- 1,286
- 3,510
- 144
Update 25:- Eton High
Sahil abhi sirf level 2 par hi tha aur is level ki shaktiyon se Sahil ke pass kuch jayda karne ke raste kam the. Lekin abh uske pass aur v takatvar hone ka moka tha lekin uske liye use aur mehnat karni hogi apna level increase karna hoga. Isi lyi abhi use khud ki power ko secret hi rakhna hoga. Kyunki Underdog Gang aur jis company ka woh suitcase hoga shaed woh abhi v use dhoondh rahen honge aur uske kuch jayda hangama karne ki wajah se un sab ki nazar mein Sahil a sakta tha.
Class normal hi chal rahi thi. Bss kuch student Sahil se dur hokar bethe the kahi unhe v koi infection na ho jaye. Baki Sahil ne jo floor par khoon ki ulti ki thi woh saaf kar di gayi thi. Lekin Harsimran apni study mein concentrate nahi kar pa rahi thi kyunki Nandani uski tarf guurr kar dekhe ja rahi thi.
Akhirkar classes khatam huyi aur students chal deye apni club activities karne. Rugby club ke members v ground mein ikatha hone shuru ho gaye the. Lekin jab Barry aur Gill ne Sahil aur Vishu ko v field par dekha. Toh Gill bola lagta hai hamne jo ihne dhamkeya iska asar in chuzzoo par abhi tak nahi huya hai.
Lekin Barry chup tha kyunki uski kalayi abhi v dard kar rahi thi aur uske upar lal nishan tak pardh gaye the. Barry ko Sahil ki takat ka andaja ho gya tha aur usne soch liya tha ke woh abh Sahil se panga nahi lega.
Sir ki whistle baji aur training shuru ho gayi. Sahil newcomer tha toh sabhi purane khilardi Sahil ko jaanbuj kar target kar rahe the. Lekin Vishu wahi tha jo bar bar Sahil ko shant rehne ko bol raha tha.
Kafi samye ki mehnat ke baad training khatam huyi toh Mr. Vikas (sports teacher) ne bolna shuru kiya hamara pehla match agle hafte Eton High ke sath hai aur hame jeetna hai. Aur Sahil tum is team mein new ho toh dhiyan se khelna.
Mr. Vikas ke Sahil ko team mein shamil kanre kyi players Sahil ko strange look se dekh rahe the.
Eton High ki rugby team kuch jayda achi team nahi thi lekin Mr. Vikas ko bass is baat ki fikar thi kyunki Eton High ki team bahut hi rough kehlti hai..
Eton high ki team se bahut sari gangs unke payers ko recruit karti hai. Aur unki present team mein already hi kayi palyer kisi na kisi gang ka hisa the.
Agar Mr. Vikas keh rahe hai ki hame savdhan rehna hoga toh sahi hi hai. Ek lardke ne dusre larkde se kaha.
Jaise hi Mr. Vikas ki battein kahatm huyi. Team ka ek palyer Sahil ki taraf chal kar aeya.
Hey Sahil!!! Tumhari naak abh kaisi hai..? Yeh lardka koi aur nahi Rohit hi tha.
Yeah! Haan theek hai vaise v itni serious chot nahi thi. Sahil ne baat ko jaldi kahtam karne ki kohsis ki.
Rohit:- kiya tum mere sath apne ghar tak chalo ge..? Mujhe tumse kuch baat karni hai shaed yeh tumhare liye sahi ho.
Vishu:- acha toh theek hai tum dono battein karon. Aur Sahil ajj jo hamne baat ki uspar ache se sochna.
Itna keh kar Vishu chal diya apne ghar ki taraf. Vishu ka manna jahi tha ke Sahil ko Rugby team shordh deni chaheye. Kyunki uske liye jahi acha hai.
Sahil v vaise Rohit se kou baat karna nahi chahata tha lekin abh woh khud agge se baat karne aeya hai toh woh use manah v kaise kar sakta hai. Aur upar se college ki team ka best athlete tha. Aur rugby team ke baki members se easy Rohit se hi baat karna tha.
Sahil:- sure hum baat kar sakte hai.
Rohit aur Sahil dono chal parde…. Abhi woh gate se nikal hi rahe the ke Sahil ne dekha ke gate ke pass Karn kahrda hai. Aur jab Sahil uske sahmne se nikla toh Karn ne use halki c smile v di.
Lagta hai yeh Karn apni girlfriend ka wait kar raha hai.
Sahil aur Rohit ke waha se chale jane ke vaad v Karn gate ke pass hi kisi ka wait karte kharda raha. Ke tabhi kuchi der ke vaad wahan ek lardka aeya jisne dark blue colour ke kaprde pehne huye the.
Karn:- tumhe nahi lagta in kaprdo mein jahan ana thorda uncomfortable hai.?
Lardka:- haan lekin kiya pata mujhe kabh lardhna pardh jaye. Mere kaprdo ko shordhoo pehle toh mujhe paise do jo tumne mujhe dene ka promise kiya tha.
Lardke ke itna kehne ki hi der thi ke Karn ne apni jeb se paise nikale aur larkdi ki taraf phenk diye. Aur lrdke ne v use aasani se catch kar liya aur gin ne laga.
Lo abh toh mein apne vade ko pura kar diya Innu.
Karn:- meine tumhare vare mein kuch research ki hai. Tum pechle sal hi Eton High mein the. Lekin aisa kiya ho gya ke tume Eton High shoordh kar jaha ana parda… Karn ne yeh baat Innu se chalte chalte pocchi.
Innu ke face ko dekh kar hi kaha ja sakta tha. Ke kuch toh acha nahi huya hai Innu ke sath jo is sawal ko sunte hi uske expression thorde sad ho gye.
Milte hai abh next upadte mein aur dekhte hai kiya hai Innu ki story aur kiya battein hoti hai hamre Hero aur Rohit ke beech janne ke liye baane rahe kahani ke sath.
Aur haan guys please keep supporting…… apke comments aur apka interaction hi mujhe jaldi se jaldi next update dene mein protsahit kare ga.
Khush raho aaabaad raho.