• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    263

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,661
15,622
144
Schedule
UPDATE#
DATE​
Update 94​
27th October 11:30 PM​
Update 95​
30th October 11:30 PM​
Update 96​
3rd November 11:30 PM​
Update 97​
8th November 11:59 PM​
 
Last edited:

Sushil@10

Member
423
358
63
UPDATE 17 ~
[REASON]




“Bhayia! Pehle hum ne Dada ji aur Dadi ji ko khoya phir Maa ko uss ke baad Papa ko, Lekin ab main ap ko nahi khona chahti, Mujhe nahi pata kaise, Lekin Ap ko wapis ana ho ga”



*Slash* * Slash*



Aarav Subha se training per lag chuka tha, Har din wo sab se pehle apne Slash ko aur ache se Use karne ki practice karta tha, Aj Subha se wo 13000 Baar sword ko swing ker chuka tha.



Uss ka pura Badan itni thand me bhi paseene se bheeg chuka tha, Uss ke wahan khare hone se he Atmosphere ki heat barh rahi thi.



Urvi ko Hospital choor ker wo seedhe ghar wapis aa gaya tha aur Dhayan per baith gaya tha, Lekin abhi bhi Urvi ko dard bhari awaz uss ke kaano me goonj rahi thi.



Urvi aur Aarav ne hamesha khud ko bebas paya tha, Unhe sirf ek umeed ki kiran dikhi thi lekin wo ane wale kal ko dobara us kiran ko daikh sake ga ya nahi dono ko nahi pata tha.


*Gasping*


Aarav neeche baith gaya, Uss ki saans phool chuki thi uss ki puri Body me itni harsh Training se swelling hone lagi thi.



Aarav: “Control! Abhi hosh khoone ka waqt nahi hai Aarav, Tujhe Urvi se kia vaada nibhane ke liye khud ko ane wali chaunati ke liye tayar karna hai, Agar abhi Emotional ho ga to kuch nahi ker sake ga, Wake Up Aarav”



Aarav khud ko he motivate karne laga, Ane wala raasta Asaan nahi hone wala tha, Aarav wanhi baith gaya aur apni saans bahaal karne laga.


*Ding*


Aarav ke paas rakhe Phone per ring huwi to Aarav ne utha ker daikha, Message Vanshika ka tha jis ka Number kal he Aarav ne Save kia tha.


"Hey! Just a quick reminder that we're heading out today. Please be ready to go by 11 AM."



Aj Aarav Vanshika ko uss ke Photoshoot per le ker jaane wala tha, Itni sab baato me wo ye bhoolne he wala tha, Aarav jaldi se utha aur wanha se ghar ke liye nikal gaya.



Aarav ne ghar jaa ker Shower lia aur kapre change ker ke Vanshika ko lene ke liye chala gaya, Vanshika ne usse seedha andar ane ko kaha tha to wo bhi seedhe andar chala gaya.



Sabhi servants ko Aarav ka pata tha to kisi ne bhi usse roka nahi, Ek servant ne usse Vanshika ka Kamra dikha dia Aarav baahir khara ho ker Vanshika ke ane ka intezar karne laga.


*Click*


Vanshika ke kamre ke paas ke he ek aur kamre ke khulne ki Awaz ayi to Aarav ki nazre uss taraf chali gayi, Kamre ke andar se Julia baahir aa rahi thi.



Julia ki nazar jaise he Aarav per gayi to wo chaunk gayi, Wo khud ko cover karne lagi uss ke baadl bikhre huwe the aur Dress bhi kharab tha, Wo apni nazre jhukaye khari thi jaise uss ki choori pakri gayi ho.


Julia tez kadmo ke saath wahan se bhaag gayi, Uss ke Peeche kamre ke darwaze per Vansh khara tha jo darwaza band karne aya tha.


Vansh sirf Trouser me tha upar uss ne kuch nahi pehna tha, Aarav ko ye samajhte waqt nahi laga ke kamre me kia huwa ho ga, Aarav ko daikhte he Vansh ke chehre per Chir aa gayi.


“Aa gye tum?”


Vanshika apne kamre se baahir ayi, Wo tayar thi jaane ke liye, Uss ke haath me ek bag tha jo uss ne Aarav ko pakra dia, Ankho per Glasses lagaye wo ek Celebrity lag rahi thi.


Vanshika ki nazar jaise he Vansh per gayi uss ka bhi chehra utar gaya, Usse bhi pata tha ke Vansh uss halat me kiu khara hai, Uss ki nazro me he Vansh ke liye ghin thi.


Vansh bhi Vanshika ko daikh ker kuch sharminda ho gya aur darwaza band ker ke andar chala gaya.



Vanshika(Annoyed): Ugghhhhh! Ye Subha ko he ye daikhna zaroori tha kia? Ab pata nahi din kaisa guzre ga? Aur tum yahan khare mat raho chalo mere saath.


Vanshika ka mood off ho chuka tha, Aarav ne bhi kuch nahi kaha aur uss ke saath chala gaya, Baahir he Vanshika ki Car khari huwi thi.



Aarav to drive ker nahi sakta tha wahan iss liye Aj bhi Vanshika ne he Driving seat sambhali, Vanshika gusse se Car chalane lagi Aarav bhi Bewajah Javala-Mukhi ko cherna nahi chahta tha.


****
PrintPerfection Studio
New York ~ 1:01 PM


*Knock* *Knock*


“Come in!”



Sammy ne desk per baithe huwe he andar se awaz lagayi to uss ki Assistant Jenny andar aa gayi, Uss ke chehre se lag nahi raha tha ke wo khush hai.



Jenny: Sir, I have some news!



Jenny ki awaz thori dar se kaanp rahi thi, Sammy ko andaza ho gya ke kuch achi khabar to ane nahi wali to wo khud ko tayar ker ke baith gaya.


Sammy: What is it?



Jenny: The Male Model we finalized for the Photoshoot Called us to say he got into a little accident! So he can't Come.


Sab kuch tayar ho chuka tha Photoshoot ke liye, Sammy wanhi Desk per baithe kuch pal gehri soch me dooba raha.


Sammy: He is Faking it! *Sigh* But Unfortunately we can't do anything about it, it's in the contract if the model has an accident, We can't force him to Participate.


Jenny(Concern): What should we do?



Sammy: Call other Models and make sure they're still on board!



Jenny: Actually Sir! I've been trying to call other models, but they are not picking up.



Jenny ka jawab sun Sammy ki akhri umeed bhi toot gayi, Uss ke liye ab se bari problem ban chuki thi.



Sammy: Someone is trying to stop the shoot! Where is Lydia?



Jenny: Lydia is Waiting for Vanshika outside the studio!


Sammy ne Desk se cigarette ka packet uthaya aur kamre se baahir nikal gaya, Jenny bhi uss ke peeche baahir aa gayi Dono studio ke baahir chale gye jahan unhe saamne he lydia khari mil gayi.



Sammy Lydia ke paas chala gaya, Sammy ko aise Achanak apne paas daikh Lydia jenny ki taraf daikhne lagi ke kia ho raha hai?



Sammy: Lydia! It's happening again.



Lydia ko samajhte waqt na laga ke Sammy kis baare me baat ker raha hai, Uss ke chehre per Mayoosi aur Heraani ki lakeere aa gayi.



Lydia: Sammy! this is the third time it's happening in the last two weeks.



Sammy ne packet me se cigarette nikali aur apne muh me rakh apni jeb se lighter nikalne laga.



Sammy: We've been trying to contact Male Rookie Models, but we can't seem to get through to anyone!


Lydia apna sar pakar ker khari ho gayi, Sammy bhi pareshaan tha lekin wo jo ker sakta tha wo sab kuch ker raha tha.


Lydia: Today's photoshoot is very important for Vanshika! We've already taken up a lot of time from the brand, but today we have to send them the raw drafts. Otherwise, they might sign a contract with another model as per their agreement.


Lydia ko Vanshika ki kitni parwah thi wo uss ki awaz se pata lag rahi thi, Lekin wo buri tarha phans chuke the un ke paas waqt nahi tha Itni jaldi kisi new model ko laane ka aur upar se koi models ko rok bhi raha tha.



*Screeeech*



Un ke saamne Car ruki Lydia ko pehchante waqt nahi laga ke ye Vanshika ki Car hai, Vanshika Car se baahir nikli uss ka mood kuch khaas acha nahi lag raha tha.



Wo baahir sab ko greet ker ke seedhe andar chali gayi, Kisi ki himmat nahi huwi ke wo Vanshika ko bata sake.


Lydia: We have to complete this photoshoot today no matter what! Let's start Vanshika's solo shoot for now, you have three hours, Bring any big model, or even if you have to pick someone randomly off the street, I don't know how but you will complete this photoshoot today, I trust you.



Lydia ne Sammy ka haath pakar uss ki ankho me daikhte huwe kaha, Sammy kuch bhi na bola sirf nod karte huwe hami bhar di, Lydia muskurayi aur Andar Vanshika ke paas chali gayi.



Sammy Cigarette ka lamba kash bharte huwe Lydia ko jata daikhta raha, Wanhi Jenny ki pareeshai se halat kharab ho rahi thi usse ye samajh nahi aa rahi thi ke Sammy itna shaant kiu khara huwa hai.



Jenny: Sir! Are we really going to give a chance to a new Model?



Sammy (Puff): It took me 17 years to bring my studio and modeling agency to the top! Do you really think I would let anyone become the face of my agency? Keep trying to contact all the models. If we can't find anyone, we'll have to cancel the shoot. I am not going to give any chance to just anyone until I see something special in them.



Jenny heraani se Sammy ko daikhne lagi, Lekin usse bhi pata tha ke Sammy mazak nahi ker raha wo sach me shoot cancel karne wala tha.



“Mister!”



Sammy ko peeche se kisi ne pukara to uss me ghoom ker peeche daikha, Apne saamne 1 larke ko haath me bag pakre khara daikh Sammy Jenny ki taraf daikhne laga.




Sammy: Aj kisi ka interview tha kia?



Jenny: Nahi! Interviews Friday se shuru hone wale hai.



Sammy ne dobara larke ki taraf daikha, Sammy ki nazre jaise he uss ki ankho per gayi to Sammy ke chehre per ek muskurahat saj gayi.



Sammy: Naam kia hai tumhara?


“Aarav!”


Aarav ne apna Naam batate huwe kaha, Wo Vanshika ka bag liye khara tha jis ko nikalne ke chakar me wo Vanshika kis taraf gayi ye daikh nahi saka.



Aarav: Kia ap mujhe bata sakte ho ke Vanshika kis taraf gayi hai?



Sammy: Tum Vanshika ke saath aye ho kia?



Aarav: Haan ji!



Sammy: Lekin wo to apni Car khud drive ker rahi thi?



Aarav: Main abhi Yahan Naya hu! Akash ne mujhe Security ke liye bheja hai.


Sammy ke chehre ki muskurahat gehri ho gayi, Apna haath uss ne Aarav ke kandhe per rakha aur uss ke muscle ko daba ker daikhne laga.



Sammy (Smirk): Jenny! Kisi ko call karne ki zaroorat nahi hai, koi bhi call nahi uthane wala.



Jenny: ???



Sammy: Aarav tum hamari madad ker sakte ho kia?



Jenny ka muh khul gaya jaise he uss ne Sammy ke muh se wo shabd sune, Abhi ek pal pehle he Sammy usse keh raha tha ke wo kisi ko bhi nahi chun sakta wanhi ab Sammy khud jis se Pehli baar daikh raha hai uss se madad maang raha hai.



Aarav: Kaisi madad?



Sammy: Wo tumhe Jenny bata de gi! Tumhe jo kaha jaye wo karte rehna, Fikar mat karna Sayani Family se main baat ker lu ga.



Jenny: Lekin...,


Sammy: Jenny! Meri baat maano, Aarav ko apne saath le jao, Phir Vanshika ko uss ka bag de ker mere paas aa jana tumhe kia karna hai wo samjha du ga, Hamare paas waqt nahi hai.



Jenny kuch kehna chahti thi lekin Sammy ke order ki wajha se chup ker ke Aarav ko apne le gayi, Aarav ko kuch samajh nahi aa rahi thi lekin Sammy ne agar kaha tha ke Sayani family se wo baat ker le ga to Aarav ke paas koi reason nahi tha Na karne ka, Iss liye wo Jenny ke saath chala gaya.


****

Sayani Industries
New York ~ 1:47 PM


*Ring* *Ring*


Akash ke office me rakha Intercom bajne laga, Akash ne Intercom ki taraf daikha aur file desk per rakh Call receive karte huwe Chair per relax ho ker baith gaya.


P.A: Sir, Mr. Sammy is on the line and would like to speak with you! May I patch the call through to your office phone or would you like me to take a message?



Akash: Transfer the call to me!



P.A: Sure, I will patch the call through to your side now.



Akash: Thank You!



*Beep* *Beep*



Sammy: Hello, Dear Cousin!


Akash: Hello, Aj hume kaise yaad kia ap ne!



Sammy (Chuckle): Mujhe batane ki zaroorat to nahi hai waise! Lekin phir formality ke liye puch leta hu, Kia karna chahte ho tum?



Akash (Smirk): Kia karna chahta hu main?



Sammy: Acting ki zaroorat nahi hai! Mujhe Aarav ko daikhte he pata chal gaya tha ke aj sab models ko yahan ane se rokne ke peeche tumhara haath hai, Mera sawal sirf ye hai ke, akhir kiu?



Akash (Sigh): Sach kehte hai sab! Director Samar ki ankho se kuch nahi chup sakta, Mujhe aj bhi samajh nahi ayi ke tum akhir family business ko chor ker kiu gye ho?



Sammy: Baate ghumane ki zaroorat nahi hai! Batana chaho gye ke kia chahte ho tum?


Akash: Aarav mere liye khaas hai! Mujhe lagta hai ke wo iss kaam ke liye perfect hai, Usse chance de ker daikho.



Sammy: Phir directly kiu nahi baat ki?



Akash: Agar Aarav ko pata chalta to wo iss ko bhi ek karz samajhne wala tha! Main usse pareshaan nahi karna chahta khush daikhna chahta hu.


Sammy: Lekin, tum jaante ho ke aj ka din Vanshu ke liye kitna Important hai! Agar main Aarav ko chance na deta to Vanshu ki puri mehnat barbaad ho jati, kia ye Aarav tumhare liye tumhari behan se bhi zaroori hai kia?



Akash (Sigh): Agar mujhe Aarav ke liye aisa dobara bhi karna per jaye to main karu ga, Tumhe aur jawaab chahiye kia?


Sammy: Man! Akhir kon hai ye Aarav, Jis ke liye tum iss had tak ja rahe ho,? Lekin again, Mujhe uss se kia? Lekin tumhe sach me uss per itna trust hai ke wo aj ke liye best hai?


Akash(Smirk): Samar, Main bachpan se tumhe jaanta hu, Tum sirf mere liye kisi ko chance nahi do gye, Ab tak to tum khud samajh gye ho gye ke kia khaas hai uss me?


Kuch pal ki khamooshi dono ke beech chaa gayi, Sammy baitha uss pal ko dobara yaad karne laga jab Aarav uss ke saamne tha.


Sammy: Huh, Uss ki ankhe bilkul tumhare jaisi hai! Jin ankho ne Zindagi agar nahi bhi daikhi to wo moat ko chakh chuki hai.


Akash: Hahahaha! That's my man, Mujhe pata tha ke mere sivaye agar ye koi daikh sakta hai to wo sirf tum he ho.



Sammy: Hmm! Aarav se kia kehna hai?



Akash: Uss ki chinta mat karo! Main ne usse tum per trust karne ka keh dia hai, Tumhe kuch bhi kehne ki zaroorat nahi hai, Lekin mujhe tumhara 100% Chahiye iss me, Aarav ko sab se bara star banana tumhara kaam hai.



Sammy: You are gonna owe me for this one!



Akash: Sure!


****

PrintPerfection Studio
New York ~ 4:13 PM


Aarav: Ap keh rahi ho ke mujhe Male model ki jagha leni ho gi! Lekin kaise? Mujhe iss field me kuch khaas experience nahi hai, Mushkil se 1 ya 2 baar school group photos he lee ho gi main neZindagi me.



Jenny Aarav ko ek kamre me le ayi thi jo Models ke tayar hone ke liye Makeup room ki tarha ka tha, Jenny ne sab kuch Aarav ko bata dia lekin Aarav ye khud se kaise decide ker sakta tha.



Use Low profile rakhne ke liye kaha gaya tha, Lekin Akash ne usse Message ker dia tha ke wo ye ker sakta hai, Lekin phir bhi Aarav nervous feel ker raha tha.


Magazine shoot's wagaira aj tak uss ne sirf daikhe the, Sirf 1 shoot ke liye log kitni mehnat karte the uss ka andaza tha Aarav ko, Lekin Aarav ko wo sab bina kisi struggle ke mil raha tha.



Jenny: Tumhe jaldi decide karna ho ga! Hamare paas 2:30 ghante he bache hai.



Aarav ke upar Sayani family ke bohat se Ehsaan the, Wo ab aise waqt me peeche nahi hat sakta tha, Iss liye Aarav ne flow ke saath jaane ka soch lia.



*Knock* *Knock*


Jenny: Makeup Artist aa gayi ho gi! Kia decide kia ap ne?



Aarav: Huh, Let's do it!


Jenny ne Aarav ka jawab sun ja ker Darwaza khol dia, Seeshe me peeche khare insaan ko daikh Aarav ki ankhe khul gayi.


Aarav: Veronica!!!



Apna Naam sun Veronica ne seeshe me Aarav ko daikha to uss ke chehre per bhi shararti muskurahat aa gayi, Veronica Vanshika ki personal Make Up artist thi.



Veronica: My My! Ye kon daikhne ko mil gaya hume aj yahan, Main soch he rahi thi ke itne kam waqt me konsa model mil gaya hume? Lekin tum wo model ho gye ye socha bhi nahi tha.


Veronica ne Aarav ke baalo me haath pherate huwe kaha, Aarav uss raat ke baad aj Veronica ko daikh raha tha lekim abhi bhi uss raat ko yaad ker Aarav embarrassed feel ker raha tha.



Veronica: Ab sharmane ki kia zaroorat hai? Uss raat to ma sharmaye, Abhi bhi lydia ke honto per tumhara taste hai, Uss raat ke baad wo kisi aur ko apne kareeb bhi nahi ane de rahi, Maybe she has completely fallen in love with you since that night.



Aarav ka chehra garam hone laga uss raat ko dobara yaad ker ke, Wanhi Aarav ki halat daikh Veronica ko maza aa raha tha, Veronica apni Ungliyo ko Aarav ke chehre per pherate huwe honto per le gayi.



Veronica: Akhir kia tha tumhari Kiss me? Shayad mujhe khud daikhna ho ga!



Jenny: Ahm!


Jenny ne halka khaanste huwe apni majoodgi ka ehsaas karvaya, Veronica ne Jenny ki taraf daikha aur apne haath wapis kheench liye Aarav ki taraf daikhte huwe uss ne apni ungli ko chooma jaise Aarav ko indirectly kiss ker rahi ho.


Jenny: Main ne description tumhe send ker di hai! Theme aur sab kuch bata dia hai, Main Aarav ki measurements le chuki hu 20 Minute ke andar sab suit aa jaye gye, Hum sab se pehle Aarav ke profile shoot se shuru kare gye, Uss ke baad ek whiskey brand ke liye shoot kare gye, tab tak Vanshika ke solo shoot bhi ho jaye gye.



Veronica ne apna phone nikala aur description daikhne lagi, Usse samajhte waqt na laga ke Sammy Aarav ko kis roop me chahta hai.


Veronica ne apna kaam shuru ker dia, Sab se pehle Veronica ne Aarav ke baal aur Beard per kaam shuru kia, Veronica ki movement se pata chal raha tha ke wo apni field me professional hai, Lekin Aarav ke liye ye treatment pehla tha.


Agar ye sab wo India me sasti shop se bhi karwata to hazaro me paise dene per jaate usse, Veronica ne Adhe ghante ke andar Aarav ko tayar ker dia, Aarav kisi heere ki tarha tha jise bus thora tarashne ki zaroorat thi aur Aarav ki charming look baahir aa gayi.



Veronica: Kaise lag rahe ho?


Veronica ne Aarav ke kandhe ko pakarte huwe kaha, Uss ke chehre ki muskurahat bata rahi thi ke usse apne kiye kaam per kitna confidence hai, Aarav khud ko daikh khud heran tha, Kisi ne Sach he kaha tha.



“Nobody Is Ugly, They Are Just Poor”



Aarav khud ko daikhte huwe ye he soch raha tha ke agar Urvi yahan hoti to kitni khush hoti, Aj tak uss ne sirf apne bhai ki mehnat ke baad thaki huwi halat daikhi thi, Aarav ne andar he andar irada bana lia tha ke wo aise he khud ko aage barhaye ga aur Urvi ko dobara bachpan ki tarha hansta daikhe ga.



Aarav: Main ye ker sakta hu na?



Aarav ne Mirror se Veronica ki ankho me daikhte huwe pucha, Veronica ne aage barh Aarav ka haath pakra aur usse chair se utha dia aur uss ke bazo ko gird apna bazo lapait khari ho gayi.



Veronica: Khud per Vishwas karna seekho! Tumhe khud ki Keemat nahi pata abhi tak, Tum iss sab se bohat zada keemti ho.



Aarav ka chehra dobara sharam se laal hone laga jis ko daikh Veronica ki hansi chut gayi, Aarav ke kapre aa chuke the, Aarav ne kapre pakre aur Veronica ki taraf daikha jo anjaan bante huwe wanhi khari rahi.


Aarav: *Cough*


Veronica: What???


Akhir Jenny ko Veronica ko kheench ker baahir le jana per gaya, Aarav ko khushi mil rahi thi Veronica ki harkate daikh ker pehle usse lag tha ke Veronica ka bitch Attitude ho ga lekin uss ki shararte Aarav ko Comfort ker rahi thi.



Aarav ne diye huwe kapre pehle jo light blue pent aur white sleeveless Shirt thi, Aarav baahir aa gaya Veronica ja chuki thi Jenny usse shoot ke liye ready kiye kamre me le gayi, Sammy pehle se wahan camera liye khara huwa tha.



Sammy: Main khud photo nahi leta! Lekin aj tum special ho, Enjoy.



Aarav: Thanks!



Sammy: Kuch biceps Shot le gye pehle! Uss ke baad aage chalte hai.



Sammy ne Aarav ko pose bata dia, Jo simply ek side pose tha Aarav ke liye wo mushkil nahi tha, Sammy ne kuch click liye lekin uss ke chehre per satisfaction nahi thi.



Aarav: Am i doing something wrong?



Sammy: Nahi! Lekin main ne kuch aur expect kia tha, Tumhari ankho me mujhe kuch dikha tha, Jaise tum saamne wale ko apni nazro se maar sakte ho lekin wo dikh nahi raha.



Aarav: 1 Aur click, Please!



Sammy: Lekin itne kafi hai!



Aarav: Bus 1 aur!



Sammy ne wapis apna camera set kia, Aarav ne apni ankhe band ki aur ek gehra saans bhara.




*Alpha Presence Activated*


*You cannot use Alpha Presence to its full potential. Your ability level has dropped*



5b57617eb7e32cb48072b3ff0ef766e7.jpg

Aarav ne apni ankhe kholi to saamne khare Sammy ke haath kaano gye, Aarav se ata wo aura 1 waqt me he Khofnak aur Shaant mehsoos ho raha tha, Sammy ki ungli camera per chalne lagi.



Sammy ke chehre per muskurahat jaise wo kisi cheez ko saalo se khoj raha tha Aur akhir wo cheez usse mil gayi ho, Uss ke baad Aarav ke different Shot liye gye jis me brand ke liye bhi shot liye gye.

71c5703a653ba52865896be567061990.jpg

f7c79f7b8ea6962eef1e0e24a47a79b9.jpg



Aur akhir wo waqt aa gaya jis ke liye sab mehnat ker rahe the, Aarav ek Suit pehne khara tha kuch pal ke baad he kamre ke andar ayi Vanshika, Black dress me Vanshika kayamat lag rahi thi.



Aarav ka muh khula ka khula reh gaya, Vanshika ko pehle he inform ker dia gaya tha jis wajha se uss ne Aarav ko daikh ker kuch react nahi kia, Lekin Aarav to wanha khara sirf Vanshika ki khubsoorti ko daikh raha tha.


Vanshika chalte huwe Aarav ke kareeb ayi aur nazre utha ker Aarav ki taraf daikhi jo uss ke chehre ko ghoorte ja raha tha.



Vanshika: Thanks! Aj ki shoot mere liye bohat Important thi, Dusri baar hai tum mujhe bacha rahe ho, Kal mujhe Concert ke liye jana hai lekin jab main wapis aoo gi to tumhe payback zaroor karu gi.



Aarav: Huh!



Aarav madhoosh halat me sirf ye bol saka kab uss ki Alpha presence deactivate ho gayi usse pata bhi nahi chala, Aarav ki ye halat daikh Vanshika ke chehre per muskurahat aa gayi.


Sammy: Let's Start!



Sammy ne awaz lagayi to Jenny Aarav aur Vanshika ke kareeb gayi aur unhe samjhane lagi kia karna hai Unhe, Wanhi Lydia bhi kamre me aa gayi haath me paani pakre huwe uss ke saath Veronica bhi andar aa gayi.



Lydia: Aj ka din jitna socha tha uss se mushkil ho raha hai!


Veronica: Acha! Lekin mujhe to aj maza aa raha hai.



Lydia: Very Funny! Waise itni jaldi itna Handsome model kahan se mil gaya? Pehle to kisi magazine me nahi daikhe iss ko.



Veronica Lydia ki taraf herani se daikhne lagi, Lekin uss ke chehre se lag nahi raha tha ke usse sach me Aarav yaad hai, Veronica ke chehre per dobara shararti muskurahat aa gayi.


Lydia paani pee rahi thi jab Veronica ne aone haath me pakra phone Lydia ke aage ker dia, Screen per Lydia Aarav ke upar baithi uss ko choom rahi thi.



Lydia ke muh se paani baahir nikal gaya aur wo heraani se Aarav ko daikhne lagi, Usse yaad uss ne uss raat kisi ko kiss kia tha lekin nashe ki halat me usse yaad nahi tha kis ko ki thi?



Jahan Lydia aur Veronica baate ker rahi thi wanhi Aarav ki dil ki dharkane barhti ja rahi thi, Vanshika Aarav ke aage khari thi aur Aarav uss ke peeche uss ke baalo se ati wo madhoosh ker dene wali mehak me khoo raha tha.

5ff44a3213324da726f7848c837ba12a.jpg



Vanshika professional aur focused thi, Lekin Aarav ki dil ki dharkane har movement ke saath barh rahi thi, Vanshika Aarav ki taraf ghoomi aur Aarav ne aona haath uss ki kamar per rakh dia.
0c29134f3287a5e1d6d8704f490ff8ca.jpg


Aarav ke andar bilkul naye ehsaas janam le rahe the Jo uss ne aj se pehle kabhi mehsoos nahi kiye the, Wo Vanshika ke kareeb rehna chahta tha, Uss ke kareeb hone ka khayal he Aarav ko khushi de raha tha.



Aarav ko pata tha ye kuch khaas hai jo wo mehsoos ker raha hai, Aur shayad ye to sirf shuruwat thi.

2fb5e67939c2f39eef597b25a689c303.jpg


Aarav: I've found one more reason to come back Alive.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye update mostly fututre plot ko set karne ke liye zaroori tha iss liye iss wale ne bohat waqt lia, 5K Words ka update hai, iss update ke saath pehle Arc ke mid me aa chuke hai hum, Umeed karta hu ap logo ko update pasand aye ga aur agar pasand to like kare agar iss update per 30 Likes huwe to Next Update Sunday night me aa jaye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Awesome update and nice story
 

CFL7897

Be lazy
436
937
93
Le lo bhai Jitna rest Lena Ho Le Lo Mast free hokar likho damdaar likho Lekin is Itihaas ko jald se jald nipta do ...Jaanta hun Itihaas bhi Kuchh Na Kuchh samete Hue hoga...

Lekin main thoda Itihaas napasand Insan hun just kidding bhai...

Bus jaldi se theek ho jao aur updates ki jhadi laga do....
 

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,661
15,622
144
UPDATE 86 ~
(History Unfolds) (3)




****
Avinash's House
Pune ~ 1991 November 3



*Click*


Avinash kamre ke darwaze ko kholte huwe andar aa gaya, Uske saamne crib ke andar dono bacchon ko litaya huwa tha, Usne ek nazar ladke ki taraf daikha to uski saanse aur dhadkane sach me band thi.


*Thud*


Avinash ne saath darwaze ka sahara lete huwe khud ko girne se roka, Uski aankhon se kab aansu nikalne lage usko khud ko he ehsaas nahi huwa.


“Avi”


Avinash ke saath khadi huwi Lakshmi ne usko bulate huwe Varsha ki taraf ishara ker diya, Varsha bhi bed per baithi crib me bachhon ko daikh rahi thi.


Avinash(Whisper): Varsha!


Avinash ne aage badh ker Varsha ka haath pakad liya, Lekin Varsha ne ek baar uski taraf daikha bhi nahi aur sirf crib ki taraf he daikhti rahi.


Lakshmi: Avinash! Bachi ke saath bhi kuch ajeeb ho raha hai.


Lakshmi ki dari huwi awaaz ne Avinash ko bhi dara diya, Avinash aur Varsha dono he Crib ki taraf bhaag gye, Lakshmi aur Bharat bachi ko daikh rahi thi.


Bachi ki belly phool rahi thi aur usko saans lene me bhi dikkat ho rahi thi, Laskhmi bhi pareshan ho rahi thi, Kyu ke ab tak usko bachi bilkul theek lag rahi thi, Yun achanak uski halat bigadte daikh usko kuch samajh nahi aa rahi thi.


Lakshmi ko hatate huwe Avinash aage aa gaya, Avinash ne bachi ki belly per ungali rakh di aur Qi ko uski belly ke andar bhejne laga.


*Cough*


Avinash chaunkate huwe bachi se dur ho gaya, Uski aankhe hairat ke mare fail gayi thi, Usko daikh ker Lakshmi aur Varsha ko bhi dar lag raha tha, Bharat unko sambhal raha tha.


Varsha: Avinash, K-Kya huwa hai? Meri beti theek to hai na?



Avinash (Sweating): Huh?......Bachi ki spirit energy bohat high hai, Iska heart.....a-aur core dono he crush ho rahe hai.


Lakshmi: Spirit energy? Lekin ye kaise? Ye kaise ho sakta hai? Kya tum stable nahi ker sakte?


Lakshmi hairan ho gayi thi, Kyu ke Avinash aur Varsha dono Qi user the, Unke saath ye hona hairani ki baat thi.


Bharat: Haan, Agar hum kuch energy ko extract ker sake to?


Avinash(Nod): Huh! Koshish karta hu.


*Soul Binding*


Avinash ne Soul Binding se bachi ki spirit ko bind ker liya aur usko stable karne ki koshish karne laga, Sab uski taraf he daikh rahe the, Varsha ne usko Beatrice ke liye ye karte daikha tha, Lekin tab Avinash ko aise mushkil nahi ho rahi thi.


*Thud*


Avinash achanak se unbalanced ho ker gir gaya, Bharat ne usko pakadte huwe utha diya.


Bharat: Kya huwa?


Avinash: Spirit Energy bohat high hai! Usko bachi ki body ke andar stable ker he nahi sakte, Aisa lag he nahi raha ke ye ek bach-


Avinash kehte huwe ruk gaya, Ek khayal ne usko andar se hila ker rakh diya, Lakshmi aur Bharat usko aise daikh ker hairan ho gye.


Avinash(Whisper): Spirit Transfer?


Avinash ne kehte huwe ek baar Varsha ki taraf daikha, Varsha ke chehre per aye dar ke bhavon ko daikh Avinash ke chehre per gussa aa gaya.


Lakshmi(Frightened): Avi.....Kya ho gaya hai?


Avinash: Maa...Bachi ke andar sirf ek spirit nahi hai!


Bharat(Shocked): Ek Spirit nahi hai? Phir aur kitni hai?


Avinash(Sigh): Bachi ke andar uske bhai ki bhi spirit hai! Ladka mara nahi hai, Uski spirit uski body se transfer ho gayi ha-


*Crack*


Avinash abhi baat ker he raha tha ke crib ke tootne ki awaaz ne sab ko chaunka ker rakh diya, Bachi ke andar se energy khud he baahir aa rahi thi, Aisa kuch na to kabhi Avinash ne daikha tha aur na he suna tha.


Varsha: Meri bach- Unghh?


Varsha abhi crib ki taraf badh he rahi thi ke Avinash ne uski kalai ko pakad ker khinch liya aur uski aankhon me aankhen daal ker daikhne laga.


Avinash(Furious): Abhi aur kuch karne ke baare me socha bhi nahi! Ab chup ker ke kanhi baith jao.


Avinash ne Varsha ko bed ko taraf phenk diya aur khud crib ke paas chala gaya, Crib ke upar Energy float ker rahi thi, Lekin usko Ladke ki body me parvesh karte daikh ker Avinash bhi hairan ho gaya.


Bharat: Avinash?


Avinash: Huh? Energy khud bache ki taraf khinch rahi hai, Aisa lag raha ke jaise wo khud apni spirit ko waapis le raha hai.


Avinash: Spirit Barrier!


Avinash ne crib ke aas-paas he ek spirit barrier bana diya, Ye barrier spirit energy ko baahir nikalne se rokta tha, Avinash ke ye karte he energy aur bhi tezi se Ladke ki body me parvesh karne lagi.


Avinash uske beech me he Bachi ki spirit energy ko stable karne laga, Ladke ne uski spirit ko extract ker liya tha, Ab Avinash ke liye Ladki ki energy ko stable karna bilkul bhi mushkil nahi tha.


Lakshmi aur Bharat khade ho ker nazare ko daikh he sakte the, Unko hairani to ho rahi thi, Lekin dono bacchon ke bachne ki ab unhe ek umeed dikhayi de rahi thi.


*Thud*


*Gasping*


Avinash neeche gir gaya aur lambi lambi saanse lene laga, Usne ek lambe samay ke baad itni Qi ka Use kiya tha, Uska pura ka pura shareer pasine se bheeg gaya tha.


*Waaaa*

*Aaiyyyyyyyy*


*Waaaa*



Ek saath dono bachon ki rone ki awaaz ko sun ker Avinash neeche he lait gaya, Uske chehre per khushi se bhari muskurahat saj gayi thi,


Ek pal pehle he uske andar dono bacho ko kho dene ka gam tha, Lekin ab uske dono bachon ki awazen usko sunayi de rahi thi.


Lakshmi dono bachon ke paas chali gayi aur Bharat ne Avinash ko utha ker gale se laga liya, Un dono ki he aankhe bheeg gayi thi.


Laskhmi: Avi.....Yahan aa!


Lakshmi ki baat sun ker Avinash bhi uske paas chala gaya, Lakshmi ne dono bachon ko utha ker usko pakada diya, Avinash ek pal ke liye to chaunk gaya.



Lekin agle he pal unke ehsaas ne usko rok diya, Avinash ke haatho me ate he dono he chup ker gye, Unko daikhte huwe Avinash ke chehre per muskurahat hat he nahi rahi thi.


Avinash(Grin): Aarav! Ab se iska naam Aarav hai.


Bharat: Aarav? Ye to?


Avinash: Haan, Ye clan ke sab powerful user ka naam tha! Lekin aj isne bhi kuch kam khaas nahi dikhaya, Dara ker rakh diya tha.


Avinash aansu chhalak pade, Lekin ab bhi uske chehre per muskan bani huwi thi, Lekin ye muskan zyada samay bani nahi rahi.


Varsha uske paas hs khadi usko lalchai nazron se daikh rahi thi, Uska mann bhi bachon ko uthane ka ker raha tha, Avinash ne dono bache Lakshmi ko pakda diye.


Avinash: Maa...Baba, Bachon ko le ker baahir jaye! Hum kuch der me ate hai.


Bharat: Lek-


Avinash: Baba....Request ker raha hu! Hum aa rahe hai, Ap bacchon ke baaki checkup wagaira ker lo.


Avinash ne pehli baar Bharat ke saath aise kathor shabdon ka prayog kiya tha, Bharat bhi chaunk gaya, Lekin Lakshmi usko khinch ker Bachon ke saath baahir le gayi.


Varsha: A-Avi...nash?



*Grasped*


*Thud*


*Thud*


*Thud*


*Boom!*


Varsha ne abhi kuch kehna chaha he tha ke Avinash ne usko gale se pakadte huwe peeche deewar se laga diya, Varsha khud ko churane ki koshish karne lagi, Lekin ab Avinash usko hilne bhi nahi de raha tha.



Varsha(Choked): Av- Gugh, Avina...sh! Ye k-kya k......



*Thud*


Varsha ke kehte huwe he Avinash dobara usko aage karte huwe deewar per maar diya, Varsha dard se karahane lagi, Lekin Avinash ki aankhon me to khoon utar aya tha.


Avinash: Aakhir kyu?.....Kyu apne he bache ko maarne ki koshish ki?


Avinash ki aankhon me ab gusse se zyada mayusi thi, Uske haath kanpana shuru ho gye the.


Varsha: Soul Purifier! Ap ko Soul Purifier ke baare me pata tha na?


Avinash(Furious): Tum ne locker khola?



Varsha ki baat sun ker Avinash ko baaki sab samajhne me samay nahi laga, Locker ke andar secret techniques ka rakha huwa tha, Usme he Soul Purifier ke baare me bhi likha huwa tha.


Ek Soul Purifier janam ke samay naturally banta tha, Lekin usko khud banane ka bhi ek raasta tha, Damage core ek baar puri tarha se develope ho jaye to usko kaatna possible nahi tha.


Lekin ek undeveloped core ke andar chhed banana possible tha, Lekin uske liye bache ke andar unstable energy honi chahiye thi aur ye energy Varsha ne soul transfer se Aarav ke andar se Urvi ko di thi.


Varsha: Ap ko pata tha ke Soul Purifier sab ko bacha sakta tha? Ek Soul Purifier kisi ki bhi Soul energy ko badha sakta hai, Ap ne ye kyu nahi bataya?


Avinash: Kya phir uske liye khud ke bache ko he tyag do gi? Varsha..... Kya tum khud ke bache se he uski zindgi cheen lo gi kya?


Varsha(Tearful): A-Aisa main kuch bhi nahi chahati thi! Main sirf uski kuch Spirit ko he Use karna chahati thi.


Avinash(Sigh): Huh, Kabhi bhi soul ka sirf ek part transfer nahi ho sakta! Ye to mere se zyada tumhe pata ho ga na? Aakhir tum bhi to kab se uska raasta he dhoond rahi thi na? Kya tum sach me khud ke jhoot per vishwas ker rahi thi?


Varsha ke paas Avinash ke saval ka javab nahi tha, Unke beech khamoshi chhai huwi thi, Avinash khada sirf Varsha ko daikh ker aur mayus ho raha tha.


Avinash: Seriously!? Huh, Ab ek baat suno gi kya? Aj tum sirf ek nahi dono bacchon ko maar rahi thi.


Varsha: Huh? Kya matlab?


Avinash: Ye sach hai ke aise tum ek soul purifier bana sakti ho! Lekin tum kisi ko bhi soul purifier nahi bana sakti, Qi ke body me behne per body infect hoti hai aur User ke bachne ke chances shunya hote hai, Kayi sadiyon pehle ek soul purifier banane ke liye he 8798 bacchon ko sacrifice ker diya gaya tha, Lekin tab bhi ek bhi soul purifier nahi ban saka, Agar aj Aarav ne samay per uski spirit ko dobara extract na kiya hota to tum hamare dono bacchon ko maarne wali thi.


Varsha ki aankhe hairat se fail gayi, Usne ab tak ye socha he nahi tha, Soul Purifier ke baare me padh ker wo itni utavali ho gayi thi ke usne baaki sab kuch andekha ker diya tha.


Varsha(Shivering): A-Avin-ash, Av-


Avinash: Sach kahu to dil to chah raha ke abhi tumhari jaan le lu!......Lekin abhi mere bacho ko ek Maa chahiye hai, Unke liye ek Maa bano...Ab se tumhari study me entry band hai aur tum sirf bacho ka khayal bhi din me sab ke saamne rakho gi, Raat ko bache mere saath ho gye aur tum unke saath kabhi bhi akeli nahi raho gi.


Varsha: Avi-


Varsha ne kuch kehna chaha lekin Avinash bina kuch bhi sune baahir nikal gaya, Uske jaane ke baad Varsha uska sar pakad ker baith gayi, Usko ab ehsaas ho raha tha ke wo kya paap karne ja rahi thi.


Uski aankhon se aansu chhalak pade aur wo khud me simat ker baith gayi, Uske dil me ek tees uthne lagi thi, Lekin ab wo sirf bacho ke bachne per shukar mana sakti thi.



****
Avinash's House
Pune ~ 1997 October 23



Uske baad se Varsha aur Avinash ke rishte me ek darar aa gayi, Unke beech janam le raha naya pyaar ab nafrat ka roop le chuka tha, Avinash to Varsha ka chehara bhi nahi daikhna chahta tha.


Ek dusre ko daikh ker dono raasta badalne lage the, Agar ek dusre ke saamne ho bhi to dono he ek dusre ko nazarandaz he ker rahe hote the.


Lakshmi aur Bharat se puch ker unhone dono bacho ka naam Urvi aur Aarav rakh diya tha, Avinash ne Varsha se unke naam ke liye pucha bhi nahi tha.


Unke beech ayi huwi ye duriyan Lakshmi aur Bharat ko bhi mehsoos ho rahi to aur unhe kuch andaza bhi tha ke ye duriyan kyu ayi hai, Kyu ke Avinash ka bacho ko Varsha se dur rakhna unhe bhi dikhayi de raha tha.



Lekin dono ne he unhe kuch bhi nahi kaha aur waqt ko uska kaam karne diya, Kyu ke unke beech me ane se baate sirf bigadne he wali thi aur waqt ne bhi uska kaam dikha diya.


Unke rishte me ayi darar har guzarte huwe din ke saath bhadne lagi thi, Bacho ke liye aur sab ke liye Avinash ne bhi Varsha ko ab maaf karna shuru ker diya tha.


Unke beech ka rishta abhi bhi pehle jaisa to nahi tha, Lekin ab unke beech se nafrat khatam ho rahi thi aur sab kuch dobara se sudhar raha tha.


Avinash uske kaam per dhayan dene laga tha aur bohat se bachon ko ab unka naya ghar mil gaya tha, Lekin Bharat ki halat ab har guzarte din ke saath bigad rahi thi.


Uska damage core ab uske heart ko crush karne laga tha aur usko heart attack bhi aa gye the, Avinash ne usko kayi doctors ko dikha diya tha lekin kisi ko bhi kuch uska kaaran samajh nahi aa raha tha.


Aakhir Avinash ne Bharat ko jabardasti ek clan ke purane vaid ke paas le gaya, Vaid Qi user to nahi tha, Lekin Vaid ka parivar sadiyon se unke baare me jaanta tha aur kayi Qi user's ko unhone cure bhi kiya tha.


Varsha bhi unki shishya he thi, Usne bohat kuch unse he seekha tha.


*Riiing... Riiing...*


Varsha: Hello?


“Hello, Avinash baat ker raha hu! Batane ke liye phone kiya hai ke hum pohanch gye hai”


Landline ke receiver ko uthate he Varsha ko dusri taraf se Avinash ki awaaz sunayi di, Avinash aur Bharat ke saath Lakshmi bhi gayi thi, Kyu ke usko he vaid ka pata tha.


Varsha: Vaid Ji se mile kya? Kya kaha unhone?


Avinash: Haan, Mil gye hai! Papa ko andar le gye hai, Yahan hamay kuch din rukna ho ga, Yahan sab kuch sahi hote he main aa jaunga, Lekin tab tak bacho ka aur apna bhi khayal rakhna.


Varsha(Nod): Ap bhi Uncle aunty ke saath apna bhi dhayan rakhna! Ye na ho ke vaid ji ko 2 logo ka ilaj karna per jaye.


Avinash: Huh, Theek hai! Yahan abhi kuch kaam hai, Baad me baat kare gye, Bye!


Varsha: Bye!


Varsha ne receiver rakh diya aur udhar he khadi ho gayi, Usne zor se muthi bheench li aur ghar ko ache se daikhne lagi.


Varsha: I'm sorry, Avinash! Lekin ye karna ho ga.


Varsha ne paas he rakha huwa bag uthaya aur baahir ki taraf badh gayi, Usne ghar se baahir aa ker darwaza lock kiya aur uske saamne khadi huwi car ki taraf daikhne lagi.


Driving seat per Ankush baitha huwa tha aur peeche ki seats per Urvi aur Aarav baithe huwe the, Varsha bhi Ankush ke saath baith gayi.


Varsha(Exhale): Fuuu ~ Hamare paas kuch din he hai! Avinash ke ane se pehle hamay sab kuch pura karna ho ga.


Ankush(Nod): Alright!


“Ye wala mera hai”


“Nahi mera hai”


“Ughhh, Rakh le phir ye wala spider-man main rakhu ga”


Ankush car chalane laga, Aarav aur Urvi peeche baithe khel rahe the, Varsha ab tak khud ko calm nahi ker saki thi.


Ankush: Varsha......Khud ko itna blame na karo! Hamare paas aur koi bhi raasta nahi tha, Beatrice ke paas zyada samay nahi hai...Hum abhi bhi sirf kisi ke dar se baithe nahi reh sakte the.


Varsha(Nod): Thank You!


Ankush car ko Pune ke baahir le gaya aur ek factory ke baahir rok di, Varsha ne Urvi ko gaud me utha liya aur Aarav ko bhi car se baahir nikala aur sabhi factory ke andar chale gye.


Varsha: Ye kya hai?



Ankush: Yahan per laboratory banana easy nahi tha! Uske liye bohat permission aur bhi bohat kuch chahiye tha, Lekin factory Singh family ki hai, Unhone yahan neeche secret Laboratory banane me madad ker di hai.


Varsha aur Ankush aise he sab baate karte huwe Underground Laboratory me chale gye, Ankush ke saath France se uska sab staff bhi aya tha, Unko le ker Ankush ek white room ke andar chala gaya.


“Doctor”


Unke andar jaate he ek taraf se bhaagte huwi Suhani unke paas aa gayi aur seedhe Varsha ko gale laga liya, Varsha bhi usko daikh ker muskurane lagi, Unhe kayi saal ho gye the ek dusre ko daikhe huwe.


Suhani bhi ab kaafi badi ho gayi thi, Lekin uski halat bhi ab Beatrice ki tarha ki ho rahi thi, Usko chhute he Varsha ko ehsaas ho gaya tha.


Suhani: Doctor, Ap ab to nahi jaye gi?


Varsha(Smile): Ab hum yahan saath he rahe gye! Aur ye daikho tumhari nayi dost bhi saath ayi hai.


Varsha ne kehte huwe Urvi ko neeche utar diya, Lekin Suhani abhi bhi usko chhune se katra rahi thi, Kyu ke uski spirit energy abhi bohat high thi, Lekin usne dur se he Urvi se baat karni shuru ker di.


Ankush: Varsha!


Ankush ne Varsha ko bulate huwe ek taraf ishara ker diya, Varsha ne daikha to andar 2 aur bhi bache the, Lekin dono he kamre ke alag-alag corners me baithe huwe the.


Ankush: Ye Aakash Sayani aur Veer Singh hai! Unki condition bhi Beatrice aur Suhani ki tarha ki hai, Lekin dono ko kisi se bhi baat karne me bhi dar lagta hai, Unhone ab tak kisi ko chhua tak nahi hai aur na he kisi se baat ki ha-


“Yo”


Ankush abhi Varsha ko bata he raha tha ke unhe ehsaas he nahi huwa ke kab Aarav unke paas se Aakash ke paas chala gaya tha, Aarav Aakash ke saamne baitha huwa tha aur Aakash usko daikh ker ghabraya huwa tha.


Ankush: Ru-


*Stopped*


Ankush unki taraf badhne he laga tha ke Varsha ne usko rok diya, Ankush ne ek baar usko daikha aur chup ker ke khada ho gaya.


Aakash(Trembling): Huh!? Y-Yahan kyu aye ho?


Aarav: Huh?! Yahan main mummy ke saath aya hu, Ek secret batau kya?


Aakash: *Sweating*


Aarav(Whisper): Main secretly spiderman hu! *Nod* Lekin kisi ko bhi batana nahi.


Aakash: Huh?


Aakash uski baat sun ker bilkul hairan ho gaya, Aakash Aarav se bada tha, Lekin phir bhi Aarav usko dara raha tha.


Aarav: Lekin main akele sab ko bacha nahi sakta! Hmm......Kya tum mere superman bano gye? Hum ek dusre ke saath duniya ko bachaye gye, Lekin 2 log bhi kaafi nahi ho gye.....Oye, tum Batman bano gye kya?


Aarav ne room ke dusri taraf baithe huwe Veer ko daikhte huwe kaha, Lekin usko sun ker bhi Veer usko ansuna ker raha tha.


Aakash(Stunned): Huh!?


Aarav ne Aakash ka haath pakad liya aur usko uthate huwe saath le ker Veer ki taraf bhaagne laga, Aakash aur baaki sabhi ye daikh ker chaunk gye ke Aakash ko chhune ke baad bhi sab kuch sahi tha.



Aarav: Sunayi nahi deta kya? Ye superman hai aur main spiderman hu aur ab se tum Batman ho.


Aarav ne Veer ka bhi haath pakadte huwe usko utha diya, Aarav ne Suhani ki taraf daikha to Suhani Varsha ke peeche chup gayi, Aarav ne bhi usko ignore kiya aur dono ko saath le ker khelne laga.


Lekin Veer aur Aakash aise hairan ho ker khel rahe the jaise kisi bhoot ke saath khel rahe ho, Lekin Aarav hanste huwe unko saath khinchate huwe unko khela raha tha.


Varsha(Smile): Ankush....Beatrice kanha hai?


Varsha ke saval ko sun ker Ankush usko udhar he saath bane kamre ke andar le gaya, Kamre ke andar Beatrice machines ke beech me laiti huwi thi, Uski halat bohat bigadi huwi thi.


Usko aisi halat me daikh ker Varsha bhi kaanp gayi, Beatrice ab kuch bhi sun aur bol bhi nahi sakti thi, Uske heart ko bhi ab life support se stable rakha huwa tha.


Varsha se usko aur aisa daikha nahi gaya aur wo baahir aa gayi, Uski aankhe bheeg gayi thi, Lekin usne aansuon ko paunchh liya aur Ankush ke saath uske liye banaye gye kamre me chali gayi.


*Thud*


*Sigh*


Varsha sar pakad ker baith gayi, Usko kam samay me bohat kuch karna tha, Lekin ab usko dar bhi lagne laga tha ke kanhi wo Beatrice ko kho na de, Beatrice ne uski 21 saal ka jeevan white room ke andar he bita diya tha.


Usne kabhi dusron bacho ki tarha kuch bhi nahi kiya tha aur na he usne kabhi baahir ki duniya ko daikha tha, Uske liye white room ke andar ane wale kuch log he uska sab kuch the.


Varsha(Sigh): Huh.....Ankush! Aakash aur Veer ki details ek baar dobara batana.


Ankush(Nod): Aakash, Adarsh Sayani aur Aashna Sayani ka beta hai! Aashna kisi bhi clan se nahi thi, Uske andar Qi core khud he ban gaya tha, Lekin usko uske baare me kuch khabar nahi thi...Aashna, Aakash aur uske bhai ko janam dete huwe bach nahi saki aur uska dusra bacha bhi bach nahi saka...Adarsh ne ab Aashna ki behan Archana se shadi ki hai, Yahan Aakash ko laane wali bhi Archana he thi.


Aashna ki tarha ki kisi ke baare me Varsha ne ye pehli baar nahi suna tha, Kayi baar aise he random humans ke andar bhi core develope hota tha, Unhe the chosen one kehte the, Unko Qi core kisi inheritance me nahi milta tha.


Ankush: Uske baad Veer Singh hai! Veer, Vikram Singh aur Meera Singh ka beta hai, Meera Mist clan se hai aur Vikram ek sadharan businessman tha, Unko pyaar huwa aur Meera clan se nikal ayi, Lekin ye pyaar usko bhaari per gaya, Uska ek beta bach nahi saka aur dusra ab aisa hai.


Ankush ki baat sun ker Varsha baithi kuch sochne lagi, Varsha ko khud per hansi bhi aa rahi thi aur gussa bhi aa raha tha.


Ankush: Varsa! Kya huwa?


Varsha: Soch rahi thi ke hum kaise kuch itna obvious miss ker sakte hai? Kya tumhe kuch ajeeb nahi laga?


Ankush: Kya?


Varsha: Twins! Aakash aur Veer dono ke twins the aur Beatrice ne bataya tha ke uska bhi ek twin brother birth ke time per bach nahi saka tha, Suhani ka hamay kuch pata nahi hai, Lekin uska twin hona bhi possible hai.


Ankush ab uske baare me soch raha tha to ye sach me ajeeb to tha, Lekin usko abhi bhi ye samajh nahi ayi ke uska kya connection tha.


Ankush: Kehna kya chah rahi ho?


Varsha: Kehna ye chah rahi hu ke un sab ke twins mare nahi hai! Unke twins ki soul un sab ke andar hai, Ye he kaaran tha ke unki Spirit energy aise badh rahi thi, Kyu ke wo ek nahi 2 bacho ki spirit energy thi.


Ankush: What the fuck!? Lekin ye kaise ho sakta hai? Ab tak na aisa kuch suna hai aur na kuch bhi daikha hai.


Varsha(Nod): Possible hai! Ye intrauterine cannibalism ki tarha ka hai, Lekin ye kuch alag hai, Usme strong fetus weak fetus ko consume karta hai, Lekin yahan ek bacha dusre bache ko apni soul transfer ker deta hai, Kyu ke uska core develope karne ke liye usko energy chahiye hoti hai.


Varsha ki theory sun ker Ankush hairan to huwa, Lekin uski theory bilkul ignore karne layak nahi thi, Ankush ab soch raha tha to ye possible ho bhi sakta tha.


Ankush: Aur tum ye itne confidence ke saath kaise keh sakti ho?


Varsha: Kyu ke ye main ne khud daikha tha! Aarav ki spirit energy Urvi ko transfer karne ke baad Urvi ki halat bhi Beatrice ki tarha ki ho gayi thi aur Aarav ek bina soul ke corpse ban ker reh gaya tha.


Varsha ne kehte huwe uske bag ke andar se ek file nikal ker Ankush ke saamne rakh di, Ankush ne file ka title he padha tha ke uske raungte khade ho gye.


“Corpse, the Kid Who Was Supposed to Die!!”


Varsha: Ek bhi twin unki soul ke transfer hone ke baad bach nahi saka! Lekin Aarav ek khaas case tha, Usne khud ki soul ko Urvi ke andar se extract ker liya tha, Usne ye kaise kiya kisi ko bhi nahi pata, Shayad usko zinda rehna tha, Uski will to live shayad baakiyo se zyada strong thi.


Ankush(Exhale): Fuuu ~ Ab pata lag gaya hai to kya karna hai? Urvi to Soul Purifier bani nahi to cure banana bhi possible nahi ho ga?


Varsha(Nod): Haan, Urvi soul purifier nahi ban saki! Lekin Aarav ek Soul Purifier hai.


Ankush(Shocked): What?


Varsha(Nod): Haan, Aarav bhi ek born soul purifier hai! Aarav ka core shuru se leak ho raha tha, Avinash ne Urvi ke core ko to seal ker diya hai, Lekin Aarav ka core seal nahi ker saka.


Ankush: Ye to acha huwa na? Ab hum cure bana sakte hai?


Ankush ne Varsha ki taraf daikhte huwe kaha, Lekin usko Varsha khush lag nahi rahi thi.


Varsha: Agar ye baat tum ne pehle puchi hoti to main haan keh deti! *Tearful* Lekin ab Aarav ke baare me sochti hu to khushi nahi hoti...Ek Soul Purifier 25 varsh tak he zinda reh sakta hai...Ankush main Aarav ko khona nahi chahati hu *Sniff* Usko ab khone ka khayal bhi dara deta hai.


Varsha ko khud per gussa aa raha tha ke usne apne bache ko aisa shrap dene ka soch bhi kaise liya tha, Usko laga nahi tha ke usko bacho se itna lagav ho jaye ga.


Varsha: Yahan main Aarav ke liye bhi cure dhudhne ayi hu! Avinash ab vishwas nahi kare ga, Lekin main sach me Aarav ko bachana chahati hu.


Varsha ke paas sach me samay kam tha aur karne ko bohat kuch tha, Ankush ne uska haath thaam liya, Ek dost ke paas hone se Varsha ko bhi kuch himmat mil gayi.


Varsha: Fuuu ~ Ab kaam shuru karte hai? Hamare paas zyada samay nahi hai, Aarav bhi ye kuch din white room me he rahe ga, Uske paas hone se baaki bache khush lag rahe hai, Uske hamay kuch test bhi karne ho gye, Staff ko bula lo unko details batani ho gi.


Ankush(Nod): Yes, Captain! *Smile*


Ankush baahir chala gaya aur Varsha sab ki files ko dobara padhne lagi, Usne pura dhayan kaam per laga diya tha.




****
“Hello!?.....Ye to kuch bol he nahi rahi”


Ankush ne Varsha ki taraf daikhte huwe kaha, Varsha usko daikh ker muh banaye huwe thi.


Varsha: Seriously!?


Varsha ka mood daikh ker Ankush side per ho gaya, Varsha ne saamne daikha to ek corner me ek bachi dubak ker baithi huwi thi, Varsha uske paas gayi to wo dar gayi.


Varsha: Beatrice!


Ankush aur Varsha ne abhi Beatrice ko rescue kiya tha, Uske baap ko police le gayi thi aur authority se baat ker ke usko ab Varsha care me lene wali thi.



Varsha: I’m really sorry! I can't speak Russian and the translator is running late, so we’re kind of stuck *Smile* But if you can understand me at all, just know this... You’re safe now.


Varsha ne Beatrice ko kaha, Lekin Beatrice abhi bhi chup ker ke baithi huwi thi, Varsha ne koshish ker li thi, Lekin usko shayad ab translator ka ane wait karna tha.


Varsha uth ker khadi ho gayi aur abhi wo baahir jaane he wali thi ke Beatrice ne uska haath pakad liya, Varsha ne uski taraf daikha to Beatrice ne uska haath zor se pakada huwa tha.


Beatrice(Crying): D-Dont Leave!




****
Underground Base
Pune Outskirts ~ 1997 October 30



“Happy Diwali”


“Huh?”


Varsha neend se uth gayi, Raat ko kaam karte huwe wo kab soo gayi usko pata he nahi laga, Usne sar utha ker daikha to uske saamne Ankush khada huwa tha.


Varsha(Yawn): Kya ho gaya?


Ankush(Sigh): Aj diwali hai na? Kitni baar kahu ke itna kaam na karo, Aise khud ko bhi nuksan pohancha rahi ho.


Varsha(Nod): Acha, Acha! Ek test ki report ani thi, Uska kya bana?


Ankush: Ughhh, Yahan desk per rakhi huwi hai! Subha he aa gayi thi.


Ankush ne report ko utha ker uske saamne rakh diya, Varsha usko daikhne lagi aur Ankush udhar he baith gaya.


Varsha: Aarav ka blood liya kya?


Ankush(Nod): Haan, Blood ko freeze bhi ker diya hai! Aarav abh-


*Click*


*Boom*


Kamre ka darwaza zor se khula aur ek nurse andar aa gayi, Uske chehre ke rang ude huwe the.


Varsha: Hey, Relax! Kya huwa hai?


Nurse(Gasping): A-Aarav...Aarav bacho ko kuch ker raha hai!


Varsha: Ankush!


Ankush: *Nod*


Varsha aur Ankush dono gewhite room ki taraf bhaagne lage, Nurse bhi unke saath bhaagne lagi, Unko raaste me staff ke cheharon per dar dikhayi de raha tha.


Varsha unke beech se hote huwe aage badh rahi thi aur seedhe white room ke andar chali gayi.


“Maa”


Varsha ke pohanchte he Urvi usko daikh ker bhaag ker uske paas aa gayi, Varsha ne usko pakad liya, Unhone andar daikha to unke saamne hava me energy float ker rahi thi.


Varsha ne saamne daikha to Aarav haath uthaye khada huwa tha, Uske aage Aakash aur Veer ke saath suhani baithi huwi thi, Ye energy unke andar se nikal rahi thi.


Varsha: Urvi, Ye kya ho raha hai?


Urvi(Sobbing): Bhayia keh rahe the ke unko baahir ana hai! Wo sab sad hai.


Varsha: Kisko baahir ana hai?


Urvi: *Sob*


Nurse: Sorry, Doctor! Aarav keh raha tha ke usko sab ke andar se awaaze sunayi de rahi hai, Sab usko madad karne ke liye keh rahe hai...Un teeno ke andar koi sad hai kyu ke unke kaaran se sab hurt ho rahe hai.


Varsha ko ab samajh aa rahi thi, Aarav ko sab ke andar unke twins ki souls ki awaaz sunayi de rahi thi, Unki soul ke kaaran unke twins hurt ho rahe the to wo unse alag hona chahate the.


Ankush: Varsha, Kya ho raha hai?


Varsha: Aarav unke twins ki soul ko unse alag ker raha hai! Lekin ye Aarav ker kaise raha hai? Aisa lag raha hai ke wo unki soul ko devour ker raha hai....Ankush, Urvi ko sambhalna.


Varsha ne Urvi Ankush ko pakada di aur khud khadi ho gayi, Usne ye pehle bhi ek baar daikha tha, Aarav ne khud ke soul ko lene ke liye bhi ye he kiya tha.


Varsha(Exhale): Fuuu ~ Spirit Barrier!


Varsha ne bhi Avinash ki tarha he Spirit barrier bana diya, Energy ab stable hote huwe Aarav ke shareer me parvesh karne lagi.


Varsha ko dar to lag raha tha aur Aarav ki chinta bhi ho rahi thi, Lekin usko ye bhi dar tha ke Aarav ko ab rokne se kuch galat na ho jaye.


Bacho ki aankhe band thi aur Aarav ki bhi aankhe band thi, Barrier ke andar energy kam hone lagi aur bache neeche gir gye.


Ankush: Varsha?


Varsha: *Nod*


Varsha ne teeno bacho ko barrier se nikal liya aur unko daikhne lagi, Ab unki spirit energy stable ho gayi thi, Aarav ne unke andar se sirf twins ki soul nikali thi.


Varsha ko ab bhi samajh nahi aa rahi thi ke ye usne kaise kiya hai, Varsha itne saalo ki research ke baad bhi ye nahi ker saki thi, Usko samajh nahi aa rahi thi khush ho ya hairan ho.


Unki Spirit ko abhi kuch stable karne ki zaroorat thi, Varsha unko khud stable karne lagi.


Urvi(Shout): Maa! Bhayia!!


Varsha ne Aarav ki tarav daikha to Aarav usko neeche chhati per haath rakh ker baitha huwa dikhayi diya, Barrier ke andar ki energy khatam ho gayi thi, Aarav ne puri devour ker li thi.


*Groan*


Aarav baithe huwe karah raha tha, Lekin Varsha ne uski aankhon me daikha to usko sirf bhook dikhayi di, Aarav ki nazar aage ke kamre ki taraf thi.


Varsha: Beatrice?


Aarav ki nazar Beatrice ke kamre ki taraf thi, Aarav uth ker khada ho gaya aur baahir aa gaya, Usko daikh ker Varsha bhi dar gayi.


Varsha: Aarav! Kya ker rahe ho?


Aarav ne uski baat suni bhi nahi aur kamre ki taraf badhne laga, Usko aise daikh ker Ankush uski taraf bhaagne laga, Lekin uske kareeb ate he usko andar se kuch khinchate huwe mehsoos hone laga.


Varsha: Ankush! Uske paas na jana, Aarav abhi tumhari soul ko khinch sakta hai, Wo hosh me nahi hai.


Varsha ki baat sunte he Ankush peeche ho gaya, Aarav ne Beatrice ke kamre ka darwaza khol diya, Varsha uthate huwe uski taraf bhaagne lagi.


Varsha: Aarav! Ek baar meri baa-


Varsha ki ek bhi baat sune bina Aarav ne uska haath utha liya, Beatrice ke andar se bhi energy nikalne lagi, Varsha ne dobara se barrier bana diya.


Varsha ko ab aur bhi zyada dar lagne laga tha, Usne ek baar to daikh liya tha, Ye kuch aisa tha jo usne kabhi daikha ya socha bhi nahi tha, Aisi unknown ability ke saath usko dar lag raha tha.


Varsha(Stunned): Aaravvvvvvv! Beatrice ke twin ki soul nikal gayi hai, Ab tum ruk sakte ho.


Varsha ne Aarav se kaha, Lekin Aarav ruk he nahi raha tha, Beatrice ki khud ki Spirit energy ko bhi usne khinchna shuru ker diya tha.


Varsha: Aaravvvvvvv! Ye kya ker rahe ho? Beatrice mar jaye gi.


Varsha usko bulati rahi, Lekin Aarav bilkul bhi react nahi ker raha tha, Ankush bhi uske paas aa gaya.


Ankush: Hamay usko rokna ho ga! Aise t-


Varsha: Nahi, Hum ye connection break nahi ker sakte! Ye agar ek baar toot gaya to Beatrice ki Soul hum usko waapis nahi de sake gye.


Ankush: Kyu?


Varsha: Ye to nahi pata! Lekin Aarav ke andar se mujhe baaki twins mehsoos bhi nahi ho rahe, Aisa lag raha hai ke Aarav ne unko puri tarha se consume ker liya hai.


Varsha ki aankhe bheeg gayi thi, Usko ab kuch bhi samajh nahi aa rahi thi ke kya kare, Ek taraf Beatrice khatre me thi aur dusri taraf Aarav ke saath kya ho ga usko ye samajh nahi aa rahi thi.


“Papa, Papa! *Sniff* Bhayia ko kuch ho gaya hai”


Urvi ki peeche se ayi huwi awaaz ko sun ker Varsha ke raungte khade ho gye, Usne darte huwe peeche daikha to uske saamne Avinash khada huwa tha, Uski Aankhon me khoon utar aya tha.


Varsha(Shivering): Av...A-Avin-ash! Ek baar meri baat sun lo.... Avinash kuch bhi meri baat sune bina na kar-


Avinash aage badhne laga, Usko aise aage badhate huwe daikh ker Varsha aur bhi dar gayi, Avinash kuch bhi keh to nahi raha tha, Lekin uske chehre ka gussa saaf dikhayi de raha tha.


*Clack-Clack*


Ankush ne gun nikalte huwe Avinash per taan di, Ye daikh ker Varsha bhi chaunk gayi.


Ankush: Avinash, Ab yahan se aage tum nahi badh sakte! Agar koshish bhi ki to main ruku ga nahi, Yahan baat Beatrice ki hai aur uske liye main kuch bhi ker sakta hu.


Varsha: Anku-


*Crack*


Ankush(Scream): Anghhhhh!


Avinash ne ek pal me Ankush ki kalai ko pakad ker tod diya aur usko utha ker ek taraf phenk diya, Varsha sirf Avinash ko daikhti reh gayi, Avinash uske paas aa gaya aur kamre ke andar daikhne laga.


Varsha(Tearful): Avinash, Sorry...! Jo bhi mere saath karna chaho ker lena, Lekin Beatrice ki kuch galti nahi hai... Please!


“Beatrice”


Unke peeche se Suhani bhi uth gayi, Usko abhi bhi puri tarha se hosh nahi aya tha.


*Woooosh*


Avinash un dono ko he nazarandaz karte huwe andar chala gaya, Varsha ne andar daikha to Avinash Aarav ke saamne khada huwa tha, Varsha ye daikh ker dar gayi aur uski taraf bhaagne lagi.


Varsha(Crying): Avinaaasshhh!


Avinash: Soul Binding!



Avinash ne Aarav ki chhati per haath rakhte huwe khud ko uske saath bind ker diya, Beatrice ki soul Varsha ki aankhon ke saamne nasht ho gayi.



*Beeeeep*


Monitor per heartbeat line seedhi hoti gayi aur uski awaaz pure kamre me fail gayi, Varsha udhar khadi sirf Beatrice ko daikh he sakti thi.


Varsha(Whisper): Bea.....trice?

.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Ye update almost 7K words ka tha, Ye likhna kaafi mushkil tha aur ye update saath me kaafi raazo se parda bhi hata raha hai, Umeed karta hu ke ap ko update pasand aye ga, Target hamara wohi hai 120 likes ke liye, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
 
Top