UPDATE 14
VIKRANT AUR RAJ AMNE SAMNE
(Vikrant...Priya aur sara.... Vikrant ki gadi me basement.....ki aur badh rahe the....
Beetel bhi tezi se aage apni.... bike pe badh rahi thi....aur use baar baar.... Vikrant ka hi khayal aa Raha tha....
Vikrant ki baatein sunkar.....ab Beetel ke Mann me bhi....Kai sawal uth rahe the.....Beetel ko andar se... vishwas ho Raha tha.... Vikrant ne jho sawal uthaye hai.... Woh galat toh nahi hai....
Beetel soch rahi thi....agar Vikrant ne joh sawal kiye ....woh sahi hai....agar yeh sari reports galat hai....aur such much dr.jones.... mar chuke hai... Toh phir yeh reports....Kahan se nikal vaye.....
Beetel soch rahi thi....toh phir papa ne mujse jhooth kaha ki.....yeh reports unhe dr.jones ne diye....papa jhuth kyun bolenge.....aisi kaun si wajah thi......aur akhir kisne unko.... yeh reports diye honge.....
Ab sabse Pehle.... Beetel yeh jaana chahati thi.....us Empire State building me....akhir huva Kya tha....aur Surya zinda hai....aisa Vikrant kyun keh Raha hai.... Toh uske pass uska saboot Kya hai.....
Vikrant ko reh reh Kar.... Beetel ka khayal aa Raha tha......)
Vikrant- Priya Kya tumse Ek baat punchu.....(woh Beetel ke... bare me kuch puchna chahata tha....)
Priya- Beetel ke bare me agar hai....toh...please.....I am sorry....mujeh Abhi zinda rehna hai...
(aisa kehke woh Hasne lagti hai....yeh sunkar....vikrant bhi apna sawal badal deta hai.....)
Vikrant- Are nahi....me toh Sir ke bare me janna chahta tha....
Priya- Bola Kya Janna hai....tumhe....
Vikrant- Woh yeh team.... Vampire killers... kabse Chala rahe hai.....
Priya- Dekho Vikrant....Mujeh tumpe vishwas hai....par me Bina Sir ke ijazat ... tumhe team ke bare me nahi Bata sakti....... Baki tum unse Puch sakte ho....
Vikrant- Good.... achha laga yeh.... jhankar....is team ko....sir ke upar aur Sir ko is team par....kafi bharosa hai....
Priya- yakinan....Isliyeh hi Beetel....team ka hissa toh hai....par team se hamesha Durr rehti hai....Taki...koi uspar rok tok na Kar sake....
Vikrant- isliye hi woh.... basement se nahi nikli....tum Saab ki tarah......
Priya- waise Lagta hai...tumhe kafi chanbin ki hai...isliyeh tumh.... basement ka Rasta pata hai....
Vikrant- Han woh Sonia ne....jab msg Kiya tha.....sir ke phone se....uska signal Maine track Kiya tha....bus isliyeh pata hai....
(Priya Vikrant ko ishara karti hai....yahi shopping center ke...parking me Jana hai.....wahan shutter khulta hai....mohit Bahar aake dekhta hai.....pehle woh sochta hai.....yeh ice-Cream ki gadi.... Yahan kaise.... Tabhi Sara piche se....utarti hai...
Oh.....phir Mohit gadi ko.... andar Jane ka ishara karta hai....andar Jane ke baad....Mohit yahan wahan dekh ke confirm.... karta hai....aur phir andar jakar shutter....bandh karta hai....)
( Andar jakar.... Vikrant gadi rokta hai aur Priya aur Vikrant....gadi se Bahar aate hai.... Vikrant basement me... yahan wahan dekhkar...)
Vikrant- Priya se Kehta hai badi khufia.... jagah hai....Bahar se koi andaza nahi laga sakta....Sach much yeh sir ki hi soch ho sakti hai.....ab toh unse Milne ki ichha... aur badh rahi hai...
(Samne Sam aur Roy khade the.....Sam Roy se Kehta hai....yahi tirchi topiwala Vikrant hai.... Par Roy ki Nazar....sirf Priya par thi......woh anpne aap ko rok nahi..... Pata aur aage jake....Priya se kehta hai....)
Roy- Priya tum thik to ho.... tumhari kidnapping ka sunke....toh me ghabra hi Gaya tha.....us waqt....lekin jab Vikrant see sir ne baat ki....tab kuch rahat....mehsus huvi....
( Yeh dekh ke Saab chauk jate hai....Priya Roy ki is feeling ko dekh ke....shock ho jati hai...)
Priya- main toh thik hun.....par tum nahi lag rahe ho.....bhang toh nahi pee hai na....
( Roy ko ahsas Hota hai....ke usne Ek tarah se.....apni feelings Saab ke.....samne zahir Kar di hai.....woh sorry bol ke.....wahan se Chala jata hai....)
Vikrant- Priya apne boyfriend se is tarah.... Baat nahi karte....woh sirf tumhara halchal...Puch Raha tha....
Priya- yeh Saab ko tumhara hi virus laga hai.... Pehle Sara shuru.....ho gai....ab yeh Roy....patah nahi....aage kon hoga....aur Han....waise woh abtak Mera boyfriend nahi huva....
Sam Vikrant ke samne dekh ke.....
Sam- toh tum ho Vikrant....jisne Beetel ko jaal me fasaya......waise Ek baat toh maan Gaya...tumne apna challenge...akhir pura Kiya...
Beetel kabhi yahan.....nahi aati...koi bhi meeting me woh phone....se hi judti hai......par Aaj pehli bar....woh yahan aayi hai.....Maine use itna confuse....Pehle kabhi nahi dekha....aisa akhir Kya Kiya tumne....
Sara- Vikrant ne use....Prapose Kiya....
Sam- Kya Kiya....
Priya- Sam....tum Jane do....Sara pagal ho gai hai.....yeh batao sir Kahan hai....
Sam- woh andar hai.... Beetel se baat Kar rahe hai.....
Vikrant- toh chale....Sir ke pass...mujeh unse milna hai....
Sam- Chalo istaraf.....
( Lab me Beetel aur Raj....baat Kar rahe the.... Beetel ne Rock tower ki....sari baat Raj ko bataadi thi..... Vikrant ke lab me aate hi.... Raj Vikrant ki taraf....dekhta hai....aur Vikrant....Raj ki taraf....Ek dusre ki ankhen...takrati hai....
Vikrant ko aate dekh... Raj ke andar ek ajeebsa apna pan.... mehsus Hota hai.... Vikrant Raj ko dekhta hai....phir uski nazar Raj ki wheel chair par....padti hai....yeh dekh ke.... Vikrant chakit hojata hai....)
Raj- Vikrant ke samne....haath badhakar.... aao Vikrant....
(Raj Vikrant se....haath milakar.... Ek dum thum jata hai...woh sochta hai.... Mera Vicky.... Bada Hoke bilkul Vikrant ki.....tarah dikhta.....
Sabhi ki Nazar Raj par thi....sabhi ko lag Raha tha...kya sir Vikrant ko Pehle se jante hai....tabhi Raj apni feelings ko.... control karke.... Vikrant se Kehta hai.... )
Raj- tumhare chehre par ka tej.... bilkur tumhare naam ki.... tarah hai.... Aur jaisa Beetel ne....bataya....tum kaam bhi waisa hi karte ho....
(Beetel ko Raj ki...prashansha... aachi nahi lagti....)
Vikrant- Sir lekin...Mujeh yeh bilkul bhi andaza.... nahi tha....ki Koi wheel chair.... par baith ke.... Aisi team ko Chala sakta hai....
Mujeh aap par garv hai....Sach much Aap ki himmat aur aap ki yeh team ki.....joh takkat hai.....uski jeetni bhi tarrif karu....woh Kam hai....kyunki aap....Aise Dushman se lad rahe hai....jise Abhi bhi....duniya beh khabar hai....
Raj- Lekin tumhe Vampires....ke bare me...... Mere video ke send kar ne ke.... Pehle se khabar thi...kyun.....sahi Kahan....
Vikrant- sahi kaha....Sir Mujeh Vampires ke bare me....Pehle se pata tha....
Sam- Sir aapko kaise...pata Chala ki Vikrant Vampires ke....bare me janta hai....
Raj- Sam tumhe yaad hai....humne Sonia ko ya kisi ko bhi..... Vampires ki clip dikhai .... tab kisine bhi...humpe pura yakin nahi Kiya..... lekin Vikrant ne clip dekhte hi.... Bina koi sawal kiye hi.... Woh Mann Gaya.....
Tabhi Mujeh.... Shaq huva tha.... Aur jab usne Sonia ke dost.... Ko bachane me madad ke liye....Han Kahan... Tab Mera Shaq yakin me badal Gaya.... Ki Vikrant zarur.... Vampires ke bare me janta hai....
Beetel- (Vikrant ke samne dekhkar) aur yahi wajah se....tum is team ke saath..... yahan khade ho.... Taki hum un do masum.... Ladki ko baccha sake....
Vikrant- par Maine sunna hai.... tum pehli bar yahan Khadi ho....Varna toh sirf phone se hi contact Hota tha....
(Beetel gurr ke Priya aur Sara ke samne dekhti hai....Priya apna seer hilakar kehti hai maine nahi....aur Sam ki taraf.... ishara karti hai....Sam apna mobile nikal Kar.....)
Sam- hello Han.... credit card....Mujeh koi credit card nahi chahiyeh....
Dusri taraf... M.K ke basement me....sab club members....Stricker ki....baat sunkar ghabraye huve the....woh Saab apne....club ke head M.K ke samne dekhte hai...
Member 1- M.K ab Kya karenge....aisi team hai bhi ya phir... Stricker ko veham ho Raha hai... Koi Vampires ko Maar Raha hai.... Sach much....
Member 2- Ek Kam karte hai.... Stricker ki team ko....sabse Pehle dunte hai....kyunki use....Janna hai...us team ke saath Kya huva....
M.K- sahi kaha... Aur... Stricker ne kaha woh Sach hai.... kyunki mere bete...ko tadpa Kar Mara hai....iska Matlab koi toh hai....joh Vampires ke khilaf khada huva hai...
Member 3- Toh M.k kyun na hum do team banale....
M.K - Thik hai....hum do nahi....chaar team banayenge.... pehli team sirf.... Stricker ke diye details... ke hisab se uski team ko dhundhegee.... Aur is kaam me....koi bhi roke use.... Raste se hata do...
Dusri team- un sare hadso...ki jankari ekatha karegee....un sabhi hadse....agar Ek hi team ne kiye honge....toh kuch surag mil sakta hai....saare CCTV CAMERA check Karo....us waqt...kaun kaun si gadiyan....us road se guzri thi....
Teesri team- sabhi hadso ke...pass wale logon se patah kare....chahe logo ko marke yah paise dekkar.... unse ugalvavo Kya kisi ne bhi..... kisi ko dekha hai....
Chouthi team- un sabhi parcel jisko humne pakkda tha ...unke mobiles aur purse se check Kare...unke Ghar pe phone.... Kare...koi surag milta hai.....kyunki....agar aisa hai...toh hamare sabhi.... Parcel zinda honge.....
Ok team Abhi se kaam pe lag jao....apni team ko samjado....Hume dusra mauka nahi milega....kyunki agar humne unhe nahi dhundha.... Toh phir humme se koi bhi zinda nahi bachega.....ok...
TO BE CONTINUED..............