• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Waah! Life Ho Toh Aisi - The Merchant Of Death ( COMPLETED )

Which type of ending do you want for this part?


  • Total voters
    95
  • Poll closed .

Groot 1

I am Groot.
265
503
63
Update-436(Mumbai)

436

Mission set tha un 7 traitors ko pakkadna yaa maardena ab main involved hun toh pakkadne waala option toh cut tha matlab humlog unko thokdene waale they simple as that wohlog Mumbai mein they last known location yahi thi unki toh teams aaj Mumbai k liye rawaana hone waali thi main agle 3-4 din kahin nahi jaane waala tha jo fair tha kyunki meri body ko bhi rest ki jarurat thi.. Randy and baaki team Sara k under thi and wohlog uske sath he nikal gaye they main Niharika ki observation k under tha next 2 din third day main thoda theek feel kar raha tha but masters k according abhi field mein jaane layak nahi tha main issliye 3rd day main master Norman k sath unke official business par Bangladesh gaya kyunki Master Boe busy they kissi or task mein jo ek bahana tha mujhe field se durr rakhne ka but main master ko mana nahi karne waala tha toh main unke sath Bangladesh chala gaya jahaan maine apne 24 hours ek hotel room mein spend kiye iss bich master apni meetings mein they 4th day shyaamko Master mere hotel room mein aaye or mujhe finally good news di..

Norman - Ready to go??

Main-More then ready..

Norman - Humein sources se pata chala hai ki Harris ki ek team Mumbai pohanch gayi hai and unhe pata hai humlog kya dhund rahe hain.. So you need to leave plane ready hai tumhara..

Main-Hell yeah..

Norman - Remember AP Harris, uski team and woh 7on ki teams ye dono he teams bahot he jyaada dangerous and experienced hain unka sabse bada advantage point hai unka experience unhone apni aadhi life in sab mein nikaal di hai they know how things work but most importantly they know how people work they predict their opponents and manipulate them according to themselves that makes them double dangerous..So you better be careful..

Main-I will be.. Also obviously mujhe pata hai un 7 traitors kaa kya karna hai but Harris kaa kya?? Uska kya karun?? Maardun??

Norman - I can guarantee you tum Harris ko nahi maar shaktey tum usse harra doge but tum usse maar nahi shaktey..

Main-Woh kyun??

Norman - Because first of all according to rules tum usse waise he nahi maar shaktey or official koi reason tumhaare pass hai nahi..

Main-Reason haina woh mere Master ki wife ko maarne ki koshish kar raha hai..

Norman - Jiss wife ki tum baat kar rahe ho woh officially humaare sath hai he nahi infact humein toh pata bhi nahi hai woh hai kahaan bhull gaye..

Main-Oh right..

Norman - Toh firstly tumhaare pass reason nahi hai then reason le bhi aao toh secondly woh bhi tumhari he tarah hai, uska dimag uska sabse bada weapon hai woh harr baar koi naa koi raasta nikaal leta hai iss baar bhi nikaal lega.. So don't worry about it tum focus karo usko haraane par..

Main-Got you..

Norman - Kar shaktey hona focus?? Abtoh bloodlust par control hoga?

Main-Yeah i got you Master..

Norman - Then go ahead.. Best of luck..Driver lejaaega tumhe Mumbai and wahaan airport par tumhe contact mill jaaega..

Main-Thanks Master..

Ye bolke main wahaan se bahaar nikala toh bahaar driver mera wait kar raha tha main gaadi mein baitha jahaan se main seedha airport aaya or airport se direct Mumbai k liye nikala main akela passenger tha plane mein so mujhe time pass soke he karna padda. Baat karun meri body ki toh main 100% toh feel nahi kar paa raha tha but i was feeling alright at the moment.. 2.5 hours ki Flight thi meri or main raat 10 baje Mumbai k Juhu k ek private airport par land hua. Plane mein he maine apna mask lagaaya and niche uttara toh master kaa contact wahin mojjud tha jiska code name tha Max woh ek typical Indian banda tha but bahot he sharp and smart or khud master ka contact hai toh able bhi hoga he so uski tension nahi thi mujhe ye filhaal Sara wagairaah ko guide kar raha tha yahaan par.

Woh mere saamne pehle toh jukha then mera bag gaadi mein daala or humlog nikale wahaan se..

Max-Its a pleasure to meet the merchant of death himself Master.. Main bata nahi shakta how great i am feeling right now...

Main-Kya situation hai?? Harris aaya hai??

Max-Actually nahi Harris khud nahi aaya hai boss Harris ka left hand hai Javed woh aaya hai ek team k sath..

Main-Matlab Harris ko pakka nahi pata humlog yahaan hain kyunki pata hota toh woh khud aata yahaan par..

Max-Ji aisa he kuch.. But Javed Indian conditions se bakhubi parichit hai toh maybe Harris ne usko pehle situation scope out karne bheja hai then woh khud aaega..

Main-Maybe.. Possible hai.. Javed kaa kya scene hai??

Max-Bollywood level story hai boss, actually Javed Ko Harris ne adopt kiya tha tab Javed keval 9 saal kaa tha or Mumbai mein rehta tha uske pass family k naam par ek kutta tha or ghar k naam par ek Bridge tha jiske niche woh rehta tha or ek case k dauran Harris ki mulakat Javed se hui or i guess Javed ne Harris ko inspire kiya yaa khudko prove kiya uss choti c age mein and tab he Harris ne usko adopt karliya and tabse apne bete k jaise he rakha hai or Javed ko khud Harris ne train kiya matlab he is insane at everything just like his dad.. He is
Just brilliant bahot tareef sunta hun uski main..

Main-Harris ka left hand ye hai toh obviously right hand koi or important banda hoga..

Max-Yes actually Harris kaa right hand uska khudka beta hai David woh javed se bada hai and usase bhi jyaada dangerous hai woh mostly field mein nahi aata but jab woh field mein aata hai toh ache ache field chhod k bhaag jaatey hain..

Main-Interesting.. Interesting.. Koi beti yaa wife bhi hai iski??

Max-No boss ye 2 he hain bus family k naam par..

Main-Mujhe laga puri gang he family se bani hai bhenchod.. Toh matlab pehle Harris ji k Betey se deal karna padega. Chalo kartey hain usase bhi deal...

Continued...
Superb update...
 
Top