• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Werewolf

Kiya is story mein incest add kiya jaye


  • Total voters
    25
  • Poll closed .

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,633
174
Xabhi bhai ko bahut bahut jayda wala thank you aap mere almost sabhi update par apni pratikriya jarur dite hai.

♥️♥️♥️♥️
Bhai aapne mehnat ki hai ise yha pr post karne me to ham us mehnat ki prasansha bhi nhi kr sakte kya... Or aapne to bahut hi dilchasp story pesh ki hai is forum me... Like or comment to banta hai bhai...
 

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,286
3,510
144
Update 18


Karn jab sahil ko sahara dekar leja raha tha toh kuch hi samay ke andar sahil ekdum theek ho gya tha. Lekin woh yeh baat karn ko nahi bol sakta tha kyunki koi aisi fight se itni jaldi kaise theek ho sakta hai. Toh isi liye sahil thaka hone ka natak karta raha.

Mujhe apni power ko control karna seekhna hoga nahi toh agge chal kar kuch galat v ho sakta hai. Aur upar se meri energy points v bahut use ho gaye hein healing mein.

Kuch hi samay mein dono school ke pass pahunch jate hai.

Karn : toh tum abh theek lag rahe ho aur tum ache se kharde v ho pa rahe ho.

Sahil chalte chalte apni soch mein aisa ghum tha ke usne yeh baat notice hi nahi ki ke karn ne usko sahara dena shord diya hai. Sahil thorda nervous ho gaya usee dar tha ke kahin karn ko kuch pata na chal jaye.

Sahil ne nervously hi jawab diya ke woh aabh kafi acha mehsoos kar raha hai. Par ja toh yeh baat karn ne notice nahi ki aur kahin woh sahil ko yeh jatana nahi chahta.

Karn : acha theek hai yeh lo apne ajj ke paise. Yeh poore 50 hazar hai.

Sahil ne pehle toh un paison ko gina kyuke use yakeen nahi ho raha tha ke 50 hazar sirf ek fight jeetne ke aur kuch din pehle usee itna khatarnakh kaam karne ke baad 50 hazar mile the.

Mein apni zindagi ko khatre mein dal raha tha ek transporter ban kar jabki mein ek fight jeet kar v utne hi paise kama raha hoon. Isse acha mein pehle hi fighter ban jata.

Lekin usee yaad aeya ke woh ajj jeeta hai toh kebal system ki wajah se kyunki past mein usne aaj tak koi fight nahi jeeti thi.

Sahil ko itna excited aur paison ko ginte dekh karn bola…….yeh paise itne v jayda nahi hai normally is jaisi fights mein 1 se 2 lakh tak ki kamayi ho jati hai ek fighter ki ume agar betting ke paise dal do toh 3 4 lakh toh aise hi ban jata hai. Lekin tum naye the aur itne paise v tab bane hai kyuke meine tum par paise v lagye the toh usme se meine apne rakh kar tumhe de diye.

Aur unme se kuch mein gang ki funds ke liye side mein rakh liye hai. Gang chalani hai uske liye paise toh lage ge hi na. Aur jaab hamari gang achi khasi ho jayegi toh tab se fights ke sare paise tum rakh sakte ho. Aur jo funds gang ke liye hai woh v tum apne hisab se use kar sakte ho jisse gang ko faida ho.

Sahil karan ki akhri baat sun ke heraan reh gya…….kiya bola tumne mein gang ke funds apne hisab se use karr sakta hoon…..?

Karn : haan akhirkar tum gang leader jo ho toh use kar hi sakte ho.

Sahil : gang leader…….? Ek mint lekin gang toh tum bana rahe the aur mujhe apne liye kam karne ko rakha tha aur abh tum bol rahe ho ke mein gang leader hoon….? ( sahil karn ki baat par bhut heran tha)

Karn : mein jaise ajj tumhe fight karte dekha mujhe laga ke gang ko aisa hi leader chaheye. Mein bss apna dimag lagayon ga aur vese v mujhe pasand nahi hai limelight mein ana.

Sahil karn ki is baat par abhi v kuch soch hi raha tha use yakeen nahi ho raha tha ke karn use gang ka leader bana raha hai.

Jab karn ne sahil ko aise heran aur preshan dekha toh woh phir bola. Jayda mat socho raho ge tum mere bafadar kutte hi bss mein tumhe gang ka face bana raha hoon. Aur tumhe aur v takatvar hona hoga aur aise hi fights ko jeetna c hoga nahi toh green fang famous nahi ho paye ga.

Is sabke ke baad dono apne apne raste ho liye. Wahin sahil ko abhi yakeen nahi ho raha tha ke woh abh ek gang ka leader ban chuka hai lekin uski bss jahi problem nahi thi. Ek aur problem v thi woh tha system jise ussee abhi tak samajna tha.

[Level 2]


[120/100 exp]

Isse pehle sahil ke pass 70 exp thi lekin jab usne billy ko hareya usse 50 exp mili. Jiske chalte abh uske pass 120/100 exp thi.

Lagta hai quest poora karne par jo reward mein exp milti hai woh aisi hi random ati hai. Lekin workout aur baki ke jo v daily quest hai sirf unki exp hi same rehti hai.

Jaisa ki sahil ne abhi kuch hi samay pehle level up kiya tha. Jiske chalte uske system mein kuch badlav toh aye the aur use stat point v mila hai jaise woh use kar sakta hai.


[Stat point se user apni stats ko increase kar sakta hai, woh ise apni health increase karne mein v use kar sakta hai, aur health aur energy par ek stat point use karne se veh 10 points tak increase ho jaye gi.]

Acha toh meri stats v hain aur mujhe abhi tak pata nahi chala.

Jaise hi sahil ne stats ke vare mein socha uske sahmne stats ki screen khul gayi.

[Strength 4]


[Dexterity 3]

[Endurance 8]


Jab sahil ne apne stats dekhe toh use pata chala ke uske stats itne v ache nahi hai aur upar se uski dexterity kitni low hai.

Mujhe pata toh tha mein kamzor hoon, lekin itna yeh nahi pata tha.

Acha toh aise hai mere pass health hai aur agar mein injured hota hoon toh meri health kam hoti hai lekin meri energy use hoti hai mujhe heal karne ke liye. Jisse meri health increase hoti hai lekin mere energy points kam hote hai. Aur mein yeh maan sakta hoon ke yeh meri stamina bar kii tarah hai jab mein lardon ga jab tak mere pass energy points honge mujhe kuch nahi hoga.
Abhi kuch hi der pehle

hui lardayi ke vare mein sahil sochta hai ke stats point ka upyog karne ka sabse acha tareeka kya hai. Pahle to sahil ne socha ki dexterity points hi sabse upayogii hoge. Vah dexterity points ka upyog karke ek acha hitter ban kar counter attack kar sakta hai. Khaaskar yadi vah aise hi aur kisi underground fight mein lardayi karega.

Aise hi sochte huye sahil ka dhiyan chala gya rugby match ki taraf kaise jab usne rohit ko tackle karke usse ball chini thi toh harsimran ne mere is move ki tareef karte huye bola tah ke mein bahut cool hoon.

Nahi nahi mein yeh kiya soch raha hoon mujhe khud par dhiyan dena hoga kisi lardki ko pane se meri khud ki zindagi jayda jaruri hai.

[Your energy has now increased to a maximum of 110]

Sahil ko apni energy ko increase karne ka option sahi laga. Toh mujhe abh roz gym jana hoga agar mujhe mere stats aur v ache karne hai toh. Agr dekha jaye toh mere abhi ke stats mere current body ke anusar hi hai.

Uski energy bahut jaruri hai agar woh kisi opponent ke sath lambhi fight karna chahta hai kyunki jitna time uske pass hoga woh apne opponent ko harane ke tarike v doondh paye ga aur jahi energy usko heal v kare gi fight ke doran.

Laradyi ke vich ek aur message mere sahmne aeya tha ki mujhe koi new skill mili hai.
Us new skill ke vare mein sochte hi sahil ke sahmne ek screen khul gayi.

[Current list of skills]


[Mark: 0/5]

[Charging Heart] (new)


Sahil ko apni mark skill ka toh pata hi tha lekin use abh yeh pata chal gya tha ke veh kebal 5 persons ko hi mark kar sakta hai.

[Charging Heart]


[When activated, the user’s heart rate will increase to 150 BPM. The skill will take 10 points of energy to use. When the users heart rate is above 150, all physical stats will be doubled]

Acha toh yeh baat hai jab meri heart rate increase hoti hai toh meri powers v double ho jati hai. Jahi karan hai jo last fight mein huya aur mei jeet gya lekin agar mere pass heart rate slow karne ki v skills hoti toh acha hota.

Apne system ko achi tarah se samaj kar sahil ne socha ke abh bahut time ho gya hai mujhe ghar chale jana chaheye. Sahil apne ghar ki aur jate jate fight mein jiti money ko v count kar raha tha. Agar mujhe ek fight se itne paise mil sakte hai toh phir mere parivar ki sari mushkile jaldi hi samapt ho jayengi.

SAHIL ko KARN par abhi tak poora zakeen nahi tha ke woh uska kahan tak sath dega. Lekin abhi ke liye KARN ka sath uske liye acha hi sabit huya hai. Joonhi chalte chalte sahil ko 24 hours kula rehne wala store dikhta hai toh woh andar chala jata hai aur apne liye meat khareed leta hai kyunki usko apni energy v toh poori karni thi.

Store se niklte hi sahil ne ider uder dekha toh adhi raat hone ke karan sardak khali hi thi toh une poora ka poora meat kha liya.

[Daily quest completed]


[5 exp received]

2kg meat khane ka quest toh abh poora ho chuka tha kyunki abhi raat ke ek baje huye the lekin exp pehle ke mukable use half hi mili thi.

Koi nahi abhi mujhe ghar jana hoga exp gain karne ka rasta abh mein subah nikal loonga.
Aur sahil pahunch hi gya apne ghar aur jakr sidah apne bed pe gir ke so gya.

**************

Agle din , suraj poora chamak raha tha. Parantu VISHAV thorda nervous tha kyunki usne silver pendant aur bahut c chocolate apne bag mein rakh li thi SAHIL ke liye.

I hope ke jo mein soch raha hoon SAHIL vaisa na ho.


Milte hai next update mein……..
 
Last edited:

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,286
3,510
144

Update 19


Raw meat ko khane ke baad SAHIl ki energy bar poori full ho gayi thi. Woh ek dum fine mehsus kar raha tha use aisa lag raha tha ke jaise kuch huya hi na ho. Woh jaldi se apne ghar jaker soo jata hai.


Jab 5 ghante sone ke baad sahil utha toh woh ekdum fresh tha. Lagta hai raw meat mere liye kisi energy drink jaisa kaam karta hai. Aur mujhe abh jayda sone ki v jarurat nahi pardhti hai.


Mujhe bahut acha feel ho raha hai. SAHIL apne bed se utha aur school jane ke liye ready v ho gya. Abhi tak uski sister aur mom uthe nahi the. Ek baat achi thi ki uski bhen JOYTI uski mom ko yeh nahi batati thi ke sahil raat raat bhar rehta hai. Vese v sahil aur JOYTI ik hi room mein sote the bss dono ke bed alag alag the.


Pakka uski bhen JOYTI uski battein chupanke ke badle jarur usse kuch mange gi toh sahi. Vaise yeh theek v tha woh apne bahi ki harkaton ko apni maa se chupati jo thi.


Kal raat SAHIL ne store se sirf apne liye meat hi nahi kharida tha usne ghar ke liye saman v khareed liya tha aur jisse poora ka poora fridge bhar gya tha.


Lekin agar mom ne poocha ke mujhe je sab kaise mila……toh mei bol doonga ke mein VISHAV ke sath store gya tha aur wahan par lottery chal rahi thi aur woh hum dono jeet gaye aur store se mein yeh saman le aeya. Haan jahi bahana hi sahi rahe ga kyunki pehle v mein yeh bahana mar chuka hoon aur mom ko shak v nahi huya tha.


Mein apni mom ke liye kuch v karoon ga unki koi toh chinta door ho. Aur kisi ko pata na chalne se pehle hi SAHIL ne apna bag uthaaeya aur chal diya.


Aur yeh sahi v tha kyunki agar uski mom uth gyi aur usse jayda sawal pooche toh woh pakrda ja sakta hai. Kyunki SAHIL jooth bolne mein ithna mahir nahi tha aur aise v apni mom ajj tak kon bach saka hai.


Ek toh mein abhi 18 ka huya hi hoon aur 10+2 mein hi hoon mujhe abhi job v nahi mil sakti na hi mein study mein acha hoon nahi mere pass koi skill hai.


Mujhe lagta hai mujhe KARN ki hi help leni hogi paise kamane mein kyunki woh hai jiski wajah se mein kal raat ko paise kama paeya tha. Aur abhu mere pass aur koi chara v nahi hai. Wohi hai jo meri madad kar sakta hai.


SAHIL ne apni vahi fav. Hoddie pehni huyi thi aur woh ja raha tha apne college ki aur. Use yeh v dar sata raha tha ke kahin underdog gang ke log use pakard na le kyunki ohno ne apni hunt jari rakhi hogi. Mujhe apna purana phone fenkna hoga ja toh mujhe ise jala dena paredega aur mein ise kisi jungle mein v fenk sakta hoon. Aur apne liye ek new phone khareed leta hoon.


SAHIL yeh sab sochta huya chala hi ja raha tha ke use jani pehchani ek lardki dikhi.


Meine is alrdki ko kahin toh dekha hai…..? Haan yeh toh vahi lardki hai jaise meine colour gang se bachaeya tha.


Lekin yeh ajj phir akeli hi kyun ja rahi hai. Iski uniform v meri uniform se milti hai toh pakka yeh mere hi college ki hai yeh kisi aur department ki hogi. Mujhe iske ass pass hi rehna hoga kahin yeh phirse kisi musibat mein na pardh jaye.


SAHIL phir us lardki se consistant doori banakar chalne lagta hai. Lekin kuch hi der baad lardki tez chalna shuru kar deti hai. Shaed use aabaaas ho gya ho ke koi uska peecha kar raha hai.


Dekhte hai mein kiya kar sakta hoon aur uske kitne kareeb pahunch sakta hoon.


[Charging Heart]


Skill activate hote hi SAHIL ke heart bahut tez beat hone lagta hai jaise woh bagh raha hoo lekin woh toh abhi kharda hi tha. Aur uski chest mein pain v hota hai jo kuch hi der mein theek hi jata hai. Lekin itne sab mein woh lardki SAHIL ke sahmne se ujhal ho jati hai. Skill activate hote hi sahil ki energy stats se 10 point minus ho jate hain.


Sahil tez chalne lagta hai par use lardki kahi dikhayi nahi de rahi thi. Ke uske dimag mein ata hai kyun na woh sahmne jo apartment hai uski pipes se upar chard jaye aur dekhe lardki kider hai.


Yeh karna pagalpan toh hai par pata nahi kyun mera dil kar raha hai ek var try kiya jaye.



Milte hai next update mein……….
 
Last edited:
Top