• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance wapsi.. the return

rebellover

Member
200
577
109
Kehte hain ki har insaan apni mistakes se hi sikhta hai, aur kabhi kabhi regret karne ke lie kabhi kabhi itna late ho jata hai ki hum us insaan ke pyaar ko kho dete hain jisne hamare lie apna sab kuchh kurbaan kar dia hota hai aur itni der ho chuki hoti hai ki us inaan ko wapas pana next to impossible hota hai.

Yeh kahani bhi ese hi tin logo ke bare me hai. Hamari kahani ki nayika jisne apne pyar ke lie apni family tak ko chhod dia par badle me use mila to sirf apmaan aur nafrat. Aakhir usne apne aap ko is dard se aazad karne ka tay kar lia aur wo chali gai. Ek waqt esa bhi aaya ki us insaan ko jise wo jaan se bhi jyada pyar karti thi use regret feel hua and usne uski life me wapas aana chaha par bahot der ho chuki thi, aur uski life me esa koi aa chuka tha jo usse sachche dil se pyar karta tha.Par main sawal ye hai ki kya hamari heroin ko uske pehle pyar se nijad mil payegi? Kya wo insaan uska pichha chhodega? Kya hoga jab use pata chalega ki heroin ki life me esa koi insaan aa chuka hai jo usse lakh guna behtar hai aur sachcha hai?

Janne ke lie padhie : wapsi the return

Chapter 1.

Subeh ke 6baj rahe the aur isha kitchen me nashta bana rahi thi jab ki uski tabiyat bahot hi jyada kharab thi aur wo khud ko baar baar behosh hone se rok rahi thi. Ki tabhi uski saas namrata ki awaz sunai di jisme isha ke lie nafrat aur berukhi saaf sunai de rahi thi, ‘‘ kitni aalsi ho tum. Subeh 4baje tak sone ke baad bhi nind aa rahi hai.’’ Isha ko 3saal ki married life me ab tak in sabhi insulting words sunne ki aadat ho chuki thi. Bite 3saal me ye sab uske sath roz hota aa raha tha, wo chahe kuchh bhi kar le use kabhi bhi apne saas sasur ya pati se ek katra bhi pyar ya respect ka nahi mila tha.

Wo nashta bana kar dining room me serve karne ke lie aai hi thi ki use ek jhannate dar thappad pada and ye thappad marnewala insaan aur koi nahi uski nanad yuvika thi, usne gaali dete hue kaha, ‘‘ ### kitni der lagati ho tum nashta kitchen se dining room me lane me. Pata nahi kya sikhaya hai tumhare maa bap ne tumhe.’’ Isha janti thi ki ab uski sehanshakti khatm ho rahi thi, par usne us waqt kuchh bhi kehna sahi nahi samjha aur wo kaam khatam kar ke apne room me aa gai aur thodi der ke lie aaram karne ki sochi. Par kehte hain na ki kabhi kabhi esa time bhi aata hai jab hume apne aap ke lie stand lena zaruri ho jata hai aur kuchh esa hi uske sath hone wala tha jiske bare me use andaza bhi nahi tha.

Wo bed par leti hi thi ki uske phone me ek mms aya jisme uska husband apni ex. gf shreya ke sath bed par tha, ab isha ka sabr apna bandh tod chukka tha. Wo is shock se bahar aati ke tabhi room ka door khula aur uska husband avinash andar enter hua. Usne isha ko uske baal pakad kar khada kia aur kaha, ‘‘ hospital chalo mere sath, Shreya ko chot lagi hai aur use khoon ki zarurat hai.’’ Esa nahi tha ki isha use first time blood donate kar rahi thi par har hafte use koi na koi chot lag hi jati thi aur avinash isha ko ghasitte hue le jata tha.Isha ne jhatke se apne baal chhudate hue gusse se kaha, ‘‘thik hai main taiyar hu apna blood dene ke lie par mujhe talaak chahie. Agar tum talaak dene ke lie ready ho tabhi main us chudail ko apna blood dungi warna marne do use I don’t care.’’ Avinash ne 3saal ki marriage life me isha ka ye roop aaj pehli baar dekha tha wo kuchh kehta ya react karta isse pehle hi isha uski car me beth kar hospital jane ke lie nikal chuki thi. Wo kuchh hi der me hospital pahoch chuki thi aur wo ab us ward ka bahar khadi thi jisme Shreya ko admit kia gaya tha. Usne jhatke se ward ka darwaza khola aur andar enter hui, usne dekha ki Shreya ke sir par ek patti bandhi hui hai par khoon ka ek katra bhi us patti ke pichhe nahi dikhai de raha tha.Isha uske pas gai aur gusse se kaha, ‘‘ kya tumne wo mms aur pics bheje the? ’’ Shreya bhi avinash ki wajah se isha ko janti thi par usne isha ka ye roop pehli baar dekha tha.

Usne haklate hue mana kia ki usne nahi bheja wo sab par isha janti thi ki wo juth bol rahi hai. Itni der me avinash bhi ward ke bahar pahoch chuka tha.usne chillate hue kaha, ‘‘ use khoon ki zarurat hai abhi aur tum yaha uspe gussa kar rahi ho.’’ Jawab me isha ne kuchh na keh kar sidha Shreya ke pas ja kar uske mathe par bandhi patti kholdi, jiske niche koi ghav ya ghav ka nishan dikhai nahi de raha tha. Isha ne abhinav se kaha, ‘‘ tumhare jese ghatiya aadmi ko koi kese itni asani se baar baar bewakuf bana sakta hai ye jaan kar bahot hasi aa rahi hai mujhe. Chalo koi nahi kal court me milte hain for divorce.’’ Itna keh kar isha ward se bahar chali jati hai, avinash uske pichhe jata hai tezi se aur dekhta hai ki isha ek bahot hi mehangi bmw car me beth kar chali gai. Uske jate hi avinash wapas ward me aaya aur Shreya ko gusse se ghurne laga, Shreya uske is tarha dekhne ka matlab samajh chuki thi usne haklate hue kaha ‘‘ I am sorry mujhe bas kuchh thik nahi lag raha tha aur chakkar aa rahe the..’’ Shreya aage kuchh keh pati usse pehle wo ward ka door zor se bandh karte hue bahar chala gaya.

Use malum tha ki hospital me cctv cameras lage hue hain, wo sidha monitoring room me gaya aur use apne khud ke influence ki wajah se cctv footage dekhne ko mil bhi gaya. Usne jis car me isha beth kar gai thi uska numberplate dekha aur apne assistant ravi ko call kar ke pata lagane ko kaha ki wo car kiski thi. Kuchh hi der me ravi ne jo bataya use sun kar avinash dar ke mare hil gaya kyu ki wo car jis insaan ki thi wo pure india ka sabse powerful insaan ka beta tha aur uska nam tha Himanshu Raghavendra Khanna. Use is baat se jyada herani ho rahi thi ke isha jo ki ek anath thi to uska itni powerful family se kya connection hai, par wo anjaan tha us raaz se jo aage ja kar samne aane wala hai uski duniya hila dene wala tha.

Khair dusre din jesa isha ne kaha tha wo civil affairs bureau (court) pahoch gaya, par isha ab tak nahi aai thi. Khair ek ghante tak wait karne ke baad ek racing car enter hui, jise dekh kar wo khud chaunk gaya kyu ki is model ki car to khud uske pas bhi nahi thi. Wo abhi aakhe fade dekh hi raha tha ki us car me se isha bahar aai uske new look ko dekh kar wo to jese chakkar kha kar gir hi jane wala tha par usne khud par control kia, aaj ke din isha ek navy blue colour ka long dress pahen kar aai thi, jab ki wo jab married thi tab sirf simple saree pehna karti thi. Isha car se utarne ke baad uski or bina dekhe hi andar chali gai. Kuchh der baad dono bahar aaye tab dono ke hath me divorce certificate tha. Dono bahar aaye hi the ki teen luxurious cars aa kar ruki aur kuchh log usme se bahar aaye, avinash unme se ek ko pehchan gaya wo himanshu tha jiske sath isha us din gai thi.

Kuchh hi der me kuchh log un cars me se bahar aaye aur isha ko ek sath hug kar lia jese ki wo sab use saalo se jante ho. Kuchh hi der me isha jisme aai thi usi sports car me beth kar nikal gai himanshu ke sath. Avinash bas muh fade dekhta hi reh gaya, apni ex wife ke makeover ko dekh kar. Usne kuchh socha aur apne driver ko company chalne ke lie kaha, avinash pata nahi kyu par apni ex wife ko kisi aur aadmi ke sath dekh kar jealous feel kar raha tha. Usne kaam me apna man lagane ka try kia par wo nahi laga paya, meeting me bhi sab par chillata raha like uspe kisi tarha ka pagalpan sawar ho gaya ho.

Dekhte hi dekhte ek mahina bit gaya, aaj isha ka birthday tha aur kismat se jaha himanshu isha ko dinner karvane laya hua tha usse kuchh hi dur avinash Shreya ke sath aaya hua tha party attend karne ke lie. Himanshu isha ko le kar restaurant ki chat par aa gaya jaha par usne isha ke lie aatishbazi ka program rakha hua tha jo ki bachpan se hi isha ka fav. tha. Isha chhoti bachchi ki tarha apne bade bhai ki ungli pakad kar aatishbazi ka maza le rahi thi par badkismati se usi restaurant ke samne ki rooftop pe avinash aur Shreya dinner kar rahe the, aatishbazi ke end me likha hua aya, HAPPY BIRTHDAY MY LITTLE ANGEL. Shreya ye scene dekh kar bahot surprised feel kar rahi thi, usne avinash ka hath pakadte hue bade pyar se kaha, ‘‘jaan mujhe bhi apne birthday par esi hi aatishbazi chahie. Kitni nasibwali hai wo ladki jisnke boyfriend ne use itna achha surprise dia.’’ Uski baat puri hui bhi nahi thi ke un dono ko dekha isha ne himanshu ki ungli pakdi hui thi.

Avinash Shreya ko wahi pe chhod kar isha ke pas jane laga, Shreya ne use rokne ki koshish ki par wo ruka nahi.kuchh hi der me wo isha aur himanshu ke samne khada hua tha, is time isha himanshu ke sath ek bachchi ki tarha uski ungli pakad kar restaurant ke gate par khadi hui thi. Avinash ne gusse me apna muh taredte hue usse puchha,‘‘kon hai ye aadmi? Hamare divorce ko ek mahina bhi nahi hua aur tum kisi aur mard ke sath gulchharre uda rahi ho. Sharm nahi aati tumhe.’’ Himanshu isha ke defence me kuchh kehne hi wala tha ki isha ne use ishare se mana kia aur chehre par muskan bikherte hue kaha, ‘‘ waah ! dekho to sahi sharm ki baat kon kar raha hai, wo insaan jo khud shadi shuda hote hue apni wife ki aakho ke samne use cheat kar raha tha. Bhale hi divorce ko sirf ek mahina hua ho par ab tum mere husband nahi rahe is lie tumhe mujhe kuchh bhi kehne ka ya gussa karne ka koi hak nahi hai.’’ Isha ne ye baat jis expressions ke sath kahi thi unhe dekh kar ek baar ke lie avinash dar hi gaya.Avinash chah kar bhi kuchh nahi keh paya kyu ki isha ne jo bhi kaha wo har baat 100% sach thi.

Isha ke itna kehne ke baad wo and himanshu avinash ko ignore karte hue waha se nikal gaye. Dur khadi Shreya ne ye scene dekha, use sabse jyada hairani is baat se ho rahi thi ki isha desh ke sabse amir insaan ke sath ja rahi thi. Wo un dono ko tab tak dekhti rahi jab tak dono car me beth kar chale nahi gaye, sach kaha jaye to Shreya isha ko khush dekh kar bahot hi jyada / extreme level pe jealous feel kar rahi thi, jab ki wo jiske sath thi wo avinash bhi kam amir nahi tha.Khair din bit gaya par isha ki khushi Shreya ke dil me khanjar ghonp rahi thi usne man hi man tai kia ki wo ya to isha ko dunia se wida kar degi ya fir isha ki halat kar degi ki wo kisi ko muh dikhane ke layak nahi rahegi.

Next day early morning..

Isha apne room me so rahi thi ke tabhi uske room ka door khula aur ek middle aged lady andar dakhil hui. Usne soti hui isha ke pas ja kar bethte hue uske mathe par hath ferna shuru kia. Isha un mamta se bhare hatho se ka sparsh pehchan lia wo lady aur koi nahi isha ki mom yamini thi. Isha ne nind me hi unka hath pakadte hue unki god me sar rakh dia aur fir se so gai.Do ghante baad isha ki nind khuli to paya ki wo apni maa ki god me sar rakh ke so rahi hai aur wo apna hath uske sar pe fer rahi thi par unki aakho se aasu beh rahe the. Isha ne jhat se unhe gale laga liya, wo apni maa ke gale lag kar bahot sukun feel kar rahi thi. Kuchh der baad usne alag ho kar apni maa se kaha, ‘‘ main thik hu maa aap roiye mat warna main bhi ro dungi.’’ Yamini kuchh bhi bardasht kar sakti thi par apne bachcho ki aakho me aasu kabhi bhi bardasht nahi kar sakti thi. Unhone face par smile laate hue kaha, ‘‘ thik hai main nahi roungi par fir se ham sab ko chhod kar mat jana. Hamari jan basti hai tumme.’’ Itna keh kar unhone isha ke forehead par kiss kia aur use ready ho kar niche aane ke lie kaha.

Thodi der baad isha niche dining hall me ja pahochi jaha par uske tino bade bhai himanshu, abhi aur umang bethe hue the uska wait karte hue. Jese hi wo niche pahochi uske tino bhai bhag kar uske pas pahoche aur bari bari use hug kia aur uska hath pakad kar dining table par le aaye uske baad sabhi log use apne hatho se khilane lage. 3 saal.. pichhle 3saal me isha ko kabhi itna pyar nahi mila tha wo apni family ke pas wapas aane ke decision ke lie khud ko lucky maan rahi thi. Isha ne apni maa se puchha, ‘‘ maa papa kaha hai? Dikhai nahi de rahe.’’ Yamini ne kaha, ‘‘ wo france gaye hai business meet ke lie kal subeh tak aa jayenge.’’ Ye kehte hue yamini ke face par ek shararati smile thi jiske pichhe ka matlab isha samajh nahi pai aur nashta karne ke baad apne room me chali gai. Avinash se shadi karne se pehle use novel likhne ka bahot shokh tha aur wo kabhi kabhi likh bhi lia karti thi par usne apni koi bhi novel publish nahi ki thi.Dopehar ke waqt me jab isha apne room me beth kar pc me novel likh rahi thi tabhi uske door par knock hua. Door khula hua tha fir bhi knock hone ki wajah se usne thode gusse ke sath jese hi pichhe mud kar dekha to paya ki door par uske papa raghavendra khade the apni baahe felaye hue. Isha daud kar unke gale lag gai, aaj use uski sari khushia wapas mil gai thi. Isha ke papa ne kaha, ‘‘ meri princess wapas aa hi gai hamare pas. Ab main apni princess ko kahi jane nahi dunga.’’ Isha ne bhi unki baat pe agree karte hue sar haa me hilaya aur chhoti bachchi ki tarha fir se unke gale lag gai. Kuchh der baad unhone kaha, ‘‘ mere khayal se ab waqt aa gaya hai ki tum apne sapne ko pura karo. Maine tumhari likhi hui 3novels ko publish karne ke lie apne dost tarun shah se baat kar li hai, wo kuchh hi dino me tumhari likhi hui 3no novels ko ek sath publish kar dega.’’

Isha ki writing skills kisi professional writer se kam nahi thi. Wo turant hi apne papa ki baat maan gai par sawal ye tha ki wo sari novels kis naam se publish ki jaye par kuchh hi der me use ek badhia nam dimag me kondh gaya LITTLE ANGEL. Ye wahi nick name tha jo use himanshu se mila tha. Is lie usne apne papa ko apna writer name LITTLE ANGEL rakhne ko kaha. jab himanshu ko ye baat pata chali to use apni behan ke lie bahot pyaar mehsus hua. Tino bhaiyo me himanshu isha ke sabse jyada karib tha.

Kuchh hi dino me isha ki likhi hui novels publish ho kar market me launch ho chuki thi aur LITTLE ANGEL naam market me tahelka macha rha tha. Luckily Shreya bhi anjaane me isha ki fan ban chuki thi kyu ki isha ne kuchh waqt ke lie apni identity reveal na karne ka decision lia tha. Isha ki 3no novels ab international market me bhi jald hi launch hone wali thi. Isha ne apne writer name se ek twitter account bana lia tha, jis par use apne fans se bahot sare messages bheje the jinme unhone uski writing skills ki bharpur tarif kar rahe the, kuchh log to usse autograph tak maang rahe the aur puchh rahe the ki uski new novels kab publish hogi. Khair usne sabhi sawalo ka jawab ek hi shabd me dia SOON.

Is taraf Shreya is baat se anjaan thi ke jis writer ki wo bahot badi fan hai wo aur koi nahi isha hai. Ek din jab isha apne bade bhai abhi ke sath shopping karne ke lie aai hui thi aur coincidence se Shreya bhi avinash ki behan yuvika ke sath aai hui thi aur jese hi usne abhi aur isha ko sath me dekha to wo jalan ke mare koyla ban gai. Kuchh der ke lie jab isha akeli padi tab dono isha ke pas aa gai aur Shreya ne banavati muskan ke sath kaha, ‘‘ bahot time ho gaya na mile hue. Kesi ho tum.. apne bf ke sath shopping karne aai ho na.’’ isha ne dono ko ignore kia aur dusre section me gai fir bhi un dono ne pichha isha ka pichha nahi chhoda.Aakhir jab isha bill pay karne ke lie cash counter pe gai aur usne pay karne ke lie black card nikala tabhi Shreya ne uske hath se wo black card chhin lia aur zor se chillate hue kaha, ‘‘ kya baat hai mere bhai se alimony lene se mana karne ke baad ab tum chori bhi karne lagi ho.’’ Shreya chahti thi ke isha ki badnami ho par uska plan na kamyab hone wala tha. Shor sun kar mall ka manager aaya and usne situation ko samajhne ke baad isha se uska black card maanga, is baat se Shreya ko laga ki ab to isha ki bhayanak badnaami tai hai. Par jese hi manager ne wo card dekha use isha ka nam us par likha hua dikha.

Usne isha se maafi mangi aur isha ko uski shopping pe 30% discount dia as a compensation, jiske reply me isha ne sirf smile ke sath thank you kaha aur waha se chali gai. Kismat se kisi ne pure incident ka video shoot kar ke online upload kar dia tha jiske wajah se Shreya aur yuvika ki family ki band baj gai.Jese hi dono avinash ke ghar pahochi dono ne dekha ki Shreya ki family waha maujud thi. Dono soch rahi thi ke mall me jo kuchh bhi hua wo kisi ko malum nahi chala hoga par reality unki imagination se wiprit thi. Dono hi family ke bado ke chehre par gusse ke bhav saf dikhai de rahe the. jese hi dono living room me enter hui dono ke gaal par ek sath thappad pade. Shreya ke papa ne gusse se dono se puchha, ‘‘ esa kya kar dia hai tum dono ne ki aaj ham dono ki companies ke sare investors ne apna investment wapas khich lia hai aur aage invest karne se saaf mana kar dia hai.’’ Shreya aur yuvika dono hi thappad khane ke baad kuchh kehne ki halat me nahi thi fir bhi Shreya ne himmat karte hue mall me jo hua tha wo bataya.

Dono ki baat jese hi khatam hui fir se dono ke gaal par thappad pada and is bar wala thapaad pehle wale se jyada zor se mara gaya tha. Shreya ke papa udit ne kaha, ‘‘ tumhe pata bhi hai wo insaan kon hai, Khanna industries ka MD Abhishek Khanna. Jisko offend karne ki aukat hamari to kya pure desh me kisi ke pas nahi hai.’’ Jawab me Shreya ne kaha ‘‘ par papa isha uske sath ghum rahi thi hum dono ne khud apni aakho se dekha hai.’’ Shreya ki is baat ka jawab is baar avinash ne dia, ‘‘ main aur isha divorce le chuke hain fir bhi tumhe kya zarurat thi kisi ko bhi offend karne ki.’’ pata nahi kyu par wo isha ka nam bolna nahi chahta tha apni baat kehte waqt. Itna keh kar wo apne room me chala gaya. Kehte hain ki jesa ham kisi ke sath karte hain thik wesa hi hamare sath hona tai hai, thik esa hi un dono ke sath ho raha tha. Avinash aur uski family ne bite 3saal me isha ko bahot rulaya, bahot baar uska insult kia tha, uske sath janvaro se bhi battar behaviour kia taki wo avinash ki life se chali jaye aur ab jab wo un sab ki life se chali gai hai aur apne past ko bhul kar khush rehne ki koshish kar rahi hai to un logo se ye bhi nahi dekha ja raha tha. Sahi kaha tha kisi ne ki kutte ki dum kabhi sapne me bhi sidhi nahi ho sakti.Us din dopehar me isha apni family ke sath apni novel ki success party ke lie 5star hotel shangrila me aai hui thi is baat se anjaan ki uski life me esa koi aane wala hai jo uski life khushio se bhar dene wala hai. Isha ki family me se sabhi hazir the par uska bhai umang abhi tak nahi aaya tha. Kuchh der baad umang kisi aadmi ke sath wha aata hai. Isha jab us aadmi ko dekhti hai to use esa lagta hai ki wo use janti hai, par wo kuchh kehti usse pehle hi umang ne us insaan ka intro. Karvate hue kaha, ‘‘ inse milie ye hai mera dost aur entertainment industry ka king Nikhil oberoy.’’

Umang ke introduction dene ke baad Nikhil bhi sabhi ke sath beth gaya. kuchh der baad dinner party khatam hui, Nikhil bhi umang ke sath isha ke ghar aa gaya. Umang kuchh der baad jab sab living room me bethe the tab usne kaha, ‘‘ nikhil ishu ki likhi hui novels pe movies banana chahta hai agar ishu is baat ke lie agree karti hai to. Nikhil contract sign karna chahta hai is baat ke lie aur contract sign karne ke baad use advance 50lakh bhi milenge.’’ Isha umang ki baat sun kar khush bhi thi aur confuse bhi ki wo haa kahe ya nahi. Usne sawalia nazro se apne papa ki or dekha unhone haa me sar hila dia. Isha ke agree karne ke kuchh der baad Nikhil ka vakil contract paper le kar aaya aur isha ne contract sign kar dia.

Contract sign karne ke baad jab isha Nikhil se hath mila rahi thi tab usne puchha, ‘‘kya main aapko jaanti hu? Kya hum pehle mil chuke hain?’’ Nikhil ne smile karte hue kaha, ‘‘ haan hum mil chuke hain 2saal pehle, ocean hill mall me.’’ Isha ki mom ne isha se sawalia nazro se dekha jiska jawab isha ki jagah Nikhil ne dia, ‘‘ do saal pehle main aur mera dost kisi kaam se mall me gaye hue the, jaha isha ji bhi shopping karne ke lie aai thi. Jab bill pay karne ke lie ham dono ek hi line me khade the. Jab isha ji ka turn aaya to unhone payment karne ke lie card nikala tab card se payment nahi ho pa raha tha, kyu ki isha ji ke bank a/c me pese nahi the. Mene unka bill pay kia par jab wo bahar ja rahi thi saman le kar tab maine unhe badbadate hue suna ki unke sasural walo ne unke account se sare pese nikal kar unka bank a/c bandh karva dia tha.Nikhil ki baat sun kar isha ko yaad aaya ki ye wahii insaan tha jisne us din uski help ki thi, usne ishare me hi use thank you kaha. Isha ki family ko isha ke ex in laws ki esi harkat ke bare me sun kar bahot gussa aa raha tha aur ye bhi soch rahe the ki agar Nikhil waha na hota to isha ki kitni insult hoti.
 
Last edited:

ARTICUNO

Active Member
668
848
94

Congrats bhai for your new thread 🎉🎉
 
Rita Kumar

Welcome to My world ❤️ 💖 💗
5,364
11,334
189

Congratulations 💐 Story k liye good luck
 
Top