Update 33
ghar aakar maine baaki subjects ka homework kiya aur uske baad khana kha kar so gaya.
m chachi- meena aaj phir mangla ke ghar kyun gayi thi.
c chachi- wo maharaj ka pata puchane.
m chachi- kya aadmi mil gaya.
c chachi- haan mil gaya samjho.
b chachi- kaun hai wo.
m chachi- kya humare hi gaon ka hai.
c chachi- haan didi wo yahin ka hai.
b chachi- kya wo bharose ke layak hai.
c chachi- haan hum uspe khud se jyada bharosa kar sakte hai.
m chachi- aisa kaun hai bata na.
c chachi- abhi nahi bataungi maharaj ke pass se aane ke baad bataungi.
b chachi- abhi kyun nahi.
c chachi- maine usse abhi tak pucha nahi hai.
b chachi- agar usne baad mein mana kiya to.
c chachi- nahi karega.
m chachi- tu itne yakeen ke saath kaise keh sakti hai.
c chachi- wo aap mujhpe chhod do.
b chachi- theek hai.
c chachi- ab bas ek samasya baaki reh gayi hai.
m chachi- wo kya?
c chachi- avi ke chacha ko manana hai na saath chalne ke liye.
m chachi- wo to maan jayenge. bete ka naam sunte hi uchhal padenge.
b chachi- hum kal hi puch lenge.
c chachi- wo aap sambhalo.
m chachi- unki chinta hum pe chhod de.
c chachi- ane waale somwar ko hi nikal jayenge kyunki wahan par ek hafta rukna padta hai.
b chachi- par avi ka kya karenge.
c chachi- use pooja ke ghar chhod denge.
b chachi- phir ye ghar kaun dekhega.
c chachi- raat ko avi pooja ke ghar sone jayega baaki saara din yahin rahega. use keh denge ki ek hafta school na jaaye.
m chachi- meena tere pass to harr samasya ka hal hota hai.
c chachi- kal avi ke chacha ko mana lenge.
b chachi- ab so jaate hai aur baaki ki saari baatein kal karenge.