• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Waah! Life Ho Toh Aisi - The Merchant Of Death ( COMPLETED )

Which type of ending do you want for this part?


  • Total voters
    95
  • Poll closed .

Naik

Well-Known Member
20,853
76,452
258
Update-500(A Fucking Submarine??? )

500

Main 12-13 hours ki flight mein bus questions he puchta raha master se or insabse ye saaf tha ki EMO kaa mujhse comparison karna bewkuffi thi woh kuch or he breed tha like 1.0,2.0 and then 3.0 whatever you call it ye sab uske saamne bache lag rahe they woh sachmein koi normal aadmi nahi tha or socho Asia k top syndicate bosses yaani mere masters uske naam se darr rahe they toh isase andaaja lagaalo woh kitana khatarnaak banda hai.. Yep He was The one..

Ab humlog finally ek lambi flight k baad Russian time k according i think subah 8 baje Ek sunshaan place par land hue humlog uttare toh ye bus ek private airfield thi yaani bus ek lamba khaali area tha jo chaaron taraf fence se bandh tha and uske alawa 4 runway bane hue they planes k liye jahaan abhi ek plane or khadda tha humaare alawa, jo Regan kaa hoga.. Uske alawa ek office tha wahaan bus.. Hum sab uttare toh saamne 3 blacked out suv khaddi thi or unke saamne 3 shaks khaddey they ek toh tha Regan then ek or shaks 48-50 age rahi hogi uski hatta katta banda tha daadhi or baal dono safed hochuke they uske but still suited buited ekdum tip top lag raha tha woh.. Uske alawa ek female thi 40-42 age rahi hogi uski again lambi height well maintained body aankho par kaala chasma jeans and top kull milaake bhaari maal thi bc....

Boe - Woh aadmi hai Hank EMO kaa right hand woh Emo k sath suru se he hai technically he is the most close to Emo.. A great guy but very dangerous. Then woh female hai Alina, Emo ki manager yaa assistant jo bhi bol lo woh bhi Emo k sath pichle I think 20-22 saal se hai then Regan ko toh tum jaantey he ho woh hai Emo kaa left hand or woh banda jo mostly field work dekhta hai yaani Emo kaa dirty work jo abtoh hota nahi but yeah...

Ab humlog aage aaye toh Alina masters k saamne jukh gayi and then Hank jhukne laga toh master Mogui ne usko roka or galle se lagaaya usko then same Norman and Bovice ne kiya..

Hank - Long time Boss..

Mogui - Oh yeah very long time actually.. 2 years??

Hank - 2 years and 3 months to be exact..

Mogui - Yeah Emo se mill chuka is bich main but yeah tum i dont know kahaan gayab rehtey ho..

Hank-Mostly silent, minding our own business..

Mogui - That's good..Meet him he is..

Hank - Oh yeah MOD obviously..

Mogui - Well you know him then..

Hank - Silent hun master dead nahi..

Mogui - (Hanske) True..

Hank-Nice to meet you AP..

Main-Same..

Hank - Sara.. You look good..

Sara-Thanks Hank..

Hank - Let's go he is waiting..

Ab Main Mogui Norman Bovice And Hank ek gaadi mein aaye and baaki sab dusari gaadiyon mein..

Mogui - So tell me what's happening? Or ye matt bolna ki mujhe nahi pata..

Hank-Well sadly Master abki baar mujhe sachmein nahi pata ki kya horaha hai. But itana bata shakta hun it's serious very serious.. Pichle kuch din se kaafi tensed hain woh kaafi log milne aachuke hain unse pichle kuch din mein or harr bandey k baad unki tension increase horahi hai kaafi research kar rahe hain woh, itana busy and tensed maine unko jail mein toh kabhi nahi dekha.. Something is happening and he won't tell me about it matlab..

Norman - Matlab Something terrible is going on..

Hank-Yes..

Humlog ne jungle k bich se ek road ko cross kiya or kareeb 10 minutes ki driving k baad humlog ek or open area mein pohanchey jahaan 2 helipads banne hue they or dono par he 2 helicopters khaddey they..

Hank-Let's go..

Main-Master helicopter mein jaana hai ab??

Boe - Yes.

Main-Aisi kahaan hai woh prison..?? Jungle k jyaada andar hai kya??

Boe-Let's go.. Dekhlena..

Humlog first gaadi waale pehle helicopter mein baithe and humne kiya takeoff. Ab surprisingly humlog jungle ki taraf jaane ki bajaae samundar ki taraf jaane lage and tab hua mujhe ek or shocking realisation ki bhenchod woh prison Sea mein hai.. No fucking way bhenchod.. This keeps getting worse.. Meri shakal dekh Master Boe bhi hans diye.. Chaaron taraf yahaan paani he paani dikh raha tha bhenchod literally jahaan dekho wahaan paani and finally almost 30 minutes yaa approximately 100 kilometers khaali samundar k uppar fly karne k baad finally mujhe paani k bichon bich ek Island dikhaai diya and most importantly uss island k uppar mujhe ek bahot bada structure dikhaai diya durr se, jo i guess prison thi or jaise - 2 humlog Island k close aatey gaye woh structure literally bada he hota gaya.. Bahot bada.. Finally close aane par pura area clear hua toh yes ye thi prison or prison kya bhenchod ekdum city he thi chaaron taraf se almost 40-50 feet unchi and almost 5 feet chouddi deewar se dhakki thi ye prison jiske chaaron corners par bade bade guard towers bane hue they jo literally kaafi bade they like normal guard towers se 3-4 gunna jyaada bade.. Uske alawa prison k bahaar left and right mein 2 bahot jyaada bade light houses they jo almost 100-120 feet ki height waale honge or unke uppar literally mujhe ek - 1 machine gun dikhaai de rahi thi like no joke land hotey time mujhe literally ek bahot badi gun lighthouse k belltowers mein dikhi.. Wow.. Wow..Matlab air or by foot se escape karna impossible tha but yes water, water se maybe chances they..Humlog prison k saamne ek airfield par land hue and helicopter se niche uttarke prison ki taraf chal diye jo almost 300 meters aage thi..

Norman - Kya soch rahe ho??

Main-Water.. Water is not that much protected.. Raasta ho shakta hai..

Ye sun wahaan mojjud literally sablog hanse..

Main-What??

Hank -Water he sabse jyaada protected hai, yahaan back side ek ship hai jispar literally harr type k weapons available hain or uspe harr time 30 active guards hotey hain or woh ship 24×7 iss area ko patrol karti hai..

Main-Ok.. Matlab impossible hai..

Hank-Abhi suno toh sahi woh saamne right side mein ek ex - military submarine hai jispar harr technology available hai jo water or air dono mein kissi bhi target ko seconds mein khatam kar shakti hai.. Seconds.. We are talking military style bombs and missiles..

Main-ok.. Main chalta hun.. Have a good day guys..

Continued..
Samander k beech m bani h prison or EMO ko waha rakha gaya h itni zaberdast security ek parinda bhi per na maar paye
Baherhal dekhte h EMO sahab chahte kia h jo MOD ko bulaya h
Bahot khoob shaandaar update bhai
 

Naik

Well-Known Member
20,853
76,452
258
Update-501(EMO!)

501

Main- Submarine?? Submarine?? Kya hai yahaan kohinoor?? Jo itani security hai..Ek prison k liye bhalla koi itani funding kyun dega..

Hank - Actually you are right woh submarine keval iss prison k liye nahi hai actually yahaan se i think 3-4 kms aage sea mein east Russia ki sabse badi oil rig hai jo government funded hai..So hua ye ki 1905 mein yahaan Russian government ne oil rig banaani suru ki jo 1907 mein taiyaar hui and then 1910 Mein Mr Nicholas ne ye prison ki neev rakhi jo duniya k sabse dangerous criminals ko rakhne k liye banaai gayi thi jinhe baaki koi prisons accept nahi karti thi unhe yahaan bheja jaata tha jiske badle unhe obviously paise milte 1970's mein iss prison ko kaafi pehchaan milli uss time crime rate badha or criminals bhi, jailbreaks hone lage jagah jagah and then jo criminals harr prison ko escape karletey they unhe yahaan rakha jaane laga.. 1970 se 1990 takk yahaan se 0 prisoners escape kiye, or ye issliye shocking tha kyunki yahaan unhi prisoners ko rakha jaata tha jinka kaam he tha prisons se bhaagna but yahaan aake sab over ho jaata, then 1990's mein ye prison ko world ki top prisons mein ginna jaane laga or tab yahaan bade-2 criminals ko laaya jaane laga yaani jinko government yaa baaki log legally yaa illegally maar nahi shaktey they unhe yahaan rakha jaane laga or uske badle prison ko behisaab paisa milne laga behisaab, ab baat aai 2000's ki uss time oil rig par bhi attacks hone lage kyunki obviously sunshaan area hai so sab sochte they isko capture karne kaa, specially terrorists kyunki oil rig capture karke wohlog government se kuch bhi demand kar shaktey they then 2005 mein attacks kaa faayda uthaake prison k warden or Mr Nicholas k vansaj Benjamin ne government se deal kari ki iss area mein ek submarine laai jaaye jiska kuch % hissa woh pay karne ko taiyaar hain uske alawa Benjamin ne government ki jebb bhi garam ki and bam next thing you know yahaan ek submarine ghumm rahi hai jiska main focus obviously Rig hai lekin second priority Prison he hai or woh Rig and Prison dono par easily watch rakh shakti hai. Yahaan se chaaron taraf 5-6 kms k area mein literally koi sea mein unse chippke enter nahi kar shakta. Unke sonar par uppar niche sab dikhta hai..

Ab main nahi bolunga.. Yep chup chaap chalo...Fuck this shit.. Humlog ki searching hui main gate par he 4 jagah toh then aage fir doobara search hui, wahaan bahot guards they bahot jyaada, uncountable, chaaron taraf bhenchod guards he guards they or guards k pass yahaan rubber bullets waali guns nahi thi naa, literally AK74 and other AKM variants they unke pass or wohlog maximum geard they.. Haan aage hall waale guards k pass rubber bullets guns thi but wohlog kam he they.. Uske alawa uppar ye badi - 2 snipers dikhaai derahi thi mujhe .. Harr jagah gates lage they woh bhi solid grenades wagairaah jhel jaaein easily itane strong.. Humlog kareeb 10 minutes takk paidal chaltey rahe tab jaake cell block aaya guards wagairaah se Hank ne he baat ki or surprisingly kissi ne dikkat nahi di humein.. Cells wagairaah bade jarur they but cells normal he they jaise baaki prisons mein hotey hain, or prisoners sab well mannered he they like clean prison clothes, clean faces ye nahi bc ki prison mein kachre ki tarah paddey rahein nope not at all sab kuch well organized tha saaf safaai bhi badhiya thi. Ab yahaan cells ko cross karke humne ek hallway cross kiya and uske baad suru hua real part, yahaan cells baaki cells se chote jarur they lekin ye cells literally ek hotel room ki tarah they badhiya bed sofa corner mein ek chota tv ek chota saa cabin andar he washroom kaa tha.. Holy Fuck.. Hotel room or inn cells mein bus ek he farak tha, hotel room k gate ko bahaar se lock nahi kartey.. Ok. Ok.. Yahaan kaafi female prisoners bhi dikhi mujhe..

Boe-Ye VIP section hai..

Main-Andaaja laga liya tha maine..

Ab vip section cross karke humlog ek bade se hall k gate k saamne aaye jo locked tha bahaar se.. Humaare sath aaye guard ne woh gate kaa lock khola or woh wahaan se waapis mudd gaya..

Boe - This is Emo 's cell..

Ye cell hai bhenchod mujhe laga hall hoga koi.. Fuck itana bada gate bhenchod wtf.. Todd thodi dega bhenchod lohe k gate ko jo itane bade gates lagaae hain.. Fucking hell. Lekin ashli shock mujhe tab aaya jab humlog andar enter hue toh andar kaa scene he alag tha literally alag, ye prison cell nahi 2Bhk flat tha woh bhi posh area waala, humaare saamne ek chota saa hall tha jisme 3 sofas or ek tv laga tha or hall k just piche ek room tha jo i guess bedroom tha.. Uske side mein bathroom or left mein mini kitchen bhi tha, uske alawa room mein ek heater laga tha jo on tha.. Or maadarchod side mein jo empty space tha wahan ek mini gym tha chota saa.. Sun rahe ho GYM.. G... Y... M.. Prison cell k andar.. Bhenchod. Hall mein ek bowl mein Banana, Apple and berries wagairaah bhi rakhe they..Uske alawa safaai toh ekdum chaka chak thi he.

What the fuck is that bhenchod ye cell hai?? Or ye baawla yahaan se bahaar nikalna bhi kyun chaahta hai?? Bc mujhe rakho yahaan koi tension nahi fuck everything else.. Or isko bahaar jaana hai bolo.. Fucking hell..

And tab hui bhaisahaab ki entry bedroom kaa gate khulla or hall mein enter hua EMO.. 6"7-6"-9 height bhayanak built body, tshirt and track pant pehne they ussne toh bhenchod uske body cuts literally fattne ko horahe they dono shoulders par lamba saa orr ajeeb tattoo, Laal surkh aankhein halka gora rang ye bade bade hath bhenchod thapad mein samne waale ko maardey woh hath.

Or tab maine woh dekha jo aajtak nahi dekha tha Master Norman and Master Bovice dono Jukhe uske saamne and then Master Mogui k alawa hum sab apne ghutano par they Master Mogui ki gardan bhi respect mein niche he thi.. Ok He is the Big Fish...He is the real Deal.. Fucking Hell..

Continued..
Sahi h bhai yeh jail nahi h hotel h aisa lag raha h jaise chote hotel fir usse thoda achcha hotel or fir five star hotel jaha EMO bhai sahab rehte h
Jail reh ker bhi yeh haal ki saare masters uske samne jhuk gaye or ager baher ho tow saari duniya uske qadmo k neeche rehe
Baherhal dekhte h kia baate hoti h
Bahot zaberdast shaandaar update bhai
 
Top