Update 2
Main Kabhi bhi us Ghar me vapas Nahi Jana Chahta tha .....mere liye ab us Ghar ke koi mayne Nahi the.........city me jaane ke baad Maine kaam Karna shuru Kiya .....shuruwaat me mere pass Kuch paise jama hote the....
Mera baap jab bhi mujhe call karta to wo mujhe meri payment ke baare me puchta aur Kabhi kabar hi meri tabiyat ke baare me puchte aur mujhe aane ke liye kahte
Lekin meri maa jab mujhe phone karti to wo laakho sawaal puchhti Jaise main Kisi bade musibat me hoon....lekin main utana baat Nahi karta tha unse
Main har mahine Kuch paise bheja karta aur jab mere baap ko paise milte tab wo bhi mujhe bhool Jata .........Khair ab sab bhool ke main gaaon jaa Raha tha karib 7 Saal baad ab main wo chota Ravi Nahi Raha tha ......main wo sab Yaad karte hue Apne gaaon jaa Raha tha .............ummid Kar Raha tha ki ab sab Kuch thik ho.......aur shayad pahil Baar main Apne maa se itna milne ke liye baichen tha............aur man hi man main muskura Raha tha....
Khair ab Apne gaon me agaya Mera Ghar Kuch meter duri par hi tha..............main jab Ghar ki taraf jaa Raha tha kafi sare purane dost milgayi unke Saath thodi baat hui....Kuch Der aisehi idhar udhar Karne ke baad main Ghar ke pass Gaya.........
Maa darwaze par khadi thi Aarti leke Apne bete Ka swagat Karne ke liye, mujhe papa Kahi dikhayi Nahi de rahe the.....main Ghar ke darwaze par Gaya....maa ne meri Aarti utari....wo bas mujhe dekhe jaa Rahi thi.....unke aankho se ab paani bahna shuru hua tha...
Maa- Kitna bada hua hai beta Tu,......aur maa smile Karne lagi
Mujhe bhi uswakt pata Nahi aisa lag Raha tha shayad main saalo se apni maa ko Nahi Mila hoon aur main unhi ke liye Taras Raha hoon.....
Main- haa,
Maa- kaise ho mere bete dekhoto ab kitne bade hogaye, pahle to patle the.....
Main- haa, wo thoda gym vaigera Kar leta hoon to........aa......aaap Kaisi ho
Jahatak main janta hoon main apni maa ko aap Kabhi Nahi bolata tha...
Maa- main thik hoon beta,. Aaja andar aaja......
Maa ke chahere par meri aane ki khusi saaf jhalak Rahi thi
Main- wo papa Kaha hai....
Aisa laga Maine maa ko jaisa bahot buri Tarah se dara Diya.
Maa achanak ghabra gayi....uske shabd ladhkhadane lage.....
Maa- n....Nahi wo....b....bahar hai aajyenge.....
Main- hmm, main samjh Nahi paya, mujhe laga shayad papa aaj bhi pite hai aur unhe maarte hai........lekin mujhe laga ki aisa ab thodi karenge....
Maa- Chal beta pahle Kuch Khana khaale .......aur aaram Kar thak Gaya hoga bahot......
Main unka chehra dekha, wo masum tha nishpap tha aisa lag Raha tha Jaise wo Kisi ke liye Taras rahe ho.....wo masumiyat us chere par saaf dikh Rahi thi........
Main- Nahi main thodi Der me kha leta hoon, .....aap chai banalo
Maa- thik hai beta Ruk main jaldi lekar aati hoon.....
Aur wo muskurakar kitchen main chali gayi......
Main Ghar me pade chair pe baitha tha bas wahi sab sochne laga tha, sab Kitna badal Gaya tha ......Mera gaon ,
.....mere dost ,. ......lekin Kuch badla Nahi tha to wo Mere maa ki masumiyat .........us wakt shayad main us masumiyat ko samjh Nahi paata tha par aaj samjhta hoon .
Thodi Der me hi maa ne chai layi.......main usi chair pe baitha tha.......maa mere pass aagayi aur plate se cup uthakar de Rahi thi ki tabhi mere papa ki awaz ayi........
Papa- Sarita Kaha hai.......
Maa achanak dar gayi aur unke haath se cup niche Gira aur thoda chai unke pair pe Gira .......
Main- maa apko kya hua, itna dear kyu gayi..apke to pair ke upar bhi chai gir gayi....
Maa- are Kuch Nahi wo bas tere papa achanak se chillaye isiliye thoda ....ho....hogaya ....mujhe maaf kardo beta ....
Main- lekin Aapka paav jal Raha hoga na
Maa- Nahi Tu darwaza khol main use thik kar doongi......unki awaz me dar saaf saaf dikhayi de Raha tha......aisa laga Raha tha ab wo rone ko aayi hai
Main ek pal firse sochne laga ki aakhir Kuch bhi Nahi badla ......yaani ki paapa ab bhi maa ko taklif dete hai.....
Maine darwaza khola......
Papa- aagaya mere bacche ...........aur papa ne mujhe sidha gale lagaya....Mera Sher aagaya....papa ke muh se daru ki smell aa Rahi thi....Maine bhi papa ko gale lagaya.....
Mujhe pata Nahi kyun unhe Dekh Kar gusaa bhi aaraha tha aur Kuch kahneka bhi man Nahi tha
Main- papa aap pi Kar Aaye hai
Papa- are ye to Teri khusi me chal ab Khana khate hai...
Fir hamari normal baat hui ......Raat me karib 8 baje the hum Khana khane baithe....Khana khaate samay ..
Maa- ye le beta aur ek roti le,....
Main- Nahi bas Mera pet bhargaya..
Papa- are beta khaa le, waise ye batao tumhara kaam Kaisa chalu hai......
To Maine thoda bahot bata diya...
Meri baat sunke maa Khush hui par papa ne pucha- acchi baat hai aur Kitna kama Lete ho....to Maine jaada Kuch Nahi bataya Kaha ki ki Ji jaada Nahi 30 hajar tak...
Main- maa ki taraf dekhte hue jara aachar dena
Maa Mano pareshaan hogayi....
Maa- Woh.....Woh beta kal kirana lane wale hai to kal laayenge beta
Main- thik hai...
Papa- beta......jara ......ek 5 hajar dega
Main- ji kya hua
Papa- wahi kal kirana laana hai na isiliye
Main- thik hai deta hoon
Par Maa mujhe iShare se mana Kar rhi thi .......to Maine sawaliya najre se pucha ki kya hua
Papa- chalo ab Mera to pet bhargaya ab mujhe nind aa Rahi hai....
Wo chale Gaye sone ke liye
Maine maa se pucha ki aakhir kya hua....Jo aap mana Kar rhi thi
Maa- beta mujhe laga Kahi wo daru pine baith jaynege to Maine kha nahi....aur wo itna kahkar chup hogayi.....
Humne Khana khaya ......Khana khane ke baad main thodi Der bahar baitha tha, tabhi maa aayi
Maa- kya hua beta abhitak soye Nahi....
Main- Nahi bas main aisehi baithatha...aap kyun Nahi soyi abhitak
Maa- Nahi beta wo mind Nahi aa Rahi thi mujhebhi...to aisehi....yahape aagayi....
Maa mere side me baith gayi...
Maa- beta shahar Kaisa rahta hai..aur wahake log kaise rahte hai...kahapar rahta hai
Main- haste hue Mera ek flat hai wahape ek bahut hi unchi aur badi imarat hai......wahipe main rahta hoon
Maa- to roj upar room me janeme tumhare pair dard karte honge...hai na..
Main maa ki masumiyat par hasne laga aur kaha- maa Nahi wahape lift Hoti hai jise mujhe chalne ki jaroorat Nahi padti....
Maa- to thik hai, aur kya kya rahta hai shahar me
Main- bahot kuch, ghumane me liye khane ke liye vaigera vaigera.....
Maa- Accha beta sun na
Main- haa boliye...
Unki awaz Mano rone ko ayithi.....
Maa- beta kya main bhi aau tumhare Saath Kuch din shaher me .....GGG....ghumane
Main - haa jaroor leke jaunga
Itna kahte hi maa ne mujhe gale lagaya aur kha shukriya beta....Dekh ab Kitna bada hoagaya Tu..
Maa- beta tujhe meri Kabhi Yaad Nahi aayi kya....ye kahte hue wo rone lagi.......
Mere haath paav Mano thande pad Gaye the....sharir bilkul sunn pad Gaya tha .....Nahi main Kuch bol skta tha.......ek ajib SA ahsaas mujhe ho Raha tha....Maine maa ko apni Basho me bharliya......ab Mera man Kar Raha tha ki jor se ro du......par Maine aisa Nahi kiya Maine kha
Main- haa maa aapki Yaad aati thi.....
Itna sunte hai Meri maa ke chahere par ek muskan aayi ......wahi masum muskan jisane mujhe phirse unke liye sochne par majboor Kiya tha.....Maine maa ki aankho ke aasun poch Diye
Kaha aap abhi so jao wakt bahut hua hai....
Maa- thik hai beta jaldi uthna kal thik hai....
Main- haa
Mom chali gayi...main bas mom ke bare me soch Raha tha ki kya yahi wo masum maa hai jise main Kabhi baat tak Nahi Karna Chahta tha ......akhir is bechari ki Galti hi kya thi........Galti to mere baap ki hai.............Maine pahle Baar Apne baap ko galat samjhata aur maa ko Sahi.....
Khair main andar Gaya aur so Gaya.....