• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    263

Sushil@10

Member
423
358
63
UPDATE 11 ~
(ARRIVAL)


*Ughh*


Badan me uthti ek tez lehar ne Urvi ko ankhe kholne per majboor ker dia, Chaaro taraf andhera chaya huwa tha roshni naam ki koi cheez bhi nahi-


*Thump* *Thump*


Har taraf se zordar kadmo ki awaze aa rahi thi, Urvi ko kuch samajh nahi aa rahi thi ke ye kia ho raha hai akeli andhere me doobi wo larki dar se kaanpne lagi thi-



“Urvi mere paas he rehna! Main tujhe kuch nahi hone du ga”


Us andhere me ek Apni awaz sun Urvi ko kuch sakoon huwa, Urvi ne sar utha ker saamne daikha to usse uss ka bhai dikhne laga, Lekin jaise he uss ki nazar uss ke khoon se latpat kapro per gayi Urvi ka dil dehal gaya.


Aarav Zanjeero se bandha ek Talwar haath me pakre khara tha, Shareer per jagha jagha Ghaav chehre per bhi jagha maas phata huwa Ankhe khoon se bhari huwi, Aarav khara mushkil se saans le paa raha tha.



Urvi: (Groan) Bhayiaaa!


Urvi ki dard se bhari halki si awaz nikli aur jaise uss ke paas se andhera hatne laga, Jaise he andhera hat ker saamne ka drishya Urvi ke saamne aya uss ki bachi huwi himmat bhi jawab dene lagi.


Un ke saamne hazaro rakshas the jo dono behan bhai ko lalchai nazro se daikh rahe the, Jahan Dard se latpat Urvi zameen per giri huwi thi wanhi Aarav un rakshaso ke saamne talwar liye khara huwa tha.


Lekin un rakshaso se larna Na-Mumkin tha ye Aarav ko bhi pata tha, Uss ke chehre per wo guilt uss ka pura dard bayan ker raha tha.


Aarav (shivering): Mujhe Maaf karna Urvi! Tera bhai kabhi ek acha bhai na ban saka.


Aarav ki awaz me dard tha jis ko sun Urvi ka mann baith raha tha, Wo bolna chah rahi thi lekin dard se uss ki awaz bhi nahi nikal rahi thi wo hilna chah rahi thi lekin uss ka badan uss ka saath chorr chuka tha. Aur tabhi-


*Groowwwrrrr*


Ek Rakshas ne daharte huwe apne haath se Aarav ko chehre se pakra aur Uss ke shareer ko beeche se cheerte huwe 2 tukro me bant dia, Apne saamne apne bhai ko aise daikh Urvi ki zindagi he khatam ho gayi-



Kuch pal khamooshi se wo samajhne ki koshis karti rahi ke abhi huwa kia hai? Kuch Palo baad jab usse ehsaas huwa to uss ke pure shareer me ek sard sihran phirne lagi, Uss ki ankhe khulne lagi aur wo puri awaz se cheekhte huwe apne bhai ko pukarne lagi.


Urvi (Scream): Bhayia!!! Bhayia!!! Bhayia!!!


****


“Urvi! Uth Urvi”


Urvi ko apne bhai ki awaz ayi to wo darte huwe Achanak uth ker baith gayi, Uss ke saamne uss ka bhai chinta bhari nigaho se uss ko daikh raha tha, Apne bhai ko Apne saamne sahi salamt daikhte he Urvi uss se lipat gayi.


Aarav (Frightened): Arrey! Kia ho gya hai tujhe? Neend me chila rahi thi tu.


Aarav ne Urvi ke sar per haath pherate huwe kaha, Urvi ko jab apna bhai sahi halat me hone ka yaqeen ho gya to usse ehsaas huwa ke wo iss waqt kahan hai?


Dono iss waqt America ki flight me the, Baki passengers bhi dono ko heraani se daikh rahe the, Aarav ne to Urvi ki health ke liye usse araam karne ko kaha tha lekin Urvi ki halat aur bhi kharab ho gayi thi.



Urvi: Dobara ek bura khawab daikha!



Urvi ko roz raat ko aise khawab ane lage the, Shuru me to Aarav ne kuch khaas dhayan nahi dia lekin ab usse bhi chinta hone lagi thi.


Aarav: Hum aj Araam karne ke baad kal seedhe Doctor ke paas jane wale hai! Aur iss baar main koi bahane nahi sun'nne wala.


Aarav ne sakhti se kaha to Urvi ne hami bhar li, Sab passengers abhi bhi unhe he daikh rahe the to Urvi ne scene na banane ke liye dobara laitna he sahi samjha, Adarsh ne unn ke liye First Class ticket karwai thi jis se unhe separate cabin jaisi seat mili thi.

6d5c37584a333c42e14fa1715e500442.jpg

Aarav ko abhi bhi apni behan ke liye chinta ho rahi thi, Lekin uss ka wanha khara rehna bhi sahi nahi tha iss liye Aarav wapis apni seat per aa ker baith gaya, Lekin abhi bhi wo Urvi ke baare me soch raha tha.



Tabhi Aarav ko apne paas rakhi ek magazine dikhi to Aarav ne usse parhne ke liye utha lia, Magazine me likhi zada cheezo ke baare me Aarav ko pata nahi tha lekin wo phir bhi sab kuch dhayan se parh raha tha-


Aise he page palatate palatate ek page ne Aarav ko rukne per majboor ker dia-



“New young businessperson on the rise”


“Akash Sayani”

3617705c8d8da397ccb5bd07c541fae7.jpg

Akash Adarsh ka pehla beta matlab Vansh ka bara bhai tha, Aarav ke andar aur bhi jan'nne ki curiosity jagne lagi to uss ne apna mobile nikal lia aur Wifi se connect ker lia, First Class me Aarav ko Onboard Wifi bhi mil raha tha.


First Class jitni mehngi thi utne he uss ke privilege bhi the, Accelerated check-in and security service, First class walo ko sab se pehle board kia jata jis ki wajha se Urvi zada pareshaan nahi huwi, Kisi bhi normal insaan ke liye ye sab kuch bohat extraordinary experience tha.


Aarav ko bhi acha lag raha tha lekin wo ye nahi bhool raha tha ke ye privilege uss ke apne kamaye nahi hai, Dil me ek khawaish ke kisi din apni mehnat se iss experience ko enjoy kare ga.


Mobile se Aarav ne internet per Akash ke baare me search kia to jaise jaise wo uss ke baare me janta ja raha tha waise waise uss ke andar Akash se milne ki chahat barhti ja rahi thi, Sirf 20 ki Age me he Akash ne business ki duniya me kadam jama liye the aur ab wo apne pita ki tarha he ek successful insaan tha.



Akash ki wajha se Adarsh ko bhi bhi bohat faida huwa tha, Jahan Akash saphalata ki unchayio ko chu raha tha wanhi ek aur Naam bhi uth raha tha.


“Rivalry Between Akash Sayani VS Veer Singh”


Veer ek Hindustani larka tha jo Akash ka rival kaha ja raha tha, Veer ki family bhi achi khaasi thi aur kaha ja raha tha ke agar veer aise he chalta raha tha wo Big 4 family me le ja sakta tha apni family ko.


Big 4 Family sirf paise ki wajha se Big family nahi thi, Big 4 family ke paas power thi jo kisi bhi desh ko puri tarha hila sakti thi, Pichle 25 saal se Big 4 Family change nahi huwi thi lekin Veer ke ane ke baad kaya palatati huwi dikhayi de rahi thi.



Kuch der aur aise he browse karne ke baad Aarav ne mobile wapis rakh dia aur aage kia karna hai uss baare me sochne laga, Aarav ne saamne daikha to uss ke saamne window khul gayi jis per Time chal raha tha.



[21 Days Hours 55 Minutes]


Ye Agli baar jaane ka waqt bacha tha, Urvi ki tabiyat ki wajha se Aarav ko Nigeria me zada waqt rehna per gaya tha, Aarav ko jald he khud ko tayar karna tha agli larayi ke liye Daisuke ke kehne ke mutabik Aarav ko ek naya Trainer milne wala tha jis se Aarav Takatwar ho sakta hai.


Aarav ki zindagi me bohat kam waqt me bohat se badlav aa rahe the, Lekin un sab me Aarav ko sirf ek baat ki Khushi thi ke wo apni behan ka treatment karwa sakta hai aur usse khush rakh sakta hai.


****

JFK International Airport, New York
USA ~ 4:34 PM




“Dhayan se Urvi!”


Aarav ne aage barh Urvi ka haath pakar ker usse Sahara dia jis se wo gire na, Dobara Flight me Urvi ki tabiyat kharab ho rahi thi pichli baar ki tarha zada kharab nahi thi lekin sar dard se wo khud ko sambhal nahi paa rahi thi.



Aarav uss ka haath pakar ker usse liye baahir aa gaya, Idhar udhar nazre ghooma ker Aarav saamne khare logo me apne Naam ka board dhoondne laga-



Lekin jab Aarav ki nazar saamne khare shaks per gayi to usse board daikhna he nahi para, Kuch waqt pehle jis Insaan ke baare me Aarav Article parh raha tha wo khud Aarav ke saamne tha-


“Akash!!!”


Aarav ne Naam pukara to Akash bhi Aarav ki taraf daikhne laga, Aarav ki daikhte he uss ne haath hila ker usse Greet kia.



Akash (Smile): Mujhe nahi laga tha ke tum mujhe pehchan pao gye! Tumhe kaise pata main he tumhe lene aya hu? Mere paas to koi board bhi nahi hai.



Aarav (Awkward): Flight me Magazine me parh raha tha ap ke baare me!



Akash Aarav ki baat sun ker hansne laga, Akash wahan kuch special nahi ker raha tha lekin uss ki har harkat me ek Elegance thi, Urvi ne bhi haath jor ker Namaste kaha to Akash ne uss ka jawab de dia.


Akash: Sorry Dad thore busy the to wo khud nahi aa sake! I hope you don't mind.


Aarav: it's okay! Yahan tak ke ap itne vyast hone ke baad bhi hamare liye yahan aye ye he bohat hai hamare liye.


Akash ne Urvi ki halat daikhi to uss ne wahan khara rehna sahi nahi samjha, Uss ne apna haath utha ker ishara kia to uss ke saath 2 guards ne aage barh Aarav aur Urvi se un ka samaan le lia.


Wo jaise he aage barhe Akash ke guards me un ke liye Raasta banana shuru ker dia, Sabhi log unhe he daikh rahe the to wanhi kuch Dur se Akash ki picture le rahe the, Akhir itne guards ke saath koi Sadharan Insaan to ho nahi sakta tha.


Wanhi Aarav khud ko aur Urvi ko sab ki nazro se bachana chah raha tha, Daisuke ne usse Low profile rakhne ko kaha tha lekin Akash ke saath Low Profile rakhna mushkil tha.



Airport se baahir ate he Aarav ko saamne Gariyo ki line lagi dikhayi di, Akash ne aage barh Aarav ke liye ek Car ka darwaza khol dia, Aarav ko chinta ho rahi thi ke Urvi ko shak na ho ke Akhir ek Bodyguard ki job ke liye aye insaan ko itni izaat kiu mil rahi hai.


Lekin Akash iss baat se Anjan tha ke Urvi ko yahan ane ki asli wajha nahi pata, Aarav Urvi ko le ker Car me baith gaya Akash bhi Ussi Car me aage baith gaya, Aur Car chalne lagi New York ki sarko per-


Shaam ka waqt ho raha tha to bohat si Buildings ki roshni uss drishya ko khubsoorat bana raha tha, Aarav barfeele Area me chote gharo wale shehar me rehne wala larka tha, Iss tarha bari bari buildings wo bhi pehli baar daikh raha tha.

25366665867819d2cb18354873f4493d.jpg

Bhale he uss ne jo kuch bhi experience kia tha lekin shehar ki khubsoorti uss ko apni taraf Akarshak ker rahi thi, Urvi dobara neend ki halat me thi to wo kuch bhi nahi daikh rahi thi, 45 Minute ke lambe safar ke baad wo pohanch gye apni manzal per-


“Sayani Mansion”

4deba467f5989bf8ac389ea9114fb055.jpg

White Color ka wo Mansion lights me jagmagata kisi ko bhi apni khubsoorti me dooba sakta tha, Wahan rakhi har cheez me ek khubsoorti jhalak rahi thi uss ko maintain karne ke liye kitne log lagte ho gye ye sochna bhi mushkil tha.


Car ruki to Sab baahir aa gy, Sabhi Gariya wahan se jaane lagi Akash muskurate huwe Aarav ko daikh raha tha Jo Mansion ki khubsoorti ko apni ankho me kaid karna chah raha tha.


Akash: Sorry Aarav! Main to tumhe Main House me rakhna chahta tha, Lekin Daisuke ke orders hai ke tumhe baki servants ki tarha he alag rakha jaye.



Aarav ko samajh aa raha tha ke Daisuke ne uss ki bhalayi ke liye he ye kaha tha, Waise bhi Aarav un ke saath rehta to comfortable nahi rehne wala, Akash unhe le ker Servant Quarter ki taraf le gaya.

0dd475907b889374f44ae7f3350f136f.jpg

Servant Quarter Mansion ki tarha bare to nahi the, Lekin Aarav ke liye wo he bohat luxury House ki tarha ke the, Aarav aur Urvi ko separate Quarter dia gaya tha.



“Ye bachi ko kia huwa?”



Peeche se Chinta bhari ek awaz ne sab ka dhayan apni taraf kheench lia, Aarav ne peeche ghoom ker daikha to ek Aurat Saari pehne chalte huwe un ki taraf aa rahi thi, Wo Aurat seedhe Urvi ke paas aa gayi jo Aarav ke sahare khari huwi thi.


Aurat (Softly): Kia huwa hai bachi ko? Akash tumhe Aqal hai kia? Iss halat me bachi ko khara kia huwa hai!!!


Uss Aurat ne Urvi ke mathe ko haath laga ker Fever check kia, Wo gusse se Akash ko bole ja rahi thi wanhi Akash bhi chote bache ki tarha khara daant kha raha tha.


Koi bhi iss waqt ye nahi keh sakta tha ke iss Larke se bare bare businessman darte hai, Lekin Uss Aurat ko daikh Aarav apne mann me uth rahe tofan ko shaant ker raha tha.



“Maa!”


Aarav ke mann me ek he shabd goonj raha tha, Maa! Ek pal ke liye Aarav ko uss aurat me apni Maa dikhi jo Urvi ke bimaar hone per aise he dar jati thi, Lekin ye uss ki Maa nahi thi lekin uss Aurat se mehsoos hori wo mamta Aarav ko bikher rahi thi.



Akash: Main andar he le ker jaa raha tha! Ab ap aa gayi ho to khud he sambhalo.



Akash ne muskurate huwe uss Aurat se kaha Aurat ne side se ghoorte huwe Akash ko daikha, Phir ek female servant ko apne paas bula lia.


Aurat: Julia, Bachi ke Araam karne ke liye tayari karo! Jet Lag huwa hai mere khayal se to Aj raat tum iss ka khayal rakhna, Aur Doctor ko bula lo wo bhi ek baar check ker le, Tab tak main kuch halka sa khaane ke liye bana ker laati hu.



Aurat ne Julia ko instruction diye, Abhi tak uss ne Aarav aur Urvi se naam tak nahi poocha tha, Usse sirf Urvi ki fikar ho rahi thi uss ki iss harkat se he uss ka saaf dil ka ehsaas ho raha tha sab ko-



Akash: Mom! Ap ko nahi lagta ke ap ko pehle khud ko introduce karwana chahiye?


Aurat: Main to bhool he gayi! Maaf karna beta, Main Archana Sayani, Adarsh Sayani ki patni aur iss jhalle ki Maa, Mujhe bata dia tha mere husband ne ke tum dono aa rahe ho lekin tumhari behan ki halat daikh ker main khud ko control nahi ker saki, Main tumhe dhanyavaad kehna chahti hu ke tum mere bete ke liye yahan tak aye.


Archana ne halka sa sar jhukate huwe pyaar bhare andaz se kaha, Uss ki ankho me nazar aa raha tha ke wo apne bacho se kitna pyaar karti hai, Jo dusre bacho ki halat daikh ker itna dar rahi thi wo apne bete ke gayab hone se kitna dar gayi ho gi ye lafzo me nahi bayan ho sakta tha.



Aarav: Dhanyavaad ki kaisi baat! Ulta shukriya to mujhe kehna chahiye jo ap logo ne mere liye itna kuch kia, Main ne kuch selfish wishes bhi ki thi lekin ap ne wo bhi puri ki uss ki mujhe bohat khushi hai.


Archana ne aage barh Aarav ko sar per haath pher usse saraha aur dobara Servant ko instruction dene shuru ker diye dono ke liye, Aarav ko Urvi ki chinta nahi karni per rahi thi Archana ne usse sab zimedari apne upar chorrne ka keh dia.



Julia ne Aarav se Urvi ko le lia aur usse andar le gayi, Urvi abhi bhi hosh me nahi thi puri tarha un ke jaane ke Baad Archana bhi wahan se chali gayi-



Akash (Sigh): Huh! Maa hamesha se he aisi hai, Un se kisi ko takleef me nahi daikha jata un ki kisi baat ka bura mat Man'nna.



Aarav: Bura kiu Man'nna? Mujhe to Khushi ho rahi hai ke yahan mere sivaye bhi meri behan ki fikar hai kisi ko!



Akash: Waise Aarav! Agar tum zada thake nahi ho to mere saath aoo gye kuch der ke liye?



Aarav flight se thora thak to gaya tha leki. Wo Akash ko mana nahi karna chahta tha iss liye haan keh dia, Akash usse apne saath dusri taraf le gaya wahan ek bara kamra tha, Akash ke ishare se uss ko khol dia gaya.



Akash andar chala gaya Aarav bhi uss ke saath andar aa gaya, Baki sab log baahir ruk gye sirf 1 un ke saath andar aya aur Darwaza band ker dia, Ye kamra ek gym ki tarha ka tha jahan sabhi Gym equipment the.



Wanhi dewar ke upar kuch katana aur different weapons bhi lage huwe the, Beech me he fight ke liye ke Mat bhi bicha huwa tha-


Akash: Aarav galat mat samajhna! Lekin main ek baar tumhe Test karna chahta hu, Agar koi aur hota to main ye na karta lekin baat mere chote bhai ki hai, Can you spar with Barbie for me?


Akash ne apne saath khare Admi ki taraf ishara kia, Naam Barbie tha lekin built-up uss ka hulk ki tarha ka tha, Aarav samajh sakta tha Akash ye kiu chahta hai.



Aarav (Nod): Theek hai!



Aarav ke Hami bharte he Akash ne Barbie ko ishara ker dia, Dono Mat ki taraf chale gye Aarav apne shoes utarne laga-


Aarav: Kia ye Barbie trust Worthy hai? Daisuke ne mujhe kisi ke saamne bhi apni power Use karne se sambhalne ko kaha hai!



Akash: Tum fikar mat karo! Barbie mere sab se Loyal servant me se ek hai.



Aarav tayar ho ker Mat ke beech me chala gaya, Barbie ne Wooden Training Sword utha li aur ek Aarav ki taraf barha di, Aarav ne Sword ko pakar lia aur khara ho gya.



Barbie: I’ll try to go easy on you!


Barbie ne Sword pakar ker apne Stance me khara ho gya, Aarav bhi ane wale Attack ke liye tayar ho gya.


Akash: Pehle Attack ko tum sirf block karo gye!


Akash ne Aarav se kaha to Aarav ne haan ne sar hila ker hami bhar di.



Akash: Hajime!



Akash ke signal dete he Barbie ne apni sword se perfect defense banate huwe attack kia, Wanhi Aarav Orc King aur Alpha jaise beast se lar ke aya tha uss ke liye Barbie ka Attack bohat Easy tha, Bina zada struggle kiye Aarav ne apni sword se Barbie ki Sword per Slash Use ker dia.


Aarav ki speed Aur power dono he inhumam thi, Barbie Aarav ko underestimate nahi ker raha tha lekin usse bhi aise strong block ki umeed nahi thi, Barbie ki sword uss ke haath se nikalte huwe peeche ja giri.


Jahan Barbie heran tha wanhi Akash chehre per muskurahat sajaye Aarav ko daikh raha tha, Aarav block ke baad ab Attack karne ke liye tayar ho raha tha.



Akash: Itna bohat hai! Main jo daikhna chahta tha main ne daikh lia hai!


Aarav: Per main ne to Attack kia he nahi!!!


Akash: Us ki zaroorat nahi hai! Tum Vansh ko protect ker sakte ho, Mujhe kuch bhi aur daikhne ki zaroorat nahi hai.


*Knock* *Knock*


Abhi wo baat aage barha paate uss se pehle hw darwaze per dastak huwi, Barbie ne ja ker darwaza khola to ek guard ne usse kuch kaha to Barbie ne Akash ko ishara ker dia.


Akash: Tum soch rahe ho gye Aarav ke tumhara Trainer kahan hai?


Akash sahi keh raha tha, Daisuke ne Aarv se kaha tha ke uss se pehle he uss ka trainer wahan ho ga lekin abhi tak Aarav ko wo kanhi nahi dikh raha tha-



*Screech*


Barbie ne darwaza khola to ek larki andar aa gayi, Itni sardi me bhi uss ka badan paseene se bhara huwa tha jaise bohat zada bhaag ker ayi ho, Kaano se earplugs nikalte huwe wo Aarav ke paas aa gayi.

56bcb7f4e9f4034ac5476192023d19d1.jpg


Akash: Ye hai Tsubame! Tumhari Trainer!!!


Aarav herangi se Akash ko daikhne laga, Abhi uss ke saamne he Aarav ne Barbie jaise pehelwan ko haraya tha, Wanhi uss ke saamne ab larki khari thi jo Aarav ki trainer thi.


Tsubame wanha khari kuch der kamre ko daikhti rahi, Uss ki nazar neeche rakhi Wooden swords per gayi to uss ne unhe utha lia aur ek Aarav ki taraf uchaal di.



Tsubame: Akash! Get Out.



Tsubame Japanese thi lekin uss ne ye English me kaha to Akash ko samajh aa gayi, Wanhi Aarav samajhne ki koshis ker raha tha ke wahan ho kia raha hai?


Akash: Theek hai! Waise bhi mujhe ek important Dinner Attend karna hai, Excuse me.


Akash Barbie ke saath baahir chala gaya peeche se Aarav usse jata huwa daikhta raha, Ab kamre me Aarav aur Tsubame akele the Aarav aj tak aisi situation me nahi aya tha iss liye wo Awkward feel ker raha tha.



Tsubame: Tumhari Skill 2 fold hai na?



Tsubame sword ko halka hawa me lehrate huwe boli, Aarav ko yaad aa gaya ke Daisuke ne Aarav ko uss ka status sirf khud ko ya Tsubame ko batane ka kaha tha, Iss liye he uss ne Akash ko baahir bhej dia tha.



Aarav: Ji Haan! Pehli simple Slash aur dusri Deathly Slash.



Tsubame: Hmm! Deathly Slash se mujh per hit lene ki koshis karo.



Tsubame apni jagha per khare hote huwe boli, Aarav ka muh khul gaya jis Slash se uss ne Orc King aur Alpha ko maar giraya tha uss se wo ek larki ko kaise hit ker sakta tha?



Tsubame: Main ne kuch kaha hai! Deathly Slash?



Aarav (Confused): Lekin Deathly Slash khatarnak hai! Main usse Use nahi ker sakta.



Tsubame (Sigh): Huh! Aarav, Tumhe kia lahta hai? Daisuke ne mujhe yahan kiu bheja hai? Main yahan tumhe train karne ayi hu, To apne ye chonchle band karo aur jo kaha hai wo karo.



Aarav (Frightened): Lekin Deathly Slash bohat zada risky hai!!!



Tsubame: Uss ki Responsibility main khud leti hu! Yahan agar mujhe kuch huwa bhi to tumhe koi doshi nahi maane ga, Ab aur koi baat nahi seedhe se apni skill Use karo.



Aarav abhi bhi hichkicha raha tha lekin Daisuke ne kisi psycho ko to nahi bheja ho ga, Tsubame ko Aarav ki skill ka pata tha matlab usse skill ke khatre ka bhi andaza tha.



Aarav ne akhir Deathly Slash Use karne ke faisla ker lia, Lekin wo Tsubame ke kandhe ko Target karne wala tha, Aarav ne apni Sword Stance le lia.



[Skill (Deathly Slash) Activated]



*Crack*



Aarav ne apni Sword se attack kia lekin jaise he Sword Tsubame ke shoulder se connect hone ko huwi to Tsubame ne apne ussi kandhe ke haath se Aarav ki sword ko beech me he halka sa slide kia jis se Aarav ko sword ka pura Angle change ho gaya, Aarav ki sword seedhe zameen me ghus gayi.



*Thud*



Aarav khud ko sambhal pata uss se pehle he Tsubame ne apni Sword se Aarav ke chehre per zordar vaar ker dia, Aarav ke muh se khoon behne laga Tsubame ke attack me power thi jis ne Aarav ko buri tarha jhunjla dia tha.



Aarav (Groaning): Per kaise? Deathly slash ka angle sirf khali haath se kaise change ker dia ap ne.



Tsubame: Simple! Tumhare attack me sirf monstrous strength thi koi bhi technique nahi, Mujhe sirf halka si movement dene ki zaroorat thi aur jaise he main ne di tumhara attack tumhare liye he khatra ban gaya.


Tsubame apni technique chupa nahi rahi thi Aarav ke puchte he uss ne sab kuch saaf saaf bata dia-


Tsubame: Dobara tayar ho jao! Deathly Slash to nahi Use ker sakte lekin Normal slash se Hit lene ki koshis karo.



Tsubame ne apni sword rakh di, Lekin Aarav ab Usse halke me nahi le raha tha, Uss ki sixth sense cheekh cheekh ker usse bata rahi thi ke “She's Strong”



Aarav ne sword se stance lia aur kuch kadam peeche ho gya, Dono bina hile ek dusre ko daikh rahe the Aarav ne khud ko Ready kia aur Achanak dobara attack karna chaha-


*Grip*


Iss baar Tsubame ne sword ki jagha Aarav ke baazo ko kisi saanp ki tarha jakar lia tha, Dusre haath ko Aarav ke kandhe per rakhte huwe Aarav ko gulati dete huwe zameen per patak dia.



Tsubame: Jaldi utho! Puri raat nahi hai hamare paas.



Tsubame apne shabdo ko sugarcoat nahi ker rahi thi, Jo baat thi seedhi muh per ker rahi thi Aarav ne bohat si jalli kati suni thi jis se uss ko farak bhi nahi parta tha, Lekin abhi usse har cheez frustrate ker rahi thi.



Aarav dobara khara ho gya aur apni Sword utha li, Aarav kuch kadam peeche huwa aur dobara tezi se aage barhte huwe Slash Use karna chaha per Tsubame ne sirf apni index finger ko sword per maarte huwe sword ki disha badal di.



*Thud*


Jaise he Sword side per huwi Tsubame ne apne ghutne ko Seedhe Aarav ke pait per Maar dia wanhi na rukte huwe apne paon se ek kick seedhe Aarav ki gardan per de maari, Aarav ke hosh urr chuke the.


Kahan wo Beast ko maar ker aya tha kanha ek larki usse kutte ki tarha dho rahi thi-


Tsubame: Dobara!



Tsubame ne ek aur baar Aarav ko bulaya, Lekin phir Aarav muh ki kha ker neeche gir gaya-


“Dobara”

“Dobara”

“Dobara”

“Dobara”

“Dobara”



Aise he wo na jaane kitni der tak lage rahe lekin Aarav 1 bhi hit nahi le saka, Wanhi Tsubame ne Aarav ki maar maar ker halat patli ker di thi, Aarav ka pura badan dard ker raha tha Endurance se wo seh to paa raha tha lekin dard tha to abhi bhi wanhi-


Aarav thak ker zameen per gir ker saans lene laga, Tsubame bhi uss ke paas khari ho gayi.



Aarav (Moaning): Kaise? Kaise baar baar tum ye ker paa rahi ho? Kia tum bhi ek Player ho?



Tsubame (Sigh): Huh, Player! Main Player nahi hu, Lekin ek player na hone ka ye matlab nahi ke main kamzoor hu.



Aarav ko ek umeed dikhi thi ke Tsubame ke player hone ki wajha se wo haara hai, Lekin aj uss ki kismat bhi uss per hanste huwe keh rahi thi ke wo ek sadharan larki se haar gaya hai.



Aarav: Phir kaise? Main kiu 1 hit bhi nahi le saka?



Tsubame: Kiu ke tumhe apni power ki keemat ka nahi pata!!!



Aarav: Keemat???



Tsubame: Haan Keemat! Tumhare paas jo power hai wo tumhe bina kisi mehnat ke mili hai, Ye nahi ke tum Deserve nahi karte lekin tumhe ye bohat easily mil gayi hai, Aur jo cheez itni Asani se mil jaye insaan ko kabhi uss ki qadar nahi hoti, Waise he tum apni power ki real Potential nahi daikh paa rahe.



Aarav: To main kaise daikh sakta hu Real Potential?



Tsubame: Hmm! Sab se pehle tum apni power ko samajhna seekho, Sirf ye mat socho ke tum ye ker sakte ho, Ulta ye socho ke tum ye kaise ker paa rahe ho?




Tsubame ki baat Aarav samajh pa raha tha, Lekin wo ye nahi samajh paa raha tha ke wo ye kaise kare, Tsubame ne wanhi se ek black shirt utha ker Aarav ke paas rakh di, Kiu ke Aarav ki shirt per khoon laga huwa tha.



Tsubame: Daisuke ne mujhe bataya ke tumhari Ankhe Neeli roshni me chamak rahi hai! Bohat Koshis ke baad bhi tum apni ankho ko badal nahi paa rahe, Lekin iss ko alag nazariye se daikho usse band karne se pehle ye samjho ke wo ankhe chamak kiu rahi hai? Apni power samajhne se pehle khud ko samjho!


Tsubame khari ho gayi aur wahan se jaane lagi, Aarav kuch waqt pehle he iss larki se mila tha lekin ache se dhulayi hone ke baad Aarav uss larki ko samajh paa raha tha, Bhale he wo lightly baat ker rahi thi lekin uss ki in sab technique ke peeche bohat zada mehnat thi, Jo Aarav abhi samajh nahi sakta tha.


Tsubame shuru me ek souless larki lagi thi, Lekin wo souless nahi sirf passionate thi jis ki Aarav Respect ker raha tha, Tsubame darwaze ke paas gayi aur wahan ruk ker dobara Aarav ki taraf daikhne lagi.



Tsubame: Subha 5 baje ready rehna tumhari training kal se shuru ho gi, Aur haan mujhe Sensie keh ker bulana next time.


Tsubame baahir nikal gayi, Wanhi Aarav peeche zameen per laita Tsubame ke akhri baato ko sun heran tha “Sensie?”


Aarav ko khud per hansi ane lagi, Aarav ne wanhi lagi ghari ki taraf daikha to 10 bak rahe the, Larte huwe kab waqt guzar gaya Aarav ko uss ka ehsaas he nahi huwa, Aarav khara huwa uss ke wounds fast healing ki wajha de heal ho chuke the bus halke nishaan he rehte the.



Aarav ne apni shirt utaar ker wahan rakh di aur Tsubame ki di shirt ko pehan lia, Aarav kamre se baahir aya to wahan koi bhi nahi tha, Aarav baahir aa gaya Temperature gir raha tha aur thand ho rahi thi lekin itni thand to Aarav easily seh sakta tha, Aarav Servants Quarter ki taraf chalne laga.




“Mom Mera jaana zaroori hai! Ap samajh kiu nahi rahi?”



Aarav abhi raaste me he tha ke ek larki ki meethi Awaz ne uss ka dhayan apni taraf kheench lia, Wo awaz Garage se ayi thi wanha andhere me 2 saye dikh rahe the 1 ko to Aarav pehchan gaya Archana lekin dusri ko wo theek se daikh nahi paa raha tha.



Archana: Vanshika! Sabhi Driver tumhare bhai aur papa ke saath gye huwe hai, Tum akele kaise jao gi?



Aarav ko andaza tha ke ye kon hai, Vansh aur Akash ki behan Vanshika Sayani, Vanshika ke baare me internet per kuch khaas nahi mila tha, Vanshika sirf ek Insta model ke naam se jaani jati thi.



Vanshika (Frustrate): Mom Please! Mujhe jaana ho ga, Meri Zindagi ka sawal hai!



Archana: Lekin akele kaise beta?



Vanshika: Agar koi mere saath chala to theek hai na phir! Let's see unhhhh, Hey Black Shirt!!!
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Thore ADS ka issue ho gya tha jis se update late ho gya, Ye update 5.5K Words ka tha Next Update aye ga Saturday night Ya Sunday Evening me, Agar update acha laga ho to like karne ka aur pyaare pyaare reviews dene ka, Main chala sone milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!!]
Excellent update
 

Chattan singh

New Member
21
66
28
Hello bro thank you for this master peace as always just extraordinary superb mind-blowing.
Ap ek behtareen writer ho koi shak nahi apka hark work hard update me dikhta he no doubt about it.
But ek or apka bahot important point he ap juban ke bahot kacche ho bro ek bar nahi start se abtk ap Kai baar prove kar chuke ho that you never stick to your words bura lage to bhi koi bat nahi lagna bhi cahiye suru se dekhlo Bhai ap Jo bolte ho wo karte nahi ho or jo karte ho usko karne ke apko Kai bar apni hi jabaan badalni parti he aaj ye hogya Aaj wo hogya sorry guys kal pakka ye sab 15 sep apne bola tha uspe target diya tha 5 sep ka readers ne Kiya apne khud accept Kiya. Kiya ya nahi apki expacted date se pehle apka target pura hogya tha kyu or ab sorry guys aaj nahi de paunga kal deta hun ab ek baat me apko bolta hun or han ab bro ya Bhai nahi bolunga sir kahunga apko yahan se kyuki ap wohi expect kar rahe ho bat schedule or time ki nahi he ap Jo marzi bol dena sir apne time liya tha to ek ek ta 4k ka update jo ap 2 din me likh dete ho itne din me nahi likh paye kuch ajeeb sa nahi he kya har update ke liye itna time lgta he na eske Age ki story jo ap humko kal ya parso dikhaoge wo apne last update se bahot pehle soch ki hogi kyu galat to nahi bola na apke liye likhan main issue nahi he magar main problem kya he pta he ghamand attitude nahi bolunga kyuki uske liye apko pehle 10 same esi story's likhni hongi but reader's se itni tareef as a writer who is just writing for fun apko sayad kuch jada hi upper le gyi ap Jo marzi bolna sir but main sure hun ap Jan bujhke late update dete ho kyuki attention jada milti he ese kyu na ho readers 5 sep ka wait kar rahe the unhone aake dekha update late he unhone Kai or reader's ko bhi recommend Kiya hoga Aaj nahi aaya to wo frustrated hain sath me new reader's jinhone just suru kiya sab wait kar rahe hain earnestly but agar update Diya to apko kiya milega bas thodi si attention or usse apko satisfaction nahi milta ab kyu sir sidha boldo na to be frank ap jese writer's se to mujhe enigma sir bahot acche lagte hain unhone bol Diya tha ke pese cahiye paid version padhlo kismat khrab he unki paid site nahi mili mujhe Jo unhone Kiya bura lga but unki honesty acchi lagi unhone pehle hi bol diya tha not like you just making excuses or han sirji hum nalayak nakara or bilkul berozgar log hain apke pass job he sayad business bhi hoga bahot busy hoge aap Dil se selute he free me humko entertain karne ke liye magar sir hum unemployed hain chutiya nahi so please sir agar apki esi koi money problem he to btado kisi or ka pta nahi magar me ye story subscription leke bhi read karunga agar apka esa mood he to bta dijiye ese chutiya mat banaiye hum nalayak hain writer nahi he kitna or kya effort lgta he nHi pta ap bahot jada mehnat karte ho bas itna pta he agar apko kahi or paid version regularly Dena he bas please site link de dena or koi bat buri lgi ho to khud me improvement kro sir hum to chutiya hain ap moka mat do bas bolne ka kisi chutiya ko.
Jaldi update do ya paid site ka link dedo
 
Last edited:

Looteraaa

Member
268
448
64
Hello bro thank you for this master peace as always just extraordinary superb mind-blowing.
Ap ek behtareen writer ho koi shak nahi apka hark work hard update me dikhta he no doubt about it.
Master ki tarif ke liye shukriya
But ek or apka bahot important point he ap juban ke bahot kacche ho bro ek bar nahi start se abtk ap Kai baar prove kar chuke ho that you never stick to your words bura lage to bhi koi bat nahi lagna bhi cahiye suru se dekhlo Bhai ap Jo bolte ho wo karte nahi ho or jo karte ho usko karne ke apko Kai bar apni hi jabaan badalni parti he aaj ye hogya Aaj wo hogya sorry guys kal pakka
Ekad story likh kar dekh lo....sab samjh aa jyga
ye sab 15 sep apne bola tha uspe target diya tha 5 sep ka readers ne Kiya apne khud accept Kiya. Kiya ya nahi apki expacted date se pehle apka target pura hogya tha kyu or ab sorry guys aaj nahi de paunga kal deta hun
Bada dard ho rha hai!!! Jaise sara target pura karne ka thikra tumhare sir pe tha
ab ek baat me apko bolta hun or han ab bro ya Bhai nahi bolunga sir kahunga apko yahan se kyuki ap wohi expect kar rahe ho bat schedule or time ki nahi he ap Jo marzi bol dena sir apne time liya tha to ek ek ta 4k ka update jo ap 2 din me likh dete ho itne din me nahi likh paye kuch ajeeb sa nahi he kya har update ke liye itna time lgta he na eske Age ki story jo ap humko kal ya parso dikhaoge wo apne last update se bahot pehle soch ki hogi kyu galat to nahi bola na apke liye likhan main issue nahi he magar main problem kya he pta he ghamand attitude nahi bolunga kyuki uske liye apko pehle 10 same esi story's likhni hongi but reader's se itni tareef as a writer who is just writing for fun apko sayad kuch jada hi upper le gyi ap Jo marzi bolna sir but main sure hun ap Jan bujhke late update dete ho kyuki attention jada milti he
Hmmm 🤔 tumhe lagta hai ki agar pata h ki kya likhna hai to jaldi jaldi likh sakte h......kaha se late ho aisa dimag sir........ scene ko kese present krna hai...ye kon sochega ....aur har reader ko samjh aaye isiliye baar baar padhke edit kon karega....aur rahi baat do din me update likhne ki to .....aisi technical story me kuchh scenes 2-3 update tak khinch jaate h...
ese kyu na ho readers 5 sep ka wait kar rahe the unhone aake dekha update late he unhone Kai or reader's ko bhi recommend Kiya hoga Aaj nahi aaya to wo frustrated hain sath me new reader's jinhone just suru kiya sab wait kar rahe hain earnestly but agar update Diya to apko kiya milega bas thodi si attention or usse apko satisfaction nahi milta
Duniya ka koi bhi writer batao jise attention nahi chahiye..
ab kyu sir sidha boldo na to be frank ap jese writer's se to mujhe enigma sir bahot acche lagte hain unhone bol Diya tha ke pese cahiye paid version padhlo kismat khrab he unki paid site nahi mili mujhe Jo unhone Kiya bura lga but unki honesty acchi lagi unhone pehle hi bol diya tha not like you
Tumhe uski baate aachi lagi....lekin mujhe tumhari bilkul bhi nahi lagi
just making excuses or han sirji hum nalayak nakara or bilkul berozgar log hain apke pass job he sayad business bhi hoga bahot busy hoge aap Dil se selute he free me humko entertain karne ke liye magar sir hum unemployed hain chutiya nahi
Nahi tum ho ......lekin tumhe pata nahi hai
so please sir agar apki esi koi money problem he to btado kisi or ka pta nahi magar me ye story subscription leke bhi read karunga agar apka esa mood he to bta dijiye ese chutiya mat banaiye hum nalayak hain writer nahi he kitna or kya effort lgta he nHi pta
Ab sahi sur pakda hai
ap bahot jada mehnat karte ho bas itna pta he agar apko kahi or paid version regularly Dena he bas please site link de dena or koi bat buri lgi ho to khud me improvement kro sir hum to chutiya hain ap moka mat do bas bolne ka kisi chutiya ko.
Jaldi update do ya paid site ka link dedo
Fir wahi....akal bech khai h kya??
 
Top