hota daikh Isabelle ghabrane lagi.


Isabelle: (Worried) Yoo-Jung kuch ho nahi raha?


Jab kuch der aur try karne ke baad kuch na huwa to Isabelle ka chehra rone wala ho gya, 30 Second me se sirf 15 Second bache the lekin wo abhi tak Aarav ko Heal nahi ker saki thi sabhi Demon Wolves use he ghoor rahe the.



Yoo-Jung: Shayad tum calmly soch nahi paa rahi Wolves per dhayan na do, Sirf Aarav ko heal karne ke baare me socho.



“Kiss!!! Agar tum saamne wale ko heal na ker sako to iss ka matlab abhi tumhara level bohat low hai to tum sirf unhe Heal ker sakti ho jin se tumhara Emotional Relation hai, to Aarav ko kiss karo jaldi se”



Peeche se dobara Daisuke ki awaz ayi per uss ki baat sun ker Isabelle ki ankhe phail gayi, Wo aise he kisi ko kiss nahi ker sakti thi tabhi uss ke saamne Notification aya Boost ke sirf 5 Second bache the.




Isabelle ne ek baar apne haath me pehni ring daikhi jo uss ke Fiance ne use pehnai thi, Lekin abhi uss ke paas sochne ka waqt nahi tha uss ne Aarav ki taraf daikha uss ke chehre per khoon tha lekin phir bhi uss ke chehre per ek Innocence thi.


Isabelle: Baad me daikha jaye ga baki sab kuch!



Isabelle ne khud se kaha aur Aarav ke chehre per jhuk ker apne gulabi hont Aarav ke honto per rakh diye, Aarav to unconscious tha to uss ki taraf se koi Response nahi ana tha iss liye Isabelle khud he Aarav ke honto ko apne muh bhar suck karne lagi.


*Smooch*


“Huh”


Uss ke peeche baithi Yoo-Jung ye sab daikh rahi thi, Isabelle ke boost ka time khatam ho gya per wo ruki nahi ulta wo apne ek paon ko utha ker Aarav ke dusri taraf rakhte huwe uss ke upar baith gayi aur uss ke honto ko zor se chumne lagi.


Isabelle ka ek haath Aarav ke sar ke peeche chala gya aur wanhi dusra haath us ki chaati per ghoomne laga, Isabelle ne saans lene ke liye apne honto ko alag kia to dono ke honto ke beech ek thook ki lehar ban gayi, Yoo-Jung ne Isabelle ke chehre ko daikha to uss ki ankho me jaise Nasha char gaya tha.



Isabelle ne dobara hont Aarav ke honto per rakhe to dono ke honto ke beech ek neeli roshni jagmagane lagi-




[The Player is now back to normal State]



Sab ke saamne Notification aya aur un ke upar se wo pressure khatam ho gya, Andrew aur Vansh wanhi gir ker lambi lambhi saanse bharne lage, Daisuke jaise he pressure se free huwa to wo bhaagte huwe Aarav ke paas aa gaya.



Daisuke: Kia situation hai?


Daisuke ki awaz sun ker Yoo-Jung ne uss ki taraf daikha aur un dono ki taraf ishara ker dia, Abhi tak Aarav hosh me nahi aya tha aur dono ke honto ke beech wo roshni abhi bhi jagmagah rahi thi.


Daisuke: Wait! Ye Roshni healing ki to nahi hai.......Mana.



Daisuke ko jaise he kuch ehsaas huwa to wo idhar udhar kuch dhoondne laga, Jab wo jis cheez ko dhoond raha tha wo nahi mili to wo peeche ki taraf bhaaga aur Vansh ko uss ke baazo se pakar ker utha dia.



Daisuke: Vansh tumhari help chahiye mere saath aoo.


Daisuke bina Vansh ka jawab sune uss ko utha ker Aarav ke paas kheench laya, Vansh ne jab Isabelle aur Aarav ko daikha to wo bhi heraan ho gya wo half unconscious tha iss liye use kuch nahi pata tha ke wahan kia ho raha hai?



Daisuke: Vansh yahan daikho tumhe koi Artifact ya kuch dikh raha hai jis me tumhe Mana mehsoos ho?



Daisuke ne Vansh se kaha to wo Na samjho ki tarha Daisuke ko daikhta raha, Daisuke ko bhi samajh aa gayi ke ye pura farigh hai lekin sirf uss ke paas aisi Ability thi jis se Mana ka pata lagwaya ja sake.



Daisuke ne Vansh ka haath pakra aur us ki ungli Aarav ke honto ke kareeb nikal rahi roshni per laga di.



“Ahhhh”


Vansh ko uss ki ungli per jalan mehsoos huwi to uss ne haath wapis kheench lia-


Daisuke: Ab chaaro taraf nazre ghoomao tumhe kanhi se ye same Energy feel ho rahi hai kia?


Vansh ko samajh to abhi bhi kuch nahi aya per wo bina behas kiye idhar udhar daikhne laga, chaaro taraf nazre ghoomane ke baad us ne ek taraf ungli se ishara ker dia.


Vansh: Uss me se feel ho rahi hai!



Daisuke ne Vansh ke ishare ki taraf daikha to wo ek Demon Wolf ke aage rakhi talwar ki taraf ishara ker raha tha, Daisuke ne Talwar ki taraf daikha to wo Demon wolf khud talwar muh me pakre uss ke kareeb aa gaya.



Daisuke ne wo talwar pakri aur uss per laga Mana stone utaar lia, Wo Stone uss ne Isabelle ke haath me thama dia, Uss stone ne bhi Isabelle ke haath me chamakna shuru ker dia, wo roshni Isabelle ke haath ke andar jane lagi aur haath se hote huwe honto tak aa ker Aarav ke andar Parvesh karne lagi.



Daisuke: (Sigh) Huh! Bach gayi.


Daisuke ne lamba saans bharte huwe kaha aisa tha jaise wo koi jung lar ke aya ho.


Yoo-Jung: Mr.Daisuke! Abhi ye sab kia ker rahe the ap?


Yoo-Jung jo tab se chup thi ab jab uss ne daikha ke Daisuke apna kaam ker chuka hai to uss ne puch he lia.



Daisuke: Mujhe khud nahi pata! Sirf ye jaan lo Aarav ko kisi wajha se bohat zada Mana chahiye, jab Isabelle ne use Kiss kia to uss ne heal ki jagha apni Mana transfer ability active ker li thi, Aur na jaane kiu wo kisi Nashe me doob gayi hai jo kiss chorr nahi paa rahi, Agar aise he wo apna pura Mana Aarav ko transfer ker deti to wo khud apni Jaan khatre me daal sakti thi.



Daisuke ne jo use pata wo sab bata dia aur wanhi baithe intizaar karne laga, Wanhi Isabelle iss sab ke beech me ruki nahi thi wo lagatar Aarav ke honto ko chunte ja rahi thi suck ker rahi thi.


Daisuke: (Smirk 😏) Waise main ne jab kiss ka kaha tha to mera matlab gaal per kiss karne se tha



*****



“Alpha????”



Aarav apne haath neeche rakhe wanhi khoon se bhare talaab me gire apne saamne khare Alpha ko khoof ki nazro se daikh raha tha.



Aarav: Per main ne khud tumhe maara tha? Aur tum bol kaise rahe ho? Aur ye jagha kahan hai ye jagha? Kahan le aye ho mujhe?



Alpha: (Frown) Ugh! Kitna bolte ho tum insaan? Aur Tujhe sach me lag raha hai tum ho jis ne mujhe maara hai, Tujhe kia laga tha tere jaisa ek kamzoor machar mujhe Alpha ko maar sakta hai?



Alpha ne aage barh Aarav ke kareeb ate huwe kaba uss ki Ankho me wo laal chamak uss khoon se bhare talaab me aur bhi khofnak lag rahi thi.



Alpha: (outraged) Tujhe kia lagta hai mujhe samajh nahi ayi ho gi ke tu kia soch raha tha wahan? Tujhe bura lag raha, Kia lag raha tha bura lag raha tha, wo bhi mere liye Alpha demon wolf ke liye, kia keh raha tha tu? Mujhe maaf karna! Tujhe kia lagta hai mujhe teri Mafi chahiye wo bhi mujhe harane ke liye.



Alpha ne akhri line Unchi awaz se boli jis se wahan khoon bhi peeche ki taraf uchal gaya, Alpha Aarav ke kareeb ata ja raha tha Aarav apni jagha se khara ho gya aur ukta chalne laga.



Aarav: Daikho tab mujhe pata nahi tha ke main tum se baat ker sakta hu, Sirf iss liye lar raha tha!!!!



Alpha: Huh! Lagta hai tujhe samajh nahi ayi, Mujhe teri iss hamdardi se nafrat ho rahi hai tujhe kia lagta hai main teri duniya ka koi kamzoor janwar hu jis ko tu ne galti se maar dia ho? Main Alpha hu sab Demon Wolves ka king aur tu uss White Bear ke saath mil ker aisi gandi chaal chal ke mujhe hara ker khud ko raja samajh raha hai kia?



*Kabooom*


Aarav ke peeche tez dhamaka huwa jis se peeche se sab khoon seedha Aarav ke upar aa gira-



Alpha: Iss waqt hum meri banayi space ke andar hai, yahan wohi hota hai jo main chahta hu, tu ek baar mujhe hara ker khud ko raja samajh raha tha na to chal daikhte hai ab tere aur mere me kon jeete ga? Na koi beech me aye ga na Koi Chall ho ga, tujhe sirf mere Attack se bachna hai agar to na bach saka to tere Shareer per mera Kabza ho jaye ga, aur agar tu rokne me kamyaab ho gya to tujhe sakoon se marne du ga.



Alpha ne Aarav ko challenge karte huwe kaha aur wanhi chalne laga, Aarav Alpha se larna nahi chahta tha use jab pata laga ke wo baat ker sakta hai to uss ne baat ker sab kuch khatam karna chaha.



*Swooosh*


Abhi Aarav kuch bolta ke Alpha peeche hote huwe tez Raftaar se Aarav ki taraf bhaaga, Alpha ki puri body shadow me badalne lagi Aarav ke kareeb ate he Alpha ne hawa me chalang lagate huwe Aarav ko seedhe takar maarne ke liye uss ki taraf aya, Lekin ye Alpha ka akhri Attack tha jaise uss ne kaha tha matlab ye koi sadharan takar nahi thi.



Aarav ne apne haath aage ker ke Alpha ko rokna chaha per wahan koi body nahi thi tha to sirf dhua jo Aarav ko peeche push ker raha tha, Wo dhua Aarav ke haatho ke andar ghusne laga tabhi Aarav ko Alpha ki baat yaad ayi iss Attack ko agar Aarav na rok saka to Aarav ki body per Alpha ka kabza ho jaye ga.


[The Alpha Demon Wolf is attempting to take over the Player's body]


[Unique Ability (Will to live) Activated]


[Current Progress (4.2%)]


[Fear Decreased -45%]


[Endurance Increased +15]


[Intelligence Increased +25]


[Strength Increased +15]


[Stamina Increased +15]


[Agility Increased +15]


[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]




Aarav: agar tumhe ye chahiye to ye he sahi!!!!



Aarav us Shadow ko khud se hatane ki koshis karne laga per wo Shadow aur bhi andar jati ja rahi thi.




[Aarav VS Alpha Demon Wolf, Battle Result]



[Aarav won the battle]


[You've Leveled Up]

[You've Leveled Up]

[You've Leveled Up]

[You've Leveled Up]

[You've Leveled Up]



[You have accomplished something difficult to obtain. There will be an additional reward.]


[You have the option of converting your award into an ability.]


[
Yes ~ No]


Aarav ke saamne bohat se Notification aye Aaarav iss waqt apni mushkil me uljha huwa tha, Wo khud ko Alpha ki shadow se alag nahi ker paa raha tha iss liye wo sab Notification per dhayan nahi de raha tha.



Aarav: Yes!!!!




Aarav ne bol ke try kia to system ne uss ki baat sun ker option yes ko select ker dia



[The system is looking for a new, suitable ability for the player.]


[Error]
[Error]
[Error]



[The unique ability (Will to live) has changed the reward and is in the process of developing a new unique ability.]




Achanak Notification me error likha ane laga aur aisa lag raha tha Aarav ki Unique Ability will to live ne System ko ability crate karne ke beech me hack ker ke khud Nayi Unique Ability bana rahi thi.



[Unique Ability (Will to live) successfully created a new Unique Ability (Devour)]
622d2bb59569527cfe13139c2ed941b0.jpg


Aarav ke paas ek nayi Unique Ability aa gayi thi aur iss ki capabilities bhi kamal ki thi, Aarav ne bina kuch soche uss Unique Ability ko Active karne ka faisla le lia uss ke paas koi aur choice bhi nahi thi.



[Unique Ability (Devour) Activated]



Aarav ke haatho ke gird ek aur shadow nikalne lagi jo kisi black Hole ki tarha ki lag rahi thi, lekin wo beech me he ruk gayi.


[Not enough MP]


Aarav ke paas Devour Istimaal karne ke liye MP nahi thi use 300 MP chahiye thi lekin uss ke paas sirf 8 MP thi jo sirf Unique Ability ko active karne me lag gayi thi.


Aarav: (Frustrated) Ab ye baki MP kahan se lau?


Aarav waise he uss chote se circle jo Unique Ability (Devour) se bana tha use apne aage shield ki tarha use karne laga, Jaise jaise waqt guzarta raha Devour ka circle khatam hota raha aur Alpha ki shadow aage barhti rahi.



Aarav ab aur bardasht nahi ker paa raha tha lekin wo ruka nahi khara raha, kuch aur waqt jaise he guzara Aarav ko uss ke honto per kuch narm cheez mehsoos hone lagi.





[Restores 13 MP]


Aarav ke aage Notification aya jis ke hisaab se Aarav ki full MP restore ho gayu thi per kaiss ye Aarav ko samajh nahi aa rahi thi, Restore huwi MP seedhe Unique Ability (Devour) ne Use ker li.


Alpha ki shadow thori shaant per gayi uss ka pressure kam hone laga, Kuch he palo baad Aarav ke saamne dobara notification ane shuru ho gye.



[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]
[Restores 13 MP]~[Restores 13 MP]


Mp Restore hoti rahi aur Unique Ability (Devour) me jati rahi aur akhir me MP Requirement complete ho gayi, Wo circle bara ho ker phel gaya aur pura shadow uss ke andar jaane laga.




Lekin abhi pura Shadow andar ja oata uss se pehle he Aarav ke pure shareer me Veins phoolne lagi, Uss ki ankho me khoon utarne laga jaise abhi phat ke baahir aa jaye ga, Aarav ko sab sunayi dena band ho gya.



[Player level is to low]



Aarav ne Devour ki details dobara parhi to use ehsaas huwa ke wo apne se bohat zada powerful beast ko devour karne mi koshis ker raha hai, Aarav ko apni Bewakoofi per gussa ane laga itna aage aa ker wo aoni Bewakoofi se marne wala tha.



[Alpha chooses the user to be its heir.]



[Alpha seals 90% of his stats and skills and Abilities]




Alpha ne apni 90% Stats aur Skills aur Abilities ko seal ker dia tha, Per uss ne aisa kia kiu tha ye Aarav samajh nahi paa raha tha tabhi us ke kaano me halki hansi ki awaz ayi jo Alpha ki thi.



Alpha: Mujhe maaf karna tumhare saath jo sab kuch main ne kia! Mere paas zada waqt nahi hai iss liye main apni kahani nahi sunao ga, Tum khud baad me meri kahani samajh jao gye.


Aarav abhi bhi uss takleef se lar raha tha 90% powers seal hone ke baad bhi wo Aarav ke liye bohat zada thi.



Alpha: Main marne wala hu!!! Lekin main apne Saathi Demon Wolves ko aise chorr ker nahi marr sakta, to iss liye main pehli baar ek insaan per vishwas ker raha hu, Agar tum iss power ko sambhalne kamyaab rahe to tumhe meri jagha leni ho gyi, Ye ek svarthee khawaish hai per mujhe tum per yaqeen hai tum unhe akela nahi chorro gye, chahe tum iss duniya me ho ya uss duniya me agar tum un ke liye Alpha ban sako tab tab un ke liye Alpha zaroor ban'nna aur haan agar tum iss power ko jeetne me kamyaab ho gye to jaise jaise tum level up karo gye ye seals khulti jaye gi, to koshis karo tum ker sakte ho.




Alpha ki kahi sab baate to Aaarav samajh nahi saka per uss ki wajha se Aarav me josh dobara ubal para tha.



Aarav: (Scream) Agggghhhhh ugghhhhh!!!



Aarav puri takleef ko bardasht ker ke devour ki madad se Alpha ko andar kheenchne laga, Aarav ka pura chehra laal ho gya Veins phatne ko ho gyi dheeme dheeme Alpha bus thora sa he bahir reh gaya Devour se.

4dc0feafac6255bfef3f8e42aa120cb4.jpg


[Hidden Unique Ability (Limitless Growth) Activated]


Achanak Aarav ke saamne Notification aya aur wo pure Alpha ko Devour ke andar lene me kamyaab ho gya, Aarav ka Pura shareer kisi rui ki tarha halka ho gya aur uss ke saamne Notifications ki baarish shuru ho gayi.

[The player has successfully devoured Alpha Demon Wolf]

[You've Leveled Up]

[You've Leveled Up]

[You've Leveled Up]

[Strength Increased +20]

[Agility Increased +20]

[Endurance increased +20]

[Stamina Increased +20]

[Intelligence Increased +20]

[HP Increased +30]

[MP Increased +30]

[You got a New Title (Alpha)]

02a09255beb263e07b13f0948e571256.jpg
****

*Oowwwoooo*

*Oowwwoooo*

*Oowwwoooo*


Bakiyo ke paas khare sab Demon Wolves ne ek saath howl karna shuru ker dia, Wahan sabhi khoof se unhe daikh rahe the un ki awaz meelo dur se bhi suni ja sakti thi.



Vansh: (terrified) Ye sab kia ho raha hai ab?



Vansh ke saath baki sab ke Mann me bhi ye he sawal tha, Shaant khare Demon Wolves Achanak howl karna shuru ho gye the, tabhi Aarav ne tarapna shuru ker dia us ki veins phoolne lagi uss ka chehra laal hone laga.


Aarav ko yun tarapta daikh Daisuke aur Andrew ne aage barh Isabelle ko Aarav ke upar se hatana chaha to Yoo-Jung ne haath ke ishaare se un ko rukne ka keh dia.



Daisuke: (Frightened) Yoo-Ju-



Yoo-Jung: (Calmly) Wait! Daikho Aarav kiss ka response de raha hai ab.



Yoo-Jung ne Aarav ke honto ki taraf ishara karte huwe kaha jo Isabelle ke kiss ka response de rahe the, dono ek dusre ke honto ko chum rahe the Isabelle ne apni jeeb ko bahir nikal ker Aarav ke muh me daal di jis ko Aarav chusne laga, Aarav wapis normal condition me ane laga.



Aarav ko hosh ane laga uss ne apni ankhe kholi to sab se pehle use Howl ki tez awaz sunayi di, Lekin Aarav howl se zada apni halat daikh ker heran tha ek khubsoorat larki Aarav ke upar baithe uss ke sar ko peeche se pakre use french kiss de rahi thi us ki life ki pehli kiss wo bhi tongue wali.



Jahan us larki ka dusra haath Aarav ki chaati per tha wanhi Aarav ka ek haath us ke stan per tha jahan Aarav apne ek haath me Mulayam ball mehsoos ker raha tha wanhi uss ka dusra haath us larki ke peeche us ki pent ke andar uss ki gaand ke upar tha.



Aarav ne apne dono haatho ko bheench ker ek dafa check kia to uss ke dono haatho me khazana aa gaya, Aarav ke haatho me halchal daikh ker Isabelle ne kiss torte huwe khud ko thora upar uthaya.



Aarav ke saamne Isabelle ka chehra Suraj ki dhoop me chamakta wo khubsoorat chehra dikh gaya.




Aarav: (:shocking:) Lagta hai main svarg sidhaar gaya hu!!!
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye Update 2 Parts me likhne wala tha lekin itna late update dene ki wajha se main ne ap ke liye Mega update tayar ker dia, 10 baje light ayi thi tab se update likh raha cards edit ker raha tha iss liye subha ke 4 baj gye Agar cards ke word bhi Add karo to 9K+ Words ka update banta hai aur card nikal ker 8K words ka update hai umeed karta hu ap logo ko update pasand aye ga main chala sone jab utho to please mera sawagat Pyaare se Reviews aur like ke saath karna tab tak ke liye Sayonara!!!]
Beautiful update bro
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,928
21,216
144
Update to 5K ke around he ho ga! Lekin uska ek important scene bohat mushkil me daale huwe hai, Like ke main 3-4 baar delete ker Re-write ker chuka hu, Lekin abhi bhi set nahi ho raha, Uske liye starting updates bhi padh raha hu, Lekin abhi ke liye main writing se rest le raha hu, Subha araam se likhu ga, Update 24 Hours delay ho raha hai :redface:
 

RAAZ

Well-Known Member
2,546
6,640
158
UPDATE 61 ~
(BE THE MONSTER)



*Hoot! Hoot!*


Raat ka ghana andhera chaaro taraf faila huwa tha, Kohara saamne ka kuch bhi daikhna mushkil ker raha tha, Andere me pedon ki parchhai drishya ko aur bhi zada khofnaak bana rahi thi.



*Huff! Huff!*



Jangal ke beech me un khofnaak pedon ke beech me Vansh bhaag raha tha, Uska pura chehra pasine se bheeg gaya tha aur chamak raha tha, uski saanse phul chuki thi, Lekin Vansh ruk nahi raha tha.


Uske chehre per dar ke bhav chaye huwe thi, Bhaagte huwe wo baar baar peeche daikhta aur dobara aage bhaagne lagta uske kadam ladkhadane lage the, Lekin wo ruk he nahi raha tha.


Vansh ke sharir per jagha jagha ghav bane huwe the, Un me se khoon ris raha tha aur har kadam ke saath uske ghav khul rahe the, Thandi havaye Vansh ko chhure ki tarha kaat rahi thi.


*Splash*


Vansh bhaagte huwe ek nadi ke paas aa gaya, Vansh seedhe nadi ke andar chala gaya, Nadi ka pura paani kaale rang ka tha, Jaise ye paani ki nahi khoon ki nadi ho.


efeae7a8b536826b1227a238c4d221eb.jpg

*Thud*


Vansh: Aghhh!


Paani me bhaagte huwe Vansh ka paon neeche paani me kisi cheeze se takraya aur wo seedhe paani me gir gaya.


*Gurggle*


Vansh ne khud ko paani se baahir nikal liya aur waise he giray huwe he aage badhne laga, Uska sharir buri tarha se dard karne lag chuka tha.


*Gush*


Vansh ko peeche se he kisi ke paani me utarne ki awaaz sunayi di, Vansh ka sharir wanhi tham gaya, Uski aankhe khoof se bhar gayi aur un me ansoo ane shuru ho gye.


*Chock*


Vansh ke muh me gaya huwa paani uske liye saans lena bhi mushkil karne laga, Dar se kanpate huwe Vansh peeche ki taraf daikhne ke liye ghoomane laga, Vansh sirf ek prarthana ker raha tha ke uske peeche koi bhi na ho.


“Huh!!!”


Vansh ki sabhi umeede toot gayi, Uska dar sahi sabit ho gaya, Uske saamne ek dark figure khara huwa tha, Kaale andhere me wo 2 laal aankhe Vansh ki aatma tak ko hila ker rakh de rahi thi.


fbaa7ab61cd06bac50355a4f7ad0cb45.jpg

Vansh(S-s-sob): K-Kyu ker rahe ho mere saath ye sab? Kya bigada hai main ne tumhara? *Sniff* P-Please ye sab kuch khatam ker do na, *Shout* Kyu ker rahe ho tum ye sab?


Vansh chilate huwe utha aur apne haatho se uss dark figure ko pakadne ki koshish karne laga, Lekin jaise he wo uske kareeb pohancha Vansh ka haath cut ker neeche gir gaya.


Vansh(Scream): Aghhhh! Mera haath!! Ughhh!!!!


Vansh chilate huwe neeche gir gaya, Uske kate huwe haath se khoon ki dhar nikalte huwe kaale paani me milne lagi, Neeche paani me giray huwe Vansh dard se chilate huwe tadapne laga.


*Glare*


Uske saamne ka dark figure usse dard se tadapte huwe daikhta raha, Uski sirf nazre he Vansh ke dard ko badhane ke liye kaafi thi.


f1facda3c4aeb2e9ebce938fdbaf5d81.jpg

*Slop-Slop*


Dark figure ne apne kadam Vansh ki taraf badhane shuru ker diye, Vansh ke kareeb ate he usne Vansh ke baalo se pakadte huwe usse utha liya, Vansh ke chehre se paani ki bunden neeche girne lagi.


Vansh(Whisper): Kon ho tum?


Vansh ki aankhe dard se band honi shuru ho gayi, Uski awaaz siskiyon me badalni shuru ho gayi, Uska sharir uska saath chhodna shuru ho chuka tha.


“I am the monster you created!”


Dark figure ne Vansh ki aankho me daikhte huwe kaha, Sirf kuch shabdon ne he Vansh ke sharir me ek sansani machani shuru ker di thi, Uska chehra rone wala ho gaya, Uski sabhi umeede khatam ho gayi.


Dark figure ne uske gale per apne claws rakh diye, Vansh bina kuch bhi harkat kiye usse bejan aankhon se daikhta raha, Uska gala claws se cheera jaane laga, Lekin wo sirf apne saath ye hote huwe daikh sakta tha aur kuch bhi nahi ker sakta tha.



*Splash*


Vansh ka gala apne claws se ukhadne ke baad dark figure ne usse wanhi paani me phaink diya, Vansh paani me gira huwa chaand ki taraf daikhta raha, Uski awaaz tak nahi nikal rahi thi.


Vansh ke daikhte huwe he dark figure uske saamne aa gaya, Uske haath me ek badi kulhadi pakri huwi thi, Usne apni kulhadi ko hava me uthaya aur seedhe vansh ki chhati per maar di.


*Chop*


“Vansh!.....Vansh!......Vansh!”


*Ahhhh*


Ek zordar cheekh ke saath Vansh uth ker baith gaya, Uska pura chehara pasine se bheega huwa tha, Uski aankhe dar se faili huwi thi, Uski saanse tez chal rahi thi, Uska seena zor se upar neeche ho raha tha.


Vansh ne apni chhati per haath rakh ker daikha to wahan koi ghav nahi tha, Uske saamne bhi koi dark figure nahi tha, Vansh ne dhayan se daikha to wo bistar per laita huwa tha.


Vansh ne apne bagal me daikha to usse bed ke side per Sonia khari usse daikhti huwi dikh gayi, Vansh ne uski kalayi zor se pakadi huwi thi, Sonia ke chehre per dard ke bhav dikh rahe the.


Vansh: Huh, Sorry!


Vansh ne Sonia ki kalayi chhod di, Kalayi Vansh ki pakad se chhutate he Sonia bhi peeche ho gayi, Uski puri body kaanp rahi thi, Uski nazro me dar aur bechani dono he jhalak rahi thi.


Sonia(Shivering): For God sake, Vansh! Ab ye sab bohat badh chuka hai, Please kisi ache psychiatrist se ek baar mil lo, Ab ye nightmares bohat bigadne lage hai, Mujhe sach me dar lagne laga hai ab!!!



Sonia ne apni kalayi ko araam se sehlate huwe kaha, Uski kalayi laal ho gayi thi aur usse bohat dard bhi ho rahi thi, Vansh ek Player tha aur usper ek S rank player, Uski pakad kisi ki bhi sadharan vyakti ki kalayi todne ke liye kaafi thi.


Vansh ki apni patni he usse dar se bhari huwi nazron se daikh rahi thi, Vansh usse kuch bhi javab nahi de saka, Sonia uske saath bed per baith gayi aur usne Vansh ke chehre ko pakad liya.


Sonia: Please Vansh! 10 saal ho chuke hai, Lekin ye nightmares khatam nahi ho rahe hai, Shuru me main ne ap ki baat maan ker ap ko force nahi kiya psychiatrist ke paas jaane ke liye, Lekin ab mujhe dar lagne laga hai, Ap ke liye.....Hamare liye!



Sonia ne Vansh ke chehre ko daikhte huwe vinati karte huwe kaha, Vansh ne side per daikha to uska mechanical hand udhar he side table per rakha huwa tha, Vansh ko 10 saal pehle ka wo din bilkul bhi yaad nahi tha.


Usse sirf ye yaad tha ke 10 saal pehle uske upar attack huwa tha, Usne tab apna haath kho diya tha, Vansh zinda to bach gaya tha, Lekin uske baad se ek nightmare usse satane laga.


Har raat uske sapne ke andar usse ek dark figure maar deta aur Vansh chekhte huwe uth jata, Usse kuch bhi samajh nahi aa rahi thi ke ye nightmare usse kyu aa rahe hai?


Sonia ne usse kayi baar psychiatrist se apointment le ker di, Lekin Vansh ne har baar usse taal diya, Usne un nightmares ke saath he jeena seekh liya.


Lekin kuch samay se nightmares aur bhi bhayanak hone lag chuke the, Vansh ke liye bhi ab unhe sambhalna mushkil hone laga tha, Vansh ne khud ko aur bhi kaam me vyast karna shuru ker diya tha.



Vansh ne Apex tower se nikalna bhi band ker diya tha, Uske liye tower sab se zada safe tha, Usse dar tha ke tower se nikalne per uska sapna sach ho sakta hai.


Sonia ko bhi ab uski chinta honi shuru ho gayi thi, Vansh ki Pride usse kisi ke saamne bhi khud ko kamzor dirshane ke liye taiyar nahi thi, Psychiatrist ke paas jana uske liye apni weakness sab ko batane ke jaisa tha.


Vansh(Sigh): Huh, Leave it! Tum bhi jaanti ho ke koi bhi psychiatrist ye night mares khatam nahi ker sakta, Un ka ek he saval ho ga, Ye sab kaise huwa? Kyu huwa? Ab main aur bekar savalon ka javab nahi dena chahta.


Vansh ne Sonia ke haath apne chehre se hatate huwe kaha aur bistar se baahir aa gaya, Sonia usse baithi daikhti rahi.


Sonia: Lekin Vans-


Vansh: Leave.....It!


Vansh ne Sonia ke bolte huwe beech me he unchi awaaz se kaha to Sonia bhi chup ker gayi, Vansh apna mechanical haath lagane laga, Usne peeche daikha to Sonia nazre jhukaye baithi huwi thi.



Vansh ko bhi ehsaas ho gaya ke wo kuch zada he sakhti se usse bol diya hai, Vansh uske paas baith gaya aur uska haath apne haath me tham liya.


Vansh: You know na ke mujhe nayi jagha per adjust karne me mushkil hoti hai? Ye sab sirf tower se nikalne ki wajha se ho raha hai, Lekin main apni itni sundar wife ko New Year per kaise akela chhod sakta tha? Main sirf tumhare liye aya hu, Agar main thoda chirchira ho jau to understand karne ki koshish karna, Please?


Vansh ne pyar se Sonia ki kalayi ko sehlate huwe kaha, Vansh sach me kayi saalo ke baad tower se baahir aya tha, Kal ka pura din usne aur Sonia ne saath bitaya tha.


Vansh usse New Year wish karne aya tha, Lekin Sonia ke apartment me shift hone se uska wo plan fail ho gaya, Lekin usne saal ka pehla din pura Sonia ke saath bitane ka plan bana liya tha aur bitaya bhi tha.


*Muah*


Vansh ne Sonia ka haath utha ker uski kalayi ko chum liya, Uski harkat daikh ker Sonia bhi muskura di, Vansh usse aise muskurate daikh ker khush ho gaya.


Vansh: Ab tum breakfast banao! Main abhi fresh ho ker ata hu, Aj tumhare haath ka bana kuch khaane ka mann hai.


Vansh ne Sonia se kaha aur uth ker chal diya, Ek dum se wo kuch soch ker beech me he ruk gaya.


Vansh: Kal main pucha bhool gaya! Lekin parso raat tumhara partner yahan kyu ruka tha?


Sonia: Uski tabiyat theek nahi thi! Main ne usse ghar chhodne ki offer ki, Lekin phir baarish shuru ho gayi to hum baarish ke thamne ka intezar ker rahe the.


Vansh khara Sonia ke chehre ko dhayan se daikhta raha, Sonia ne usse ek smile pass ker di, Jab Vansh ko vishwas ho gaya ke Sonia sach keh rahi hai to usne apni nazre hata li.


Vansh(Sigh): Huh, Okay!


Vansh ne usse kaha aur waapis ghoomte huwe bathroom ki taraf chala gaya, Sonia usse peeche se jaate huwe daikhti rahi.


*Click*


*Thud*


Vansh ke bathroom me ghuste he Sonia ke pairon ne javab de diya aur wo bed per gir ker lait gayi, Uski aankhe ansoo se bhar gayi, Apne muh per haath rakh ker Sonia apni siskariye dabane ki koshish ker rahi thi.


Sonia: I'm sorry, Vansh! I'm sorry! *Sniff* Pata nahi kya ho gaya tha mujhe? Pata nahi Kyu aise khud per se kabu kho diya main ne? *Sniff*



Apne chehre per haath rakhe Sonia khud ko kosti ja rahi thi, Kal se usne Vansh ke saamne khud ko bikharne se roka huwa tha, Lekin ab usse aur bardasht nahi ho raha tha.


Sonia ne bedsheet ki taraf daikha to usse New Year ki raat yaad aa gayi, Kaise wo Aarav ke aage taange filaye laiti huwi thi.


Sonia: Kya ho gaya tha mujhe? Kya mere andar itni havas thi kya? Aise kisi ke aage bhi main tange kaise fail.....chee!


Sonia ko khud per se ghin aa rahi thi, Usko uss raat kiye apne badchalan kaam per vishwas nahi ho raha tha, Sonia hamesha se ek professional insaan ki tarha rahi thi.


Usne aj tak apni personality kisi ke bhi saamne bigadne nahi di thi, Lekin sirf ek mard ke ehsaas per usne apni kitne saalo se banayi reputation dav per laga di thi.


Lekin Sonia ko uski pravah nahi thi, Usse ye baat takleef de rahi thi ke shadishuda aurat hote huwe wo kaise aisi harkat ker sakti hai?


Sonia ka haath khud he uske pait ke upar chala gaya, Jaise uske savalon ka javab uske saamne tha, Lekin wo use sveekar karne se inkar ker rahi thi.


Sonia: Kya meri ye chahat itni bari hai? Kya ye chahat sach me mujhe itna pagal ker rahi hai? *Sigh* I don't know anything anymore!


Sonia waise he apna sar pakad ker baith gayi, Uski samajh me ab kuch bhi nahi aa raha tha, Sab kuch puri planing se karne wali Sonia Desai ko pehli baar kuch bhi samajh nahi aa raha tha.


Sonia(Nod): Hmm, Ye sab kyu huwa ab ye soche ka samay nahi hai! Ye sab main ne bigada hai, Ab ye sab kuch mujhe khud he sudharna bhi ho ga.


Sonia khud se he nirnay liya aur khari ho gayi, Uske saamne ek seesha laga huwa tha, Seeshe me usse apne kaan per laga huwa wo cut dikh gaya, Ye Aarav ne uske kaan ki loh ko chumte huwe kaata tha.


Sonia: Aarav Singh! Akhir kya ho tum? Aur kyu kiya tum ne mere saath ye sab kuch?




****
Veer's House Gym
Mumbai ~ 11:18 AM



*Thud! Thud! Thud!*


Aarav zor se ek ke baad ek punch lagatar punching bag per maare ja raha tha, Uska pura sharir pasine bheeg chuka tha aur chamak raha tha, Uski saanse bhaari hone lagi thi.


*Drip*



Aarav ke knuckles per ghav ban gye the aur un me se khoon ki bunden nikal ker girne lagi thi, Lekin Aarav phir bhi ruk nahi raha tha.


*BOOM!!!*



Aarav ne taraf hote huwe ek zordar punch maara to punching bag phat gaya, Bag ke phatne per he Aarav ruka aur khara ho ker lambi lambi sanse bharne laga.


*Pop!*


Aarav ne water bottle uthayi aur baith ker paani peene laga, Uske paas he Malia bhi khari huwi thi, Malia ne black leggings aur black sports bra ke saath black shoes pehne huwe the.


93e1ff9305c884ea66b5412f5e3281fd.jpg

Malia: Master kab tak ye sab karne wale hai? Un ki body abhi aisi halat me nahi hai ke wo itni intense training jhel sake, Hume unhe rokna ho ga!


Malia ne Aarav ki taraf chinta bhari nazron se daikh rahi thi, Malia ke kandhe per he uske saath Tinkerbell baithi huwi thi, Unki nazron me Aarav ke liye chinta aur uske liye taras bhara huwa tha.


Aarav subha 4 baje se gym me aya huwa excercise ker raha tha, Subha se usne ek shabd tak nahi kaha tha, Ye he halat uski kal bhi thi.


Tinkerbell: Hum abhi chah ker bhi master ko rok nahi sakte! Master abhi khud se he lad rahe hai, Unhe ye ladayi khud se ladni ho gi.


Malia: Lekin huwa kya tha? Master to kuch plan per kaam ker rahe the na? Phir unhe ye kya ho gaya hai?


Malia aur bhi confuse ho rahi thi, Usko ab sach me Aarav ki chinta aur bhi satane lagi thi, Tinkerbell ne kuch pal socha Malia ko batane me usse kuch bhi harm nahi dikh raha tha.


Tinkerbell: Huh, Tum ne bhi shayad ye feel kiya ho ga ke master ke andar kisi bhi tarha ke emotions nahi hai? Ek tarha se un ki body ek empty shell ki tarha thi, Master zinda tha lekin andar se wo bilkul mar he chuke the.


Tinkerbell ka saval sun ker Malia nervous ho gayi, Ye sach tha ke usne bhi aisa feel kiya tha ke Aarav ke andar emotions nahi hai, Uska andaza usse tab ho gaya tha jab usne Aarav ko Malhotra ko maarte daikha tha.


Ek psychopath killer bhi kisi ko bhi maarte huwe kuch halke emotions feel karte hai, Lazat, Pagalpan ya gussa aisa koi na koi emotion har koi feel karta hai kisi ko bhi maarte samay, Lekin Malhotra ko maarte huwe Aarav thoda bhi hichkichaya nahi aur usne usse maar diya tha.


Malia(Nod): Y....Yes!



Tinkerbell: Ye master ki unique ability ne kiya tha! Master jab bilkul he haar maan chuke the tab un ke emotions ko seal ker diya gaya, Emotions ke na hone se un ke sabhi negative thoughts bhi seal ho gye aur master bina kisi maksad ke aage badhte rahe.


Malia: Lekin aisa kya huwa tha ke master bhi haar maan lene wale the? Kya ye un ki behan ki maut se related hai?


Tinkerbell(Nod): Haan, Emotions seal hone ke baad master ki koi bhi apni chahat nahi bachi thi, Un ko sirf ye pata tha ke unhe badla lena hai, Lekin kyu lena hai? Ye unhe samajh nahi aa rahi thi.


Malia(Hesitating): Umm.....Agar master ke paas emotions nahi the, Phir unhone hume kyu bachaya?


Malia ne himmar ker ke saval pucha usko dar bhi lag raha tha, Shuruaat me to Aarav sirf uske liye contract master tha, Lekin ab uske saath samay beetane ke baad uska ek emotional bond bhi ban gaya tha Aarav ke saath.


Tinkerbell(Sigh): Huh, Tum bilkul sahi soch rahi ho! It's sucks, Lekin sach ye he hai ke master ke liye hum sirf servant's hai, Aise servant's jo unhe un ke revenge ke liye chahiye the, Un ke liye hum servant se badh ker aur kuch bhi nahi the.


Malia ko ye he baat dara rahi thi, Un ke liye ab Aarav master se badh ker ek apna ban gaya tha, Lekin Aarav ke liye wo sabhi sirf ek necessary tool ki tarha the.


Malia: Hmm, Lekin ye sab ka master ki ab ko halat se kya connection hai? Master ko to kuch feel nahi hona chahiye na? Phir un ke andar kyu mujhe dard dikh raha hai? Kyu unhe takleef ho rahi hai?


Malia ne Aarav ki taraf daikhte huwe kaha, Uske saamne he Aarav baitha huwa kisi gehri soch me dooba huwa tha, Ab tak us ne Aarav ko aise kabhi bhi nahi daikha tha.


Tinkerbell(Sigh): Huh, Kyu ke ab master ke sabhi emotions unsealed ho gye hai! New Year ki raat ko master ke emotions unhe lauta diye gye the, Kyu ke un ke paas jeene ke liye ab ek wajha hai, Vansh Sayani!


Malia(Smile): Lekin ye to achi baat hai na? Master ke emotions unhe waapis mil gye hai!


Malia ne khush hote huwe kaha, Lekin uski khushi Tinkerbell ko shaant daikh ker kam hone lagi.


Malia: Kya huwa? Aise kyu react ker rahi ho tum?


Tinkerbell: Emotions wapis milna hamare liye khushi ki baat hai! Lekin uske apne consequences bhi hai, Vansh ke saamne ane per Master ke emotions bina kuch bhi accept kiye unsealed ho gye, Jaise unhe ab aur sealed rakhna Unique Ability ke liye bhi possible nahi tha, Vansh ke liye Master ki nafrat Unique Ability bhi sambhal nahi saki.


Malia: *Gulp*


Tinkerbell: Master ne sab kuch plan kiya tha! Lekin phir bhi jab Vansh un ke saamne aya to un ka khud se control khatam hone laga, Lekin tab agar Master kuch harkat karte to beshak Vansh un per havi parne wala tha, Kyu ke master ke stats abhi bhi sealed hai, Sirf ye he reason tha ke Master Vansh ko bina kuch kahe wanha se nikal aye.


Aarav ke emotions lautne per wo Vansh ko wanhi khatam karna chahta tha, Lekin tab bhi usse ache se andaza tha ke abhi wo Vansh se kamzoor halat me hai.


Bina cheezo ko complicate kiye Aarav un dono ko akela chhod ker nikal aya, Agar wo kuch pal aur Vansh ke saamne rukta to uska khud per se kabu khatam hone wala tha.


Tinkerbell: Lekin ab shaant hone ke baad master ulajh chuke hai! Ab tak bina galat aur sahi ke baare me soche master sirf aage badh rahe the, Lekin ab un ke dil aur dimagh ke beech ek jang chhidi huwi hai.


Malia ko ab samajh aa rahi thi ke Aarav kyu aise behave ker raha tha, Bina kisi bhi cheez ka ehsaas kiye ab tak Aarav ka sirf ek maksad tha, Vansh ko khatam karne ka, Lekin ab wo sahi aur galat ke beech me phans ke reh gaya tha.


*Aghhh*



Aarav ki halki si karah ne dono ka dhayan apni taraf kheench liya, Unhone daikha to Aarav haath per bandage band ker usse daba raha tha.


ad078f93609d3938e6808d8ad1c912c7.jpg

Tinkerbell: Ye kya ker rahe ho?


Aarav khud apne ghav ko aur badha raha tha, Ye daikh ker dono chaunk gayi, Lekin Aarav ye pagalpan me nahi ker raha tha.


Aarav: Darne ki zaroorat nahi hai! Abhi bhi main apne hosh me hu. Huh, Ye main sirf apni body ko check ker raha hu, Seems like ke meri regenerative ability abhi bhi kaam ker rahi hai, Ye daikho ghav khud bhar rahe hai.


Aarav ne apne haath dikhate huwe kaha, Uske ghav sach me bhar rahe the, Pehle ki tarha tez to nahi lekin ghav bhar zaroor rahe the, Ab uske knuckles per sirf laal marks he bache the.


Aarav: Ab meri kuch strength waapis aa gayi hai! Lekin ye abhi bhi kafi nahi hai, Ye stats abhi shayad 10% bhi nahi ban rahe aur agar main forcefully use kiya to meri body saath nahi de sake gi.



Aarav ne apni muthi bheenchte huwe kaha to Tinkerbell ko bhi usko strength feel ho gayi, Ye strength Aarav ne subha se ab tak training ker ke waapis layi thi, Lekin ab wo aur strength forcefully use nahi ker sakta tha.


Tinkerbell: Ap ke stats ko sahi karna mere liye possible nahi hai! Sirf ek galti se ap ke andar bana black orb ap ki puri energy ko kheench le ga, Seal bohat mushkil se usse roke huwe hai.


Tinkerbell ne bohat mehnat ker ke Aarav ke system features activate kiye the, Kyu ke un ke liye physical strength ya kisi bhi prakar ki energy ki zaroorat nahi parti thi.


Aarav: Hum vision share ker sakte hai na? Let's do it! Mujhe mere nexus ke andar ka view dikhao, Abhi mere liye khud nexus me jana safe nahi hai.


Aarav abhi apne nexus me enter nahi ker sakta tha, Kyu ke uske liye usse Qi activate karne ki zaroorat thi, Aise me uski banayi seal weak per sakti thi.


Tinkerbell(Nod): Okay!


Tinkerbell ne apni Ability vision share ko activate ker diya, Ye Spirit ability thi, Vision share karne se Aarav Tinkerbell ki dikhayi picture ko imagine ker sakta tha aur uski nazron se daikh bhi sakta tha.



[System Feature (Holographic Training) Activated]


Holographic Training Activate hote he gym room me Aarav ke nexus ki holographic image ban gayi, Aarav ke saath ab usse Tinkerbell aur Malia bhi daikh sakti thi.


Malia(Stunned): Wow! Ye hota hai Nexus? Sach me andar se ye bohat khubsurat dikh raha hai.


Malia pehli baar kisi ka bhi nexus daikh rahi thi, Uski heraani Aarav samajh sakta tha, Aarav bhi dhayan se nexus ko daikhne laga, Uske neeche abhi bhi black orb bana huwa tha.


Aarav: Tum ne orb ko analyze kiya hai na? Kuch pata lage ke ye kya hai?


Tinkerbell: Yes, Bohat samajhne ke baad mujhe samajh aa gayi hai! Ye orb mother ki ability ka ek part hai, Same ability jis se mother energy kheenchti thi, Unhe devour karte huwe he unhone beech me ap ko rok diya tha, Lekin phir bhi ye ek part ap ke andar aa gaya hai.


Tinkerbell ke explain karne per ab Aarav ko samajh aa rahi thi ke ye kya hai, Aarav ne sirf bachne ke liye Devour activate ki thi, Lekin wo uski ability ka ek part uske paas se cheen layi thi.


Aarav: Make sense now ke ye aise energy kyu le raha hai! Ye ek broken ability hai, Ye mother spirit ki tarha kisi aur se energy ko nahi kheench rahi, Ye Ability meri energy he kheench rahi hai, Lekin aise he chalta raha to main kabhi apne Mana aur Qi ko use he nahi ker saku ga?


Black orb sach ke ek black hole ki tarha tha, Broken hone se wo Aarav ki energy he kheenchne me laga huwa tha, Lekin Aarav ko kuch bhi andaza nahi tha ke ye kitni energy kheenchne wala hai?


*Tuck*


*Tuck*


*Tuck*


Aarav: Koi yahan aa raha hai! Sab kuch normal ker do.


Aarav ke kehte he Tinkerbell ne hologram aur Vision share band ker di, Aarav abhi bhi apni hearing se kareeb ke footsteps sun sakta tha.



*Click*


Gym ke darwaze ka handle lock ghooma aur darwaza kholte huwe Meera andar aa gayi, Andar ate he Meera ek pal ke liye darwaze ke paas he ruk gayi, Meera wanhi khari ho ker muskura di aur phir dobara chalte huwe andar ki taraf aa gayi.


Meera(Smile): Good Morning!


Meera seedhe chalte huwe Aarav ki taraf aa gayi, Aarav har baar heraan ho ker reh jata tha, Meera blind thi lekin phir bhi wo seedhe Aarav ke paas aa jaya karti thi.


Aarav: Good Morning! Lekin Ap yahan kaise?



Meera: Ab kya he karti? Tum to yahan aa gye, Lekin udhar Tanu ko chinta ho rahi thi ke tum ne subha se kuch bhi nahi khaya aur yahan aa gye ho, Usne he mujhe yahan bheja hai *Chuckle* Ye keh ker ke agar tum bimar ho gye to Fluffy ko bura lage ga.


Aarav ne Meera ke side per daikha to usse udhar ek tray pakde huwe Sushmita khari dikh gayi, Tray me juice aur kuch fruits bhi rakhe huwe the, Sushmita ne ek servant uniform pehna huwa tha.


Aarav ke paas abhi usse punish karne ke liye samay nahi tha, Usne usse ghar me he ek servant bana diya tha, Sushmita ko ye sab acha nahi lag raha tha, Lekin wo phir bhi Aarav ke orders follow ker rahi thi.


Meera: Aur ap shayad Aarav ki gym trainer ho gi?


Meera ko jaise he apne paas kisi aur ke bhi khari huwi ka ehsaas huwa to usne puch liya, Aarav ne Malia ko as a Gym Trainer introduce karwaya tha, Kisi ne uske liye koi saval bhi nahi kiya aur Aarav per trust ker ke usse rakh liya.


Malia: Yes!


Meera: Good! Aarav! Kaisa laga ye gym tumhe?


Aarav: Acha hai! Kaafi bada hai aur sab excercise machine bhi achi hai.


Meera(Smile): Ye bhi acha ho gaya! Waise ye gym tumhare liye Tanu ne khud saaf karwayi hai, Ye gym Veer ne apne liye khud banvayi thi, Uske baad ye gym room band ker diya tha, Yahan Tanu aur Veer ki bohat yaadien hai, Lekin ab Tanu ne khud ye gym tumhare liye dobara kholi hai, Jaante ho iska kya matlab huwa?


Aarav: Kya?


Meera: Ye he ke Tanu ab tumhe ek bhai ke roop me accept karne lagi hai! Mujhe pata hai ke tum ye rishte nahi chahte, Lekin phir bhi tum dono ke liye main khush hu, Aise he ek dusre ka saath dete rehna.


“Bhayia”


Meera ke kehte he ek pal ke liye Aarav ke saamne Urvi ki chhavi aa gayi, Uski awaaz sunte he Aarav ke kadam ladkhada diye, Uski halat daikh ker sabhi thode ghabra gye.


Aarav khud bhi heraan ho gaya ke ye usse kya huwa? Aarav ne apne chehre ko chhua to uski aankhon se aansu nikal rahe the.


Meera(Worried): Kya huwa Aarav? Ye kaisi awaaz thi?


Meera ne apne haath hava me he idhar udhar karte huwe Aarav ko dhoondte huwe kaha, Usse Aarav mila to wo uske chehre ko mehsoos karne lagi.


Meera: Aarav!.....Kuch huwa hai kya?


Aarav ke chehre per nami mehsoos hote he Meera ki muskurahat madhyam ho gayi, Aarav ke paas bhi uska koi javab nahi tha.


Meera: Sushmita, Yahan trainer thak gayi ho gi! Unhe nashta karwane ke liye le ker chalo, Hum bhi aa rahe hai.


Malia ne Aarav ki taraf daikha to usne bhi usse jaane ke liye nod ker diya, Malia bhi Sushmita ke saath baahir chali gayi, Meera Aarav ko le ker wanhi ek jagha baith gayi.


Meera: Ab batao! Konsi baat tumhe sata rahi hai? Jhoot bilkul bhi nahi bolna!!


Meera ne Aarav ko ungli dikhate huwe kaha, Meera Aarav ko pure haq ke saath daant rahi thi, Lekin Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke wo usse kya bataye? Uske muh se khud he shabd nikal gye.


Aarav: Kya ap ne kabhi socha hai ke Veer kaise mara tha?


Aarav ka saval sun ker Meera chaunk gayi, Lekin sirf Meera he nahi Aarav khud bhi chaunk gaya tha ke usne ye saval kyu kiya hai?


Meera aur Aarav ke beech ek awkward silence create ho gayi, Dono me se koi bhi kuch bhi nahi keh raha tha.


Aarav: I'm so-


Meera: Kayi baar socha hai! Lekin ye me keh sakti hu ke mere bache ko kisi ne mara tha.


Aarav maafi mangane wala tha, Lekin uss se pehle he Meera ne javab de diya, Dono he ek baar dobara chup ker gye.


Aarav: Agar main ap ke saamne Veer ke katil la du to ap kya kare gi?


Aarav ne baate ka silsila aage badhne diya, Ab teer kaman se nikal chuka tha, Ab waapis nahi aya ja sakta tha.


Meera(Chuckle): i really didn't expected ke hum aisi baate kare gye! Huh.....Sach kahu to mujhe bhi nahi pata, Lekin unhe main utna dard du gi jitna unhone mere bache ko diya tha.


Meera ka javab Aarav ne bilkul bhi expect nahi kiya tha, Meera ek sweet lady thi sab ke saath hans ke rehne wali, Lekin aj Aarav ko uska ek aur naya roop dikh raha tha.


Aarav: Lekin phir ap me aur un me kya he difference reh jaye ga? Un ki tarha ap bhi ek monster ban jaye gi.


Meera: Lekin mujhe alag kyu ban'nna ho ga? Kabhi Kabhi duniya ko koi hero se bhi zyada ek monster ki zaroorat hoti ha, Ek warrior ki zaroorat hoti hai.


Aarav: Lekin kya ek monster ban'nna zarori hai?


Meera: Ek baat batao! How can you kill a monster without becoming one?


Meera ka saval sun ker Aarav ka sharir bhi kaanp gaya, Meera ke shabd sadharan the lekin un shabdon ke peeche ke ehsaas ek sard ehsaas de raha tha.


Meera: Ek monster ko sirf dusra monster he hara sakta hai! Ye he nature hai, We do terrible things for the people we love!!


Meera keh to apne liye rahi thi, Lekin kanhi na kanhi uski baato ne Aarav ke thoughts clear karne me madad ker di thi.


Meera: Kaafi heavy conversation ho gayi hai Shayad? Huh, Sushmita wait ker rahi ho gi, Hum bhi chalte hai.


Aarav: Ek aur saval puch sakta hu kya?


Aarav ne ekdum se bola to Meera bhi ruk gayi, Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke usse kya ho raha hai? Lekin aj Meera ke saath baat ker ke usse sakoon mil raha tha.


Aarav(Hesitating): Ungh....Ap ko kyu laga ke main Veer ki jagha le sakta hu?


Aarav ne hichkichate huwe puch he liya aur Meera ke javab ka intezar karne laga.


Meera: Sach kahu to tum kabhi bhi Veer ki jagha nahi le sakte! Tum kuch bhi ker lo lekin mere dil me kabhi Veer ki jagha nahi le sakte.


Aarav ne unhe shuruaat me he koi rishta nibhane ke liye mana ker diya tha, Lekin phir bhi Meera ka javab sun ker Aarav ke andar ek peeda ho rahi thi, Uski nazre khud he jhuk gayi.


*Huh?*


Meera ne apne haath ko Aarav ke sar per rakh ker usse sehlane lagi, Aarav dobara nazre utha ker usse daikhne laga, Uske saamne Meera muskura rahi thi.


Meera: Ek aur sach batau? Agar aj Veer hota to wo mere dil me kabhi bhi tumhari jagha nahi le sakta tha, Kyu ke tum mere dil me Veer ki jagha lene ke liye bilkul bhi nahi ho, Tum mere dil me apni ek jagha rakhte ho, Aarav!


Aarav kisi per vishwas nahi karna chahta tha, Lekin phir bhi wo apni nazre Meera ke chehre per se hata nahi pa raha tha, Uske haatho ka wo garm ehsaas usse acha lag raha tha.




[System Bazaar Quest Available]


[Quest Name:
True to my words]


[Vansh Sayani Killed Your sister 10 Earth Years ago in front of your eyes, At that moment in rage you swear to torture Vansh sayani and his mother, You said that you are gonna make them pay for what they did to you.


It's time to be true to your words, But because the system removed you from his memories, Vansh Sayani doesn't even remember you, So killing him without him knowing why he's been killed will not be right, You have to make him remember you]


[These are the quest objects]


[Take away Vansh's power, reputation and his pride]


[Make his every loved one against him and make him alone]


[Make Sonia Sayani yours and use her as a pawn to suffer Vansh]


[Make Vansh remember what he did to you and torture him to point where he doesn't wanna live anymore and regret doing wrong to you]


[Killing Vansh Sayani before him remembering you will result in failure to quest]


[Quest Reward]


[Reward:-
30% Stats Unsealed]

[Failure penalty:-
All stats Sealed permanently]


[No time limit]
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye update 6K words ka tha, Vendetta arc ki shuruaat light update se ho gi, Target ab ki baar 90 likes hai, Umeed karta hu ke ap ko update pasand aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Ek sath itni quest aur unko pura karne ke liye limit bhi nahi hai magar uski penalty bohat hai ab apne emotions ke sath Banna hoga vansh ko ek monster udhar sonia ab veer ko rokne ki koshish karegi. Dekhna hoga kaisay yah quest puri karta hai Arav jabki uski powers bhi band hai.
 

RAAZ

Well-Known Member
2,546
6,640
158
UPDATE 62 ~
(LET THE GAME BEGIN)


****
Pune Outskirts
Underground Base ~ 10:49 AM




*Zipppp*



Malia(Smile): Huh, Ye ho gaya mera bag pack taiyar! Akanksha kuch bhi madad chahiye hai kya?


Malia ne apne bag ko band karte huwe kaha uske peeche he Akansha bhi apne bag ko taiyar ker rahi thi.


Akanksha: Mera bag bhi taiyar ho he gaya hai! Kuch aur potions he rakhe reh gye hai, Usko main nikalte samay rakh dungi.


Malia: Good, Sab kuch ache se check ker lena! Master ki banayi items hamay tower se kanhi bhi nahi mile gi, Ek baar tower me enter karne ke baad hum aise he baahir nahi aa sake gye.


Malia ki Guild ko Tower ke 100 tak jaane ki permission mil gayi thi, Aj unhe tower ke ke liye nikalna tha, Sabhi ussi ki taiyari me lage huwe the.


Weapons aur Armor to tower ke andar he sale hote the, Lekin tower se milne wale Potions Aarav ke Potions ke level se bohat halke hote the, Aarav ne sabhi Potions system bazaar se purchase kiye the.


Abhi tak koi bhi Player B Rank potion se upar ke Level ka healing potion nahi bana saka tha, Lekin wanhi Aarav ke paas bhi itne healing potions nahi the ke wo unhen waste ker sake, Usne sirf kuch he Potions apni guild ko diye the.


Akanksha: Sabhi Potions ko Tarun check ker le ga! Darling ke baad sirf usse he pata hai ke konsa potion kya kaam karta hai.



Akansha ne peeche Tarun ki taraf ishara karte huwe kaha, Un se kuch he dur Tarun baitha huwa sabhi equipments ko ache se check ker raha tha.


Malia: Tarun kab se wanhi per baitha huwa hai?


Akanksha(Sigh): Almost 2 ghantay hone ko hai! Lekin abhi tak uske equipment he check nahi huwe hai, Usne Potions ko bhi 3 baar check ker liya hai.


Dono Tarun ki halat daikh ker khush nahi thi, Malia se baat karne ke baad se Tarun ne khud ko nuksan pahunchana band ker diya tha, Lekin ab wo khamosh aur akele rehne laga tha.


Ab wo Aarav ke liye koi bhi mushkil khadi nahi karna chahta tha, Sab kuch wo double ya triple baar check ker raha tha, Lekin phir bhi wo satisfied nahi ho raha tha.


Akanksha: Ab mere liye aur Tarun ko aise daikhna mushkil ho raha hai! Darling kuch keh kyu nahi rahe usse?


Malia: Kyu ke Tarun kuch bhi batana nahi chahta!


Akanksha: Kya matlab? Tarun aisa kya nahi batana chahta?


Malia: Huh, Kya tum ne notice kiya? Abhi tak Tarun uss raat ke baare me kuch bhi baat nahi ker raha hai? Kya ye tumhe weird nahi lag raha?


Malia ki baat sun ker Akanksha ne socha to ye weird to tha, Ye koi choti baat nahi thi, Tarun ko ek Demon ne possess ker liya tha, Lekin phir bhi Tarun bilkul bhi chaunka nahi tha.


Usse bura laga tha, Lekin wo heraan nahi tha ke uske andar koi Demon hai, Normally koi bhi vyakti aisa hone per uske baare me pata lagane ki koshish kare ga, Lekin phir bhi Tarun bilkul alag react ker raha tha.


Malia: Master ko lagta hai ke usse Demon ke baare me pata tha! Mana Manipulation uski ability nahi hai wo Demon Spirit ki ability hai, Ye baat Tinkerbell ne confirm ki hai, Agar aisa he to ye saaf hai ke Demon Spirit bohat samay se Tarun ke andar hai.



Akanksha(Shiver): What?



Malia: Haan, Lekin Master usse force nahi karna chahte! Master chahte hai ke Tarun khud unhe sab kuch bataye, Kyu ke Tarun ke paas kuch na kuch reason to hai abhi tak kuch bhi na batane ke liye.


Akanksha ab samajh sakti thi ke Aarav kyu usse time de raha hai, Aarav ne uske liye Demon Spirit ko seal ker diya tha, Abhi ke liye unhe Demon Spirit se khatra nahi tha to Aarav kisi ko bhi pareshan nahi karna chahta tha.


Akanksha: Ye sab to theek hai! Lekin ab ap mujhe bataye gi ke ye Tinkerbell kon thi?


Akanksha ka saval sun ker Malia bhi kuch bahana sochne lagi, Aarav ne sirf Malia ko Tinkerbell ke baare me bataya tha, Lekin Akanksha ne uss raat pehli baar Tinkerbell ko daikha tha.


Aarav ki chinta aur ladte samay usne kuch bhi nahi pucha tha, Uske baad Aarav ne un ko Tarun per nazar rakhne ke liye keh diya tha, Lekin ab Akanksha ko pata karna tha ke wo kon thi?


Malia: Tinkerbell? Umm...... Actually uska mujhe bhi nahi pata tha....Shayad? Lekin wo hamari taraf he hai to koi baat nahi?


Malia usse bata sakti thi, Lekin aisa karne se sab kuch Aarav ke liye complicated ho jata, Abhi ke liye usse Akanksha ko un sab se baahir he rakhna tha.


Akanksha: Ye mujhe bhi pata hai ke wo hamari taraf thi! Lekin kyu? Akhir wo hai kon? Ek go....goddess ki tarha ki ladki kyu aise he hamare saath hai?


Akanksha ne last line thodi nervous tone me kahi, Usne sirf Tinkerbell ko ab tak uski human form me daikha tha, Uski human form sach me kisi goddess ki tarha ki thi.


Uski sundarata ka koi bhi mukabala nahi tha, Uska Aura bilkul clear aur Pure tha-


Malia: Wait! Tumhe Tinkerbell se jalan ho rahi hai kya? Kya tumhe ye to nahi lag raha ke Aarav kanhi Tinkerbell ke pyaar me na per jaye?


Malia ne usse thoda tang karte huwe kaha to uske gaal bhi sharam se laal ho gye, Uski jaise chori pakadi gayi thi, Lekin agle he pal wo dobara seedhe ho ker khari ho gayi.


Akanksha(Smirk): Ap ko shayad pata nahi hai! Lekin main ne darling ko permission di huwi hai ke wo kisi se bhi pyaar ker sakte hai, Lekin ye un ke upar se mera haq cheen nahi sakti, Lekin main kisi bhi galat ladki ko un ke kareeb bhi nahi ane du gi.


Akanksha ne khush hote huwe confidence ke saath kaha, Uski baat sun ker Malia bhi muskuraye bina nahi reh saki, Ye feelings uske liye bilkul nayi thi, Lekin usse ye sab acha lag raha tha.


Malia(Chuckle): Hahahahaha, Chinta karne ki zaroorat nahi hai! Abhi tumhe samjha nahi sakti, Lekin ye samajh lo ke Tinkerbell Master ki guardian hai.


Akanksha ko javab to nahi mila tha, Lekin ye bhi sach tha ke Tinkerbell ne Aarav ko bachaya tha, Uske upar trust ker sakte the.


Akanksha: Nevermind! Waise ab darling kahan hai? Hamay nikalna bhi hai, lekin un ki kuch khabar he nahi hai?




****
Park Near Sonia's Apartment
Mumbai ~ 10:06 AM




*Scuff-Scuff*



“Ab main aur nahi bhaag sakti! Aj ke liye yanhi bus karte hai na?”


Sonia ne tez saanse lete huwe uske saath jogging ker rahe Vansh se kaha, Vansh ek Player ban'nne se pehle se ek athlete tha, Uski routine har subha excercise karne ki lekin aj usne Sonia ko bhi apne saath ane ke liye keh diya tha.


Sonia ek sadharan insaan thi uska stamina Vansh se bohat kam tha, Usne 1 ghante tak Vansh ke saath jogging ker li thi, Sonia uski speed ko match karte huwe running ker rahi thi.


Vansh(Laugh): Hahaha, Bus itne me bus ho gayi? Lekin koi baat nahi, Abhi mujhe ek aur round lagana hai, Uske baad hum nikle gye tab tak tum rest ker lo.


Sonia uski baat maan ker wanhi bench ke upar baith gayi, Vansh usse wanhi chhodte huwe chala gaya, Sonia baithi huwi cool down excercise karne lagi.


“Mummy! Mujhe bhi uthaye na”


Sonia ke kareeb he ek bachi ne apni Maa ko usse uthane ke liye kaha, Sonia ne uski taraf daikha to Maa ek choti bachi ko upar uthaye huwe thi aur uske saath he ek thodi choti bachi uske saath chal rahi thi.


Maa: Eshu, Behna abhi choti hai! Ap chal sakti ho na, Lekin behna ko abhi time hai chalna seekhne ke liye, Abhi usse utha ker chalna ho ga na?


Eshu(Pout): Ye kya baat huwi? Ap ne sirf mujhe kyu chalna seekhaya? Ab ruchi ko bhi jaldi seekhao, Uske baad ap mujhe aise utha ker chalna.


Eshu ne muh banate huwe kaha, Uski cute baate sun ker uski Maa hansne lagi, Sonia ke chehre per bhi muskan aa gayi, Lekin agle he lamhe uske chehre ki muskurahat madham ho gayi.


Uska haath unconsciously he uske pait ke upar chala gaya, Agle he pal usne haath ko hata liya aur khud ko shaant karne lagi.


“Haan, Ab chalte hai”


Sonia ko Vansh ki awaaz ayi to wo khari ho gayi, Vansh ne apna round pura ker liya tha, Sonia ka reaction daikh ker Vansh bhi heraan ho gaya.


Vansh: Kuch huwa hai kya?


Sonia khud ko kuch bhi kehne se rokne ki koshis karne lagi, Lekin uske liye ye tough ho raha tha, Usse andaza tha ke Vansh koi bewakoof nahi hai ke usse kuch samajh nahi aye.


Sonia(Nervous): Vansh......! Aj mujhe kuch der ke liye orphanage jana hai, Aj ke liye koi plan hai to usse shaam ko pura ker le gye?


Vansh(Chuckle): Sirf ye baat thi? Plans to kabhi bhi pure ho sakte hai, Tumhe bohat se kaam ho gye na? Actually mujhe bhi ab kuch dino me Tower ke liye nikalna hai aur waise bhi india me rukne ka mera kuch bhi khaas plan nahi tha.


Vansh ki baat sun ker Sonia chaunk gayi aur dono he Park se nikalne ke liye chalne lage-


Sonia: Kya? Ap waapis Tower jaane wale ho?


Vansh: Seedhe tower nahi jaunga! Actually hum ne kuch samay pehle he New York me ek guild set ki hai, Abhi uske upar kuch dhayan dena ho ga mujhe, Lekin uske set hone ke baad main tower jaane wala hu.


Sonia: Ap ko permission mil gayi hai kya Tower se baahir Guild banane ki? Lekin ye proposal to reject ho gaya tha na?


Vansh ki guild weapons banati thi, Player's ko sirf tower ke andar weapon banane ki permission thi, Kyu ke tower ke andar unke upar nazar bani rehti thi.


Lekin agar Guild aise tower se baahir ho gi to ye association ke liye ek bada risk tha, Bohat se Player's unki shaktiyon ko ache ke liye use nahi karte the, Association sirf verified player's ko weapon deti thi, Lekin agar Guild baahir ho to un ke liye weapons kon khareed raha hai ye daikhna mushkil hone wala tha.


Vansh: Shayad tum bhool rahi ho ke ap ka husband ek S rank player hai! Association ke paas mere upar trust karne ke sivaye aur koi raasta nahi tha, Waise bhi ye karne se Association ki bhi madad ho gi, Ab unke verified player's ko weapons ke liye tower ke andar nahi jana ho ga.


Ye he reason tha ke Association ko Vansh ka proposal accept karna per gaya, Bohat se Player's tower ke baahir bhi the, Unhe sirf weapons lene ke liye tower ana parta tha, Ye Player aur association dono ke liye he inconvenient hota tha.



Lekin ab agar Vansh trust worthy partner raha to ye sab ke liye beneficial hone wala tha, Ye ek bada risk tha lekin agar ye work kare ga to uska result worth it hone wala tha.


Vansh: Ab tum bhi yanha sab kuch jaldi se pura ker lo! Uske baad tum bhi New York aa jana, Aise main bhi Guild ke liye tower se baahir ata rahu ga.


Sonia uski baat sun ker halki si muskura di aur dono park se baahir aa gye, Vansh ke late uthne se dono late ho gye the, Lekin phir bhi dono time per he free ho gye the.


*Honk-Honk*


Dono abhi apartment building ke neeche he aye the ke unke paas khari car ne horn baja diya, Sonia ne car ke andar daikha to uski aankhe khul gayi.


c4477fb965e8903f1e269857d9807159.jpg

Car ke andar Aarav baitha huwa tha, Usse wanha daikh ker Sonia dar gayi, Uss raat to usne kuch bhi nahi kaha tha, Lekin abhi usse itni subha yahan daikh ker Vansh ko kuch galat idea ho sakta tha.


Aarav(Smile): Good Morning! Ap ke paas kuch time ho ga kya? Kuch discuss karna tha.


Sonia usse 4 din baad daikh rahi thi, Kuch dino se wo Aarav ko face karne se bach rahi thi, Usse samajh nahi aa rahi thi ke ek aisi raat beetane ke baad wo Aarav ko kaise kuch samjhaye gi?


Project related sab kuch Divya handle ker rahi thi, Sonia abhi kuch din aur sochana chahti thi ke wo kaise Aarav ko face kare.


Sonia: Actu-


Aarav: Sorry, Lekin main Vansh se baat ker raha tha! Ap ke paas time ho ga kya? Agar ho sake to kuch minute ke liye baat ker lete hai.


Aarav ne Sonia ko bilkul ignore ker diya ye daikh Sonia chaunk gayi, Lekin wanhi uski baat sun ker Sonia aur bhi zyada dar gayi ke Aarav ko uske husband se kya baat karni thi?


Vansh: Huh, Mujhse? Sure! Sonia tum apne orphanage jao, Main Mr. Aarav se baat ker ke ghar chala jaunga.


Vansh ne Sonia se kaha aur car ke andar baith gaya, Aarav ne bhi car ko wanha se nikal liya.


Sonia(Frustrated): Aaravvvvvv! Akhir kya karna chah rahe ho tum?




****


*Vroom*


Aarav aur Vansh dono car me khamosh baithe huwe the, Aarav car chala raha tha aur wanhi Vansh apne phone per kuch ker raha tha.


*Grip*


Vansh ke itna kareeb baithe hone per bhi Aarav usse kuch bhi ker nahi sakta tha kyu ke usse Quest bhi mil chuki thi, Lekin uske andar aag bhadak rahi thi Vansh ko aise shaanti se baithe daikh ker, Uske haath steering wheel ko zor se bheence huwe the.


Aarav:
[Check!]


[Player Name: Vansh Sayani

Level: ???
Rank: ???]


Ye dot actually red hai, lekin update 60 edit karte huwe black ho gaya tha!

Aarav: [Tinkerbell! Ek baar dobara mujhe batao gi ke ye red dot ka kya matlab hai?]


Tinkerbell: [Aghhhh! Ye bhi ab batana ho ga kya mujhe? Nevermind, Ek minute abhi ek window bana ker deti hu]



100%​
72%​
27%​
1%​


Tinkerbell: [Ye ab main ap ko alag tarike se batane wali hu! Ye green dot ka matlab hai ke saamne wale ke paas ap ki memories waapis aa chuki hai, Jaise abhi Akanksha ke naam ke aage ata hai, Samjhe?]


Aarav: *Nod*


Tinkerbell: [Ab uske baad ata hai Yellow dot! Yellow dot wale vyakti ko ap yaad nahi ho, Lekin uske 72% chances hai ke usse ap dobara yaad aoo gye]


Aarav: [Jaise Akanksha ko main yaad aa gaya! Got it!]


Tinkerbell: [Right! Uske baad ata hai Vansh wala dot! Red dot! Vansh ko bhi ap bilkul bhi yaad nahi ho, Lekin uske chances kam hai, Sirf 27% Chances hai ke Vansh ki memories wapis aye gi]


Aarav ke liye ab uski quest aur bhi mushkil thi, Quest puri karne ke liye usse Vansh ko waapis yaad karwana tha ke Aarav kon hai, Lekin uske chances sirf 27% the.


Tinkerbell: [Red dot ke baad ata hai black dot! Black dot wale vyakti ko shayad ap kabhi bhi yaad nahi aoo gye, Uske sirf 1% chances hai ke uski memories wapis aye gi, Ye to acha huwa ke Vansh ke aage ye dot nahi hai]



Vansh: Aarav Singh! Right?


Aarav ko shaant daikhte huwe Vansh ne he baat shuru karne ki sochi, Aarav ne bhi khud ko shaant kiya aur uska javab dene laga.


Aarav(Smile): Yes, Aarav Singh! Sorry, Aise itni subha bina inform kiye main aa gaya.


Vansh: Don't worry! Actually main bhi tum se baat karna chahta tha, Lekin tab tum bina kuch kahe he nikal gye.


Aarav: Haan, Tab mujhe kuch important kaam karna tha! Hope ke tumhe bura nahi laga ho ga?


Vansh: Bura kaisa lagna! Lekin mujhe ek baat samajh nahi ayi, Tum mujhe pehle se kaise jaante the?


Aarav: Kaise nahi janta? Ek bade bhai ko yaad rakhna he padta hai!


Vansh: Huh?



Aarav: Veer Singh, Tum ne uska naam to suna he ho ga? Aakash Sayani ka sab se bada rival tha ek samay per Veer?



Vansh ne socha to usse yaad aa gaya ke Veer kon tha, Vansh ne kabhi business me utna dhayan nahi diya tha, Lekin usne Veer ka naam suna zaroor tha.


Aarav: Veer per jab attack huwa tha tab bhi Aakash uske saath he tha! Lekin mera bhai Aakash ki tarha lucky nahi tha.


Aarav ne apni awaaz ko kuch dheemi karte huwe kaha ke uski awaaz me thodi udasi ki jhalke, Vansh ko bhi uske upar kuch bhi shak nahi huwa.


Vansh: Uski aatma ko shanti mile! Hum bhi un attackers ko dhoond rahe hai, Lekin ab tak hamay kuch bhi pata nahi laga ke unhe kisne bheja tha?


Aarav: Ek bade bhai ke rishte se keh raha hu! Meri family ko nuksan pahunchane wale ek ek vyakti ko un ke kiye ka anjam zaroor mile ga.


Aarav kehte huwe seedhe Vansh ki taraf daikh raha tha, Uski aankhon me ayi laali ko daikh ker Vansh bhi kaanp gaya, Lekin Aarav ne khud ko control ker liya.


Aarav(Breath): Fuuuu! By the way, Aakash ab kaise hai? Actually, main ek baar visit karna chahta tha.


Vansh: Aakash? Umm, Ye possible nahi hai, Safety reason ke liye hum kisi ko bhi un ki location nahi bata sakte, Sorry!


Tinkerbell: [he's lying]


Aarav ki hearing abhi bhi Vansh ki heart beat sun sakti thi, Uski heart beat ek pal ke liye tez huwi thi, Ye Aarav ne sense ker liya tha.


Aarav: [Vansh ko bhi nahi pata ke Aakash kahan hai? Ye kaam sirf ek vyakti he ker sakta hai, Barbie!]



Aarav ko pata tha ke Aakash ko Barbie per kitna trust tha, Usne hamesha Barbie ko Aakash ke saath daikha tha, Agar Aakash ko uske bhai se koi chupa sakta tha to wo sirf Barbie he tha.


Vansh: Tumhe shayad kuch baat karne aye the na? Kya kehna tha?



Aarav: Haan, Sonia ne Blue Moon Project ke baare me bataya ho ga? Hamay uske liye bohat se skilled blacksmith's ki bhi zaroorat hai, Lekin hum kisi aur ko kyu ye kaam de? Jab hamare paas ek S rank ka blacksmith yanhi hai.


Vansh(Smirk): Aur tumhe aisa kyu lagta hai ke main ye karu ga? Sonia meri wife hai, Lekin phir bhi mujhe kuch to aisa khas dikhna chahiye na? Lagbhag har din he koi na koi hamare paas request le ker ata hai, Ab un sab me mujhe tumhari request kyu accept karni chahiye hai?


Vansh ne chehre per ek kapati muskan ke saath kaha, Vansh bhi ab purana Vansh nahi tha, Samay ne usse bhi bohat kuch seekha diya tha, Lekin Aarav ne ye expect kiya tha.



[Inventory]


Aarav ne apna ek haath aage kiya aur uske saamne inventory khul gayi, Aarav ne apne haath ko andar daalte huwe andar se ek box baahir nikal liya.



*Screeeech*



Aarav ne ekdum se car ko break laga ker rok diya, Aarav ke haath se box neeche gir gaya tha, Usne apne haath se Vansh ki kalayi ko pakada huwa tha.



Vansh ke haath me ek dagger tha, Dagger bilkul Aarav ki chhati per tha, Uski aankhe dar se khuli huwi thi aur uski saanse tez chal rahi thi, Uski aankhon ka dar daikh ker Aarav andar he andar muskura raha tha.



Aarav: [Did it work?]


Vansh: Kon ho tum?


Vansh ka saval sun ker Aarav ki puri ki puri excitement khatam ho gayi, Usse laga tha ke Vansh ko kuch yaad aa jaye ga, Lekin usse abhi bhi Aarav yaad nahi tha.


Tinkerbell(Furious): [What the fuck? Isse kya ho gaya Achanak se?]


Aarav: [Don't worry! Ye reaction main ne expect kiya tha, Vansh ke paas bhi meri tarha inventory hai, Ye ek system feature hai to kisi aur player ke paas ye daikh ker Vansh ko dhaka laga hai]


Aarav ye ker ke Vansh ko yaad karwana chah raha tha, Lekin abhi uske status per red dot he tha, 27% Possibility sach me bohat kam thi, Vansh ko kuch bhi yaad karwane ke liye ye kaafi nahi thi.


Aarav: Kya matlab? Main Aarav hu! Lekin ye tumhe kya ho gaya hai?


Aarav ne heraani ka natak karte huwe kaha, Aarav taiyar tha to usne ye attack block ker liya, Ye agar sach me surprise attack hota to Aarav ke liye ye block karna tough hone wala tha.


Vansh(Breath): Huh, I'm sorry! Ye ek mistake thi, Tum theek ho na?


Aarav: I'm fine! But man ye mistake kuch bhari per sakti thi.


Vansh Aarav se peeche ho gaya, Dono he khud ko calm karne lage, Aarav ne box ko dobara uthaya aur Vansh ko pakda diya, Vansh ne bhi dagger ko inventory me rakh diya.


Vansh ne box ko khola to andar ek watch rakhi huwi thi, Uska design kuch khaas nahi tha, Lekin Vansh ko usme kuch alag mehsoos ho raha tha.


Aarav: Ye Blue Moon ki watch hai! Ye abhi kisi ke paas bhi nahi hai, Ye watch mana stone se bani hai, Ye Portals ke andar bhi kaam kare gi.


Aarav ki baat sun ker Vansh heraan ho gaya, Ab tak kisi bhi portal ke andar koi bhi watch ya phone kaam nahi kiya tha, Mostly sabhi kaam karna chhod dete the ya khud he phat jaate the.


Lekin Aarav keh raha tha ke ye Portals ke andar bhi kaam kare ga, Ye sach me ek kamal ki invention thi.


Aarav: Ye main ne banayi hai! Agar tum mera saath do gye to hum aur bhi bohat kuch bana sakte hai, Kya kehte ho?


Aarav ki skill technomancy se usne ye watch banayi thi, Uska Eternapower bhi usne khud he design kiya tha, Vansh ke liye ye offer sach me interesting ho rahi thi.



Vansh: Mujhe kuch samay chahiye sochne ke liye! Kuch din soch ker tumhe javab de dunga.


Aarav: Sure! Lekin yaad rahe opportunities zada samay ke liye available nahi rehti to tumhe jald he batana ho ga.


Aarav ne car ko apartment ki taraf chala diya, Sonia ab wanha nahi thi, Aarav ne car ko rok diya, Vansh aur uske beech kuch aur saval javab huwe aur Vansh car se utar gaya.


Aarav car le ker wanha se chala gaya, Uski car ke baahir nikalte he Vansh watch ko haath me pakad ker daikhne laga.


3f86ebe6e21263ff1af12cff2228da35.jpg

[Ability (Material Detection) Activated]


Vansh watch ko check karne laga, Watch sach me Mana stone ki bani thi, Vansh ne apna phone nikala aur kisi ko call ker di.


Vansh: Hello....Vansh Here.......Mujhe kisi ki information pata karni hai...... Aarav Singh.....Uska past aur present sab kuch mujhe pata karna hai.


Vansh yanha call per baat ker raha tha, Ye sab kuch dur khari car me Aarav sun raha tha, Uske chehre per muskurahat aa gayi.


Aarav: Let the Game Begin! Vansh Sayani!





****
Sainte-Croix Hospital
France ~ 1:32 AM



“Mr.Barbie?”



Barbie hospital ke coridor me chal raha tha ke ek taraf se Aakash ki doctor uske paas aa gayi, Hospital me abhi bhi kuch patients aa rahe the.



Doctor: Itni raat ko kahan?



Barbie: Kuch urgent kaam aa gaya hai! Per ap yahan kaise?


Doctor: Aj meri night shift hai! You know festival tha to accident bhi bohat huwe hai, Lekin raat ko baahir dhayan rakhna.


Barbie: Thank You! Ap boss per bhi check ker lena, Mujhe kuch kaam hai to late ho sakta hu.


Doctor: Sure!


“Doctor!”


Unke baat karte huwe he kuch accident ke patients aa gye, Doctor un ke paas chale gayi, Barbie bhi time daikh ker wanha se nikal gaya.


Barbie hospital se baahir nikala aya aur bina car liye paidal he chalta raha, Uske kareeb se roshni kam hone lagi, Barbie chalte huwe jangali area me aa gaya.


Ye ek sunsan raasta tha, Ye hospital ke paas he tha, Lekin yahan koi bhi nahi ata tha, Barbie ke kadam dheeme hone lage.


Barbie ko paas he ek abandoned Building mil gayi, Barbie seedhe uske andar chala gaya, Ye ek factory thi, Barbie ko neeche ek hammer dikh gaya.


Barbie ne usse utha liya aur aage badhne laga, Barbie seedhe roof top per chala gaya, Uske upar ate he andar ek red light chal gayi, Barbie ne ek baar usse daikha aur seedha ho gaya.


3eb42de7ed68e6ffe6cfec6178f8cea9.gif

“You came?”


Barbie ke roof top per ate he ek awaaz wanha goonjne lagi, Ye ek ladki ki awaaz thi, Lekin raat ke andhere aur red light usse khofnaak bana rahi thi, Lekin Barbie bilkul shaant khara huwa tha.


Barbie: You called!


*Laugh*


“Aur ye hammer kyu? Tumhe lagta hai ke ye hammer help kare ga?”


Barbie: Better than nothing! I think?


*Swoosh*


Barbie abhi baat ker he raha tha ke ek bada pathar Barbie ki taraf aya, Barbie ne usse apni taraf ate daikhte he apne haath me pakade hammer se usse tod diya.


Barbie: See? Kuch kaam ka to hai na ye?


Barbie ne muskurate huwe kaha uski taraf aur bhi pathar ane lage, Lekin Barbie unhe easily dodge karte huwe nasht karne laga.


Barbie un sab pattharo ko bohat dhayan se daikh raha tha, Uski nazre un ki speed ke flow ko daikh rahi thi, Kuch he pal ke baad uske chehre per muskan aa gayi.


Barbie: Gotcha!


*Ka-boom*


Barbie ne hammer ko ek deewar ki taraf phaink diya, Hammer deewar me chhed karte huwe aage chala gaya, Deewar ke peeche he Barbie ko 2 aankhe dikh gayi.


*Huh?*



Ladki ko kuch bhi samajh nahi ayi, Lekin jab usne saamne Barbie ko daikha to usse samajh aa gayi, Ladki ne haath uthaya to uske saath deewar ke tukre uth gye.


*Grooowwwwrrrrr*


Ladki kuch ker sakti uske pehle he uske upar se ek unchi dahad ki awaaz aa gayi, Usne upar daikha to uski aankhe khul gayi, Uske upar ek shadow monster tha aur wo usse pakadne ko tha.


ff173b6743cd9597084952ecdcd3a490.jpg

Ladki: I surrender!


Uske kehte he monster ruk gaya aur uske peeche se Barbie ke hansne ki awaaz ane lagi, Ladke usse gusse se daikhne lagi.


Barbie: Kya laga tha? Player ban ker mujhe hara do gi? Ms.Hannah!


Hannah: Bhayia! Ye to cheating huwi na? Ap ko kaise pata chala ke main yanha hu?
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update 5K words ka tha, Start ke kuch Updates sirf setup ke liye he hai ye ap samajh sakte ho, Lekin phir bhi ye update bohat zaroori tha to dhayan se padhna, Target hamara wohi hai 90 likes ka, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Jaha tak mujhay yaad hai Hannah ke aage green dot thaa aur woh Arav ko pehchan gayi thee.
 

Rajesh

Well-Known Member
3,792
8,132
158
UPDATE 7 ~
(LAST WORDS)



“Urvi!!! Mujhe pata hai tu iss waqt bohat zada dar rahi ho gi shayad tu iss waqt apne ansoo apne andar samete khud ko rone se rok rahi ho gyi, Main samajhta hu ke tu kaise khud ko sambhale huwe hai iss waqt agar teri jagha main hota aur tu ghar wapis na ati to main bhi kuch aise he hota.




5 Din ho chuke hai mujhe aise gayab huwe, Kisi ko kuch samajh bhi nahi aa rahi ho gyi ke mere saath huwa kia hai? Shayad tu bhi Vishwas nahi kare gi agar Manohar Uncle ne khud wo sab na daikha hota, sach kahu to ab tak main bhi kuch samajh nahi saka hu uss waqt to yun tujhe Akela chorrne ke dar se kuch samajhne ki halat me bhi nahi tha main, aise yun he mujhe meri duniya se la ker kisi aur duniya me bhej dia gaya tha.



Lekin jab mujhe ehsaas huwa ke main zinda hu to mere Mann me sab se pehla khayal kisi tarha tere paas wapis jaane ka aya tha, lekin kis tarha ye mujhe nahi pata tha tabhi mujhe kuch log mil gye jin ko daikh mujhe ek umeed ki kiran nazar ayi ke shayad main wapis ja saku.



Un se mil ker mujhe pata laga ke main Prthvee per hu he nahi main kisi Alag he duniya me tha jahan hamare andar ek system tha jis ki madad se hum aise kaam ker sakte hai jo kisi Sadharan insaan ke liye lagbhag asambhav he hai.



Lekin iss se pehle main yahan se nikalne ke baare me kuch jaan sakta uss se pehle hum per kuch bhediyo ne Attack ker dia wo koi sadharan bhediye nahi the wo iss magical duniya ke bhediye the, jab hum un se apni jaan bachane ke liye bhaage to main bakiyo se alag ho gya jahan main ghayal ho gya.



Mujhe uss waqt apne akhri lamhe lag rahe the wo lekin jaise aj tak aise sab halato me tu mere saath khari rahi usi tarha uss lamhe jab sab umeede toot chuki thi tab mujhe mere saamne tu dikhi, Main janta tha ke tu wahan nahi hai lekin uss ek jhalak ne mujhe ghayal hone ke bawajood khare hone ki himmat di.



Bus phir uss ek jhalak ke baad main ne baki sab cheezo ke baare me sochna band ker dia mere liye kuch aur important nahi tha, Mujhe bus har halat me tere paas waapis ana tha kiu ke agar na ata to tere me churail ne jo aa jana tha.


(Aarav Arya! Agara tum apni Mann mani karne chahte to aisa he sahi! Per yaad rakhna mujhe mera bhai bilkul sahi halat me wapis chahiye, Tumhe jo karna hai karo per ant me hamesha mera bhai mujhe mere paas chahiye.)



Hahaha! Abhi bhi tere ye shabd mere kaano me sunayi de rahe hai, Bus teri kahi baat ko pura karna ke liye main ne apni puri himmat jutai aur apne saamne khari sab mushkilo ka saamna kia, phir mujhe kisi cheez se farak nahi per raha tha uss waqt agar yamraaj bhi mere saamne hote to main un se bhi bach ke nikal sakta tha.



Aur jab sab kuch khatam huwa to mujhe thora hosh aya pehli baar main ne kisi ki jaan li thi chahe wo ek janwar he tha lekin wo dard bardasht se baahir tha, Wo bhi kisi ki umeed thi jis ko main ne un se cheen lia tha main dobara moat ke darwaze per tha jab mujhe wo mila (Alpha)



Uss ke saamne khare hone se he kisi ki ruh tak kaanp jaye wo mere saamne marne ke baad khara tha, Mujhe laga ke wo shayad badla lene ke liye aya hai per baahir se itna khonkar dikhne wala janwar andar se bilkul toota huwa tha.



Tere baad wo pehla tha jis ne aise mujh per vishwas kia aur bakiyo ki umeed ki roshni mujhe thama di, Uss jagha main akele survive nahi ker sakta tha mere saath dene wale bohat se log the.


Meri himmat barhane wali tu, Mujhe larne ki takat dene wala wo insaan jo apno se dhoka kha ker apni akhri lamho me meri madad ker gaya, Alpha jis ko bachane ki khatir uss ke wolves mujhe mere saath aye logo ke paas le gye.


Aur akhir me Isabelle agar wo na hoti to main puri larayi larne ke baad bhi haar jata, Aur shayad wo meri first kiss bhi thi (😳) uss bechari ne to mujhe bachane ke liye mujhe kiss ki thi, Lekin yahan single main jis ko duniya ka koi khayal he nahi bus uss lamhe me dooba raha, Abhi tak Na he main use Sukriya keh saka Na he maafi maang saka.



Uss ke baad 6 log jo ek dusre ko jaante bhi nahi the unho ne saath mil ker yahan se nikalne ke liye ek dusre ka saath dene ka faisla kia, Sab ke andar dar tha lekin wapis ghar jaane ki chahat bhi jis ki khaatir wo sab chal diye ek adventure per alag alag cheeze experience karne ke liye.


Daisuke Takahashi ye pehle vyakti the jin se main yahan ane ke baad mila tha, Ye hamari team ke leader hai aise leader jin ko follow karne ka mann karta hai chahe jaise bhi halat kiu na ho Daisuke ke hone se mushkilo me bhi dar nahi lagta, Jab wapis aao ga to tumhe in se zaroor milwao ga



Andrew bhi daisuke ki tarha khud se pehle hamare liye sochta hai ek bahadur insaan jo kisi ko bachane ke liye khud ki jaan dene se pehle bhi kabhi na soche in 5 dino me ye hamare liye ek kawach ki tarha the jo kisi bhi khatre ko hum tak ane he nahi dete hai, Bohat baar in se tere baar me bhi baat ho jati in ke bhi beti hai tere baare me sun ker wo teri apni beti se dosti karwana chahte hai.



Vansh ye bhi hamari team ka hissa hai jo meri tarha yahan aa ker phans gaya hai, Puri zindagi Aisho-Aram me guzarne ke baad aise halato me sab se zada mushkil isse ho rahi hai, Gusse wala hai lekin wo bechara bhi ab kia kare apne sab kaam servants se karwane wala larka yahan apni zindagi ke liye lar raha tha.



Kim Yoo-Jung iss ke baare me mujhe nahi pata, Larki to achi hai lekin kisi se baat nahi karti abhi tak hume apna chehra bhi nahi dikhaya, Lekin aisi mazboot larki main ne aj tak nahi daikhi Bohat baar to Daisuke bhi iss ki samajdari se heran ho jate hai.



Aur akhir me Isabelle hamari team ki healer, Uss waqt ke baad ab tak main iss se baat to nahi ker saka per mujhe pata hai ke Isabelle ek achi larki hai ☺️



In 5 dino me main ne tujhe bohat yaad kia hai, lekin ab jab main wapis aao ga to pehle se bhi zada mazboot ho ker wapis aao ga paiso ki fikar mat karna main wapis aa ker sab theek ker du ga, Aur tujhe yaad hai jab bachpan me jab Manohar Uncle ke dost Ghora laye the to tab main kaise uss ki savari karne se dar raha tha, Tujhe yaqeen nahi ho ga main ne......,”



“Aarav”



Aarav ke haath likhte likhte he ruk gye jab use apne paas kisi ki awaz ayi, Aarav ne foran saamne daikha to uss ke saamne Yoo-Jung khari huwi thi.


1dc048b6c15fa98d8a717bce7934ca9a.jpg

Aarav: Ap yahan? Ap to Daisuke ke saath Area explore karne gayi thi?



Aarav apni jagha se khara ho gya uss se kuch he dur Araam ker rahe Vansh aur Isabelle bhi Yoo-Jung ko daikh wahan aa gye.



Yoo-Jung: Main unhi ke saath thi Area explore karte huwe hume yahan se kuch dur Goblin Village mili hai, Hume daikhte he unho ne attack ker dia hum per!!! Daisuke aur Andrew iss waqt battle ke beech me hai hume wahan jana ho ga.



Yoo-Jung ne puri situation explain karte huwe kaha jis per sab ne hami bharte huwe nikalne ki tiyari shuru ker di.



Aarav: (Sigh) Huh! Baki ki storie baad me Urvi, Abhi ke liye mujhe jana ho ga, Come on Buddy it's time to do some work.


Aarav ne apni talwar utha ker apni jacket pehante huwe kaha aur nikalne ke liye chal dia.


****

*Thud*


Andrew ne apni haath me pakri Bari shield ko ghoomate huwe Goblins ko maar di jaise Cricket me ek bat ball ko hit karta hai waise he Andrew apni shield se goblins ko hawa me dur phenkta ja raha tha.



Har goblin ki body shape insaano ki tarha he thi lekin wo hare rang ke the sab Goblins 4 Feet se 4'5 ke beech thi, Un ke haatho me bhi Sword, Bow Arrow aur Spare jaise Weapons the, Andrew ke paas iss waqt 100 ke kareeb F Rank Goblins the.

e2bb030be6ae3f5bb2530990754b2f12.jpg


Andrew ne apni shield ko apne haath me pakra aur apni Kamar me lagi Flail ko baahir nikal lia, Ye spikes wali double ball Flalil thi jis ko Andrew ne ghoomana shuru ker dia.



Jaise he Andrew ne ek Goblin ko apne paas ata daikha uss ne apni Flail se seedhe uss ki chin per hit ker dia, Flail me lage spikes goblin ke chin ke andar ghus gye aur wo goblin hawa me kuch feet uth ker neeche zameen per gir gaya, Uss ka Green color ka khoon wahan behne laga aur wo wanhi Marr gaya.


*Swoosh* *Booom*



Andrew ne Chance milte he Hawa me jump maar dia aur apni shield ko apne neeche ker dia, Andrew seedhe goblins ke upar tha aur uss ke saamne uss ki Bari aur bhaari shield thi jo neeche ayi to apne neeche 8 Goblins ko daba ker maar dia.



Andrew tezi se neeche zameen per ghooma aur dobara khara ho gya, Wo jaise he khara huwa use saamne se goblins apne haatho ne weapon liye uss per Attack karne ate dikhe.



Andrew ne apni shield se khud ko defend karte huwe un ki taraf bhaagte huwe aoni shield se un goblins ko push karne laga, Lekin wahan bohat zada goblins the jin ke beech me Andrew tha.



Andrew ko busy daikh kuch aur goblins ne uss ki side se uss per Attack karna chaha per Andrew ne uss puri shield ko apne ek haath se pakra uss ke uss ek haath me bohat zada power aa gayi jis se wo itni bhaari shield ko ek haath se utha paa raha tha.



[Ability (Strength Focusing) Activated]



Ability ko activate karne ki wajha se Andrew apne haatho per apni strength focus ker raha tha, Apne side se ate goblins ko apni Flail ki madad se un ko apne paas ane se pehle he wanhi Maar gira raha tha Andrew.


Lekin ek saath 2 taraf focus karne ki wajha se Andrew apni baki body ko defend nahi ker paa raha tha, Uss ke peeche se kuch Goblins ne apni Swords ko uss ke andar ghusana chaha, Andrew ko wo apni taraf ate mehsoos to ho gye lekin yun Achanak position change karne ka load uss ki body nahi le sakti thi.



Wanhi strength Focusing ki wajha se uss ki baki body ki movement aur power kam ho gayi thi, Matlab agar goblins ka attack use hit karta to wo use bardasht nahi ker sakta tha.



*Swoosh*



Andrew ki nazar un peeche se ate goblins me upar gayi to un ke peeche he hawa me apni dono Swords pakre ghoomte huwe Daisuke ne apne saamne ke goblins ko beech se kaat dia.


6c679f2751f3c60c7ba854c809b64980.gif

Daisuke ke paon jaise neeche zameen se lage uss ne apni position change karte huwe goblins ko apni swords se cheerne laga, Har taraf khoon uchal raha tha goblins ke kuch attack Daisuke tak bhi aa rahe the lekin uss ke Pehne Armor ki wajha se use koi bhi zada serious injury nahi huwi thi.

dbe4c3f78eed3de39dae0d257e74fbac.gif


Lekin phir bhi 30 ke kareeb Goblins ko kaatne ke baad Daisuke ka stamina jawab dene laga, Wo Uchalte huwe Andrew ke peeche uss se Peeth jore khara ho gya.



Daisuke: (Panting) Yahan akele ane ka faisla sahi nahi tha!!!



Andrew: (Chuckle) Kuch zada he bara Shair maan lia tha tum ne khud ko!!!



Daisuke: (Grin) Aur kia he karta main? Leader hone ke bawajood mujhe apni team ke ek member se madad ki umeed lagani par rahi thi!!! Agar aise he chalta to main shayad apne sab khatro se nikalne ke liye uss ki madad ki umeed ka adi ho jata.



Andrew: Can't argue with that!!! Uss me kuch to baat hai, Hum aise peeche nahi reh sakte hume aur bhi strong hona oare ga, Lekin abhi ke liye shayad hume sach me uss ki zaroorat hai.



Andrew ki baat sahi thi wo aur Daisuke dono thak chuke the chahe wo zada ghayal nahi the lekin bilkul achi halat me bhi nahi the, Wo aise he larte to wo zada waqt tik nahi sakte the.


Daisuke: (Sigh) Sahi keh rahe ho!!! In goblins ke baad in ka ek aur group bhi hamara intizaar ker raha hai shayad wahan 150 se zada hai.


Daisuke ne jungle ki ek taraf ishara karte huwe kaha jahan uss ne kuch aur goblins ko spot kia tha, Lekin wo iss halat me nahi the jahan wo unn se larne ka soch pate.


“Raasta banao”



Unhe khud se dur se awaz ayi to unhe wahan Isabelle khari dikhi, Uss ke aage Vansh apne haath me ek bara spare pakre un goblins ko hatate huwe Isabelle ke liye raasta bana raha tha, Vansh ke gird ek aura ban raha tha jise daikh Andrew aur Daisuke ko samajh aa gayi ke Isabelle ne Vansh per boost Ability use ki hai.



Yahan se Andrew aur Daisuke ne bhi apni taraf se raasta banana shuru ker dia aur un ke paas chale gye, Jaise he wo ek jagha pohanch gye to Isabelle ne aage barh Daisuke aur Andrew ke haatho ko pakar lia.




[Ability (Healing Ability) Activated]




Isabelle ke haath ko thamte he un ke Zakhm bharne lage aur un ki HP restore hone lagi, Kiu ke kuch bhi zada serious nahi tha iss liye Isabelle jald he dono ko fully heal karne me kamyaab ho gayi.



“Thanks”



Andrew aur Daisuke dono ne Isabelle ko shukriya kaha aur apne weapons seedhe karte huwe dobara larne ke liye tayar ho gye.



Daisuke: Wo kahan hai????


Daisuke ne Isabelle ki taraf daikhte huwe pucha Isabelle bhi samajh gayi ke wo kis ke baare me puch raha hai “Aarav”, Isabelle ne usi taraf ishara ker dia jahan Daisuke ne kuch waqt pehle ishara ker ke Baki goblins ki location di thi.



Daisuke ne us taraf daikha to use dur se kuch Demon Wolves bhaagte dikhe, Un me se ek Demon Wolf ke upar Aarav apne haath me Sword liye baitha huwa tha, Uss ke saath Yoo-Jung baithi huwi thi apne Bow me arrow set ker ke.



Daisuke: (Grin) Seedhe Action per!!!


Daisuke ne muskurate huwe kaha aur apni swords per pakar mazboot ker ke Goblins per toot para, Uss ke saath Andrew bhi shuru ho gaya Andrew Goblins ko block karta aur Daisuke use assist karte huwe un ko wanhi maar girata, Peeche Vansh Isabelle ke paas khara use defend ker raha tha kisi bhi goblin se jo un dono se bach ke Isabelle ki taraf ane ki koshis karta.


Wanhi dusri taraf Aarav Demon wolf ke upar baitha baki Goblins ke group se larne ke liye ja raha tha, Uss ke saath aur bhi 7 Demon wolves the, Aarav ko apne saamne Goblins dikhne shuru ho gye jo bohat zada the.


Aarav ne peeche baithi Yoo-Jung ki taraf daikha to us ne haan me Nod ker dia, Aarav Demon Wolf ke bhaagte huwe he beech me utar gaya aur un se dusri taraf ke Goblins ki taraf bhaagne laga.




[Unique Ability (Will to live) Activated]



[Current Progress (9.2%)]


[Fear Decreased -95%]


[Endurance Increased +30]


[Intelligence Increased +30]


[Strength Increased +30]


[Stamina Increased +30]


[Agility Increased +30]


[Sense Increased +4]


[All stats return to normal after the Unique Ability (Will To Live) deactivated]



[Remaining time: 14 Minute 38 second]




Apni Unique Ability activate ker ke Aarav tezi se bhaage laga, Kisi ko apni taraf ata daikha to wo bhi apne Weapons nikal ker khare ho gye, un me se kuch ne Arrows chalaye jis ko Aarav ne Araam se dodge ker lia.



[Skill (Slash) and Sword Ability (Triple Slash) are being combined together]

[The combination was successful]


[You can now use skill (Perfect triple slash)]



Aarav ke saamne Notification aye jise parh wo muskurate huwe Goblins ki taraf aur tezi se bhaagne laga, Goblins ke paas jaate he Aarav ne apni Sword ko Use kia saamne khara goblin 2 tukro me Cut gaya.



Lekin Aarav ruka nahi uss ki Sword aage barhi aur 2 aur attack ke saath 2 aur goblins ko wanhi kaat giraya, Aarav ki Skill combine hone ke baad aur bhi zada powerful ho gayi thi.

aac25ab8c6fa7fd7d7794f3fc2448932.gif


Aarav pehle se bohat badal chuka tha ab wo use pata tha ke wo kia ker raha hai, Wo sab cheezo per dhayan dete huwe aage barh raha tha, uss ki situation ko samajhne ke raftaar tez ho gayi thi aur wo pehle he apna next move tayar ker ke attack ker raha tha.



Uss ke larne ke andaz se pata chal raha tha ke iss kam waqt me wo kitna kuch naya seekh chuka hai, Wanhi Yoo-Jung bhi Wolf ke upar baithe Goblins per arrows shoot ker rahi thi.




Yoo-Jung ab ek saath 3 arrow shoot ker oa rahi thi uss ki shooting speed bhi barh chuki thi, Khud se dur sab Goblins ko wo Arrow se maar rahi thi wanhi uss ke paas wale goblins ko Demon wolf sambhal raha tha.



Demon Wolves E Rank beast the wanhi goblins sirf F Rank beast the, Ek Demon Wolf akela 10 Goblins ko sambhalne ke liye kafi tha.



Lekin Goblins bhi itni Asaani se haarne wale nahi the, Wo Shakti ka saamna apne numbers se ker rahe the ek demon wolf ko 20 Goblins ne gher lia, Wo lar to paa raha tha lekin chaaro taraf se hota har attack wo dodge nahi ker paa raha tha, Goblins use kanhi bhaagne bhi nahi de rahe the.



Wanhi Aarav ne 1 Minute ke andar 30 ke kareeb Goblins ko maar giraya tha, Uss ne jab Demon wolf ko khatre me daikha to uss ne Apne kadam uss taraf barhane chahe.



“Rooaaarrrr”



Ek Unchi dahar ke saath Demon Wolf jis per Yoo-Jung savar thi wahan aa gaya aur ek ek ker ke goblins ko cheer pharne laga, Goblins ko maar wo uss Demon Wolf ke aage khara ho gya jaise uss ko protect ker raha ho.

890eb56919c88b98df4fcc46c48eb555.jpg

Ye daikh Aarav heraan ho gya kiu ke uss waqt uss Demon Wolf se same Alpha wali feeling aa rahi thi, Jaise jab Aarav ne zakhmi Demon Wolf se battle start karna chaha tha to Alpha uss ke saamne aa ker khara ho gya tha.


Use daikh Aarav ne apni chaati per haath rakha wo apne andar Alpha ki powers ko mehsoos ker sakta tha, Lekin wo ye samajhta tha ke wo Alpha ki jagha nahi le sakta.


Jis tarha wo apne Saathiyo ki hifazat karta Aarav waise nahi ker sakta tha, Aarav ko abhi bhi Alpha ka past yaad tha jo wo Alpha ko Devour karne ke baad daikh saka tha.


4 Days Ago


[Do you want to see Demon Wolf Alpha's Memories]


[
YES ~ NO]



Aarav ne Alpha ke saath us ki Memories ko bhi le lia tha use Chance mil raha tha Alpha ki memories ko daikhne ka, Uss ne bina jijhak ke Yes per touch ker dia, Wo akhir kaise uss ka Past na daikhta jo apna sab kuch use de chuka tha.



****


*Grrooowwwrrrr*

*Rooaaarrrr*


*Grrrrr*


*Kaboom*


“Har taraf jung ki awaze pheli huwi thi Junglee ke sab Janwar ek dusre ko cheer phaar rahe the, Iss duniya ka ye he asool tha Kamzoor takatwar ka sirf khana banta tha, Iss duniya me insaan nahi the agar the to sirf Beast aur inhi Beast me tha Alpha.



Tab Alpha baki Demon Wolves ki tarha ek sadharan Demon Wolf tha, 30 Saal pehle unho ne apna Alpha kho dia tha jis ke baad wo yahan sirf survive karne ke liye larte aa rahe the.



Uss duniya me Demon Wolves ki intelligence baki Beast se zada thi, Wo cheeze samajh sakte the aur soch sakte the jis ki wajha se wo bakiyo ke liye sab se bara khatra the.



Iss liye Aj Demon Wolves aur baki Beast ke beech ek jung chir chuki thi, Demon Wolves ka number tezi se kam ho raha tha apni prajati ko yun marta daikh baki Wolves aur bhi khoonkar ho gye.



Wanhi Alpha kisi ko maarna nahi chahta tha wo sirf iss jung ko khatam karna chahta tha, Lekin baki jaise aj faisla ker ke aye the ke wo Demon Wolves ko puri tarha khatam ker ke he jaye gye.


Raat ka andhera huwa sirf kuch Demon Wolves he bache the jo ek jagha chupe huwe baithe the, Sab apna gussa bardasht kiye chupe huwe the wanhi Alpha apne itne wolves khoone ke baad nirash huwa baitha tha.


Ab Uss ke paas aur koi raasta nahi tha ab apni zindagi bachane ke liye use larna he pare ga, Lekin iss baar ka attack wo defend nahi karne wale the ulta lead karne wale the.



Kuch waqt ke andar he baki beast ne Demon Wolves ko dhoond lia, Apno ko bachane ke liye Alpha sab se aage ho gya uss ko daikh bakiyo me bhi josh ane laga sab larne ke liye tayar ho gye.



Alpha ke saamne iss waqt ek vishaal danav khara tha lekin uss ke andar dar khatam ho chuka tha, Uss ne seedha us ke upar attack karte huwe uss ke upar charh ker apne Claws se uss cheer dia.



Khoon me dooba Alpha uss waqt sab ko un ki moat ke khatre ka ehsaas karwa raha tha, Baki Wolves ne bhi attack karna shuru ker dia lekin iss baar wo apni intelligence ko Use ker rahe the aur samajhdari se Attack kar rahe the.



Uss waqt Alpha ko apne andar ek Oorja mehsoos huwi jo uss ne pehle kabhi mehsoos nahi ki thi, Lekin wo jaise jaanta tha ke ise kaise istemal karna hai apni puri oorja ko apne muh me ek jagha ikathi karte huwe Saamne ki taraf shoot ker dia.


*Kabooom*


Jahan Oorja ka bana wo Gola gira tha wahan ek zordar dhamaka huwa aur wahan khare sab Beast ka Naamo nishaan khatam ho gya, Sab Beast wahan se bhaagne lage lekin ab Wolves ke muh per khoon lag chuka tha wo un ke peeche bhaagne lage aur ek ek ko pakar ker maarne lage.



1 Maheene tak wo issi tarha wahan ke sab beast ko maarte rahe, Lekin iss me unho ne apne bhi bohat se wolves kho diye the jis ka Alpha ko abhi bhi bura lag raha tha, Tabhi wahan ka Mosam badalne laga har taraf tez hawaye chalne lagi aur un ke saamne kuch hawa me ane laga.



[########These memories are not accessible to the player########]


(Aarav ke saamne Notification aya aur uss ke saamne andhera cha gaya, Lekin agle he pal use dobara memories dikhne kagi lekin beech ki memories gayab thi)




Alpha ne apni ankhe kholi to wo kisi barfeele Area me tha, Uss ke saath baki Wolves bhi the Alpha ne apni Oorja se jagha ko Scan kia to use apne kareeb koi bhi Beast mehsoos nahi huwa jise wo janta ho.



Sab Demon Wolves heraan the, Lekin Alpha samajh chuka tha ke wo kisi aur duniya me hai lekin iss cheez se wo udaas nahi tha ulta khush tha, Apne baki Demon Wolves ke saamne wo ek pathar per khara ho gya.



Sab Demon Wolves heraani se use daikh rahe the, Kiu ke Alpha ki ankho ka rang badal chuka tha Laal chamakti ankhe jo sirf ek Alpha ki hoti hai, Sab apne naye Alpha ke sawagat me Roar karne lage.



Alpha ne iss Nayi duniya me Apne pack ke saath ek alag Zindagi jeene ka faisla kia, Alpha ne us territory ko apna bana lia lekin wahan ke White Bear jo pehle se wahan tha wo iss se khush nahi tha.



Uss ke aur Alpha ke beech ek bohat bara battle huwa jis me dono me se koi Mara to nahi lekin White bear ko Alpha ki power ka Andaza ho gya jis ki wajha se wo bina wajha Alpha se ulajhne se katra raha tha.



Alpha ki wajha se koi bhi un per attack nahi karta Jis ki wajha se Demon wolves wahan apni sakoon bhari zindagi guzaar rahe the, Alpha hamesha un ke saamne kawach ki tarha khara tha jis ki wajha se unhe kisi se koi dar nahi tha.



Un ke dil me Apne Alpha ke liye bohat zada respect ho chuki thi, Aise he wo wahan 100 saal tak rahe un ke bache bhi huwe aur dobara apni prajati ko barha ker wo ek bara pack ban chuke the.


Lekin jaise Mushkile hamesha nahi rehti waise in khushi ke waqt ko bhi guzarna tha, 100 Saal baad Alpha ko bimari ho gayi jo ek Umar ke baad Har Wolf ki moat ki wajha banti thi.


Apne Alpha ko kamzoor daikh baki Demon Wolves ne use bachane ka faisla lia, Usi waqt me wahan ajeeb se logo ne bhi ana shuru ker dia jin ko wahan se bhaaga ker wo apne Alpha ko bachate.



Lekin Alpha ko pata tha wo zada waqt zinda nahi rehne wala, Use sirf iss baat ki fikar thi ke uss ke baad bakiyo ka kia ho ga, Alpha ko khud nahi pata tha ke uss ke paas itni takat kaise ayi hai jis ki wajha se wo kisi ko Alpha bhi nahi bana sakta tha.




*Oowwwoooo*


Ek din jab Alpha apne den me Araam ker raha tha use apne ek Demon Wolf ki Howl sunayi di, Bina kuch aur soche Alpha apni puri Raftaar me uss Howl ki taraf bhaagne laga, use pata tha ke ye howl White Bear ki jagha se aa rahi hai iss liye wo larne ko tayar tha.


Alpha wahan pohancha to uss ne daikha uss ke pack ke bohat se Demon Wolves apni jaan gawaye Ice spikes per latke huwe the, Ye daikh Alpha ko gussa aa gaya aur dobara uss ke andar uss ki aoni duniya ka Alpha ane laga.



Uss aura me Bloodlust jhalak rahi thi, Alpha seedhe neeche chala gaya jahan use ek insaan dikha jo buri tarha ghayal apne akhri lamho ko jee raha tha.


Lekin Alpha ko uss se koi matlab nahi tha uss ka Enemy White Bear tha, Aur wahan 100 saal pehke khatam huwi larayi dobara shuru ho gayi Alpha Kamzoor ho chuka tha lekin itna nahi ke wo haar jaye.


Akhir me White Bear gir gaya lekin wo apne paas ek trap bicha chuka tha, Agar Alpha uss ke paas jaane ki koshis bhi karta to wo White bear ke bichaye trap me phans jata, Kuch aur demon Wolves mar chuke the aur jo bach gye the wo apni akhri saanso per the.


Alpha khud bhi Exhaust ho chuka tha bimari ki wajha se uss ka stamina bohat zada kam ho gya tha, Lekin agar alpha relax karta to White Bear uss per surprise attack ker sakta tha, Lekin tabhi jaise use uss ka hal mil gaya ho



Wo insaani larka ek Demon Wolf ke saamne khara tha aur uss ke haath me ek battle stone tha, Alpha uss stone ko pehchanta tha use uss ke baare ne sab kuch pata tha.


Uss larke se koi blood lust mehsoos nahi ho rahi thi Alpha ko, Wo larka sirf wahan se nikalna chahta tha lekin Alpha ke paas bhi sirf ye he chance tha iss liye jaise he uss larke ne stone ko uss Demon Wolf per use karna chaha to Alpha uss ke saamne aa gaya aur uss ka Opponent ban gaya.



Alpha koshis ker raha tha wo jaldi se uss larke ko na maare aur apna Stamina wapis laa sake, Iss liye Alpha uss per soft Attack ker raha tha lekin Achanak wo larka badal gaya uss ke andar kuch tha jo use push ker raha tha darne ke bawajood wo wapis khara ho raha tha.



Alpha use samajh sakta tha shuru me Alpha bhi to aise tha khud ko har halat me push karna jis ki wajha se wo takatwar ho saka tha, Lekin Alpha ko abhi marna nahi tha use White Bear ko maarna tha jis se uss ke baki Wolves per se ek khatra khatam ho jaye.



Lekin wo larka ye mushkil bana raha tha jis ko Alpha Kamzoor samajh raha tha wo Alpha ke liye ek difficult opponent ban chuka tha, Alpha ne apni Oorja se uss per Attack kia per wo uss Attack se bhi bach gaya.



Agar ye lamba chalta to wo larka aur bhi takatwar ho ker Alpha ko maar girane wala tha, Iss liye Alpha ne ye yanhi khatam karne ka faisla lia aur uss larke per apna Final attack karne ke liye bhaaga.


Alpha jaise he apne Final attack karne ke liye kuda use apne neeche wo spike nikalti mehsoos huwi, White Bear ne moka milte he Surprise attack ker dia tha.


Alpha use dodge karne wala tha lekin ek khayal ne use wanhi rok dia, Wo iss waqt battle stone se shuru kiye gye battle me tha aur White Bear uss me interfere ker raha tha, Agar Alpha ko uss ke interfere karne se kuch bhi hota to Curse ki wajha se white bear mar jata.


Ye khayak ate he Alpha wanhi ruk gaya aur Spike ko apne andar ghusne dia, Alpha ne dobara Oorja ikathi karni shuru ki lekin uss se pehle he uss larke ne apni sword se ek aur vaar ker dia.



Uss ek pal me wo larka bilkul koi alag insaan he ban gaya tha aur Alpha apne sar ko apne dhar se alag hote mehsoos karta raha, aur agle he lamhe wo apne sar ko kho chuka tha.


Lekin ye bhi uss ki saajish thi, Uss larke ke neeche girte he Alpha ne apni akhri Ability use ki jis ki madad se kisi ki body ko apna bana sakta tha, Use bus ek alag Space me uss Larke se jeetna tha, Alpha uss larke ki body me ghus gaya aur uss ki spririt ko le ker alag space me chala gaya.



“Bahir nikalo! Bahir nikalo mujhe yahan se, Koi hai kia yahan? Daisuke, Andrew koi meri awaz sun raha hai kia?”



Alpha ko uss larke ki pareshani bhari awaz sunayi di, Alpha ko uss ke liye bura lag raha tha uss bechare ki to koi galti bhi nahi thi lekin Alpha bhi apni jagha majboor tha, Alpha ko uss larke aur apne Saathiyo ke beech kisi ek ko chunana tha.



Wo kisi chunane wala tha ye use ache se pata tha, Lekin wo phir bhi uss larke se aise zindagi cheen nahi sakta tha iss liye Alpha ne uss larke ko ek akhri moka dia.



Agar uss larke ki zinda rehne ki chahat sach me Alpha se zada thi to use Alpha se jeetna ho ga, Ye Alpha ki banayi space thi jahan Alpha se jeetna Na-Mumkin tha, Alpha ne use challenge dia aur shuru ho gya uss larke ki body ko apna banane ke process me.



Alpha mehsoos ker paa raha tha ke wo uss ki body ko apne control me ker paa raha hai, Achanak uss larke me khud Alpha ko apne andar kheenchna shuru ker dia, Alpha ko jahan tak pata tha yahan ye sab nahi hone wala tha, Alpha khud ki banayi Space se control khone laga aur tabhi uss ke saamne ek screen khul gayi.

081b1257e8e1273b56b06c23d5fc406a.jpg


Screen per kuch likha tha Alpha parh nahi sakta tha lekin phir bhi use samajh aa raha tha ke uss ka matlab kia hai, Alpha abhi tak ye samajh raha tha ke uss ki puri takat uss ke saath he khatam ho jaye gi bina aage kisi ko uss se faida diye.



Lekin ab baazi palat chuki thi, Alpha apni powers aage barha sakta tha, Lekin kia ye sahi faisla tha? Kia ye Aarav uss ki jagha sambhale ga?


Bohat se sawal the lekin Alpha ne un ke baare me nahi socha, Aj tak uss ki puri life main wo bina samjhe seedha chalta raha hai usi tarha aj bhi uss ne future kismat ke bharose chorr dia aur Aarav ko apna successor banane ke liye haan keh dia.


Alpha ko apne andar se power khatam hoti mehsoos hone lagi, Aarav ko takleef me tarapta daikh Alpha ne apni 90% Powers Seal ker di jo Aarav ki growth ke saath Unseal hoti rahe gi.”


****


Aarav ne Alpha ki puri memories daikh li jis me kuch memories use daikhne nahi di gayi, Lekin Aarav samajh chuka tha ke ab wo in Demon Wolves ka Naya Alpha hai.


Aarav abhi ye zimedari nahi nibha sakta tha iss liye uss ne Unhe Azaad karna chaha per Demon Wolves uss ko chor ker ja he nahi rahe the.




[Player has unlocked a New stat (Senses) 3]


[Player's HP&MP Restoration speed increases by 120%]


[Player can now command Demon Wolves]



Aarav ko bohat se aur bhi Notification aye jis me uss ko ek naya Stat bhi mila Sense, Aarav ne Daisuke ko bataya to Daisuke ko bhi uss baare me nahi pata tha, Daisuke ne Aarav ko stat me Points add karne ko kaha.


Aarav ne sense me 18 points invest kiye to wo 3 se barh ker sirf 6 per gayi, 6 Point se Senses ka 1 number he barha tha, Daisuke ne abhi ke liye uss ka status bakiyo se chupane ko kaha kiu ke Abhi tak uss ne Aarav ke jaisa Status kisi ka nahi daikha tha.



Jahan kisi ke paas ek Unique Ability bhi nahi thi wanhi Aarav ke paas 2 Unique Ability thi jis me se ek to uss ne khud banayi thi.



Jab Demon Wolves ne Aarav ka saath nahi choora to Daisuke ne Aarav ko Demon Wolves ko Command dene ko kaha, Command ye tha ke Demon Wolves sab ko apne upar savar ker ke Quest Area tak le ker jaye.



Aarav ye sun ker heraan huwa per uss ne Daisuke ki baat maan ker command de dia, Jis per Demon Wolves neeche baith gye jis se sab un ke upar baith sake, Aarav ko Demon Wolves ko Command deta daikh sab ka muh khula ka khula reh gaya.



Daisuke ne sab convince kia aur Demon Wolves ke upar baithne ko kaha pehle to sab dar rahe the, Lekin jab Daisuke ne unhe akela chorr ke jaane ka kaha to sab ne uss ki baat maan li.



Andrew aur Vansh ek saath baith gye Daisuke aur Isabelle ek saath baith gye Aarav aur Yoo-Jung ek saath baith gye, Aarav ne 8 Demon Wolves ki ilawa bakiyo ko wanhi intezar karne ka keh dia.



Demon Wolves ki speed kisi Sports car se bhi zada tez thi, Aarav sab se pehle baki sab ko wanhi White Bear ke paas le gaya jahan Aarav ne uss kankal ko dafnaya tha



Wahan se Aarav ne baki ka Samaan bhi utha lia, Uss Bag me se bakiyo ne bhi weapons le liye ye sab High rank ke weapons the Vansh abhi ke liye sirf F Ya E rank weapon bana sakta tha level low hone ki wajha se lekin yahan se unhe high rank ke weapons mil gye.



Wahan se Magic Crystal collect ker Vansh se unho ne apne liye Armor banwa liye, Uss kankal ki book ki wajha se Vansh Armor easily ban gaya,





Now Present



Aarav ne jab apne saamne khare Demom Wolf ko dusre Demon wolf ko yun bachate daikha to use uss me Alpha dikhayi de raha tha, Shayad agar Alpha Aarav ko powers na bhi deta to Demon Wolves ke paas ek Alpha hona he tha jis ko Aarav apne saamne daikh paa raha tha



*Swisshhh*



Aarav ke peeche se ek Arrow aya jis per Aarav ne apna sar thora sa side per ker lia aur wo Arrow uss ke side se hote huwe zameen me ja ghusa, Aarav ne ye pehli baar nahi kia tha pichle 5 dino me unho ne aise 9 Village se larayi ki thi lekin har baar Aarav apne reflexes daikh ker heraan ho jata tha.


Aise Slow attack bhale he Surprise attack he kiu na ho Aarav unhe Araam se dodge ker leta tha, Aarav ghooma to wo jin Goblins ko chorr ker aya tha wo he uss per Arrow shoot ker rahe the



Aarav: (Smirk) Looks like you guys miss me a lot!!!



Aarav ne dobara apni Sword uthayi aur dobara shuru ho gya unhe maarna, Ye goblins village thi inhe maarne se Aarav iss liye nahi katra raha tha kiu ke 1 hafte baad yahan in se bhi zada goblin khare hone the




Aise he the Goblins in ki Life sirf 1 maheene ki hoti hai, Har Maheene marne ke 1 hafte ke baad ye dobara zinda ho jate the agar Aarav log inhe na bhi maarte ti ye ek dusre ko maar dete, Wanhi Aarav aur baki sab ko inhe maar ker Experience mil raha tha jin se un ka Level Up ho raha tha.



5 Dino me Aarav Level 17 per ja chuka tha, Wanhi Daisuke Level 9 aur Andrew Level 7 per tha, Lekin jis ne sab se zada Level up kia tha wo Yoo-Jung thi Level 12 per, Aarav to sirf Alpha ki wajha se itna Level UP ker saka tha wanhi Yoo-Jung ne apni mehnat se level up kia tha.


Vansh abhi tak Level 4 per tha wo larayi se dur rehne ki koshis karta tha, Wanhi Isabelle ek healer thi to us ko Level up karne ka bohat kam moka milta tha wo abhi level 3 per thi.



*Slash*


Aarav ne akhri goblin ko bhi kaat dia aur apni Sword ko wapis apni kamar per lagi sheath ke andar daal dia, aur wanha gire Goblins ke body se nikle Magic Crystal collect karne laga.



Sab Wolves bhi uss ke paas aa gye Magic Crystal Collect ker ke Aarav dobara khara ho gya aur unhe Wolf ke saath taange huwe Bag me daal dia, Ye wohi wolf tha jis per Aarav aur Yoo-Jung safar karte the.


Aarav ne pyaar se uss ke sar per haath phiraya to wo bhi Aarav ke haath ko chaatne laga, 5 dino me he Wolves ko uss se lagav ho gya tha.



“Suno!!!”


Aarav ko peeche se kisi ne pukara to uss ne peeche ghoom ker daikha, Uss ke peeche Isabelle khari huwi thi baki sab bhi wahan aa chuke the jo un se kuch dur he Crystal collect ker rahe the



Isabelle Awkwardly muskurane ko koshis ker rahi thi, Uss ko daikh Aarav bhi Awkward ho gya uss kiss ke baad dono ne baat nahi ki thi, Aksar un ki nazre ek dusre ko chupke se daikhte huwe mil jati jis per dono foran apni nazre ghooma lete.



Lekin aj Isabelle khud Aarav ko approach ki tha, Wo Aarav se baat karne ka faisla ker ke ayi thi lekin ab jab wo uss ke saamne khari thi to uss ke muh se kuch nikal he nahi raha tha.



Aarav: (Awkwardly) Hi!!!!


Aarav ne himmat ker ke Hi keh dia, Koi keh he nahi sakta tha ke ye insaan kuch lamhe pehle goblins ko kaat raha tha, Aarav apni nazre churate ja raha tha.


Isabelle: Woooo!!! Wo hamari uss din ke baad baat he nahi ho saki, Aisa nahi main baat karna chahti thi......Nahi, Nahi aisa bhi nahi hai ke main baat nahi karna chahti thi.....haan main baat karna chahti thi, shayad?



Isabelle kuch bhi bole ja rahi thi use khud samajh nahi aa rahi thi ke wo kia bole ja rahi hai?


Aarav: Calm Down!



Aarav ne Use Calm hone ka kaha to wo chup ker khari ho ker neeche zameen me nazre garaye khari ho gayi.


Aarav: (Sigh) Wo main bhi ap se baat karna chahta tha.



Aarav ne dobara himmar ker ke bola to Isabelle nazre utha ker uss ke chehre ko daikhne lagi, Use daikh Aarav ko Urvi ki yaad aa gayi wo bhi jab Aarav ko khud se baat karti daikhti thi to aise he uss ke chehre per nazre jamaye tuktuki bandhe daikhne lag jati thi.



Aarav: (Smile) Wo main ap se Maafi maangna chahta tha, Uss din Na-Jaane mujhe kia ho gya tha, Ap to bus meri zindagi bachane ke liye!



Isabelle: Nahi, Sorry mat kaho!!! sorry to mujhe kehna chahiye uss din pata nahi mujhe kia ho gya tha, But jab main ne tumhe kiss ki to main jaise nashe me doobne lagi thi, ek ajeeb se Attraction thi uss kiss me, Tumhare muh ka wo taste jaise mujhe madhosh kiye huwe tha aur main cumti rahi chumti rahi aur ooo.......



Isabelle josh me aa ker bolti chale gayi use khud Ehsaas nahi huwa ke wo kia bolti ja rahi hai aue jab use ehsaas huwa to sharam se uss ke gaal laal ho gye, Wo apne haatho se apne chehre ko chupane lagi.



Wanhi Aarav bhi sharam se paani paani huwe ja raha tha, Uss ne aj tak kisi larki se iss topic per baat nahu ki thi balke uss ne apni behan ke ilawa kisi larki se baat ki he nahi thi, Lekin aise kisi Larki se khud se huwi First kiss ke experience ke baare me sun ker Aarav ko bhi andar gudgudi hone lagi.


Aarav: Ap sharmaye mat!!! Hum aisa kiu nahi karte ke uss sab ko bhool ker aage barh....



Isabelle: Nahi!!! Main bhoolna nahi chahti.



Isabelle ne Aarav ki baat kaat ker kaha to Aarav ke muh per chupi lag gayi, Wanhi Isabelle bhi apna reaction daikh ker heraan ho gayi.


Isabelle: Galat matlab mat lena.....Agggghhhh.....Ye main kia bole ja rahi hu.



Isabelle khud se he frustrate hone lagi wo kia soch ker ayi thi ke apne aur Aarav ke beech ki awakwardness khatam kare gi lekin yahan ulta Awkwardness barhti ja rahi thi.



Wanhi uss ka bachpana daikh Aarav ko hansi aa gayi, Isabelle bhi Urvi ki tarha ki he thi khud se baate ker ke khud he frustrate hone wali, Aarav ko yun hansta daikh Isabelle pehle to use daikhti rahi, Aarav ko hansta daikh uss ki Awkwardness kam hone lagi aur wo bhi khud per hansne lagi.



Isabelle: Huh!!!! Ab meri baat suno, main nahi chahti ke hum kuch bhi bole lekin main hamare beech ye awkwardness bhi nahi chahti, to kia please tum mere saath Normal act ker sakte ho?


Isabelle ne akhir apni baat keh di jis per Aarav bhi muskurate huwe use daikhne laga aur uss ki taraf apna haath barha dia.


Aarav: Deal


Isabelle ne bhi muskurate huwe uss ka haath thaam lia.


Isabelle: Deal 🤝


“Konsi Deals chal rahi hai yahan????”



Andrew ne un ke side se ate huwe kaha aur aa ker Aarav ke kandhe per haath rakh ker khara ho gya.



Aarav: Kuch nahi bus kuch baate thi jo karni zaroori thi, Lekin ab sab kuch sahi hai



Aarav ne Isabelle ki taraf daikhte huwe kaha jis per Isabelle ne bhi muskura ker nod ker dia.



Andrew: Chalo ye bhi sahi hai, Waise tum ne letter likh lia kia apna?


Aarav: Nahi abhi likh raha hu!!!! Sach kahu to letter ki jagha puri book banta ja raha hai wo.



Aarav ki baat sun Andrew hans dia, Andrew ne kal raat ko he Aarav ko kuch paper aur pen dia tha jo yahan ate waqt uss ke paas the, Jab Andrew ne Aarav ko Urvi ko yaad karte huwe udaas baithe daikha to uss ne Aarav ko ek letter likhne ka recommend kia.



Jis tarha Soldier kisi bhi mission se pehle ek lettef likhte the jo jab wo mission ke beech me he mar jaye to un ke ghar walo ko dia jata tha, iss letter me soldier mostly apne last words likhte the jo wo kabhi keh nahi sake apni family se.



Aarav: Letter likhne ki wajha se sach me bohat zada stress kam huwa hai.



Andrew: (Smile) hmm! Ye letter bohat khaas hota hai Aarav, iss ki wajha se hum mushkilo me bhi darte nahi hai kiu ke hum pehle he apne Akhri lafz likh ker un khatro se larne ke liye tayar hote hai, Lekin iss ka matlab ye bhi nahi hum seedha marne chale jaye, iss ki wajha se hume ek reason milta hai zinda rehne ka aur wo reason hota hai ke ye letter hamari family ko kabhi dena na pare.



Andrew ne muskurate huwe ek lambi saans bhar ke kaha uss ki baat sahi thi yahan kab kia ho jaye kise pata lekin kam se kam letter ki wajha se wo apni akhri baate to ker sakte the apni family se.



*Slurp* *Slurp*


Demon Wolf ne Aarav ko udaas daikh uss ke chehre ko chaatna shuru ker dia, Aarav bhi us ki ye harkat daikh ker muskurate huwe uss ke fur me haath pherane laga.



Aarav: Andrew ap bhi apne magic Crystal's wolf ke saath taange huwe bag me rakh do.



Andrew: Tum abhi bhi iss ko Wolf bulate ho? Abhi tak Apne partner ko koi Naam nahi dia kia iss ko?


Andrew ke sawal per Aarav ne apne kandhe uchka diye jaise keh raha ho Naam dene ki kia zaroorat?


Andrew: Koi haal nahi tumhara, Ek tum ho aur ek hamara leader hai pehle din he uss ne apne wolf ko naam de dia “Fluffy”


Andrew ne akhir me Fluffy thori unchi Awaz me kaha jis ko Daisuke sun sake, Aur aisa he huwa jaise he Daisuke ko awaz suni uss ne ek Crystal Andrew ki taraf phenka jis ko Andrew ne catch ker lia aur hansne laga.


Isabelle: Waise Andrew ki baat theek hai, Daikho kaise ye tumhe pyaar karta hai Tumhe koi naam dena chahiye iss ko.



Aarav ne Wolf ki taraf daikha to wahan baitha Aarav ko daikh raha tha jaise wo bhi use Naam dene ka keh raha ho, Aarav ne kuch der use daikha aur sochne ke baad bola


Aarav: Tommy?


Aarav ne Isabelle ki taraf daikhte huwe kaha jaise uss se puch raha ho ke ye naam kaisa hai? wanhi Isabelle ajeeb sa muh banaye use daikh rahi thi.


Isabelle: Tum ne pehle kabhi koi pet nahi rakha kia?


Aarav: Ek baar ek Lost Dog mila tha sirf wo kuch din paala tha.


Isabelle: To use kia bulate the?


Isabelle ka sawal sun Aarav ne apna thoonk nigla aur dheeme se bola.


“Kutta”


Isabelle aur Andrew dono he use muh khole daikhne lage, Wanhi Aarav un se nazre churane laga



Andrew: Sach me tumhara kuch nahi ho sakta, Abhi iss bechare ko kuch acha naam dena pare ga iss liye tum naam mat sochna, Yoo-Jung.



Andrew ne paas khari Yoo-Jung ko bulaya to wo bhi un ke paas aa gayi.



Andrew: Tumhara bhi to partner hai ye to tum batao iss ka Naam kia rakhna chahiye




“Shadow”


Yoo-Jung ne kuch der dhayan se use daikhne ke baad kaha.


Yoo-Jung: Shadow!!! Kiu ke ye har waqt hamare saath kisi Shadow ki tarha raha hai.



Yoo-Jung ne sab ku taraf daikha to sab ko Naam Pasand aya Aarav ko bhi Naam pasand aya.



Aarav: to phir theek hai Partner aj se iss tumhara naam Shado......w




Aarav ki ankho ke saamne andhera chaane laga uss ki puri body se jaise energy khatam ho gayi ho uss ki saanse jawab dene lagi aur wo apne pairo per khara bhi na reh saka aur seedhe neeche gir gaya.
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna, ye Update bhi 8.5K words ka tha thori health ka issue ho gya tha iss wajha se update me time lag gaya lekin update ki length per main ne koi compromise nahi kia hai, Next update bhi mega update ho ga kitne words ka ho ga ye to nahi pata per mega ho ga, Abhi ho gya hai mere sone ka waqt to Milte hai agle update per tab tak liye sayonara!!!!]
Awesome update bro
 

Raj kalita

Member
300
294
63
Update to 5K ke around he ho ga! Lekin uska ek important scene bohat mushkil me daale huwe hai, Like ke main 3-4 baar delete ker Re-write ker chuka hu, Lekin abhi bhi set nahi ho raha, Uske liye starting updates bhi padh raha hu, Lekin abhi ke liye main writing se rest le raha hu, Subha araam se likhu ga, Update 24 Hours delay ho raha hai :redface:
Koi baat nahi bhai...app itminaan se update dijiye...
 

Babasarkar

Active Member
648
1,782
138
Update ane per ap ko khud pata lag jaye ga ke konsa scene hai! Ye story ke liye kaafi important scene hai, Sorry :redface:
Koi prblm nhi he bro take ur time acche se update likho wait karlenge 24hr koi baat nhi.bdw bro exam ke liye jo break liya tha uska result aya ke nhi ??
 

Rajesh

Well-Known Member
3,792
8,132
158
UPDATE 8 ~
[QUEST]



*Huh*


Aarav ke muh se awaz nikli aur uss ne apni ankhe dheeme dheeme kholi, Uss ka sar dard se phatne ko ho raha tha abhi bhi use sab dhundla Nazar aa raha tha.



Ankhe khol uss ne daikha ke wo apne Wolf ke upar laita huwa hai aur Wolf chal raha hai, Aarav ne khud ko sambhalte huwe theek se baithaya aur idhar udhar daikhne laga.



“Kaise ho???”



Aarav ko apne peeche se awaz ayi to uss ne sar ghooma ker peeche daikha to uss ke Peeche Yoo-Jung baithi huwi thi, Chehre per abhi bhi uss ke mask tha lekin uss ki Ankho se Aarav use pehchaan sakta tha.



Aarav: Sar phatne ko ho raha hai!!!! Kia huwa tha mujhe?


Aarav ne apne sar pakre kaha, Use kuch samajh nahi aa rahi thi ke use kia huwa hai, Use yahan tak pata tha ke wo Apne Wolf ka Naam rakh raha tha phir kia huwa use kuch nahi pata tha.



“Aarav!!!!”


Aarav ko apne side se Isabelle ki Awaz ayi to Aarav ne uss taraf daikha, Uss se kuch dur he baki sab bhi Apne wolves ke upar baithe huwe the, Isabelle num ankho se Aarav ko daikh rahi thi jaise wo abhi roo de gi.



Daisuke: Aa gaya tumhe hosh? Pure hafte ki neend puri kar li hai tum ne ek baar me!



Daisuke ne hanste huwe Aarav se kaha, Aarav ko abhi bhi kuch samajh nahi aa rahi thi, Asmaan ki roshni se lag raha tha shaam hone wali thi, Aarav ne jab apne hosh khoye the tab subha ka he waqt tha matlab Aarav 7 se 8 ghante soo ker utha tha.


Aarav: Sorry!!! Pata nahi kaise main behosh ho gya, Shayad Goblins ka koi trap tha?


Daisuke: Goblins ka attack nahi tha wo!!! Paka to nahi keh sakta lekin mujhe jahan tak lagta hai Demon Wolf ko naam dene ki wajha se tumhari ye halat huwi thi!!!


Aarav Daisuke ko herani se daikhne laga, Naam dene se kis tarha Aarav ki ye halat ho sakti thi? Daisuke bhi Aarav ki halat samajh gaya aur khud he use explain karne laga.



Daisuke: Ye sirf ek theory hai, lekin jahan tak mujhe lagta hai jab tum ne apne Demon Wolf ko naam dia to kiu ke wo tumhare pack ka hissa tha iss liye wo Naam ek rank ke roop me use ho gya, Jis ki wajha se tumhara Demon Wolf evolve hone laga kiu ke tumhari wajha se wo Evolve ho raha tha iss liye tumhare andar se bohat zada MP ek saath use hone lagi, Tumhari MP kam hone ki wajha se tum unconscious ho gye.



Ab Aarav ko sab kuch samajh ane laga tha, Aarav ne jaise he apne Demon Wolf ko naam dia to wo Demon Wolf bakiyo se High rank per Chala gaya matlab agar Aarav Captain tha to wo Demon wolf Aarav ka general ban gaya tha.


Jis tarha Aarav ko devour Ability use karne ke liye bohat zada Mana chahiye thi waise he apne kisi Demon Wolf ko evolve karne ke liye bhi uss ko bohat zada Mana chahiye tha, kiu ke Aarav ka Mana kam tha iss liye Aarav uss ko bardasht na ker saka aur behosh ho gya.



Aarav: Matlab Kam MP hone ki Wajha se main Shadow ko Evolve nahi ker saka?



Aarav ne Daisuke se dobara sawal kia to Daisuke ne Muskurate huwe Use Shadow ko daikhne ko kaha, Aarav ne aage ho ker Shadow ko daikha to uss ki ankhe Herat se phelti chale gayi.


Shadow Size me aur bhi bara ho chuka tha aur saath he uss ki Ankho ka rang bhi badal ker laal hone laga tha, Lekin Wo Evolve kis tarha ho gya jab ke Aarav ke paas itna Mana tha he nahi? Iss ka jawab Aarav ko puchna nahi para use khud andaza ho gya aur uss ki ankhe Isabelle ki taraf chali gayi.



Isabelle Aarav ko apni taraf daikhta daikh haan me ishara ker deti hai, Jis se Aarav ko pata chal gaya ke ek baar dobara Isabelle ne apni Ability se use Mana transfer kia hai, Ye sochte he Aarav ka haatha apne honto per chala gaya!!!



Isabelle: (instantly) Kiss nahi ki main ne iss baar!!!



Isabelle Aarav ko apne hont chuta daikh jaldi se boli jis ko daikh baki sab hansne lage, Wanhi Aarav apni harkat per sharminda hone laga.



Daisuke: (Laughing) Iss baar kiss ki zaroorat nahi thi! Isabelle ko apni Ability use karne ke liye pure mann se saamne wale ko Mana dene ka sochna parta hai, kiu ke iss baar wo sach ne tumhe bachana chahti thi iss liye sirf tumhe chune ki wajha se kaam ho gya.



Daisuke ki baat sense bana rahi thi jahan pichli baar Demon Wolves ki wajha se Isabelle dar rahi thi jis ke chalte use Aarav ko kiss karna para, Wanhi ab use kisi ka dar nahi tha aur wo sirf Aarav ko bachana chahti thi.


Isabelle aur Andrew dono ke chehre abhi bhi utre huwe the kiu ke un ke kehne ki wajha se Aarav ne Shadow ko Naam dia tha, Un ko aisa daikh Aarav ko bura laga kiu ke wo Aarav ka bura nahi chahte the wanhi Isabelle ne to dusri baar Aarav ko bachaya tha.



Aarav: Chalo ant bhala to sab bhala, Waise kitni MP transfer ki thi Isabelle ne mujhe?


Aarav ne sab ke mood ko badalne ke liye muskurate huwe kaha, Jis ko baki bhi samajh gye aur seedhe ho gye-


Isabelle: Main ne dhayan to nahi dia, Lekin 1000 se upar MP transfer to kari hai main ne hamare collect kiye half Mana Stone Se MP transfer ki hai!!!



Isabelle ki baat sun ek aur bomb Aarav ke sar per phoot gaya, Kahan wo soch raha tha 200 ya 300 MP lagi ho gi, Lekin yahan to 1000 se zada MP lag gayi thi pichle 5 din se unho ne jo Mana Stone collect kiye the uss ka half sirf Shadow ko Evolve karne me lag gaya tha, Aarav kisi aur ko Evolve karne ka sochne bhi nahi wala tha.


Andrew: Isabelle bohat pareshaan thi Tumhe uss halat me daikh ker, 2 din se wo Sab Mana stone se MP transfer ker rahi thi jis se wo khud bhi bohat thak gayi hai!



Aarav: Wait!!! Main 2 din se Unconscious tha???


Ab tak ke lage sab shock se bara shock to ab Aarav ko laga tha, Agar Aarav 2 din se Unconscious tha to iss ka Matlab aj un ki Quest puri karne ka akhri din hai, Aarav ne apne saamne dobara Quest ki Window kholi to uss per time parh ker uss ke hosh urr gye.




[Remaining Time: 6 Hours 14 Minutes]




Sirf 6 ghante bache the Quest puri karne ke liye aur abhi tak wo kahan pohanche the Aarav ye tak nahi jaanta tha, Aur jaise System ne dobara uss ke Mann ki baat sun li ho aur uss ke saamne dobara Window khul gayi.



[You are now entering the Quest Zone]



****



“Ye kha lo!!!”



Isabelle ne ek Apple Aarav ko pakrate huwe kaha, Sab ek Pathar ke paas baithe huwe the aur Ane wali larayi ke loye khud ko tayar ker rahe the, Wanhi Aarav ne 2 din se kuch nahi khaya tha iss liye wo wo Fruits kha raha tha.



Itne dino se wo log ye Fruits he kha rahe the, Isabelle apni Ability se in Fruits ko pehle he check ker leti thi jo khane ke kabil hote un ko wo rakh lete, Wahan khaane ke liye Janwar bhi the jin ko khaya ja sakta tha lekin un ke paas pakane ka waqt nahi hota tha iss liye sab sirf Fruit khate the.



Sab ke chehro per iss waqt Khoof ka saya chaya huwa tha, Un sab ne yahan ane ke baad sirf iss Quest ko pura karne ke liye itni mehnat ker ke khud ko strong banaya tha, Lekin ab jab wo wahan aa chuke the to un ke andar Dar janam lene laga tha.



Dar jo unhe ye sochne ke liye majboor ker raha tha ke agar aj wo ye Quest puri na ker sake to ye din un ka akhri din hone wala tha, Un me Mann me khud se sawal uthne lage the!!!


Kia wo Quest puri ker sake gye? Kia wo Orc king ko harane ke liye Strong ho chuke hai? Agar wo Orc King ko na maar sake to kia wo bach sake gye ya nahi?



In sawalo ne sab ke andar bhukamp utha rakha tha, Koi kuch nahi bol raha tha bus andar he andar jeetne ke liye Praarthana ker rahe the-



*Grrrrr*


Unhe saamne se Shadow wapis ata dikha jis ke Upar Yoo-Jung savar thi, Yoo-Jung wanhi ek pahar ke upar se apne Ability Eagle Eye ki madad se Field ko janchane gayi thi.



Daisuke: Kuch Pata chala kia???



Yoo-Jung ke waapis ate he Daisuke ne uss se pucha, Jis per Yoo-Jung ne haan me sar hilate huwe information deni shuru ker di.



Yoo-Jung: Orc King ki location confirm ho gayi hai! Yahan se 2 Km per Orc King hai, Lekin in 2 Km ke beech Orc King ke chaaro taraf kuch Orc's ne usse ghera huwa hai, Main jitna daikh saki hu uss ke hisaab se ye sketch banaye hai.



Yoo-Jung ne Orc King aur uss ke saatho Orc's ke banaye Sketch Daisuke ko pakra diye jis ko daikhne ke liye sab uss ke paas aa gye



Daikhne se he pata chal sakta tha King kon hai, Orc King beech me tha Matlab uss ke paas jaane ke liye unhe baki Orc's ke beech me se ho ker jaana tha, Lekin Yoo-Jung ki batayi Orc's Formation ke hisaab se wo bina Orc's ke pata lage wahan se nahi ja sakte the.



Andrew: Hamare paas Orc's se larne ka Samay nahi hai!!! Hum me se kisi Ek ko sab Orc's ko apni taraf kheenchna ho ga?



Andrew ne wo keh he dia jo Daisuke kehne se bachna chah raha tha, Daisuke ko bhi samajh aa chuki thi ke iss ke sivaye un ke paas aur koi raasta nahi hai, Un me se koi ek baki sab Orc's ko apni taraf kheenche ga to baki sab Seedhe Orc King ke paas ja sakte the.



Daisuke ko ye bhi pata tha ke ye kaam wahan sirf ek insaan he ker sakta hai “Aarav” Lekin wo use kaise sab Orc ke beech khatre me jaane ko keh sakta tha.


Aarav: Ye mujh per chorr do ap!!!



Aarav ne situation ko samajhte huwe foran keh dia, Koi keh nahi raha tha lekin Aarav he tha jo Demon Wolves ko Command de ker sab Orc's ka saamna ker sakta tha, Koi bhi aur Orc's ka saamna nahi ker sakta tha.



Yoo-Jung: Main bhi tumhare saath ruku gi!!! Arrows ki madad se main distance se Orc's ko apni taraf bula sakti hu.



Yoo-Jung ne Aarav ko volunteer karta daikh kaha, Aarav wahan sab se takatwar zaroor tha lekin itne Orc's ka akele saamna karna Asaan nahi hone wala tha, Kisi ne uss ke sujhav per Virodh nahi kia.



Daisuke: Theek hai!!! Aarav aur Yoo-Jung Orc's ko sambhale gye, Un ke saath 6 Demon Wolves rahe gye aur 2 se hum Orc king tak jaye gye, Aarav aur Yoo-Jung tumhe Orc's ko haraane ki zaroorat nahi hai sirf un ko hamare paas mat ane dena.



Aarav: Nahi!!! Agar hum Orc's ka saamna kare gye to hum unhe hara ker ap ko support karne ke liye wahan ane ki koshis kare gye.


Aarav ne Daisuke ko beech me rokte huwe kaha, Usse andaza tha ke Orc king kitna khatarnak ho sakta hai shayad uss ke wahan hone se bhi un ke jeetne ke chances bohat kam the.


Daisuke ne muskurate huwe haami bhar di, Uss ki tarha Aarav bhi kisi ko khatre me akela nahi chorna chahta tha issi wajha se uss ke mann me Aarav ke liye ek respect ban chuki thi.


Daisuke: Vansh tum Isabelle ko protect karo gye, Main aur Andrew Orc King se lare gye lekin agar hum use na maar sake to tumhe bhi hamare saath ana ho ga, Yaad rahe iss battle per hamari Zindagi depend karti hai.


Daisuke ne Vansh ko samjhate huwe kaha Vansh ko Daisuke ka uss per hukam chalana acha to nahi lagta tha lekin aj iss sab ki gambheerta ko wo samajh paa raha tha, Uss ne Daisuke ke order per haan me sar hila ker okay keh dia.



Isabelle: Guys hum jeete gye na?


Isabelle ki ghabrayi huwi awaz ne sab ka dhayan uss ki taraf kheench lia, Uss ke chehre per abhi bhi dar tha uss ne abhi to apni zindagi jeeni shuru ki thi itni mehnat ke baad uss ne apna doctor banne ka khawab pura kia tha lekin agar aj wo haarte to sab kuch khatam ho jaane wala tha.


Aarav ne apna haath aage barha ker Isabelle ke haath ko apne haath me le lia.


Aarav: Hum zaroor jeete gye!!!


Aarav ne apne chehre per muskurahat sajaye kaha to Isabelle bhi halke se muskurayi lekin abhi bhi wo dar rahi thi.



Daisuke: Let's do it guys!!!



Daisuke ne apna haath beech me laate huwe kaha, Sab uss ke haath per haath rakhne lage aur 3 ki ginti per sab ne apne haath utha liye.



“We Will Win”


Sab ne unchi awaz se kaha aur khare ho gye apni life ka sab se important battle larne ke liye.



****



[Remaining Time: 1 Hour 17 Minute]



*Rooaaarrrr*


Ek tez dahar ke saath Demon Wolves 2 Orc's per jhapat pare, Orc ko pakar ker unho ne neeche gira dia 3 Demon Wolves ke neeche hone ke bawajood Wo Orc unhe mushkil me daal raha tha.



*Slashhh*


Aarav ne apni Sword se uss ki gardan ko kaatna chaha per uss ki Sword Orc ki gardan ke beech me he ruk gayi, Orc ki Hadi bohat zada mazboot thi sword use kaat nahi paa rahi thi.




[Unique Ability (Will to live) Activated]


*Slash*


Will to live Active ker ke Aarav ne dobara uss ki gardan per waar kia to uss ka sar dhar se alag ho gya, Sirf ek ko kaatne ke liye he Aarav ko apni puri strength use karni per chuki thi.



*Grrooowwwrrrr*


Dusre Orc ne apne upar ke sab Demon Wolves ko apne upar se dur phenkte huwe khara ho gya.



*Thud*



Orc abhi khara he huwa tha ke Shadow ne uss ko ek zordar takar maari jis se wo hawa me urta huwa peeche ja gira.



*Swisshhh*
*Swisshhh*
*Swisshhh*


Shadow ke upar baithi Yoo-Jung ne ek ke baad ek Arrow shoot ker diye, Sab Arrow mushkil se Orc ke thora he andar ghus sake, Iss se pehle wo uth pata Sadow ne apne Claw se use wanhi khatam ker dia.



Aarav: Sirf sadharan Orc itne khatarnak hai to Orc King kia cheez ho ga?


Aarav un mare huwe Orc's ko daikhte huwe bola jin ko maarne ke liye unhe itni mushkil huwi thi-



*Groowwwrrrr*



Wanha larayi ki awaze sun ker baki Orc's bhi wanha aa gye, Un ko ata daikh Aarav aur Yoo-Jung bhi dobara larne ke liye tayar ho gye lekin saamne se ate 50 ke kareeb Orc se larna Moat ko dawat dene se kam nahi tha.


*****



[Remaining Time: 57 Minutes]




Aarav aur Yoo-Jung ko gye huwe 20 Minute ho chuke the, Wanhi baki sab bhi moka milte he peeche se Orc King ki taraf nikal gye the, Wanha abhi bhi kuch Orc's the lekin itne nahi jin se bach ker nikla na ja sake.



Daisuke aur Isabelle ek Wolf ke upar savar aage the Andrew aur Vansh dusre Wolf per savar un se thora peeche chal rahe the, Isabelle ko bachana iss waqt un ke liye sab se zaroori tha.


*Smash*


Un ke saamne Achanak ek ped hawa me urte huwe wahan lage ped torte huwe un ki taraf aya, Demon Wolves ne upar uchalte huwe uss ko dodge ker lia lekin uss ped se sab ki halat buri ho gayi thi.



Unho ne jis taraf se ped aya tha uss taraf daikha to un ke saamne Orc King khara tha, Yoo-Jung ne unhe Sketch dikhaya tha lekin ab Jab Orc King un ke saamne khara tha to sab dar se kaampne lag chuke the.



Vishaal shareer aur uss ke haath me ek Axe pakri huwi thi jo laal rang ki thi, Axe aisi dikh rahi thi jaise kisi janwar ki skin se bani ho lekin uss ko daikh sab ke andar khoof ane laga.



Ab tak unho ne sirf Goblins ka saamna kia tha lekin Orc King kisi Goblin jaisa kamzoor nahi lag raha tha, Daisuke ne Andrew ko ishara kia aur dono ne apne peeche baithe Vansh aur Isabelle ko wanhi utaar dia.



*Groowwwrrrr*


Demon Wolves dono ko apne upar bithaye Orc King ki taraf bhaage lekin Orc King ne koi react nahi kia aur wanhi khara unhe daikhta raha, Demon Wolves ne jaise he Orc King ke upar jhapatna chaha Orc King ne Axe se un per vaar ker dia.



*Slash*


Demon Wolves ko cheerte huwe Axe aage barh gayi, Demon Wolves ke upar baithe Andrew aur Daisuke peeche ja gire aur Demon Wolves wanhi neeche gir gye.


Ek pal pehle relax khara Orc King Achanak kab hila kisi ko pata nahi chala, Demon Wolves neeche gir chuke the wo attack nahi ker sakte the, Wanhi Andrew aur Daisuke ki abhi huwe attack se halat kharab ho chuki thi.



Andrew: Hume iss danav se larna ho ga? Demon Wolves ko ek attack me hara dia hai uss ne!!! Hum kaise saamna kare gye iss ka?



Andrew abhi tak itna kisi se nahi dara tha jitna dar use Orc King se lag raha tha, Use khud se zada bakiyo ki chinta ho rahi thi agar wo Orc King ko na maar sake to sab aj marne wale the.



Daisuke: Mujhe nahi pata!!! Lekin hume ye karna he ho ga.


Daisuke ne dobara khare hote huwe kaha Andrew bhi dobara khara ho gya aur apni shield nikal li, Iss baar Orc King khud aage huwa aur apni Axe se vaar kia to Andrew ne apni shield se uss ko block karna chaha lekin uss vaar me itni force thi ke Andrew Shield ke saath peeche ja gira.


Daisuke ne hawa me Uchalte huwe ghoom ker sword se attack ker dia.



Lekin Daisuke ki sword Orc King ko kaatne ke liye andar he nahi ghus saki, Orc King dobara ghoom ker apni axe se Daisuke per vaar ker dia.



*Clank*



Andrew apni shield liye Daisuke ke aage aa gaya, Axe Shield ko cheerte huwe aage barhi aur Andrew ko dobara hawa me uchalte huwe peeche gira dia, Andrew bach to gaya lekin uss ki shield beech se cut chuki thi.


“Material Detection”


Peeche se unhe Vansh ki awaz ayi jo apni ankh ke aage unglio se circle bana ker Axe per focus ker raha tha, Vansh ki taraf se ye bohat Samajhdari ka faisla tha wo Axe ke baare me jaanna chah raha tha.



Vansh: Uss ki kulhari se bachna, Wo ek khaas kulhari hai jo 10,000 Orcs ke sacrifice ke baad bani hai, Agar Orc ne kulhari se kisi ko kaata to Orc ki takar barh jaye gi.



Vansh ne unhe ek bohat zaroori khabar de di thi, Matlab wo kulhari se khud ko katne nahi de sakte the jis ke liye unhe ek attack me he Orc King ko khatam karna pare ga.



Daisuke: Vansh tumhe yahan ana ho ga!!!



Daisuke ne Vansh ko larayi ke beech me bulaya to Vansh khoof bhari nazro se use daikhne laga, Uss ne abhi kuch der pehle he Orc King ki takat ko daikha tha wo kaise iss danav se lar sakta tha.



Daisuke: Daro mat!!! Agar tum yahan na aye to phir bhi hum me se koi nahi bachne wala hamare paas sirf 36 Minute bache hai.



Daisuke ne dobara use eshaas dilwaya ke kitna kam waqt reh gaya hai un ke paas, Vansh darte huwe uss ke paas aa gaya Daisuke ne dobara Orc King per nazre jama li.



Daisuke: Orc King ki unchai ki wajha se hamara use maarna mushkil hai hume ek attack me he use khatam karna ho ga, to plan ye hai ke Andrew Orc King ke attack ko block kare ga jis se hume chance mil jaye, aur uss waqt tumhara kaam hai Vansh.




Daisuke ne Andrew ko uss ki position batayi aur Vansh ko aage ka plan batane ke liye uss ki taraf daikha jo abhi bhi dar se kaanp raha tha, Daisuke ne uss ke kandhe per haath rakha aur usse dobara ehsaas dilwaya ke wo kis situation me hai.


Daisuke: Cut his legs from his blind spot and make him kneel!!!



Daisuke ki baat sun Vansh use herani se daikhne laga, Jis ko Daisuke nahi kaat saka tha uss ko wo Vansh se katwa raha tha aisa kaise ho sakta tha.


Daisuke: Fikar mat karo!!! Tumhe Isabelle Boost de de gi, Aur jaise he Orc King neeche gire ga Isabelle mujhe boost de gi jis se main Uss ki gardan kaat saku.



Daisuke ne Isabelle ki taraf daikha to uss ne hami bharte huwe haan me sar hila dia, Daisuke ka Plan perfect tha agar wo kaam ker gaya to wo agle Attack se jeet sakte the.


Andrew ne tooti huwi shield uthayi aur dobara Orc King ki taraf bhaag gaya, Wanhi Daisuke dusri taraf se Orc King ki taraf barhne laga aur Vansh Orc king ke peeche ki taraf bhaag gaya.


*Clang*



[Strength Focusing]

Dobara Andrew ki shield ne Axe ko roka lekin iss baar Andrew ne apne haatho aur pairo me apni Strength ko focus karna shuru ker dia tha, Vansh seedhe Orc King ke peeche gaya aur apna Spear utha Orc King ke Pair ko kaatne ke liye tayar ho gya.



[Boost]



Isabelle ne Vansh ko boost de dia jis se uss ke sabhi stats double ho gye, Spear Orc King ki tang me ghus gaya lekin uss se aage na barh saka-


Orc King ko Vansh ke attack se kuch farak nahi para uss ke side se ata Daisuke uss ke kareeb aa gaya, Orc King ne Axe ko Andrew se hatate huwe Daisuke ke aage Zameen per de maari.

e6bc194db41fa6765d699081e570e717.gif

Daisuke ke neeche se zameen khulne lagi aur ek bari khayi ban gayi, Orc King ke iss Attack se sab andar se pura hil ker reh gye sirf ek Baar me Orc King ne ek puri khayi bana di thi.



Orc King ne Vansh ki taraf daikha jo dar ke wahan se bhaag raha tha, Orc King ki nazre Isabelle per chali gayi jaise use oata lag gaya ho ke Isabelle ki wajha se he Vansh use zakhmi karne me safal ho saka hai.


Orc King thora neeche huwa aur chalaang maar ker seedhe Isabelle ke saamne chala gaya, Orc King ko apne itna kareeb daikh Isabelle ke shareer ne uss ka saath he chorr dia aur wo seedhe zameen per gir gayi.



Isabelle ko apne saamne apni moat dikh rahi thi, Orc King ne apna haath upar uthaya aur Isabelle ko pakar ker masalna chaha.



*Groowwwrrrr*

*Thud*



Ek tez dahar ke saath Shadow ne Orc King ko takar maarte huwe peeche dhakel dia, Isabelle ne apni nazre utha ker upar daikha to uss ke saamne Aarav haath me sword pakre khara huwa tha.

ed7ad173b2a1dc0c9eb44d0652520550.jpg


Andrew: Tum yahan kia ker rahe ho??? Yoo-Jung kahan hai???



Andrew Aarav ko wahan daikh khush to tha lekin use situation ko samajhna bhi tha jaldi se, Aarav ne Andrew ki taraf daikha aur use relax rehne ka ishara kia aur use Daisuke ki taraf dhayan dene ko kaha.



Aarav: (Sigh) Huh!!! Yoo-Jung baki Wolves ke saath bache huwe Orc's ko sambhale huwe hai, Abhi Daisuke ko bachao wo buri tarha ghayal hai!!!



Aarav ki baat sahi thi Orc King ke attack ko Daisuke ne dodge to ker lia tha lekin wo wanhi ek ped ke neeche phans chuka tha, Isabelle bhaagte huwe Daisuke ki taraf chale gayi.


Wanhi Andrew wahan se seedha Aarav me paas aa gaya aur uss ke saath khara ho gya.



Andrew: Hamare pass sirf 19 Minute aur hai, Sab ki khatir hume usse khatam karna ho ga!!!


Andrew ki baat sun Aarav ne hami bhari aur Shadow ko wapis bula lia, Orc King Shadow se larne ki wajha se thora thak chuka tha un ke paas ye he moka tha.



Andrew: Chalo!!!


Andrew ki baat sunte he wo Orc King ki taraf bhaage, Aarav ne apni sword uthayi aur Orc King ki taraf barha di, Orc king ne axe se attack karna chaha per Andrew ne beech me he block ker dia.


*Slash*


Aarav ki Sword ko ata daikh Orc King ne apna haath aage ker dia jis se uss ka haath ghayal ho gaya, Lekin Sword aage na barh saki tabhi Shadow ne apne claws se uss ko khatam karna chaha per Orc King peeche ki taraf kudte huwe bach gaya.


Orc King ke reflexes bohat tez the jis wajha se Shadow bhi uss per Attack na ker saka, Aarav dobara Aage ki taraf barh gaya.



Andrew: Aarav bina soche aage mat barho!!!



Andrew peeche se chilaya per Aarav nahi ruka, Orc King ke paas jate he Aarav ne dobara attack karna chaha per Orc King ab tak apna Stamina wapis hasil ker chuka tha.


Orc King ne dobara apni axe ghoomayi lekin Aarav ke reflexes bhi tez the, Axe ko apni taraf ata daikh Aarav ne Axe ki sharp side ko dodge kia aur Axe ki plane side per paon rakhte huwe khud hawa me uchalte huwe Orc King ki gardan kaatni chahi.



Lekin Orc King ki Neck aur bhi zada mazboot thi Aarav ki Sword use kaat nahi saki, Aarav wapis neeche aa raha tha jab uss ki ankhe dar se phelne lagi.




Aarav ke neeche Ice Spikes ki tarha he Spike ban rahe the lekin in ka rang laal tha jo Blood se bane the, Aarav ko ehsaas ho gya ke wo kia bewakoofi ker baitha hai.



Uss ki ankho ke saamne wo pal aa gye jab Alpha spikes ke beech aa ker mar gaya tha, Alpha ke paas choice thi lekin Aarav iss ko dodge nahi ker sakta tha Spikes upar ate ja rahe the.



*Thud*


Aarav se kuch aa ker takraya aur Aarav side per hote huwe zameen per ja gira, Aarav bach gaya tha wo khushi se dobara khara huwa ke wo bach gaya hai per wo khushi agle pal he khatam ho gayi.



*Urgh*


Aarav ke saamne Spikes Andrew ke shareer ke andar ghuse huwe the, Shadow ne Orc King per dobara attack kia to wo dobara peeche chala gaya aur spikes khatam ho gye.



Andrew wanhi neeche gir gaya Aarav bhaag ker uss ke paas chala gaya, Andrew ke shareer me jagha jagha ched ho chuke the jin se khoon beh raha tha.


Aarav: Andrew!!! Andrew ap ne aisa kiu kia? Meri khatir khud ki jaan khatre me daal di, Akhir kiu?



Andrew ne kuch bola chaha per uss ke gale me bhi spike ghus gaya tha jis se wo kuch bhi bol nahi saka, Aarav ki Ankho me ansoo aa gye uss ne peeche daikha to Daisuke aur Isabelle bhaagte huwe un ki taraf aa rahe the.



*Ugh*


Andrew ki karahne ki awaz ayi to Aarav ne dobara uss ki taraf daikha, Andrew apna haath ki muthi banayi uss ki taraf barha raha tha, Aarav ne haath aage barha ker uss ka haath pakar lia.


Andrew ne haath khol ker kuch Aarav ke haath me rakh dia, Wo thamane ke baad Andrew ka haath phisalte huwe neeche zameen per gir gaya aur Aarav ke saamne Notification aa gaya.




[Party member Andrew is Dead]



Aarav ke saamne Notification aya aur Andrew ki ankhe band ho gayi, Aarav mehsoos ker paa raha tha ke uss ke haath me pakre shareer me ab jaan nahi thi.



Isabelle aur Daisuke bhi wahan aa gye unhe bhi notification aa chuka tha, Andrew ko daikh Isabelle ki ankho me bhi ansoo aa gye Daisuke ne uss ke kandhe per haath rakh use khare rehne ke liye sahara de dia.



Aarav ne apna haath khola to uss ke haath me letter tha jo Andrew ne apne ghar ke liye likha tha, Uss letter ko daikh Aarav subakne laga Andrew ye letter apne ghar bhejna nahi chahta tha lekin aj Aarav ki bewakoofi ki wajha se ye letter use Aarav ko dena para.



Aarav ki bewakoofi ki wajha se kisi ki zindagi chale gayi thi jis ko wo kabhi bhi wapis nahi la sakta tha-




[Remaining Time: 3 Minute]


Dobara Time ka notification sab ke saamne aa gaya, Aarav ne Andrew ko neeche laita dia aur apni jagha se khara ho gya.


[Unique Ability (Will to live) Activated]


Aarav ne apni Unique Ability dobara activate ker li aur apni sword utha li, Aarav ne ansoo se bharo ankho se Isabelle ki taraf daikha, Aarav ki ankho me ansoo zaroor the lekin saath me ek gussa bhi tha jo use khud per tha.



Aarav: Boost!!!




Aarav ne sirf itna kaha jis per Isabelle ne Aarav ko boost de dia, Will to live ki wajha se pehle he Aarav ke stats barhe huwe the boost se uss ke stats double ho kee 100 se upar chale gye the.



Aarav iss attack se sab khatam karne wala tha use khud ki fikar nahi thi, Stat aise Achanak barhne ki wajha se uss ki puri body per bohat zada pressure tha lekin wo uss per focus he nahi ker raha tha.



*Thump* *Thump*


Aarav ne kadam aage barhaye uss ke har kadam ke saath uss ke paas ki zameen hil rahi thi, Aarav Orc King ku taraf bhaaga jo Shadow se lar raha tha.


Orc King ne Shadow ko pakarte huwe dur phenk dia jahan Shadow Ek bare boulder se ja takraya, Orc King khud ko sambhalta uss se pehle he Aarav wahan aa gaya.



Orc King ne apni Axe se Aarav per attack kia jis ko Aarav ne apni sword se block ker lia, Aur phir shuru huwa Aarav aur Orc ke beech ghamasan yudh.


Dono he ek dusre ko kaatne ki koshis ker rahe the lekin na to Aarav haar maan raha tha na he Orc King-



[Remaining Time: 57 Seconds]


Aarav ke saamne Notification aya jis per Aarav ne koi dhayan nahi dia, Aarav ne apni Sword se Attack karna chaha lekin Orc King ne use block ker lia-




*Clang*


Sword jaise he Axe se takrayi to Axe me se blood nikla jis ne sword ko jakar lia, Aarav ko apni sword chorni per gayi, Aarav peeche ho gya.



[Remaining Time: 38 Seconds]



Aarav bina sword ke Orc King ki taraf bhaagne laga, Uss ke paas koi aur choice bhi nahi thi adha minute reh gaya tha Orc King ko uss adhe minute me harana tha.



[Player has successfully Unlocked 15% of the Alpha Demon Wolf Power]


[The player can now transform a part of his body]



Aarav ke saamne Notification aye aur uss ko apni Ungliyo per chubhan mehsoos huwi, Aarav ne Ungliyo ko daikha to un me se claws baahir aa rahe the.

a0ad5378e653707769f675b432c44272.jpg

Aarav ab aur bhi tez bhaag paa raha tha, Aarav Orc King ke saamne jate he hawa me uchal gaya, Orc king ne apni Axe se khud ko block karna chaha-



*Stab*


Achanak Yoo-Jung kanhi se wahan aa gayi uss ki Stealth skill ki wajha se Orc King use wahan mehsoos bhi nahi ker saka, Yoo-Jung ke haath me Andrew ki Flail thi jis se uss ne Orc King ke haath per Attack kia jis ki wajha se Orc King khud ko defend na ker saka.



[Deathly Slash]
eaf6b931ebffe50adcf9153d562b5f12.gif

Aarav ke saamne Notification aya aur uss ne Apne claws se Orc King ke gale ko phaar dia, Orc King ke gake se khoon ka fawara chalne laga Aarav seedha peeche zameen per ja gira, Boost ka effect khatam ho gya tha pehli baar Isabelle ne itna lamba waqt boost ko active rakha tha jis ki wajha se uss ki bhi halat kharab ho gayi.



*Grrooowwwrrrr*


Orc King zor se dahara wo samajh chuka tha ke ye uss ke akhri pal hai per wo akela nahi marna chahta tha, Wo Aarav ki taraf bhaaga aur uss ke upar kudna chaha-


*Kabooooom*




Ek neeli beam ne Orc King ko hit kia aur dur phenk dia, Aarav ne uss taraf daikha to Shadow apne muh me Alpha ki tarha he urja ikathe kiye khara huwa tha.




[Quest Completed]


*****



*Click*


Ashwin ne apne ghar ke darwaze ko khola aur baahir aa gaya, Baahir ate he thandi hawaye uss se aa takrayi aj bohat zada thand ho rahi thi jahan sab log apne gharo me Aram ker rahe the wanhi iss waqt Ashwin ki nazro ke saamne Manohar khara huwa tha.



Ashwin ne baahir nazre ghoomayi to har taraf andhera tha sirf street light aur ghar ke baahir lagw bulb se halka ujala tha, Ashwin aage barh ker Manohar ke paas ja ker khara ho gya.



Ashwin: Aur kitne din aise he chala ga Manohar bhayia!!!



Ashwin ne halki awaz me kaha lekin Manohar waise he khamoosh khara neeche zameen per nazre garaye khara raha, Ye wo he jagha thi jahan se Aarav gayab huwa tha.



6 din ho chuke the Aarav ko Gayab huwe, Kisi ko kuch samajh nahi ayi thi ke wahan kia huwa hai? Na to unho ne pehle aisa kuch daikha tha Na he kuch aisa suna tha.



Police me report ki jis per unho ne yahan aa ker jagha bhi daikhi thi, Lekin unhe bhi kuch samajh nahi aa rahi thi akhir aise kaise koi insaan din ke ujale me aise gayab ho sakta tha?



Wahan jitne logo ne Aarav ko akhri baar daikha to un per se kisi ki baat per bhi police ko yaqeen nahi huwa tha, Lekin Manohar ke hone ki wajha se phir bhi unho ne Report likh li.



4 din aise he chakar lagane ke baad Police ne bhi Case ko lagbhag chorr he dia, Un ka kehna tha ke Earthquake ki wajha se sab ko daikhne me galti huwi hai aur Aarav khud kanhi bhaag gaya hai.



Jab Aarav ko dhoondne ki akhri umeed bhi Manohar ko khatam hoti dikhi to wo Nirash roz yahan aa ker khara ho jata aur bina kuch bole ghanto bhar aise he khara zameen ko ghoorta rehta.



Ashwin: Main ne Parth ko Call ker di hai!!! Wo ata he ho ga ap uss ke saath ghar jaye, Aise to ap apni sehat kharab karwa baitho gye.



Ashwin ne dobara Manohar ko bulate huwe kaha baahir Bohat zada thand thi, Wanhi Manohar bina kisi intizaam ke aise thand me khara tha uss ke bimaar hone ke chances bohat zada the.



Manohar: (Shiver) Kia karu ga ghar ja ker? Ghar per uss bachi ka wo utra huwa chehra kis tarha daikhu? Har roz jab main wapis jata hu to wo bachi mujhe umeed bhari nazro se daikhti hai ke shayad main uss ke bhai ko saath laya hu, Lekin mujhe akele daikh uss ke chehre pee wo nirasha kaise bardasht karu main?



Har shabd ke saath Manohar ki awaz bhaari hoti ja rahi thi, Wo apne haatho ki muthi bheenche apnd ansoo rokne ki nakam koshis ker raha tha.



Aarav ke Gayab ho jaane ke baad jab Urvi ko iss cheez ki khabar huwi to wo har taraf apne bhai ko dhoondne lagi, Uss ki to jaise duniya he lut chuki thi har taraf dhoondne ke baad jab use apna bhai nahi mila to uss ki halat aur kharab hone lagi.



Manohar aise uss ko akela nahi chorr sakta tha iss liye wo Urvi ko apne ghar le aya jahan wo apni beti aur biwi ke saath rehta tha, Urvi har din baahir jati apni bhai ko dhoondne lekin wo apne bhai ke baare me koi khabar nahi jaan paa rahi thi.



Lekin wo himmat nahi chorr rahi thi, Wanhi logo ka kehna tha ke shayad Aarav ko uss jagha Aag lag gayi thi jis me wo bhasam ho ker marr gaya hai, Logo ki baate sun ker Urvi bohat mushkil se khud ko sambhale huwe thi.



Uss ko aise tarapta daikh Manohar ka kaleja katne laga, Abhi kuch waqt pehle he to Urvi ne apne pita ko khoya tha phir Cancer ki khabar aur shayad Zindagi uss se itna lene ke baad bhi khush nahi thi ke uss se uss ki jeene ki akhir wajha uss ka bhai bhi waapis le lia.



Manohar: Tumhe pata hai Ashwin Un ke pita ke dihaant ke baad main ne un se wada kia tha ke main un ke saath rahu ga unhe kuch hone nahi du ga!!! Lekin daikho akhir kia he ker saka main? Mere saamne Aarav uss ko bachane ke liye mujhe pukarta raha, Lekin main use baacha nahi paya, abhi bhi uss ki wo awaz mere kaano me goonj rahi hai.



Ashwin: Main samajhta hu Manohar bhayia!!! Lekin aise yahan khare hone se kia acha ho ga? Maanta hu uss bachi ka saamna karna mushkil ho ga, Lekin iss waqt Ap ke siwaye aur kon uss ko himmat de sakta hai?



Ashwin ka kehna bhi sahi tha yahan khare hone se kisi ko kuch nahi milne wala tha, Urvi iss waqt akeli thi wo apni bhai ke jaane ke gum me kuch galat na ker baithe ye bhi ek dar tha jo unhe sata raha tha.



*Vrooom*



Unhe baahir bike ki awaz ayi jo kareeb aa ker ruk gayi, Bike per Parth baitha huwa tha Ashwin ne use intezar karne ka ishara ker dia.



Ashwin: Parth bhi aa gaya hai, Ap abhi ghar ja ker Araam karo hum kal baith ker soche gye ke kia karna hai!!!



Ashwin ne Manohar ko dobara ghar jaane ke liye kaha, Manohar bhi khamooshi se chal dia use andaza tha ke uss ke wahan hone ki wajha se parosi Ashwin se complain karte hai ke un ke ghar ke baahir aise kisi ko khare na hone de.


Ashwin ko farak nahi parta tha un ki baato se lekin aj nahi to kal un me se koi Manohar se badtameezi ker sakta tha, Iss liye Ashwin ne pehle he Manohar ko ghar jaane ka keh dia.


Manohar seedha Parth ke paas ja ker uss ke peeche bike per baith gaya, Parth ne bhi kuch nahi bola uss ne bike ko kick maari aur bike chala di.




“Bhai Sahib”



Abhi wo thora dur he gye the ke unhe peeche se Ashwin ki chilate huwe Awaz ayi, Parth ne jaldi se bike ko ghoona Dia peeche baitha Manohar bhi pareshan ho gya ke Ashwin unhe aise kiu Bula raha hai?




Wapis wahan ate he dono bike se utar ker andar ki taraf bhaage, Lekin un ki nazar jaise he saamne gayi to un ke kadam dheeme hote gye, Manohar jo ansoo roke baitha to wo uss ki ankho se behne lage uss ke muh se ek shabd he nikla.



Manohar: (Crying) Aarav!!!



Un ke saamne iss waqt Aarav zameen per baitha huwa tha uss ka pura shareer khoon se bhara huwa tha, Wanhi uss ki Ungliyo se khoon tapak raha tha wo bus ankhe khole saamne daikhte ja raha tha




Jahan Parth aur Ashwin Aarav ki halat daikh ker heran the, Wannhi Manohar sirf Aarav ko apne saamne daikh ker he khush tha, Uss ne kisi aur cheez per dhayan nahi dia aur seedhe ja ker Aarav ko apne seene se laga lia.



Manohar: Kahan chala gaya tha mere bache? Pata hai kitna dar gaya tha main? Teri behan bhi kitni pareshaan thi? Theek to hai na tu?


Manohar use apne seene se lagaye sawal per sawal karta raha use khud samajh nahi aa rahi thi wo kia kia puche ja raha hai?




Lekin Aarav ki taraf se koi jawab nahi aya, Parth ne dusri taraf ja ker daikha to Aarav ki ankhe band thi.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he iss update ke saath he hum puri ker chuke hai apni pehli quest, Ye bhi ek mega update tha 7.5K+ Words ka, Iss ke baad Updates me action kam ho jaye ga aur saath me update ka size bhi, Umeed karta hu ap logo ko update pasand aye ga, Main chala sone Milte hai agle update per tab tak ke liye Sayonara!!!]
Amazing update bro maza aa gaya
 
Top