• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy VIKRANT.....The Vampire Killer (Mystery, Magic, Horror, Erotic, Suspense)

Aap ko yeh story kaisi lag rahi hai

  • Kya jaisi chal rahi hai....wahi thik hai

    Votes: 42 64.6%
  • Kuch sex elements add karu

    Votes: 23 35.4%

  • Total voters
    65
  • Poll closed .

Nosferatu19

Active Member
542
1,314
123
UPDATE 16
VIKRANT NE KHOLA RAHASYA

Surya chauk jata hai.... Jab dhoop me vikrant ko kuch nahi Hota.... Woh Vikrant se Kehta hai.... Tum Vampire nahi toh....tum ho kaun....

(Vikrant ki yeh baat sunkar.... sabhi chauke huve the.... Raj aur uski Puri team... bhi soch rahi thi.... Vikrant akhir Vampire nahi toh kaun hai..... Raj aage aake... vikrant ki haatheli.... Ko haath se pakkad Kar dekhta hai.... )

Raj- Kamal hai... Aisa Maine aaj Tak nahi dekha.... Sirf Vampires hi aisa Kar sakte hai... Phir tum kaise Kar sakte ho... Aur yeh baat to pakki hai... Tum Vampire nahi ho....

Shayad tumhare.... Gharwalon ko patah ho.... Yeh bachpan se hi hai.... Yaa koi haadsa huva hai.... tumhare saath....

Vikrant...Sir Surya ne bhi yahi... Kaha tha mujse... Vikrant.....Surya se huvi baatein...... Raj aur uski Puri team ke samne.... Aage Kehta hai...

Vikrant- Surya sir... Maine bhi is sawal ka.... Jawab.....dhundh Raha hun....

Surya- tumne apne mom- dad se... Baat ki toh hogi isbare me... Unka Kya kehna hai...

Vikrant- papa ko jab yeh patachala ....tab bachpan... Me hi...unhone...kuch blood test... Karvaye the.... Lekin report Saab normal the.... Aur Mummy ke hisab se... Yeh bhagvan ka....ashirwad hai....

Surya- kahi aisa nahi.... Tumhare andar koi virus ho.... Yah kisine....tumpe koi experiment... Kiya ho....

Vikrant- Virus.... Dr Jones se me 3 baar skin or blood test karvayi hai... Par unka bhi yahi kehna hai... Saab normal hai.... Tum Ek normal insan ho....

Surya- Dr Jones ne kaha hai.... Toh pakka hai.... Kyunki unse galti nahi hoti..... Thik hai... Lekin Sach much.... Yeh tumhari takkat hai.... Ab Tum jao Vikrant... Me kuch sochta Hun... Iske bare me....

Vikrant-(Surya se) Sir.... Please mere is raaz ko raaz hi rakhiye....

Surya- of course.... Vikrant... Me kisi se nahi kahunga.... Ok... Tum ghabrao mat....

Vikrant- main wahan se....bahar Chala gaya....par mein janta tha....ki surya ne kaha ki.. ghabrao mat.... lekin Meri is takkat.... ko jankar.... woh khud bechen tha...mujeh patah tha....Surya...ab is baat pe.... Shant nahi bethega.... Woh zaroor kuch karega...


( Vikrant aage bol raha that tabhi.... Wahan lab me sonia aati hai.... Use patah nahi tha... Ki Vikrant aa chuka hai... Sabhi Sonia ke samne dekhte hai.... Sonia Vikrant ko dekh ke.... Kush hoti hai... Aur use Jake gale... Milti hai... Aur zor se rone lagati hai....)

Vikrant- are pagal.... Tu roh kyun rahi hai... Tera Bhai Abhi zinda hai...

Sonia- mujeh darr tha... Kahin CBI wale aapko pakkad... Lenge toh.....

Vikrant- tu Meri chinta chod de.... Aur apni aur apne dost ki.... Chinta Kar....

Sonia- Han me yahi kehne....aa (tabhi Sam Sonia ko tok deta hai... Aur Kehta hai...)

Sam- Sonia humne tumse... Kahan tha na... Pehle hum Vikrant se baat karenge.... Phir tum use milogee...

Sonia- Han par..... Me sir se kuch urgent baat karne aayi thi... Par Bhai ko dekh ke.... Bhul gayi...

Raj- Kya huva Sonia.... Kuch problem huvi hai....

Sonia- Han Sir...aapke kehne par... Roy sir ne aur Priya madam ne... Hum sabke Ghar par.... Phone karke ...humare parents ko samjaya tha... Humare bare me.... ki hum Saab safe hai....

Raj- han Maine hi... Kahan tha... Taki...tum Saab ke gharwale pareshan na ho..... Aur Roy ne Tumhe extra phone... Bhi Diya tha na...... Taki tum sabke Gharwale...tum Saab se jab chahe.....Baat Kar sake....

Sonia- Han sir....usi phone pe....Abhi.. mummy ka phone... Aaya tha...unhone kaha.... Kiran ki mummy... Pareshan thi.... Woh keh rahi thi.... Kisi ne Kiran ke mobile se.... unse Baat ki.... Aur woh mere(Sonia) ke bare me.... Kiran ki mummy se Puch rahe the....

Sam-( Sonia ke samne dekh ke.... ) Sonia tumhare bare me... Koi Kiran ke phone se... Kiran ki mummy se kyun puchega.... Aisa kaun karega....

Sonia- Sir... Phir unhone mere phone se hi.... Meri mummy ko phone Kiya....aur police station se enquiry hai.... aisa kehke.... Sunil ke bare me....Puch rahe the....

Priya- yeh Saab ho Kya Raha hai....

Vikrant- koi tum Saab ke... Ghar me.... Tum Saab ke Mobile se hi.... tumhare doston ke bare me....cross check Kar.... Raha hai... Aur woh bhi tum logon ke doston ke.... Mummy papa se....

Sam- par aisa koi... Kyun karega....

Raj- aisa sirf.... Woh kidnappers Kar sakte hai.... Jinke pass in Saab ke mobiles hai...

Sam- woh Vampires....

Vikrant- aur woh yeh.... Cross check Kar rahe... Hai...yeh jaane ke liye..... Ki tum me se koi zinda hai... Aur kisine apne Ghar me contact.... Kiya hai ... Iska Matlab.... Woh ambulance ke....hadse ki enquiry Kar rahe hai....

Raj- sahi Kahan.... Woh log Hume dhundh rahe hai....

Sam- par sir... Maine aur Mohit ne.... Petrol daal ke ... Aisi aag lagai thi.... Koi nahi jaan sakta.... Kitne log the andar..... Toh... Unhe kaise patah.... Ki Sonia aur uske... Doston ko.... Kisine bachaya hai....

Mohit- Han sir.... Aur humne koi surag nahi choda hai..... Humne pehle bhi toh... Aise gadiyan jalai hai.... Tabhi bhi aisi enquiry nahi huvi....

Raj- toh phir.... Isabar aisa Kya huva hai... Ki Vampires enquiry... Kar rahe hai.... Kahin yeh M.K ke bete ke qatil... Ko nahi dundh rahe.... Beetel tumne.... Koi saboot toh nahi choda tha na....

Beetel- Sir... patah nahi shayad....par.... Maine apna koi saboot... Nahi choda tha.... Bus woh ladki jisko.... Maine bachaya.... Woh hi zinda thi.... Par usne Mera chehra nahi dekha....

Raj- Roy...mohit aur Sara... Tum ek kaam karon... internet se Sonia... Aur uske doston ke no... Par call Karo.... Aur unke college friends hai... aisa kareke baat karon....dekho kuch patah chaltah hai.... Aur Han.... unsabhi mobiles... Ki location... Kahan hai.... Check Karo... Aur Mujeh batao...

Roy- Sonia... Tum chalon hamare saath....

(Sonia...Roy...Mohit aur Sara...Bahar jate hai... )

Vikrant- Yeh Saab Meri wajah se....ho Raha hai shayad....

Sam- Lagta hai..... Tum jahan jateh ho.... Musibat saath leke aate ho... Ab Kya Kiya tumne....

Vikrant- waise mein... Is bare mein... Beetel se baat karnewala tha...lekin...

Beetel- Vikrant ab yeh... Kaun sa Naya khel hai... Tumhara...

Raj- beetel... Vikrant ko... Kehne do... Woh kehna Kya chahata hai...

Vikrant- sir... Kal raat ko... Me jab yahan aa Raha tha...
Tab Meri gadi ke pass se... do jeep aur teen bike...guzri... Mujeh andaza ho Gaya tha... Ki yeh Vampires hi hai... Mujeh Sonia ka msg Mila tha... Urgent help...ka....Aur woh Vampires...usi location pe..... jaa rahe the....

Tab Mujeh lagaa... Ki in logonehi.... Sonia aur uske doston ko ..... Pakkad liya.... Hai.... Isliyeh Maine....inka picha Kiya.... Woh log kareeb 2 KM aage Jake....Rukeh the.... Maine apni gadi....dur hi rok ke side me lagadi... Aur Main apni Gadi mein se hathiyar... nikale....


Priya- is ice- cream ki gadi me ... Hathiyar bhi hai....

Vikrant- han... Meri gadi ke andar se... Niche ek shutter... Khulta hai.... Usme sare hathiyar hai...

Priya- Acha toh gadi mein... khufia base hai... Jispar tum apna bed dalke sote ho... Aur uske hi niche shutter hai....

Vikrant- sahi kaha...
(aur aage Vikrant Kehta hai...un Vampires ne jahan gadiyan Khadi ki thi.... woh ek sunsan ilaka tha....wahan road ke dono taraf jadiyon thi...Main dheere dheere.... un Jadiyon me... Unki taraf badha aage badah..

Jadiyon ki awaz sunke.... Un vampires ko lagaa... Wahan koi hai.... Toh do Vampires mere.... shikar ban ne aagaye.... Aisa karte karte... 10 Vampires ko maine mardala.... jab koi wapas nahi aaya....toh aakhri doh Vampires.... Samaj Gaye..... Ab unka bhi yahi haal hona hai....

Woh doh Vampires kisi se contact.... Karne ki koshish Kar rahe the.... Tabhi... Main jadiyon se Bahar aaya...





Aur apne chandi ka dagger... Leke unki taraf badah...... Woh dono saandh jaise.... mustande the....

Dono Vampires ne mujpe....phir ek saath humla Kiya... woh dono kafi... Takkatwar the.... Dono ne... Ek saath bike uthai... Aur mujpar feki.... Par main tayar tha... Main side me kud Gaya... Bike gadi se takrai... Aur gir gayee.....

Phir unhone.... Dusri bike uthai.... aur mere nazdik aaye.. Me samaj Gaya tha...woh kafi nazdik aake hi... Bike mujh par fakenge.... Taki main side main kud na saku.... Mere piche ab jeep thi... Unhe laga ki main fas Gaya Hun....

Tabhi unhone bike feki... lekin main juk ke.... Jeep ke niche... Chalagaya... Ab yeh khel main... aur nahi khelna chahata tha.... woh dono Vampires ab.... teesri bike ko uthane lage....

Jabtak woh uthake.... Meri taraf ghumte.... Main tezi se unki taraf badha..... Maine piche se... Undono Vampires ke pair ki nuse Kat di... Nuse Kat jane se woh dono gir pade aur.... Bike unke upar hi gir gayi...)

Maine undono ko.... Sonia ki tasveer dikhai... aur kaha....

Vikrant- Agar is ladki ke bare me Bata Doge... Toh zinda chodh dunga.... (Par unhone inkar Kiya... Usme se ek Vampire ne kaha....)

Vampire 2- hume is ladki ke bare me..... kuch bhi nahi Patah... Par hum kisi aur.... Ladki ko dhundh rahe hai....

Vikrant- (Maine us Vampire se pucha) Batah... Kaun hai woh ladki... aur tum kiske liye.... Kam karte ho....

Vampire 1- Mobile me sari information hai....

images


(Main turant jeep ke pass gaya....wahan pe ek black tablet tha....meine use kholne ki koshish ki.... Par woh nahi khula....wahan pe...ek chip thi...maine Woh nikal kar....wahan pe dali.... par wahan par msg aaya 'UNRECOGNISED'...main kuch samja nahi.... maine...dubara try kiya.... wapas msg aaya....'UNRECOGNIZED FAILURE' LAST TRY REMANING....
main samaj Gaya....Ek aur galat try aur... Phone lock ho jayega....phir woh Vampire Hasne lagaa aur bola....)

Vampire 2- tu Apne aap ko bohat smart samajte hona.... Toh us tablet ko khol ke dikhao......

(Maine tabhi socha... Yeh Vampires ki special designed.... system hai...
Isko kholne ke liye...unhone....aisa hi koi tarika rakha hoga....

images


Tabhi Mujeh kuch sujaa aur ....Maine us Vampire ke khoon... Ki Ek boond us chip....par rakhi...aur chip ko andar Dhaka Diya.... Woh mobile me msg aaya...
'UNRECOGNIZED TOTAL SYSTEM FAILURE'
aur phone me...Ek short circuit huva...aur
Sara data ud Gaya... Woh Vampires.... Mujeh dekh ke Hasne lage... )

Vampire 1- Yeh BRPS hai....(BLOOD RECOGNISED PASSWORD SYSTEM)...isme hum dono ke... khoon ki boond....sehi yeh Khulta hai... Ab tu kabhi nahi...jaan payega...isme Kya information hai..... Teesre galat try ki wajah se... Sara data ud Gaya hai.........

Vikrant- batah tu kaun si ladki ke piche hai....aur tujeh kisne bheja....hai....

Vampire 2- hume kisne bheja hai.....yeh main tujeh zaroor... Bataunga... 'STRICKER'.... yeh naam yaad karle.... use koi nahi Bacch sakta....Woh aaj nahi to Kal.... Tujeh dhundh hi lega....

Vikrant- Mujeh uspar itna gussa aaya...Maine undono Vampires ka....gala Kat Diya....
Phir undo ko Kat ke...wahin Jadiyon me... sabhi 12 vampires....ko jaladiya.... Ek saath....

Likin tabhi...Maine koi aahat suni...main pedh ke piche....chup Gaya....tabhi Maine dekha...ki wahan koi ladki us aag ko...dekh rahi thi....pehle Mujeh lagaa....

yeh inke saath hi hai....main goli Chala deta....lekin Woh jistarah se us aag ko...dekh rahi thi...me samaj Gaya...yeh inke saath nahi hai....yeh koi aur hai...Woh wahan se Pani bike...pe chali gayi... Lekin aaj pata Chala... Woh Beetel thi....


FRaj- iska Matlab.... Woh log us team ko dhundh rahe hai...aur yeh patah Kar rahe hai....unki team ko kisne Mara....

Vikrant- aur Mujeh Lagta hai.... Stricker hi yeh sab karva Raha hai....

Raj- Par Stricker....dundh kiss ladki....ko raha hai... Yeh ek sawal hai...

Beetel- toh wahan pedh... ke piche bilii ke saath... Tum the... Agar tab pata Hota... Toh Kal hi faisla ho jata...

(Tabhi Mohit andar aata hai...sir Roy ko kuch information mili hai... AAP jaldi chaliye... Raj...Sam aur Beetel jate hai...tabhi Vikrant...)

Vikrant- Beetel main tumse kuch akele...me baat karna chahata Hun.... Please sirf 1 min....

Sam- aisi Kya baat hai....

Raj- Sam tum Chalo.... Abhi humare liye Roy se....milna zaruri hai...

(Beetel Sam ko Jane ka....ishara karti hai....aur vikrant ke samne Khadi hoke bolo....)

Vikrant- Abtak main chup... Isliyeh tha.... Kyunki Mujeh...kuch confusion tha... Lekin tum se baat karke....Mujeh pakka yakin ho Gaya hai....

Ab tum Meri baat sunke... mujpar zarur yakin karogi... tumhe yakin hojayega.....ki main bekasur Hun....aur mujse mafi mangogee.... Ki Maine galti se.... Tumpar Shaq Kiya....

Beetel- aisa kabhi nahi.....ho sakta....waise tum kehna Kya chahate ho.... Saaf saaf kaho....

Vikrant- Maine Abhi Abhi Saab se jhuth....kaha... Ki Maine.....Woh tablet... Nahi khol paya tha....aur data Sara ud Gaya.... Darasal Maine Woh tablet khola... Usme se sara data liya aur phir.... Use teen bar galat entry karke.... Data udaya.... Aur tablet.... Vampire ke saath hi jaladiya....

Beetel- Kitna aur jhooth bologe.... Natak ki Ek haadh hoti hai....

Vikrant- Zor se hasta hai.... Ek baat kahun... Tum jab Hasti ho.... Bohat khubsurat dikhti ho... Tum Jana chahati ho... Us mobile me kiska naam tha...

Beetel- Mujeh tumhari.... Juthi kahani mein koi interest nahi....(Beetel mud ke Jane lagti hai....tabhi Vikrant Kehta hai..)

Vikrant- Stricker....jise dundh Raha hai....us ladki ka naam hai 'Badraa'....(बदरा)...

(Yeh sun ke Beetel...ruk jati hai...aur uski ankhen fati ke fati reh jati hai...)


TO BE CONTINUED .................
 
Last edited:

Nosferatu19

Active Member
542
1,314
123
Jabrdust update bhai

Thank u bhai
 
Top