☺☺☺UPDATE 11☺☺☺
AB TAK- Apane dekha jay apani behan ke sath pub mai aa gaya hai waha pe usane sankashti ko bhi dekha hai.
AB AGE-
Apane dekha nisha aur usake dost sankashti ko apane sath khichakar floor pe dance karane ke liye leke jate hai
Ab chalate hai hamari famous budhiya ke taraf jise sab logone plain ko hijackers se bachakar thikase niche utarane ke liye sir par chadhakar baithaya tha.
Jay aur sankashti ke air port se nikalake jane ke bad sab news reportersne plaine ke logonko gher liya aur sabako sawal puchane lage.
Tab sabhi logone airport ke adhikariyonko jo jawab diya tha wahi jawab diya.
To sabhi log budhiya ki taraf muh khol ke dekhane lage. Ab in logonki bari thi apana muh anda baithane jitana kholane ki.
Tabhi ek reporter bol padata hai kya is budhiya ne ap logonko bachaya. Isaka ek pair to kabra me lataka hai aur ise koi phunk mar de to ye yahi tapak jayegi.
Budhiya ye sun leti hai aur gusse mai aa jati hai.
Budhiya reporter ko " budhiya kis ko bol raha hai budhiya hogi teri amma mai to abhi jawan hun. Mere muhalle ke sare ladake muz par marate hai."
Reporter man mai " ha tuze dekh kar hi mar jate honge. Budhiya kahi ki."
Fir sabhi reporters budhiya ko gher lete hai.
Aur use sawal karane lagate hai.
Budhiya kisi celibrity ki tarah - jo bhi puchana hai wo ek ek karake pucho.
Ek reporter - ma ji kya apane plaine ko hijackers se bachaya.
Budhiya - waise to tum ye keh sakate ho ki maine hi plaine ko bachaya.
Reporter- matalab mai samaza nahi ap kya kehana chahati hai ap vistar se bata sakati hai kya.
Budhiya- mai bhi hijackers se bahot ghabara gayi thi. Aur swamiji ka jab kar rahi thi tabhi muze kisi ki awaj ayi. " Bacchi tum kyon dar rahi ho. Tum daro mat mai hun na."
Main samajh nahi payi ye kon bol raha hai to mai edhar udhar dekhane lagi.
Phir se muze wahi awaj ayi " bachhi tum muze kaha khoj rahi ho mai tumhare andar hun."
Main- ap kon hai aur muzase kyon bate kar rahe hai.
Wo awaj- beti mai swamiji hun main tumhari bhakti se khush hun tum is sankat me bhi mera nam le rahi hun.
Isliye mai tumhe bachane aya hun.
Tum chinta na karo mai hun na tum bas age jao aur un bure se ladho meri shaktiyan tumhare sath hai.
Ye sunake pata nahi muzame jaise so hatiyonki shakti aa gayi. Mai ek ek karake sabhi hijackers ko pitane lagi.
Ye sunake reportores ka muh firase khula reh gaya.
Aur jo plaine mai baithe passangers the unaka to muh itana khul gaya ke unake muh me papita baith jaye.
Kuch logonke muh itana bada khul gaya tha ke unaka muh dislocate ho gaya tha.
Kuch logonke muh me se makhiya bhi ghum kar aa gayi thi.
Par logonka dhyan to budhiya ke upar tha.
Wo use is tarah se dekh rahe the jaise unhone koi alien dekh liya ho.
Sala ye budhiya to bahot badi pahonchi hue chij nikali.
Reporter- to ammaji aap keh rahi hai ki ap ke andar swamiji aa gaye the aur apane sabhi hijackers ko pit diya.
Budhiya - han.
Reporter - phir age kya ho gaya maji.
Budhiya- phir maine dekha ke hanara plaine niche girane laga.
Ab is bar mai nahi dari kyonki mere sath swamiji the.
Firase mujhe swamiji ki awaj ayi.
" Beti kisaka intejar kar rahi ho. Jaldise pilot ke seat pe baith jao mai tumhe bataunga plaine ko kaise udate hai."
Tum us tarah udana.
Par ye sunakar me dar gayi thi plaine mai baithe sabhi logonki zindagi mere hanth me jo thi.
Tabhi mujhe firase swamiji ki awaj ayi bitiya kis soch me pad gayi jaldise seat pe baith jao.
Tum itane logonki jan bacha rahi ho. Tumhare hathonse yeh acha kam hoga.
To maine kaha " par swamiji itane sare logonmese main hi kyu"
To swamiji ne muzase kaha" bitiya tum nahi janati par tuamhare hantonse aj tak koi pap nahi ghata." Isliye mai sirf tumhe hi sunai de raha hu. Ab jaldi kar.
Fir muze pata nahi par mai plaine ko sahi salamat yaha tak la ayi.
Ye sunake plaine ke sabhi passengers ki ankhe apani jagah chodakar itani bahar aa gayi thi ke aisa lag raha tha ke thodi der aur aise hi rahe to sachme unaki ankhe kahi bahar aa jaye.
Ye news sabhi news channel par breaking news me live dikhayi ja rahi thi.
Sabhi log is ghatana ko swamiji ka chamatkar hi samaz rahe the.
Aur budhiya ko swamiji ki bahot badhi bhakt man rahe the. Sab use amma keh kar bulane lage the.
Sarakar ne to budhiya ko agale din puraskar jahir kar diya tha. Aur bada sa inam bhi.
Chaliye jab tak ye budhiya apani bakchodi kar rahi hai tab tak hum sankashti ki taraf chale jate hai.
Sankashti ke sath nisha aur usake dost dance kar rahe the.
Fir sab thak har kar floor pe se niche aane lagate hai ke sankashti jay se takara jati hai.
Sankashti ne jay ko nahi dekha tha to wo use sorry bolkar pub ke counter par aakar baith jati hai.fir sabhi milakar drinks lete hai.
Nisha drinks nahi karati thi to wo drink nahi leti hai. Par sankashti drinks karati thi to wo vodaka leti hai.
Ab sabako chadhane lagi thi to sab game khelane ka sochate hai.
Sab counter pe khade ladake se ek bottle lete hai.
Nisha sabhi suno mai ye botal is stool pe rakh rahi hun aur ghuma rahi hun. Hum sab is chair ko gherakar khade rahenge. Aur is bottel ko ghumane ke bad isaka muh jisake taraf hoga use isaka pichala hissa samane hai wo koi ek task batayega aur use wo manana hoga.
Sabhi man jate hai.
Fir sabhi khelane lagate hai. Pehale nisha bottel ghumati hai to bottel ka agala hissa usiki taraf aa jata hai aur pichala hissa sankashti ki taraf.
Sankashti ko chadh gayi thi to wo nisha ko bolati hai ke use vishal ko pol samazakar sexy pol dance karana honga.
Ye sunakar nisha sharma jati hai aur sabako na kehati hai. Par sabako chadh gayi thi to sab usaka kuch nahi sunate hai aur use dance karane ke liye bolate hai.
To wo jaise taise karake ek sexy pol dance karati hai.
Par vishal to boot ban ke khada tha usaka hal aisa tha jaise kato to khun nahi nikalega.
Fir vishal bottel ghumata hai to abaki bar bottel ka muh sankashti ke taraf aur pichala hissa nisha ki taraf.
Ab nisha ka badala lena ka samay tha to wo sankashti se badala lena chahati thi.
To wo sankashti se kehati hai tumhe jakar mai jis ladake ko bolu use kiss karana hai aur usaka shirt nikal ke lana hai.
Sabhi sankashti ka nam leke use cheer up kar rahe the aur sankashti ko chadhi bhi thi to wo bhi man jati hai.
Nisha thodi der tak yaha waha dekhati hai.
Aur use ek sexy , hot and handsome ladaka najar ata hai.
To wo sankashti ko us ladake ki taraf apani ungali dikhakar kar kehati hai wo hai tumhara shikar. Jao aur apani jung fateh kar ke aao.
Sankashti bhi kisi sherani ki tarah us ladake ki taraf jane lagati hai.
Ye ladaka koi aur nahi jay hi tha.
Sweety fance kar ke thak gayi thi aur wo washroom bhi jana chahati thi to wo jay ko counter pe le ke jati hai aur kehati hai bhai tum yehi baithon main bas 10 minute me washroom ho ke aati hun. Aur washroom ko chali jati hai.
Jay counter pe baithata hai aur ek bloody mairy ka peg leke pite hue sankashti ke taraf dekhane lagata hai.
Wo dekhata hai ki sankashti usake taraf hi aa rahi hai.
Sankashti jay ke pas aa jati hai.
Use bahot hi chadhi thi aur use apane samane jay najar aa raha tha to wo kehati hai
Sankashti- tu muze jaha dekhu waha kyon najar aa raha hai kya sach me main tuzase pyar karane lagi hun.
Ab to tu meri behan ko bhi dikhane laga hai.
Chal ab apana shirt utar.
Jay pehale ye sunake chonk jata hai ke sankashti use pyar karane lagi hai. Air phir jab ise apana shirt kholane ko kehati hai to usaka muh khula ka khula reh jata hai.
Wo sochane lagata hai ye kaisi ladaki hai jo use dusari mulakat me shirt utarane ke liye keh rahi hai.
Nice update bro☺☺☺UPDATE 12☺☺☺
AB TAK - apane dekha budhiya amma ke nam se famous ho chuki hai aur sankashti pahonch chuki hai jay ke pas aur use apana dress nikalane ke liye kah rahi hai.
AB AGE-
Sankashti jay ko apana shirt nikalane ke liye kahati hai par dekhati hai ke jay apana shirt nahi utar raha to wo khud age aa jati hai aur jay ka shirt utarane lagati hai.
Jay tha ke chup chap baitha sab dekh raha tha.
Sankashti jay ka white shirt nikal leti hai. Jay ne shirt ke andar kuch bhi nahi pehana tha.
Usaki body aisi thi ke kisine 100 aadami lagakar sculpture banaya ho.
Usaki 8 packs body dekhakar sabhi ladakiyonke muh me jaise pani aa gaya tha unaki ankhe jaise chondhiya gayi thi.
![]()
![]()
Sankashti jay ki body dekh leti hai to usane pi hue adhi sharab to wahi utar jati hai.
Idhar nisha aur usake friends bhi ankhe fade sankashti ko dekh rahe the. Nishane kabhi ye nahi socha tha ke usaki behan sachame us ladaka shirt utar dengi.
To wo sankashti ke taraf jane lagati hai nisha ke friends bhi usake piche aane lagate hai.
Nisha chahati thi ke wo jaldise jay ke pas pahonch jaye aur sankashti ko wahase dur le jaye kyonki wo nahi janati the sankashti us ladake sath kya kar baithe.
Sankashti- wow tumhari body bahot hi achhi hai.
Jay - hasakar thanks kehata hai.
Sankashti - tumhari gf hai kya.
Jay- nahi hai. Par tum ye kyon puch rahi ho.
Sankashti - Ajase mai tumhari GF hun. Samajhe.
Aur itana kehakar age badh jati hai aur jay ke galeme bahe dal deti hai. Jay stool pe baitha tha to sankashti ke hath usake galeke ird gird jaldise pahonch jati hai.
Jay ke kuch samaz mai aye isase pehale hi sankashti ke honth usake honth se lag jate hai. Jay kich samaz aye usake pehale hi jay firase apane sapanonme chala gaya tha.
Sankashti ko bahot acha lag raha tha wo jay ke lips ko kat rahi thi unhe chum rahi thi. Jay bhi use sath dene laga tha jay ye bhi bhul gaya tha ke wo apani choti behen ke sath yaha aya hai.
Sankashti lagi hue thi jay ke tounge se ladai karane mai. Shayad dono dekhana chahate the ke is ladayi me kaun harega.
Idhar nisha jab dekhati hai ke sankaashti jay ko kiss kar rahi hai wo bhi passionately to use ek bada dhakka lagata hai.
Wo jaldise sankashti ke pas jati hai aur use jay se dur khichane lagati hai par sankashti thi ke wo jay ko chod hi nahi rahi the.
To nisha aur jorase sankashti ko khichati hai to sankashti jay ke galeme apani bahe aur jorase bhich leti hai use duniya se koi lena dena nahi tha.
Wo duniya ko bhulaye jay ko kiss kare ja rahi thi. Jab sankashti ko sas lene mai takalif hone lagati hai to wo jay ke hontonse apane honth hata leti hai. Unake honthonke bich ek khun ki ek lar ki tar ban gayi thi. Sankashti ne jay ko kiss karate wakt jorase kanta tha to usake dantbjay ke hontonme gadh gaye the aur wahase khin nikal raha tha Sankashti ke honth bhi jay ke khun se lal ho gaye the.
![]()
![]()
Itane nisha usako firase khichane lagati hai. To sankashti apane jeans ke pocket se ek card nikalati hai aur kehti hai call me.
Aur waha se nisha ke sath chali jati hai.
Sankashti ke chale jane ke bad jay apani jeebh honton pe phirata hai.
Aur use sankashti ki lar kafi mithi lagati hai.
Idhar sweety washroom se fresh hokar bahar aati hai to dekhati hai ke isake bhai ko koi ladaki passionately kiss kar rahi hai. To wo jaise statue hi ban jati hai.
Jay ka kiss karane ke bad sweety ke taraf dhyan jata hai to wo dekhata hai ki sweety statue bane hue khadi hai.
To wo sweety ke pas chala jata hai. Par use kya bole ye samaz me nahi aa raha tha.
To sweety ko hilata hai aur kehata hai hum wapas chale kya.
Sweety jaise jay ke hilane se hosh me aa jati hai.
To jaldise bahar jane lagati hai. Jay bhi usake piche piche bahar jane lagata hai.
Bahar jate wakt jay ki body sabhi ladakiya bade chav se dekh rahi thi to kai ladakiya un dononki tasweere bhi kheech rahe the.
Sweety aur shirtless jay ki jodi chalate hue bahot hi hot lag raahi thi dono bhi kisi model se kam nahi lag rahe the.
Sweety jakar car mai baith jati hai jay bhi usake sath baith jata hai aur car chalu kar deta hai.
Fir dono bina kuch bole chal padate hai hotel ke taraf sweety hotel tak pahunchate hue sirf jay ki body ko hi ghure ja rahi thi.
Jay gadi chala raha tha to use kuch bhi samaz me nahi ata.
Dono hotel pahunch jate hai to sweety jay ko mai thak gayi hu subah ki flite hai aap bhi aaram kijiye ye bolakar apane room mai chali jati hai.
Jay apane room chale jata hai aur fresh ho jata hai.
Fir sankashti ko hotel ke landline se call karata hai.
Idhar sankashti nisha ke sath firase ghar pe chali aati hai ab use firase jay ko dhundane koi jaroorat nahi thi use jay firase mil gaya tha.
Wo nisha ke room mai chali jati hai.
Nisha usake liye black tea bana ke lati hai to dekhati hai ke sankashtine apana mobile nikal ke apane samane rakha hai. Aur wo pagalonki tarah has rahi hai.
Nisha - di tum aise kyon has rahi ho.
Sankashti - muze wo mil gaya.
Nisha - kaun di.
Sankashti - jay.
Maine jise aj kiss kiya tha wo jay tha. Aur usane muze apani gf bhi man liya hai.
Ab chonkane ki bari nisha ki thi. Nisha ne kabhi sapane me bhi nahi socha tha ke usake di ka bf itana handsome aur sexy honga.
Tabhi sankashti ke mobile pe kissi unknown no se call ata hai.
Sankashti us call ko pick karati hai to dusari taraf se awaj ati hai.
Jay - hi sexy. kya kar rahi ho abhi tak chadhi hue utari ki nahi.
Sankashti - apake hi call ka intejar kar rahi thi.
Sankashti ke tum se aap ke badalaw se jay chonk jata hai.
Indian ladakiya hoti hi aise hai jinhe apana pati man leti hai unake liye sirf aap jaise words nikalate hai.
Jay - accha ji.
Sankashti - han ji. Kya hum kal mil sakate hai.
Jay - kal mai Ooti ja raha hun. Mai wahi pe apane nanaji ke sath rahane ja raha hun.
Sankashti - tum kitane din ooti mai rehane wale ho.
Jay- mai ooti mai apani 12 th ki padhai karane wala hun.
Sankashti college sunake chounk jati hai.
Kyonki usane kabhi socha bhi nahi jay 12 th mai hoga. Isaka matalab ye tha ke sankashti jay se 4 sal badi thi.
Sankashti is sal 21 ki thi. Jay apane umar se bada dikhata tha apani body ki wajah se.
Jay- kya hua meri GF tum kuch bol kyon nahi rahi ho.
Sankashti sakapaka jati hai phir bol padati hai. Tum ooti mai kaha rehane wale ho.
Jay- mai bhi nahi janata mai pehali bar india aya hun. Mai ooti mai apane nanaji ke haweli pe rahane wala hun aur abhi tak muze ye bhi pata nahi hai ke mai konase College mai jane wala hun.
Main jab waha chala jaunga tab tumhe bataunga.
Ab mai phone rakhata hun.
"Love you janu".
Aur itana keh kar call cut kar deta hai.
Par idhar sankashti to jaise pagal hi ho gayi thi.
Usake dimag mai sirf ek hi awaj aa rahi thi.
"Love you janu"
"Love you janu"
"Love you janu"
Fir sankashti jorase chikhati hai aur bed pe chadhakar khushi se nachane lagati hai.
Use to ye bhi yad nahi tha ke jay usase 4 sal chota hai.
![]()
![]()
Nisha - kya hua di itana kyon khush ho rahi hon.
Sankashti - usane mujhe "Love you janu" kaha.
Aur wo ooti mai rahane ja raha hai.
Nisha - to di.
Sankashti - di ki bachi mai bhi to ooti hi ja rahi hu na apane ghar rahane ke liye.
To mai use waha pe mil sakati hun.
Aur phir nisha ko pakadakar usake sath dance karane lagati hai.
Idhar jay phone rakhane ke bad so jata hai.
Subah jay jaldise uth jata hai fir sweety ke sath nikal padata hai airport ke taraf jahase wo ooti jayenga.
Nice update....☺☺☺UPDATE 13☺☺☺
AB TAK - apane dekha jay nikal chuka hai airport ki taraf jahase wo ooti jayenga.
AB AGE-
Jay aur sweety airport pe aa jate hai aur check in karake plain me baith jate hai. plain start hone mai abhi samay tha.
Jay dekhata hai ki kuch ladakiya apane mobile nikalake news dekh rahe hai to wo bhi jigyasa me unase puch leta hai aap log kya dekh rahe hai.
Pehale to ladakiya sakapaka jati hai par wo jaise hi jay ko dekhati hai to usape jaise lattu hi ho jati hai.
Ek ladaki jay ke taraf hath karake hi myself reena.
Jay apana hath aage badhate hue i am jay.
Jay- aap abhi kya dekh rahi thi.
Reena ne abhi tak jay ka hath nahi choda tha wo jay ka hath apane hath me liye use mehasus kar rahi thi.
Reena - wo hum sub kal ke plain ke accident ki news dekh rahe the. Janate hai kal usa se aate hue ek plane ko kuch hijackers ne hijack kar liya tha. Par waha par amma ji ne use apane chamatkari shaktiyon se bacha liya.
Jay- ohhh! Amma ji. Apaka matalab wo pagal budhiya.
Reena- aap ye kya bol rahe hai. Jaldise amma ji se mafi mangiye warana amma ji krodhit ho jayengi.
Jay sochata hai kya ye ladaki pagal hai.
Ab tak reena ne jay ka hath nahi choda tha.
Jay - awkward feel kar raha tha par kaise taise kar ke kehata hai
" sorry amma ji".
Idhar sweety ye sab dekh rahi thi aur jal bhi rahi thi.
Sweety - oye ladaki mere bhai ka hath chodo.
Ab kya usake hath ko chat khaogi kya.
Ye sunake jay aur reena dono bhi sweety ke taraf chonk kar dekhane lagate hai.
![]()
Reena jay ka hath awkward smile ke sath chod deti hai.
Aur fir apane seat par baith jati hai.
Jay- sweety aise koi bolata hai kya.
Sweety - to kaise bolu kalamuhi kahi ki kaise aapaka hath pakadakar baithi thi.
Aisa lag raha tha usaka muh noch lun.
Jay ye sochakar chup baithata hai.
Sweety apana mobile nikal kar news laga deti hai aur bade gaur se dekhane lagati hai to jay bhi usake sath news dekhane lagate hai.
News mai sabhi ammaji ki tarif kar rahe the.
Kuch news mai ammaji ko bhagawan ka avatar bata rahe the to kuch mai to ammaji ke mandir bhi dika rahe the.
Kuch logone to had hi kar di thi unhone ammaji ka tattoo apane hanthonme banava liya tha.
Jay ye sab dekhakar dang reh jata hai use kuch samaz hi nahi aa raha tha ke wo kya soche.
Fir sabhi logonko badi jor se hasi ki awaj aa jati hai.
Jay apana pet pakadakar has raha tha usake ankhonme hasate hasate ansu aa gaye the.
Wo hasate hasate apane seat se niche gir jata hai.
Sabhi log chounk kar jay ko dekh rahe the.
Sweety- bhai aap ye kya kar rahe ho. Sabhi log hamare taraf dekh rahe hai.
Jay ye dekhakar sabako sorry kehakar apane seat par baith jata hai.
Par jay ko abhi bhi apani hansi par kabu nahi aa raha tha. To wo phir se jorose hasane lagata hai aur apane seat se niche gir jata hai.
Ye dekhakar jay ke sath log bhi hasane lagate hai kyonki jay itana funny hi lag raha tha.
Ye sab dekhakar waha par ek air hostess aa jati hai aur sabako chup karati hai aur kehati hai.
Pls aap log silent ho jaiye plane ab udan bharane wala hai krupaya apani kursi ki peti band lijiye.
Sab log kursi ki petiya band lete hai.
Aur isake sath hi plane ud padata hai ooty ke taraf.
Jay - sweety ooti ke bare mai kuch bataona.
Sweety ye sunake jaise josh mai aa jati hai wo fir jaise apana record casset hi chalu kar deti hai.
Sweety- bhai ooti ka ek nam utakmandalam bhi hai. Ooti karnatak aur tamilanadu ki sima pe stith hai.
Hamara ooti isaki natural sundarata ke liye jana jata hai. ooti tino mausam me hamesha suhana rehata hai.
Yaha pe bahot se paryatan sthal hai jine aap bahot pasand karonge.
Jaise boat houses, govt botanical garden, govt rose garden etc etc.... Sweeti apana rag milap jab tak chalu rakhati hai tab tak hum sankashti kya kar rahi hai dekhate hai.
Sankashti subeh subeh jaldi se uthakar apana bag pack kar rahi thi.
Ye dekhakar usaki mausi use bolati hai sankashti ye kya kar rahi ho.
Sankashti - mousi mai aaj hi ooti ke liye nikal rahi hun.
Mousi - kya hua beti tumhe hamara kuch bura laga kya. Kal hi to tum aayi ho aur aaj hi ja bhi rahi ho.
Aur itana kehate hi unake ankhonme ansu aa jate hai.
Sankashti ye dekh kar sakapaka jati hai.
Sankashti- mousi ye aap kya bachhaon ki tarah ro rahi ho pehale apane ansu ponch lijiye.
Aap to meri sabase pyari mousi hai aapse kya galati ho sakati hai. aap bhi na kuch bhi bolati hai.
Aur itana keh kar apane mousi ke gale lag jati hai.
Sankashti ko pata tha usaki mousi use ooti nahi jane degi isaliye wo bat ko sambhalate hue apani ankhonme ansu late hue kehati hai.
Sankashti - mousi aap janati hai me teen sal se usa me padh rahi hun.
In teen salonme me apane mom dad se nahi mili hun muze unaki bohat hi yad aa rahi hai.
Isaliye me aaj hi ooti ja rahi hun.
Aap bhi janati hai na dadaji muze dekhane ke liye kitane utawale ho baithe hai.
Pls pls muze jane dijiye.
Sankashti- plz
Plz.
Plz........ Mousi aur itana kehakar firase rone lagati hai.
Mousi ue dekhakar use apane gale se laga leti hai.
Aur kehati hai.
Mousi- meri bacchhi kitani pyari aur samazdar hai.
Achha ab ro mat mai tumhe aaj jane de rahi hun par tuze kuch dino bad mere bday par aana honga. Aur apane sath nisha ko bhi le ja usene bhi apane nanaji ko bahot din ho gaye dekh hue.
Idhar nisha in dono ki noutanki dekh rahi thi.
Nisha apane man me- " sala kamini kitani noutanki kar rahi hai. Ja to rahi apane bf se milane par kitane sare bahane bana rahi hai".
Lagata hai meri behan usake pyar me sach me HORNY ho rahi hai.
Nisha aage badh kar apane ma ko aur sankashti ko gale laga leti hai.
Nisha - thik hai ma mai bhi di ke sath jaungi.
Fir nisha aur sankashti packing kar leti hai aur nikal chalate hai airport ke taraf.
Jab tak sab log ooty pahuncha jate hai chaliye tab tak hum aub ooti ke bare me jan lete hai.
Thank you for waiting bhaiWaiting
Thank you for waiting bhaiintezar rehega bhai aapke update ka
Thank you for waiting bhaiBhai update plzzz
Thank you for waiting bhaiwaiting
Thank you for waiting bhaiWaiting