kamla bimla ratna teeno ky hath upar tangy thy raj ke kandhe ghayal thy shweta nhi chahti thee raj bekar ho jay isi karan raj pinjre me khula tha
raj salakhen tham kamla bimla ratna ko dekh dukhi tha shweta aur sab der tak raj ko zaleel krte rhe thy hastey rhe thy
raj ke dil ke chirky lagate rhe the fir chaly gye thy
raj dukhi hoke kahta ha. mujse prem ka parinam ha ye
kamla raj ko niharti ha. tere jese bete me wo jind kurban
bimla. pta ha raj maa ne mene bi din bhar rat ko bi kuch nhi khaya pani bi nhi pia
raj ratna dono sunti han tadap jati han
raj. maa bimla didi ye aap dono ne kya kiya
ratna rone lagti ha
kamla. na ro meri bachi hum ek han na hamra prem ek h na
ratna chup ho jati ha. haan maa hamara prem ek samman ha
fir bolti ha. maa pta ha aaj muje raj bhai ka sacha prem mila maa bada sukh mila muje. pta ha muje kya hua tha
ranta sab batane lagi sun ke kamla bimla dono raj ko dekhti ha khushi ke anshu bahati han
ratna muje raj ki god me aisi meethi nind ai maa kai ghante muje hosh nhi raha
bimla hasrat se kahti ha. kash teri jaga mai hoti
kamla. nhi mai hoti
raj. mai tadap rha ho ap teeno ko is haal me dekh ke. khush ho rha ho is haal me ap ka prem dekh ky
raj ki awaz bheeg gayee
puri raat aise hi kat gayee kisi ko nind nhi aai ratna thodi ghayal thi woh karahne lagti ha
kamla. himmat kar meri bachi
bimla. maa ranta ghayal ha
kamla. to kya huwa ghayal to raj bi ha raj ko dekh ratna teri himmat badhne lagy gee
ratna ne raj ko nihara aur muskura padi
shweta subha jaldi a gayee raman sath tha kathor bhav ke sath hath bandhe shweta ke peeche tha
shweta. raman kamla bimla ratna ko nikal ke le jao
ratna. malkan mai raj ko chhod ke nhi jaungi
shweta ratna ko ghoorti ha. lagta ha tere hosh thikane pe nhi ay han. tujhe ek aur jaga kaid karna padega. chuhe teri booti booti karenge tu cheekhi gee raj tuje bachane ki kare ga uske ghayal kandhe is bar pakka toot jayenge. chal tu yehi rah aisa hi karti hon
ratna jaldi se. nhi mai jaungi
shweta. hahaha
shweta ke kahne pe raman ne bari bari puli ghuma ke teeno pinjre itne uthaye kamla bimla ratna teeno leti karwat ke bal pinjre se nikal padi
raj ne sukh ki saans li thi
kamla ratna bimla raj ko dekhti han
shweta sakht bhav ke sath kahti ha. ab jaaaao
teeno chali jati han
shweta raj ke pinjre ke pas jati ha. suna harami kesa ha tu
raj. tera dhannywad karna ha
shweta shocked. kya matlab
raj. poochh karan
shweta bhuen uchakti ha. bata kaaran
raj has deta ha. kyu kyu kyu
shweta ko jhatka lagta ha shweta raj ko ghoorti ha. fir paglon ke jese hasne lagti ha haste haste dohri ho jati ha. peeche ja ke raman ko dekhti ha
fir gusse se pagal hoti raj se bolti ha. janta ha mai kon hon
raj. meri maa
shweta zor se sar ko jhatakti ha. tuje maarna hota to jab tu ne muje pahli bar kaha tha tab hi maar deti. par tuje dard dena ha muje.
raj. kab tak
shweta. jab tak mai mar nhi jati
raj tadap jata ha
shweta hasne lagti ha. jab tak mera laksh pura nhi ho jata mai nhi marne wali
raj surprised hota ha. laksh? kaisa laksh?
shweta raj ko ghoorti ha. smile karne lagti ha. ashant mann ko shant karna ha muje. kitni bar to kaha ha tuje. acha huwa tuje yahan le aai. mera mann bada shant ha
raj. pr muje to ashant lag rha ha.
shweta. takkar ki baaten karna seekh gya ha
raj. tera doodh nhi pia to kya huwa. teri kokh me tha, tere wajood ka ang hon, tere jesa hi banunga na. suna hai tu kabi badi kamal ki huwa karti thi
shweta ki saans phoolne lagi
raman jaldi se aagy badha aur seene pe hath bandhe sar jhuka jata ha
raman. chaliye malkan
shweta ki saans kuch zayada hi phoolne lagi thi raj ki is baat pe "suna hai tu kabi badi kamal ki huwa karti thi"
shweta ny raj ko dekha aur ishara hi kar saki. ati hon jald hee tuje dekh loon gi. kaha jayega bach ke. mera kaidi ha tu
raj ko apni maa ki phooli saans pe chinta hone lagti ha
shweta rukti nahi raman ke sath chali jati ha
woh pura din bi raj bina khaye piye latka rha
shweta nhi aai raj chintit huwa kahi uski maa ki tabiat to zayada khrab nhi ho gayee. is haal me bi usay maa ki chinta satane lagi thi
kai ghante aur beet gaye raj andaza nhi kr paya time kitna huwa hoga
firse darwaza khula aur ek chahra dekh raj chaunk pada. raj betha huwa tha uth kar khada ho gaya
raj. aap
raj. aap yahan
aane wali renuka thi raj ke pass aaa khadi hui
raj. aap mere pass
raj ki khonpdi me blast hone lage the. jis renuka ko usne aaj tak bolte nhi suna tha, apne aas pass nhi dekha tha door se hi dekha tha. kabi pass se dekha bhi tha to chup dekha tha
renuka. haan mai kyu mai nhi a sakti
raj. kyu nhi aap zarur a sakti han mere pass
renuka wahi neeche beth gayee
raj bi beth gaya
renuka raj ko ghor se dekhne lagi. poochega nhi shweta kyu nahi aai
apni maa ke zikr pe raj tadap utha. maa kesi ha maa yahan se gayee to maa ki saans phoolne lagi thi
renuka. kitni nafrat karta ha apni maa se tu
raj. nafrat
renuka. haan nafrat
raj. maa kesi ha aap ne bataya nhi
renuka. kitni nafrat karta ha tu apni maa se muje bataya nhi tune
raj. aap yahan kese kisi ne dekha to nhi
renuka. acha bata me teri kon hon
ajib bat thi dono dhang se kisi ko utar nhi de rahe thy
raj chup ho gaya
renuka. bata na
raj ke honth kanpe
renuka. bol nhi sakta na kah nhi sakta mai teri bua hon.
raj ka dil ro pada tha
renuka. tu abi se dil ka pura mard ban gya ha. mard dil ka dard chhupa leta ha. rota nhi ha tu sacha mard ha
raj. aap kis liye ai han
renuka. acha ek baat aur bata
raj. poochiye
renuka. yahan haveli me ek naukar ha. suna hai uske ek naukrani se najayaz sambandh han.
raj ko dimag me khurak hone lagi ajib baat karne lagi thi renuka
renuka. tu janta ha mai vishwa hon. ye bi janta ha fere lete hi mera pati dil ke daure se mar gya tha.
raj. haan janta hon
renuka ke chahre pe ajib bhav aate han. to ye manta ha muje aj tak kisi mard ne hath tak nhi lagaya
raj ka sar jhuk gya. ye badi peeda bhari baat thi itni umra ki hoke bi renuka kunwari thi
renuka. sun bata na mai us naukar ke sath so jaaun mera bada dil kr rha ha
raj tadap utha tha. salakhen pakad khenchta ha. nhi
renuka. kyu
raj. muje avsar dijiye, thoda aur bada ho lene dijiye
renuka. fir tu kya karega
raj. aap laaj sharam wali han, mai aap ka vivah firse karwa dunga. aap paap mat kariye dharmik tarike se sare sukh paaiyega
renuka. kyu na karun mai paap. vivah to ab mera hone se raha
raj. mai karwaunga
renuka. mai kyu vishwas kar loon tujpe
raj ko chup lag gayee
raj der se bolta ha. aap ny abi kaha mai abi se sacha mard ban gya ha
renuka. haan kaha tha
raj. tu fir vishwas bi kar lijiye. mai koi nhi hon aap ka, fir bi ap ke sache sukhon ke liye jaan pe khel jaaunga
renuka. bina mere kuch laage tu mere liye itna kyu karega
raj. shayad maa ke liye. ya fir
renuka. ya fir
raj. ya fir
renuka. bolo na kyaa ya fir
raj. pta nhi dil kyu chahne laga ha
renuka. kya chahne laga ha
raj. jis ne mujpe zulm ke pahad nhi tode unse badla loon, baki sab ko itna prem dun jitna kamla maa bimla aur ratna se muje mila ha
renuka ke hontho me muskan aa jati ha
jab se ai thi pahli bar muskurai thi
raj uski muskan dekh hairan hota ha
raj. aap ki muskan bohut payari ha
renuka. apni maa ki muskan kabi deki ha
raj. nhi
renuka. kamla se kabi suna bhi nhi
raj. suna ha
renuka. kya suna ha
raj. kamla maa kahti thi maa shweta ke jaisi muskan moonalisa ki bi nhi thi
renuka. ye sach ha. fir huwi woh ghatna aur teri maa ki muskan chhin gayee
raj. meri to koi galati nhi thi na is me
renuka. to kya teri maa ki galati thi
raj. mene aisa kab kaha
renuka. tu bata mai us naukar ke sath moh kala kar loon
raj. nahi
renuka. tu chahta ha mere honto ki muskan bhi chhin jaaye
raj. nhi
renuka. kyu nahi
raj. bass mera dil chahta ha
renuka. tera dil aur kya chahta ha
raj. aap kis liye aai han
renuka. tujse jawab pane
raj. kis baat ka jawab
renuka. muskan ka jawab
raj ka dil chaha woh apna sar khujaye renuka kabi badi ajib baat karne lagti thi
renuka. bol na
raj. kya jawab dun
renuka uthi aur jati ha button daba deti ha pinjra upar uthne lagta ha. raj hairan ho jata ha
renuka bolti ha. bahar nikal aao
raj turant let ke karwat ke bal pinjre se bahar nikal ata ha
renuka wapis pinjra neeche kr deti ha
renuka raj ke pas jati ha raj ka hath pakad leti ha
renuka. apni maa se kabi nafrat mat karna
raj. badi koshish kari pr ho nahi pai
renuka. wo masoom ha
raj. haan dil maanta ha mera
renuka. ek baat bata mai teri koi nhi hon tu ne kaha mai naukar ke pas na jauan moh kala na karoon. tu kahta ha tu mera vivah karwa dega
raj. haan itni himmat ha mere andar
renuka. aur kitni himmat ha tere andr
raj. mai kuch samjha nhi
renuka. suna ha tere andr badi aag ha badi takat ha tere andar. do din se bhuka ha tu fir bhi aram se khada ha
raj. haan barson zulm sahte sahte kundan ban chuka hon
renuka. tu fir asia kar pinjre ki do salakhon ko khench ke dikha
raj. kyu
renuka. teri takat dekhni ha
raj. usse kya hoga
renuka. bass tu meri maan na
raj ne apne ghayal kandhe dekhe
renuka. darr rha ha kahin ukhad na jaayen
raj apni aai pe aa gaya pinjre ki do salakhen pakad ke kandho ke dard ko bhulne lagta ha. pura zor lagane lagta ha. jab chhodta ha to salakhen khuli ho chuki thi
renuka. andr ghus ke dikhana to
raj khuli salakhon me se ghus ke pinjre ke andr ja ghusa
renuka. ab bahar nikal aa
raj bahar nikal aya
raj sab samjh gaya
renuka raj ko ghor se dekhti hui boli. kya samjha
raj. yehi ke mene pahle aisa kyu nhi kia
renuka. jazbat prem halat buddhi bharasht kar dia karte han. tu khud ko buddhiman samjhta ha. par tu mandbudhi ha
raj. mai kuch samjha nhi
renuka raj ka hath pakad leti ha. chal mere sath tuje samjhati hon
raj. kahan
renuka. chal to
raj chal pada haveli bohut badi thi tahkhane ke andar kai rast the raj ko aise raste dikhe raj hairan hota ha
raj. ye to jese koi qila ha
renuka. ye pahle qila hi tha
raj. aacha muje nhi pata tha
renuka. tuje to kuch bhi pta nhi ha
raj. muje kya nahi pata ha
renuka has deti ha. tuje pate ka pta nhi ha
raj ne pahli bar renuka ki hasi suni thi. mohit hone lagta ha
renuka raj ke sath ek deewar ke pass ruk jati ha
raj. aap yahan kyu laai muje
renuka. tu buddhiman hota to kab ka haveli se bhag gaya hota
raj hairan ho jata ha. bhag jata. par kyu. aur kahan
renuka. sabit kr dia na tu mand budhi ha
raj. kese
renuka. shweta tuje dard de rahi ha
raj. haan
renuka. kyu
raj. mai harami jo hon
renuka. nahi ye baat nhi ha
raj ko jhatka lagta ha. tu kyaa baat ha
renuka. teri maa ke pass apne ashant mann ko shant karne ka koi aur rasta jo nhi ha. tu aaj mar ja teri maa mar jayegi
raj ko laga renuka ki baat sunke uska dil dhadakna bhul gya ho
renuka. jeene ke liye koi na koi maksad chahiye hota ha teri maa ke pass bhi ek maksad ha, ashant mann ko shant banane. iklota ek tu hi karan ha ashant mann ko shant banane ka. do hi tarike han teri maa ke pass ek to tuje dard deti rahe umar bhar
raj machal ke poochta ha. aur dusra tarika kon sa ha
renuka. teri maa ki maut
raj ko sunke gusa aya raj renuka ki gardan pakad leta ha
fir bhi renuka bolti ha. maut har dard ka ilaj bi ha
raj bebas hota ha renuka ki gardan chhod deta ha.
dukh se bolta ha. jitna dard dia maa ne muje. koi aur na de sakta tha. par maa sach me mujse zayada dukhi ha
renuka. tere pass bi do raste han apni maa ke ashant mann ko shant banane ke uski marti ja rahi buddhi ko jeevan dene ke liye
raj renuka ke dono hath pakad leta ha. bataiye plz jaldi se bataiye
renuka. tu mar jaa
raj shocked. mai mar jaaun
renuka. na rahega bans na bajegi bansuri
raj murda lahje me bolta ha aur dusra rasta kon sa ha
renuka. tu harami ha
raj. haan mai harami hon
renuka. tera kitna kasoro ha harami hone me
raj. koi kasoor nhi ha
renuka. tu fir ek kaam kar
raj. kon sa kaam
renuka. tu mahaan ban ja
raj ko sunke jhatka lagta ha. mai mahaan ban jaaon
renuka. haan tum
raj. pr mai kese
renuka deewar pe ek jaga ubhar ko dabati ha. deewar halki gadgadahat ke sath phatne lagti ha. raj ko jhatka lagta ha raj peeche hat jata ha. phati ankhon se phat-ti deewar ko dekhne lagta ha. bahar door door tak kala siyan andhera hi andhera tha. raat ka jese akhri pahr ho
renuka. tu balwan ha. tu yudha ban. jise prem ki ichha ho tu usay prem de. tu apne pairon me khada ho. tu dayavan ban. tu raja ban. tera naam kamla ne rajveer rakha ha. tere andaz rajaon jese han. teri sahnshakti sheron jesi ha. tu bhaag ja
raj kai kadam aur peeche hata. mai bhaag jaaun
renuka. tuje to bohut pahle bhag jana chaiye tha
raj. kyu
renuka. yahan rahne se kamla bimla ratna museebat me a gai ha tere karan
raj. mere karan
renuka. haan tere karan. tu samjh sakta ha. shweta tuje dard dene ke liye un teeno pe zulm karti ha. tu nhi hoga to teeno sukoon se rahne lagengi
raj. ohh ye pahle kyu nahi socha mene
renuka. ek hi sthan me rahte dimag kam karna band kar deta ha. tere pass koi aur thikana nhi ha na. isliye tu ne nhi socha tune koshish kari tu kamla bimla ratna ke sath nikal jaye
raj. han
renuka. par tune ye nhi socha. itni badi dunya me tu teeno ko kahan rakhega.
raj. mai sambhal sakta hon teeno ko
renuka. nahi sambhal sakta
raj. itni himmat ha mere andar
renuka. tuje abhijeet abhimanyu ke kuhc gunde gher len ek gunde kamla ki gardan me chaku lagaye ek bimla ki gardan aur ek ratna ki gardan pe tu kise bacha sakega
raj ke dimag ke band khane khulne lage
renuka. tu abi kuch nhi ha. tu aisa kar bhag ja. jawan hoke apne pairon pe khada hoke wapis aa. fir kamla bimla ratna ko jahan tuje safe lage le jana. pahle thikana bana. takatwar ban. ek sath teeno ko bachane jitna kabil ban. yahan tu teeno ke sath ghanto kaid raha tha. kuch nhi kar paya yahan to kisi ki jan ko koi khatra nahi tha. tu samjh raha hai na raj
raj. haan ab sab samjh raha hon
renuka. tu akhri baat sun akhri baar sun
raj. ji kahiye
renuka ke hontho pe firse muskan ubhar aai. tu muje samman de raha ha
raj. pahle bhi deta aya hon
renuka. ab ke sahi tu muje samman de raha ha
raj. haan aisa hi ha
renuka. harami janme koi uska koi kasoor nhi hota. bada kasoor uska hota ha jo harami mare tu bata tu harami rahte hue hi marna chahta ha ya mahaan banke
raj. mahaan banke
renuka ne hath badha dia. fir wada kar tu mahaan banega
raj ne renuka ke hath pe hath rakh dia
raj. mai wada karta hon mai mahaan banunga
renuka khush ho gai. fir sun tu buron ke sath jitna mann kare bura karna. acha manushy wahi hai jo pahle jane jise woh maar raha ha woh mann ka bura ha ya usay halat ne aisa banne me majbur kia ha. teri maa ne tujpe zulm ke pahad tode han. tu ab ja raha ha yahan se. samjh le tu gaya to teri maa ke ashant mann ko shant karne ka avsar mene chheen lia. uski halat kharab rahne lagegi
raj. mai jata hi nahi
renuka. fir kamla bimla aur ratna par hote atyacharo ke chalte apni maa se nafrat karne ke liye tayar rah
raj. nhi mai mann se chahta ho muje kabi apni maa se nafrat na ho. mai chahta hon kuch aisa ho maa muje is harami ko sache mann se beta sweekar kar le
renuka. tab fir mahaanta ki orr jari safar pe chal pad
raj. ab to mai zarur jaaunga. wahi sab karunga jo aap ne kaha ha
raj. tu khud acha ha. na hota to meri batne teri samjh me nahi aati. na aani hoti to mai tere liye itna nahi karti. shweta bhabhi kuch saal aur tadpengi. par tu jab laut ke aayega ho sakta ha samay chakra ache dhang se ghumne lage
raj. ap ne badi achhi baten batai han muje. aaj ratna ke sath maa ne bada galat kia muje bada gusa aya maa pe. ratna bachi to gusa ghatne laga
renuka raj ko ek potli deti hui boli. ye paise tere kam ayenge
raj ne le liye. pahli bar apni maa ki haveli ke paise uske hath a rahe the
raj ne potli chum li
renuka. der na karna jald se jald kuch ban ke lautna. samjh le teri kamyabi se juda ha teri maa ka laksh
raj laksh shabd sunke chaunka
raj. aisa hi maine maa se bhi suna tha. kya sach me maa ka laksh ashant mann ko shant banana hi ha
renuka bolti ha. dunya me har prani ka sabse bada laksh hi mann ki shanti ko pana hota ha. bina mann ki shanti se juda koi laksh nhi hota. bata chuki hon teri maa ka laksh uski teri saanso se juda ha. ab ja aur mahaan banke laut. jaldi lautna.
raj phati deewar se bahar jane laga renuka sath thi
haveli se gupt raste se bahar nikala tha raj. mud ke dekha to hairan rah gaya. haveli to bohut door thi
renuka. tuje aage hi aage dekhna ha. peeche mud ke itna dekhna ha tuje. mere maan ko nahi tootne dena ha tuje. apni jan se payari bhabhi ki jan khatre me dal ke tuje azad kar rahi hon. kamla bimla ratna ki jindagiyo ke liye azad kar rahi hon. tu harami ha, par tera koi dosh nhi ha. yadi tu mahaan na bana to tera dosh hi dosh hoga. mene tuje wo sab baaten sujha di ha jo teri buddhi se door thi. ab tu azad ha. par yahan kamla bimla aur ratna teri prem kaidi han. unhe azad karwana ha tuje. teri maa shweta bhi kaidi ki zindagi ji rhi ha. mene aaj tak teri maa ke jitni hasmukh mahila nahi dekhi. sundar kitni ha tu janta ha. mann ki achi aur sachi kitni thi, tu nhi janta. tu chahe to purani shweta ko zinda kar sakta ha. ek vashya bhi harami ko janam deti ha. pr ek samay aata ha woh harami ke liye dhanda tak chhod deti ha. kyu ke woh usse prem karti ha. harami bhale hi paap ke raste se uski life me aaya ho, par woh hota usi ka ang ha. tu bhi shweta ka ang ha. aur shweta woh hai, jis ke jesi koi nhi. tu bhul ja tera baap kon ha tu yaad rakh teri maa kon hai. teri maa mar chuki ha. tujhe usay zinda karna ha. teri ankhon me jwala ha. ab sun apne liye sabse badi baat sun. mere pass kuch naam han, jo tere mahan banne ke bad hi mai tuje bataungi. aur woh naam tere baap se jude huwe han. tu teri maa shweta ke dil pe aatma ke lage har ghav ka ilaj kar sakta ha, apni mahanta se, apne prem se, apne rudra roop se. apni jwala se apne apni maa ke doshiyo ko bhasam kar sakta ha.
renuka jo salon nhi boli thi. ab bolne pe aai to bina ruke bolti chali gayee. raj shocked hua usay sunta ja raha tha. renuka ki akhri baaten suni to jhatke khane laga. renuka wapis phati deewar ke andr jane lagti ha
raj bhag ke uske peeche jata ha
renuka. wapis ja
raj tadap jata ha. nahi muje wo naam janne han
renuka ubhar pe hath rakh daba deti ha. deewar wapis se band hone lagti ha
raj andar a jata ha
raj. muje jaanne han woh naam
renuka firse judti deewar ko dekh bolti ha. deewar jud gai to tu ja nhi paaega. tu na ja saka to fir kabi tahkhane se nikal nahi sakega tu kaid khane me kaid rah ke akhri saanse leta hua mar jaayega teri maa ka ashant mann shant nhi hoga woh bhi ghut ghut ke mar jaayegi
raj kabhi renuka ko dekhta kabi band hoti deewar ko
renuka raj ko dekhti rahi. raj ne gahri saans li aur bahar kood gaya
raj is bar aur hi sur me bolta ha. mai wapis aaunga mahaan banke lautunga. ab se meri zindagi ka bhi ek hi laksh ha. maa ke ashant mann ko shant karna.
renuka ke honthu me santushti bhari muskan ubhar ai. tabhi deewar puri band ho gayee. raj bahar andhere me khada band deewar ko ghoorta hua bola
raj. shukar ha muje maa se nafrat nhi hui. hoti to jo aj renuka ji se sunne ko mila apni hi nazron me gir jata. mai kitna khud ko buddhiman samjhta tha. par kuch bi to nhi hon. buddhiman to renuka ji han. dhannyvad renuka ne. aap ne meri ankhen khol den. sab kahte han mai harami hon. apne karam dharam se mai mahaan ban ke dikhaunga. dunya bhul jaaegi mai harami hon. dunya mujhe meri mahanta se pahchane gee.
raj waha sy chal padta ha.