update 8
raj ka mann vicharo se bhra huwa tha. raj kabi tej chalta hai kabi bhagne lagta ha. renuka jis roop me saamne ai thi. raj ascharyachakit tha. renuka ki baaten, renuka ki bolti ankhen, kuch suljhi uljhi guthiyan?.
raj mann me. raj tu khud ko bda buddhiman samjhta ha. pr renuka ji ne tuje 0 sabit kr dia.
firse bhagne lagta ha. subha hone se pahle raj haveli se door bohut door chale jana chahta tha.
subha hone me adha ghanta rahta tha halki roshni akash me fel gayee thi
raj ek kachi sadak se gujar rha tha peeche se koi motorcycle ki awaj sunta ha raj mud ke dekhta ha side chalne lagta ha
par motorcycle ki roshni se raj ko laga koi piyakkad ha sala roshni se raj ne anuman lagaya tha
raj sadak se utar gaya kahi piyakkad usay thok na de motorcycle wala koi 25 varsya jawan laga raj ko raj ne ghor se dekha usne raj ko nhi dekha motorcycle tezi se dol rhi thi raj hairan huwa tha yaha raj akela tha fir bi motorcycle wale ne usay nhi dekha tha
kuch aage ja ke motorcycle kache se utar khet me ja gira. raj aur shocked huwa raj ko laga kuch to gadbad ha motorcycle wale ke sath
raj bhag ke uske pass jata ha dekhta ha to motorcycle wala khet me gira pada ha jawan ki ankhio me anshu thy
raj apna sar khujane lagta ha kuch bhi uski samjh me nhi aa raha tha. woh jawan ko ab dekhta ha raj ko dekh kuch nhi bolta pada rahta ha
raj uske pass beth jata ha
raj. kya baat ha bhai tum ro kyu rahe ho
jawan raj ko dekhta to ha pr bolta kuch nhi
raj us ka hath pakad ke bitha deta ha
tabhi us jawan ko raj ki potli dikhti ha. motorcycle gitne se roshni raj pe jyada thi
jawan ko andaja ho gya potli me currency note han jhapat ke potli raj se chheen ke bhag pada motorcycle bi lena bhul gya
raj hakka bakka rah jata ha fr uth ke uske peeche bhaag padta ha jawan badi teji se bhagta ha pr sambhal nhi pata thokar kha ke gir jata ha. uthta ha fir bhagne lagta ha raj uske paas pohnch ke uska hath pakad leta ha jawan ki mansik stithi aisi hone lagi paison ke liye usay raj ka khoon bhi karna pade to peeche nhi hatega
raj ko kick marta ha fir ladne lagta ha raj pahle se ghayal tha par sahnshakti me kamal ka tha raj usay dard jyada nhi huwa
pr raj ko gusa aany laga woh kuch samjh nhi pa raha tha
raj ko laga woh pit ta rha to aur jyada ghayal ho sakta ha fir kahi door nhi ja payega
raj ne uski kalai pakad ke jhatka dia jawan bilbila utha potli gir padi karahne laga potli gir padi
raj ne kalai chhodi aur potli utha li tabi jawan raj ke pairon se lipat gaya
jawan. ye potli muje de de nhi to meri lali barbad ho jayegi maa mar jayegi ye paise muje de do meri motorcycle le lo tum
raj ke pairon se lipat ke ab ke phoot phoot ke rone laga
raj ko bada jhatka lagta ha laali kon thi wo samjh sakta tha
bimla ke shabd raj ke kano me goonjte han. bimla. pta ha raj maa ne mene bi din bhar rat ko bi kuch nhi khaya pani bi nhi pia.
raj. laali tumhari bahan ha na
jawan. haan laali meri bahan ha meri jaan ha meri beti ha. bhai hon pr pita ban ke pala ha mene lali ko
raj neeche beth gya potli usay thamata huwa bola. muje sab batav bhai baat kya huwi
jawan ab ke hairan hoa. pr khush ho jata ha. main shahar gya tha raat waha se udhar paise leke ganv ana tha muje aaj pr uchakko ne meri jeb kaat li
rota huwa kati pocket dikhata ha
raj. laali kyu barbad ho jayegi aap ne bataya nhi
jawan. zameendar se paise liye thy pita ji ne byaj pe pr pita ji ko sanp ne kaat lia pita ji gujar gay byaj badhta gaya mai shahar naukri karne laga. salary achi ha ghar chalana to sambhav ha pr abi byaj ke paise chukana asambhav ha. wo kameena zameendar tharki ha. meri lali pe gandi nigah rakhta ha. peeche pada huwa ha kahta ha paise lautao ya fir laali se shadi--
raj ko bimla ratna ek haste khilkhilate chahre dikhai dene lagte han. kamla dikhati ha. jo sab ke samne raj ko marti ha band kamre me raj ko gale se laga ke roti ha. raj ke bhuki rahti ha kamla bimla ratna raj ke liye roti ha saza bhogti han
raj ki ankhon me anshu a jate han
raj ko dikhai deta ha bimla ratna haveli ke badi umra ke naukaro ke sath mandap me fere lete huwe
raj. nhi mai aisa kabi nhi hone dunga. meri bimla meri ratna ki shadi kisi naukar se nhi hogi
jawan raj ko hairat se dekhta ha. fir sab samjh jata ha. roshni teji se felne lagi thi.
fir raj ko yad ata ha renuka ne kaha tha. ye paise tere kam aayen gy. tu janma tu harami ha. tujhe mahaan banke lautna ha.
raj ka dimag kahne laga paise de ke woh khali hath rah jaay ga. dil bolne laga kudrat tuje avsar de rahi ha mahaan banne ka. haveli me teri do bahno ka bhavishya ban jae ga tu ek yahan ek bhai ki bahan ka bhavishya banayega to.
raj hosh me a gaya. chal uth mere bhai maa aur lali intejar kr rahi hongi
jawan raj dono uth khade huwe jawan ja ke motorcyle le aaya raj uske peeche beth gya
jawan. mera nam ajay ha
raj ne apna sahi nam batane wala tha. fir kuch soch ke arun nam bata deta ha
raj. mera naam arun ha
ajay. mene kabi kisi se pese nhi liye. apni lali ke liye mai kuch bhi kar sakta hon. pr kisi ki jan nhi le sakta. muje shama karna arun mai hosh me nhi tha.
raj. koi bat nhi bhai. mai bi do bahno ka bhai ho
ajay. tab fir ek bhai ke dard ko prem ko chinta ko tu ache se samjh sakta ha
raj. haan
ab ke ajay pure hosh ke sath motorcycle chala raha tha
haveli se 40km door tha ajay ka ganv MAIN abadi se hatke tha
raj ajay ke ghar ja pohncha ajay raj ko ghar me le jana chahta tha
raj. nhi tum muje alag rakho
ajay. nhi tum bhi mere bhai ho. lali ke sach bhai bane ho tum. tum nhi jante ho arun. lali mann ki kitni sundar ha. masoom hai, usay pata chale ga mai tuje ghar me na la ke kahin aur chhod aya hon wo naraj ho jayegi
raj. tu usay mere pass le ana aur maa ko bi. ghar me mahman honge muje sab se door rakh mere ghav dekh meri kahani tu nhi janta na abhi
ajay ab ke raj ko ghor se dekhta ha. shama karna mai apni chinta me tuje dhayam me rakhna bhul gya.
raj ke kahne pe ajay raj ko apne ek dost ki baithak me le jata ha. dost ka nam rajesh tha. rajesh svabhav ka acha tha pr gareeb tha.
ajay chala gaya. pr kuch minto me wapis laut aya. sath lali uski maa thee
raj ne lali ko dekha to dekhta rah gaya. lali 18 ki thi aage badhi raj ko dekhti khench ke apne seene se laga gayee
lali. muje to laga tha aj ka din qayamat ka din ha mere liye. pr aaj muje ek aur bhai ki soorat zamane bhar ki khushiyan mil gayee
ajay uski maa rajesh teeno ki ankhon me anshu thy
raj to khud prem ko tarsa huwa tha. kamla bimla ratna se mile prem ne raj ko maa se nafrat karne se bacha lia. yahan kamla ke jesi ek aur maa dikhi
raj bhavuk hone laga
lali apni maa ko dekhti ha. maa milo na mere chhotu se
maa chhotu nam pe roti hui has padi thi karib ai aur raj se na lipat ke raj ke pairon me girne lagi
raj jhat peeche hatta ha jhuk ke ajay ki maa jiska naam sarita tha ko khada karta ha
raj. maa ye aap kya kar rhi ho
sarita. kyaa bola tum
raj. maa kaha ha aap ko maa to sab beto ke liye maa hi hoti ha na
sarita phoot phoot ke rone lagti ha
sarita. haan tum mere chhotu ho. lali ne tuje sahi nam dia ha. mai tumhari maa hon. har bete ki maa sab beto ke liye ek samman hoti ha. muje nhi pata tha mera ek beta itna mahaan bhi ha.
mahaan shabd pe raj ko renuka yaad aa gai. tu harami janma hai isme tera koi dosh nhi par tu mahaan nhi bana to sara dosh tera apna hoga.
raj mann me.. renuka ji aap ka dhannyvad. aap ne muje sahi rasta dikhaya. ab se main mahanta ki us unchai tak jaaunga. jis unchai ki kalpana bhi aap ny nahi kari hogi.
(par kismat ke khel bhi bde anokhe hote han)
renuka ne raj ko jitne paise diye the zameendar ka sara paisa sara byaj chuka ke bhi 45 hajaz rupee bach gay the. zameendar ko peeda to bdi huwi lali uske hath se nikal gayee thi. pr ab wo kuch nahi kar sakta tha. ajay ke 2 chacha gareeb thy pr kamzor nhi thy. majbur thy pr kayar nhi thy. zameendar ko us ky parivar ko sadaiv isi ganv me rahna tha. laali ko bhul jana hi uchit samjha.
raj jana chahta tha pr lali ke andr kamla ratna bimla teeno ki jese aatma sama gayee thi. rajesh ki baithak me der tak rhi raj ko sath bitha gayee thi. pahle ajay ki chaheti thi ab lali ne raj ko apna chaheta bana lia. lali bdi ban gayee
thi ajay lali ko beti samjhta tha lali raj ko beta samjhne lagi
lali ajay sarita ajay ke dono chacha parivaron ke liye raj maseeha ban gya tha. raj ko apne ghar le gaye. lali raj ko apne kamre me le gayee. kamra ka darwaja band kr gayee
raj ne hairat jahir kari
lali. bhul jaao sab
lali raj ko palang pe le jati ha apne sath lita leti ha raj aur hairan hota ha lali raj ke gaal chumti ha
lali. tu lali ki jaan ha arun tu lali ka bhai ha tu lali se chota ha lali teri didi ha ajay bhaiya ne muje pita ka prem dia mai tuje maa ka pyar dungi
kunwari larki maa ki zuban bol rhi thi hairat ki bat thi
pr raj ko lali ke shareer se kamla bimla ratna ke jaisi mehak aany lagi to raj ka ashant man shant hone laga
ye vichar aye the raj ke mann me tabi to ek aur bat soch gya tha. prem hi keval ekmatr aisi chij ha jis se har ashant mann ko shant banaya ja sakta ha. jese haveli chhod kamla bimla ratna ke liye uska amnn ashant hone laga ha. lali se prem mila to jese uske mann ko shanti prapt hne lagi ha. aise hi woh bhi aisa mahaan aur prem karne wala banke haveli jayega apni maa ke ashant mann apne prem se shant banaye ga. prem shareer ke dil me aatma ke sabi ghav der se hi sahi par jarur bhar deta ha. aisa ab achanak se lali sarita ka prem milne me raj ke mann me vichar aane lage the. raj dunya ko alag dhang se jaanne laga tha
raj jana chahta tha lali ne jane nhi dia. raj ko ghayal jan lia tha raj ko janghiya pahna ke raj ke ghavo pe malham lagany lagi thi. sarita bi a gai thi. raj ki ankhen bhar aati han sarita aur lali ka prem dekh ke
poochne pr bhi raj ne apne bare me kuch nhi bataya kisi ko. koi raj ko jane nhi dena chahta tha. pr lali ne raj ko ek raat khub khari khoti sunai
lali. mai kon hon teri
raj. aap janti ho
lali. tere moh se sunna chahti hoon
raj. didi
lali. aur
raj. aur kyaa
lali raj se lipat ke ro padi. aur teri maa hoon bta hoon ke nhi
raj. aap ke prem me mumta rachi huwi ha didi
lali. jese ajay bhaiya ke prem me pita ki mohabbat. arun dil rota ha tere jane ki soch ke
raj. pr mai ruk nhi sakta
lali. han ab to tere ghav bhi bhar gaye han
raj. muje jana hoga
lali. mat ja na
raj. nahi jaaunga to maa aur apni bahno ke liye kuch kese kar paunga
lali. tu muje to bata de maa aur apni bahno ke bare me. kya teri maa meri maa nhi ha. kya teri bahne meri bahne nhi hn
raj. kyu nhi han woh han aap ki maa aur bahne
lali. tab muje sab bata unke baare me
raj. kya ap ke baare me jaha mai jaunga sab ko bata dia karu sab
lali. buddiman bhi ha tu
raj. nhi buddhiman to nhi hon. pr sab bata pana abi mere liye sambhav nhi ha.
lali. teri marzi pr tu ek wada mujse karna
raj. konsa wada
lali. tu kabi muje bhulega nhi. jald laut ke aye ga tu. umar bhar muje apne sath rakhega mai tere bina vivah nhi karungi
raj chaunka. kyu kyu nahi karogi
lali. bas kah dia na nhi karungi to nhi karungi
raj. ye to galat bat ha muje der bi ho sakti ha
lali. kuch shan pahle tune kaha tha mai teri maa teri didi ho teri itni kuch hon tu bta kya tere bina mai doli me beth sakti hon
raj duvidha me aa phansa tha
lali. tu jab tak nhi aye ga mai vivah nahi karunga
raj. aise zid achi nhi hoti didi
lali. ek bat aur ha
raj. kya
lali. mai chahti hon tu aisa banke muje mil tu meri zindagi ka faisla kare
raj bhuchakka hua
lali. mai chahti hon tu mere liye jeevan sathi ki talash kare yahan koi nhi ha sab mere bhai han jo ganv me han muje pasand nhi han abhi ajay bhaiya ki shadi bhi nhi hui ha unke liye larki tu hi dhundega
raj aur chinta me aya. didi aap mere kandho pe bojh badha rhi han
lali. tu jese marzi samjh pr na mai shadi karne wali hon na hi ajay bhaiya ko karne dungi jab tu laut ke aayega tab hogi meri bhi aur ajay bhaiya hum dono ki shadi
lali raj ko prem zanjeeron me bandhe ja rahi thi. raj itne dino se lali sarita ajay uske dono chachaon ke parivar ko apna maan chuka tha unke liye soch chuka tha ek din woh mahaan banega bada admi banega sab ke bhavishya ko chamkaye ga yahan raj ko prem aisa mila tha raj ko jaha se bhi prem milta tha raj unke liye ab har seema se gujarne ke liye khud ko tayar karne laga tha yehi mahanta thi apnu ke liye woh karna jo koi na kar sake
raj mann me. renuka ji aap ne path to bohut badha padha dia muje ye mere vicharo mere kandho ke bojh ko badhane lage han kahi aisa na ho bojh badh jay aur mai dhadam se aise giron bojh tale dab ke hi rah jaaun mai samjhta tha mai sahnshakti me kamal ka hoon balshali hon par haveli se nikalne ke bad pta chal raha ha prem me jimmedari kitni badh jaya karti han. koi do bol meetha bol de mar mitne ko mann karne lagta ha mai pahle to aisa nhi tha kyaa ye meri kamzori ha
andarmann me awaz goonji thi Abi teri umar ki kitnee ha tu to abi kuch bi nhi ha tu bda kamzor ha abhi tujhe bohut mazboot banna ha raj tuje mahaan banna ha renuja ne tere liye khud ko teri maa ki jindagi ko khatre me dala ha tu harami ha harami ek khota sikka hota ha tu mahaan bann sone se bhi adhik chamak damak tere andar aa jay gee tera nam rajveer ha sacha rajveer bann bina laksh ke jeevan bekar ha ek laksh teri maa ka ha ek laksh ko sath le ky tu jeevan ji tu hara to maa ko haar jaay ga jeeta to maa milegi naam milega samman milega sukh shanti mile gee
raj ki ankho ke peechy shweta ki rahasyamaee hasi muskan ankhon ki chamak ke aneko scene lahrane lage
raj badbadaya. chitkar ha us bete pe jise kisi karan apni maa se nafrat hone lage maa mai kabi tujse nafrat nahi kar sakta maa mai tumse prem krta hoon maa mai tere liye mahaan banunga maa mai tere liye woh sab karunga jo ek jayaz beta bi kabi apni maa ke liye nhi kar saka hoga mai wada karta hoon wada karta hoon
lali bhuchakki hui raj ko dekhti ja rahi thi raj ki ankhen band thi raj badbadaye ja rha tha
lali ne sun lia bohut kuch samjh gayee thi raj kyu apne mann ki baat nhi bata raha ha. tadap uthee ro padi raj ka sir pakad apne seene pe rakh leti ha dabane lagti ha raj hadbada ja jata ha yaad ata ha raj ko usne ne badbadaya ha woh lali ne sun lia ha
lali ro padti ha. lali ki jan khol de apne seene ka sara dard apni maa samman didi ke samne lali ka dil samandr ha woh apne bhai ki koi bat kisii teesre ko nhi bataye gee
raj ko bi laga mann halka karna jaruri ha. lali itna jan gayee ha tu kuch aur bata dene me koi harj nhi raj apne bare me lali ko sab batata chala gya. lali raj ki sari katha sun ke raj ke chahre ko chumne lagti ha
lali. mera raj abi se mahaan ban chuka ha. tu ja mere bhai teri laksh bohut bada ha, jitna bada ha tera laksh utni hi kathnaiyan teri raah me aany wali ha pr tu chinta na krna lali tere laksh ki samapti tak roz mandir jay gee lali ne vishwas kr lia ha lali ka raj mahanta ke us sthan pe jarur birajman hoga aj ke zamane me jis sthan ko pane ki koi soch bhi nhi sakta.
raj ko laga lali ke samne mann halka karke usne apne liye bda acha kia lali ke moh se nikalte shabd dil se nikle shabd the. raj ko apna saahas akash pe dikhai dene laga
lali puri raat nhi soi raj se ek ek bat poochhti rhi raj ko apne hisab se salah deti rhee raj ka koi razdar nhi tha lali first thi renuka ne bohut si baten kari thi lekin renuka na to raj ki dost thi na hi razdar bass ek sahayaka ban ke aai thi kuch der rhi thi fir chali gayee thi
pr lali Raj ko laga lali ekdum se uske liye ab tak ki sabse khas ban insan ban chukee ha
raj ne kuch din aur lali ke sath rahne ka nirnay le lia ye batata ha lali ko
lali sunti ha khusi se pagal ho jati ha raj ke upar aa jati ha raj ke gal chumne lagti ha. khushi se rone lagti ha kahti ha raj tune muje badi khushi di raj tune muje woh sthan dia jo mere bhago me tha hee nhi raj tu muje zameendar se bacha ke maseeha bana raj maseeha wahi banta ha jis sy bhagwan khush ho maseeha wohi banta ha jo guni ho jo woh isi yogya hota h raj. bhagwan ne tuje wo sthan daan kr dia ha jise to pane nikla tha. jo rahta ha wo bi jald hi tu pa le ga
laali ki ab ki baaton ne raj ke rhe sahe dimag ke khane bhi roshan krne chalu kr diye thy raj jo harami tha ko naya safar raas aany laga tha usay apni manzil kese pani ha dikhny laga tha
raj mann me sochne laga woh mahaan kab banta h nhi janta pr laali uske dil me us sthan pe birajman ho gayee thi jahan kamla ratna bimla uski apni maa bhi birajman nhi ho saki thi renuka ne itna kia raj ke liye pr laali number le gayee thi
raj ne apni bahun ke ghere me laali ko liya fr ghera tang karne lagta ha
laali anshu bahati raj ki ankhon me dekhti ha fir raj ke gaal chumne lagti ha