• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy WARRIOR- EK UNKAHI PREM KAHANI

Legend Jack sparrow

दिल तो हरामी होता है, कभी इस पे तो कभी ऊस पे|
718
3,696
124
Last edited:

Naik

Well-Known Member
21,545
77,430
258
☺☺☺UPDATE 15☺☺☺



AB TAK - apane dekha jay aur sweety ooty me apane nana ke mansion pahonch chuke hai.

AB AGE-

Jay aur sweety dono bhi ek sath car me se niche utarate hai.

Jay car me se utarata hai to usaka dhyan apane nanaji aur nani ke upar jata hai.

Aur wo unhe dekhata rehata hai.

Yaha par jay ke nani ke ankhonme ansu the to nanaji bhi jay ko apani ankhonme sama rahe the.
Kyon ki aaj tak donone bhi jay ko photo me dekha tha par kabhi real me nahi dekha tha.

Jay nana aur nani ke ankhonme apane liye pyar dekh raha tha.

Kuch bhi bolo hamesha Nana- nani aur unake pote- potiyonka ek rishta hi alag hota hai. Naseeb wale hote hai wo log jinhe nana- nani aur dada- dadi ka pyar milata hai.

Aur yahi rishta hame abhi dekh raha hai.

Jay age ake apne nana- nani ke panv chu leta hai.

Nanaji aur nani dono bhi jay ko apane gale laga lete hai.

Bhanu- kaha the itane din tak tumhe dekhane ke liye ankhe taras gayi thi hamari.
Aaj se hum tumhe kahi jane nahi denge tum hamare sath hi rahonge ab.

Jay ke bhi ankhonme ansu aa gaye the apane nana - nani ke gale lag kar.
Wo bhi kehata hai " ha nanaji ab mai apake sath hi rahunga. Bachapan se aaj tak mai tarasata tha apane nana- nani ke pyar ke liye.

Nani apane ankhonme aye hue ansu ponch leti hai aur nokaronko arati ki thali lane ke liye kehati hai.

(NOTE- aajse mai bhanu ko nana aur lalita ko nani hi keh kar likhunga)

Phir nani jay ki najar aur arati utarati hai. Phir sab log andar aa jate hai.



images-23

Yaha par dekhane ki bat ye thi ke hamari piyali rani jay ke age chalate hue bahot najukata se adaye bikher rahi thi.



images-10 images-9 images-7

Ye dekh kar sweety piyali se kehati hai.

Sweety - didi itani bhi kamar (mai ga**nd likhane wala tha par kya karesab writer ke marji se thode hi chalata hai.) mat matakao wo aapase patane wala nahi hai.

Piyali to jay ko dekhakar usape lattoo hi ho gayi thi.

Jab wo sweety ki ye bat sunati hai to wo hosh mai aake sweety se kehati hai.

Piyali- are choti tu chinta mat kar bas tu aaj se use jiju kehane ki taiyari kar.
Wo to mujhase hi shadi karega.

Sabhi log andar aa chuke the to nani jay ki sabase jan pehachan kara deti hai.

Jay beta ye tumhare mamaji hai amar aur unake sath jo khadi hai na wo hai tumhari mami aakruti.

ye sunakar jay apane mama aur mami ke pair chuta hai.

Nanii- aur jay beta ye hai tumhare mousaji sameer aur mousi neha.

Phir jay unake pair chuta hai to mausa aur mousi bhi apane gale laga lete hai.

Neha- tu bilkul apane ma pe gaya hai aur ye keh kar usaka matha chum leti hai.

Dadi- beta tumhari ek mouseri behan bhi hai ayesha par wo abhi delhi gayi hai apane Business trip pe.

Ab tak nani ne sab ki jay se jan pehachan kara di thi par piyali ki nahi to piyali khud hi nani ke pas aa jati hai aur nani se kehati hai.

Piyali- gusse se apane gal phulate hue nani aap ne sabaki jan pehachan kara di par is family ke sabase important sadasya ko bhul gayi.

Aur phir wo age ake jay se kehati hai.

Piyali - hi! Mai hu piyali aur main tumhare mamaji ki badi beti hun.

Jay ye sunakar use gale laga leta hai. Aur kehata hai
Jay -hi di.
Jab jay piyali ko gale lagata hai to piyali jaisw satave asaman me hi pahonch jati hai. Par jab wo jay ke munh se apane liye di sunati hai to jaise wo asaman se jameen pe akar gir jati hai.

Piyali- mai tumhari di nahi hun. Tumhari hone wali bivi hun to ajase tum mujhe piyali hi kahonge samaze.

Ye sunake sab chonk jate hai par sab ye sab piyali ka majak hi samaz rahe the.

Par sab ko kya pata tha ke piyali to jay ko apana pati kab ka man chuki thi.

Nani - achha ab apana majak bas bhi kar pagali.

Jay bete tumhara saman tumhare kamare me rakh diya hai jakar fresh ho jao aur phir niche aa jao aaj tumhare aane ke khushi me hamane party rakhi hai.

Piyali- nani mai jay ko usaka kamara dikhati hun.
Ye kahakar wo jay ko pakad kar apane sath le jane lagati hai.

Aaj ke liye itana hi age dekhate hai jay ke sath age kya hota hai usake kamare mai.
Bahot behtareen shaandaar update bhai
Piyali n tow jay apna pati banane ki tayyari shuru ker di ab dekhte Jay kia kerta h
Bahot khoob shaandaar
 
Top