- 6,186
- 48,563
- 219
Update 48
Agle din Sunil – Ruby se saare documents le ke chala gaya Mumbai – uska
migration certificate lene ke liye – pehle to principal ne mana kar diya –
lekin jab – Sunil ne Sagar aur – Suman ke bare mein bataya – to sharamsar
hoke maan gaya aur transfer certificate de diya –
agar Ruby use bolti to shayad ek baar vo Raman se milne ki koshish karta ---
par Ruby ne aisa kuch nahi bola aur Sunil ke dil mein Samar aur Raman ke
liye sirf aag hi thi vo undono se bilkul nahi milna chahta tha.
Uska ek purana dost Delhi se Mumbai migrate hua tha paarivarik karnon ki
vajah se – usne Sunil ko Principal ke office se bahar nikalta hua dekh liya.
Kyunki is kirdaar ki bhumika sirf yahin hai use ek Vikki ka naam de raha hun.
‘Suuuuuuunnnnnnillllllll’ vo bade jor se chillaya jab usne Sunil ko Principal ke
office se bahar nikalte hue dekha .
Jaise barson ke bichde milte hain vaise hi vo dono mile.
‘Suna yaar kaisa hai – koi patayi ya nahi – ya abhi tak haath se kaam chala
raha hai’- Vikki bola.
Sunil ka chehra ek dam sakt ho gaya – usne aaj tak muth nahi maari thi.
‘oh samjha Pitahmah ka dusra janam hai tu ----- laanat hai yaar – ladkiyaan
jaan deti hai tuj pe aur tu bas kitaben’
‘dad nahi rahe….’ Sunil ne topic badalne ki koshish kari kyunki Vikki Sagar se
mil chukka tha aur Sagar bhi Vikki ko pasand karta tha.
Fat se Sunil ke gallon pe ek chanta pada –
vikki aag babula ho gaya – Sagar ke antim darshan bhi na kar saka –
‘Kamine kutte – ek call --- 2 rupye ki ek call nahi kar sakta tha – Sir chale
gaye ---- kaisa dost hai tu – sale sms hi kar deta….’
Sunil ki ankhon mein ansu the aur Vikki ke bhi – ab Sunil use kya batata kya
hua aur kya haalat the .
Dono khamoshi se ansu bahate rahe.
Tabhi Vikki bola – ‘yaar tujhe to pata nahi hoga - tere cousin Raman ko kisi
ne buri tarha se mara hai aur uske dad – yeah tere mosa lapata hain ‘
Sunil ka koi interest nahi tha ye janne mein ki Raman ke saath kya ho raha
hai aur Samar ke saath kya
Usne baat badalne ki koshish kari – yaar meri sham ki flight hai aur ye
papers jama karne bahut jaruri hain – fir aata hun raat ko check karne kya
hua.
Itna bevkuf to Vikki bhi nahi tha ke ye na samjhe ke dono cousins ke beech
nahi banti – varna agar aapas mein pyaar hota to Sunil sab kuch chhod
Raman ke pass jata.
Vikki seedha matlab pe aata hua bola – yaar teri madad chahiye –
‘kya ? main yahan kya kar sakta hun ?’
Raman Sir ne training department ki extra duty le li hai jab ki vo MD bhi
kar rahe hain ( no relation with facts – just a fiction) (asal mein ye Vikki ki
chal thi - Vajah uske liye Sagar tha -- vo to bas do bichde hue ko ek baar
milana chahta tha ---asliyat use kahan maalum thi)
‘Yaar ek baar hospital chal aur mujhe introduce karva de – number ban
jayenge bhai’
Raman samne hoga to vo kya kar baithega ye soch Sunil ki haalat kharab
hone lagi – par ek time Vikki ne Sunil ki bahut badi madad kari thi --- Sunil
na nahi kar paya aur Vikki ke saath chala gaya ---
Hospital pahuch ke dekha ke Raman ki haalat bahut kharab hai – ek laawaris
ki tarha --- Raman sach bol nahi sakta tha ke baap ne hi maara hai – isliye
sab bardasht kar raha tha – jo bhi uske saath ho raha tha—
jaise hi Raman ne Sunil ko dekha uski murjhayi ankhon mein chamak aa gayi
ek jariya mil gaya tha use Ruby tak pahunchne ka…. Lekin Sunil ki pathrili
ankhon se dar bhi gaya tha.
______________________________