ab parody nahi to kuch aur hi sahi to hamne har staff member se request ki kuch apna likhen bhale hi do shabd ho chahen ache ya bure ( ye janta decide karegi )
to pesh hai
Genius
ye sab mai yun hi time pass ke liye likhta rahta hun, ab shayar nahi hun mai bas kuch shabd yun hi jode hain isliye koi bhi seriously mat lena
--------
Jab har khata ka iljam uchal ke khudpe aaye
Koi to bas keh de itna ke ki begunah kidhar jaye
--------
when i have a fight with someone and after getting crushed he criticize me
" itne kamjarf hote hain kuch gubbare,
chand sason me hi fool jate hain
aur jara si uchai kya pale
kuch log aukat bhool jate hain
my humble reply
" Itni lazzat se bhare hain kuch gubbare,
jab bhi fatenge dhamaka hoga
Aage jab bhi jung hogi yaad rakhna,
aakhiri hath jo padega, wo hamara hoga"
but my friends were like that ' ye jama nahi , pahle bhi to hamne hi koota tha and blah blah'
so i tried a different one
"Tum likh lo do char shabd aur , tumhe ijajat hai
Dard ki dawa na sahi dil ka sukoon to hai"
and it worked as unki jali
-----------
when someone say to me that i am too young for that big task
"Umar ke takaje se gar hasiyat ka andaja lagta
To mandir ka wo budha bhikari duniya ka khuda hota"
----------
Na hasil ho sakega khuch Mere kirdar se adawat karke
Kabhi jeeta hai kyo koi kismat se bagawat karke
---------
Meri adat hai ke mai aksar
Gustakhi me uslon ko tod deta hun
Ab jamane ko ye baat buri lagti hai
Mai har baat laake mohabbat pe chod deta hun
-------
Meri chahat thi ki waqt mera bhi aaye
Aur waqt ye keh ke gaya ke tune pukara hi nahi
-------
Jindgi jeene ka ye usool sikho ke har samay chehre pe aiyari rakho
Aaj ke har pal ko khul ke jio aur aane wale kal ki bhi taiyari rakho
------
Ek suraj tha , jo taron ke gharane se utha
aank hairan hai, kya shakhs jamane se utha
---------
suraj dhala to kad se unche ho gaye saye
kabhi pairon se rondi thi yahi parchaiyan hamne
---------
Ye bhi acha hua ki use paa na sake hum,
hamare ho ke bichadte to qayamat hoti..!!
--------
Gar teri mohabbat me badalna pade kirdar apna
To fir fayda hi kya hua tujh se dil lagane ka
--------
aur bhi bahut kuch hai waqt ke pitare me , bas aaj itna hi ab phir kabhi mehfil lagayenge
------------
Siraj Patel
Some true lines of my life
Kya se kya bana diya
__________________________
Kya se kya bana diya,
Ek kaanta tha mein mujhko fool bana diya,
Fir us fool ko ek pal mein dool bana diya,
Kya se kya bana diya,
Pehle is kadar roshan mujhe kar diya,
fir meri zindagi ka diya he bhuja diya,
Kya se kya bana diya,
Zindagi itni khaas to na thi,
Par itni bhi bakwaas na thi,
Tune to mujhe jina he bhula diya,
Kya se kya bana diya,
Pehle to khali waqt mein has leta tha,
Kabhi kabaar gaa bhi leta tha,
Aab to sara waqt he tune khali karwa diya,
Kya se kya bana diya,
Kabhi tune kaha tha mujse payar ka ijhaar karna chaiye,
Or jab chahne laga tujhe to tune kehne ka bhi waqt na diya,
Kya se kya bana diya,
Kabhi kehti thi 7 din bin tumhare 7 janmon se kam na honge,
Or aaj intezaar karwa k har pal ko 7 janamon se bada bana diya,
Kya se kya bana diya,
Har baar saath saath chale ki baaten karti thi,
Jab humne saath chalne ka man banaya to,
To har kadam ko ek lamba faasla bana diya,
Kya se kya bana diya,
Kehti thi aap mein ek humsafar dikhta hai,
Or jab waqt aaya humsafar banane ka to,
Humsafer to door bhari mehfil humen tanha bana diya,
Kya se kya bana diya,
Aab kya kahun tujse or kya mangun tere liye aapne raab se,
Tere liye to duaa he nikli hai or duaa he niklegi mere dil se
Par Sawaal karta rehega dil mera kyun tune mujhe ek pal mein gair bana diya,
Kya se kya bana diya.
---------------
Trinity
I have written this for someone special in my life. I never thought to share this, but...
( Devanagari translation has been done with online translator, so if you find any error please bear with it.)
_______________________________________________________
मैं किये हर वादे को निभाऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो !!
मैं हर बंदिशों से लड़ जाऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो ||
माना मेरी औकात नहीं उस आसमान तक जाने की,
मैं जमीं पे चाँद बनाऊंगा तुम हाँ करके तो देखो ||
कल क्या था, हैं हम आज कहाँ, किस्मत का भी है दोष नहीं !!
मदहोश हूँ तेरे इश्क में मैखाने का भी दोष नहीं ||
सुबह संग खिलती धुप तेरे, खिड़की से अंदर आऊंगा !!
है बंद पड़े अर्सो से, घर के दरवाजे का भी दोष नहीं ||
माना है अनजान सही, मुझसे तेरे सारे अपने,
दुनिया में पहचान बनाऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो ||
मैं जमीं पे चाँद बनूँगा तुम हाँ करके तो देखो ||
जो मुड़ता है तेरी गलियों में, उन राहों का भी दोष नहीं !!
जो बिन बोले हर रात को आये, उन खाबों का भी दोष नहीं ||
कभी उड़ाने भड़ती है तो, कभी अचानक थम सी जाती हैं !!
बीती बातें हैं क्या करूँ, उन यादों का भी दोष नहीं ||
मैं फिर से मिलने आऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो !!
मैं जमीं पे चाँद बनाऊंगा, तुम हाँ करके तो देखो ||
_______________________________________________________
-----------------
KR$NA
Apan ko shayari nahi aati men ye noob mod mera dimag chaat diyela hai aur tu mere se shayari maang raha hai,
Le Sun,
"Chaar chawanni ghore pe aur mai chada ghodi pe "