Majedar updateUPDATE-20ansh ko giraftar karne ke liye police wale aage badhe,
Sneha- didi ye aap galat kr rhi ho
Rashi- tu yaha dushmano ke sath ghum rhi h, sahi galat tu btayegi
Sneha- didi wo gunde mujhe aur avni ko kidnap karne aaye the
Rashi- is nashedi ko ye khud mujhe bajaru lag rhi h
Sneha- rashi jaban samhal kr warna bhul jaungi tum meri badi bahan ho, ise nashe ki drink misha ne pilai roni ke sath milkr, iske sath galat harkat karne ke liye, aur tumhare so called pariwar ne mujhe kisi ko bech diya aur plan karke mera kidnap karwane ki koshish ki
Rashi- tu ghar chal yaha se
Seema- ye kahi nhi jayegi ye hi to gawahi degi yaha kya hua tha, ladkiyo ko fasa kr unke sath gandi harkat karte ho, apni hi bachhiyo ko bechte ho, ab banega case, arun jara cm ko call lagana, aur batao mantri sher singh ke pariwar ke log kya kr rhe hain,
Rashi- ye meri bahan h ye humare pariwar ki baat h, hum apne ghar me kr lenge
Seema- ye jab tak ghar me thi tab tak pariwar ki baat thi, lekin ab ye baat hum se jud chuki h aur tumne ansh ko hath laga kr ye baat aur badha di h, tum chalo ansh ko lekar police station me, hum bhi aa rhe hain wakeel lekar
Rashi ko ahsas ho gaya ki mamla bigad chukka h,
Rashi- abhi to main ise chod rhi hu, lekin jaldi hi ye mere hatte chadhega,
Riya - to tabhi aana miss rashi singh
Rashi ansh ko wahi chod kr chali gai, roni jo paid ke piche chipa tha wo bhi waha se bhag gaya,
Seema sabko lekar ghar aa gai, avni ko seema ji ne ek injection diya jisse uski halat me kuch sudhar hona shuru hua, sneha roye ja rhi thi,
Riya- mat ro mat ro hum h na main hu na, teri bahan h na ro mat
Sneha riya se lipat gai aur subakne lagi
Dono jivan me pheli bar mili thi lekin aisa lag rha tha jaise janmo se janti ho,
Avni ko jaise jaise hosh aaya to use party yaad aane lagi, thoda thoda yaad aa rha tha gundo se bach kr bhagna
Wo ek dum cillai sneha
Sneha aur riya uske pas pahuchi
Sneha- shant ho ja avni sab thi h hum thik h, hum safe hain
Riya- tum dono bilkul mat ghabrao yaha tumhe koi hath nhi laga sakta,
Seema- komal sabke liye coffee banao, mera dimag kharab ho rha h, ye sab ho kya rha h, koi apni bachhi ko kasie bech sakta h wo bhi sher singh uncle unse ye ummed nhi thi,
Sneha- unhone mujhe becha nhi h lekin itna pata h ki kisi ko de diya h aur mujhe kidnap karke uske pas pahucha rhe the taki kisi ko shak na ho main kaha chali gai
Karan- wo aisa kyo karenge tumhe koi galat fhemi hogi, wo tumhara pariwar h aisa nhi karenge
Seema- bachhi bol rhi h to jhut to nhi bol rhi hogi
Seema- riya tum dono ladkiyo ko apne room me le jao aur rest karo, main kuch khane ke liye bhijwati hu,
Sabhi ka mood kharab ho rakha tha, seema soniya komal nandani, sab gusse me apne apne patiyo ko dekh rhi thi, amar ne apne liye aaj kuch ijjat kama li thi,
Seema- tum logo me jara bhi sharam bachi hui h,
Karan- aisa kya kr diya humne
Seema- kya kar diya ek bahar ka bachha humare liye lad rha tha aur aap log waha tamasha dekh rhe the,
Karan- wo hamare liye nhi un ladkiyo ke liye lad rha tha, aur uska kaam hi ye h ladai karna humara kaam nhi h ladai karna
Seema- agar un ladkiyo ki jagah humari betiya hoti tab bhi ye hi karte tum sab
Soniya- ye to us din bhi aise hi dare baithe the jis din Abhi waha dushmano se lad rha tha,
Suman bua- tum sab is baat per lad rhe ho, asali problem ye h ki wo ladki sher singh chacha ki poti h, wo log uske liye aayenge, aur ye dusri ladki iske piche itne gunde the to wo dubara aayege
Karan- ab ye madam ji hi batayengi kya karna h, ye waha heroin ban gai thi na, ab samhalengi
Tabhi bahar se chokidar dod kr aaya,
Malik malik bahar 20-25 gadiya aai hain sabhi me aadmi bhare hue hai,
Karan- ye lo aa gaye ab yaha pita ji bhi nhi h baat ko samhalne ke liye, ab kya karogi
Seema- main jhukungi to nhi
Kapil fufa- tum sabko marwaogi bhabhi
Amar- hum inhe rokenge kaise
Soniya- tum logo me himmat na ho to mere kapde pahan kr ander baith jao, hum dono bahan mil kr rok lengi inhe, aao seema di
Sabhi soniya ka muh dekhte reh gaye, seema aur soniya cal di bahar ko,
Baki pariwar bhi piche chal diya, bachhe sab apne kamro me the, lekin bahar gadiyo ke horn ki aawaj sabko aa gai thi, to wo bhi utar aaye,
Sher singh- meri poti mujhe wapas de do bhaiya
Tabhi seema aai
Seema- chacha ji pita ji yaha nhi h, aur wo ladki apni marji se yaha aai h,
Sher singh- seema beta mujhe majbur mat karo kuch bhi karne se, bhaiya yaha h nhi to main kuch karna nhi chahta
Karan- kuch karne ki jarurat nhi h aapki poti h aap le jaiye
Sher singh- shabash beta
Seema- maine kaha
Sher singh- karan teri to bilkul ijjat nhi h,
Karan- seema maine kaha na chup raho bas
Waha bahut sare log the pariwar ki ijjat rakhne ke liye seema chup ho gai, sneha jo sabke piche chupi thi
Riya- wo nhi jayegi
Karan- beta maine kaha na ek bar, tu apne pita ki baat kategi
Riya- aap bhagwaan to nhi ho, agar bhagwaan bhi mujhe kahe to bhi main sneha ko na jane du
Sher singh- bachhi tu mujhe janti nhi h shayad main kya kar sakta hu
Riya- aap shayad mujhe nhi jante
Sher singh ne aage badh kr sneha ka hath pakad liya aur khichne laga,
Riya- aap jo bhi hain main aapko last warning de rhi hu hath chodiye uska warna ye yaha khade kisi ke liye bhi achha nhi hoga
Pura pariwar hairat se riya ko dekh rha tha, riya bhadur to thi lekin aise kisi se takrane ki himmat kabhi kisi ne nhi dekhi thi,
Karan- riya maine kaha chup ho ja
Riya- khamosh, ek dum khamosh
Sher singh- hahahahhahaa ye hi ijjat h teri karan
Karan- aap le jaiye ladki ko
Sneha – nhi mujhe nhi jana mujhe chod do
Riya- aapne mujhe majbur kr diya hain mr. sher singh rana,
Sher singh- kya kr legi tu
Riya- main kuch nhi karungi wo karega,
Riya ne ek jor dar awaj lagai, anshhhhhhhhhhhhhhhh
Tabhi ansh bheed ko chirta hua samne aaya, wo bahut der se dur khada tamasha dekh rha tha, pariwar ka mamla tha to wo bola nhi lekin riya ki aawaj per wo turant aa gaya
Riya- sneha aur avni yaha se jana nhi chahti aur main khud nhi chahti wo yaha se jaye, ab ye tumhe dekhna h inme se koi inhe hath na laga de,
Ansh bas muskuraya,
Ansh ghuma aur shersingh ka hath pakad liya, shersingh ne agale hi pal sneha ka hath chod diya, aur apna hath pakad liya aur dard se aaahhee bharne laga,
Ansh- agar jinda rhena chahte ho to lot jao yaha se warna kasam ganga maiya ki, ek ek ko chir ke rakh dunga,
Ansh ki lalkar se waha dhesaht si fail gai,
Shersingh- ye tu thik nhi kr rha ladke
Ansh- ek baat aur bata du, ab tak maine jise bhi mara h use jaan se marne ke liye nhi mara, lekin aaj vachan de rha hu jisko marunga jaan se maar dunga, agar visvas na ho to aa jao samne
Ansh ki takat ke bare me sab jaante the,
Sher singh- karan ye faisla pure pariwar ko bhari padega, main police lekar aaunga
Seema- ladki balig h aur wo apni marji se yaha h, aur agar bachhi ne bayan de diya ki aap log uska kidnap karwa kr kisi ke pas bechne wale the to ye jo ministry lekar ghum rhe ho na wo bhi jati rhegi,
Ab sher singh backfoot per aa gaya tha, use samjh aa gaya ki mamla bigad chukka h,
Sher singh- ab to main ja rha hu lekin ab ye dushmani tum sab per bhari padne wali h,
Sher singh waha se apna kafila lekar chala gaya, pura pariwar ander aa gaya
Karan ne aage badh kr ansh ki girwan pakad li- tu yaha hume marwane aaya h, kon h tu teri aukaat hi kya h jo tune unhe itni bdi baat bol di, najayaj kahi ka, pata nhi kiska ganda khoon h
Riya- papa jaban samhal kr.
Karan- tum logo ki wajah se pura pariwar tabah ho jayega, aur is najayaaj ki wajah se sab barbaad ho jayega,
Ansh- malik bar bar mujhe wo shabad mat boliye
Karan- kyo na bolu tu hi najayaj teri hesiyat hi kya h nokar h tu yaha tu khud ko ghar ka malik samjhne laga h,
Ansh- main aisa kuch nhi samjhta
Karan- mujhse jaban ladata h, karan singh ne aage badh kr ansh per hath uthaya,
Lekin bich me pas me khadi riya aa gai aur thapad riya ko lag gaya, riya ko thapad lagte hi ansh ki aankho me khoon utar aaya,
Ansh ne karan singh ki garden pakad kr upper utha liya,
Sab ek dum dar gaye, sab ansh se karan ko chudane bhage,
Seema- ansh ruk ja ruk ja chod de chode
Lekin ansh kisi ki baat kaha sunne wala tha, tabhi avni aa gai, ek side avni thi dusri side riya, dono ne ek sath kaha chod do unhe
Ansh ne ek dum hath khol diya aur karan singh niche gir pada, wo hafne laga,
Karan- nikal ja is gahr se nikal ja
Seema- wo kahi nhi jayega
Karan- agar wo nhi gaya to main apni jaan de dunga,
Kamal- main bhi is ghar me nhi rahunga ise jana hoga isne bade papa ki insult ki h
Kapil fufa- ye to bardast nhi kiya ja sakta
Anju- aise to ye jab chahe jiske sath chahe batamiji krta rhega
Karan- seema tujhe isme se ya mujhme se kisi ek ko chunna hoga
Seema- agar aisi baat h to main ansh ko chunti hu jisko jo karna h kar lo
Karan- thik h to main apni jaan de deta hu
Roshni- papa ye kya kar rhe hain aap, maa aisa kyo bol rhi ho kisi bahar wale ke liye aap papa ko marne de rhi ho,
Kapil fufa- ye bahahr wala itna jaruri ho gaya h, humari to koi ijjat hi nhi rhi, suman chalo yaha se ab hum yaha nhi rukenge,
Anju- chalo papa
Ansh- kisi ko kahi jane ki jarurat nhi h, meri wajah se pariwar ko mat todo, main chala jata hu
Nandnai- nhi nhi tum kahi nhi jaogi
Kamal- tujhe iski itni fikar kyo ho rhi h
Nandani- kyo ki ye
Kamal- ha ye kya
Nandani- ye ye ye
Nandani chup ho gai, ansh ne use dekha aur shant rhene ka ishara kiya,
Riya- main bol rhi hu ansh kahi nhi jayega,
Karan- to apne pita ko kho de
Ansh- choti malkin aap chinta mat karo maine bade malik ko aapki suraksha ka wada kiya h, to main kahi dur nhi jaunga lekin is ghar se to jana hoga, halat ko samjhiye
Avni aur sneha ro rhi thi, ye unka ghar nhi tha to wo kuch bol nhi skti thi,
Avni- main aapke sath chalungi,
Sneha- main bhi
Riya- aur main bhi
Karan- tum sab pagal ho gaye ho jo is najayaj ke liye apne pariwar ko chodne ko teyar ho, iske na koi aage h na piche
Ansh- malik main ja rha hu, lekin ek baat samjha rha hu aapko aaj ke baad dubaara agar mujhe wo shabad bola to main bhul jaunga aap kon hain, ek pal bhi nhi lagegi mujhe is gardar ko ukhadne me,
Karan singh dar gaya,
Kamal- dekha dekha kaise jaan se marne ki dhamki de rha h,
Kapil fufa- nikal ja yaha se warna goli mar dunga,
Ansh chal diya bahar ki taraf, sabhi aurto ki aankho me aansu the. Avni aur sneha sath chal di thi, kyoki unhe rokne wala kon tha, lekin riya ko seema ji ne gale se laga liya
Seema- beta tu mat ja warna main nhi bachungi,
Ansh- aap yahi rukiye, aur aap dono bhi yaha surakshit hain
Avni- hum aapke sath surakshit hain h yaha log apni khud ki suraksha nhi kr sakte humari kya karenge,
Karan- ha ha chali jao tum dono bhi dekhta hu bahar tumhe kon bachata h, ye do kodi ka aadmi tumhe kya khilayega
Ragani- bahut hi gusse me jor chillai
Bas bahut ho gaya, chup ho jao sab ek dum chup,
Sab ek dum shant ho gaye the, aaj bahut time baad ragani ko gussa aaya tha, uske is roop se pura ghar dar gaya
Seema- shant ho ja choti shant ho ja
Ragani- didi ab tak main shant hi hu lekin agar ye sab chup nhi hue to main apna aapa kho baithungi,
Seema- sab chup rho koi kuch nhi bolega
Ragani- ansh ko pita ji ne yaha rakha tha, aur jab tak pita ji nhi aajate tab tak wo yahi rhega, agar kisi ko problem h to turant apna saman uthao aur nikal jao yaha se, aur kisi ko pita ji ke aadesh ka ulanghan karna h to samne aa jao
Ragani ki baat sunte hi sabse pahale kapil fufa piche ho liye,
Karan- ragani ye galat h
Ragani- galat sahi ka faisla pita ji ke aane ke baad hoga,
Nandani- ansh ka yaha rhena bahut jaruri h
Kamal- tum chup hi rho na bade baat kr rhe hain
Nandani- tum chup rho aur apni aayashi per dhayan do pariwar ki jimmedariya agar samhal nhi sakte to bich me bola bhi mat karo,
Humare ghar per ek musibat aane wali h jaldi hi, agar ansh yaha nhi hua to pariwar ke liye thik nhi hoga, main choti hu isliye salah de sakti hu faisla aap bado ko hi karna h lekin musibat badi h
Karan- kaisi musibat
Nandani- pheli to ye ki is ghar ka koi sadashya dushmano se mila hua h, aur dusra is ghar ka purana dushaman isi shahar me ghum rha h,
Seema- nanadu main tujhse is bare me baad me baat karungi, aur faisla ho gaya ki jab tak pita ji nhi aate ansh kahi nhi jayega, ab sab apne apne room jao sab,
Sari ladkiya turant waha se khisak gai, riya sneha aur avni ko apne room me le gai, sudha aur unke pati bhi nikal liye, kapil fufa sabse phele khiske,
Arun- soniya chalo
Soniya- mere sath chalne ka adhikar aap kho chuke ho jao apne kamre me,
Arun- soniya ye kya batamiji h
Soniya- batamiji ki baat to karo hi mat kyoki wo to maine abhi shuru hi nhi ki, lekin agar kr di to bada drama ho jayega,
Arun gusse me chala gaya, kamal ne gusse me nandani ko dekha, nandani ne use ignor kr diya, kunal ne komal ko dekha, komal gusse me thi lekin apne room me chali gai,
Ab waha karan seema ragani soniya aur nandani khade the,
Karan- tum logo ne jo aaj kiya h uska parinaam achha nhi hoga tum sabko bhugtna padega,
Seema- hum teyar hain bhugat lenge
Karan- aaj se main tujhse apna rishta todta hu aaj se main tujhe apni patni nhi manta
Seema- patni ka adhikar to mere pas phele bhi nhi tha aur tumhare ye sab bakwas ka mujh pe rkoi asar nhi h, main khud tumhe apna pati nhi manti
Karan- fir yaha kyo ho nikal jao is ghar se ye ghar mera h
Seema- kiska ghar h tumhara hahahhaah ye galat fhemi nikal do apne dimag se, aur mujhe yaha rhena h ya nhi wo faisla bhi pita ji karenge,
Karan ghar se bahr chal diya
Seema- ye bata do wapas aaoge ya nhi, agar aana to niche wale kamre me let jana tumhara saman wahi milega, mere room me ghusne ki koshish bhi mat karna,
Karan gusse me dekhta hua chala gaya,
Karan ke jaate hi seema apna matha pakad kr baith gai,
Ragani- didi sab thik ho jayega
Seema- tu shant h na tujhe to gussa nhi aa rha na
Ragani- main shant hu bas sabko shant karne ke liye gussa kiya tha,
Soniya- bade sahi samay per kiya gussa,
Seema- tu kya bol rhi thi nandani
Nandani- badi maa is ghar ka koi member kisi bahar wale se juda hua h
Seema- kon kisse juda hua h
Nandnai- maine kafi bar kisi ko chup chup kr piche ki boundry wall ke pas jate dekha h, main phechan to nhi pai aaj tak lekin koi bahar se bhi aata h,
Seema- tune ye baat phele kyo nhi batai
Nandani- maine phele kabhi is trha se socha hi nhi
Soniya- aur kon dushman aa gaya h yaha
Nandani- thakur bhanu pratap ke pariwar me se
Soniya- ye kon h
Seema- tum kaise janti ho unhe
Nandani- badi maa main kya janti hu ye jaruri nhi h, unka yaha aana kitna khatarnaak h ye sochna jaruri h,
Soniya- kon h ye bhanu pratap didi, humari kya dushmani usse
Seema- mujhe nhi pata ki kis wajah se ye sab hua tha lekin itna pata h 40 saal phele pita ji ne ek aisa kand kiya tha jisse pura ilaka dahal utha tha, aur ye Madhya pardesh ke shahi pariwar se hain inse dushmani ho gai thi,
Soniya- aisa kya kiya tha unhone
Seema- pita ji ne mana kiya tha kisi ko pata na chale lekin halat aise h to bata rhi hu, sonit ka naam karan tha us din, aur yaha bahut se mhemaan aaye hue the, usme pita ji ke dost tahkur bhanu pratap bhi aaye hue the, aur unke kuch desi videshi dost bhi the, us din aisa kya hua kisi ko nhi pata lekin pita ji ne bhanu pratap sahit 17 aadmiyo ko maar diya tha,
Soniya aur ragani- kya, nhi aisa nhi ho sakta,
Seema- maine bas ye hi suna h is bare me, aur pure ilake me hadkamp mach gaya tha, bahut mushkil se mamla samhala gaya tha,
Nandani- 17 nhi 18 log mare the us din
Seema- nhi 17 mare the mere papa ne btaya tha us din wo wahi the function me
Nandani- nhi badi maa 18 the uske bare me sabse chupa diya gaya tha, kisi ko kuch nhi btaya gaya, uska astitav hi mita diya gaya tha,
Seema- tum kaise janti ho ye sab tumhe kisne btaya,
Nandani- ye sahi waqt nhi h ye sab janne ka, ab waqt h unhe rokne ka agar wo 40 saal baad aaye hain to kyo kisne bulaya, aur wo humare pariwar ki nigrani kyo kr rhe hain,
Seema- ye khatarnaak ho sakta h
Soniya- didi hume kuch karna hoga
Nandani- ansh rok sakta h bas, aur koi nhi
Seema- hum usper bahut jimmedari dalte ja rhe hain,
Nandani- humara adhikar h
Seema- adhikar kaisa adhikar
Nandani- ansh se baat kijiye badi maa
Seema- is waqt uska man bahut dukhi hoga is waqt baat karna thik nhi h
Ragani- is waqt use kisi apne ki jarurat h, jo uske man ko shant kr sake, aaj bahut kuch ho gaya h,
Soniya- didi mera dimag to kuch aur hi soch kr fata ja rha h,
Seema- kis bare me
Soniya- aapne kuch notice kiya, jab ansh ko koi kuch kheta h to riya use marne tak teyar ho rhi h aur ansh riya ki ek line bolne se phele kisi ka gala tak katne ko teyar ho jata h, aaj karan bhai sahib ki to garden hi tod di thi jabki unka hath galti se laga tha, aur wo dono ladkiya to jaise ansh ke piche hi ghum rhi hain agar ansh yaha nhi to wo yaha nhi jabki wo to shayad thik se janti bhi nhi use,
Inka ek dusre se kya connection ho sakta h, riya bhi dono ladkiyo ko apne pas rakh rhi h, isse phele usne kisi bahar ki ladki se thik se baat tak nhi ki,
Ragani- baat sochne wali h,
Seema- isme bahut jhamela h, inka connection hi jodne ki koshish kr rhi hu main kab se, tumne to ye hi dekha h maine to aur bhi bahut kuch dekha h,
Soniya- aisa kya dekha
Seema- tumne notice kiya riya gusse me ganga maiya ki kasam bolti h, agar usse maiya word ka matlab puchoge to use pata hi nhi hoga, aur ansh bhi isi word ka istemal karta h,
Ragani- riya per ansh ka asar jyada h isliye wo ansh jaise shabdo ka istemal karne lagi hogi
Seema- chalo maan leti hu, lekin us ladki avni ko dekha h tume,
Soniya- ha bahut khubsurat h
Seema- jakar uske sir me aur uski kamar per dekhna choto ke nishan honge
Ragani- kaise kisne mara use
Seema- kisi ne nhi
Soniya- fir
Seema- aaj ki ladai me ansh ko kuch jagah chot lagi thi
Ragani- ha lagi to thi
Seema- to jaha jaha ansh ko chot lagi hogi avni ko bhi wahi nishan honge
Soniya- hahahaha kuch bhi bol rhi ho aap aisa thodena hota h
Seema- aisa hi h maine khud dekha h, jis din ansh ke hath me chot lagi thi agale din avni ke hath me wahi nishan tha, tumhe yakeen nhi h to aao mere sath
Charo chal di riya ke room me
Waha tino baithi thi, snheha ko dilasa de rhi thi riya aur avni,
Seema- bachho tum thik ho na
Riya- maa ye sab kya ho rha h, humare ghar ko kiski najar lag gai,
Seema- chinta mat kr bachhi sab thik ho jayega bas pita ji jaldi hi aa jayenge sab thik ho jayega,
Soniya ki najar avni per hi thi, wo usko charo taraf se dekh rhi thi,
Seema- avni beta tumhare sir per nishan thik h ab
Avni- ha aunty wo to 24 ghante me hi thik ho jate hain
Seema- lekin aaj koi naye nishan to nhi bane
Avni- pata nhi maine dhayan nhi diya
Seema- apna kurta upper kr jara
Avni- ji
Seema- are kr na hum sab teri maa ki trha hi h sab apne hi pariwar ke log hain
Avni ne sharmate hue kurta upper kiya to uski kamar per bahut se nishan the aisa lag rha tha jaise puri kamar khoon se lal ho rakhi h, koi kat ka nishan nhi tha, bas lal lal nishan ho rakhe the,
Sab dekh kr ghabra gaye
Ragani- didi ye to bahut sare hain bahut takleef ho rhi hogi ise
Avni- nhi aunty mujhe dard nhi hota bas aise kal tak thik ho jayenge
Ragini- hume inka test karna chahiye
Seema- main kr chuki hu sab normal h,
Chalo tum log aaram karo, main khane ke liye bula lungi ya man kare to yahi kha lena, main bhijwa dungi
Fir seema soniya ragini aur nanadani niche aa gai,
Soniya- didi ye sab kaise ye kya h meri to kuch samjh nhi aaya
Seema- ab aao mere sath,
Fir wo log pahuche ansh ke room me jo bed per t shirt nikal kr leta tha, uski kamar khoon se lat path thi, uski kamar per bahut se chaku ke nishan the, aur ye nishan waise hi the jaise avni ki kamar per the, bas yaha kat lage hue the avni ki kamar per kat nhi the,
Ansh ki khoon se lathpath kamar dekh kr charo ki aankho me aansu aa gaye,
Ragini- ye ladka humare liye khud ki jaan ki bhi parwah nhi krta kisi ne ye bhi nhi dekha isko kitni chot lagi h, kitne nirdai ho gaye h hum sab
Seema- nandnai jaldi se first aid box lekar aa,
Nandnai dod kr chali gai,
Seema ne ansh ke sir per hath fera, ansh chonk kr uth gya,
Ansh- maa ji aap yaha koi problem h kya
Seema- nhi beta koi problem nhi h tu aaram kr hum bas dekhne aaye the, tum aise hi lete rho main tere jakhmo per patti bandh deti hu
Ansh- iski jarurat nhi h maa ji jaldi hi thik ho jayenge
Seema- maa bolta h aur maa ki baat nhi manta
Ansh- sry jaisa aapko thik lage kijiye,
Nandnai aa gai aur seema ji ne uski marham patti kr di,
Ghar ka mahol bada ajeeb aur tension wala tha, twaise to sabhi party me se khana kha kr aaye the, fir bhi komal aur nandnai ne mil kr thoda thoda khana bana diya, aaj komal aur nandnai khud khana lekar gai ansh ke room me , aur dono ne samne baith kr ek sath ansh ko khana khilaya
Komal- maaf kr do ansh humare patiyo ki harkat ki wajah se
Ansh- koi baat nhi bhabhi maine to bachpan se jalalat jheli h ab aadat pad gai h
Nandani- mujhe umeed h jaldi hi ye sab khatam hoga mera dil bol rha sab kuch badalne wala h,
Ansh ne nandnai ki taraf dekha, nandani ne baad me aane ka ishara kiya aur waha se chali gai,
Thanku so much dearRiya ji firse Welcome..
Apki tabiyat ki bare me Jan kar bahot dukh hua please apki sehat ka khayal rakhiye ..App sahi salamat to story zindabad..
Thanku jiNice and fantastic update riya ji
Bahut bahut dhanyawad jiJabardast update
Kamini ko hosh aa gya aur usne bta bhi diya unko kaid kerne wala Manoj hi hai aur suru se leker ab tak ajeet ke sath hi tha aur to aur wo aurat kaun jisse ansh ne bataya wo bahut takatwar bhi hai jisse sher singh bhi derte the ........
Aur ab yaha murtiyon ke pass wo hathiyar waale kaise pahuch gaye ,unhe kaise pata chala aur kisne batya un sabko ,ki moortiya mil gayi hai ........
Aur moortiyon me pass to 2 hi ladki hai ek Rashi aur dusri rajjo to goli inhi dono me se kisi ek ko lagi hogi ........
Ab tak teen logo ka pta nhi chala hai 1 Rakshas ka
Aur 2 aurato ka
Thanku jiJabardast update
Bahut bahut dhanyawad jiKyamt ho yar tum kya likha he ab es kahani me maja aane laga he
सुपर से ऊपर रिया जी बहुत खूब मजा आ गया अपडेट को पढ़कर आपकी तबीयत के लिए भगवान से प्रार्थना करते हैं आप स्वस्थ और मस्त रहें यही कामना है कहानी बहुत अच्छी चल रही है ऐसे ही हम सब का मनोरंजन करवाते रहिये बहुत-बहुत धन्यवाद देखते हैं आगे होता है क्या ऐसी कहानी बहुत मुश्किल से ही मिलती है एक शानदार अपडेट और शानदार कहानी लिखने के लिए बहुत-बहुत शुक्रिया आपके मंगलमय ए स्वास्थ्य की कामना करते हैं थैंक यू डियर रिया डार्लिंग