• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    157

Salty~Otaku

O~TA~KU
1,164
7,032
144
UPDATE 46 ~
(TWINS)

****
Veer's House
Mumbai ~ 8:39 PM

*Chatter* *Chatter*

Ghar ke baahir he lawn me Pratap Singh ki Janamdin ki party ka aayojan kiya gaya tha, Pratap Singh ke bacho aur Parivar ke saath kuch kareebi dost bhi wahan aye huwe the.

Pratap Singh ko apna janamdin apne Parivar ke saath manana he acha lagta tha, Pratap apne bete Vikram ke saath ek table per baitha huwa tha jahan sabhi uss se aa ker mil rahe the.

“Daduuuu!!!”

Ek taraf se khushi se uchalte huwe ek larki bhaagte huwe ayi aur seedhe Pratap ke gale se aa lagi, Pratap bhi uss ko pyaar se puchkarne laga.

Pratap(Laugh): hahahahaha, Abhi tak tumhara bachpana nahi gaya? Lekin ye masoomiyat kabhi jaane mat dena meri bacchi!

Meera: Tanu, Pehle tumhe Papa Ji ko janmadin ki badhai deni chahiye na?

Tanu(Giggling): Hehehe, Main to bhool he gayi thi! Janamdin ki bohat bohat badhai ho dadu.

7a70b5ecf514c205f6dafbf43511b0a0.jpg

Kehte huwe Tanu dobara apne Dada ji ke gale lag gayi, Uss ki harkat daikh ker wahan sab ke chehre per muskurahat aa gayi, Tanu ke badhai dete he uss ke saath ayi dusri larki bhi aage ho gayi.

4096ce6633a2b96e91ed8dcd864fee6e.jpg

Larki: Happy Birthday Dada ji!

Pratap: Tum nahi gale lago gi, Ishika? Huh, Ab bari ho gayi ho kahan apne Dada ji se utna pyaar rahe ga tumhe?

Pratap ki baat sunte he Ishika ke chehre per pareshani ki bhav ane lage aur wo dusri taraf se Pratap ke paas baith gayi.

Ishika: Aisa baat nahi hai! Mujhe laga ap ki tabiyat kharab na ho jaye aise ghutan ke beech to main Tanu ke hatne ka intezar ker rahi thi.

Ishika ko yun pareshan daikh ker sab ki hansi nikal gayi, Pratap ne bhi hanste huwe Ishika ke sar per haath rakh dia.

Pratap: Mazak ker raha tha main pagali! Tumhe chinta karne ki zaroorat nahi hai, Abhi to tere dadaji ko double century puri karni hai, Lekin tum batao ke tumhe kya ho raha hai? Sehat daikhi hai tum ne apni?

Ishika ke chehre se uss ki thakan saaf dikhayi de rahi thi, Jaise wo apne khaane peene per bilkul bhi dhayan nahi de rahi ho.

Ishika: Kuch bhi nahi huwa, Dada Ji! Workload thora barh gaya hai to uss ke chakar me kabhi kabhi lunch miss ho jata hai, Lekin kuch din me sab theek ho jaye ga.

Vikram(Scolding): Phir chor do na wo kaam? Tumhe kaha bhi tha ke apni company ko join ker lo, Tumhare jaisi talented larki family business ko chor ker baahir kaam kyu ker rahi hai?

Ishika: Join ker lu gi bare Papa! Lekin main abhi experience lena chahti hu, Khud ki company me main wo sab experience nahi ker sakti jo main kisi aur company me as a employee experience ker sakti hu.

Vikram(Sigh): Kya he keh sakta hu tum se? Lekin yaad rakhna agar kanhi phanso to bata dena, Sab kuch khud se sambhalne ki koshish mat karna tumhare bare Papa abhi tumhare saath khare huwe hai.

Vikram ku baat sun ker Ishika muskura di, Lekin Ishika ki nazre baar baar Vikram se hat ker uss ke saath baithe Vyakti ke upar ja ker tik rahi thi, Ye halat sirf Ishika ki nahi wahan bohat se log har kuch pal ke baad uss Vyakti ko daikh rahe the.

Ek to usd Vyakti ko kisi ne pehle daikha nahi tha, Upar se wo Vikram aur Meera ke saath aise baithe tha jaise wo parivar ka he sadasya ho, Lekin un sab se bari baat thi uss Vyakti ki Personality!

Uss Vyakti se ek alag Charm nikhar ker baahir aa raha tha, Aise tha ke wo Vyakti agar sab ke saamne na bhi baitha hota to logo ki nazron se wo bach nahi sakta tha, Uss ki presence wahan sab se alag thi.

Lekin wo kisi se bhi baat nahi ker raha tha, Kuch samay beetne ke baad Pratap ke Janamdin ka Cake wahan aa gaya, Sabhi log uss ke paas aa gye aur Pratap ne Cake kaat ker sabhi ko khilana shuru ker dia.

Cake ke cut jaane ke baad sabhi log apne saath laye gift Pratap ko dene lage, Sabhi logo ke gift dene ke baad Pratap ne un sab ko khaane ke liye ane ka keh dia aur wanhi ek taraf lagi bari table per baith gaya.

Uss table per 40 Logo tak ke baithne ki jagha thi, Sab ke saamne Pratap he baitha aur uss ki ek taraf uss ka bara beta Amar Singh apni family ke saath baitha tha, Uss ki Dusri taraf Vikram apni family ke saath baitha huwa tha.

Lekin sab log tab chaunk gye jab unhone Vikram se pehle uss Vyakti ko Pratap ke saath baithe daikha, Ab sabhi log sochne lage the ke ye Vyakti kon ho sakta hai?

*Clink* *Clink*

Vikram ne khare hote huwe Glass per Chamach se awaaz karte huwe sab ka dhayan apni taraf kheench liya, Vikram ne ek baar apne Pitaji ki taraf daikha to uss ne usse aage barhne ka ishara ker dia.

Vikram: Ahem, Sab se pehle to ap sab ka aj yahan ane ke liye dhanyavad! Mujhe andaza hai ke sab log kitne utsuk hai mere saath baithe shakhs ke baare me pata lagne ke liye.

Vikram ne saath baithe Vyakti ke kandhe per haath rakhte huwe kaha to sab log seedhe ho ker uss ki baat per dhayan dene lage, Unhen pata lagne wala tha ke Aakhir wo Vyakti kon hai?

Vikram: Main ap sab ko milwana chahu ga mere dusre bete se, Aarav Singh!

*Cough* *Cough*

Vikram ke kehte he paani pee rahi Tanu khaansne lagti hai, Meera uss ki peeth thapthapane lagti hai, Lekin khaanste huwe bhi Tanu ki nazre apne Papa aur Aarav ke upar tiki huwi thi, Usse Vikram ki kahi kisi baat per Vishwas nahi ho raha tha.

Ye halat sirf uss ki he nahi thi, Kisi bhi aur ko Vishwas nahi ho raha tha, Yun ekdum se Vikram ka beta kahan se prakat ho sakta tha? Sabhi ke mann me aise he sawal the.

Un me se kuch heraan the aur wanhi kuch chehro per pareshani ke bhav dikhne lage the, Lekin sab se strong reaction Tanu ka tha, Apni muthi se table ke kapre ko bheenche wo apne Papa ki taraf daikhte huwe un ke kuch kehne ka intezar ker rahi thi.

Vikram: Please, Ap logo ko yun chaunkne ki zaroorat nahi hai! Main ap ko sab kuch samjhata hu.....*Breath*......Jaise ap me se kuch logo ko pata ho ga ke mere aur meera ke pehle bache Twin the, Lekin uss samay mera ek kareebi dost apne bache ko kho diya tha, Uss ke bohat kehne per main ne aur Meera ne apna ek beta usse de diya tha, Aarav!

Wahan baithe kuch logo ko ye baat yaad thi aur kuch jin ko nahi pata tha wo dusro se confirm ker rahe the-

Vikram: Kuch saal pehle mere uss dost aur uss ki patni ki ek Accident me death ho gayi thi! Papa ji aur Meera se baat karne ke baad hum ne Aarav ko dobara hamare parivar ka hissa banane ka nirnay liya hai, Veer ke hume chorr jaane ke baad ab uss ka Bhai Aarav uss ki sabhi zimedariyo ko sambhale ga.

****

Veer's House
Mumbai ~ 11:23 PM

7 Days Ago.......

“Ap keh rahi ho ke main ap ka beta ban ker Parivar ka hissa ban jau?”

Aarav ne ek baar dobara Meera ki baat doharate huwe usse bataya ke wo kya keh rahi hai, Lekin Meera ko ache se andaza tha ke wo kya keh rahi hai, Uss ki baat sun ker Vikram aur Pratap bhi heraani me doobe huwe the.

Vikram(Whisper): Ye tum kya keh rahi ho? Hum aise he kisi ko bhi apna beta bana ker sab ke saamne le aye? Agar sab ko vishwas karwa bhi de ke ye hamara beta hai, Lekin kya hum sach me iss larke per bharosa ker bhi sakte hai kya?

Vikram ka reaction bilkul sahi tha, Usse ye samajh nahi aa rahi thi ke Meera ne aisa sujhav saamne rakha bhi kyu hai, Lekin Pratap kuch bhi nahi keh raha tha aur khamooshi se sun raha tha.

Meera: Please, Ek baar mujh per vishwas ker ke sochiye na! Hum aise he to isse kuch nahi de sakte hai na? Lekin agar ye hamara beta ban jaye ga to hume Aarav ko kuch dene me dikkat bhi nahi ho gi.

Vikram ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Wo sirf apni patni ko samajhne ki koshish ker raha tha, Meera ke Chehre per bhi nervousness dikh rahi thi.

Vikram: Asli wajha ye nahi hai! Baat kuch aur hai, Lekin tum mujhe batana nahi chah rahi ho?

Vikram ne apni Patni ko aise bechain pehle kabhi nahi daikha tha, Uss ki patni hamesha uss ke saath chalne walo me se thi, Lekin pehli baar wo aise kisi baat per Bechain ho ker Vikram ko mana rahi thi.

Pratap: Vikram! Meera beti ne aj tak kuch bhi bura nahi socha hai, Agar usse lag raha hai ke ye ek acha nirnay hai to hume uss ka saath de ker baat ko samajhne ki koshish karni chahiye.

Vikram: Lekin Papa Ji? Ye koi chhota nirnay nahi hai na? Hum kisi anjan ko apna beta kaise bana sakte hai? Hume to pata bhi nahi hai ke usse chahiye kya hum se?

Vikram awaaz dheeme rakhte huwe baat ker raha tha, Lekin Aarav ko sab kuch sunayi de raha tha, Aarav bhi kuch soch me dooba huwa tha.

Tinkerbell: [Ye ho kya raha hai? Hum to yahan sirf paise lene aye the na? Mujhe ye Aurat sanki lagti hai, Paise lo aur nikalne ki karte hai]

Tinkerbell ne Aarav se kaha lekin Aarav uss ki baat per dhayan nahi de raha tha, Aarav ko sach me uss sujhav per sochte daikh Tinkerbell bhi heraan ho gayi.

Tinkerbell: [Don't tell me! Tum sach me serious ho iss baare me?]

Aarav: [Ye Aurat kisi chal per ho sakti hai! Lekin ye kehna galat nahi ho ga ke ye hamare liye ek acha sujhav hai, Tumhe pata hai ke ye duniya ke liye asli power kya hoti hai?]

Tinkerbell: [Hmm, Paisa?]

Aarav: [Sahi, Lekin sirf Paisa kafi nahi hai! Tumhare paas bohat paisa ho sakta hai, Lekin sirf uss Paise ko power nahi keh sakte]

Tinkerbell: [Phir aur kya hai Power?]

Aarav: [Naam! Ek Powerful Naam ke liye Paisa zaroori hai, Lekin uss naam ko Powerful banane ke liye Samay aur Bal dono lagte hai, Lekin agar wo naam mujhe aise mil sakta hai to mere khel me hum ek saath bohat aage barh sakte hai]

Aarav ke chehre per ek Muskurahat ane lagi thi, Jaise wo khud ko apne maksad ke aur bhi kareeb daikh raha tha, Tinkerbell ko kuch samajh to nahi aa rahi thi, Lekin usse ye Vishwas tha ke Aarav sab kuch soch ker he ye nirnay le raha tha.

Tinkerbell: [Jaisa tumhe sahi lage!*Sigh* .....Lekin mujhe nahi lagta ke ye log tum per aise he Bharosa kare gye?]

Aarav ko bhi iss baat ka andaza tha, Ye sujhav Meera ka tha lekin kya wo Aarav per sach me bharosa karti bhi thi kya? Ye Aarav ko nahi pata tha.

*Huh!*

Aarav ko ekdum se kuch yaad aya aur wo un sab ki taraf daikhne laga, Aarav ne apni Inventory kholi aur uss me kuch dhoondne laga, Agle he pal Aarav ko Inventory me wo cheez mil gayi.

Aarav: Ap me se kisi ko bhi pata hai ke ye kya hai?

Aarav ki awaaz sun ker sabhi ka dhayan uss ki taraf ho gaya, Aarav apne haath me ek White card pakre huwe unhe dikha raha tha, Pehle to unhe kuch samajh nahi ayi, Lekin jaise he unhone Card ko dhayan se daikha un sab ki aankhe khulne lagi.

Vikram uthte huwe aage barha aur Aarav ke haath se card ko pakar lia, Card ko pakar ker uss ne Pratap ki taraf daikha aur Card usse pakra diya, Un ke reaction se Aarav ko andaza ho gaya ke unhe card ke baare me kuch to zaroor pata hai.

Vikram: Y-Ye tumhare paas kaise hai?

Un dono ke chehre per heraani ke bhav the, Aisi heraani unhen Elixir daikh ker bhi nahi huwi thi, Meera apne Pati aur Sasur ki baate sun ker Samajhne ki koshish ker rahi thi ke sab kya baat ker rahe hai?

Meera(Confused): Vikram Ji, Kya ho raha hai? Aisa kya hai Aarav ke paas?

Meera blind thi to usse card dikhayi nahi de raha tha, Lekin usse andaza tha ke Aarav ne kuch to aisa nikala hai jis ne uss ke sasur aur pati ke hosh ura diye hai.

Vikram: Veer ka White Access Card! Aarav ke paas Veer ka Special Access Card hai.

Vikram ki baat sunte he Meera ne muthi bheench li, Uss ka sharir me thartharahat mach gayi, Vikram dobara Aarav ki taraf daikhne laga jaise apne sawal ka jawab maang raha ho.

Aarav: 7th December 2013, Elysium Mansion, New York! Raat ke samay wahan ek party me Veer Singh ap ke bete ne ye Card khud mujhe dia tha, Lekin tab mujhe kuch pata nahi tha ke ye Card hai kya? Lekin ap sab ko daikh ker lag raha hai ke ap sab ko bohat ache se pata hai ke ye kya hai?

Ye Card wohi tha jo Veer ne Aarav ko diya tha, Tab Aarav Veronica ke saath hone aur Vanshika ke aa jane se uss card per kuch dhayan nahi de saka tha, Lekin Veer ne usse kaha tha ke sahi samay per ye card uss ke kaam aye ga.

Aarav ki baat sun ker wo teeno he gehri soch me chale gye, Lekin ab un ke chehre per ek sakoon bhi dikh raha tha, Jaise un ki pareshani ka hal mil gaya ho unhe.

Pratap: Ye mere bache ka Special Card hai! Hume bhi nahi pata ye kya hai? Lekin agar Veer ne tumhe ye diya hai to uss ka ek he matlab hai, Veer ko tum per duniya me sab se zada bharosa tha.

****

Veer's House
Mumbai ~ 9:52 PM

*Crunch-Munch*

Tinkerbell table ke upar baithi maze se Aarav ki plate se khane ko khatam karne lagi huwi thi, Aarav bhi araam se khana kha raha tha.

Vikram ke bolne ke baad koi bhi khana nahi khaya, Vikram ka bara bhai aur uss ki Bhabhiyan seedhe Pratap aur Vikram ko le ker ek taraf chale gye kuch baat karne ke liye.

Wanhi Tanu bhi bina kuch kahe seedhe ghar ke andar ki taraf bhaag gayi, Meera aur Ishika ko uss ke peeche andar jana per gaya, Abhi table per Aarav aur sirf kuch log he bache the.

Tinkerbell(Chewing): [Waise kehna pare ga! Tumhari duniya ka khana sach me kamal ka hai, Kitna bhi kha lo aur khane ko mann karta rehta hai]

Aarav ne khaane ki taraf daikha to wo khana sach me maze ka tha aur hota bhi kyu nahi? Sabhi Dishes singh family ke personal best chef's ne taiyar ki thi, Ek samay tha ke Aarav ko un dishes me se kisi ek ko khaane ke liye bhi hafton mehnat karni parti thi.

Aarav jis hotel me kaam karta tha wahan ke chef kabhi kabhi extra khaana Aarav ko de diya karte the, Jab bhi aisa hota wo din Aarav aur Urvi ke liye kisi utsav ki tarha hota tha.

Lekin ab ye Aarav pehle ki tarha nahi raha tha, Uss ke liye ab ye sab kuch bhi mayine nahi rakhta tha, Lekin uss ki Unique Ability Sustenance Sustainer ki wajha se usse bhar pait khaane ki zaroorat thi apni power waapis laane ke liye.

Tinkerbell: [Waise mujhe bohat samay se kuch puchna tha! Uss raat tumhe kaise pata tha ke wo card wahan kaam kare ga?]

Aarav: [Huh, Sach kahu to mujhe bilkul bhi nahi pata tha! Lekin ek hunch thi jo mujhe bata rahi thi ke ye he wo samay hai jis ke baare me Veer ne mujh se kaha tha]

Aarav ko abhi bhi kuch samajh nahi aa rahi thi ke Veer ne kuch aisa Aarav ko kyu diya tha? Aarav apni puri jeevan me Veer se sirf ek baar mila tha, Lekin uss ek baar me Veer ne Aarav ko kuch aisa de diya jo uss ke against istemal ho sakta tha.

Sirf uss Card ko daikh ker he Pratap aur Vikram ko Aarav per koi shak nahi raha tha aur unhone bina kuch soche Meera ki baat maante huwe Aarav ko apne Parivar ka hissa bana lia.

Aarav uss raat se bohat theories bana chuka tha, Lekin wo sirf theories thi, Sach ka sirf Veer ko he pata tha jo ab usse batane ke liye tha nahi, Aarav ne uss baare me aur nahi socha.

Aarav: [Sab se pehle to hume ye pata lagana hai ke ye Card hai kya?]

Tinkerbell: [Uss ke liye main hu na! Tum uss Card ko waapis Inventory me rakh do, Main usse Analyze ker ke uss ke sabhi secret pata lagwa lu gi]

Aarav: [Tum ye ker sakti ho?]

Tinkerbell: [Ofcourse, Ye meri ek Ability hai! Main kisi bhi item ko analyze ker sakti hu, Samay lage ga lekin main easily ker sakti hu]

Aarav: [Aur tum ne abhi tak mujhe ye bataya kyu nahi?]

Aarav ki awaaz me gurahat thi, Tinkerbell ki puri rooh kaanp gayi, Uss ke haath khaate huwe wanhi tham gye.

Tinkerbell(Frightened): [Sorry! Mujhe yaad nahi raha ye batana]

Tinkerbell ne masoom aankhen banate huwe kaha, Aarav bhi usse kuch nahi keh sakta tha, Lekin wo usse aise he chorne bhi nahi wala tha.

Aarav: [Theek hai! Lekin tumhe punishment to deni ho gi, Kal raat tak tum kuch bhi aur nahi kha sakti ho]

Tinkerbell ka shareer glow kiya aur waapis normal ho gaya, Tinkerbell ne khaane ko chuna chaha lekin wo usse chu nahi paa rahi thi.

“Huh! Zada intezar to nahi karwaya na tumhe?”

Saamne se vikram ne chal ker ate huwe Aarav se pucha aur aa ker uss ke saath baith gaya, Uss ke chehre se lag raha tha ke wo lambi behas ker ke waapis aya hai.

Aarav: Kuch khaas zada nahi! Lekin ap batao, Kay situation hai?

Vikram: Sab jaise expect kiya tha waise he huwa hai! Bhayia aur dono Bhabhiyon ko ye baat kuch hazam nahi ho rahi ke tum aise kahan se aa gye, Lekin wo kuch bhi nahi ker sakte, Hum ne sabhi loopholes check ker liye hai, Kisi ko kabhi pata nahi lage ga ke tum mere bete nahi ho.

Vikram sach keh raha tha, Aarav ke past ki kuch bhi details usse bhi nahi mili thi, Unhone ek fake Blood report bhi banwa li thi to koi ye bhi nahi keh sakta tha ke Aarav ko behroopiya hai.

Aarav: Lekin Veer ka sab kuch mujhe dene ka sun ker wo kuch na kuch zaroor kare gye! Un ke paas bohat se reasons hai mujhe sab kuch milne se rokne ke liye.

Vikram(Smirk): Abhi tumhe Papa ji ke baare me pata nahi hai! Unhone ne zameen se Singh family ko uthaya ker yahan laya tha, Koi kuch bhi ker le wo Papa Ji ke khilaf nahi ja sakte, Bohat purane khiladi hai wo.

Vikram ke confidence se pata chal raha the ke usse Pratap ki kabiliyat per kitna Vishwas hai, Tabhi wo usse un ke paas chor ker yahan aa gaya tha.

Vikram: Lekin tumhe dhayan rakhna ho ga! Un me se koi bhi tumhe accept nahi karne wala aur sach kahu to shayad meri beti bhi tumhe Veer ki jagha nahi de gi.

Aarav: Uss ki chinta mat kariye! Main yahan family family khelne nahi aya, Hum ek deal ki wajha se yahan hai uss se zyada mujh se bhi family ke saath milne ki expectations mat rakhiye ga.

Vikram ne uss per Aarav ko kuch bhi nahi kaha, Aarav ko parivar ko hissa banana uss ki patni ka sujhav tha, Lekin uss ki khawahish thi ke Aarav uss parivar ko apne parivar ki tarha daikhe.

Vikram: Jaisa tumhe acha lage! Ek aur baat tumhe batani thi, Dr.Gupta subha Papa ji ko check ker ke gye hai, Un ke bhi hosh urr gye jab unhone Papa Ji ke sehat me itna sudhar daikha to aur ache se daikhne ke liye Papa Ji ke test bhi karwa diye hospital le jaate huwe, Tumhare Elixir ne sach me apna asar dikhana shuru ker diya hai.

Vikram ka chehra khushi se khil gaya, Apne Pita Ji ke liye wo bohat pareshan tha, Lekin ab uss ki chinta ghatne lagi thi aur uss ki wajha Aarav tha, Vikram sirf uss Elixir ke liye apna sab kuch bhi Aarav ko dene ke liye taiyar tha.

Aarav: Achi baat hai! Lekin yaad se unhe daily excercise karwate rehna aur Body ko proper rest lene dena, Agar rest he kiya to Elixir kisi ek part per he burden ban sakta hai, Usse Puri body me move karne dena.

Vikram: Main sab cheezo ka dhayan rakh raha hu! Un ki daily activity khud daikh raha hu.

Aarav: Good!

Vikram: Huh, Party khatam he ho gayi hai! Agar chaho to tumhare liye 2nd floor per taiyar kiye kamre me ja ker araam ker sakte ho, Ruko main kisi ko tumhare saath bhejta hu.

Vikram ne ek house servant se Aarav ko kamra dikhane ke liye keh diya, Aarav ke paas bhi wahan rukne ka koi reason nahi tha, Vikram baki bache huwe guest ko attend karne laga.

Janamdin to tab he khatam ho gaya tha jab Vikram ne sab ko Aarav ka bataya tha, Abhi to wo sirf formality puri ker raha tha, Aarav Servant ke saath ghar ke andar jaane laga.

Tinkerbell: [Main ne tumhare kiye family ka introduction taiyar kiya hai! Ruko Abhi dikhati hu]

Pratap Singh (Head of the Family)

****
Amar Singh - 59 (Pratap's Elder Son)

Radhika Singh- 53 (Amar's Wife)

Kunal Singh- 34 (Amar's Son)

****
Vikram Singh - 56 (Pratap's Second son)

Meera Singh - 52 (Vikram's Wife)

Veer Singh - 23 (Vikram's Son) (Dead)

Aarav Singh - 31 (Vikram's Second Son)

Tanushree Singh - 22 (Vikram's Daughter)

****
Karunesh Singh - 43 (Pratap's Third Son) (Dead)

Priya Singh - 48 (Karunesh's Wife)

Ishika Singh - 29 (Karunesh's Daughter)

****
Ananya Singh - 51 (Pratap's Daughter)

Rohit Verma - 53 (Ananya's Husband)

Riya Verma - 24 (Ananya's Daughter)

Aarav: [Kya main puch sakta hu ke mera naam yahan kyu hai?]

Tinkerbell(Giggle): [Ab tum bhi to Parivar ke sadasya ho na? Ab tumhara naam bhi to yahan ho ga he, Mr. Aarav Singh!!]

Aarav: [Khaye bina ek aur din rehna chahti ho kya?]

Tinkerbell(Frowns): [Sorry, Sorry, Sorry!! Ab aisa nahi karu gi]

Aarav: [Hmm, Ab apni harkate band karte huwe mujhe batau ke tumhe kya kya pata laga hai?]

Tinkerbell: [Kuch khaas nahi! Pratap Singh ke 4 bache hai, Chota beta mar chuka hai aur Beti apni Family ke saath USA ne rehti hai, Ab yahan uss ke 2 Bete hai apni Family ke saath aur teesre bete ki wife aur Beti hai]

Aarav ne aise he aur bhi kuch baate puch li Tinkerbell se aur utne me Servant ek kamre ke baahir ruk gaya, Servant ne Key se darwaza khola aur Key Aarav ko pakra di.

Servant: Ap ke kapre andar set ker diye gye hai! Ap ki baki necessity ki sabhi cheeze andar rakh di gayi hai, Agar kuch bhi aur chahiye ho to ap mujhe bata sakte ho.

Servant sab kuch bata ker Aarav se permission le ker wahan se chala gaya, Aarav ne kamre ke andar daikha to wo ek bara aur Khubsurat kamra tha.

“Koshish bhi mat karna andar kadam rakhne ki!!!”

Aarav ne peeche daikha to sidhiyon ke paas Tanu khari gusse se usse ghoor rahi thi, Aarav wanhi darwaze ke beech me ruk gaya, Tanu tez kadmo ke saath Aarav ke paas aa gayi.

Tanu ki Aankhe rone se laal ho gayi thi, Uss ke gaalo per abhi bhi ansoo ke sukhe nishan the-

Tanu(Furious): Ye kamra Veer bhayia ka hai! Tum na to un ke kamre me aur na he hamare parivar me aa sakte ho, Main tumhe kabhi Veer bhayia ki jagha nahi lene du gi.

Tanu ne Aarav ko pakarte huwe usse baahir khichne lagi, Lekin uss ke jaisi nazuk larki ke khichne se Aarav apni jagha se hil bhi nahi raha tha, Ye baat usse aur bhi chidh-chidha rahi thi.

Tanu: Niklo hamare ghar se! Tum kabhi Veer bhayia ki kisi bhi cheez ko nahi chune wale, Nikal jao ab, Ughhhh!!!

Tanu apni puri takat laga rahi thi, Lekin Aarav ko kuch farak bhi nahi per raha tha, Wo waise he bina hile sirf khara huwa tha.

“Tanu?”

Sidhiyon se upar ati Ishika ne jab Tanu ko daikha to wo chaunk gayi, Bhaagte huwe wo un ke paas aa gayi aur Tanu ko Aarav se alag ker diya, Tanu Ishika ki seene me muh de ker rone lagi.

Tanu(Sobbing): Ishika Di! Ap iss insaan se kaho na ke bhayia ke kamre se nikal jaye, Mujhe nahi chahiye koi aur bhai, Veer bhayia ki jagha kisi aur ko nahi leni chahiye na?

Ishika(Consoling): Tanu, Bari Maa ne abhi tumhe samjhaya hai na? Ye sab Dada Ji ka decision hai aur Veer bhayia ki bhi ye khawahish thi.

Tanu: Mujhe nahi vishwas Maa ki baat ke upar! Ye insaan sab ko pagal bana raha hai, Hum kisi lawyer se baat karte hai na? Ap to jaanti ho gi na kisi ko?

Tanu kuch bhi bole ja rahi thi, Uss ka bachpana ab tak nahi gaya tha, Gharwalo ke pyaar ne uss ka bachpana jaane nahi diya tha.

Ishika: Hum subha daikhe gye! Abhi kamre me chalte hai, Aj main bhi tumhare saath sone wali hu.

Ishika kisi tarha Tanu ko bahlate huwe wahan se le ker jaane lagi, Uss ne peeche daikhte huwe ishare me Aarav se maafi mangi aur Tanu ko wahan se le gayi.

Tinkerbell: [Ye larki Ishika! Kuch to gadbad hai iss ke saath?]

Aarav(Sigh): Haan! Lekin hume uss de kuch matlab nahi hai, Unhe un ki problems khud suljhane do.

Aarav ghoom ker kamre ke andar chala gaya aur kamre ko dhayan se daikhne laga, Ye kamra Veer ka tha jo Aarav ko rehne ke liye diya gaya tha.

****

Level Up Tower Island
Player Association Building ~ 10:58 AM

*Click-Clack*

Association Building me Caroline tez kadmo ke saath aage barh rahi thi, Usse daikhte he sabhi log usse Morning Wish ker rahe the, Caroline unhe reply dete huwe aage barhti ja rahi thi.

Uss ke chehre per pareshani ke bhav the, Beech me he usse Becky aur Hannah bhi mil gayi, Dono uss ke paas aa gayi.

Becky: Ye Emergency meeting kis liye rakhi gayi hai?

Caroline: Mujhe bhi kuch nahi pata! Sirf Emergency Meeting ke liye Message aya hai aur main yahan aa gayi hu, Tum dono ko bhi bulaya gaya hai kya?

Hannah: Haan, Lekin Mujhe Kyu? Association head ko main kyu meeting me chahiye hu?

Hannah directly Association se linked nahi thi, Lekin wo aisi meeting ke liye bulaye jaane per inkar nahi ker sakti thi, Teeno ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Unhone aur na sochte huwe khud ko aage kya hone wala hai uss ke liye taiyar karna shuru ker dia.

Teeno meeting room me pohanche to wahan kuch senior aur kuch high ranking Player baithe huwe the, Ek bari screen per Video Call chal rahi thi uss per Association head un se connect tha, Uss ke saamne uss ka naam likha huwa tha.

“Michael Turner”

Michael ek bari umar ka Aadmi tha aur uss ke chehre se pata lagta tha ke wo kitna professional insaan tha, Wo un ke saamne nahi tha lekin ye ehsaas hona ke wo unhe daikh raha hai un ko seedha kiye huwa tha.

Michael: Yun Achanak bulane ke liye maafi chahu ga! Lekin baat he kuch aisi thi ke mujhe tum sab bulana per gaya.

Teeno wanhi kursiyon per baithne lagi, Michael ko aise pareshan daikh ker unhe bhi pareshani hone lagi thi.

Caroline: Kaise he ap Sir? Apex Tower me sab kuch theek hai na?

Michael: Steven ne thori problem ki thi! Wo apna kaam chorr ker yahan se chala gaya tha, Ye ek bara headache tha, Lekin kuch Player's ki madad se usse Cover ker lia hai, Lekin aj tum yahan uss ke liye nahi bulaye gye ho.

Michael ne ishara kiya to wahan baithe ek Player ne apne saamne se ek chota box un ke aage ker dia, Caroline ne pehle sab ko daikha to wo uss ke reaction ka intezar ker rahe the.

Becky aur Hannah bhi daikhna chahte the ke box me kya hai? Hannah ne uss box ko khola to uss me se ek roshni chamakti huwi dikhayi di, Caroline ne usse dhayan se daikha to wo ek Goblin ka Mana Stone tha.

Caroline: Ye kya Sir? Ye to ek sadharan Goblin ka Mana Stone hai?

Un teeno ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Lekin Michael un ke saath mazak karne walo me se nahi tha-

Michael: Ek baar Usse apne haath me utha ker daikho! Phir mujhe batao ke kya ye ek sadharan Goblin ka Mana Stone hai?

Michael ke baat maante huwe Caroline ne uss Mana Stone ko haath me utha liya, Lekin usse abhi bhi kuch khaas nahi lag raha tha, Lekin jab Stone ka Mana uss ke Mana se takraya to Caroline ko wo mehsoos huwa aur uss ne stone waapis box me rakh dia.

Caroline ki aankhe khul gayi thi, Usse ab Michael ki ye meeting rakhne ki wajha samajh aa rahi thi.

Caroline(Frowns): Lekin Sir ye kaise? Aj tak kisi bhi stone se Negative Energy ko koi bhi purify nahi ker saka, Hum ne kitni koshish ki lekin hum kabhi safal nahi huwe, Lekin ye kaise?

Hannah aur Becky ko bhi ab samajh ane lagi, Har Mana Stone me ek negative Energy hoti thi, Uss wajha se sadharan logo ko uss ke kareeb nahi jaane diya jata tha, Aj tak kabhi koi aisa Stone nahi mila tha jo bilkul Pure ho.

Lekin Caroline ke saamne box me rakha Stone bilkul Pure Mana release ker raha tha, 1% bhi uss me Negative Energy nahi thi.

Michael(Sigh): Huh, Ye he mujhe nahi aa rahi thi! Lekin uss se pehle mujhe ek baat batao, Ye Aarav Arya kon hai?
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna, Yahan se story waapis apne track per aa gayi hai, Ye update 5.5K Words ka tha, Target hamara wohi hai 80 likes ka, milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]

P.S: Character's ko yaad na rakh sako to try hard mat karna, Important character aage mention hote rahe gye, baki character's kuch minor roles ke liye he hai.
 
Last edited:

Salty~Otaku

O~TA~KU
1,164
7,032
144
Heheh abhi padha pura to super 👌 update waiting for next agla schedule v daalein jaldi

Very nice update bhai

Great Update!

Ding keep posting

Msst bhai
Waiting for next one

Mind-blowing update
Bhai ye Hannah William kaun hai?
Veer ki death ka sunke bura laga
Barbie ko shayad pata lag Gaya hai aarav ki wapasi ka
Aage pata chalega
Keep going bro

Great update. Ab story ne tej raftar pakad li hai. Akansha, Sayani family aur Veer ke baare me padh kar bura laga lekin suspense badh gaya. Kya Vansh ne hi ye sab karaya hai, Archana ka is sab me kya role raha hai, aur Vansh Tower me chhup kar kyon baitha hai. Akash aur Veer dono kaise itni asani se trap me phans gaye. Sabse badi baat, Hannah ne Aarav ke plan ko pehle se hi samjh liya tha. Wo ab Mallia (Kitsune) ke through apni ek alag Guild tayyar kerne laga hai. Weh Veer ki family se kya chahta hai aur Hannah ka cousin kon hai, jisko weh Aarav ke baare me nahi bata rahi hai kyonki usko vishvas hai ki Aarav koi bura nahi karega.

Prashn to bahut hain jinka uttar story me aage ja kar milega.

Abhi jaldi me reply kar diya, lekin shanti se baith kar in 6 update ko 2-3 baar dubara padhunga. Again great update.

Nice update bro 😺👍

Nice and fantastic update bhai keep posting

nice update

pls update the scedule

Update bahut badhiya hai or waiting for next update....

Nice 1
Ab dheere dheere kahani track pe aa rahi hai aisa laga

Har bar ki tarah superb update Bhai...next update ka besabri se intezaar rahega bhai

Fantastic superb update bro. Peter ki information ki hisab sey to us raat bohot kuch ho geya tha,Jo abhi pardey k pichey hey. Mujey nahi lagta Akash aur Veer ki order Vansh k liye tha,wo to Arav k liye hoga. Dekhtey hey ab aageya kya hota hey jab Arav ab Island sey bahar ahi geya.
KEEP IT UP AND AS ALWAYS WAITING FOR

Mst update bro

Very nice update Bhai 😄😄

Bro 69 likes completed in update in 8 hour I guess within 24 hours Target complete ho jayega
Update ki jitni tarif krun kum hai kadi se kadi jud rahi hai bhut kuch clear ho gya hai kuch points abhi bhi baki hai I guess wo bhi jldi ho jayega

Awesome update

Good update bro 👍

Bhai kabhi be mosam barish bhi kara do...back to back updt de kr 😛

Nice update

Waiting dude

Bhai urvi aur aakash ki family ka hua

Jab urvi per vansh aur uski maa ne hamla Kiya tha ... Uske baad is sabka kyu hua ...
Mujhe kuch samajh nhi aaya us update ke baad....jaha per vansh ne urvi ko maarna chaha

Beautiful and lovely update Bhai 😊☺️

Story acchi hai
But it's going far to fast

Super awesome update

Bhai shadule update kardo

Bhai schedule update

bahut badhiya update hai bhai.............aab aayega asli maja........dekhte hai venges keise badla leta hai or akash ka kya hall hai dekhte hai......
or like to 100 par geyi bhai ab jaldi hi update diijiye..........
waiting for next updte

Update ko read kar K wakai me majja aa gya ... and kuch pehle k doubt the wo halke se clear ho chuke hai and I'm sure ki jese jese story aage banegi...doubt clear ho hi jaayenge

Yahan par Veer aur aakash ne jise save krne k liye kha tha wo koi aur nahi ARAV hi tha ...Aakash arav ko le kr pehle se hi serious tha.... but es Baar Veer ki maa k Andhe hone K baad use Veer samjh kr use search kar lena जबकि uska ehsaas kisi aur ko nahi huaa tha....shayad Veer aur Arav me kuch naa kuch esa relationship ho sakta hai jis bjha se Aarav se Veer ko maa ko Veer ka ehsaas huaa tha

Kuch to badda Jhol hai ....aur may be Veer aur Aakash dono ko aarav k baare me wo baat patta hogi jis bjha se dono usme interested hai

And Veer ki death k peeche bhi bahut kuch Raj khelne waale hai

Kuch ek doubt to ye Hannah bhi de gayi
But jo bhi hai

Overall ye hai ki story kaafi acchi chal rhi hai and esme aage jaa kar kaafi majja aane waala hai

Bro update schedule

Bro next update ke liye jyada time le rahe hai

Bhai lmba gap mar de rhe ho beech beech me. Thoda jaldi jaldi kr do update posting

Sex ki bat nhi hai Bhai story telling jabardast thi us story ki or han bhi tha incest wala but story jabardast thi

Sex na likhne shru hojna bro plz. Pehle hi bhot kam dhang ki stories milti hein. Uper s ajkl dehydration ho rkhi hai updates ki bhi. To sex s bachao. Ek or story bhi achi chl rhi thi. Usme same sex scene chl rha hai. 2 2 mnth update ata hai. Uske baad jb update ata hai to lamba chora romantic scene ya sex like dete hein. Mza khrab

Jyada tar ye story bahut imotional hai lagbhag Sandeep Singh nirwana Bhai ki story Raj-hero of the family se compare kar sakte ho aap or sax seen bhi vese us story ke dono part bahut achhe hai par incomplete hai

Bhai Aaj update do ge

Bhai Aaj update kis time par doge

Bhai aaj update ki tarikh h plz update de dena

Waiting for next update

Bhai waiting for update...

Waiting for update

WAITING...

Update please Bhai kab tak do ge

Please Bhai or kitne time me aayega

Bhai 10 baj gaye

Any update on update

Still waiting tik .......tok.....

Update 46 has been posted Guys!!! :yo:
 
  • Like
Reactions: Shanu

Ranasahib

Member
149
343
63
UPDATE 46 ~
(TWINS)

****
Veer's House
Mumbai ~ 8:39 PM

*Chatter* *Chatter*

Ghar ke baahir he lawn me Pratap Singh ki Janamdin ki party ka aayojan kiya gaya tha, Pratap Singh ke bacho aur Parivar ke saath kuch kareebi dost bhi wahan aye huwe the.

Pratap Singh ko apna janamdin apne Parivar ke saath manana he acha lagta tha, Pratap apne bete Vikram ke saath ek table per baitha huwa tha jahan sabhi uss se aa ker mil rahe the.

“Daduuuu!!!”

Ek taraf se khushi se uchalte huwe ek larki bhaagte huwe ayi aur seedhe Pratap ke gale se aa lagi, Pratap bhi uss ko pyaar se puchkarne laga.

Pratap(Laugh): hahahahaha, Abhi tak tumhara bachpana nahi gaya? Lekin ye masoomiyat kabhi jaane mat dena meri bacchi!

Meera: Tanu, Pehle tumhe Papa Ji ko janmadin ki badhai deni chahiye na?

Tanu(Giggling): Hehehe, Main to bhool he gayi thi! Janamdin ki bohat bohat badhai ho dadu.

7a70b5ecf514c205f6dafbf43511b0a0.jpg

Kehte huwe Tanu dobara apne Dada ji ke gale lag gayi, Uss ki harkat daikh ker wahan sab ke chehre per muskurahat aa gayi, Tanu ke badhai dete he uss ke saath ayi dusri larki bhi aage ho gayi.

4096ce6633a2b96e91ed8dcd864fee6e.jpg

Larki: Happy Birthday Dada ji!

Pratap: Tum nahi gale lago gi, Ishika? Huh, Ab bari ho gayi ho kahan apne Dada ji se utna pyaar rahe ga tumhe?

Pratap ki baat sunte he Ishika ke chehre per pareshani ki bhav ane lage aur wo dusri taraf se Pratap ke paas baith gayi.

Ishika: Aisa baat nahi hai! Mujhe laga ap ki tabiyat kharab na ho jaye aise ghutan ke beech to main Tanu ke hatne ka intezar ker rahi thi.

Ishika ko yun pareshan daikh ker sab ki hansi nikal gayi, Pratap ne bhi hanste huwe Ishika ke sar per haath rakh dia.

Pratap: Mazak ker raha tha main pagali! Tumhe chinta karne ki zaroorat nahi hai, Abhi to tere dadaji ko double century puri karni hai, Lekin tum batao ke tumhe kya ho raha hai? Sehat daikhi hai tum ne apni?

Ishika ke chehre se uss ki thakan saaf dikhayi de rahi thi, Jaise wo apne khaane peene per bilkul bhi dhayan nahi de rahi ho.

Ishika: Kuch bhi nahi huwa, Dada Ji! Workload thora barh gaya hai to uss ke chakar me kabhi kabhi lunch miss ho jata hai, Lekin kuch din me sab theek ho jaye ga.

Vikram(Scolding): Phir chor do na wo kaam? Tumhe kaha bhi tha ke apni company ko join ker lo, Tumhare jaisi talented larki family business ko chor ker baahir kaam kyu ker rahi hai?

Ishika: Join ker lu gi bare Papa! Lekin main abhi experience lena chahti hu, Khud ki company me main wo sab experience nahi ker sakti jo main kisi aur company me as a employee experience ker sakti hu.

Vikram(Sigh): Kya he keh sakta hu tum se? Lekin yaad rakhna agar kanhi phanso to bata dena, Sab kuch khud se sambhalne ki koshish mat karna tumhare bare Papa abhi tumhare saath khare huwe hai.

Vikram ku baat sun ker Ishika muskura di, Lekin Ishika ki nazre baar baar Vikram se hat ker uss ke saath baithe Vyakti ke upar ja ker tik rahi thi, Ye halat sirf Ishika ki nahi wahan bohat se log har kuch pal ke baad uss Vyakti ko daikh rahe the.

Ek to usd Vyakti ko kisi ne pehle daikha nahi tha, Upar se wo Vikram aur Meera ke saath aise baithe tha jaise wo parivar ka he sadasya ho, Lekin un sab se bari baat thi uss Vyakti ki Personality!

Uss Vyakti se ek alag Charm nikhar ker baahir aa raha tha, Aise tha ke wo Vyakti agar sab ke saamne na bhi baitha hota to logo ki nazron se wo bach nahi sakta tha, Uss ki presence wahan sab se alag thi.

Lekin wo kisi se bhi baat nahi ker raha tha, Kuch samay beetne ke baad Pratap ke Janamdin ka Cake wahan aa gaya, Sabhi log uss ke paas aa gye aur Pratap ne Cake kaat ker sabhi ko khilana shuru ker dia.

Cake ke cut jaane ke baad sabhi log apne saath laye gift Pratap ko dene lage, Sabhi logo ke gift dene ke baad Pratap ne un sab ko khaane ke liye ane ka keh dia aur wanhi ek taraf lagi bari table per baith gaya.

Uss table per 40 Logo tak ke baithne ki jagha thi, Sab ke saamne Pratap he baitha aur uss ki ek taraf uss ka bara beta Amar Singh apni family ke saath baitha tha, Uss ki Dusri taraf Vikram apni family ke saath baitha huwa tha.

Lekin sab log tab chaunk gye jab unhone Vikram se pehle uss Vyakti ko Pratap ke saath baithe daikha, Ab sabhi log sochne lage the ke ye Vyakti kon ho sakta hai?

*Clink* *Clink*

Vikram ne khare hote huwe Glass per Chamach se awaaz karte huwe sab ka dhayan apni taraf kheench liya, Vikram ne ek baar apne Pitaji ki taraf daikha to uss ne usse aage barhne ka ishara ker dia.

Vikram: Ahem, Sab se pehle to ap sab ka aj yahan ane ke liye dhanyavad! Mujhe andaza hai ke sab log kitne utsuk hai mere saath baithe shakhs ke baare me pata lagne ke liye.

Vikram ne saath baithe Vyakti ke kandhe per haath rakhte huwe kaha to sab log seedhe ho ker uss ki baat per dhayan dene lage, Unhen pata lagne wala tha ke Aakhir wo Vyakti kon hai?

Vikram: Main ap sab ko milwana chahu ga mere dusre bete se, Aarav Singh!

*Cough* *Cough*

Vikram ke kehte he paani pee rahi Tanu khaansne lagti hai, Meera uss ki peeth thapthapane lagti hai, Lekin khaanste huwe bhi Tanu ki nazre apne Papa aur Aarav ke upar tiki huwi thi, Usse Vikram ki kahi kisi baat per Vishwas nahi ho raha tha.

Ye halat sirf uss ki he nahi thi, Kisi bhi aur ko Vishwas nahi ho raha tha, Yun ekdum se Vikram ka beta kahan se prakat ho sakta tha? Sabhi ke mann me aise he sawal the.

Un me se kuch heraan the aur wanhi kuch chehro per pareshani ke bhav dikhne lage the, Lekin sab se strong reaction Tanu ka tha, Apni muthi se table ke kapre ko bheenche wo apne Papa ki taraf daikhte huwe un ke kuch kehne ka intezar ker rahi thi.

Vikram: Please, Ap logo ko yun chaunkne ki zaroorat nahi hai! Main ap ko sab kuch samjhata hu.....*Breath*......Jaise ap me se kuch logo ko pata ho ga ke mere aur meera ke pehle bache Twin the, Lekin uss samay mera ek kareebi dost apne bache ko kho diya tha, Uss ke bohat kehne per main ne aur Meera ne apna ek beta usse de diya tha, Aarav!

Wahan baithe kuch logo ko ye baat yaad thi aur kuch jin ko nahi pata tha wo dusro se confirm ker rahe the-

Vikram: Kuch saal pehle mere uss dost aur uss ki patni ki ek Accident me death ho gayi thi! Papa ji aur Meera se baat karne ke baad hum ne Aarav ko dobara hamare parivar ka hissa banane ka nirnay liya hai, Veer ke hume chorr jaane ke baad ab uss ka Bhai Aarav uss ki sabhi zimedariyo ko sambhale ga.

****

Veer's House
Mumbai ~ 11:23 PM

7 Days Ago.......

“Ap keh rahi ho ke main ap ka beta ban ker Parivar ka hissa ban jau?”

Aarav ne ek baar dobara Meera ki baat doharate huwe usse bataya ke wo kya keh rahi hai, Lekin Meera ko ache se andaza tha ke wo kya keh rahi hai, Uss ki baat sun ker Vikram aur Pratap bhi heraani me doobe huwe the.

Vikram(Whisper): Ye tum kya keh rahi ho? Hum aise he kisi ko bhi apna beta bana ker sab ke saamne le aye? Agar sab ko vishwas karwa bhi de ke ye hamara beta hai, Lekin kya hum sach me iss larke per bharosa ker bhi sakte hai kya?

Vikram ka reaction bilkul sahi tha, Usse ye samajh nahi aa rahi thi ke Meera ne aisa sujhav saamne rakha bhi kyu hai, Lekin Pratap kuch bhi nahi keh raha tha aur khamooshi se sun raha tha.

Meera: Please, Ek baar mujh per vishwas ker ke sochiye na! Hum aise he to isse kuch nahi de sakte hai na? Lekin agar ye hamara beta ban jaye ga to hume Aarav ko kuch dene me dikkat bhi nahi ho gi.

Vikram ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Wo sirf apni patni ko samajhne ki koshish ker raha tha, Meera ke Chehre per bhi nervousness dikh rahi thi.

Vikram: Asli wajha ye nahi hai! Baat kuch aur hai, Lekin tum mujhe batana nahi chah rahi ho?

Vikram ne apni Patni ko aise bechain pehle kabhi nahi daikha tha, Uss ki patni hamesha uss ke saath chalne walo me se thi, Lekin pehli baar wo aise kisi baat per Bechain ho ker Vikram ko mana rahi thi.

Pratap: Vikram! Meera beti ne aj tak kuch bhi bura nahi socha hai, Agar usse lag raha hai ke ye ek acha nirnay hai to hume uss ka saath de ker baat ko samajhne ki koshish karni chahiye.

Vikram: Lekin Papa Ji? Ye koi chhota nirnay nahi hai na? Hum kisi anjan ko apna beta kaise bana sakte hai? Hume to pata bhi nahi hai ke usse chahiye kya hum se?

Vikram awaaz dheeme rakhte huwe baat ker raha tha, Lekin Aarav ko sab kuch sunayi de raha tha, Aarav bhi kuch soch me dooba huwa tha.

Tinkerbell: [Ye ho kya raha hai? Hum to yahan sirf paise lene aye the na? Mujhe ye Aurat sanki lagti hai, Paise lo aur nikalne ki karte hai]

Tinkerbell ne Aarav se kaha lekin Aarav uss ki baat per dhayan nahi de raha tha, Aarav ko sach me uss sujhav per sochte daikh Tinkerbell bhi heraan ho gayi.

Tinkerbell: [Don't tell me! Tum sach me serious ho iss baare me?]

Aarav: [Ye Aurat kisi chal per ho sakti hai! Lekin ye kehna galat nahi ho ga ke ye hamare liye ek acha sujhav hai, Tumhe pata hai ke ye duniya ke liye asli power kya hoti hai?]

Tinkerbell: [Hmm, Paisa?]

Aarav: [Sahi, Lekin sirf Paisa kafi nahi hai! Tumhare paas bohat paisa ho sakta hai, Lekin sirf uss Paise ko power nahi keh sakte]

Tinkerbell: [Phir aur kya hai Power?]

Aarav: [Naam! Ek Powerful Naam ke liye Paisa zaroori hai, Lekin uss naam ko Powerful banane ke liye Samay aur Bal dono lagte hai, Lekin agar wo naam mujhe aise mil sakta hai to mere khel me hum ek saath bohat aage barh sakte hai]

Aarav ke chehre per ek Muskurahat ane lagi thi, Jaise wo khud ko apne maksad ke aur bhi kareeb daikh raha tha, Tinkerbell ko kuch samajh to nahi aa rahi thi, Lekin usse ye Vishwas tha ke Aarav sab kuch soch ker he ye nirnay le raha tha.

Tinkerbell: [Jaisa tumhe sahi lage!*Sigh* .....Lekin mujhe nahi lagta ke ye log tum per aise he Bharosa kare gye?]

Aarav ko bhi iss baat ka andaza tha, Ye sujhav Meera ka tha lekin kya wo Aarav per sach me bharosa karti bhi thi kya? Ye Aarav ko nahi pata tha.

*Huh!*

Aarav ko ekdum se kuch yaad aya aur wo un sab ki taraf daikhne laga, Aarav ne apni Inventory kholi aur uss me kuch dhoondne laga, Agle he pal Aarav ko Inventory me wo cheez mil gayi.

Aarav: Ap me se kisi ko bhi pata hai ke ye kya hai?

Aarav ki awaaz sun ker sabhi ka dhayan uss ki taraf ho gaya, Aarav apne haath me ek White card pakre huwe unhe dikha raha tha, Pehle to unhe kuch samajh nahi ayi, Lekin jaise he unhone Card ko dhayan se daikha un sab ki aankhe khulne lagi.

Vikram uthte huwe aage barha aur Aarav ke haath se card ko pakar lia, Card ko pakar ker uss ne Pratap ki taraf daikha aur Card usse pakra diya, Un ke reaction se Aarav ko andaza ho gaya ke unhe card ke baare me kuch to zaroor pata hai.

Vikram: Y-Ye tumhare paas kaise hai?

Un dono ke chehre per heraani ke bhav the, Aisi heraani unhen Elixir daikh ker bhi nahi huwi thi, Meera apne Pati aur Sasur ki baate sun ker Samajhne ki koshish ker rahi thi ke sab kya baat ker rahe hai?

Meera(Confused): Vikram Ji, Kya ho raha hai? Aisa kya hai Aarav ke paas?

Meera blind thi to usse card dikhayi nahi de raha tha, Lekin usse andaza tha ke Aarav ne kuch to aisa nikala hai jis ne uss ke sasur aur pati ke hosh ura diye hai.

Vikram: Veer ka White Access Card! Aarav ke paas Veer ka Special Access Card hai.

Vikram ki baat sunte he Meera ne muthi bheench li, Uss ka sharir me thartharahat mach gayi, Vikram dobara Aarav ki taraf daikhne laga jaise apne sawal ka jawab maang raha ho.

Aarav: 7th December 2013, Elysium Mansion, New York! Raat ke samay wahan ek party me Veer Singh ap ke bete ne ye Card khud mujhe dia tha, Lekin tab mujhe kuch pata nahi tha ke ye Card hai kya? Lekin ap sab ko daikh ker lag raha hai ke ap sab ko bohat ache se pata hai ke ye kya hai?

Ye Card wohi tha jo Veer ne Aarav ko diya tha, Tab Hannah ke saath hone aur Vanshika ke aa jane se Aarav uss per kuch dhayan nahi de saka tha, Lekin Veer ne usse kaha tha ke sahi samay per ye card uss ke kaam aye ga.

Aarav ki baat sun ker wo teeno he gehri soch me chale gye, Lekin ab un ke chehre per ek sakoon bhi dikh raha tha, Jaise un ki pareshani ka hal mil gaya ho unhe.

Pratap: Ye mere bache ka Special Card hai! Hume bhi nahi pata ye kya hai? Lekin agar Veer ne tumhe ye diya hai to uss ka ek he matlab hai, Veer ko tum per duniya me sab se zada bharosa tha.

****

Veer's House
Mumbai ~ 9:52 PM

*Crunch-Munch*

Tinkerbell table ke upar baithi maze se Aarav ki plate se khane ko khatam karne lagi huwi thi, Aarav bhi araam se khana kha raha tha.

Vikram ke bolne ke baad koi bhi khana nahi khaya, Vikram ka bara bhai aur uss ki Bhabhiyan seedhe Pratap aur Vikram ko le ker ek taraf chale gye kuch baat karne ke liye.

Wanhi Tanu bhi bina kuch kahe seedhe ghar ke andar ki taraf bhaag gayi, Meera aur Ishika ko uss ke peeche andar jana per gaya, Abhi table per Aarav aur sirf kuch log he bache the.

Tinkerbell(Chewing): [Waise kehna pare ga! Tumhari duniya ka khana sach me kamal ka hai, Kitna bhi kha lo aur khane ko mann karta rehta hai]

Aarav ne khaane ki taraf daikha to wo khana sach me maze ka tha aur hota bhi kyu nahi? Sabhi Dishes singh family ke personal best Chief's ne taiyar ki thi, Ek samay tha ke Aarav ko un dishes me se kisi ek ko khaane ke liye bhi hafton mehnat karni parti thi.

Aarav jis hotel me kaam karta tha wahan ke chief kabhi kabhi extra khaana Aarav ko de diya karte the, Jab bhi aisa hota wo din Aarav aur Urvi ke liye kisi utsav ki tarha hota tha.

Lekin ab ye Aarav pehle ki tarha nahi raha tha, Uss ke liye ab ye sab kuch bhi mayine nahi rakhta tha, Lekin uss ki Unique Ability Sustenance Sustainer ki wajha se usse bhar pait khaane ki zaroorat thi apni power waapis laane ke liye.

Tinkerbell: [Waise mujhe bohat samay se kuch puchna tha! Uss raat tumhe kaise pata tha ke wo card wahan kaam kare ga?]

Aarav: [Huh, Sach kahu to mujhe bilkul bhi nahi pata tha! Lekin ek hunch thi jo mujhe bata rahi thi ke ye he wo samay hai jis ke baare me Veer ne mujh se kaha tha]

Aarav ko abhi bhi kuch samajh nahi aa rahi thi ke Veer ne kuch aisa Aarav ko kyu diya tha? Aarav apni puri jeevan me Veer se sirf ek baar mila tha, Lekin uss ek baar me Veer ne Aarav ko kuch aisa de diya jo uss ke against istemal ho sakta tha.

Sirf uss Card ko daikh ker he Pratap aur Vikram ko Aarav per koi shak nahi raha tha aur unhone bina kuch soche Meera ki baat maante huwe Aarav ko apne Parivar ka hissa bana lia.

Aarav uss raat se bohat theories bana chuka tha, Lekin wo sirf theories thi, Sach ka sirf Veer ko he pata tha jo ab usse batane ke liye tha nahi, Aarav ne uss baare me aur nahi socha.

Aarav: [Sab se pehle to hume ye pata lagana hai ke ye Card hai kya?]

Tinkerbell: [Uss ke liye main hu na! Tum uss Card ko waapis Inventory me rakh do, Main usse Analyze ker ke uss ke sabhi secret pata lagwa lu gi]

Aarav: [Tum ye ker sakti ho?]

Tinkerbell: [Ofcourse, Ye meri ek Ability hai! Main kisi bhi item ko analyze ker sakti hu, Samay lage ga lekin main easily ker sakti hu]

Aarav: [Aur tum ne abhi tak mujhe ye bataya kyu nahi?]

Aarav ki awaaz me gurahat thi, Tinkerbell ki puri rooh kaanp gayi, Uss ke haath khaate huwe wanhi tham gye.

Tinkerbell(Frightened): [Sorry! Mujhe yaad nahi raha ye batana]

Tinkerbell ne masoom aankhen banate huwe kaha, Aarav bhi usse kuch nahi keh sakta tha, Lekin wo usse aise he chorne bhi nahi wala tha.

Aarav: [Theek hai! Lekin tumhe punishment to deni ho gi, Kal raat tak tum kuch bhi aur nahi kha sakti ho]

Tinkerbell ka shareer glow kiya aur waapis normal ho gaya, Tinkerbell ne khaane ko chuna chaha lekin wo usse chu nahi paa rahi thi.

“Huh! Zada intezar to nahi karwaya na tumhe?”

Saamne se vikram ne chal ker ate huwe Aarav se pucha aur aa ker uss ke saath baith gaya, Uss ke chehre se lag raha tha ke wo lambi behas ker ke waapis aya hai.

Aarav: Kuch khaas zada nahi! Lekin ap batao, Kay situation hai?

Vikram: Sab jaise expect kiya tha waise he huwa hai! Bhayia aur dono Bhabhiyon ko ye baat kuch hazam nahi ho rahi ke tum aise kahan se aa gye, Lekin wo kuch bhi nahi ker sakte, Hum ne sabhi loopholes check ker liye hai, Kisi ko kabhi pata nahi lage ga ke tum mere bete nahi ho.

Vikram sach keh raha tha, Aarav ke past ki kuch bhi details usse bhi nahi mili thi, Unhone ek fake Blood report bhi banwa li thi to koi ye bhi nahi keh sakta tha ke Aarav ko behroopiya hai.

Aarav: Lekin Veer ka sab kuch mujhe dene ka sun ker wo kuch na kuch zaroor kare gye! Un ke paas bohat se reasons hai mujhe sab kuch milne se rokne ke liye.

Vikram(Smirk): Abhi tumhe Papa ji ke baare me pata nahi hai! Unhone ne zameen se Singh family ko uthaya ker yahan laya tha, Koi kuch bhi ker le wo Papa Ji ke khilaf nahi ja sakte, Bohat purane khiladi hai wo.

Vikram ke confidence se pata chal raha the ke usse Pratap ki kabiliyat per kitna Vishwas hai, Tabhi wo usse un ke paas chor ker yahan aa gaya tha.

Vikram: Lekin tumhe dhayan rakhna ho ga! Un me se koi bhi tumhe accept nahi karne wala aur sach kahu to shayad meri beti bhi tumhe Veer ki jagha nahi de gi.

Aarav: Uss ki chinta mat kariye! Main yahan family family khelne nahi aya, Hum ek deal ki wajha se yahan hai uss se zyada mujh se bhi family ke saath milne ki expectations mat rakhiye ga.

Vikram ne uss per Aarav ko kuch bhi nahi kaha, Aarav ko parivar ko hissa banana uss ki patni ka sujhav tha, Lekin uss ki khawahish thi ke Aarav uss parivar ko apne parivar ki tarha daikhe.

Vikram: Jaisa tumhe acha lage! Ek aur baat tumhe batani thi, Dr.Gupta subha Papa ji ko check ker ke gye hai, Un ke bhi hosh urr gye jab unhone Papa Ji ke sehat me itna sudhar daikha to aur ache se daikhne ke liye Papa Ji ke test bhi karwa diye hospital le jaate huwe, Tumhare Elixir ne sach me apna asar dikhana shuru ker diya hai.

Vikram ka chehra khushi se khil gaya, Apne Pita Ji ke liye wo bohat pareshan tha, Lekin ab uss ki chinta ghatne lagi thi aur uss ki wajha Aarav tha, Vikram sirf uss Elixir ke liye apna sab kuch bhi Aarav ko dene ke liye taiyar tha.

Aarav: Achi baat hai! Lekin yaad se unhe daily excercise karwate rehna aur Body ko proper rest lene dena, Agar rest he kiya to Elixir kisi ek part per he burden ban sakta hai, Usse Puri body me move karne dena.

Vikram: Main sab cheezo ka dhayan rakh raha hu! Un ki daily activity khud daikh raha hu.

Aarav: Good!

Vikram: Huh, Party khatam he ho gayi hai! Agar chaho to tumhare liye 2nd floor per taiyar kiye kamre me ja ker araam ker sakte ho, Ruko main kisi ko tumhare saath bhejta hu.

Vikram ne ek house servant se Aarav ko kamra dikhane ke liye keh diya, Aarav ke paas bhi wahan rukne ka koi reason nahi tha, Vikram baki bache huwe guest ko attend karne laga.

Janamdin to tab he khatam ho gaya tha jab Vikram ne sab ko Aarav ka bataya tha, Abhi to wo sirf formality puri ker raha tha, Aarav Servant ke saath ghar ke andar jaane laga.

Tinkerbell: [Main ne tumhare kiye family ka introduction taiyar kiya hai! Ruko Abhi dikhati hu]

Pratap Singh (Head of the Family)

****
Amar Singh - 59 (Pratap's Elder Son)

Radhika Singh- 53 (Amar's Wife)

Kunal Singh- 34 (Amar's Son)

****
Vikram Singh - 56 (Pratap's Second son)

Meera Singh - 52 (Vikram's Wife)

Veer Singh - 23 (Vikram's Son) (Dead)

Aarav Singh - 31 (Vikram's Second Son)

Tanushree Singh - 22 (Vikram's Daughter)

****
Karunesh Singh - 43 (Pratap's Third Son) (Dead)

Priya Singh - 48 (Karunesh's Wife)

Ishika Singh - 29 (Karunesh's Daughter)

****
Ananya Singh - 51 (Pratap's Daughter)

Rohit Verma - 53 (Ananya's Husband)

Riya Verma - 24 (Ananya's Daughter)

Aarav: [Kya main puch sakta hu ke mera naam yahan kyu hai?]

Tinkerbell(Giggle): [Ab tum bhi to Parivar ke sadasya ho na? Ab tumhara naam bhi to yahan ho ga he, Mr. Aarav Singh!!]

Aarav: [Khaye bina ek aur din rehna chahti ho kya?]

Tinkerbell(Frowns): [Sorry, Sorry, Sorry!! Ab aisa nahi karu gi]

Aarav: [Hmm, Ab apni harkate band karte huwe mujhe batau ke tumhe kya kya pata laga hai?]

Tinkerbell: [Kuch khaas nahi! Pratap Singh ke 4 bache hai, Chota beta mar chuka hai aur Beti apni Family ke saath USA ne rehti hai, Ab yahan uss ke 2 Bete hai apni Family ke saath aur teesre bete ki wife aur Beti hai]

Aarav ne aise he aur bhi kuch baate puch li Tinkerbell se aur utne me Servant ek kamre ke baahir ruk gaya, Servant ne Key se darwaza khola aur Key Aarav ko pakra di.

Servant: Ap ke kapre andar set ker diye gye hai! Ap ki baki necessity ki sabhi cheeze andar rakh di gayi hai, Agar kuch bhi aur chahiye ho to ap mujhe bata sakte ho.

Servant sab kuch bata ker Aarav se permission le ker wahan se chala gaya, Aarav ne kamre ke andar daikha to wo ek bara aur Khubsurat kamra tha.

“Koshish bhi mat karna andar kadam rakhne ki!!!”

Aarav ne peeche daikha to sidhiyon ke paas Tanu khari gusse se usse ghoor rahi thi, Aarav wanhi darwaze ke beech me ruk gaya, Tanu tez kadmo ke saath Aarav ke paas aa gayi.

Tanu ki Aankhe rone se laal ho gayi thi, Uss ke gaalo per abhi bhi ansoo ke sukhe nishan the-

Tanu(Furious): Ye kamra Veer bhayia ka hai! Tum na to un ke kamre me aur na he hamare parivar me aa sakte ho, Main tumhe kabhi Veer bhayia ki jagha nahi lene du gi.

Tanu ne Aarav ko pakarte huwe usse baahir khichne lagi, Lekin uss ke jaisi nazuk larki ke khichne se Aarav apni jagha se hil bhi nahi raha tha, Ye baat usse aur bhi chidh-chidha rahi thi.

Tanu: Niklo hamare ghar se! Tum kabhi Veer bhayia ki kisi bhi cheez ko nahi chune wale, Nikal jao ab, Ughhhh!!!

Tanu apni puri takat laga rahi thi, Lekin Aarav ko kuch farak bhi nahi per raha tha, Wo waise he bina hile sirf khara huwa tha.

“Tanu?”

Sidhiyon se upar ati Ishika ne jab Tanu ko daikha to wo chaunk gayi, Bhaagte huwe wo un ke paas aa gayi aur Tanu ko Aarav se alag ker diya, Tanu Ishika ki seene me muh de ker rone lagi.

Tanu(Sobbing): Ishika Di! Ap iss insaan se kaho na ke bhayia ke kamre se nikal jaye, Mujhe nahi chahiye koi aur bhai, Veer bhayia ki jagha kisi aur ko nahi leni chahiye na?

Ishika(Consoling): Tanu, Bari Maa ne abhi tumhe samjhaya hai na? Ye sab Dada Ji ka decision hai aur Veer bhayia ki bhi ye khawahish thi.

Tanu: Mujhe nahi vishwas Maa ki baat ke upar! Ye insaan sab ko pagal bana raha hai, Hum kisi lawyer se baat karte hai na? Ap to jaanti ho gi na kisi ko?

Tanu kuch bhi bole ja rahi thi, Uss ka bachpana ab tak nahi gaya tha, Gharwalo ke pyaar ne uss ka bachpana jaane nahi diya tha.

Ishika: Hum subha daikhe gye! Abhi kamre me chalte hai, Aj main bhi tumhare saath sone wali hu.

Ishika kisi tarha Tanu ko bahlate huwe wahan se le ker jaane lagi, Uss ne peeche daikhte huwe ishare me Aarav se maafi mangi aur Tanu ko wahan se le gayi.

Tinkerbell: [Ye larki Ishika! Kuch to gadbad hai iss ke saath?]

Aarav(Sigh): Haan! Lekin hume uss de kuch matlab nahi hai, Unhe un ki problems khud suljhane do.

Aarav ghoom ker kamre ke andar chala gaya aur kamre ko dhayan se daikhne laga, Ye kamra Veer ka tha jo Aarav ko rehne ke liye diya gaya tha.

****

Level Up Tower Island
Player Association Building ~ 10:58 AM

*Click-Clack*

Association Building me Caroline tez kadmo ke saath aage barh rahi thi, Usse daikhte he sabhi log usse Morning Wish ker rahe the, Caroline unhe reply dete huwe aage barhti ja rahi thi.

Uss ke chehre per pareshani ke bhav the, Beech me he usse Becky aur Hannah bhi mil gayi, Dono uss ke paas aa gayi.

Becky: Ye Emergency meeting kis liye rakhi gayi hai?

Caroline: Mujhe bhi kuch nahi pata! Sirf Emergency Meeting ke liye Message aya hai aur main yahan aa gayi hu, Tum dono ko bhi bulaya gaya hai kya?

Hannah: Haan, Lekin Mujhe Kyu? Association head ko main kyu meeting me chahiye hu?

Hannah directly Association se linked nahi thi, Lekin wo aisi meeting ke liye bulaye jaane per inkar nahi ker sakti thi, Teeno ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Unhone aur na sochte huwe khud ko aage kya hone wala hai uss ke liye taiyar karna shuru ker dia.

Teeno meeting room me pohanche to wahan kuch senior aur kuch high ranking Player baithe huwe the, Ek bari screen per Video Call chal rahi thi uss per Association head un se connect tha, Uss ke saamne uss ka naam likha huwa tha.

“Michael Turner”

Michael ek bari umar ka Aadmi tha aur uss ke chehre se pata lagta tha ke wo kitna professional insaan tha, Wo un ke saamne nahi tha lekin ye ehsaas hona ke wo unhe daikh raha hai un ko seedha kiye huwa tha.

Michael: Yun Achanak bulane ke liye maafi chahu ga! Lekin baat he kuch aisi thi ke mujhe tum sab bulana per gaya.

Teeno wanhi kursiyon per baithne lagi, Michael ko aise pareshan daikh ker unhe bhi pareshani hone lagi thi.

Caroline: Kaise he ap Sir? Apex Tower me sab kuch theek hai na?

Michael: Steven ne thori problem ki thi! Wo apna kaam chorr ker yahan se chala gaya tha, Ye ek bara headache tha, Lekin kuch Player's ki madad se usse Cover ker lia hai, Lekin aj tum yahan uss ke liye nahi bulaye gye ho.

Michael ne ishara kiya to wahan baithe ek Player ne apne saamne se ek chota box un ke aage ker dia, Caroline ne pehle sab ko daikha to wo uss ke reaction ka intezar ker rahe the.

Becky aur Hannah bhi daikhna chahte the ke box me kya hai? Hannah ne uss box ko khola to uss me se ek roshni chamakti huwi dikhayi di, Caroline ne usse dhayan se daikha to wo ek Goblin ka Mana Stone tha.

Caroline: Ye kya Sir? Ye to ek sadharan Goblin ka Mana Stone hai?

Un teeno ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Lekin Michael un ke saath mazak karne walo me se nahi tha-

Michael: Ek baar Usse apne haath me utha ker daikho! Phir mujhe batao ke kya ye ek sadharan Goblin ka Mana Stone hai?

Michael ke baat maante huwe Caroline ne uss Mana Stone ko haath me utha liya, Lekin usse abhi bhi kuch khaas nahi lag raha tha, Lekin jab Stone ka Mana uss ke Mana se takraya to Caroline ko wo mehsoos huwa aur uss ne stone waapis box me rakh dia.

Caroline ki aankhe khul gayi thi, Usse ab Michael ki ye meeting rakhne ki wajha samajh aa rahi thi.

Caroline(Frowns): Lekin Sir ye kaise? Aj tak kisi bhi stone se Negative Energy ko koi bhi purify nahi ker saka, Hum ne kitni koshish ki lekin hum kabhi safal nahi huwe, Lekin ye kaise?

Hannah aur Becky ko bhi ab samajh ane lagi, Har Mana Stone me ek negative Energy hoti thi, Uss wajha se sadharan logo ko uss ke kareeb nahi jaane diya jata tha, Aj tak kabhi koi aisa Stone nahi mila tha jo bilkul Pure ho.

Lekin Caroline ke saamne box me rakha Stone bilkul Pure Mana release ker raha tha, 1% bhi uss me Negative Energy nahi thi.

Michael(Sigh): Huh, Ye he mujhe nahi aa rahi thi! Lekin uss se pehle mujhe ek baat batao, Ye Aarav Arya kon hai?
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna, Yahan se story waapis apne track per aa gayi hai, Ye update 5.5K Words ka tha, Target hamara wohi hai 80 likes ka, milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]

P.S: Character's ko yaad na rakh sako to try hard mat karna, Important character aage mention hote rahe gye, baki character's kuch minor roles ke liye he hai.
Nice update
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

Harman11

Active Member
775
1,140
139

Shandar update tha bhai gajab
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

Dragon.

Active Member
1,360
1,133
143

anujpal

Member
106
129
43

👍 Nice update
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku

drx prince

Active Member
1,533
1,522

Very Nice Update Bhai
 
  • Like
Reactions: Salty~Otaku
Top